Sunday, December 28, 2014

BIWI KO SHAUHAR KE RAAZ (SECRETS) FAASH NI KARNA CHAHIYE:




Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO SHAUHAR KE RAAZ (SECRETS) FAASH NI KARNA CHAHIYE:

Shauhar Ke SecretS Ko Dusron Ko Bataana Bada Taqleef'deh Hota Hai Aur Ye Haram Bhi Hai,

Isliye Zaroori Hai Ke Biwi Logon Ke
Darmiyaan Shauhar Ki Buraiyyon Ka Tazkirah Na Kare, Aur Na Hi Uske Secrets Dusron Ko Share Kare, Aur Na Uske Chhupe Hue Aibon
Ko Aam Kare, Jinko Wah Jaanti Hai,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Pas Nek Auratein Farma'bardar Hain, Ghair Haziri Me Hifazat Karne Wali Hain, Isliye Ke Allah Ne (Unhe) Mahfooz Rakha, Aur Wah
Auratein Jinki Nafarmani Se Tum Darte Ho, So Unhe Naseehat Karo Aur Bistaron Mese Alag Ho Jao Aur Unhe Maro, Fir Agar Wah Tumhari Farma'bardari Karen Toh Un Par
(Zyadati Ka) Koi Raasta Talaash Na Karo, Beshaq Allah Hamesha Se Bahut Buland, Bahut Bada Hai"

(Surah Nisa Ayat No. 34)

Hadith Me Lazzat'andozi Ke Raazon Se Pardah Uthaane Ki Hurmat Waarid Hui Hai

Hz Abu Saeed Khudri (Ra) Farmate Hain Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Roz E Qayamat Allah Tala Ke Yahan Bad'tareen Martabe Ka Malik Wah Shakhs Hoga Jo Apni Biwi Ke Darmiyan Aur Apne
Darmiyaan Hone Wale Mubashirat
(Humbistari) Ke Maamlaat Se Pardah Uthaata Hai"

(Sahih Muslim Hadith No. 1437)

Hz Asma Bint Yazeed (Ra) Bayan Farmati Hain Ke Wah Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Paas Baithi Hui Thi Aur Kai
Deegar Khwateen Wa Hazraat Bhi Wahan Maujood They Ke Aap Ne Farmaya

"Shayad Aadmi Jo ApnI Biwi Ke Saath Karta Hai Uska Zikr Kare Aur Shayad Aurat Bhi Jo Apne Shauhar Ke Saath Karti Hai Uska Tazkirah Kare,"

Saare Logon Ne Chhup Saadh Li,

Toh Maine (Hz Asma) Ne Kaha:

"Ji Haan , Aiy Allah Ke Rasool ! Auratein Bhi Aisa Karti Hain Aur Mard Bhi"

Toh Aap (Sws) Ne Farmaya

"Aisa Bilkul Na Karo, Ye Toh Us Shaitan Ki Tarah Hai Jo Raaste Me Shaitaan'ni Ko Dekhta Hai Aur Logon Ke Saamne Hi Uske Saath Bad'faili Shuru Kar Deta Hai"

(Musnad Ahmad Hadith No. 27036)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait