Monday, January 5, 2015

JAB SHAUHAR BIWI KO HAM'BISTARI KE LIYE BULAAYE TOH USE MANA NI KARNA CHAHIYE:


 
 
 
.Bismillahirrahmanirraheem

JAB SHAUHAR BIWI KO HAM'BISTARI KE LIYE BULAAYE TOH USE MANA NI KARNA CHAHIYE:

Aurat Par Laazim Hai Ke Jab Uska Shauhar Usko Bistar Par Bulaaye Toh Inkaar Na Kare,

Hz Abu Hurairah (Ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Jab Shauhar Apni Biwi Ko Bistar Par Bulaaye Aur Wah Na Aaye Aur Shauhar Us Par Narazagi Ki Haalat Me Raat Basar Kare Toh Subah Tak Farishtey Us Par Laanat Barsaate
Rahte Hain"

(Sahih Bukhari Hadith No. 5194, Sahih Muslim H.No 1436)

Imam Ahmad (Rh) Imam Aufi (Rh) Se Bayan Farmate Hain Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Us Zaat Ki Qasam Jiske Haath Me Meri Jaan Hai, Jo Aadmi Bhi Apni Biwi Ko Apne Bistar Par Bulaaye, Aur Wah Inkaar Kar De Toh Jo
Aasmaan Par Baitha Hai Wah Us Waqt Tak Usse Naraaz Rahta Hai Jab Tak Uska Shauhar Usse Raazi Na Ho"

(Sahih Muslim H.no 1336)

Imam Nawawi (Rh) Farmate Hain

"Is Hadith Me Be'ghair Kisi Sharai Majboori Ke Aurat Ke liye Shauhar Ke Paas Aane Se Inkaar Karna Haraam Hai, Aur Haiz (Menstrual Period) Mana Karne Ke Liye Koi Uzr Nahin,

Kyonki Haalat E Haiz Me Usko
Izaar (Cloth) Se Ooper Lutf'andozi Ka Haq Haasil Hai, Aur Hadith Ka Matlab Hai Ke Laanat Us Par
Baraabar Barasti Rahti Hai, Jabtak Tule E Fajr Ho Jaaye Aur Wah Usse La'parwah Rahe, Ya Fir Wah Toba Kare Aur Bistar Par Aa Jaaye"

(Sharah Muslim Nawawi 5/261)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatulBait