Bismillahirrahmanirraheem
TAFSEER IBN ABBAS KITAB KI HAQEEQAT
1- Is Kitab Ke Baare Me Taqi Usmani Hanafi Likhte Hain
” Hamare Zamane Me Ek Kitab Jise Tanveer Ul Miqbaas Fi Tafseer Ibn Abbas Ke Naam Se Sha’i Hui Hai Jise Ajkal Umooman Tafseer Ibn Abbas Kaha Aur Samjha Jata Hai,Lekin Hazrat Ibn Abbas Rz Ki Taraf Iski Nisbat Drust Nahi Q Ki Ye Kitab Muhammad Bin Marwaan Al Sadi An Muhammad Bin Sayeb Al Kalbi An Abi Saaleh An Ibn Abbas Ki Sanad Se Marvi Hai Jise Muhaddiseen Ne Silsilat Ul Kazb ( Jhoot Ka Silsila ) Qarar Diya Hai Lehaza Ispar Aitmaad Nahi Kiyaa Ja Saktaa ”
[[ Uloom Ul Quraan Safa 458 ]]
Scan-1
2- Al Daktoor Muhammad Bin Hussain Al Zahabi Rh Farmaate Hain Ki Imam Shafayi Rh Ka Qaul Hai
قال سمعت الشافعي يقول لم يثبت عن ابن عباس في التقسير
Is Sanad ( Marwan An Kalbi An Abi Saaleh An Ibn Abbas Rz ) Se Ye Tafseer,Ibn Abbas Rz Ki Jaanib Sabit Nahii Haii
[[ Al Tafseer Wal Mufassiroon Jild 1 Baab 1 Safa 62 ]]
Scan-2
3- Imam Jalaluddin Suyuti Rh Likhte Hain Ki
وأوهى طرقه طريق الكلبي عن أبي صالح عن ابن عباس فان انضم الى ذلك رواية محمد بن مروان السدي الصغير فهى سلسلة الكذب.
Muhammad Bin Marwan Agar Is Sanad ( An Kalbi An Abi Saaaleh An Ibn Abbas ) Se Riwayat Kare To Ye Poori Sanad Silsilat Ul Kazb (Jhoot Ka Silsila ) Kehlaati Hai
[[ Al Itqaan Fi Uloom Al
Quran Jild 2 Safa 189 ]]
Scan-3
4- Imam Shaukani Rh Is Kitab Ke Baare Me Likhte Hain
و من جملة التفاسير التي لا يوثق بها : تفسير ابن عباس . فإنه مروي من طرق الكذابين كالكلبي, و السدي, و مقاتل . ذكر معنى ذلك : السيوطي . و قد سبقه إلىمعناه ابن تيمية
Ki Is Tafseer (Tafseer Ibn Abbas) Ke Raavi Al Kalbi,Al Sadi Aur Maqatil Jhoote Raaviyaan Hain Aur Imam Suyuti Rh Aur Imam Ibn Taimiyah Rh Se Bhi Yahi Baat Ma’roof Hai
[[ Al Fawaid Al Majmooa Fi Ahadees Al Mauzooa Safa 316 ]]
Scan-4
5- Imam Abu Haatim Al Raazi Rh Likhte Hain
حدثنا عبد الرحمن نا عمر بن شبة نا أبو عاصم النبيل قال زعم لي سفيان الثوري قال قال لنا الكلبي: ما حدثت عني عن أبي صالح عن ابن عباس فهو كذب فلا تروه
Ki Sufiyaan Soori Rh Ne Kaha Ki Mujhse Muhammad Bin Saaib Al Kalbi Ne Kaha Ki Agar Mai An Abi Saaleh An Ibn Abbas Rz Se Riwayat Karu To Hadees Nahi Li Jayegi Ki Ye Sanad Jhoooti Hai
[[ Kitab Al Jarah Wa Tadeel Jild 1 Safa 73 ]]
Scan-5
6- Is Kitab Ka Raavi Muhammad Bin Saa’ib Al Kabi Khud Tasleem Karta Tha Ki Jo Ku6 Mujhse Ibn Abbas Rz Ki Jaanib Bayan Kiya Jaaye Wo Sb Jhoot Hai
Chunancha Sufiyaan Soori Rh Ne Kaha Ki Mujhse Muhammad Bin Saaib Al Kalbi Ne Kaha Ki Agar Mai An Abi Saaleh An Ibn Abbas Rz Se Riwayat Karu To Hadees Nahi Li Jayegi Ki Ye Sanad Jhoooti Hai
[[ Al Jarah Wa Tadeel Jild 7 Safa 271 ]]
Scan-6
7- Is Kitab Ke Raavi Muhammad Bin Saaib Al Kalbi Ke Baare Me Imam Abu Haatim Al Raazi Rh Likhte Hain
نا عبد الرحمن نا عمر بن شبة النميري البصري بسامراء حدثني أبو بكر بن خلاد نا معتمر عن ابيه قال كان بالكوفة كذا بان احدهما الكلبى،
Ki Imam Suleman Al Taymi Rh Ne Kaha Ki Kooofa Me Do Kazzaaab The Unme Se Ek Kalbi Hai
[[ Al Jarah Wa Tadeel Jild 7 Safa 270 ]]
Scan-7
8- Is Kitab Ke Raavi Muhammad Bin Saaib Al Kalbi Ke Baare Me Imam Abu Hatim Al Raazi Rh Likhte Hain
نا عبد الرحمن قال سألت ابى عن محمد بن السائب الكلبى فقال الناس مجتمعون على ترك حديثه لا يشتغل به هو ذاهب الحديث
Ki Iski Hadees Ke Matrook Hone Par Logo Ka Ijmaa Haii Iske Saath Waqt Zaaya Na Kiyaa Jaaye Hadeees Me Zaaya Na Kiyaa Jaaye Hadeees Me Gaya Guzra Hai
[[ Al Jarah Wa Tadeel Jild 7 Safa 271 ]]
Scan-8
9- Imam Bukhari Rh Farmate Hain
اللہ مُحَمَّد بن مَرْوَان الْكُوفِي صَاحب الْكَلْبِيّ سكتوا عَنهُ لَا يكْتب حَدِيثه أَلْبَتَّة
Ki Iski Hadees Bilkul Na Likhi Jaaye
[[ Zuafa Al Sageer Safa 105 ]]
10- Imam Yahya Ibn Ma’een Rh Farmate Hain
السدىالصغير صاحب الكلبى اسمه محمد بن مروان مولى الخطابيين وليس بثقة
Ki Ye Siqaa Nahi Hai
[[ Al Jarah Wa Tadeel Jild 8 Safa 86 ]]
11- Imam Abu Hatim Al Raazi Rh Farmate Hain
نا عبد الرحمن سمعت أبي يقول: هو ذاهب الحديث متروك الحديث لا يكتب حديثه البتة
Ki Hadees Me Bilkul Gaya Guzra Matrook Ul Hadees,Iski Hadees Bilkul Na Likhi Jaaye
[[ Al Jarah Wa Tadeel Jild 8 Safa 86 ]]
12- Imam Nisayi Rh Farmate Hain
مُحَمَّد بن مَرْوَان الْكُوفِي يروي عَن الْكَلْبِيّ مَتْرُوك الحَدِيث،
Ki Wo Kalbi Se Riwayat Karta Hai Hadees Me Matrook Hai
[[ Al Zuafa Wal Matrukeen Jild 1 Safa 93 Raqam 538 ]]
13- Imam Haithmi Rh Farmate Hain
مُحَمَّدُ بْنُ مَرْوَانَ السُّدِّيُّ، وَقَدْ أَجْمَعُوا عَلَى ضَعْفِهِ
Ki Iske Za’eef Hone Par Ijmaa Hai
[[ Majmu Al Zawaid Jild 1 Safa 314 ]]
14- Imam Ibn Hajar Asqalani Rh Farmate Hain
محمد ابن مروان ابن عبد الله ابن إسماعيل السدي بضم المهملة والتشديد وهو الأصغر كوفي متهم بالكذب من الثامنة تمييز
Ki Mutham Bil Kazb
[[ Taqrib Ut Tahzeeb Jild 1 Safa 506 Raqam 6284 ]]
15- Imam Ibn Adee Rh Farmate Hain
الضعف على روايته بين
Ki Jhoot Iski Riwayat Par Bilkul Zaahir Hai
[[ Mizan Ul Aitedal Jild 4 Safa 33 Raqam 8154 ]]
16- Imam Ibn Hibban Rh Farmate Hain
مُحَمَّد بن مَرْوَان السّديّ من أهل الْكُوفَة يروي عَن الْكَلْبِيّ وَدَاوُد بن أبي هِنْد روى عَنهُ الْعِرَاقِيُّونَ كَانَ مِمَّن يروي الموضوعات عَن الْأَثْبَات لَا يحل كِتَابَة حَدِيثه إِلَّا عَلَى جِهَة الِاعْتِبَار وَلَا الِاحْتِجَاج بِهِ بِحَال من الْأَحْوَال
Ki Ye Siqaa Raawiyon Se Jhooti Riwayaten Bayan Karta Tha,Parakh Ke Begair Iski Riwayat Likhna Halal Nahi Aur Kisi Bhi Haal Me Isse Hujjat Pakadna Jayez Nahi
[[ Al Majruheen Jild 2 Safa 286 ]]
#AamirAdnan
#IslamicLeaks