Sunday, November 2, 2014

HZ UMME KULSUM (RA) KA HAZRAT UMAR FAROOKH (RA) SE NIKAH:





Bismillahirrahmanirraheem

HZ UMME KULSUM (RA) KA HAZRAT UMAR FAROOKH (RA) SE NIKAH:


Pichle Post Me Ham Bata Chuke Hain Ke Hz Ali (Ra) Ne Hz Abu Bakr Wa Hz Umar (Ra) Wa Hz Usman (Ra) Ki Khilaafat Ko Tasleem Kiya Tha,

Unki Bayyat Ki Aur Unke Wafadaar Ban Kar Rahe, Hz Ali (Ra) Ki Beti Hz Umme Kulsum (Ra) Ki Hz Umar Farookh (Ra) Se Shadi Hz Ali Ke Khulefa E Salasa Se Talluqaat, Unki Khilaafat Ko Bar'haq Tasleem Karne Aur Unse Kamaal Muhabbat Wa Pyaar Ki Waazeh Daleel Hai,

Agar Maaz'allah Hz Umar (Ra) Ki Khilaafat Bar'haq Na Hoti Toh Hz Ali (Ra) Kisi Soorat Me Bhi Apni Beti Ka Nikah Hz Umar (Ra) Se Na Karte,

Shia Muhaddiseen Wa Mufassireen Ne Apni Kutub Me Is Amr Ko Tasleem Kiya Hai Ke Hz Umme Kulsum (Ra) Ka Hz Umar (Ra) Se Nikaah Hua,

Chunanche Qulaini Shia Raawi Mu'awiya Bin Ammar Se Riwayat Karta Hai, Usne Kaha

"Maine Hz Imam Sadiq (As) Se Daryaaft Kiya Ke Jis Aurat Ka Shauhar Faut Ho Jaaye Wah Iddat Kahan Ghuzaare, Apne Ghar Me Ya Jahan Uska Jee Chaahe ??,

Aapne Faramaya:- Jahan Uska Jee Chaahe, Ali (As) Umar Ki Wafaat Ke Fauran Baad Hz Umme Kulsum Ko Apne Ghar Le Aaye They"

(Farogh Kafi 2/211 Matbua Hind)

Yahi Riwayat Abu Jaafar Toosi Ne Apni Kitab "Tahzeeb Al Ahkam" Me Bayaan Ki Hai, Toosi Hi Ne Hz Bakar Se Riwayat Kiya Hai, Unhone Kaha

"Hz Umme Kulsum (ra) Aur Unke Bete Zaid Bin Umar Bin Khattab Ka Inteqaal Ek Saath Hua, Ye Bhi Na Pata Chal Saka Ke Un Dono Me Se Kis Ki Rooh Pahle Qabz Hui, Un Dono Ki Namaz E Janaza Bhi Ikatthi Ada Ki Gayi"

(Tahzeeb Al Ahkaam Az Toosi, Kitab Ul Meeraas 2/380 Matbua Iraan)

Kulaini Ki Kitab "Al Kafi" Me Ek Bab Ka Unwaan Hai "Bab Fi Tarweej Umme Kulsum" Yani Umme Kulsum Ke Nikah Ke Bare Me Bab,

Is Bab Ke Tahat Usne Mutaaddid Riwayaat zikr Ki Hain, Har Qism Ke Haya Ka Lubaada Utaar Kar Ameer Ul Momoneen Hz Ali (Ra) Ki Tauheen Ka Artaqaab Karte Hue Likhta Hai

Imam Sadiq (As) Se Umme Kulsum Ke Nikah Ke Mutaalliq Daryaaft Kiya Gaya Toh Aapne Farmaya

"Ye Sharm'gaah Hamse Zabar'dasti Chheen Li Gayi Thi"

(Farogh Kafi 2/141 Matbua Hind)

Is Riwayat Ko Waza Karke Is Shakhs Ne Jis Yahoodi Aur Napaak Zahniyat Ka Namoona Pesh Kiya Hai Is Par Is Badmaash Shakhs Par Jis Qadr Laanat Bheji Jaaye Kam Hai,

Ise Sharm Na Aayi Hz Ali (Ra) Jaise Shuja, Bahadur, Nidar, Fateh Khaibar, Haidar Qaraar Aur Azeem Shakhsiyat Par Ye Zehar'afshani Karte Hue Ke Umar Ne Unse Jabran Unki Beti Ko Chheen Liya Tha,

Kya Koi Ba'ghairat Bahadur Shakhs Is Qism Ki Zillat Kabhi Qubool Kar Sakta Hai, Bilkul Nahin !

Bila'shubah Ye Tamam Baatein Is Yahoodi Un Nasal Qaum Ki Mangadant Hain Jo Haidar Aur Farookh Ke Talluqaat Ki Asaliyat Par Pardah Daalne Aur Apne Yahoodi Aqaid Ko Riwaaj Dene Ke Liye Waza Kiye Gaye Hain,

Nikah Umme Kulsum Ki Haqeeqat Ka Aitraaf Ibn Shaher Aashoob Ne Bhi Kiya Hai,

Chunanche Wak Likhta Hai

"Hz Fatima (As) Se Hasan Wa Hussain, Muhammad, Zainab, Akbar, Umme Kulsum Paida Hue, Umme Kulsum Se Umar Ne Shadi Ki"

(Manaqib Aal E Abu Talib 3/162 Matbua Mumbai Hind)

Shia Ka (Shaheed Saani) Zainuddeen Aamli Likhta Hai

"Nabi (Sws) Ne Apne Beti Ki Shadi Usman Se Ki, Usi Tarah Ali Ne Apne Beti Umme Kulsum Ki Shadi Umar Se Ki Aur Ye Dono Hashmi Nahin Hain"

(Masaalik Al Afmaam, Kitab Un Nikah Matbua Iran 1282 Hijri)

In Tamam Nusoos Se Hz Umme Kulsum (Ra) Ki Hz Umar (Ra) Se Shadi Ka Suboot Milta Hai, Ye Ek Roshan Haqeeqat Hai Jisse Faraar Ka Koi Jawaaz Nahin....

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks