Tuesday, April 10, 2018

SHADI KE BAAD SHAUHAR KA NAAM APNE NAAM KE SATH LAGANA HARAAM HAI





Bismillahirrahmanirrahem


SHADI KE BAAD SHAUHAR KA NAAM APNE NAAM KE SATH LAGANA HARAAM HAI

Jo Auratein Apni Shadi Ke Baad Apne Walid Ka Naam Hatakar Apne Shauhar Ka Naam Apne Naam
Ke Aage Lagati Hai Wo Haram Hai.
Misaal K Taur Pe, Shaadi Se Pehley Unka Naam "Fatima Maqsood Ali" Tha Aur Shaadi Hui Sajid Siddiqui Se, Ab Naam Badal Kr "Fatima Sajid Siddiqui" Ya Sirf "Fatima Sajid" Kar Liya. Ye Haraam Hai.

Iski Ijazat Nahi Hai Ki Koi Apney Baap (Walid) Ka Naam Hata Kar Apney Shauhar Ka Naam Ya Apney Shauhar K Khaandaan Ka Naam Apney Naam Ke Agey Lagaye, Ye Kuffar Ka Tareeqa Hai Hame Isko Apnane Se Bachna Chahiye.

AHADEES


Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:

 "Jisney Apney Naam Ko Apney Walid K Naam K Alawa, Apney Naam Me Kisi Dusre Ka Naam (Jo Uska Baap Nahi) Joda Us Par Allah Ki Aur Farishton Ki Lanat Hai "

(Ibn Maajah, 2599�)

Abu Dharr (Radiallahu Anhu) Ne Suna Ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya :

“ Kisi Admi Ne Apne Walid K Siwa Apni Shinakht Kisi Aur K Saath Milaee Usne Kufr Kiya.
Jisney Us Shaks Se Apney Ko Joda Jo Uska Baap Nahi Wo Apna Thikana Jahannam Me Bana Le.”

(Bukhari 3508 And Muslim 61)

 Sad Ibn Abi Waqqaas Aur Abu Bakar (Radiallahu Anhuma) Ne Kaha Ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:

“Jo Ye Kehta Hai Ki Wo Musalman Hai Aur Wo Kisi K Saath Khud Ko Jodta (Attach) Hai Jo Uska Baap
Nahi, Ye Jaan Kar Ki Wo Uska Haqiqi Baap Nahi, Jannat Uske Liye Haraam Hai.”

[Bukhaari 4072 And Muslim 63]

Issey Zada Or Kya Warning Ho Sakti Hai..

Ye Kuffar Ka Tareeqa Tha Or Aaj Hamari Behne Bade Shauq Se Isko Apnati Hain, Yaad Rahey Baap
Ka Rishta Kisi Bhi Nae Rishtey K Aney K Baad Khatam Nahi Hota Aur Aulad Ki Shinakht Aur Pehchan Uske Walid K Naam Se Hi Hogi, Aur Apne Shauhar Ka Naam Apne Naam K Saath Lagana Ye
Kufr Aur Haraam Ka Bais Hai.

Shauhar Aur Biwi Ka Khoon Ka Rishta Nahi Hota Aur Naam Sirf Khoon K Rishtey Se Hi Joda Ja Sakta
Hai. Agar Kisi Wajah Se Uska Talaq Hoga To Us Surat Me Wo Kitney Naamo Ko Change Kareygi
Agar Shauhar Ka Naam Lagana Sahi Hota To Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam
Ki
Biwiyon Ne Bhi Apna Naam Badla Hota Kyunki Unke Shauhar To Duniya K Afzal Tareen Shaks The.

Maslan(Example)

Khadeeja (Radiallahu Anha) Hamesha Khadeeja Bin Khuwalid Rahin ,
Aysha (Radiallahu Anha) Hamesha Ta-Umr Aysha Bint Abu Baker Rahin.
Yahan Tak Ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam
Ki Wo Biwiyan Jinke Baap Kafir They,
Aapney Unke Naam Ka Laqab Bhi Kabhi Tabdeel Nahi Kiya.

Jaise:

Saffiya Bint Huyayy (Radiallahu Anha) ( Huyayy Yahoodi Tha Or Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Jani Dusman Bhi Tha)

Jannat Mey Aurton Ki Sardar Fatima (Radiallahu Anha) Hamesha Fatima Bint Muhammad Rahin
Unhoney Ali (Radiallahu Anhu) K Naam Ke Sath Apne Naam Ko Kabhi Nahi Joda.

Jis Behan Ne Galti Se Aisa Kiya Hai Wo Allah Se Sacchi Tauba Karey Aur Apne Walid Ka Naam
Wapas Apne Naam Se Jodley. Hame Apney Amaalon Ka Hisab Allah Ko Dena Hai Aur Ye Sarsar
Allah Aur Uske Rasool Ki Nafarmani Hai.

Allah Hame Samjhney Aur Is Par Amal Krney Ki

Taufeeq Dey. AAMEEN YA ALLAH !!!!