Thursday, June 12, 2014

AUQAAT E NAMAZ





✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Awqaat E Namaz
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Hazrath Ayesha Radi-Allahu-Anha rivayiat karti hain Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne koyi Namaz iske akhiri waqat mein nahi padhi yahan tak k Allah ne ap ko wafaat dedi

(Behqi 435, Hakim 190 Sahih)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya, Awwal waqt mein Namaz padhna afzal Amal hai

(Behqi 434, Hakim , Ibn e Habban Sahih)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath ibadah bin Saamat riviat karte hain ke Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ,

Tehqeeq tum per Mere baad aise imam honge jinke baaz chizein waqt per namaz padhne se baaz rakhengi yahan tak ke iska waqt jata rahega pas Namaz waqt per padho agr che Tanha padhni padey

Phir ek shaks bola aye Allah ke Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam mai in ke sath bhi Namaz padhoo ?

Ap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya," han ".

(Abu dawood 433 Sahih )

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath Anis Radi-Allahu-Anhu rivayiat karte hain Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaks Namaz bhool jaye ya so jaye iska Kufara ye hai ke jis waqt isey yad aye ya bedaar ho us Namaz ko padh le

(Sahih Bukhari 597, Muslim 684)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Jaber bin Abdullah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Hazrat Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu gazwa-e-khandaq ke moqey par suraj ghurub honey ke baad aaye aur wo kufaar e quraish ko bura bhala kahney lagey phir aapney farmaya oh Allah ke Rasool Sallallahu-Alaihi-Wasallam suraj ghurub ho gaya aur Asar ki Namaz parhna mere liye mumkin na ho saka is par Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya mainey bhi Namaz nahi parhi hai phir hum Wadi-e-bathan mein gaye aur wahan aapney namaz ke liye wudhu kiya humney bhi wudhu banaya us waqy suraj dub chuka tha , pahley Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Asar ki Namaz parhayee phir maghrib ki namaz parhayee

Sahih Bukhari, Vol 1, 596

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Abu Sa'id Al-Khudri Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Fajar ki Namaz ke baad suraj nikalney tak koi namaz na parhi jaye aur Asar ki namaz ke baad suraj dubney tak koi namaz na parhi jaye

Sahih Bukhari, Vol 1, 586