Saturday, January 9, 2016

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 14)









Bismillahirahmanirraheem


ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 14)



16 AYATEIN AUR USKA JAWAB:



DALEEL  NO .10


Molwi Sahab Ki Agli Daleel

“Aur Koi Daana Nahin Girta Zameen Ki Andheri Me Magar Roshan Kitab Me Darj Hai”

(Surah An Anaam Ayat No.59)


DALEEL NO,12


Molwi Sahab Ki Agli Daleel

“Hamne Is Kitaab Me Kuch Utha Na Rakha”

(Surah Anaam Ayat No. 114)

DALEEL NO. 13

Molwi Sahab Ki Agli Daleel

“Aur Har Cheez Hamne Gin Rakhi Hai, Ek Bataane Waali Kitaab Me”

(Surah Yaseen Ayat No 12)

DALEEL NO. 14

Molwi Sahab Ki Agli Daleel

“Aur Har Chhoti Aur Badi Cheez Likhi Hui Hai”

(Surah Qamar Ayat No 53)

DALEEL NO. 15

Molwi Sahab Ki Agli Daleel

“ Aur Jitney Ghaib Hain Aasmaano Aur Zameeno Me, Sab Ek Bataane Waali Kitab Me Darj Hain”

(Surah Namal Ayat No 75)

Daleel No. 11,12,13,1,15 Ke Liye Maolwi Sahab Ka Kahna Hai Ke Is Kitaab Se Muraad Quraan Hai Jisme Har Cheez Ka Bayan Hai Choti Se Choti Ho Ya Badi Se Badi, Lihaaza Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Kp Quraan Sikhaaya Gaya Toh Aap Hi Aap Ye Sab Ka Bhi Ilm Ho Gaya.

JAWAB:

Sabse Pahli Baat Ye Ke Quraan Seekhne Se Nabi Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Ghaib Ka Ilm Nahin Seekh Liya Na Toh Qayamat Ka Ilm Na Hi Marne- Jeene Ka Ilm Na Hi Zameen Ka Haal Na Hi Jaadu Ka Ilm Wagerah Wagerah, Dusri Baati Ye Ke Ye  Saari Baatein Loh E Mahfooz Ke Mutaallik Hain Kisi Bhi Muhaddis, Muhaqqiq, Aimma Kiraam Ya Tabai Yahan Tak Ke Sahaba Ne Kisi Ne Bhi In Aayaton Se Muraad Quraan Ko Nahin Liya Jaisa Ke In Aayaton Me Likha Hai Ke Is Kitaab Me Allah Ne Kuch Bhi Uthaa Nahin Rakha Yani Har Cheez Ka Bayaan Is Kitab Me Likh Diya Hai, Kisi Par Koi Museebat Ka Aana Ya Kisi Ka Marna Jeena Ya Beemaar Hona Ya Sehat’mand Hona Ya Koi Daana Zameen Par Girna, Al’gharz Duniya Ya Aalam Me Jo Kuch Ho Gaya Ya Ho Raha Hai Ya Hone Waala Hai, Sab Kuch Choti Se Choti Ho Ya Badi Se Badi Ye Sab Loh E Mahfooz Me Darj Hain,

Agar Aap Isse Muraad Quraan Ko Le Rahen Hain Toh Saari Makhlooq Ke Bare Me Toh Chhodo Aap Sirf Apne Ki Bare Me Dikha Dijiye Ke Quraan Me Kahan Likha Hai Ki Aap Kab Paida Honge, Aap Naam Kya Hoga ?? Aapke Maa Baap Kaun Honge ? Kitni Taleem Haasil Karenge, Kitni Umar Paayenge, Kiske Saath Nikaa Hoga, Kitne Bacche Honge , Kis Zameen Par Marenge, Kahan Dafnaaya Jaayega, Kitna Daana Khaoge, Kitna Paani Piyoge ?? Yani Apne Mutaallik Chhoti Se Chhoti Aur Badi Se Badi Aap Saari Baateinquraan Me Dikha Dijiyhe Jaisa Ki Allah Ne Kaha Hai Ki

“Har Chhoti Se Chhoti Aur Badi Se Badi Cheezein Yahan Tak Ki Yahyan Tak Ki Zameen Par Girne Waala Daana Bhi Is Kitaab Me Darj Hai”

Hamen Malum Hai Aap Marte Mar Jaoge Magar Dikha Nahin Paoge Na Hi In Aayaton Se Muraad Quraan Ko Hi Saabit Kar Paoge, Ab Aaiyye Main Aapko Rasool Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farmaan Sunaata Hoon

“Allah Taala Ne Aasmaan Wa Zameen Ki Takhleeq Ke 50,000 Saal Pahle Saari Taqdeerein Likh Di Hain”

(Sahih Muslim Kitab Ul Qadr)

Ek Dusri Hadith Me Dekhen

“Hz Ubaada Bin Saamit (Ra) Se Marwi Hai Ke Nabi Ke Akram Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“Sabse Pahle Allah Ne Kalam Ko Paida Kiya Fir Farmaya, Likh Isne Kaha Kya Likhun, Farmaya Taqdeer Likh, Isne Allah Ke Bataane Se Qayamat Tak Ki Saari Cheezon Ke Bare Me Likha”

(Abu Dawood Hadith No 4700, Tirmizi Hadith No. 2155)

Ek Hadith Aur Sune

Hz Ali (Ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“Har Shakhs Ka Thikaana Iske Jannati Aur Jahannami Hone Ka Ya Nek Aur Bad Hone Ka Allah Ne Likh Rakha Hai”

(Bukhari, Muslim)

‘Ye Kitaab Yani Loh E Mahfooz Ke Mutaallik Quraan Me 3 Tarah Ki Maalumaat Milti Hai

1-      Ye Lohe Har Tarah Ki Darst’ras Se Mahfooz Hai
2-      Ye Kitab E Maqnoon Bhi Hai Yani Is Tarah Posheeda Kea As Paas K Muqarribeen Farishtey Bhi Nahin Dekh Sakte
3-      Ye Ummul Kitaab Hai Aur Allah Tala Ke Hi Paas Hai Aur Dusra Koi Iske Paas Nahin Pahuch Sakta

Allah Tala Ne Quraan Me Irshad Farmaya

“Ye Quraan Badi Shaan Waala Hai Jo Loh E Mahfooz Me Likha Hai”

(Surah Buirooj Ayat No. 21-22)

Malum Hua In Aayaton Se Muraad Loh E Mahfooz Hai Jisme Chhoti Aur Badi Saari Baatein Likhi Hui Hai Yahan Tak Ki Quraan Bhi Loh E Mahfooz Me Likha Hua Hai, Aur Ye Kitaab Ummul Kitaab Hai, Jo Sirf Allah Ke Paas Hai, Ise Aas Paas Ke Farishtey Bhi Nahin Chhoo Sakte Magar Allah Jise Ijaazat De, Aur Loh E Mahfooz Ka Ilm Kisi Ko Bhi Nahin Diya Gaya…

To Be Continued..

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Irfanali