Bismillahirrahmanirraheem
NOOR YA BASHAR KA
AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-10)
YAQEENAN NABI
MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM INSAAN HAIN :
Allah Tala Ka Irshad
Hai
“(Farishtey) Ibraheem
Ke Paas Khush’khabri Lekar Pahunche , Salam Kaha Unhone Bhi Salam Kaha,
Be’ghair Takheer Gaaye Ka Bhuna Ghost Le Aaye, Ab Jo Dekha Ki Inke Haath Bhi
Iski Taraf Nahin Badhte Toh Inki Ajnabi Samjhkar Dil Hi Dil Me Khauff Karne
Lage, Inhone Kaha Daro Mat, Ham Qaum E Loot Ki Taraf Bheje Hue Aaye Hain”
(Surah Hud Ayat No.
69-70)
Malum Hua Agar Koi
Noori Makhlooq Insaani Duniya Me Bhi Aayega Toh Wo Khana Peena Nahin Khayega,
Ye Aayat Itni Zabardast Daleel Pesh Karti Hai Ki Baatil Parast Aundhe Muh Gir
Padte Hain,
Noori Makhlooq Ko Na
Bhook Lagti Hai Na Pyaas, Na Unke Khoon Nikalta Hai Na Dard Hota Hai, Aur Na Hi
Unke Biwi Bacche Khanaadan Hote Hain, Iske Bar’asks Muhammad Sallalaho Alaihi
Wasallam Ke Biwi, Bacche, Maa –Baap, Rishteydar Sab They, Aur Aap Sallalaho
Alaihi Wasallam Ko Taif Me Zar’kob Kiya Gaya Toh Aap Sallalaho Alaihi Wasallam
Ke Khoon Nikla Aur Jootiyan Khoon Se Bhar Gayin, Aur Aap Sallalaho Alaihi
Wasallam Ko Bhook Pyaas Bhi Lagti Thi, Fir Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Noori
Makhlooq Kaise Ho Sakte Hain ??
Jo Aap Sallalaho
Alaihi Wasallam Ko Noori Makhlooq Mane Toh Goya Usne Aap Sallalaho Alaihi
Wasallam Ka Mazaaq Udaaya, Goya Usne Kaha Ki
“Aap Sallalaho Alaihi
Wasallam Agar Deen Ki Raah Me Bhooke Pyaase Rahe Toh Kya Hua Aap Noori Makhlooq
They, Aapko Bhook Aur Pyaas Lagti Hi Nahin Thi, Aur Job Hook Aur Pyaas Ki Wajah
Se Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apne Pet Par Pathar Baandhe They
(Naozubillah) Wo Drama Karte They”
Chunanche Aap
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Jo Aziyat Sahi, Taif Me Patthar Khaaye, Uhud Me
Daant Mubarak Tak Shaheed Ho Gaye Wagerah Sab Bekaar Gaya, Kyonki Noori
Makhlooq Ko Dard Ka Ehsaas Nahin Hota, Hatta Ki Aap Sallalaho Alaihi Wasallam
Ki Saari Haayat E Mubaaraka Ki Saari Qurbaaniyan Noori Kah Kar Zaaya Kar Diya
Aur Aakhirat Me Bhi Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Koi Bulandi Nahin Hogi Kyonki
Ummat Kahegi
“Allah Namaz, Roza,
Hajj, Zakaat, Buraiyyon Se Bachna , Jihad Karna, Taqwa Akhtiyar Karna Wagerah
Bahut Kathin Kaam Hai Isiliye Ham Nahin Kar Sake,
Allah Farmayega:
”Kyon Na Kar Sake? Tumhare Darmiyaan Hamara Nabi Tha Usne Toh Ye Sab Kar Liya
Aura Mal Karke Dikha Diya, Fir Tum Kyon Na Kar Sake??”
Ummat Kahegi:-”Unhe
Maaro Toh Chot Lagti Nahin, Dard Hota Nahin, Toh Agar Unhone Jihad Kar Diya Toh
Kaunsa Kamala Kar Diya, Unhone Musibat Sahi Faaka Kiya Aur Roze Rakhe Toh
Kaunsa Teer Maar Diya, Unhe Bhook Pyaas Lagti Nahin, Haan ! Agar Tune Hamare
Beech Hamari Hi Jinss Ke Insaan Ko Nabi
Banaakar Bhejta Aur Wo Hamare Darmiyaan Rahkar Ye Saare Kaarnaame Karta, Agar
Fir Ham Aisa Amal Na Karke Aate Toh Hamari Ghalti Thi”
Batao Naadano!! Tumne
Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noori Kah Kar Nabi E Kareem
Ki Tauheen Toh Ki Hi, Allah Ki Hikmaton Ko Bhi Challenge Kar Daala Jiski Hikmat
Aur Tadbeer Sab Se Aala Wa Afzal Hai
DALEEL NO.2
“Maseeh Maryam Ka
Beta Toh Sirf Ek Paighambar Hi Toh Hai, Aur Isse Pahle Bhi Kai Paighambar
Ghuzar Chuke Hain Aur Uski Maa Ek Siddeqa (Sacchi) Thi, Dono Khana Khate They”
(Surah Maida Ayat No
75)
Wah Khana Khaate They
Isliye Wah Allah Tala Ke Juzz (Tukde) Nahin They, Allah Tala Chaahta Toh
Kaaynaat Ki Badi Si Badi Misaal De Sakta Tha Lekin Allah Tala Ne Bashariyat Ke
Liye Sirf Khana Khane Ki Misaal Dekar Allah Aur Bande Ka Farq Waazeh Kiya Aur
Isme Itni Hikmat Posheeda Hai Ki Aqal Wala Sajde Me Gir Jaaye, Jo Khane Ka
Mohtaaj Ho Wo Allah Tala Ka
Tukda Kaise Ho Sakta Hai,
DALEEL NO. 3
“Hamne Apse Pahle
Jitney Rasool Bheje Sab Khana Bhi Khate They”
(Surah Furqan Ayat
No.20)
To Be Continued
#Irfanali
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks