Sunday, January 4, 2015

QUR'AN PAAK KI HAQEEQAT- PART-5











Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahmanirraheem ..


Topic : Quraan paak ki History

Part-5

Hazrat Usman r.a k Quraan Majeed ko Ek Qirat per lana Aur Surato ko Tarteb dena :

Ahad Usmani (25 se 35 hizre) me Jihad ki Garaz se Mukhtalif Mulko me Jane Wale Sahaba e Karam r.a Mukhtalif Elako me Apne Apne Sekhe hue Qirato k Mutabiq Quraan Majeed padte the, jab tak loog 7 Qirato k Ekhtelaf se Wakif The, Kisi Kism ki Sekayat Paida Na hue leken Waqt Guzarne k Sath-Sath Dur-daraz k Elako me Pahuchne k Baad Qirato k Ekhtelaf k Elm hota gaya tou logo k Darmiyan Qirat k SAHI Aur GALAT hone per Jagre hone Lage HAZRAT KHUZAIFA BIN YAMAN R.A Armenia Aur Azr-baai jane k Jihad se Wapas Aye tou HAZRAT USMAN GANI R.A ki khidmat me hazir hue Aur Arz keya :

''Amerul mominen ! Esse pahle k ye Ummat kitab-Allah k bare me Yahood o Nasara ki Tarah Ekhtelafat k Sekar ho jaye,Eska Ilaz kejye''

HAZRAT USMAN GANI R.A Ne Pucha :

''Kya Baat hue ?''

HAZRAT KHUZAIFA R.A Ne batay :

''Douran e Jihad Maine Dekha k Saam k loog ABI BIN KAIB R.A Ki Qirat Padte, jo Ahle-Iraaq ne Nahi Sune Aur Ahle-Iraaq ABDULLAH BIN MASOOD R.A Ki Qirat padte jo Ahle-Saam ne Nahi Sune tou 2no Ek Dusre ko KAFIR Karar de dalte''

HAZRAT USMAN GANI R.A ko Esse Pahle v Baaz'Ayse he Sekayat Pahuch Chuke the, Chunche Aap ne Jalil ul Qadr Sahaba e Karam r.a ko jama kar k Maswara Farmaya k Es Bare me Aap logo ki Kya raye hai ? Sahaba e Karam r.a ne HAZRAT USMAN GANI R.A se Daryaft keya ''Apne Eska kya Hal Socha hai? ''

HAZRAT USMAN GANI R.A S ne Farmaya:

''Mere Raye ye hai k Hum tamam logo ko ek Qirat per jama kar de ta k koi Ekhtelaf Baaki na Rahe''.

Sahaba e Karam r.a ne HAZRAT USMAN GANI R.A ki Es Tazwez ko Pasand keya Aur Eske Tayed Farmaye, Es Eztemai Faisla per Amal Dar-Amada k leye HAZRAT USMAN GANI R.A Ne 4 Sahaba r.a per Musmatil Ek Kamiti Banaye jisme :

1-HAZRAT ZAID BIN SABIT R.A
2-HAZRAT ABDULLAH BIN ZUBAIR R.A
3-HAZRAT SAYED BIN AL A'AS R.A Aur
4-HAZRAT ABDUL RAHMAN BIN HARIS R.A

Samil the, es Kamiti ki Hifazat k leye Baad me Baaz Dusre Sahaba e Karam r.a v Sath me Samil ho gaye,Kamiti ko Hidayat ye ki Gaye the k wo HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQ R.A Aur HAZRAT UMAR FAROOQ R.A k Jama kare hue Mushafa se Ek Aysa Mushafa Taya kare jo Serf Ek he Qirat (Reading) per ho Aur Ager Kisi Lafz ya Ayat k Bare me Ekhtelaf paida ho k Ese Kaise lekha jaye tou Use Qurais ki Zuban k Mutabiq lekha jaye,Es leye k Quraan Enhe k Zuban me Nazel hue hai.

Sahaba e Karam r.a ki Es kamiti ne ''Umma'' ko Samil Rakh ker jo Azim o saan Karnama Sir Anzam deya wo ye tha.

1-Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam k Ahad Mubarak me Sahaba e karam r.a k Pass jitna Sahifa Mouzud tha,Unhe Dobara Talab keya Aur Unke barabri ''Umma'' se Mukabla keya Aur Us Waqt tak koi Ayat Naye Mushafa me Samil Na ki jabtak Use Sahaba e Karam r.a k Infiradi (parasnal) Sahifo me Dekha Nahi leya.

2-Ayaat ko Nukta Aur Harkat k Bagair Es Tarah lekha Gaya k Tamam Qirate E us Ek Tahrer me Sama jaye.

Maslan:

مالک يوم الدين -----> Roz e zaza (Qayamat k din) k Malik Aur
ملک يو م ألد ين --------> Roz e zaza (Qayamat k din) k Badsah

Es leye bina zer zabar k '' ملک يو م ألد ين '' lekh deya gaya, esse 2no Qirate(Reading) ek he Trz -tahrir (Writing) me Aagae, leken unke Mahfoom Aur Maine me koi Fark Nahi padha.

3- ''Umma'' me Tamam Surate Alag Alag Sahifa me Bela tartib Mouzud the, Kamiti ne Gour o Fekar k baad Tamam Surato ko Tartib de ker Ek he Mushaifa me yakza (Ekhatta) kar deya.

4-HAZRAT USMAN GANI R.A Ne Quraan Majeed k Es Mutafiq Aliya Nuskhe ki Nakal (Photocope) Tayyar karwaya jin me se

1- Makka-Mukarma
2- Saam,
3- yaman,
4- Basr,
5- Kufa veje
6- kamiti me
jab k 7wa Nakal Madena Mawra me Mahfuz kar le gaye.

5-Quraan Majeed k Es Nuskhe ko Islame Markz me vejne k sath sath HAZRAT USMAN GANI R.A ne Ek Ek Mahir-Qirat v Un Islame-Markz me Veja jo Us Quraan Majeed ki Qirat k Mutabiq Logo ko tek tek Padana v Sekhata ,HAZRAT ZAID R.A ki Taqrer Madina Manawra me Aur HAZRAT ABDULLAH BIN SA'AB R.A ki Taqrer Makka me hue.
 
Ye Sare-Karwai k baad HAZRAT USMAN GANI R.A ne Sahaba e karam r.a k Tamam Inferadi Nuskhe Nazar Atasha kar de Aur ''Umma'' HAZRAT HFZA R.A ko Wapas Vejwa deya jise Marwan bin Hakim ne HAZRAT HFZA ki Wafat k baad Nazar Atsha karwa deya.



#ImranKhanSalafi

#IslamicLeaks