Sunday, April 5, 2015

KHANE PAR SURAH FATIHA PADHNA KAISA HAI ???

Bismillahirrahmanirraheem


Khane pe surah fatiha padhna kisa hai ?? 



Allah pak Quran me farmate hai

.

".Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri hai musalmanon kay liye."


(al Israa :89)

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya

” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai …”



Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.

Muslim ummah ke ek groh me ek riwaj paya jata hai ki wo kisi khas mauke par ya har jume-raat ko khane ke upar surah fatiha padhte hai aur fir uska sawab faut shuda logo ko baksh dete hai. Is amal ka zikr na toh kitab e hidayat me hai aur na hi sunnate Rasool me. Lihaza ye biddat me shumar hota hai.

Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki 


"Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai."

Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.

Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto se mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.



[Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676)].

Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”. 


SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).

RasoolAllah ﷺ ne hame biddat se bachne ki sakht nasihat farmai hai. So hame Allah se darna chaiye deen me nayi chize ijaad karne se aur biddat ko chor kar sunnat ko apnana chaiye.

Ahle biddat apne is amal ko support karne ke liye ek riwayat pesh karte hai jo ki ek lambi hadith hai jiski summary(khulasa) kuch aisa hai:

Hazrate Abu Talha RaziALLAHU Anhu Ke Ghar Dawat Par, Aap NABI E PAAK (SALLALAHU ALAYHI
WASALLAM) Ne Roti Aur makhhan Rakha aur Jo Chaha Padha, Aur Fir Usme Itni Barkat
Ho Gayi, Ki 70 ya 80 admio ne use khaya.


Sahih al-Bukhari 6688.
source of sahih al bukhari-

Kya daleel di hai batil ne jab nabi[swas] ne roti[khane] me barkat ke liye duwa kare tu 70-80 sahaba[ra] pet bhar kar khaye! Lekin ahle biddat ke yaha khane me barkat ke liye duwa ki jata hai tu 3 admiyo ka khana 1 hi admi kha jata hai. Ye ahle biddat ke liye sochne wali baat hai!!!

jab nabi[saw] ne roti me barkat ke liye duwa ki tu ap[saw] ne kaunsi surat padhi yeh kisi sahaba[ra] ko malum nahi tha. Lagta hai ahle biddat ko ilm gaib hai kyu ke nabi[saw] ne bataya hi nahi ke unhone kaunsi surat ya ayat ya dua padhi ha Roti me barkat ke liye. Khairr…

Khana Khane se pahle us khane par surah fatiha padhna sahih hadiths ke khilaf hai :

Aisha r.a. riwayat karti hai ki RasoolAllah ﷺ che(6) sahaba ke sath khana kha rahe the aur tab hi ek dehati (Bedouin) aya aur usne do niwale me pura kha gaya. RasoolAllah ﷺ ne farmaya:


" ‘ Agar usne Bismillah kaha hota to ye(Khana) tumlogo ke liye kafi hota(bismillah ke barkat se). Jab tum maise koi khana khae to use Bismillah kahna chaiye aur agar shuruwat me bismillah kahna bhul gaya ho to use Bismillah fi awwalihi wa akhirih kahna chaiye(Allah ke naam se shuru aur Allah ke naam se khatm)."


Grade : Sahih
Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 29, Hadith 3264.

So hame is hadiths se yeh pata chala ki khana khane se pahle Surah Fatiha nahi balki Bismillah padhna chaiye.

Dusri baat, ahle biddat ki di hui ahadith se ye saaf pata chalta hai ki ye RasoolAllah ﷺ ka mojzah(miracle) tha aur agar kisi muslim me zara si bhi aql hogi to usko ye pata hoga ki mozza aur sunnat alag alag chize hai. Ummatio ko mojzah ka nai balki sunnah ka paband hona chaiye. Ab sahih hadiths me ek aur riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne chand ko ungli ke ishare se do tukde kiye to kya ummat e mohammadi ko bhi roz ya jume-raat ko ya hafte me ek baar ya kisi khas mauke pe chand ko ungli ke ishare se do tukde karne ki koshish karni chaiye???? Ye bilkul hi aql ke khilaf hai aur sath-sath islami shariah ke khilaf bhi hai.

JO chiz deen hai hame RasoolAllah ﷺ ne bata diya hai. Agar khane ke upar surah fatiha padhne me bhi koi sawab ya fayda hota to RasoolAllah ﷺ hame zarur bata kar jate. Unhone nauzbillah ummat se koi baat chupai nahi hai.

Mohammad sallalaahu alaihi wa sallam ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”



[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani]

Fatiha ki chize khana:
Ahle biddat khane par Surah fatiha padhte hai aur us khane par faut shuda shaks ka naam lete hai. Jab ki Allah swt Quran me char mukam pe farmate hai
Surah baqarah ayat 173, surah maida(5) ayat 3, surah anaam 6, ayat 145, surah nahl 16 ayat 115:

حُرِّمَتْ عَلَيْكُمُ الْمَيْتَةُ وَالدَّمُ وَلَحْمُ الْخِنزِيرِ وَمَا أُهِلَّ لِغَيْرِ اللَّهِ بِهِ

” Tum per haraam kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jis par Allah kay siwa kisi aur ka naam pukara gaya ho .. “

In ayato se saaf pata chalta hai ki agar khane ke upar Allah ke alawa kisi aur ka naam pukara gaya ho wo shaks chahe jitna hi nek kyu na ho to wo khana hamare liye khana haram hai. Isi ayat ki wajah se Hindu ke yaha ka Prasad bhi khana haram hai. Aur isi ayat ke wajah se Fatiha ka khana khana bhi haram hai.




#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks