Tuesday, July 1, 2014

ROZE KI HALAT ME TOOTH PASTE KA ISTEMAL KYA JAIZ HAI ?

Question :
 

kya rozay dar ke liye ramdan mai din k wqt rozay ki halat mai tooth paste ka istemal kerna jaiz hai?
 

Answer :
 

is mai koi harj nahi bashart yh k aihtiyat ki jaye k issy nigalny na paye. jis tarhan rozaydaar k liye din k ibtedai aur akri hissay mai miswaak kerna jaiz hai issi tarhan tooth paste ya manjan wagaira istemal kerna bhi jaiz hai. baaz ahl-e-ilm ny zawal k baad miswaak kerny ko makroo nahi hai QK Nabi (S.A.W) k muderja zail irshad k amom ka yahi taqaza hai:


"Miswak kerna mou ki safai-o-pakezegi aur RAb ki raza mandi ka baees hai."
 
[Sahi albukhari moalqan' qabal hadis: 19334' wa sanan nasai' hadis:5.]


issi tarhan Rasool Allah (S.A.W) ny yh bhi farmaya hai:


"agar mujhy ummat k mushaqat mai par jany ka andesha na hota to mai inhain her namaz k sath miswak kerny ka hukam daita."

[sahi albukhari' hadis: 887' wa sahi muslim' hadis: 589.]

her namaz mai to zuher aur asar bhi shamil hain aur yh zawal k bad hain. (lehaza maloom huwa k zawal k baad bhi miswak kerna makro nahi.)
Wallah Walee At'toufeeq (shiekh ebn baaz)
Hazrat Amir Bin Rabbiya R.A. sy marvi hai: "mai ny Nabi akram (S.A.W) ko rozay ki halat mai itni martaba miswak kerty dekha hai k mai shumar nahi ker sakta."
[sahi albukhari' hadis:1934
abi daud' hadis: 2364.]