Monday, May 5, 2014

IN SHA ALLAH KAHNE KI AHMIYAT





*** Bismillah Hirr Rahman Nirr Rahim...***
.
.
.
⇨"Aur Hargiz Kisi Kaam Par Yun Na Kehna K Main Aisai Kal Kar Dunga.
.
Magar Sath Hi InshaAllah Keh Lena ,
( Yani Agar Allah Chaha To Kar dunga).
.
Aur Jab Bhi Bhoole Apne Parwardigar ko Yaad kar Liya Karna
.
Aur kehte Rehna Mujhe Poori Ummeed Hai K Mera Rab Mujhe Is Se Bhi Ziyada Hidayat K Qareeb ki Baat ki Rehbari Karay".
.
(Qur'an 18:23-24)

Sunday, May 4, 2014

JANNAT KI NEMATEIN





Bismillahirrahmanirraheem



Nabi Kareem(S.A.W.) ne farmaya: 

"Allah Taa'ala ka farmaan hai ki maine apne nek bandon ke liye aisi cheezein tayyaar kar rakkhi hain jinhe unki aankhon ne na kabhi dekha hoga aur na kabhi suna hoga aur na hi kisi insaan ke dil me un cheezon ka khayaal hi guzra hoga. Agar jee chaahe to (Surah Alif laaaaam meeeeem sajda ki) ye aayat padh lo "aur koi nahi jaanta ki uski aankhon ki thandak ke liye (Jannat me) kya-kya cheezein chchupa kar rakkhi gayi hain."
 



Sahih Al Bukhari(Hadees no.3244).

TADFEEN KE MASAAEL

1: Kabr Gahari Chauri Aur Saf Suthri Honi Chaiye

 [Abu Dawood 3215] - 

2: Karibtarin Rishtedaro Ko Chaiye Ki Mayyat Ko Kbr Me Utare 

[Hakim, Baihaqi ] - 

3: Jarurt Ke Waqt Ek Kbr Me Ek Se Jyda Mayyate Dafan Ki Ja Sakti Hai 

[ibne Majah 1560] - 

4: Shauhar Apni Biwi Ki Mayyat Ko Kbr Me Utar Sakta Hai 

[ibne Majah] - 

5:Mayyat Kbr Me Rakhte Waqt Yah Dua Bismillahi wa Ala Sunnati Rasulullahi Sallallhu Alhahi Wasallam Padhna Sunnat Hai 

[muslim 1550] - 

6:Kbr Par 3 Mutthi Mitti Dalna Sunnat Hai

[Muslim 1565] - 

7: Jameen Se Kbr Ek Balisht Se Jyda Nahi Honi Chaiye 

[Abu Dawood 3220] - -

 8: Kbr Unchi Banana , Pakki Banana, Ya Kbr Par Majar Bnana ya Koi Tamir Karna Mana Hai 

[Abu Dawood 3225] - 

9 Kbr Par Nam Tarikhe Wafat Ya Kuch Aur Likhna Mana Hai 

[abu Dawood] - 

10: Kbr Par Btaur Nishani Patthr Gadhna Sahi Hai 

[ibne Majah 1561] - 

11 Dafan Ke Kbr Par Pani Chirkna Jaiz Hai 

[ibne Majha 1551] - 

12: Rat Me Dafan Karna Jaiz Hai 

[Bukhari 1247] - 

13: 3 Waqto Suraj nikalne suraj Sar Par Hone Aur Suraj Dubte Waqt Me Mayyat Ko Dafan Karna Mana Hai 

[ibne majah 1519] - 

14 Dafan Ho Jane Ke Sawal Hote 

[tirmizi] - 

15 dafan ke Bad Kbr Par Khade Rahkar Mayyat Ke Liye Sawal Jawab Ke Waqt Sabit Kadm Rahne Ki Dua Krni Chaiye 

[Abu Dawood 3221] - 

16 Kbr Me Azab Hota H Us Se Panah Mangani Chaiye 

[Bukhari 1377] - 

17:Mayyat Ko Kbr Me Subah Sham Thikana Jannat Ya Jahnnam Dikhaya Jata Hai 

[Bukhari 1379] - 

18 Momin Murde Ki Haddi Todana Ya Katna Jinda Insan Ke A'aza Todane Ya Katne Jesa Hai 

[Abu Dawood 3207] 

Via: Ayan Khan Salafi

Saturday, May 3, 2014

SHAITAAN AUR NAZAR E BAD SE BACHNE KI DUA





✦.....Shaitan aur Nazar-E-bad se Bachne ki Dua.....✦



*** Bismillah Hirr Rahman Nirr Rahim...***
.
.
.
Hazrat Ibn Abbas R.A se Rivayat Hai k
.
RasoollAllahﷺNe Hazrat Hasan o Husain R.A k liye Panaah Talab kiya karte The

.
Aur
.
Farmate The K Tumhare Buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) Bhi In kalimat k Zariye Allah ki Panaah
Ismaeel aur Ishaq (Alaihi salam) k Liye Manga Karte The.
.
.
.
( A'oodhu bikalimatIllahi-tammati min kulli shaytaanin wa hammatin wamin kulli 'aynin lammatin. )
¤
(Main Panaah maangta hun Allah k pure pure kalimat k zariye,
Har aik shaitan se aur har zahreele janwar se aur har nuqsan pohnchane wali nazar-e-bad se).
.
[ Sahih Bukhari :: 3371]

.
.

Friday, May 2, 2014

GHALAT FAHMI AUR SHAQ KA BEEJ HASTE MUSKURAATE GHAR KO VEERAAN KAR DETA HAI

 
 
 
 



Galat fehmi aur Shak ka beenj haste muskurate Ghar ko wiraan kardeta hai,
is se pehle ke Shak ka beenj aik Tanawar darakht ban jaye Aapas mein baat cheet ke zariye Galat fehmi ko Door karlena chahiye.

Iblis Apne Shaitan se kahta hai ki Tunney Shohar aur Biwi Mein Judayee Karwa kar Bada kaam kiya Hai

Jabir RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Shaitan (Iblis) ka takht samandar par hai aur wo apney lashkaron ko logon mein bhejta hai (fasad phailaney ke liye), uskey nazdeek martabe mein zyada achcha wo hota hai jo bada fasad daaley, jab koi shaitan us (Iblis) sey aakar kahta hai ki maine fala fala kaam kiya (yani kisi se chori karwayee , kisi ko sharab pilwa di ) to shaitan kahta hai ki tuney kuch bhi (khas) nahi kiya, phir koi Aikk (shaitan) aakar kahta hai ki mainey falah ko na chorha yahan tak ki usmein aur uski biwi mein judayee karwa di , (ye sunkar iblis) us (shaitan) ko apney paas bula leta hai ki haan tuney bada kaam kiya hai Amash Radi Allahu Anhu ne kaha ki wo (iblis) usko (shaitan ko) galey se laga leta hai.

[Sahih Muslim :: Vol.6 :: Hadith 7105]

Thursday, May 1, 2014

RASM-E-DAHEJ



Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh;

Jahez Mangne Se" Bheek" Mangna Ziyada Behtar Hai !!

 
Maa Baap ka ghar bika, To beti ka ghar basa,
 
 Kitni Dil'kharash Rasam hai Talb-e-JAHEZ ki.
 
 Paisa Kamana Nahin Jaante, To Apna Haath Faila Diya,Kuch Aise Logon Ne, Dulhe Ko Bikao Bana Diya.
 
 Dahej Lekar Apne Aap Ko Bada Jatate Ho, Ek Bhikhari Aur Tum Logon Main Kya Farq Reh Gaya???

Hazrat Abuhuraira Wa Hazrat Jaabir Radiallaho Anhu Se RiwayatHe Ke Nabi E Rehmat ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺍﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Irshad Farmaya:
 
 "Aurat Se 4 Chizo Ki Wajah Se Nikah Kiya Jata Hai : 
1. Uska Maal
2. Husn Wa Jamal
3. Uska Khandan
 4. Uske Deendar Hone Ki Wajah Se.
 
Lekin Tu Deendar Aurat Ko HasilKar."
 
[ Bukhari Sharif, Jild : 3, Safa : 59. TirmiziSharif, Jild : 1, Safa : 555 ]

Dowry is a virus in Marriage and ‘Mahr’ is an antivirus. Be a man and say "NO" to Dowry
—

KYA NAMAZ-E-JUMA KE LIYE 2 AZAN DI JAYEGI ?

KYA NAMAZ-E-JUMA KE LIYE 2 AZAN DI JAYEGI ?


Hadith- 


Hz Saaib Bin Yazid r.a Se Marwi Hai Ki Nabi e Akram s.a.w Haz Abu Bakar r.a Aur Hz Umar r.a Ke Zamane Me Juma Ki Pahali Adhan Us Waqt Di Jati Thi Imam Khutbe Ke Liye Mimbar Par Bethta 

Lekin Hazrat Usman r.a Ke Zamane Me Jab Logo Ki Tadat Jyda Ho Gai To Zaura Ki Jagah Ek Aur Adhan Dilwane Lage 

[Sahi Bukhari Kitabul Juma 912, Abu Dawud 1087] 

Bukhari rh. Byan Karte Hai Ki Zaura Madina Ke Bazar Me Ek Jagah Kam Hai 

[Bukhari ,912]

 Malum Hua Ki Nabi e Karim s.a.w , Hazrat Abu Bakar r.a , Aur Hazrat Umar r.a, Ke Zamane Me Juma Ke Liye Sirf Ek Adhan Di Jati Thi Lekin Phr Hazrat Usman r.a Ne Logo Ki Tadat Jyda Hone Ki Wajah Se Bazar Me Ek Unche Makam Yani Zaura Par Ek Adhan Aur Badha Di Isliye Ki Taki Logo Ko Asani Se Khabrdar Kiya Ja Sake Aur Sahaba Kiram r.a Ne Phir Isi Ko Ikhtiyar Kar Lia 

Yaqinan Agar Aaj Bhi Aisi Surat Ho To Ye Amal Muba'h Hoga Lekin Agar Aisa Na Ho To Jesa Ki Aj Ke Daur Me Takriban Har Masjid Me Laud Speaker Maujud Hota Hai Jis Ke Jariye Door-Door Ke Ilaqo Tak Adhan Ki Awaz Pahunchana Koi Masala Nahi Raha Isliye Aisi Kisi Adhan Ki Jarurat Baki Nahi Rah 

Jati Is Surat Me Pahli Adhan Ka Jawaz Nikalna Puri Tarah Se Sahi Nahi Iske Alawa Sirf Masjid Me Dono Adhane Jesa Ki Hmare Yaha Ahanaf Ka Riwaz Hai Hazrat Usman r.a Ki Bhi Sunnat Nahi Isliye Agar Ye Sunnat Usmani Par Waqai Agar Amal Krna Chahte Hai To Unhe Chaiye Ki Bazar Me Jakar Kisi Unchi Jagah Jakar Kisi Unchi Jagah Khade Hokar Pahli Adhan De Apne Is Nazriye Ke Liye Ahnaf Ka Wajahat Ke Liye Ye Dalil Pesh Karna Ki Meri Aur Aur Hidayat Paye Charo Khalifa Ki Sunnat Ko Lazim Pakdo Bhi Sahi Nahi Kyo Ki In Khalifo Ki Wahi Sunnat Ikhtiyar Ki Ja Sakti Hai Jo Asal Me Nabi e Karim s.a.w Se Sabit Ho 

[Tohftul Ahwazi 3/69]

 Iske Alawa Yah Dawa Karna, Ki Is Adhan Par Sahaba Ka Ijma'h Khamoshi Hai Taqmil Hone Ko Nahi Pahunchta Kyo Ki Hazrat Ibne Umar r.a Se Marwi Hai Ki Juma Ke Din Pahali Adhan Kahna Bidat Hai 

[Ibne Abi Shiba 5437]

 Ibne Hajar rh Kahte Hai Isme Shak Hai Ki Hazrat Ibne Umar r.a Ne Ye Bat Ala Sabeelil Inkar Yani Tajjub Karte Huwe Kahi Ho Ya Isme Bhi Shak Hai Ki Unhone Ise Se Ye Matlab Lia Ho Ki Nabi e Karim s.a.w Ke Zamane Me Ye Adhan Nahi Thi Aur Har Aisi Chez Jo Nabi e Karim s.a.w Ke Zamane Me Na Ho Uska Nam Bidat Ho 

[Fathul Bari 3/55]

 Yad Rahe Ki Hum Ise Bidat Nahi Kah Sakate Kyo Ki Hazrat Usman r.a Ne Ye Adhan Dusari Namazo Par Qayas Karte Huwe Shuru Ki Thi Wah Is Tarah Ki Kisi Bhi Namaz Ke Liye Adhan Isliye Di Jati Hai Taki Logo Ko Namaz Ke Waqt Se Khabrdar Kia Ja Sake Ab Chunki Logo Ki Tadat Ki Jydadti Ki Wajah Se Juma Ki Din Aisa Mumkin Na Tha Ki Ek Adhan Se Sab Ko Khabr Ho Jaye Aur Yaqinan Hi Der Se Aane Ki Wajah Se Bdi Tadat Ke Jume Ka Sawab Bhi Brbad Hone Ka Dar Tha Isliye Unhone Ye Adhan Shuru Krwa Di Jyda Malumat Ke Liye 

Naylul Autaar 2/552 Aur Fathul Bar 3/55 Dekhe To Malum Hua Ki Usman r.a Ne Ye Adhan Zaura Jo Ek Jagah Masjid Se Ek Mile Dur Waha Dilwai Ye Adhan Itne Pahle Di Jati Ki Log Adhan Sunkar, Saman Samet Kar Ghar Jate The Aur Naha Dho Kar Masjid Me Khutba Shuru Hone Pahle Pahunch Jate Agar Is Tarah Kahenge Tab To Ye Usmani Adhan Kahlayegi Warna Aj Kuch Minute Pahle Imam Ke Munh Ke Samane Khade Hokar Adahan Kahne Ko Usmani Tarika Nahi Kahenge Zaura Madina Se Ek Mile Ki Duri Par Bazar Lagta Tha Log Waha Jama Hote Isliye Waha Adhan Dilwaee Bahrhal Aj Kal Logo Ke Hath Me Ghariya Hai Isliye Is Adhan Ki Bilkul Jrurt Baki Nahi Rahi Afazal Yah Ki Nabi e Karim s.a.w Ke Tarike Ko Apnaya Jaye Lekin Agar Kisi Sabab Ke Chalte Jesa Ki Hz Usman r.a Ke Waqt Tha To Usman r.a Ka Tarika Apna Lene Me Koi Harz Nahi 

via : Ayan Khan Salafi