Bismillahirrahmanirraheem
LADKI SE NIKAAH KI IJAAZAT LENA:
Aqad
Nikaah Ke Liye Ek Taraf Wali Ki Ijaazat Shart Hai Toh Dusri Taraf
Baaligha Ladki Ki Raza'mandi Aur Ijaazat Ko Bhi Khaas Ahmiyat Haasil
Hai,
Wali (Baap , Wagerah) Ko Huqm Hai Ke Nikaah Se Pahle Ladki Ki Ijaazat Haasil Kare,
Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai
"Bewa
(widow) Aurat Se Sareehi Ijaazat Lekar Nikah Kiya Jaaye Aur Kunwaari
(Virgin) Aurat Ka Nikaah Bhi Uski Ijaazat Se Kiya Jaaye, Ijaazat Lene
Waala Aurat Ka Baap Hai Ya Jo Wali Ho,
Sahaba Ne Daryaaft Kiya:- Kunwari Ladki Sharm Ki Wajah Se Bol Ni Paayegi
Uski Ijaazat Ka Kya Tareeqa Hai ?
Aap Ne Farmaya:- Uski Ijaazat Khamoshi Hai"
(Sahih Bukhari, wa Muslim)
Ijaazat Ka Maqsad Ladki Ki Raza'mandi Maalum Karni Hai,
Ye Baat Nahin Ke Khaana'puri Ke Liye Rasmi Taur Par Ya Jabr Ya Dabaao Daal Kar Zabaan Se "Haan !" Kahlwa Liya Jaaye,
Usse Raza'mandi Aur Muhabbat Ki Buniyaad Par Rishta Qaayem Ni Hota,
Balke Ye Aisi Buniyaadi Kamzori Hai Jo Bure Nataij Aur Tarah Tarah Ke Rang Dikhaati Hai,
IJAAZAT LENE KA AAJKA TAREEQA:
musalmano Me Ijaazat Lene Ka Aajka Tareeqa, Shariat Ke Khilaaf Aur Ghair Mazhab Hai Isse Maqsad Bhi Haasil Ni Hota,
Hota
ye Hai Ke Aqad Nikah Ke Roz Jab Mahmaano Ko Khoob Hujoom (Bheed) Hota
Hai Aur WaleemA Ka Intezaam Mumkin Taur Par Amali Shakl Akhtiyaar Karta
Hai Toh Theek Nikah Ke Waqt
Ladki,
Mahmano Aur Apni Sahelion Ke Beech Majma Me Baithti Hai, Fir 3 Ajnabi
Mard, Ek Qazi Aur 2 Gawaah Us Majme Me Ladki Se Ijaazat Lene Jaate Hain,
Bhala Sochiye ! Kaun Aisi Be'haya Ladki Hogi Jo Aise Mahaul Me Apne Qaul Wa Fa'al Se Izhaar E Naraazgi Ki Jurraat Karegi,
Ladki Se Ijaazat Ke Liye Ajnabi Mardon Ko Bhejna Intehaayi Jihaalat Hai,
Shariat E Islaamiya Ne Aisi Ijaazat Lene Ka Haq Sirf Wali Ki Diya Hai,
Lekin Theek Nikaah Ke Waqt Ni Balke Jab Munaasib Paighaam Aaye To
Azaadaana Mahaul Me Ladki Ki Razamandi Maalum Kare Phir Aqad Nikaah Ke
Liye Qadam Uthaaye,
Agar
Sareehi Razamandi Malum Karne Ka Ittefaaq Na Ho saka Ho Lekin Dastoor
Ke Mutaabik Mard Ki Jaanib Se Bheje Hue Tohfe Qubool Karti Rahi Aur
Aqad Nikaah Ke Waqt Uski Diye Hue Kapde Aur Zewar Wagerah Ba'khushi
Pahne, Kisi Naraazgi Ka Izhaar Na Kare Toh Yaqeenan Ye Ijaazat Aur
Razamandi Ka Suboot Hai,
Ijaazat Ke Liye Gawaahon Ko Le Jaana Mahaz Ek Rasm Hai,
BA'BARQAT SHADI:
"Badi Ba'barqat Wala Hai Wah Nikaah Jo Mahnat Me Aasaan Ho"
(Bayheqi)
Yani Jo Shadi Kam Mahnat, Kam Kharch, Aur Kam Mahr Wagerah Waali, Saadah Aur Aasaan Tareeqa Par Ho Wah Badi Barkat Waali Hai,
Taareekh
Gawaah Hai Ke Islaam Me Jo Shadiyan Khajoor Aur Sattu Par Hue Wah Aisi
Ba'barkar Saabit Hui Ke Qaisar (Caesar) Wa Kisra (Choesru) Ke Khazaane
Haath Aaye Aur Nifs (Half) Sadi Me Nifs Dinaar Par Islami Shaan o
Shauqat Ka Parcham Lahraane Laga,
Afsos ! Ab Sunnat Nabawiyah Ke Mutaabik Saada Wah Aasaan Shadiyan Kahan Hoti Hain??
Maujooda Zamaane Me Mangni Ki Rasoomaat Wa Takleefaat Ka Ehtemam Hi Logon Ki Aadhi Qamar Todh Deta Hai,
Phir
Shadi Ke Waqt Dahej Me Qeemti Saamaan , Aur waaleema Me Qaum Wa
Barbaadi Ke Elaawah Hukkam, Officers Aur Leader Ki Pur Taqalluf Shaadar
Ziyaafat Jaisi Khuraafaat Aur Rasoomaat Ne Aawaam Wa Khwaas Hi Ko Nahin
Balke Mazboot Aur Maaldaar Hukumaton Ko Diwaaliyah Bana Diya hai,
Misaal
Aur Ibrat Ke Liye Shekh Mahmood IstanbulI Ne 3 Baadshahon Aur Ameeron
Ki Qeemti Shadiyon Ka Haal Aur Nateeja Bayan Kiya Hai
Ek Khaleefa Mamoon Ki Shadi, Dusri Khaleefa Motzid Ki Shadi,
Teesri Khaleefa Ismael Ke Aulaad Ki Shadiyan Hai,
In
Teenon Shadiyon Me Is Qadr Maal Wa Daulat Kharch Ki Gayi Ke Arabi
Duniya Ki Hukumatein Diwaaliyah Hokar Saleebi Jungon Aur Tatari Hamlon
La Luqma Ban Gayi,
Sheikh Mausoof ke Alfaaz Me Suniye
"
Jin Shadiyon Ke Mukhtasar Namoone Hamne Zikr Kiye Hain Unka Pash
-e-manzar Ye Hai Ke Dunya e Arab Me Hukumat Ke Bank Diwaaliyah Ho Gaye
Fauj Aur Lashkar Ke Intezaam Ke Liye Bhi Kuch Na Raha, Nateeja Ye Hua
Ke Qadeem Zamaane Me Saleebion Aur Tatarion Ne Dunya E Arab Par Hamle
aur Chadhaayi Kar Di Aur Naye Daur Me Ye Hua Ke Misr (Egypt) Me Angrez
Ghus Aaye Aur Apna Iqtedaar Jama Liya"
(Tohfatul Urus)
Bismillahirrahmanirraheem
BETI KO NASEEHAT EK BAHTAREEN DAHEJ (DOWRY)
Aajke Mu'aashre Me Dahej Ka Len Dein Itna Zyada Taraqqi Pazeer Hai Ke Har Maaldar Aur Na'maaldar Apni Ladki Ki Izzat Afzaayi Wa Na'moor Ke Liye Dahej Ke Maamle Me Apne Dhan (wealth) Wa Daulat Aur Quwwat Wa Mashaqqat Ki Baazi Laga Kar Ek Dusre Se Aage Badhne Ki Koshish Karta Hai,
Halaanke Isse Chand Rozah Shohrat Ke Azdawaazi Zindagi (Married Life) Me Koi Nafa Bakhs Nateeja Nahin Nikalta,
Azdawaji Zindagi Ke Liye Sabse Qeemti Tohfa Aur Nafa Bakhs Dahez Ye Hai Ke Waalidain Apni Chaheti Beti Ko Shadi Aur Rukhsati Ke Mauqe Par Uske Naye Ghar Aur Naye Mahaul Me Daakhil Hone Ke Aadaab ; Zindagi Ke Saathi Ke Saath Rahan Sahan Ke Tareeqe Aur Usko Khidmat Ghuzaar Biwi Ke Taraz Zindagi Se Mutaalliq Wasiyat Wa Nasihat Ki Nemat Se Nawaaze Yahi Nemat, Khushnaseeb Ladki Ke Naye Ghar Ko Chaman Aur Aindah Zindagi Ko Sada'bahar Banaane Ka Sabse Bada Sarmaaya Hai Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Tarbiyat Yaafta Sahaba Kiram Aur Unke Namoona Amal Par Chalne Waale Khushnaseebon Ne Apni Chaheti Betion Ko Shadi Ke Mauqe Par Jo Naseehatein Ki Hain Wah Aaj Bhi Taareekh Me Mahfooz Hain,
Hz Anas (Ra) Ka Bayan Hai Ke
Nabi E akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Sahaba Jab Kisi Aurat Ko Rukhsat Karte Hue Uske Khwaawind (Shauhar) Ke Paas Bhejte Toh Usko Huqm Dete Ke Apne Shauhar Ki Khidmat Kare Aur Uske Haq Ka Poora Khyaal Rakhe
Hz Umar (Ra) Ne Apni Beti Hz Hafsa Ko Nabi E Akram Sallalaho alaihi wasallam Ki Jauziyat Me Dene Ke Baad Naseehat Karte Hue Farmaya
" Beti ! Nabi E Akram Sallalaho Alaihi wasallam Se Zyaadah Saamaan Wagerah Ka Mutaalba Na Karo Aur Na Kisi Cheez Ke Baare Me Aap Se Takraar Karo Ya Bol Chaal Chhod Do,
Agar Tumhe Kisi Cheez Ki Zaroorat Pesh Aaye Toh Mujhse Maang Liya Karo,
Apni Saukan (Hz Aisha) Ki Rosh Apna kar Dhoka me Na Padhna, Kyonki Wah Tumse Zyada Khoobsoorat Aur Nabi E Akram Sallalaho alaihi wasallam Ke Nazdeek Ziyaadah Mahboob Hain"
(Bukhari)
Hz Abdullah Bin Jaafar (Ra) Ne Apni Beti Ko Is Trah Naseehat Ki Thi,
"Pyari Beti ! Saukanon Par Ghairat Karne Se Parhezz Karna Kyonki Ye Talaaq Ki Kunji Hai
Zyadah Ghussa Na karna Kyonki Ye Bughz Ka Sabab Hai,
Surma Zaroor Lagaaya Karna Isliye Ke Ye Sabse Umda Zeenat Hai,
Aur Bahtareen Khusboo Pani (Water) Hai"
Faraafsah Bin Ahwus Ne Jab Apni Beti Naylah Ki Shadi Hz Usman (Ra) Se Kiya Toh Rukhsati Ke Waqt Nasihat Karte Hue Kaha
"Pyari Beti ! Tum Aisi Aurton (Saukano) Ke Beech Me Ja Rahi Ho Jo Qabeela Quraish Se Hain ,UnKa Haal Ye Hai Ke Attar Wa Khusboo Par Tumse Kahin Zyadah Qaadir Hain, Lihaaza Tum Meri 2 Baton Ko Yaad Rakhna
Ek Ye Ki Surma Baraabar Lagaati Rahna,
Dusri Ye Ke Khushboo Ki Jagah Pani Ka Istemaal Itna Zyadah Karna Ke Tumhare Jism Maheq, Baarish Me Khoob Bheegi Hui Mushk Ki Boo Jaisi Ho Jaaye "
(Tohfatul Urus)
Khwaateen E Islam Me Ek Nek Bakht Khatoon Umm Ayaas Bint Auf Ghuzri Hain,
Unki Shadi, Kindah Ke Baadshah Umar Bin Hajar Se Hui Thi,
Jab Unki Rukhsati Ka Waqt Aaya Toh Unki Maa "Umama Bint Harith" Ne Unko Tanhaayi Me Le Jaakar Bahut Hi Jaame Waasiyat Kiya Ji Is Laayeq Hai Ke Tamam Khwaateen Islaam Isko Dastoor Hayat Banaayen,
Kahti Hai,
"Beti ! Agar Fazeelat Adab Ke Khyaal Se Wasiyat Karni Chhodi Ja Sakti Hai Toh Tumhaare Liye Bhi Isko Chhodna Munaasib Hai,
Lekin Yaad Rakho! Waasiyat Ghafil Ke Liye Tanbiyah Aur Aaqil Ke Liye Madad Hai,
Agar Koi Aurat, Shauhar Se Isliye Be'niyaaz Rahna Chahti Hai Ke Uske Waalidain Daulat'mand Aur Uske Mohtaaj Hain Toh Tum Auron Ki Ba'nisbat Zyaada Be'niyaaz Ho,
Lekin Qanoon Fitrat Hai Ke Aurtein Mardon ke Liye Paida Ki Gayi Hain Aur Mard Aurton Ke Liye
Beti! Tum ApnE Paidaishi Ghar Aur Manoos Fiza Se Nikal Kar Naye Ghar Me Apni Zindagi Ke Saathi Ke Paas Ja Rahi Ho Jisse Abhi Manoos Nahin Ho,
Kal Tumhare Liye Us Saathi Ki Position Ek Nigran Aur Baadshah Ki Hogi,
Tum Uski Laundi Rahna Toh Wah Tumhara Ghulam Bana Rahega,
Us Shareek E Hayat Ke Saath Zindagi Ghuzaarne Ke Liye 10 Khaslatein Yaad Kar Lo Ye Tumhaare Liye Khazaana Hain
1- Shauhar Ke Saath Enksaari Se Pesh Aana, Aur Uski Thodi Cheezon Ko Kaafi Samjhna
2- Uski Baat Sunkar Acchi Tarah Amal Karna,
3-4- Uski Aankh Aur Naak Ke Mauqa Wa Mahal Ka Khyaal Rakhna Yani Tum Me Koi Aisi Cheez Dekhe Jo Us Ko Kharaab Maalum Ho Aur Uski Naak Tum Se Sirf Wahi Boo Soonghe Jo Bahut Umdah Ho,
5-6- Uske Khaane Aur Sone Ke Waqt Ka Khyaal Rakhna, Kyonki Khaane Me Jahan Der Hogi , Bhookh Ki Aang Shole y Maarne Lagti Hai, Aur Neend Me Kami Ghaiz Wa Ghazab Ka Sabab Hoti Hai,
7-8- Uske Maal Ki Nigraani Aur Aal Wa Ayaal Ki Dekh Rekh Tumhari Zimmedari Hai, Maal Ke Maamle Me Asal Kaam Aamad Wa Kharch Ka Bahtar Meyaar Qayem Rakhna karna Hai, Aur Aal Wa Ayaal Ke Silsile Me Buniyaadi Cheez Ymdah Tadbeer Wa Intezaam Hai,
9-10- Tum Uski Nafarmani Na Karna aur Na Uske Raaz Ko Dusron Se Zaahir Karna, AGar Tum Uske Huqm Par Nahin Chalogi Toh Usko GhussE Se Bhadka dogi,
Aur Agar Uska Raaz Dusron Se Zaahir Karogi Toh Uske Be'wafa Ho Jaane Ka Darr Hai,
Ye Bhi Yaad Rakho ! Jab Wah Ghamgheen Ho Toh Uske Saamne Khush Hone Ya Wah Khush Ho toh Tum Ghamgheen Hone Se Parhez Karna "
(Tohfatul Urus)
Abul Aswad Ne Apni Beti Ko Nasihat Karte Hue Kaha
"Ghairat Wa Hasad Se Door Rahna Kyonke Ye Talaaq Ki Kunji Hai, Zeenat Ko Laazim Pakadna Aur Sabse Umdah Zeenat Surma Hai
Khusboo Bhi Zaroor Istemal Karna Aur Bahtareen Khusboo Acchi Tarah Muqammal Wuzu Karna Hai"
(To Be Continued)

Bismillahirrahmanirraheem
MURDE SUNTE HAIN (KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME)
Kitab Wa Sunnat Se Aalam E Barzakh Ke Baare Me Hamen Jo Haqeeqatein Malum Hoti Hain Wo Is Trah Hain
1- Murde Bolte Hain
Aap (Sws) Ka Irshad Mubarak Hai
Marne Ke Baad Nek Aadmi Ki Mayyit Apne Ahle Khana Se Mukhaatib Hokar Kahti Hai
" Mujhe Jaldi Le Chalo , Mujhe Jaldi Le Chalo"
Aur Bure Aadmi Ki Mayyit
" Haay Afsos Mujhe Kahan Liye Ja Rahe Ho"
(Sahih Bukhari)
Is Hadith Se Marne Ke Baad Mayyit Ka Bolna Saabit Hota Hai,
Munkar
Nakeer Ke Sawaalon Ke Jawab Me NeK Aadmi Allah Aur Uske Rasool Par Iman
Ki Gawahi Deta Hai Jabki Kaafir Aur Kapati Aadmi (Haay Afsos) Kahta Hai,
(Bukhari, abu dawood)
In
Hadithon Se Jahan Yah Baat Saabit Hoti Hai Ki Murde Bolte Hain Wahan
Yah Baat Bhi Saabit Hoti Hai Ki Bolne Ki Is Khaasiyat me Kisi Ki
Buzurgi Ya Wilaayat Ka Koi Dakhal Nahin, Murda Chaahe Momin Ho Ya
Kaafir, Nek Ho Ya Gunaahgaar, Sab Hi Bolte Hain,
2- Murde Sunte Hain
Nabi E Akram (sws) Ka Irshad E Mubarak Hai
"Jab
(Momin Ya Kafir) Banda Apni Qabr Me Dafan Kiya Jaata Hai Toh Wah Waapas
Palatne Waale Apne Saathiyon KE Jooton Ki Aawaaz Sunta Hai"
(Muslim)
Qabr Me Munkar Naqeer Ka Sawaal Mayyit Sunti Hai Aur Apne Apne Iman Ke Mutaabik Uska Jawab Bhi Deti Hai,
Jung E Badr Ke Baad nabi e Akram (sws) Ne Badr Me Marne Waalon Ko Mukhatib Karke Irshad Farmaya
"
Tumhare Saath Tumhare Rabb Ne Jo Waada Kiya Tha Kya Tumne Use Sach Pa
Liya ? Mere Rabb Ne Mere Saath Jo Waada Kiya Tha Maine Use Sach Pa Liya
"
Hz Umar (Ra) Ne Kaha
" Ya Rasoollullah ! Kya Ye Sunte Hain Ya Jawab Dete Hain? Halaanke Ye Toh Murdaar Ho Chuke Hai"
Aap (Sws) Ne Irshad Farmaya
"
us Zaat Ki Qasam ! Jiske Haath Me Meri Jaan Hai, Main Jo Kuch Unse Kah
Raha Hoon, Tum Unse Zyada Nahin Sunte, HaaN albatta Yah (Hamari Tarah)
Jawab Nahin de Sakte"
(Muslim)
In
Hadithon Se Bhi Yah Baat Saaf Hoti Hai Ki Murde Sunte Hain aur Yah Ki
Murde Ka Sunna Kisi Wilaayat Ya Buzurgi Ka Saboot Nahin Balke Har Murda
Chaahe Momin ho Ya Kaafir, Nek Ho Ya Bad, Sunta Hai,
3- Murde Dekhte Hain
Nabi E akram (Sws) Ka Irshad Hai
"
Qabr Me Munkar Nakeer Ke Sawalon Ke Jawab Me Kamyaab Hone Ke Baad Momin
Aadmi Ko Pahle Jahannum Dikhaayi Jaati Hai Phir Jannat Me Uska Thikaana
Dikhaaya Jaata Hai, Isi Tarah Kaafir Aadmi Ke Nakaam Hone Par Pahle Use
Jannat Dikhaayi Jaati Hai pHir Use Jahannum Aur Usme Use Uska Thikaana
Dikhaaya Jaata Hai"
(Ahmad, Abu dawood)
Isse Yah Baat saabit hai Ki Murda Chaahe Momin Ho ya Kaafir Dekhta Bhi Hai,
4- Murde Uth'te Aur Baith'te Hain
Aap (Sws) Ka Irshad Hai
" jab Munkar Nakeer Qabr Me Aate Hain Toh Mayyit Ko (Uthaakar) Bitha Dete Hain"
(Bukhari, Muslim , ahmad)
5- Murde Taqleef Aur Raahat Mahsoos Karte Hain
Aap (Sws) KA Irshad Hai
"Jab
Munkar Nakeer Kaafir Ko Uthaate Hain Toh Wah Bahut Hi Ghabraaya Hua Aur
Dara Hua Hota Hai, Jabki Momin Aadmi Bina Kisi Ghabraahat Aur Darr Ke
Uth'kar Baith Jaata Hai"
(Ahmad)
Aur Aap (sws) Ne Farmaya
"
Jahannum Me Apna Thikaana Dekhne Ke Baad Kaafir Aadmi Ki Hasrat Aur
Nadaamat Me Izaafa Hota Hai, Jabke Jannat Me Apni Qayaam'gaah Dekhne Ke
Baad Momin Aadmi Ki Khushi Aur Lazzat Me Izaafa Ho Jaati Hai"
(Tabrani, Ibn Habban, Hakim)
6- Murde Tamanna Aur Khyaal Zaahir Karte Hain
Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya
"Momin
Aadmi Ko Jab Qabr Me Jannat Dikhaayi Jaati Hai Toh Wah Arzi Karta Hai
Mujhe Zara Chhod Do Main Apne Ghar Waalon Ko Is Nek Anjaam Ki
Khush'khabri De Dun"
Dusri Hadith Me Hai
Momin Aadmi Arzi Karta Hai
"Aiy Mere Rabb! Qayamat Jald Qayam Farma"
Jabki Kaafir Aadmi Yah Arzi Karta Hai
"Aiy Mere Rabb! Qayamat Qayem Na Karna"
(Ahmad, abu Dawood)
In Hadith Se Murde Ka Tamanna Aur Arzi Karna Saabit Hota Hai
7- Murde Sote aur Jaagte Hain
Aap (Sws) Ka Irshad Hai
"Qabr Me Momin Mayyit Se Sawaal Jawab Ke Baad Kaha Jaata Hai"
" Dulhan Ki Tarah So Ja Jise Uske Ghar Waalon Me se Mahboob'tareen Hasti Ke Elaawa Koi Nahin Jagaata"
(Tirmizi)
Isse Murde Ka Sona aur Qayamat Ke Din Jaagna Saabit Hota Hai,
8- Murde Pahchaante Hain
Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya
"Qabr
Me Momin Aadmi Ke Paas Ek Khoobsoorat Chehre Waala aadmi Aata Hai,
Khoobsoorat Kapde Pahne Hue Bahtareen Khusboo Lagaaye Hue Aur Momin
Aadmi Ko Uske Anjaam Ki Khush'khabri Deta Hai
Momin Aadmi Poochta Hai- Tu Kaun Hai?
Tera Chehra Kitna Khoobsoorat Hai Tu Khair Wa Barkat Le ke Aaya Hai,
Wah aadmi Kahta Hai
Main Tere Acche Aamaal Hoon,
kaafir Aadmi Ke Paas Ek Bad'soorat, Gande Kapde Pahne Badboo Daar Aadmi Aata Hai Aur Kahta Hai
Tujhe Bure Anjaam Ki Khush'khabri Ho, Yah Wah Din Hai Jiska Tujhse Waada Kiya Gaya Tha,
Kaafir Kahta Hai
Tu Kaun Hai?
Tera Chehra Bada Bhadda Hai, Tu Buraayi Lekar Aaya Hai
Wah Aadmi Kahta Hai
Main tere Bure Aamal Hoon"
(Ahmad , Abu dawood)
In Hadith Se Murde Ka Pahchaanna Saabit Hota Hai
9- Murde Cheekhte Aur Chillaate Hain
Nabi (Sws) Ka Irshad Hai
"
Qabr Me Kaafir Par Andha Aur Bahra Farishta (Ya Farishte) Musallat Kar
Diye Jaate Hain Jo Use Lohe Ke Hathaude Se Maarte Aur Peet'te Hain Aur
Wah Buri Tarah Cheekhne chillaane Lagta Hai, Kaafir Ke Cheekhne Aur
Chillaane Ki Awaz Jinn Wa Insan Ke elaawa Har Jaandaar Makhlooq Sunti
Hai"
(Ahmad. Abu dawood)
Is Hadith Se MurdE Ka Cheekhna Aur Chillaana Bhi Saabit Hota Hai
10- Nek Murda Zinda Hain Aur Khaate Peete Hain
Allah Taala Ka Irshad Hai
"Aur Jo Allah Ki Raah Me Maare Gaye Unhe Murda Na Samjho, We (Barzakh me) Zinda Hain Aur Apne Rabb Ke Yahan Se Rizq Paate Hain "
(Aal E Imran 169)
To Be Continued.....
![]()

Bismillahirrahmanirraheem
MURDE SUNTE HAIN- (KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME) PART 2
kitab Wa sunnat Ki Daleelon Se Yah Baat Saaf Ho Rahi Hai ki Barzakh Ki Zindagi Ek Poori Zindagi Hai, Jisme Murda Khaata Peeta Bhi Hai, Sunta Bolta Bhi Hai, Dekhta Aur Pahchaanta Bhi Hai, Sochta Aur Samjhta Bhi Hai, Raahat Aur Khushi Bhi Mahsoos Karta Hai,
Murda Kaafir Ho Toh Hasrat Aur Nadaamat Mahsoos Karta Hai, Rota Peet'ta Aur Cheekhta Chillaata Bhi Hai,
Lekin Barzakh Me Murde Ka Sunna Duniya Ki Zindagi Ke Sunne Se Alag Hai,
Barzakh Me Murde Ka Bolna Duniya Ki Zindagi Ke Bolne Se Alag Hai,
Barzakh Me Murde Ka Dekhna Aur Pahchanna Duniya Ki Zindagi mrDekhne Aur Pahchaanne Se Alag Hai,
Barzakh Me Murde Ka Khaana Peena Duniya Ki Zindagi Me Khaane Peene Se Alag Hai,
Barzakh Me Murde Ka Sochna Samjhna Duniya Ki Zindagi Me Sochne Samjhne Se Alag Hai,
Barzakh Me Murde Ka Raahat Aur Khushi Mahsoos Karna Duniya Ki Zindagi Me Raahat Aur Khushi Mahsoos Karne Se Alag Hai,
Kaafir Murde Ka Barzakh Me Nadaamat Aur Hasrat Mahsoos Karna Duniya Ki Zindagi Me Hasrat Aur Nadaamat Mahsoos Karne Se Alag Hai,
Barzakh Me Murde Ka Rona Peetna Aur Cheekhna Chillaana Duniya Ki Zindagi Me Rone Peetne Aur Cheekhne Chillaane Se Alag Hai,
Jise Aaj Is Maddi Duniya Me Ham Samjh Nahin Sakte,
Haqeeqat Yah Hai Ki Jis Tarah Aalam E Arwaah Ki Kaifiyat Ka Idraaq Mushkil Hai Isi Tarah Is Maddi Duniya Me Rahte Hue Barzakh Ki Haalat Ko Samjhna Aur Uska Idraak Karna Hamaare Liye Mushkil Hai,
Quraan Majeed Is Haalat Ki Bade Saaf Lafzon Me Bayan Karta Hai,
Allah Taala Ka Irshad Hai
"Aur Jo Log Allah Ki Raah Me Maare Jaayen Unhe Murda Na Kaho Balke We (Barzakh Me) Zinda Hain Lekin Tumhe (Unki Zindagi Ka) Sha'oor Nahin"
(Surah Baqarah 154)
Allah Taala Ke Is Irshad Ke Ba'wajood Jin Logon Ko Is Baat Par Israar Hai Ki Wah Barzakhi Zindagi Ka Sha'oor Rakhte Hain Aur Jaante Hain Ki Murde Waisa Ki Sunte Hain Jaisa Duniya Ki Zindagi Me Sunte They,
Murde Waisa Hi Bolte Hain Jaisa Duniya Ki Zindagi Me Bolte They,
Waisa Hi Khaate Peete HainJaisa Duniya Ki Zindagi Me Khaate Peete They,
Unka Mauqaf Na Sirf Yah ki Aqalan Sahi Nahin Balke We Hazraat Quraan Majeed Ki Is Aayat Me " La Tash'ooroon" Ke Alfaaz Ka Khullam Khulla Inkaar Bhi Karte Hain,
Aakhir Me Ham Marne Ke Baad Ka Sunna Ka Aqeeda Rakhne Waalon Se Yah Poochna Chaahenge Ki
Barzakh Me Har Murde Ka (Chaahe Wah Musalman Ho Ya Kaafir, Nek Ho Ya Badd, Wali Ho Ya Ghair Wali) Sunna, Bolna, Dekhna, Pahchaanna, Momin Ho Toh Uska Raahat Aur Khushi Mahsoos Karna, Qayamat Qayam hOne Ki Dua Maangna Sab Kuch Saabit Hai,
Phir Aakhir Kya Wajah Hai Ki Sirf Auliya Ke Sunne Ko Hi Hamesha Bahes Me Laaya Jaata Hai, Ghair Auliya Ka Sunna Kabhi Zer e Bahes Nahin Laaya Jaata ???
Dusra Sawaal Yah Hai Ki Auliya e Kiram Ke Sirf "Sunne" Par Hi Bahes Kyon Ki Jaati Hai, Unka Bolna, Dekhna, Pahchaanna, Khushi Aur Raahat Mahsoos Karna, Khaana Peena Aur Dusre Kaamon Ko Zer e Bahes Nahin Laaya Jaata ??
Wajah Saaf Hai Ki Auliya Aur Nek Logon Ke Barzakh Me Sunne Ko Hi Buniyaad Banaakar Unke Mazaaron Par Haajiri Dene, Muraade Maangne, Haajat Talab Karne, Museebat Aur Mushkil Me Unhe Pukaarne aur Unse Gunaah Bakhswaane Ka Yaqeen Qayem Hota Hai Aur Phir Isi Aqeede Ki Buniyaad Par Logon Se Chadhaawe Aur Nazraane Wasool Kiye Jaate Hain,
Agar Logon Ko Yah Saaf Baat Bata Diya Jaaye Ki Murde Sirf Barzakh Me Sunte Hi Nahin Bolte Bhi Hain, Dekhte Bhi Hain, Pahchaante Bhi Hain, Khaate Peete Bhi Hain, Raahat Aur khushi Bhi Mahsoos Karte Hain Lekin Ye Sab Kuch Is Duniya Ki Zindagi Jaisa Nahin Balke Usse Bilkul Alag Hai, Toh Iska Nateeja Yahi Niklega Ki Deen e Khaankahi Ka Saara Karobaar Khatm Ho Jaayega
Mazaaron Ki Raunaqen Aur Mahfilein Veeraan Ho Jaayengi, Dargaahon Ke Bhaari Hukumati Wazaif, Grants, Aur Theke Khatm Ho Jayenge,
Sajjada'nasheen, Gaddi'nasheen, Makhdoom, Durwesh Aur Mujaawar Aam Insaano Ki Tarah Pet Paalne Ke Liye Mahnat Mazdoori Karne Par Majboor Ho Jaayenge Aur Yah Mashaqqat Aur Museebat Aakhir Kaun Mol Le....
Allah Taala Hamen Haq Baat Kahne Aur Sunne Ki Taufeeq Ata Farmaaye...... Aameen
The End
![]()

Bismillahirrahmanirraheem
SUNNAT KHULEFA-RASHEEDEEN (RA)
Nabi E Akram Muhammad Sallaho alaihi wasallam ne Farmaya
" Pas Tum Me Se Jo Ye (Ikhtelaaf) Paaye Toh Us Par (Laazim) Hai Ke Meri Sunnat Aur Mere Khulefa e Rasheedeen Ki Sunnat Ko Laazim Pakad Le Use Apne Daanton Ke Saath (Mazboot) Pakad Lo "
(Sunan Tirmizi 2/96 , Hadith 2676)
Is Hadith Ke Baare Me Imam Tirmizi Ne Farmaya
"Yaad Rahe Ke Sayyidena Hz Umar (Ra) Ka Khulefa E Rashid Hona Nas E Sahih Se Saabit Hai Aur Is Par Musalmano Ka Ijma Hai"
Ek DusrI Hadith Me Nabi E Akram Muhammad Sallalaho alaihi wasallam Ne Farmaya
"Mere Baad In Do Shakhson Abu bakr Aur Umar (Ra) Ki Iqteda (Ittaat) Karna"
(Sunan Tirmizi 2/207, Hadith 3662, Ibn Majah 97)
Is Hadith Ke Baare Me Imam Tirmizi Ne Farmaya
"Lihaaza Saabit Hua Ke Ye Farooqui Huqm Bhi Hadith Marfua Ke Huqm Me Hai, Jabke Marfu Hadith Bhi Iski Taeed Karti Hain, Aur Ek Bhi Sahih Marfu Hadith Iske Mukhaalif Nahin Hai
Daleel Ek
Sayyidena Saib Bin Yazeed (Ra) Se Riwayat Hai
" Ham (Sahaba) Hz Umar Bin Khattab (ra) Ke Zamaane Me 11 Rakat Padhte They"
(Sunan Saeed Bin Mansoor Ba'hawala Alhawi Al fatawa 1/349, Haashiya Athar Us Sunan page 250)
Is Riwayat Ke Tamam Raawi Jamhoor Ke Nazdeek Siqa Wa Saddaq Hain
Jalaluddeen Suyuti (911 hijri) Is Riwayat Ke Baare Me Likhte Hain
"Aur Ye (11 Rakat Wali Riwayat) Musannaf Sayeed Bin Mansoor Me Bahut Sahih Sanad Ke Saath Hai"
(Masaabeeh Fi Salaatul taraweeh Lil Suyuti Page 15, al hawi Fatawa 1/250)
Lihaza Saabit Ho Gaya Ke 11 Rakat Qayam Ramzaan (Taraweeh) Par Sahaba Kiram (Ra) Ka Ijma Hai
Daleel-2
Musannaf Ibn Abi Shyba (235 hijri) Me Hai Ke
"Beshaq Hz Umar (Ra) Ne Logon Ko Aur Abi (Bin Kaab) Aur Tamindari (Ra) Par Jama Kiya, Pas Dono 11 Rakat Padhate They"
(Musannaf Ibn Abi Shayba 2/392 hadith 7670)
Is Riwayat Ki Sanad Bilkul Sahih Hai Aur Iske Saare Raawi Bukhari Wa Muslim Ke Hain Aur Bala Ijma Siqa Hain....
![]()

Bismillahirrahmanirraheem
AHLE HDITH, AHLE HAQ HAIN
Muqallid Sahab Din Raat, Ahle Hadith Ko Ghair Muqallideen Kah Kar Khoob Mazaaq Udaaya Karte Aur Ahle Haq, Ahle Sunnat Wal jamaat se Khaarij Qaraar Dete Hain,
Jabke Iske Saraasar Bar'ashq Mufti Kifayatullah Dehlawi Deobandi (1952 E) Farmate Hain
"Haan ! Ahle Hadith Musalman Hain Aur Ahle Sunnat Wal Jamaat Me Daakhil Hain, Inse Shadi Bayaah Ka Maamla Karna Durust Hai, Mahaz Tarq e Taqleed Se Islam Me Koi Farq Ni Padhta Aur Na Ahle Sunnat Wal Jamaat Se Taarak E Taqleed Baaher Hota Hai"
(Kifayatul Mufti 1/325, Jawab No. 370)
1- Mufti Kifayatullah Sahab Mazeed Likhte Hain
"Ghair Muqallideen Ke Peeche Hanafi Namaz Jayez Hai"
(Kifayatul mufti 1/325 Jawab No 370)
2- Muqallidon Ke Mamdoo Aur Tafseer Haqqani Ke Maulaf Abdul Haq Dehlawi Sahab (1336 hijri) Likhte Hain
"Aue Ahle Sunnat, Shafai, Maliki, Hambali ; Hanfi, Aur Ahle Hadith Bhi Unhi Me Daakhil hain "
(Aqaid Islam Page 3)
Tanbiyah: Ye Kitab "Aqaid Ul Islam" Janaab Muhammad Qasim Nanotwi, Bani Firqa Deobandiyah Ki Pasand Farmoodah Hai.
Dekhiye Aqaid Islam pg 264
3- Deobandion Ke Mufti Rasheed Ahmad Ludhiyanwi Sahab, Maudoodi Sahab Ko Jawab Dete Hue Likhte Hain
"Taqreeban Dusri, Teesri Sadi Hijri Me Ahle Haq Me Furui Aur Juzzui Masail Ke Hal Karne Me Ikhtelaaf e Inzaar Ke Pesh e Nazar 5 Makaatib e Fikr Qayem Ho Gaye Yani Mazhab E Arba Aur Ahle Hadith, Us Zamaane Se Lekar Aaj Tak Unhi 5 Tareeqon Me Haq Ko Munhasar Samjha Jaata Hai"
(Ahsanul Fatawa 1/316)
4- Deobandiyon Ke Peer Inaayatullah Shah Gujraati Mamati Apne Qalam Se Mai Dastakhat Likhte Hain
un 4 Gawahon Se Malum Hua Ke Deobandion Ke Nazdeek Bhi Ahle Hadith ; Ahle sunnat Aur Ahle Haq Hain..... Alhamdulillah
Bismillahirrahmanirraheem
MUSLIM MULKON ME INTE'SHAAR KYON??:Islam Aman Wa Insaaniyat Ka Paigham Ban kar Aaya Aur Nabi e Akram Muhammad Sallalaho alaihi wasallam Ne Sirf Apne 23 Saala Daur E Nubuwwat Me Ek Aisi Mumlakat Banaayi Jiske Saaye Me Poora Jazeera Arab Insaaf Wa Insaaniyat Ka Aisa Maskan Ban Gaya Ke Ghair Muslim Mu'arrikheen (Researcher) Bhi Iski TaareeF Karte Hain,
Ahle Arab Jo Loot Maar Aur Ghaarat Giri Ko Apna Zariya Ma'aash Banaaye Hue They Un Me Aap (Sws) Ne Aisa Inquilaab Barpa Kiya Ke Wah Insaaniyat wa Sharaafat Wa Tahzeeb Wa Tamaddun Ka Namoona Ban Gaye,
Aur Iran Wa Rome Jaise Us Daur Ke Muhzab Mulkon Me Daakhil Hue Toh Wahan Ke Log Bhi Unki Insaaniyat Aur Insaaf Par Aise mutaassib Hue Ke Apna Aabaayi Deen Tak Tark Karke Unke Deen Ko Apna Liya,
Aur Ab Tak Sadiyon Ke Baad Bhi Ye Islam Ke Paaye'daar Ilaaqen Hain,
Unhone Bahut Se Inquilabat Dekhe Lekin Kotaahi Amal Ke Siwa Kabhi Deen Islam Se Nahin Fire, Balke Islam Dushman Taaqaton Ke Hamlon Ne Unke Imaan Me Nayi Jaan Aur Nayi Rooh Paida Kar Di,
Aur Hamesha Apne Deen Islam Ke Liye Baatil Se Ladte Rahe,
Shikasht Bhi Khaaye, Lute Bhi, Unki Khopdi Ke Ghubbare Bhi Bane Lekin Unke Imaan Me Paaye'daari Ke Siwa Koi Kami Nahin Hui,
Muhammad Sallalaho alaihi wasallam Ka Ye Elaan Ke
"Tum Par Aaj Koi Saranjish Nahin Jaao Tum Aazaad Ho"
Islaam Dushmano Yani Ahle Makka Ke Dil Me Aise Asar'andaaz Hua Ke, Badr, Uhud Wa Khandaq Ke Hamlaawar Khud Hi
La Illaha Illallah Muhammadurrasoollullah
Ke Siwa Aap Ke is Insaaniyat Nawaaz Elaan Ka Koi Jawaab Na De Sake,
Aur Phir Poora Jazeera Arab Islam Ke Saaye Me Akhwat Wa Bhai Chaara Ka La'zawaal Namoona Ban Gaya,
Makka Se Yemen, Sona Uchhaalte Hue Ek Shakhs Nihaayat Sukoon Wa Aman Ke Saath Safar Karne Laga,
Jinhe Islam Se Pahle Apne Bacchon Aur Aurton Ke Baare Me Ye Itminaan Nahin Tha Ke Kab Unhen Loot Liya Jaayega,
Ab UskO us Sar'zameen Ke Chhappe Chhappe Par Apne Paasbaan (Protecters) Mil Rahe They,
Aur Iske Baad Khilaafat E Rasheda (Peroid Of First 4 caliph) Me Yahi Soorat E Haal Maujood Rahi,
Lekin Baad Ke Zamaane Me Siyaasat Aur Iqtedaar Ki Ladaiyyon Ne Muslim Mumlakat Me Bahut Se Napasandeedah Fitne Paida Kiye, Lekin Phir Bhi Muslim Mumlakat, Muslim Wa Ghair Muslim Riyaaya (People) Ke Saath Baraabar Insaaf Hota Raha,
Awaam Ki Aksariyat Hamesha Apne Sarbaraah (Caliph) Mumlakat Ki Khair'khwaah Rahi,
Aur Yahi Wajah Thi Muslim Mumlakat Par Jab Bhi Dushmano Ka Hamla Hua Toh Poori Riyaaya Ne Mil Kar Dushmano Ko Paspa Karne Ki Koshish Ki,
Lekin 12 Sadiyon Ke Baad Ye Soorat E Haal Badalne Lagi,
Aur 20wi Sadi Me Ye Soorat E Haal Hai Ke Sabse Zyada Nifaaq Wa Fasaad Muslim Mulkon Ke Andar Maujood Hai,
Aur Un Mulkon Ke Andar Awaam Aur Sarbaraahon (Goverment) Mumlakat Me Jo Baahimi Adaawat Wa Nafrat Ka Jazba Dekha Ja Raha Hai Wah Ghair Muslim Mulkon Me Bhi Dekhne Ko Nahin Milta,
Balke Ghair Muslim Mumalik Me Jo Musalman Rahte Hain Jab Un Muslim Mumalik Ki Soorat E Haal Par Ghaur Karte Hain Toh Itminaan Ki Saans Lete Hain Aur Jab Wahan Ki Be'hayyaion Aur Nangapan Ki Daastaan Sunte Hain Toh Unki Peshaniyan Paseene Se Tarr Ho Jaati Hain,
Yani Jo Muslim Mulk Sadiyon Tak Insaaf Wa Adal , Insaaniyat Wa Sharaafat Iffat Wa Paak'baazi Ka Namoona Rahe , Wahi Ab Adal Wa Insaaf Se Door Aur Islam Se Ghair Muslimon Ki Nafrat Ka Sabab Ban Rahen Hain,
Mulk Ke Andar Khud Mulk Ke Dushman Aur Dushmano Ke Dost Maujood Hote Hain Aur Sab Ki Waahid Wajah Parlimaani Jamhooriyat (Democracy) Ya Isaaiyyon Ka Banaya Hua Naya Deen Hai Jiske Be'ghair Europe Ke Aqaaon Ko Khush Nahin Kiya Ja Sakta,
Na Unse Soodi Qarz Lekar Mulk Ki Maa'aasiyat Aur Mulk Ko Paaye'daar Kiya Ja Sakta Hai,
Jisne Kam Se Kam Mulk Ke Qanoon Ko Deen Aur Dastoor Islam Se Itni Door kar Diya Hai Ke Wahan Is Ittehaad Ka Tasawwur Bhi Nahin Kiya Ja Sakta, Jo Islam Ki Nemat Se Haasil Hota Hai,
Parlimani Jamhooriat Aur Intekhaabaat Ne Har Muslim Mulk Me Itni Badi Tadaad Me Yahoodion Aur Isaaiyyon Ke Kaarkun Paida Kar Diye Hain Jo Jamhooriyat Ke Naam Par Mulk Me Inteshaar Wa Tafreeq Ki Koshish Karte Hain Aur Unhe Isaai Mulkon Ke Zariye Baraabar Ishaarah Kiya Jaata Hai,
Jaise Parlimani Jamhooriyat (Democracy) Ka Thoda Waqfa Bhi Mulk Ke Liye Sabse Bada Tabaah Kun Haadsha Hai, Aur Mulk ne Apne Wajood Aur Paaye'daari Ki Saari Zamaanat Hi Kho Diya Ho,
Mulk Ka Sarbaraah Bhi Yahi Sochta Hai Ke Wah Bade Mulk Ke Ishaaron Par Kaam Karke Hi Apne Iqtedaar Ko Bacha Sakta Hai Aur Uski Khushaamad Ke Beghair Ya Toh Mulk Ke Andar Yahoodion Aur Isaaiyyon Ke Kaarkun (Supporter) Hungama Paida Karke Use Iqtedaar Se Hata Denge Ya Phir Wah Kisi Hawaai Haadsa Wagerah Ka Shikaar Ho Jayega,
Muslim Mumalik Me Mulk Ke Sarbaraah Islam Ka Naam Zaroor Lete Hain Lekin Ye Baatein Zabaani Hoti Hain,
Aur Jab Unhe Mulk Ki Awaam Dastoor Shariat Ke Nifaaz Ki Baat Karti Hai Toh Phir Uske Saath Wahi Sulook Hota Hai Jo Dushmano Ke Saath Kiya Jaata Hai Aur Jab Dushmano Ka Saamna Hota Hai Toh Phir Saari Taaqat Khatm Aur Baazu ShaL Ho Jaate Hain Aur AnjaamKaar Naqaamiyan Hi Haath Aati Hain,
Yah Egypt Wa Syria Me Hua Hai Aur Ab Bhi Ho Raha Hai........