Bismillahirrahmanirraheem
Har Ibteda Se Pehle Har Inteha Ke Baad, "ZAAT-E-NABI Buland Hai "ZAAT-E-KHUDA" Ke Baad, Dunya Main Ehtraam Ke Qabil Hain Jitne Log, Main Sabko Manta Hun, Magar ,"MUHAMMAD-MUSTAFA{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ke Baad..
Monday, July 8, 2013
AULAAD KI TAALEEM-- AULAAD KE HUQOOQ (PART-2)
.Bismillahirrahmanirraheem
AULAAD KI TAALEEM-- AULAAD KE HUQOOQ (PART-2)
Aulaad Ka Ek Haq Yah Hai Ki Waalidain Unhe Acchi Taaleem Dilaayen,
Aulaad Se Muhabbat Ka Jazba Toh Insaano Ke Saath Saath Haiwaanat Me Bhi Hai,
Gaaye, Bhains, Bakri Aur Jumla Haiwaan Bhi Apne Bachhon Ko Dhoodh Pilaate Hain, Unhe Muhabbat Se Choomte Hain, Unki Judaayi Mahsoos Karte Hain,
Unka Baccha Marr Jaaye Toh Gham Ki Shiddat Se Dhoodh DenA Band Kar Dete Hain,
Unke Bacche Jab Tak Chalne Firne Ke Qaabil Na Ho Jaayen, Unki Dekh Bhaal Me Lage Rahte Hain,
Yah Fitri Jazba Haiwaanaat Aur Insaano Me Mushtarak Hai,
Insaan Ashraful Makhlooqaat Aur Kaaynaat Me Allah Taala Na Naayab hai, Use Bahut Se Faraiz Saunpe Gaye Hain, Unme Aulaad Ki Taaleem Wa Tarbiyat Bhi Shamil Hai,
Hafiz Ibne Qayyim (rh) Ne Baaz Ahle Ilm Se Naqal Kiya Hai Ki
Allah Rabbul Izzat Qayamat Ke Din Aulaad Se Waalidain Ke Mutallik Sawal Karne Se Pahle Waalidain Se Aulaad Ke Mutalliq Sawaal Karega.
Kyonki Jis Tarah Waalidain Ka Aulaad Par Haq Hai Usi Tarah Aulaad Ka Waalidain Par Haq Hai
Hafiz Ibne Qayyin (rh) Mazeed farmate Hain
" Jisne Apni Aulaad Ki Acchi Tarbiyat Karne Me Kotaahi Ki Aur Usko Nazar'andaaz Kar Diya toH Usne Bahut Badi Ghalti Ki.
Kyonki Aulaad Me Aksar Fasaad, Waalidain Ki Taraf Se Hi AatA Hai Aur Agar Unhone Be'parwaahi Se Kaam Liya Aur Deen Ke Faraiz Sunan Ki Taaleem Na Di Toh Aisi Aulaad Na Toh Apne Aapko Fayeda De Sakegi Aur Na Apne Waalidain Ke Liye Khair Ka Zariya Saabit Hogi,
Ek Baap Ne Apne Bete Ko Uski Bad'sulooki Par Daanta Toh Usne Kaha--
Abba Jaan ! Aapne Bachpan Me Haqqe Khidmat Ada Ni Kiya Toh Maine Bade Hokar Aap ki Na'farmani Ki Hai, Aapne Mujhe Bachpan Me Zaaya Kiya Toh Main Aap Ko Budhaape Me Zaaya Kar Raha Hoon "
(Tohfatul Maudood 193)
Sayyidina Hz Anas Bin Malik (ra) Se Riwayat Hai Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya
" Ilm Haasil Karna Har Musalman Par Farz Hai"
(Sunan Ibn Maajah 224)
Waalidain Par Farz Hai Ki Wah Khud Bhi Ilm Haasil Karen Aur Apni Aulaad Ko Bhi Ilm Ki Daulat Se Maalamaal Karen,
Maa Ki Goad (Lap) Bacche Ke Liye Pahli Aur BahtareeN Dars'gaah Hai, Haqeeqat Me Insaan Ki Seerat Maa Ki Goad Me Banti Aur Sawarti Hai, Bacche Ka Sabse Zyada Raabta Maa Ke Saath Hota Hai Aur Baccha Maa Aur Uske Mahaul Ka Asar Qubool Karta Hai,
LihaazA Waalidah Hi Bacche Ko Ibtedaayi Taaleem De Taaki Use Deen e Fitrat Yaani Islam Ki Khoobiyon Ka Ilm Ho Aur Uski Zindagi Islam Ke Saanche Me Dhhal Sake,
Uske Elaawa Bacche Ko Scienci Taaleem ki targheeb Bhi Di Jaaye, Kyonki Scienci Uloom Ko Haasil Karne Se Insaan Kaar'khaane Kudrat Me Uske Kawaaneen Se Aagaah Hoga Aur Allah Ke Ahkaam Ke Mutaabik Kaaynnaat Ki Taskheer Ka Fareeza Anjaam De Sakega Aur Is Tarah Haqeeqe Maano Me Zameen Me Khaleefa Hone Ka Khud Ko Haqdaar Thahra Sakega..
Aulaad Ka Aham Haq Hai Akhlaaq Ki Tarbiyat.
Islam Me Sirf Zaati Nijaat Kaafi Ni hai, Islam Ye Zimmedari Har Shakhs ke Supurd Karta Hai Ki Wah Dusron Ke Nijaat Ka Bhi Bando'bast Kare,
Khaandaan Ke Sar'barah Ka Yah Farz Hai Ki Wah Ahlo Ayaal Ki Aisi Tarbiyat Kare Ki Waah Allah Ki Azmat Ke Qaayel Hon, Allah Ke Ahkaam Ko Maane Aur Aakhirat Ki Fiqr Karen,
Dunyawi Khush'hali Ke Elaawa Abdi Zindagi Me Sur'khuru Ka Khyaal Karen, Jaisa Ki Allah Taala Ka Farmaan Hai,
" Aiy Imaan Walon ! Tum Apne Aapko Aur apne Ahl O ayal Ko Us Aag Se Bachaao Jiska Eeindhan (fuel) Insaan Aur Patthar Hain"
(surah Tahreem 6)
Nabi e Akram Sallalo Alaihi Wasallam Ne Farmaya
" Baccha Jab 7 Saal Ka Ho Jaaye Toh Use Namaz Padhne Ka Huqm Do Aur Jab 10 saal Ka Ho Jaaye Aur Namaz Na Padhe Toh Use Maar Kar Namaz Padhao Aur Unhe Alag Alag Sulaaya Karo"
(Sunan Abu dawood 495)
Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Is Irshad Ke Pesh e Nazar Waalidain Ko Chahiye Ki Wah Apne Bacchon Ko 7 Saal Ki Umar Tak Namaz Aur Akhlaaq Ke Buniyaadi Usool Sikha Den,
Aam Tayr Par Waalidain Ki Tarbiyat Ka Asar Inki Aulaad Me Zaroor Hota Hai,
Misaal Ke Taur Par Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Saahab'zaadi Sayyida Hz Fatima (ra) Ki Shakhsiyat Se Andaaza Lagaya Ja Sakta Hai Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi wasallam Ne Inki Kis Qadr Be'misaal Tarbiyat Ki Thi,
Hz Fatima (ra) Sab Aurton Se Badhkar Daana Thin, Aapke Baat Karne Ka Andaz, Husn e Akhlaaq, Waqaar Aur Mataanat Me Nabi e Akram Sallalaho Alaihi wasallam Ka Aks Jhalakta Tha,
Isi Tarah Sayyidina Hz Ali, Hz Hussain Hz Hasan (ra) Bhi Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Tarbiyat Yaafta They, Unki Zindagiyan Islami Akhlaaq Ki Aaala Namoona thi,
Imaam Ke Baad Dusra Darja Amal e Suwaleh Ka Hai, Quraan Kareem Me Kai Maqamaat Par Yah Alfaaz Aaye Hain
" Beshaq Wah Log Imaan Laaye Aur Unhone Nek Amal Kiye"
Maalun Hua Ki Sahih Islami zindagi Ki Gaadi Un 2 Pahiyon ke Be'ghair Ni Chal Sakti,
Lihaza Waalidain Ko Chahiye Ki Aulaad Me Amal E Swaleh Ka Jazaba Paida Karen Aur Uska Bahtareen Tareeqa yah Hai Ki Waalidain Khud Khuli Kitab Ki Tarah Rahen, Unka Zaahir Aur Baatin Ek Ho, Qaul Aur Fel Me Koi Tazaad Na Ho, Taaki Wah Aulaad Ke Liye Namoona Hon Aur Aulaad Khud Unhe Dekhkar Apni Islaah Karti Rahe,
Ab In sha allah Next Post Me Ham Bacchon Ke Wah Huqooq Tarteeb waar Bayan Karenge Jinka Ada Karna Maa Baap Ke Liye Zaroori Hai...
To BE Continued....

ROZE'DAAR KHWATEEN KE NAAM:
Bismillahirrahmanirraheem
ROZE'DAAR KHWATEEN KE NAAM:
Islami
Bahno ! Ramzan Apni Nawazishon Aur Rahmaton Aur Barkaton Ke Saath Ham
Par Saaya Fighan Hone Waala Hai, Is Azeem Maheena Ki Khair O Barqat Ke
Liye Tamam Musalman Mard Aur Aurat Ko Mubarak
Bad Deta Hoon Aur Saath Hi Saath Rabbul Aalameen Se Dua go Hoon Ke Is
Mah Mubarak Ki Barkaton Me Hamen Shaamil Hone Ki Sa'aadat Naseeb
Farmaaye
(Aameen)
Khaaliq E Kaaynaat Ne Bani E Nu E Insan Ko Maah E Ramzaan Ki Shakl Me Azeem Tareen Tohfa Ata Farmaya Hai Taake Uski Barkaton Ke Phuwware Se Gunaahgaar Insaan Apne Daaghdaar Daaman Ko Dhul Le..
Islami Bahno ! Is Maah E Muqaddas Ki Aamad Par Kuch Mufeed Wa Sood'mand Paigham Pesh Khidmat Hain Taake ilm E Hidayat Wa Shaoor Ki Roshni Me Ramzaan Ul Mubarak Ki Barkatein Sameti Ha Saken..
1- Is Maah Mubarak Ke Ek ek Lamha Keenti Samjhkar Iski Poori Qadr Karen Aur Apna Keemti Waqt Yun hi Zaaye Na Karen..
Allah Taala Ka Irshad Girami Hai
" Jis Baat Ki Khair Ki Na Ho Uske Peeche Na Pado , Kyonke Kaan ,Aankh, aur Dil Hain In mese Har Ek Se Pooch Gachh Hone Waali Hai "
(Surah Bani Israel 36)
Isliye Is Ba'barkat Maheene Ko Ghaneemat Jaankar Koi Lamha Barbaad Ni Karna Chahiye, Subah Wa Sham Zikr O azkaar Me Lage Rahna Chahiye
Allah Taala Ka Farman hai
" Zikr Karne Waale Mard Aur Zikr Karne Waaliyan un ( Sabke Liye) Allah Taala Ne Wasie Maghfirat Aur Bada Sawaab Taiyyar Kar Rakha Hai"
( Surah Ahzab 35)
Is Maheene Me Quran Ki Tilawat, Waaz Aur Taqreeri Cassette Sama'at Farmati Rahen.
Ghair Mufeed aur Ghair Zaroori Rasail Padhne Ki Bajaaye Islami Wa deeni Rasail Padhen,
Apna Waqt Fahash Aur Munkiraat wa Baqwaas Me Zaaya Na Karen.
Television Par Serial Aur Filmen Dekhne Se Parhez Karen,
2- Is Ba'barqat Maheene Me Husn Sulook Ka Muzaahira Karti Rahen, Roza Ka Poora Poora Ajr Paane ke Liye Is Maheene Me Khaas Taur Se Gheebat, Chugli, Fahash Kalaami Se Ijtenaab Karen, Apne Ahl Wa Bachhon Ke Liye Aap Kuch Uswa Wa Namoona Bane,
Sirf Khaane Peene Ko Chhod Dene Ka Naam Roza Ni Hai , Balke Behuda Harkaton Ko Tark Karna Zaroori Hai,
Aapse Koi Fahash Kalaami Par Utar Aaye Toh Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Is Qaul Ko Yaad Kar Lo,
" Roza Ki Haalat Me Tumse Agar Koi Gaali Galoch Kare Ya Qitaal Kare (Jihaalat Kare) Toh Tum Kah Do Ke Main Roza Hoon"
Ramzan Ul Mubarak Ke Fazail Me Ek Fazeelat Ye Bhi Hai Ke Is Muqaddas Maheene Me Allah Taala Apne Bandon Ki Duwaayen Sunta Aur Qubool Karta Hai,
Lihaaza Is Mubarak Maheene Me Nihaayat Aajizi Wa enksaari Se Duniya Wa Aakhirat Ki Falaah Ke Liye Dua Kare Aur Dua Ki Qabooliyat Ka Yaqeen Rakhen,
Dil Se Nikli Hui Duwaayen Qubuliyat Se Zaroor Nawazi Jayengi,
Apne Bete, Bhai, Bahno Par Bad'dua Karne Se Parhez Karen,
3- Meri Pyaari Bahno ! Waqt Allah Ki Nematon Mese Ek Nemat Hai, Is Waaste Besh Qeemat Lamha Ki Qadr Karen,
Ramzaan Ki Raaton Me Bazaar Jaane Se Ijtenaab Karen, Ramzan Ka Poora Maheena Khair O Barkat Ka Maheena Hai, Khususan Aakhiri Ashrah (aakhiri 10 Din) Badi Fazeelat Waale Hain..
Sahihain Me Ummul Momineen Hz Aisha (ra) Se Marwi Hai Ke
Jab Ramzan Ka Aakhiri Ashrah Aa Jaata Toh Aap Apni Kamar Kas Lete (Yani Biwion Se Alag Thalag Hokar Ibaadat Me Lag Jaate, Apni Raat Ko Zinda Rakhte They, Ibaadat Me Masroof Rahte) Aur Apni Biwion Ko Bhi Jagaate they.
Aakhiri Ashrah Allah Taala Ki Jaanib Se Ek Besh Qeemti Tohfa wa Inaam Hai, In Qeemti Raaton Ko Namaz. Tilaawat Quraan, Zikr wa Azkaar Waaz Wa Naseehat, Tauba Wa Istaghfar Me Ghuzaarein Aur Allah Ke Zikr Se Zinda Rakhen,
Kyunke Ye Raatein Ibaadaat Wa Itaa'at Mahnat Ki Raatein Hain, Beqaar Baith Kar Waqt Ghuzaari , Khel Kood,, Jaagne, Jashn Manaane, Bazaaron Wa Aam Jagahon Me Waqt Ko Zaaye Karne Ki Raatein Nahin Hain...
Koi Zaroori Nahin Ke Ye Qeemti Aur Anmol 10 Raatein Zindagi Me Dobara Hamen Milen,
Lihaaza Susti Wa Kaahili Chhod Kar Poore Ashrah Wa Aakhir Me Zyadah Se Zyadah Ehtemam Karen Aur Mauqa Ko Ghaneemat Samjh Kar Jitna Faayeda Uthaana Hai Utha len,
Zindagi Ka Kya Bharosa !!!!

ROZE'DAR KHWATEEN KE NAAM: (Last part)
Bismillahirrahmanirraheem
ROZE'DAR KHWATEEN KE NAAM: (Last part)
4- Islami Bahno ! Bazaar Jaane Aur Marketing Se Parhezz Karen, Aztaraari Soorat Me Agar Ghar Se Baaher Nikalna Ho Ya Bazaar Jaana Ho Toh Be Pardah Make Up , Scent Aur Khushboo Laga Kar Na Niklen,
Jo Ayyam Ghuzar Jaate Hain Wah Dobara Laut Kar Nahin Aate Hain Kya Maalum ye Sunehra Mauqa Zindagi Me Dobara Aaye Ya Na Aaye..
Lihaza Jo Kaam Mufeed Aur Sood'mand Na Ho Usme Apne Waqt Ko Zaaye Na Karen,
5- Meri Pyari Bahno ! Allah Taala Ki Taameel Zaroori Hai Toh Pardah Ye Allah Ka Huqm Hai,
Allah Taala Ke Farman Ki Taameel Karte Hue Ba'hijaab, Baalon Ko Dhal Kar Nikla Karen Taake Allah Ki Raza Wa Khushnoodi Haasil Karke Jannat Ka Parwaana Le Len..
6- Islami Bahno ! Ye Jaan Lo Ke Har Ek Ki Maut Ka Muqarrar Waqt Hai, Aur Ho Sakta Hai Ke Ye Ramzaan Aapki Zindagi Ka Aakhiri Ramzaan Ho, Kyonki Zindagi Allah Taala Ke Haath Me Hai,
Pata Ni Kab Ghaflat Ki Haalat Me Maut Aa Jaaye,
Ramzaan Ul Mubarak Ka Maheena Gunaahon Se Tauba Wa Istaghfar, Dua Ki Qubuliyat Wa Maghfirat Ka Maheena Hai,
Lihaza Is Pur'bahar Maheene Ko Apne Liye Ghaneemat Jaan Kar Zyadah Se Zyadah Tauba Wa Istaghfar Me Mashgool Rahen,
Maloom Nahin Aindah Is Pur'bahaar Mausam Ke Fuyooz Wa Barkaat Se Lutf Andoz Hone Ka Mauqa Mile Ya Na Mile..
7- Islami Bahno ! Maah E Ramzaan Ke Bahut Se Faayede Hain, Inme Se Ek Khaas Aur Aham Faayeda Ye Hai Ke Roza ek Tarah Ki Roohani Wa Akhlaaqi Training Wa Tarbiyat'gaah Hai,
Nez Roza Ek Tarah Se Refresh Course Ka Bhi Kaam Karta Hai,
11 Maheenon Me Jab Musalman Ki Quwwat Amali Me Kamzori Aa Jaati Hai Toh Allah Taala Apni Inaayaton Ka Maheena Naazil Farmata Hai,
Ramzan Ul Mubarak Ki Aamad Musalmano Ko Dobara Naye Josh Wa Kharosh Wa Nayi Taaqat Se Dobara Maidaan E Amal Me La Khada Karta Hai,
Toh Muslim Bahno! Aap Is Muqaddas Maheene Me Zaroorat Se Zyada Apna Waqt Ibaadaat Me Lagaaye, Aur Apna KeeMti Waqt Zaaye Na Karen,
Zikr Wa Azkaar, Tilawat Quraan Aur Dusri Nekiyan Khoob kiya Karen, Aur Faaltu Kaamo Se Parhez Karen..
7- Islami Bahno ! Ye Maheena Khair Khwaahi , Shafqat Wa Hamdardi Ka Maheena Hai, Waalidain Wa Rishtedaaron Ke Saath Husn Sulook Wa Nek Rawaiyya Akhtiyar Karo..
10- Apne Shauhar Ki Itaaat Wa Farma'bardari Karo, Unse Ladaai Jhagde se Ghurez Karo, Umoor khaana'daari Wa Gharelu Kaam Acche Taur Se Anjaam Deti Raho, kisi Kaam Me Kotaahi Wa Susti Na Barto, Aur Na Hi Adhura Chhodo, Kyunke Tun Ghar ki Zimmedar Nigran Wa Mallika ho..
11- Apni Aulaad Ki Tarbiyat Par Zyadah Se Zyadah Dhyan Do,
Aapki Thodi Si Tawajjah Aapke Jigar'goshon Ko Amaal E Sualeh Ka Aadi Bana Degi,
Bachpan Me Hi Unme Imaan E Tawheed Ki Rooh Phoonk Do,
Bachpan Hi Se Unki Ghutti Me Imaan E Risaalat Wa Aqeedah E Tawheed Aisa Racha Basa Do Ke Un Ke Baad Me Unke Imaan Me Laghzish Na Aane Paaye Aur Na Unke Kadam Kisi Tarah Dagmagaayen,
Aap Hargiz Un Aurton Me Se Na Bano Jo Sirf Apne Bacche Ke Khaane Peene Ka Ehtemam Karti Hain Aur Unhe Apni Aulaad Ke Akhlaaqi Wa Deeni Tarbiyat Ki Qatai Fikr Ni Hoti....
The End
( Maimoona Mahmood Idrees)

Apno Ki Laashon Ke Dheron Par Takht Sajaaya Jo Tumne
" Apno Ki Laashon Ke Dheron Par Takht Sajaaya Jo Tumne,
Aur Khoon Ke Bahte Dariya Me Ek Jashn Manaya Jo Tumne,
Wo Jashn Chalega Kitne Din, Is Takht Ki Muddat Kitni Hai ??
Ghairat Ki Qeemat Par Sun Lo, Jo Taj Khareeda Jaata Hai,
taarekh Ke Safen Poochte Hain, Us Taj Ki Muhlat Kitni Hai ??

Millat Ki Quba Tukde Tukde, Aur Laash Padi Beghairo Kafan,
Zakhmon Se Dilon Me Dard Utha, Us Dard Ki Shiddat Kitni Hai ??

Islam Ke Shaaho Batlaao, Jahan Muslim Betiyan Bikti Hain,
Jo Khud Tumhi Ne Tanwaaye, Un Neelaam'gharon Ki Qeemat Kitni Hai ??

Yah Raat Andheri Khaak Basar, Chasm- girya Zanzeer Bakaf,
Ye Pooch Rahen Hain Aabla Pa, Ab Aur musaafat Kitni hai ??

Yah Muslim Sab Hi Ghaazi Hain Aur Allah Raazi Hai Sabse,
Imaan Ki Haalat Kaisi Hai, Iman Ki Shohrat Kitni Hai ??

Jo Sar Ko jhukaaye Saf Aara, Marne Ko Hain Taiyyar Khade,
Koi Haath Pakadkar Qaatil Ka, Dekhen Toh Zurrat Kitni Hai ??

Main Gham Ke Sutoono Par Qaayem, Khusyion Ki Aarzi Deewarein,
Apne Anjaam Se Be'parwah, Ghaafil Ye Millat Kitni Hai ??

Kabul, Pelestine......Aur Chechen Se Barma Tak Ladte,
Chand Allah Walon Ki, Dahshat'gardon Ki Dahsahat Kitni Hai ???
Jab Haath Uthega Beti Par, Toh Kisse Poochne Jaoge ??
Uski Asmat Ko Bachaane Ki, Khud Mujhe Ijaazat Kitni Hai ??
Eema Ki Haraarat Se Khaali, Yah Daawe Kaam Na Aayenge,
Kuch Taul Ke Baazu Dekh Apne, Haathon Me Quwwat Kitni Hai "

Subscribe to:
Posts (Atom)