Monday, June 9, 2014

MOZON (SOCKS) PAR MASAH KA BAYAAN





✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Mozon per Massa ka Bayan
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Hazrath Mugheerah Radi Allahu Anhu kehte hain ek Safer mein Mai Rasoollallah SallAllahu Alaihi wasallam ke Hamrah tha

Maine Wudu ke waqt caha ke Aap SallAllahu Alaihi wasallam ke dono mozey utaardoo Ap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya,

" Inhein rehne do ". Maine inhein Taharat ki halat mein pahena tha".

Phir Aap" SallAllahu Alaihi wasallam ne inper massa kiya

(Bukhari 206)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Shareeh Bin Hani Radi Allahu Anhu farmate hain Maine hazrath Ali Radi Allahu Anhu se Mozon ke massa kerne ki muddat ke mutaliq poocha to Hazrath Ali Radi Allahu Anhu ne farmaya,

Rasoollallah SallAllahu Alaihi wasallam ne Musafir ke liye Massa ki muddat Teen din Raat aur Muqeem k liye ek Din Raat muqarar farmayi hai .

(Muslim 276)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Safwan Bin Asal Radi Allahu Anhu riwayat karte hain ke jab Hum Safer mein hote to Rasoollallah SallAllahu Alaihi wasallam humein hukum dete ke hum apne mozey Teen din Teen Raton tak Paqana , Peshab ya Sone ku jaye se na utare balki inper Massa karein ,

Han Janabat ki surat mein Mozey utarne ka hukum detey.

(Tirmidhi 96 Sahih , Nisayi 98 , 84 ,83 )

(Tashreeh : Is hadees se malum hua ke Junubi hona Massa ki muddat ko qatam kardeta hai .Isliye Ghusal Janabat mein Mozey utarne cahiye albatta bol wabaraz Neend k baad Mozey nahi utarne cahie Balki mayena muddat tak inper Massa karsaktey hain