Tuesday, January 29, 2013

AIMMA E HADITH AUR FITNA INKAAR E HADITH

 Bismillahirrahmanirraheem




AIMMA E HADITH AUR FITNA INKAAR E HADITH



Fitnah Inkaar e Hadees ,



Inkaar e Hadees ke Mamle mein yeh baath Dhayan mein rahni chahiye ke Musalmano mein se bohat kam log aise hai jo wakaai mein Sunnat e Rasoolullah saw , ki Sharai haisiyat Inkaar karte hain ,


al battah aise logon ki tadad bohat zayada hai jo Sunnat ke wazud ka Inkaar karne ke bawazud Sunnat se farar ki rah ikhteyar karne ke liye Hadeeson par agal-alag fitna karke Hadees ke Bhandhar ko shak o subah or bharosha na karne layak thairane ki zalil kosishon mein din raat lage rahte hai ,


Hadees ke Inkaari ka aithraz ka tahqeeq kiya jaye to Sharai Hukmon ko Qubol karne ya na karne ka Naqsha kuch is tarah shamne aata hai jaise Sharai Hukmon ka Jummah Bazar laga ho , or har Grahak ko is baat ki poori azadi hasil hai ke woh tamam chizon ko khub thok bazakar dekhe or jis-jis chiz ko apni Subhao or Pasand ke Mutabik paye use uthha lein or jis se NaPasand kare usse Naak chadakar wahi rakh dein ,

Yani Munkeeren e Hadees ke yeha Bartaao mein yahi haal Nazar aata hai
Koi Sahab Karamaat ke Inkaari hai to
 

Koi Sahab Panch ke bajaye Do Namazon ko hi kaafi samajhte hah
 

Koi Sahab Tish 30 ke bajaye ek ya do Roze rakhne se Farz poora hone ke Qaayal hai to Koi Sahab Hajj or Qurbani ke bajaye Samaj sewa ki kaamon par Paisa kharch karna Behtar Samajhte hai 

Koi Sahab Zakat ki door Hukumat ki marzi par Ghatane Badane ke kayal hai to Koi Sahab Rasool saw ki Ittat Farmabardari ko Aap saw ki paak zindagi tak hi mahdud samajhte hai ,


Fitna Inkaar e Hadees se paravhawit or Western Magribi Bichar or Sabyata o Tahzeb se Marub Taraqqi pasand Aqal mand Samajhdaron ne bhi apna sara zor e kalam or zor e bayan Hadeeson ki Shak o Subah or Bharosa layaq na samajhne par kharch kar diya hai take Eastern purwi samajh ko bhi wahi Nangi azadi hasil ho jaye jo Wertern Magribi samajh ko hasil hai ,

Aurton ko be pardagi Mard o Aurat ki mili juli mahfilen , zindagi ke har makaam mein Mard o Aurat ko saman Huqooq naama bazana or alag Aslilta or behayai failane wale kaam or riswat , sood , jua , sarab or zina jaise haram kaamon ko bhi kisi tarah Sariyat ki sanad hasil ho jaye ,

1-Hadees ke Imaamon ke Khidmaat par ek Nazar ,
Munkeren e Hadees ki Aithraz ka post martam karne se pahle Hifaajat e Hadees ke liye Ulama e Hadees ki Qurbaniyan , Kawiso par ek Nazar daalna bohat zaruri hai Ilm ke dunya mein hifaazat e hadees ek aisa azeem o shan karnaama hai jis se Ghair Muslim bhi manne par mazbur hai ,

a- Marhur Musat
Sharik Muhaqeen Professor Mar Girhte ka yeh manna ke ,
Ilm e Hadees par Musalmano ka Raskh karna jaeez hai " be bunyad nahi ,


MustSharik Muhaqeen
Giiledh Jinhar
ne Ulama e Hadees ke khidmaat ka ateraf in sabdh mein kiya hai " Muhaddisen ne dunya e Islam ke ek kinaron se doosre kinaron tak , Undulush se middle asia tak ke khak chuni or sahar - sahar , gaon - gaon ,
chappa - chappa , ka paidal safar kiya take Hadees Jama karen or apne shagirdon mein failayen , bohat zayada safar karne wale or bohat zayada ghumne wale Imaam e Hadees yahi log haqdaar hai ,



1-Abu Ayub Ansari raz , ne sirf ek Hadees ke tahqeeq ke liye Madina se Mishr ka safar kiya ,

2-Jabir bin Abdullah raz , ne ek Hadees sunne ke liye musalsal mahina bhar ka safar kiya ,

3-Makhul rh , ne Ilm e Hadees hasil kar ne ke liye , Mishr , Sham , Hizaz or Iraq ka safar kiya ,

4-Imaam Razi rh , farmate hai pahli baar Hadees ki chahat ka safar kiya to saal-saal tak ka safar kiya ,

5-Imaam Zahbi rh , ne Imaam Bukhari rh ke bare mein likha hai ke aapne sahar Bukhara ke ulama se Ilm e Hadees hasil karne ke baad
Imaam Bukhari rh ,
Balkh Baqdad , Makkah , Bashra , Kufa ,Sham , Ashkalan , Hamash or Damishk ke ulama se Ilm e Hadees hasil kiya ,


6-Yahya bin Saeed Al-Kitaan rh , ne talab e Hadees ke khatir apne ustad Shoba rh , ke paas 10 dus saal guzare ,

7-Naafe bin Abdullah rh , farmate hai maine Imaam Malik rh , ke paas 40 chalish ya 35 paitish saal tak baitha raha rozana subha , dopaher or pichli pahar haziri deta ,

8-Imaam Zohri rh , farmate hai maine Saeed bin Musay-yab rh , ki shagirdo mein 20 bis saal guzari ,

9-Abdullah bin Mubarak rh , ne 1100 Giyarha sho Muhaddisen se Ilm e Hadees hasil kiya ,

10-Hisham bin Abdullah rh , ne 1700 satrah sho Muhaddisen se Hadees ka Ilm hasil kiya ,

11-Abu Naeem Esbahni rh , ne 800 ulamayen Hadees ke 10 saal fayda hasil kiya ,
Ulama Hadees ne talab e Hadees ke khatir apni sari zindagiyan Imaan o Aarkan mein is shan se wakhf kar rahi thiy ke us daur mein ghar baar ki sari punji lutane ke baad bhi badi se badi aazmaish unke paon mein dagmagahat paida na kar saki ,

12-Imaam Malik rh , apne ustad
Rabiya rh , ke bare mein likhte hai ke Ilm e Hadees ki talash or zustazu mein unka haal yeh hoga tha ke ghar ki chhat ke kundiya tak bech daali , or is haal se bhi guzre ke khas o khasak ke dher se khazur ke thokde chun chun kar khane pade ,


13-Ilm e Hadees ke Imaam Yahya bin Moin rh , ke bare mein Khateeb rh, ne yeh riwayat darz ki hai ke Yahya bin Moin rh , ne Ilm e Hadees hasil karne mein 10,50,000 dirham ki rakam kharch kar daali or naubat yaha tak pahonchi ke unke paas paaon mein pahenne ke liye joota tak baki na raha ,

14-Ali bin Aasim rh , ne talab e Hadees mein 1,00,000 dirahm ,
Imaam Zahbi rh , 1, 50,000 dirahm , Imaad Rustan rh ne 3,00,000 dirham ,
Hisaam bin Abdullah rh , ne 7,00,000 dirham kharch kiya ,


15-Imaam Bukhari rh , jaise saheb e sarwat or laad pyar mein parwarish pane wale shaks ne talab e Hadees ke khatir garib ul watani mein
kaise-kaise din dekha iska andaza Imaam Mausufh rh ke hum sabak Umer bin Hafsh rh , ke bayan ki gayi is wakiye se lagaya ja sakta hai ,

Bashra mein hum Muhammad bin Ismail Bukhari rh , ke saath Hadees likha karte they kuch dino ke baad mahsus hua ke Bukhari rh , kai dino se Darsh mein nahi aa rahe hai ,
Talash hui hum log unke ghar pahonche to dekha ke ek anheri kothri mein pade hain , badan par aisa libash nahi jise pahen kar bahar nikal sake ,

Maloom karne par pata chala ke kharch khatam ho chuka hai libash taiyar karne ke liye bhi paisa nahi , aakhir mein hum sab shagirdon ne milkar rakam jama ki Bukhari rh , ke liye kaapda kharid kar laye tab woh hamare saath Darsh gaah mein aane jaane lage ,

16- Imaam Ahmad bin Hambal rh , Ilm e Hadees ke husul ke liye yaman aaye to ijaarband bunte or unhe bech bech kar apni zarurto ko puri karte rahe , jab farigh ho kar yaman se jane lage to naanbai ke makruz they , to apna joota karz mein de diya khud naange paaon paidal rawana ho gaye , rashte mein oonth par bojha laadne or uttarne wale majdor mein sarik ho gaye jo majduri milti usi se guzara karte ,


Talab e Hadees or Ishaaten Hadees ke liye Ulamayen Hadees ki shakt mehnat o musakkat or Qurbaniyon ki dashtan sirf unki din raat mehnat or bhook piyash ki zindagi par hi khatam nahi ho jati balke us raahe waafa mein zayada tar Muhaddisen kiram ko apne waqt ke jabir or jalim hukumaton ke qahar o gajab ka nisana bhi banna pada ,


17- Bani Ummayah ke waqt mein
Umer bin Abdul Aziz rh ,ko chhod kar
Muhammad bin Sirin rh ,
Hassan Bashri rh ,
Abdullah bin abi Rafeea rh ,
Yahya bin Ubaid rh , or
Ibne abi Qasim rh ,
jaise acche Muhaddisen ke umra ko atyachar ka nisana banna pada ,



18- Banu Abbash ke waqt mein ,
Imaam Malik bin Anas rh , ki naangi pith par kode barsaye gaye ,



19- Sufyan Suri rh , jaise unche choti ke Muhaddisen ko Qalt ka hukm diya gaya ,


20- Imaam Saafai rh , ko giraftar karke paidal darul khilafa rawana kiya gaya , jaha woh kaid o bandi ki takleefon ka bhi sikar rahe ,


21- Imaam Ahmad bin Hambal rh , ne Kitab o Sunnat ki khatir jo bhayandaak sitam uthaye woh tarik e Islam ka bada hi Ibrat nak wakiya hai ,


22- Imaam abu Hanifa rh , ka janaza jail ki tang o anheri kothri se utha ,
In jaani o mali Qurbaniyan ke saath-saath ulamaye Hadees ke Ilmi kaarname bhi saamne rakhne chahiye,


2- Hadees e Rasool saw ke Qubool karne ke maamle mein saabdhani Ahtiyat ka andaza is baat se laga ya ja sakta hai ke ,


1-Abu Bakr Siddiq raz ,
Umer Faruque raz , gawahi ke bina kisi ki Hadees Qbool nahi karte they,



2- Ushmaan Gani raz bin Affhan , saabdhani ke liye Hadees e Rasool saw kam bayan farmatey ,

3- Ali raz bin abi Talib , rawi e Hadees se Qasam liya karte they ,

4- Abdullah bin Masood raz , Hadees bayan farmate to jimmedari ke ahshas se unke chahre ka 
rang badadl jaata ,

5- Anas raz , saabdhani ke liye Hadees bayan karne ke baad " Aao kaama Qala " yani jaise Rasool saw ne farmaya ka sabdh aada farmate ,
Jab Sahaba e Kiram raz , ko Mamoli sa shak o subha lagta ke budhape ke wazha se inka Hafiza kamzoor ho gaya hai to woh Hadees bayan karna chhod dete ,


6- Zaid bin Arkaama raz , se unke budhape ke jamane mein Hadees suna ne ko kaha jata to farmate " hum budhe ho chuke hai Hafiza kamzoor ho gaya hai , Hadees e Rasool saw bayan karna bohat baada kathin kaam hai ,


7- Imaam Malik bin Anas rh , farmate hai ke hum madina ke bohat se Muhaddisen ko jaante hai jo kuch aise sikka muttaki or parhezgar logo se bhi Hadees Qubool na karte jinhe apar baith ul maal ka muhafiz bana diya jata to ek paise ki baimani na karte ,


8- Mashoor Muhaddisen Yahya bin Saeedh rh , ka Qaul hai ke hum bohat se logo par dirham o dinnar ka aitbaar karne ko taiyar hun likin unki riwayat ki gayi Ahadees Qubool nahi kar sakte ,


9- Muhaddisen Moin bin Esha rh , farmate hai maine Imaam Malik rh , se jo Hadeesen riwayat ki hai un mein se ek ek Hadees 30-30 tish-tish baar suni hai ,


10- Muhaddisen Ibrahin bin Abdullah al Harwih rh , farmate hai maine Ustaad Hashim rh , se jo Haees riwayat karta hun unhen kam se kam tish-tish 30-30 , baar suna hai ,


11- Marhoor Muhaddisen Ibrahim bin Saeedh al Zohri rh , farmate hai mujhse jab tak ek-ek Hadees 100-100 tarike se nahi milti main us Hadees ko apne bare mein apne aap ko yattim khayal karta hun ,


3~ Aahadees ki Chaan bin o Tahqeeq ke mamle mein Ulamaye Hadees ne jo kaarnama anjam diyen hain woh is qadr hairan karne wali hai ke aaj ke daur ke yani Malti Media o science ki daur unki dhhul ko bhi nahi pahonch sakti ,


1- Mashoor Garman MustaSarik Muhaqeeq Doctor Siprahgar ne Ashab fee Ahwaal Sahaba ki angrazi Mukaddama mein likha hai ,
Koi Qaum dunya mein aisi guzri na aaj mauzud hai jisne Musalmano ki tarah "Aashma ur Rijjal " jaise mahan Ilm ijad ki hai jiske badolat aaj
5,00,000 panch lakh aadmiyon ka haal maloom ho sakta hai ,



Muhaddisen ne Aashma ur Rijjal mein ek-ek raawi ki Aqeedhe , Imaan, Aamal, Parhezgari , Aamanat, Imaandari , Sachhai , Quaat e Hafiza , Sujh Bujh , ki Taqheeq ki kasaoti par parkha or kisi bhi badale ka tammanna ya malamat ki khuf se uper rahte hue apni Raaye ko waazhe kiya ,
Aahadees Ghaadne or Hadees mein Jhoot ki milawat karne wale logon ko na sirf alag-alag kar diya , balke kis Hadees mein Raawi ne apne taraf se kis Lafz ki zayadati ki to uski nisaandahi ki , kahi Sanad ki bahao mein fark aaya to na sirf use waazeh kiya balke Sanad ke Suru , Khatam ya Bich mein Sanad Bikhar ne ki bunyad par Hadees ki alag-alag darzah banaya ,


2- Bid'adti or Bad Aqeedah logon ki Hadees ko alag darzah diya ,


3- Wahmi or Kamzoor Hafizah walon logon ki Hadeeson ko alag darzah diya ,


4- Kahi Raawiyon ke Naam Sar Name upNaam , Kuniyat wala Naam , Baap Dada , ya Ustadon ki Naam ek jaise aa gaye to unke liye alag Usool banaye ,


5- Issi tarah Saheeh Hadees ke Mamle mein bhi darzah bandi ki gayi ,


6- Jaise Lafz par adharit Hadeeson ka ispastikaran kiya gaya ,


7- Raawiyon ki Taddad ki Hisab se Hadeeson ko alag-alag naam diya gaya ,


8- Saheeh Lekin Pahla darzah mein jaise Kalam kiye Gaye Hadeeson ke Baare mein Usool o 
Niyam banayen gaye ,

9- Hadees ke Riwayat karte waqt ,
Aakh baar'na ,
Aar'Baana ,
Naw'Lana ,
Zakar'Lana ,
 

jaise ek Lafz mein ek hi bhag ko Lafz alag-alag halaat o Kaifiyat ke liye khas kiye gaye ,
Ulamaye Hadees ke Ilmi Kosishon ka andaza is baat se lagaya ja sakta hai ke Hadees ke Hifazat ke liye Ulamaye Hadees ne 100-100 se bhi zayada Uloom ki bunyad daali jis par Hazaron Kitaben Likhi ja chuki hai ,

Ba Hawala ,
Sunnat Ka Anusaran ,
Muhammad Iqbal Kilani ,
Page no - 29 ,30 , 31 , 32 ,33 , 34 !!



Allah Ta'ala ki Beshumar rahmaten nazil hun un paak baaz hastiyon par jinhone halat ki sari shitam raniyon ke bawazud ,
 


Hadees e Rasool saw , ki shama ki khatir har jamane ki tez aandhiyon se mehfooz rakhne ka haq aada kiya ,


2- Hadees par Aaithraz ,

Hifaazat e Hadees ke liye Ulamaye Hadees ki jaani , maali or Ilmi Koshison par ek Nazar daalne ke baad hum asal mauzu topic , Inkaar e Hadees ke taraf laut tey hue Munkeren e Hadees ke aaithraz mein se kuch aham aaithraz yeha nakal kar rahe hai ,

a- Jo Hadees aqal ke khilaf ho woh yaqeen karna mumkeen nahi hai ,

b- Jo Hadees Quran ke Khilaf ho woh yaqeen karna mumkeen nahi hai ,

c- Jo Hadees Tarikhi ke waqiye ke khilaf ho woh yaqeen karna mumkeen nahi hai ,

d- Jo Hadees Scientific tazrubein or musahedaad ke khilaf ho woh yaqeen karna mumkeen nahi hai ,

e- Hadees Riwayat karne wale they to bayerhaal Insan hi har shaab dhani ke ba wazood khata ki mumkeen mauzud hai , yani Muhaddisen kiram ki Tahqeeq par poora yaqeen nahi kiya ja sakta ,

f-Jo Hadeeson mein Nange pan ka zikr ho woh yaqeen karna mumkeen nahi hai ,

g- Saheeh Hadeeson ke saath-saath badi taddad mein Dae'efh or Maudhu yani man gadhat 
Hadees is tarah gud mud ho gayi hain ke Muhaddisen ne apni sujh bujh ke mutabik jo Hadeesen Qubool ki woh bhi yaqeen karna mumkee nahi hai ,

h- Hadees ke Imaamon mein se zayada taddad mein Ahl e Farash ke hain jinhone Irani hukumat se milkar Islam ko Nushaan ke liye Sajish ki or an ginat Hadees ghadhi ,


i- Hadeeson ka Sakal jama Rasool e Kareem saw ki paak zindagi ke Do 200 ya Adhaai 250 saal bad hue , yani un par yakeen karna mumkeen nahi ,
Hadeeson par in tamam aaithraz ka waazeh tarike se post martam karna yaha mumkeen nahi yani hum yaha sab se zayada mashoor or aam logon ki zuban par aane wali aaithraz jo ke Hadees ke Sakal Jama ke bare mein hai uska poora jawab tahreer karne par bus karenge , Insha Allah


3 Hadees ka Sakal Jama ,


1- Kaha jata hai ke Hadeeson ka Sakal Jama Rasool saw , ke paaj zindagi ke 200 ya 250 saalon baad us waqt hua jab Imaam Bukhari rh , Imaam Muslim rh , Imaam abu Daood rh , Imaam Nasaai rh , or Imaam Ibne Maazah rh , wagairah ne Hadeesen jama karne ka kaam suru kiya yani Hadees ka Jama kisi tarah bhi yaqeen karna mumkeen nahi ,
Sab se pahle hum yeh galat fahmi dur karna zaruri samajh tein hai ke Rasool saw , ke zindagi mein Likhaai ya Kitab ka Riwaz aam nahi tha or log sirf apne Hafiza par bharosha karte they ,
Yaha hum un Sahaba raz , ka naam de rahe hain jo darbaar e Rishalat ke makami shagird they ,
Rasool saw unse zarurat padh ne par mukhtaleef kawail se talauk Letter ya Rakam ki hisabaat ya Sarkari Hukm ya Deeni Mashail aadi likh wane ka kaam liya karte the ,


2- Har Sahabi raz ka alag Duty jimmedari ka bayan Tareek Historic ke Kitab mein mauzud hai ,

a- Khalid bin Saeed bin al-Aash raz ,
 

b- Mugairah bin Shoba raz ,
 

c- Harish bin Nameer raz ,
 

d- Jahim bin Salath raz ,
 

e- Hujeyfa bin Yamaan raz ,
 

f- Muakeeb bin abi Fatimah raz ,
 

g- Abdullah bin Arkam raz ,
 

h- Aala bin Ukbaa raz ,
 

i- Jubaer bin Aawam ray ,
 

j- Usmaan Gani bin Affhan raz ,
 

k- Muwabiya bin abi Sufyaan raz ,
 

l- Ali bin abi Talib raz ,
 

m- Zaid bin Sabit Ansari raz ,
 

n- Hanjala bin Rabeea raz ,
 

o- Aala bin Hajrami raz ,
 

p- Ibaan bin Shaeed raz ,
 

q- Ubaai bin Kaab raz ,


3- Aahmad e Rishalat ke kuch doosre Sahaba raz , jo Bakaida Rasool saw , ki Khidmat par Tainaat nahi they Lekin Likhna Padhna jaante they woh yeh Hai ,

a- Kaab bin Malik raz ,
 

b- Umer Faruque bin Khattab raz ,
 

c- Fatemah binth e Khattab raz ,
 

d- Abdullah bin Umer raz ,
 

e- Khab'baab bin Asath raz ,
 

f- Saeed bin Zaid raz ,
 

g- Abdullah bin Abbas raz ,
 

h- Anas bin Malik raz ,
 

i- Abdullah bin Ubaai Aaufa raz ,
 

j- Saeed bin Ubaadah raz ,
 

k- Shamrah bin Zundub raz ,
 

l- Abdullah bin Amr bin Aash raz ,
 

m- Jabeer bin Abdullah raz ,
 

n- Abu Hurairah raz ,
 

o- Rafeea bin Khadij raz ,
 

p- Abu Rafeea Mishri raz ,
 

q- Hajab bin abi Baltah raz ,


Rasool ullah saw ke alag-alag Khidmaat ke alawa Sahaba raz , apni apni chahat o marzi ke mutabik Rasoolullah saw , ki Amali o Qauli bhi likhte rahte they , Kuch Sahaba raz , ko khud Nabi saw , ne Hadeesen likhne ki izazat di ,

a- Rafeea bin Khadij raz , farmate hai ke hum ne darbaar e Rishalat mein arz kiya Ya Rasool Allah saw , hum log Aap saw ki zaban mubarak se bohat se baaten sunte hain or unhe likh lete hain , Aap saw ka is baare mein kya irshad hai , Rasoolullah saw ne farmaya likh liya karo is mein koi harz nahi ,


b- Abu Rafeea Mishri raz , ne Nabi saw se Hadeesen likh ne ki izazaat mangi to Aap saw , ne izazaat de di ,


c- Anas raz , riwayat karte hai ke ek aadmi ne sikayat ki ke use Hadees yaad nahi rahti to Nabi 
saw ne farmaya ke apne haath se madad lo yani likh liya karo ,


d- Abdullah bin Amr bin Aash raz , farmate hain main Rasoolullah saw , ki zuban mubarak se jo kuch sunta likh liya karta , take use yaad kar liya karun , Quraish ne mujh se aise karne se mana kiya or kaha ke Muhammad saw , inshan hai kabhi gushe mein bhi baath karte dete hai, or maine likh na chhor diya fir Rasoolullah saw , ke khidmat mein iska zikr kiya to Aap saw , ne farmaya jo kuch mujh se suno zarur likh liya karo , us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai meri zuban se haqe ke siwa kuch nahi nikalta ,


e- Zaid bin Sabit raz , ko Rasoolullah saw , ne khas taaur par apni zarurat ke tahat bideshi zuban lafz likh ne or sikhne ka hukm diya tha ,


4- Yeha na likhne wali Hadees yani Quran ke alawa mujh se koi baath na likho ka wazahat karna zaruzi maloom hota hai ,


a- Quran Nuzul ke waqt Rasool saw , Qurani aayat ke alawa unki tafsilaat wazahat mein jo kuch irshad farmate Sahaba raz use ek hi jagah likh liya karte they ,


Ek mauke par Nabi saw , ne puchha yeh kya likh rahe ho ,? 

Sahaba raz ne kaha wahi jo kuch Aap saw , se sunte hain , tab Aap saw ne irshad farmaya kya Allah ke Kitab saath-saath ek or bhi kitab likhi ja rahi hai , Allah ki kitab alag karo or use khalish rakho ,

Rasoolullah saw , ke lafz se yeh baath wazeh ho rahi hai ke Sahaba raz , Qurani aayat or unki tafsilat wazahat yani Hadeesen dono ek jagah likh rahe they jisse Aap saw , ne alag-alag rakhne ka hukm diya na yeh ki Hadeesen likhne ki manahi farmayi ,

Jab Quran poori tarah hifazat kar liya gaya to manahi ka hukm aap se aap khatam ho gaya ,
Is Tafsirat ke baad hum Nabwi saw daur 11 hizri tak mein likhne or sakal jama e Hadees ki mishal pesh kar rahe hain , Yaad rahe ke Rasool saw ki Amali o Qauli ke alawa woh chiz jo Aap saw , ne Khuttut Letter , Hukm o Farman or sharkari Officer Adhikarion ke naam adesh o nasihat ki sakal mein taiyar karwaye woh sab Hadeesen kahlati hai ,


BaHawala ,
Sunnat ka Anusaran ,
Muhammad Iqbaal Kilani ,
Page no:- 34 , 35 , 36 , 37 ,



4- Nabwi saw Daur Mein Sahaba raz ka Daur 110 Hizri Tak Mein Kitabat o Sakal Jama e Hadees ,

1- Kitab us Sadqat ,
 


Abdullah bin Umer raz , farmate hai ke Rasoolullah saw , ne apni zindagi ke akhri dino mein sharkari officer adhikaron ke bhej ne ke liye Kibat us Sadqa Tahreer karwai jis mein janwaron ki zakat ke masail they ,
 

{ Tirmizhi }


2- Sahifa Amr bin Hazam raz ,
 

Rasoolullah saw , ne Yaman ki Gavarnor Arm bin Hazam raz , ko ek Saahifa likhwa kar bijhwaya jis mein Tilawat e Quran , Namaz , Zakat , Talaq , Azad karna , Qissah yani Maqtul ka Badla , Dooth yani Qatl hone wale ka khoon baha , or Faraiz o Sunnat , or Kabeera Gunah ki Tafsil darz thi ,
 


{ Musnad Ahmad , Abu Daood ,
Nasaai , Daru Kutni , Darmi , Hakim }



3- Sahifa Ali bin abi Talib raz ,
Rasoolullah saw ne Ali raz , ko ek Sahifa likhwa kar ata kiya tha jiske baare mein Ali raz , farmate they wallah hamare paas padhne likhne ki koi kitab nahi siwaye Allah ki kitab or is Sahife ke , mujhe yeh Sahifa Rasoolullah saw ne ata farmaya hai is mein Zakat ka masail likhe hain ,
 

{ Musnad Ahmad }


4- Sahifa Wail bin Huzr raz ,
Wail bin Huzr raz , apne watan hazre maut jane lage to Nabi saw , ne unke liye Namaz , Zakat , Nikah , Shood , Sarab wagairah ki masail par Sahifa taiyar karwa kar ata kiya ,
 

{ Tabrani }


5- Sahifa Shaad bid Ubada raz ,
Shaad bin Ubada raz , ne Rasool saw, se Hadeesen sun kar yeh Sahifa Murtab kiya tha ,
 


{ Tirmizi }


6- Sahifa Shamrah bin Zundub raz ,
Shamrah bin Zundub raz , ne yeh Sahifa Rasoolullah saw , ki paak Zindagi mein hi Murtaba farmaya jo baad mein unke Bete Salman raz , ke Hisse mein aaya ,
 

{ Hifazat e Hadees }


7- Sahifa Jabir bin Abdullah raz ,
Jabir bin Abdullah raz , ka Murtaba kiya hua yeh Sahifa Maansik Haiz ki Hadees par mustamil tha ,
 


{ Muslim }


8- Sahifa Anas bin Malik raz ,
Rasoolullah saw ke khas khadim Anas bin Malik raz , ne Rasoolullah saw , se khud Hadeesen suni or likhi fir Rasoolullah saw , ko suna kar unki Tasdeeq bhi karwai ,
 

{ Hakim }


9- Sahifa Abdullah bin Abbash raz ,
 

Abdullah bin Abbash raz , ke paas Hadeeson par mustamil kai kutub thi ,
{ Tirmizi }
Jab Abdullah raz , Maut ho gayi to unke paas se ek Camel oount ki bojh ke barabar kitaben thi ,
 


{ Ibne Shaad }


10- Sahifa Sadiqah ,
 


Abdullah bin Amr bin al-Aash raz , ke paas Hadeeson ka bohat bada zakhira bhandhar tha jiske baare mein woh khud farmaya karte the , Sadiqah woh kitab hai jis se maine Rasool saw se seedhe seedhe sunkar likha hai ,
 


{ Darmi }
 


Syed Abu Bakr Gazmawi rh , ki tahqeeq ke mutabik Sahifa Sadiqah mein 5374 se zayada Haseesen thi yaad rahe ke Bukhari o Muslim ki Gair Makroh Hadees ki tadad 4000 se zayada hadees nahi ,
 

{ Kitab at Hadees
Aahad e Nabwi saw mein }



11- Sahifa Umer bin Khattab ,
Is Sahifa mein Sadqat o Zakat ke Hukm Mauzud thi , Imaam Malik rh farmate hain maine Umer raz ki yeh kibab khud padhi thi ,
 


{ Moatta Imaam Malik }


12- Sahifa Usmaan raz ,
Is Sahifa mein Zakat ki Jumla
Maqsad Mauzud thi ,
{ Bukhari }



13- Sahifa Abdullah bin Masood raz ,
 


Abdullah bin Masood raz , ke Bete Abdur Rahman farmaya karte they ke yeh Sahifa unke walid ne apne haath se likha hai ,
 

{ Aaina e Parweziyat }


14- Musnad Abu Hurairah raz ,
 


Unke Nuskeh Sahaba ke Daur hi mein likhe gaye uski ek nakal Umer bin Abdul Azeez rh , ke walid Abdul Azeez bin Marwan rh ,
ke paas mauzud thi ,
Marwan Mishr Maut 86 hizri ,
 


{ Bukhari }


15- Khutba Fathe Makkah ,
 


Ek Yamani basinda abu Shah ki request binti par Rasoolullah saw , ne poora Khutba karane ka hukm diya ,
 


{ Bukhari }


16- Riwayat Aaisha Siddiqa raz ,
Aaisha Siddiqa RaziAllahu Anhuma , ke riwayat unke Shagird Urwah bin Zuber raz ne likhi ,
 


{ Dibacha Intekhab e Hadees }


17- Sahifa Saheeha ,
 


Yeh Sahifa Abu Hurairah raz , ne Murtab karke apni Shagird Hammam bin Mubrah rh , ke Ilma Karaya us mein 138 Hadeeesen hain jiska zayada tar taluk Aqlah se hai yeh Sahifa Hind o Paak mein Saye publicity ho chuka hai ,
 


Yaad rahe Abu Hurairah raz ki Umr 59 hizri mein hui hai jiska matlab hai ke yeh Anmol tareeki Kitab sahaba raz ke daur ki sab accha yaad gaar hai ,
Is Sahifa ka ek Nuskah jo chatti sadi mein likha gaya tha Muhaqeen Doctor Hamidullah sahab Prorish ne Damishk ke maktaba zahiriyah se maloom kiya,
 


Jabke is Sahifa ka doosra Nuksha 12wi sadi mein likha gaya tha Mausuf hi ne Barlin Library se maloom kiya dono kalmi Nuskhon ka mukabla karne par maloom hua ke dono Nuskhon ki tamam Hadeesen mein koi fark nahi ,
 


Sahifa Saheeha jisse Sahifa Humman bin Murwah bhi kaha jata hai , ke tamam Hadeeson ne sirf Musnad Ahmad mein likhai mauzud hai ,
Balke tamam Ahadees Kutub e Sitta mein Abu Hurairah raz , ke hawale se milti hai Mano Sahifa Saheeha is baat ka khula subot hai ke Hadeesen Ahad e Nabwi saw , or Ahad e Sahaba raz , mein likhi jati thi or Sahifa ki tamam Hadeeson ka Musnad Ahmad or Kutub e Sitta ki doosri Kitabon mein usi tarah ek hi jaise Lafz ke saath mauzud hona Hadeeson ki sehat ka bohat bada subot hai ,




18- Sahifa Baseer bin Nahiq rh ,
 


Abu Hurairah raz , ke ek doosre shagird Baseer bin Nahiq rh , ne Murtab kiya or Abu Hurairah raz , ko suna kar uski tasdik karai ,
 


{ Abdul Ibn e Bar,Jame Bayan ul Ilm }


19- Maktubaat e Naafe rh ,
 


Maktubaat e Abdullah bin Umer raz , ne Ilma karwaya or Naafe rh ne likha,
 

{ Darmi }


20- Kuttut o Wasaeef ,
 


Hadeeson ki Baqaida Kitabi Jakhiron ke alawa Aap saw ki thareer karwaye hue Kuttut o Wasaeef ki tadad Saikaddo mein hai jis mein kuch ek misal yeh hai ,


A- Dastori Muahedah ,
 


Hizrat ke baad Madina Munawara mein Islami Siyasat ki bunyad rakhte hi Aap saw , ne Muslim or Gair Muslim ko Adhikar Huquq o Kartabyh Jimmedari ke taluk se 53 dharao ka ek dashtori Muahidah taay kiya jis se tahreer karwaya gaya ,
 

{ Ibn e Hisham }


B- Sulah Hudahbya ke baad Rasooullah saw , ne Qaisar o Qishra Mukukash or Najashi ke alawa Bahren, Oman , Damishk , Yaman , Najd , Dimtul Jundub or Qabila Hamir ke Hakimon ko Daw'ati Kuttut bijhwaye ,
 


{ Rasoolullah saw ki Siyasi Zindagi }


C- Ek lashkar ko jang par rawana farmayte hue Rasoolullah saw , ne lashkar ke sardar ko ek Khat likhwa kar diya or farmaya falah jagah par pahonch ne se pahle is na padha jaye is Jagah par pahonch kar lashkar ke sadrdar ne khat khola or logon ko Rasoolullah saw ka hukm padh kar sunaya ,
 


{ Bukhari }


D- Dauran e Hizrat Suraka bin Malik ko parwana Aman likhwaya gaya ,
 

{ Ibne Hisham }


E- Apne Gulam Rafeea raz , or Alai raz ko azad karte waqt tahreeri parwana azadi ata farmaya ,
 


{ Mukaddama Sahifa Saheeha , Musnad Ahmad }


F- 2 Hizri mein Qabila bin Zamrah ,
 


5 Hizri mein Faraza or bani Gitfhan ,
 


6 Hizri mein Quraish e Makkah ,
 


9 Hizri mein Aqedar bani Abdul Malik se Tahreeri Muahidah taay kaiya gaya ,
 


{ Tabranhi , Ibne Shad ,
Ibne Hisham , al-Shaik }



G- Yahood e Khaybar ko ek Sahabi ko Qatl karne par Dooth ada karne ja tahreeri hukm jari farmaya ,
 


{ Bukhari o Muslim }


H- Gavarnor Yaman Muaz raz , ko ladke ki wafat par tahreeri taziyat naama irshal farmaya ,
 

{ Mustadrak Hakim }


I- Yamama raz , ko Ahle Makkah ke liye Gallah na rokhne ki tahreeri hidayat jari farmai ,
 

{ Fath ul Baari }


J- Bilal bin Harish Mazme raz , ko jabal Kadash ke Damaan mein Jagah dene ke liye tahreeri hukm naana jari farmaya ,
 

{ Abu Daood }


K- Alag-Alag Qabail ke naama Dooth ke marail likhwa kar bijhwaya ,
 


{ Muslim }


5 - Tabai ke Daur 181 Hizri Tak Mein Hadeesen Likhna o Sakal Jama ,

Tabai ke daur mein Hadees ke Imaamon ki ek aisi Jamaat taiyar ho gayi jis ne Ahad e Nabwi saw or Ahad e Sahaba raz mein likhi or jama ki gayi Hadeeson ke saath-saath doosri Hadeesen bhi samil karke Hadeeson ki bohat bada Bhandhar taiyar kar diya ,
Is Daur ke kuch tahreeri Kawisho ki kuch misal yeh hai ,


1- Urwah raz ne Gazwat Jang ke baare mein Hadeeson ka Bhandhar Martabah kiya ,
{ Tahzib ut Tahzeeb , Jild 7 }



2- Taaus rh ne Dooth ke baare mein Haseesen Jama ki ,
{ Bahqi }



3- Khalid bin Madhan al-Kalaai rh , ne Bohat sari alag-alag Haseesen Jama ki,
{ Tazkerat ul Huffaz , Jild 1 }



4- Wahab bin Munabba raz , ne Jaber bin Abdullah ki Riwayaton ka majbua taiyar kiya ,
{ Tahzib ut Tahzeeb }



5- Salman rh , Lashkari ne bhi Jabir bin Abdullah ki Hadeeson ka ek Bhandhar taiyar kiya ,
{ Tahzib ut Tahzeeb }



6- Abu Zaznaad rh ne apne ustad se halal o haram ke mutallik tamam Hadeesen taiyar ki ,
{ Abdul Ibne Bar ,
Jame Bayan ul Ilm , Jild 1 }



7- Imaam Malik bin Anas rh , ne Hasees Sharif ka Mustaanad Bhandhar Moatta Imaam Malik ke Naam se Murtab kiya jise Hadees ke Kitab mein Bunyadi makam hasil hai ,


8- Muhammad bin Muslim bin Shahab Johri rh , ne Shagirdana mein Sunnan o Aashaar Sahaba raz Darz ki ,
{ Abdul Ibne Bar ,
Jame Bayan ul Ilm , Jild 1 }



9- Umer bin Abdul Aziz rh , ne apne khilafat ke daur " Safar 99 Hizri se Rajab 101 Hizri " mein Hadees ki shakal Jama ke liye Hukumati satah par taiyari ki , Is maksad ke liye Islamic Desh ke tamam Mahir Muhaddisen ko Hadeeson ko Jama o Sakal ka Hukm zari kiya , Jis ke Natize mein Haseeson ki bohat se Bhandhar Rajdhani Capital Damiskh mein pahochaya gaye ,
Un Bhandhar ki Tahqeeq o Tarteb Mashur Tabaai or Mashur Muhaddis Muhammad bin Sahab Johri rh ,
Maut 124 Hizri ,
ne ki or unke nakal copy Islamic Desh ke kone-kone mein faila di gayi ,


Is jamane mein Hadees ke Jama par kaam karne wale Doosre Muhaddisen ke Naam yeh hai ,


A- Abdul Aziz bin Johri al-Basri rh , Makkah Mukarrama mein rahte they ,
maut 150 hizri mein hue hai ,



B- Muhammad bin Ishaq rh ,
Madina Mubbarak mein rahte they ,
maut 151 hizri mein hue hai ,



C- Saeed bin Rashid rh ,
Yaman mein rahte they ,
maut 153 hizri mein hue hai ,



D- Saeed bin Urwah rh ,
Bashra mein rahte they ,
maut 156 hizri mein hue hai ,



E- Abdur Rahman bin Amr Auzae rh ,
Sham mein rahte they ,
maut 157 mein hue hai ,



F- Muhammad bin Abdur Rahman rh ,
Madina Mubbarak mein rahte the ,
maut 158 hizri mein hue hai ,



G- Rabeea bin Sabib rh ,
Bashra mein rahte the ,
maut 160 hizri mein hue hai ,



H- Sufyan as-Suri rh ,
Khufa mein rahte they ,
maut 161 hizri mein hue hai ,



I- Jamaad bin abi Salma rh ,
Bashra mein rahte they ,
maut 167 hizri mein hue hai ,



J- Malik bin Anas rh ,
Madina Munawara mein rahte they ,
maut 179 hizri mein hue hai ,



K- Imaam Shabi rh , Imaam Johri rh ,
Imaam Makhul rh , or Kazi Abu Bakr Hajmi rh , ki Mahth Purn Kitaben Tabaai ke Daur hi ki yaadgar hai ,
 


{ Hifazat e Hadees }


L- Jameya Sufyan as-Suri rh ,
Jameya Ibnul Mubbarak rh ,
Jameya Imaam Auzaai rh ,
Jameya Ibne Zahir rh ,
Musnad Abu Hanifa rh ,
Kitab ul Khiraz Kazi Abu Yusuf rh ,
Kitab ul Aashar Imaam Muhammad Jauzi rh , jaise unchi choti ki Kitaben isi Daur mein likhi gayi ,
 


{Aaina e Parweziyat , Jild 4 }


6- Taabai Ke Daur Ke Baad ,
Taabai rh ke daur 181 hizri mein Hadees shakal Jama ki in koshish ke baad yeh kaam itna tezi se hua ke Tishri 3sri sadi mein sirf Musnad ke tarz par Murtab ki gayi Kitabon ki tadad 100 - 100 Se zayada hai , isi mubbarak daur mein Hadees Sharif ki sabse zayada pyare or Kitaben
Saheeh Bukhari ,
Saheeh Muslim ,
Sunnan Abu Dawood ,
Jamme Tirmizi ,
Sunnan Nasaai ,
Sunnan Ibne Maazah ,
Sunnan Darmi , murtab ki gayi ,



Uper likhe hue bayan ko dekhte hue Hum poore Yaken se yeh kah sakte hai ke ,
Pahla - Hadeesen Saheeha ka Galib taren hissa Rasoolullah saw ke paak zindagi mein likha ja chuka tha ,


Doosra - Chuke Ahad e Nabwi saw , or Ahad e Sahaba raz ka tamam tahreeri sharmaya Taabaen rh ki Murtab ki gayi Kitabon mein mauzud hai , Matlab Hadees likhne or Hadees Jama ki kosish mein Ahad e Nabwi saw se lekar aaj tak kahi bhi rukawat paida nahi hue ,


Tishra - Hadees e Saheeha ka jo Bhandhar aaj hamare paas mauzud hai woh Yakeenan thik-thik waisa hi ek mahfoz or mazbut zanzeer ki jodi kadiyan ke jariye Rasoolullah saw , ki zindagi se baad mein aane wali naslon mein Muntaqel hua Hai ,


Is Artical ko padhne wale Millat e Islamiya ke Bhaiyon o Baheno ,
Andaza lagayen ke Rasool e Kareem Sallallahu Aalayhe Wasallam , ke 200 ya 250 saal baad Hadees ke shakal Jama ka Fitna failana or man ghadat hai ,


Asal mein Hadees ke khilaf is saari shararat ka Asal maksad inhe aaithraz ke parde mein Muslim shamaj ko Kitab o Sunnat ki pawandagi se azad karna or Magrib West ki Nangi azad tahzeeb ko Musalmano par thopna hai ,


Jis mein Munkeeren e Hadees INSHA ALLAH Kabhi bhi kaamyab nahi ho sakenge ,
APNI MILLAT PAR QAYASH
AANKAWAMI MAGRIB SE NA KAR ,
KHAS HAI TARKEB MEIN QAUM
RASOOLULLAH HAI HASHMI ,¡¡¡




Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Denewala banaye,
Ameen Ya Rabbil Aalameen ,




Posted By-Abdur Rahim Shah
aana.ahlehadees.7@facebook.com

AUR MAIN MARR GAYA......ZINDAGI SE 40we TAK KA SAFAR (PART -2)






Bismillahirrahmanirraheem



AUR MAIN MARR GAYA .........!



Aakhiri deedaar ke liye mere muh se chaadar hataayi gayi, badi be'dhangi si kataar me sabhi mera muh dekhkar aage badhne lage, koi apne kaano ko haath lagaata, koi muh ooper karke haath jodhta,

kisi ki aawaaz aayi, ya allah maaf karde, aur koi mere beton ko dhoond raha tha taake apni haaziri lagwa sake,

phir mujhe kandhon par uthaakar sabne meri qabr ki taraf (jo pahle taiyyar thi) chalna shuru kar diya,

phoolon ki dukaan se kuch ne ghulaab ke haar liye aur kuch pattiyan lifaafe me daal kar le aaye,

mujhe qabr me utaar kar mere uper mitti daali jaane lagi,

mere baaz khair'khwaah saath waali qabron ki mitti bhi mujhpar daal rahe they, is tarah mujhe mano mitti tale daba diya gaya, sab apne apne gharon ko chale gaye, har taraf khamoshi chha gayi, main jootiyon ki aawaazein sun raha tha,

main samjha ke jitni saza milni thi mil chuki. Ab qabr me Aaraam se pada rahoonga, magar ye baat mere waham wa ghumaan me bhi na thi ke ab ek mustaqal azaab se paala padne waala hai, aisa dardnaak azaab ke allah kisi dushman ko bhi na dikhaaye,

meri qabr ke baaher ghulaab ki khushbu aur agar'battion ki lapatein aur geeli mitti ki apni ek mahak thi, magar qabr me mera jee ghabra raha tha,

qabr ne ajeeb tareeqe se mere saath shikwah kiya

" aiy ghaafil insaan ! Tu duniya me magan tha, magar koi din aisa nahin ghuzra jis din maine tujhe awaaz na di ho ke main wahshat ka ghar hoon, main tanhaayi ka ghar hoon, main khaak ka ghar hoon, main keedon ka ghar hoon, jitne log meri past par chalte they, mere nazdeeq un sabse ziyaadah qaabil e nafrat tu tha, jabke aaj main tujh par haakim bana di gayi hoon aur tu meri taraf majboor kar diya gaya, tu dekhega ke main tere saath kaisa bura sulook karti hoon "


aanan faanan do siyaah farishtey meri qabr me aa dhamke, unhone Mujhe uta kar baitha diya ( na poocho us waqt meri haalat kya thi, us waqt main thar thar kaanp raha tha) intehaayi ghazab'naak lehze me bole..

Hairaani ki baat hai ke zindagi me shaayed kabhi maine koi Quraani aayat ya hadith e nabwi suni ho, lekin mujhe arabic sahih samjh me aa rahi thi ke ye pooch rahe hain ke

"tera rabb kaun hai ?"

ajeeb khabat sawaar hua mujh par ke main ne jawaab dene ki bajaaye ajeeb qism ki badh maarna shuru kar di, jaise shaitaan ne kisi ki chhoo kar baawla kar diya ho, mere mun se nikla

"haay haay main nahin jaanta"

phir mazeed shakhti se bole

" tera deen kya hai ?"

dobara maine wahi jawab diya

intehaayi ghazab'naak hokar bole

" kaun hain jinko teri taraf bheja gaya ?"

kismat khoti ke us waqt bhi meri zubaan se wahi alfaaz nikle


aasmaan se aawaaz aayi

" ye jhoota hai, iska bistara aag ka bicha do, ise aag ka libaas pahna do, iske liye dozakh ki taraf ek darwaaza Khol do "


ye awaaz aane ki der thi ke usi waqt meri qabr me lau aur garmi aana shuru ho gayi, aur qabr itni tang ho gayi ke meri pasliyan ek dusre me ghus gayin,

phir kya sunaaun ! Ek andha aur bahra farishta meri qabr par musallat kar diya gaya, jiske haath me lihe ka ek gurz tha, usne usse mujhe maarna shuru kar diya aur itna maara ke meri cheekhon ki awaaz jinno aur insaano ke elaawa ird gird ki baaqi tamam cheezein sun rahi thi....


Bhaiyyon aur bahno ! Agar tumhe pata chal jaaye ke mujhe us waqt kitni taqleef hui toh allah ki qasm ! Tum log apne murde dafnaana chhod do..


Bhaiyyon aur bahno ! Yahan maine bahut kuch bardaasht kiya aur ab bhi kar raha hoon, magar ek baat jo is saza se zyaada aziyat'naak dikhaayi de rahi hai, wah ye ke

aiy allah ! Qayamat ke roz ye zaleel wa makrooh chehra lekar kisi tarah tere huzoor haaziri doonga

apne jaraim ka tujhe kya jawab dunga ??

Qabr me toh koi dekhne Nahin aata ke yahan mere saath kya ho raha hai, magar maidaan e hashr me toh saari ummatein hon gi, saare ambiya e kiraam honge aur khususan sarwar e kaaynaat janab Nabi e akram sallalaho laihi wasallam bhi maujood honge, kya sochenge mere baare me ????


Kaash ! Koi bahen ya bhai mera ye paighaam meri aulaad ko bhi pahuncha de ke

" aao apne bad'naseeb baap ki angaaron se bhari hui qabr dekho,

mere bacchon ! Meri qabr me mujhe bahut se saanpon ne gher rakha hai jo saara din mere jism ko nochte rahte hain,

mere beton ! Meri qabr par ek baar toh aakar dekho, agar tumhe yahan aane ki fursat nahin toh mere chhode hue maal mese kuch sadqah kar do,

ye bhi toh ek misqeen ki ek ilteja hai ke mere zimma abdurrahman ki raqam hai, jiska tumhe ilm hai, kamse kam uska kuch kardo,

barkhuddaar ! Abhi tak tumne usse raabta nahin kiya, tumhe yaad hoga ke tumne janaaze me elaan bhi kiya tha, abdurrahman ne us waqt  Munaasib na samjha ke raqam ke baare me tumse baat kare,

uski sharaafat dekho ke raqam ke mutaalbe ke liye aaj tak tumhaare darwaaze par nahin aaya,

allah ke waaste ! Kam se kam wahi hisaab chuka do,"

main yahan bahut be'bas hoon, cheque book safe me padi rah gayi, aur aate waqt tumne meri RADO ki ghadi, sone ki angoothi, locket, purse, sab kuch nikaal liya, hatta ke mere kapde tak utaar liye, ab yahan kya hai mere paas ???


Kal jab wah mujhse maangega toh main kahan se doonga ??

Nekiyan toh pahle hi mere paas nahin ke use de kar raazi kar loon, ab lagta hai uske gunaah mujh par laad diye jaayenge....


Beta ! Kitne dukh ki baat hai ke karza ada karne ki tumhe taufeeq na hui , magar mere CHAALISWEN (40wa) par tumne kai lakh  kharch kar daale,

kya zaroorat thi itne bade bade logon ko ikatta karne ki ??

Kya zaroorat thi akhbaar me khabar aur tasweeraat lagwaane ki ???


Kya zaroorat thi dawati Cards chhapwaane ki,

Roasted murga, paaye, biryaani, meethe chaawal, feereeni wagerah ki lino me saja kar vedio banwaate hue tumhe zara sharm na aayi aur phir doob marne ka maqaam tha jab do Bhaaand shaamiyaane aur itna bada majma dekhkar makhsoos awaaz nikaalte hue pindaal me aaye,

wah toh ek sahab ne aqalmandi ki ke jaldi se aage badh kar unhe bataya ke -" shadi ki taqreeb nahin, balke haaji sahab ka chaaaliswan hai"

Magar wah bhi aakhir bhaand they, jaate dafa kahne lage

" mashaallah ! Haaji sahab ke chaaaliswen ka ye haal hai toh shaadi par kya toofaan barpa hua hoga"


Mere bachhon ! Jab tum ghar me ( jise main itna samjhta tha) zor zor se kahkahe lagaate ho toh allah ki qasam ! Mujhe yahan bahut taqleef hoti hai itne be'huda aur fahash gaano ki awaazein is ghar se buland hoti hai ki allah ki panaah,


Agar gaane bajaane ke be'ghair tumhari ghuzar nahin hoti toh kam se kam awaaz hi aahista rakha Karo,

mere marne ke baad nayi Car, nayi motor cycle, kya sochte honge muhalle waale ??

Tumhaare saamne toh kuch nahin kahte , magar saara muhalla kahta hai ke

"Baap ne marne par jashn mana rahe hain"

mere bachon ! Main jaanta hoon ke tumhaara waqt bahut keemti hai,

bas aakhiri baat ! Iske baad kuch nahin kahunga,

beta ! Apni maa aur apni bahno se kahna ke allah se daren, chand din bhi unse sabr na ho saka , khoob banaao singaar karke itne chamkeele, bhadkeele libaas aur khule baalon ke saath be'pardah baaher aana jaana chhod den,

kyon karte ho ye sab kuch ???


Kyon aziyat dete ho mujhe ???

Yaqeen maano ! Ye sab kuch karte tum ho aur bhugatna mujhe padta hai, meri saza me izaafa hota hai,

kyon karte ho is tarah ??


Aakhir main tumhaara baap hoon, jo sulook tum mere saath kar rahe ho is tarah toh koi shareef hamsaaya bhi nahin karta, tum meri aulaad ho,

baap samjhkar nahin toh kam se kam ek Hamsaaye jitni ahmiyat toh de do,

zindagi me tum abba jaan, abba jaan kahte thakte nahin they, tumhe hi paalne ke liye Haraam kamaata raha,

aaj kya ho gaya hai mujhe ??

Yahi na ke yahan mere paas daulat nahin hai,

tumhaara satya nash ! Drawing room me meri itni badi tasweer par haar daal kar saja rakhi hai, kisko dikhaane ke liye ??

Jaao ! Main tumhe apni jaaydaad se aaq karta hoon,

Allah tum jaisi aulaad kisi ko na de....


Khair ! Is me mera apna kusoor bhi hai, maine aulaad ke liye sab kuch kiya, magar unki tarbiyat ke liye kuch bhi na kiya,

main kahta tha ke bacche bade hokar kya kahenge ke hamare baap ne hamare liye koi jaaydaad bhi nahin banaayi,

Afsos ! Agar unki tarbiyat allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke tareeqe par karta toh aaj yahi aulaad mere liye Sadaqah jaariya hoti

us waqt agar koi kahta ke

" apni aulaad ko quraan ki taaleem bhi dilwaao"

toh main Kahta -" maine use afsar banaana hai koi mulla nahin banana "


afsos ! Acche afsar toh ban gaye magar acche musalman na ban sake,

ya kam se kam ek beti ki acchi tarbiyat kar deta toh shaayed mere liye jannat me daakhile ka zariya ban jaati,

magar ab pachtaane se kya faayeda, ye toh zaahir hai ke, jaisa karoge waisa bharoge

mujh jaise na'farmaan maa baap ka yahi haal hona chahiye


bhaiyyon aur bahno ! Bas aakhiri baat ! Mere lazarte hue haath dekho,

ab allah ka waasta dekar kahta hoon mere is anjaam se ibrat pakdo,

budhaapa aane se pahle is jawaani me kuch kar lo, bimaari aane se pahle is tandrusti me kuch kar lo,

tangi aane se pahle is khush'haali me kuch kar lo

masroofiyat me aane se pahle fursat me kuch kar lo, aur maut aane se pahle zindagi me kuch kar lo !

Warna meri tarah pachtaaoge, bahut pachtaaoge........


Mujhe ab ummeed ki ek hi kiran nazar aati hai ke meri baatein sunkar kisi bahen Ya bhai ne alalh ke khauff se sirf ek aansu baha diya aur sacchi tauba karli toh na jaane kyon mera dil gawaahi deta hai ke ek aise fardh ki badolat allah meri Qabr thandi kar deda, mera azaab tal jaayega,

meri Qabr ki tangi kushaada kar di jaayegi, mujhe jannati khushboo aayengi, meri qabr me jannati bistar bichh jaayega, mujhe jannati libaas pahna diya jaayega

aur kaha jaayega

"soja ! Jis tarah dulhan so jaati hai"


Bhaiyyon aur bahno ! Ab taras khaao, is bad'naseeb bhai par,

allah ke waaste ! Susti na karna .

Abhi se yahan aane ki taiyyari shuru kar do,


meri taraf dekho ! Mujhe mare hue kai saal ghuzar gaye, magar jaan nikalte waqt jo taqleef hui, aaj bhi mahsoos kar raha hoon,

ab toh dil se ek hi dua nikalti hai ke

parwadigaar ! Mujh jaise anjaam se har musalman mard aur aurat ko mahfooz farma

unki qabr aur hashr ki manzilein asaaan farma...........AMEEN

Monday, January 28, 2013

AUR MAIN MARR GAYA......ZINDAGI SE 40we TAK KA SAFAR (PART -1)






Bismillahirrahmanirraheem



AUR MAIN MARR GAYA......!



Maqam e ibrat hai un logon ke liye jo allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke ahlaamaat ko   na sirf past pasht daalte hain balke ulta mazaaq udhaate hain aur aakhirat ki zindagi unhe qata'an yaad nahin, agar isi haalat me unhe maut  ne ghera toh allah na kare ke kisi ka anjaam is shakhs jaisa ho......


Mera bachpan naadaanion me ghuzar gaya, jabse hosh sambhaala, apne badon ki tarah duniya ki taraf bhaagta raha, mujhe gharz daulat se thi, chaahe halaal tareeqe se aaye ya haraam, soodi len den, cricket matches me shartein, Prize bond, lottery aur rishwat ki kamaayi ne dono me mujhe crorepati bana diya,

itni daulat ikatthi ki ke mujhe andaaza nahin, har qism ka naya fashion mere ghar me aata, hi fi T.v, dher saari filmen, dish, gharz aisi koi nahoosht na thi jo mere ghar me maujood na ho,

raat ko family ke saath kamse kam Ek film dekh kar sona har roz ka mamool tha,

jab koi mahmaan ghar aata main bade fakhr se chhoti beti ko awaaz deta,

"Beti ! Zara uncle ko aur Aunty ko dance toh karke dikhaao "


dusre bacche bhi dramo aur filmon ki mukhtalif kirdaaron ki naqalen utaarne me bade maahir they,

mukhtalif film ke Dialogue unko khoob yaad they, jhoom jhoom kar gaane sunaate aur acchi kaarkirdgi par inaam paate....


Ghar me gate par numaaya likha tha

" haaza min fazli rabbi"

aksar mere zehan me aata ke Shaitaan mere baare me kya sochta hoga ke daulat ikatthi karne ke saare gur maine sikhaaye , phir usi kamaayi se itna aaalishaan ghar bana aur ab itne be'wafa nikle ke us par likhwa diya

" haaza min fazli rabbi"


intezaamiya se theek thaak maraasim ki wajah se koi mujhe poochne waala na tha, mera shumaar shaher ke chand ek raeeson me hota,

itni daulat hone ke ba'wajood saari umar mujhe hajj ki sa'aadat naseeb na ho Saki, lekin aksar log mujhe Sahab kah kar pukaarte, mere yahan aksar majma laga rahta, oonchi aawaaz me ek dusre ko gaaliyan dena toh aam maamool tha, aur is shor sharaabe se poora mohalla tang tha, khususan agar pados me koi bimaar hota, magar kisi ko mere khilaaf baat karne ki jurraat na thi,

Mohalle ki masjid me mera aana jaana bas Eid ke roz hi tha,


duniyaawi baatein karne me main thakta nahin tha, meri zabaan kainchi ki tarah chalti,

magar bad'qismati se meri zabaan allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke zikr karne ke maamle me bilkul goongi thi,

kabhi kisi daadhi waale se saamna hota toh na jaane kyon tabiyat machalne lagti, khoob bahas mubaahasa hota aur aksar baatonme mere dalail kuch is qism ke hote


NAMAZ

"soofi sahab ye toh faarigh logon ka kaam hai, abhi toh badi umar padi hai,a bhi taange saath de rahi hain, jab taangen kaam karna band ho jaayengi phir Masjid aur tasbeeh hi rah jaayegi,"


ROZA


" roze toh rakhen ghareeb, jinke paas khaane ko kuch nahin, ham toh khaate peete log hain"


ZAKAAT


"ye toh tax ki ek Qism hai, aur wah ham huqumat ko de rahen hain"


DAADHI


" Hazrat ji ! Ye koi umar hai daadhi rakhne ki ? Kyon shaadi ki market me mera rate dawn kar rahe ho, mujhe abhi chacha ji ,baba ji nahin kahlawana"


PARDAH



" pardah toh dil ka hota hai, tum logon ki niyyat me futoor hota hai"


SADQAH


" allah chaahta toh ghareebon ko khud khila deta, jinhe allah na de unhen ham kyon den ??"


AAKHIRAT


"Chhodo ji ! Ye sab maulwion ki ghadi hui baatein hain, khwaah ma khwaah daraate rahte ho, wah jahan kisne dekha hai,

haan ! Agar aisa koi chakkar hua toh chunke mujhe yahan bahut kuch mila hua hai, aage jaakar bhi mere paas bahut kuch hoga, phir kya mujhe koi akele marna hai, jahan sabhi honge, wahan main bhi chala jaunga, 4 din ki zindagi Hai, khoob ayyashi ke saath guzaaro "


Waqt ghuzarta gaya, La'parwaahi din ba din badhti gayi,

ek din achaanak mere wajood ne kaam karna chhod diya,

ek baar aisi haalat ho gayi ke sirf ek ghilaas paani maangne ke liye mujhe poore jism ki quwwat sarf karna padi,

agle hi lamhe doctaron ki poori team mere gird maujood thi, mere kaano me awaaz padi ke dil ka shadeed daura hai, Bas dua kijiye !

Ye sunte hi mujh par kya ghuzri, ye main hi jaanta hoon,

mere allah us waqt mujhe pata chala ke main kitni Baqwaas kiya karta tha ke Mauseeqi (music) rooh ki ghiza hai aur gaane bajaane se dil ko sukoon milta hai,

aaj toh mujhe us sukoon ki bahut zaroorat thi, aaj mera dil gaane sunne ko kyon nahin chaah raha ????

Mujhe shaher ke ek bade hospital ke ek air conditioned kamre me laakar lita diya gaya, main bed par pada chhat (roof) ko dekh raha tha,

hairaani ki baat hai ke us waqt chhat ek bahut badi Screen thi,Aur uspar meri ghinauni zindagi ki poori film chal rahi thi, chhote bade gunaah sab saaf nazar aa rahe they

Aah ! Kaisi ajeeb film thi ???

Main gunaah karna toh darwaaze band kar leta ke koi dekh na le,

Afsos ! Ye na socha ke ek zaat aisi bhi hai  jo meri ek ek harqat dekh rahi hai, meri bad'bakhti ke farsh waalon se mujhe itni sharm aati rahi aur Arsh waale se mujhe kabhi sharm na aayi

Aah ! Kitna be'sharm tha main,

Us waqt mujhe ehsaas hua ke,

" aiy bad'bakht insaan ! Allah taala ki hasti kis qadr saabir hai ke teri musalsal bad'aamaalion aur siyaah kaariyon apr us zaat ne kitna sabr kiya aur tu aisa zaalim tha ke itni mohlat diye jaane ke ba'wajood apni jaan par zulm karta raha "


Apni isi bhayaanak film me uljha hua tha ke mujhe mahsoos hua ke jaise mere gird ' LA ILAAHA ILLALLAH '  ka wird ho raha hai, phir achaanak qalime ke wird me tezi aa gayi,

hairat hai ! Jab main gaane sunta toh Be'akhtiyaar meri zabaan harqat karti, saath saath main bhi gungunaata tha, magar aaj ek hi jumle ka wird ho raha tha, magar badi koshish ke ba'wajood meri zabaan se ek lafz jaari na hosaka.....


Mujhe mahsoos hua ki jaise mujhe ubalti hui deig me daal diya gaya ho, jaise talwaar se mere tukde karna shuru kar diye gaye hon, jaise zinda bakri ki khaal utaari ja rahi ho,, jaise belne me ganne ke saath mujhe bhi daal diya gaya ho, jaise mere jism ke chappe chappe par drill machine daal diya gaya ho, jaise rail ki patri par mera sar rakh kar uper train ghuzaar di ho, jaise zinda chidiya ko aag par bhoona ja raha ho, jaise ek kaante daar tahni ko mere andar daakhil karke ek dum baahir kheench liya gaya ho,

Allah ki qasam ! Agar maut ki is talkhi ka jaanwaron ko pata chal jaata toh duniya waalon ! Koi tandrust jaanwar tumhe khaane ko na milta...


Main bahut chillaaya, bahut waawela kiya, allah ko waasta de Kar mutmain karta raha ke aaj chhod do, main bahut nek ho jaunga, aindah gunaah ke qareeb bhi na phatkunga, nahin chhodunga aajse namaz, nahin sunoonga aaj se gaane, nahin dekhunga filmen

Haaye mere allah ! Haaye maa ! Kash toone mujhe jana hi na hota, kya ho gaya hai mujhe, aaj toh mera maal bhi mere kaam na aa raha hai, kahan marr gaye kaarinde, kahan marr gaye taallukaat, kahan gaya mobile par music ka baar baar bajna ???

Achaanak malikul maut ki dahshatnaak awaaz mere kaanon tak pahunchi, jisne rahi sahih kasar bhi nikaal di

" Nikal aiy khabees rooh ! Apne khabees badan se nikal ! Aaj tu bahut qaabil e muzammat hai, kholte hue paani, peep, zaqoom aur tarah tarah ke azaabon ki tujhe khush'khabri ho"

uff mere allah !kya har badkaar ki rooh aise hi nikalti hai ??

Us waqt main itni taqleef mahsoos kar raha tha ke jaise kisi ne baareek sa kapda kaante'daar tahniyon par daal kar zor se apni taraf Kheencha ho, is tarah mera saara badan taar taar ho gaya, pahle paaon thande hue, phir pindalian aur aahista aahista poora badan thanda ho gaya.......

AUR MAIN MARR GAYA !


Malik ul maut ne meri rooh kheench kar nikaali (jaise garam salaakh, geeli Oven me rakh kar kheench i gayi ho), usi waqt aasmaan se kaale chehre waale farishtey utre, unhone palak jhapakne me meri rooh ko pakda aur ek gande se taat me lapet diya jo unke paas pahle se maujood tha,

ek waqt tha ke main ghar se bahtareen suit aur aala Qism ki khushboo lagakar nikalta aur jis gali se ghuzarta, pata chalta ke falan sahab ghuzar rahen hain,

magar aaj mujhse is qadr badboo aa rahi thi jaise kai jaanwaron ki laashen kisi jagah ikatthi padi hon,

farishtey meri rooh ko lekar aasmaan ki taraf chadhna shuru ho gaye, wah farishton ki jis jamaat ke paas se ghuzarte

wah poochte ye khabees rooh kis ki hai ???

Wah kahte-" falan bin falan ki "


Bahut bure tareeqe se mera naam bata rahe they, jis taraf se ghuzar hua anginat farishton ki awaazein mere kaanon me goonj rahin thi, laanat ho , laanat ho, laanat ho,


aasmaan e duniya par pahunch kar farishton ne darwaazah kholne ke liye kaha, magar darwaaza na khola gaya

awaaz aayi -" is qism ke logon ke liye aasmaan ke darwaaze nahin khole jaate aur na hi is qism ke log jannat me daakhil honge, inka jannat me jaana itna hi muhaal hai jitna sui ke naake me oont ka daakhil hona"


Phir meri rooh neeche phenk di gayi...


Idhar jama masjid ke bade bade speakaron se mere janaaze ka elaan ho raha tha,

wah masjid jiske baare me pahle bata chuka hoon ke saari umar mujhe kam hi daakhila naseeb hua,

magar na jaane kyon aaj ajeeb qism ke taareefi kalimaat ke saath mere janaaze ka baar baar elaan ho raha tha aur har martaba mujhe haaji sahab kah kar pukaara gaya,

zindagi me jab kisi ke marne ka elaan hota Toh main hanste hue kahata

" lo ji ! Aaj ek aur sahab out ho gaye"

lekin ye baat mere waham wa ghumaan me bhi na thi ke usi speaker par bhi mere janaaze ka elaan hoga....


Meri aankhen band kar di gayin, aur jabdon par kapda baandh diya gaya,

meri bad'qismati ke rote rote kuch ne maatam karna shuru kar diya aur kuch ne baal nochne shuru kar diye magar baad me azaab mujhe bhugatna pada,


isi dauraan asar ki azaan ho gayi, ghar me auton ka hujoom aur baaher mardon ka,

lekin afsos ! Shayed hi kisi ne namaz padhi ho, maine cheekh kar kaha

"aiy ghaafilon ! Mujhe chhodo main toh apne anjam ko pahunch chuka, tum apni fikr karo, namaz ka waqt ja raha hai, lekin itni shor sharaabe me meri kaun sunta ???"

meri laash ke gird ghar'waalon aur rishte'daron ka ek hujoom tha,

mera ek haath chhoti beti ne aur dusra haath badi ne apne apne gaalon par laga rakha tha, paaon ko beton ne apne baazuon me jakda hua tha , meri biwi baar baar mere chehre ki taraf dekh rahi thi, meri maa mere chehre par haath fer rahi thi, aakhiri martaba meri maa ne mere maathe ko chooma aur phir ek dum ghama ghahmi si ho gayi, koi kafan khareedne ke liye kah raha tha, toh koi qabr khodne ke liye, koi light ka bando'bast karne aur koi ghusl dene waale ko bulaane ke liye...


Ghusl dene ke liye masjid se molvi sahab ko laaya gaya, unhone mujhe ek takhte par litaakar aahista aahista mere pet ko dabaana shuru kiya taake koi gandagi wagerah ho toh nikal jaaye

phir unhone apne haath par kapde ka lifaafa baandh kar ghusl ki niyyat ki aur meri sharm'gaah dhoyi , nijaasat saaf ki, phir haath se lifaafa utaar kar mujhe wuzu karaaya aur mere jism par paani daala, ooper se shuru kiya aur neeche ko le gaye, teen baar aisa kiya

aur ye wahi molwi sahab they jinka main zindagi me aksar mazaaq udaaya karta tha, aur kabhi apne qareeb nahin phatakne Diya, magar aaj wahi mere kaam aa rahe they,


mere ghar waalon ne kafan ke taur par reshmi kadhaayi waala libaas mujhe pahna diya aur phir mujh bad'naseeb par intehaayi keemti parfume ka bharpoor chhid'kaao kiya gaya ke un Aqal ke andhon ko kiya pata ke abhi mere saath kya beeti hai ???

Agar main bataane ke qaabil hota ke farishton ne mere saath kiya sulook kiya, toh allah ki kasam ! Sab meri mayyit ko chhodkar bhaag jaate aur apni apni fikr me lag jaate,

isi dauraan mera chhota beta bhaag kar ek photographer ko le aaya jo badi furti se mere ird gird ki tasweeren kheench raha tha,

phir vedio waale aa gaye, unhe dekh kar main samjh gaya ke mujhe reshmi libaas kyon pahnaaya gaya, log apni apni film banwaane ke liye andaz badal badal kar meri chaar'paayi ke gird ghoom rahe they....


Program ke mutaabik mere janaaze ka waqt ho gaya, awaazein aana shuru ho gayin

" deir ho rahi hai ji"


janaaza uthaane  Ki der thi ki aurton ki cheekhon ki awaaz se saara muhalla hilkar rah gaya, mere biwi bacche chaar'paayi se lipat gaye, badi mushkil se mujhe baaher nikaala gaya,

4 aadmiyon me meri chaar'paayo ko kandho par utha liya, sadak par pahunche toh saare dukaandaar khade hokar afsos ka izhaar karne lage, kuch log aage traffic control kar rahe they,

logon ki kadamon ki chaap se maine andaaza lagaaya ke laakhon ka majma hai,

afsos ! Kisi muttaqi, parhezgaar, tahajjud guzaar, ghareeb aadmi ka janaaza hota toh 50 aadmi ikkatthe na hote,


janaza gaah me ajeeb manzar tha, kuch log mere wahan pahunchne se pahle hi maujood they, jo siyaasi aur kaaro baari guppen laga rahe they

awaaz aayi

" sab aa gaye hain ji"

safen durust ki gayin,

itne me mere bade bete ne rasm poori karne ke liye aahista se awaaz nikaali, jo shayed pahli saf waale bhi  theek se na sun saken hon,

"bhaiyyon ! Agar kisi ka qarz mere baap ke  Zimme ho toh wah baad me mujhse raabta kar sakta hai,"


agar imam sahab ko mere qarz ke mutaallik ilm hota toh mujhe yaqeen hai ke wah meri namaz e janaza padhaane se inkaar kar dete

imam sahab ne allahu'akbar kaha hi tha ke ek shakhs ki zordaar awaaz aayi

"thahro ji !kuch log aur aa gaye hain"

baher'haal imam sahab ne haath baandh liye,

afsos ! Itne bade majme me chand ek honge jinhe namaz e janaza aati ho, warna is maamle me sabhi mere bhai nazar aa rahe they aur maare sharm ke daayen baayen nazarein ghuma rahe they, kuch saamne lage bade se board ko ghoor rahe they jaise kuch padhne ki koshish kar rahe hon,

4 takbeer kah kar salaam pher liya gaya, aur mere in bhaiyyon ki jaan me jaan aayi,

chunke har mayyit ke saath main bhi aisa hi karta tha, aaj mere saath bhi wahi sulook hua,

mere janaaze me bahut si aisi hastiyan maujood thi ke agar mere saath unki bhi namaz e janaza padha di jaati toh Bahtar tha.....


to be continued........

MAUJOODA MUSALMAAN AUR WESTERN CULTURE (MAGHRIBI TAHZEEB)











Bismillahirrahmanirraheem



MAUJOODA MUSALMAAN AUR WESTERN CULTURE (MAGHRIBI TAHZEEB)




Doston ! Qanoon khuda'wandi hai ke jab tak koi Qaum apne andar ek  tabdeeli ka khyaal paida nahin karti uski haalaat tabdeel nahin hoti,


aaj tum zillat wa khwaari me mubleta ho. Iraaq , Afghaanistaan , Pelestine , bosnia , syria , goya ke har ghoshe me tumhaara khoon bah raha hai,


baahimi fsaadaat, khaana jungi , biraadar'kushi, ghaddari , kudrat ki taraf se Qaher ki mukhtalif sooratein hai,

yaad karo ke tum par ya muslim hukmaraano par khudaayi Qaher ka koda kab kab barsa aur kis liye barsa ???

Isliye ke tumne falsafa tauheed ko muqammal taur par juzzo imaan nahin banaya,

isliye ke tumhare andar Gumraah kun aqeede aur be'deeni ke khyaalaat jad pakad gaye,

tumhare hukmaraano ko mahaz zaati ashraton se sarokaar raha aur adal wa insaaf ki bajaaye fisq wa fuzoor ka sikka raij hua,


kya tumne nahin suna ke aman wa Salaamati aur insaani huqooq ke aalambardaaron ne Bosnia me zinda insaano ki aankhen nikaal di, daant tode, jism par bijli ke current aur sar gadde me dubo diye,

biwi ki izzat shauhar ke aur maa ki izzat bete ke saamne taar taar karke unhe shaheed kar diya, naakhun ukhaad diye, murdah pote ka kaleja chabaane ke liye boodhe dada ko aur murdah maa se darindagi ke liye masoom bete ko majboor kiya gaya...


America jamhooriat, azaadi huqooq insaani aur azaadi niswan ki baat karta hai lekin azaadi ka dars dene waalon ke yahan jooton par Kalimah e tayyiba , Qur'ani ayaat ke frame me nangi tasweer, disco dance club ka naam Makka, naye muslimon se ghair insaani sulooq, hijaab par paabandi, nabi e akram sallaho alaihi wasallam se bughz wa hasad ke waqeyaat aaye din ke maamlaat hain,


is silsile me tumhare muslim leadaron ne kya kaarwaahi ki aur arab huqmaraano ne kya radd e amal zaahir kiya ???

Tumhari Nau'jawaan nasal islaami tamaddun ko bhula baithi hai, zabaan se lekar libaas tak, libaas se lekar shakl wa soorat tak, shakal wa soorat se lekar naam tak, aur naam se lekar apni pahchaan tak wah European culture, Fashion show, aur Cosmetic culture ko gale se laga rahi hai,

unke din agar america ki chhaah me kat'te hain toh raatein bhi usi raat me basar hoti hain,


beshaq America aur Europe ke logon me Waqt ki qadr, scienci tahqeeq , mahnat ka jazba aur apne maqsad se muhabbat ki khoobiyaan paayi jaati hain jinka aitraaf karna inka Haq hai,


lekin unka maazi wa haal buniyaad parasti, tashaddud, dahshat gardi, huqooq insaani ki paamaali, nasal'parasti, taassub wa tang'nazari ki daastaanon se bhari padi hain,

jahan aahon, cheekhon aur kaali raaton ke elaawa aur kuch nahin,


Doston ! Aakhir tumhe America ki kis khoobi par naaz hai,

uske saalaana 20 lakh na'jayez bachhon par ?

Salaana 25% Bin'byaahi (unmarried) maa'on par ??


Salaana 15 lakh talaaq shuda (divorcee) aurton par ??

High schools ki 86 % teenager pregnent students par ???


Hirishima ke veeraanon par ? Nagasaaki ke khandaraaton par ?

Iraq wa afghanistan me shahri abaadi ko ba'taur jung Qanoon me mubtela karne par, Guante namo bay ke ijtemaayi qatal e aam par, poori dunite me laakhon dhoodh peete bachhon ke muh se feeder chheen lene par ??

Afghaanistan me apni pasand ki huqumat qayem karne par ??

Aur korea wa vietnaam ki jungon me apne 4 lakh faujion ke halaaq karne par ??

Ham aisi tahzeeb par thookte hain !!!!!!

Aur muslim nau'jawaanon se poochte hain ke aisi tahzeeb ke peeche kyon bhaagte ho, maghribi tahzeeb ek seraab hai iske peeche mat bhaago, paaon shhal ho jaayenge, zabaan baaher nikal aayegi, jism se jaan ka rishta bhi toot jaayega, magar ye seraab haath na aayega.....


Doston aur saathiyon ! Hindustan me Azaadi ke baad se ab tak hazaaron firqa'waaraana fasaadaat ho chuke hain,

kya tumne inse sabaq haasil kiya ???

Tumhe na Babri masjid ki shaahadat ek saki aur na Gujraat e waaqeyat e gham dars ibrat dilaa sake,

aaye din tumhaare khilaaf shaazishen rachi jaati hain aur tum be'khabar sote rahte ho,

ghujashta saalon me mulk me kaise kaise waaqeyaat wa saanehaat pesh aaye, tum museebat zad'ghaan ke liye releif fund bhej kar mut'main ho gaye ke islami akhwat ka haq ada ho gaya,

tum un waaqeyaat wa saanehaat par marsia tak na likh sake, tumhari kam himmati aur maslehat koshi ki isse Bad'tar misaal kya ho sakti hai ???


Kya tumhe yaad hai Kabeer das ne kya kaha tha, usne kaha tha

" ham usi ek allah se lau lagaate hain jo be'nishaan hai, na wahan mandir ki zaroorat hai na masjid ki, wahan wah aap hi aap maujood hai, uski pooja ke liye kisi khaas riwaaj ki zaroorat nahin, hamara ye jism hi masjid hai,  Hamare paancho hawaas ki jamaat hain, hamara aham hi mulla aur imam hai "


Ye ibaarat bata rahi hai ke uski nigaah me Tawheed ki raah bhi sahih hai, aur shirk ki bhi,

wah do khudaaon ke qaayel ko bhi raast ro khyaal karta hai aur teen khudaaon ke parastist karne waalon ko bhi,

wah wahi wa risaalat par imaan rakhne waalon ko bhi siraat e mustaqeem par ghaam'zan khyaal karta hai aur iske munkaron ko bhi,

wah halool , ittehaad aur autaar ke nazariyaat se nafrat karne waalon ko bhi bar'haq maanta tha aur in nazariyaat ke pairokaaron ko bhi,

is mulk me "Ganga jamuna tahzeeb " ki munazzam tahreek bhi kabhi uth chuki hai,

"alaikum namaste" aur " namaste alaikum " ka naara bhi zor shor se shuru hua tha, uske asraat aaj tak baaqi hain,


ek baar swami dyanand ji ne kaha tha

" bharat ved dharam ka watan hai aur bharat ko waapas vedon ki taraf jaana hai, aur yahan basne waalon ko ved dharam ke rang me khud Ko rangna hoga "


aaj bhi tumhare khilaaf isi tarah ki shaajishen rachi jaa rahin hain,

tumhari tahzeeb ko matia met karne ki taiyyarian ki jaa rahin hain,


Aur tum kuch nahin kar sakte, na tum apni ghairat wa himmat ka muzaahera karte ho.......



Doston ! kya tumhare andar khauf e khuda rakhne waale bahaadur khatm ho gaye ??

Maadi nuqsaanaat ke khauff se daaman chhuda kar jasad wa hadh ban jaao,

apne andar tabdeeli paida karo....

Maazi me bhi kudrat ne kode barsaaye hain kabhi Changez khan ki shakal me , kabhi halaqu khan ki soorat me, kabhi Taimoor ki soorat me, kabhi Naadir shah ki shakal me aur kabhi aapas me ladh ladh kar marne ki soorat me, apna ehtesaab yaad karo..... Ehtesaab hi kisi qaum ko tawaanaayi ata karta hai.... Apna ehtesaab karo ke tumne kahan kahan ghaltiyaan ki hain...

Millat ke ulema e deen ! Sun lo ke hawaon me qile taameer karte ho, tumhara har ubharta hua Din conference munaqid karne me ghuzarta hai,

har dhalti shaam daure ki taareekhen taiy karne me ghuzarti hain, aur har raat ki siyaahi ijtemaayi dinner khaane me ghuzarti hai,

agar aage badhna hai toh eh baar phir himmat karke mar'oobiyat nikaalon aur ehsaas kamtari ki shab siyaah ko rukhsat karo,

muslim hukmaraano ko apna ideal mat banaao, wah buzdil hain,

kabhi kabhi wahan ke baaz hukmaraan deeni bayaanaat de dete hain taake dam todne waale mareez ko thodi der ke liye oxygen pahuncha diya jaaye aur bas !

Unke bayanaat se khush fahmi me mubtela mat ho wah tumhaare kaam ke nahin hain, apni duniya apne aap banaao............

Wa aakhir da'waana innal hamdullillah rabbil aalameen......


BY---- Dr. Abu hayat ashraf (rh)

KE MAINE EK KHWAAB DEKHA HAI..........!







KE MAINE EK KHWAAB DEKHA HAI..........!




Hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ki, unhone bayan kiya ke ham log nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
ki khidmat me baithey hue they ke aapne farmaya

" main soya hua tha toh (khwaab me) ek aurat nazar aayi jo wuzu kar rahi thi,

chunanche maine poocha ke ye kiska mahal hai ?

Toh bataya ke - ye hz umar bin khattab (ra) ka mahal hai

phir mujhe unki ghairat yaad aagayi,

isliye wahan se waapas ho gaya (aur andar nahin gaya)

hz abu hurairah (ra) ka bayan hai ke hz umar (ra) is baat par ro pade aur bayan kiya-- aiy allah ke rasool ! Mere maa baap aap par fida hon, kya main aapke liye bhi ghairat rakhoonga ??"


(sahih bukhari, kitab ut taabeer)


sahaba kiram me amuman aur khulefa e arba me khususan hz umar bin khattab (ra) ki jo ahmiyat aur qadr o manzilat hai, uski tafseel ke liye islami taareekh, seerat sahaba, aur 

"Taareekh khulefa ka mutaala bahut mufeed hoga

taaham yahan do chand baaton ka zikr karna munaasib hoga, ke inse hz umar bin khattab (ra) ki abqari shakhsiyat ki kuch jhalak mil jaati hai,


hz umar bin khattab (ra) ek aisi ro'abdaar wa ba'waqaar aur aham shakhsiyat thi ke jinke islaam ke liye aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne dua farmaayi thi, jo qubool hui, aur islam laane ke baad baaz mauqon par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam  ko aise mashware diye ke unki taeed me Quraan ki kai aayatein naazil hui,


shahadat aur jannat ki bashaarat toh ek mashoor haqeeqat hai, khud is hadith me aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam  farma rahen hain ke main soya hua tha toh (khwaab me) khud ko jannat ke andar dekha, (jahan) ek mahal ke kinaare ek aurat wuzu karti hui nazar aayi, maine poocha ke ye mahal kiska hai?

Toh bataya ke - umar bin khattab ka.........


Yahan pahle ek masla ki  Wazaahat zaroori hai ke jannat me jab namaz wa ibaadat hi zaroori nahin toh phir wuzu karne ke kya maane ???


Toh iske jawab me hafiz ibn hajar askalaani farmate hain

" mumkin hai ke mu'allakah khatoon (yani hz umme saleem ) ki (duniyaawi) haalat e wuzu ki misaal wa wazaahat ke liye jannat ke us mahal ke kinaare wah " ba'haalat wuzu dikhaayi gayin hon"

aisi baat nahin hai ke fil'waaqe wahan bhi wuzu ka amal pesh aayega, ye khaatoon nabi e akram sallalaho alaihi wasallam  ke zamaane me ba'hayaat toh thin hi khud hz umar (ra) ke daur e khilaafat me bhi wah zinda rahin,

hz umar (ra) ke mahal ke kinaare hone ka matlab bhi ulema ne ye batlaaya hai ke wah hz umar (ra) ka daur e khilaafat dekhengi, aur aisa hua bhi "


(ba'hawala fath ul bari jild 12 page 416)


aur farmaya


" jamhoor ulema e ba'qaul aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam  ne jisko khwaab me jannat ke andar dekha, wah jannat me Zaroor daakhil hoga, goya hz umme saleem (ra) ko is tarah jannat me daakhil hone ki bashaarat mili, lekin is jannat me jis shakhs ka ek mahal hi dekha gaya ho unki ahmiyat aur qadr o manzilat ka andaaza lagaana koi mishkil nahin"

(fath ul baari)


aisi koi shakhsiyat bhi hz umar (ra) ki hi hai, chunke aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam  ne poocha ke ye kiska mahal hai ??

Toh aapko bataya gaya ke hz umar ka hai

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam  uske andar jaana chaah raahe they, magar hz umar (ra) ki ghairat yaad aa gayi isliye wahan se waapas ho gaye aur andar daakhil nahin hue,

ye baat jab hz umar (ra) ne suni toh hz abu hurairah ka bayan hai ke wah ro pade aur kahne lage

" aiy allah ke rasool ! Kya mujhe aapke liye bhi ghairat hogi"


do qareebi mu'allaqeen ka baaham ek dusre ke jazbaat ki qadar wa ehteraam ka ye aala namoona hai, ek taabe hai aur dusra muttabe hai, ek pairokaar Hai, toh dusra peshwa, ek azeem tareen shakhsiyat hai aur dusra uske muqaable me ek aam aadmi,

magar aham insaan, phir bhi koi rasool wa paighambar nahin....

Magar jo rasool hain wah bhi us aam , magar aham insaan ke ahsaasaat wa jazbaat ki qadr ka itna paas wa lihaaz rakh rahen hain, iske mutaallik amr me mudaakhalat gawaara nahin,,,

dusri taraf wah apne taalluq se azeem shakhsiyat ke ehteraam wa jazbaat se is qadr mutaassir ke aakhein ashq'baar aur saraaapa izhaar ke aapke liye bhala mujhe kya ghairat hogi, jo kuch mera hai wah haqeeqat me aap hi ka hai,

hz umar (ra) ke taalluq se dekha gaya , ye khwaab hamen unki ahmiyat bataane ke saath saath ye bhi sabaq deta hai ke

"baahimi taalluqaat ki mazbooti ka raaz ek dusre ke jazbaat ki qadr wa ehteraam me hai, khwaah wah ba'zaahir, fareeqain me se ek ka uske sabab kuch nuqsaan hi kyon na ho"


Thursday, January 24, 2013

NABI KAREEM(S.A.W) KI TAREEKHE PAIDAISH: (BAREL­WIYO K IMAM K NAZDEEK)






Bismillahirrahmanirraheem




  NABI KAREEM(S.A.W) KI TAREEKHE PAIDAISH:
(BAREL­WIYO K IMAM K NAZDEEK)

 



AHMAD RAZA KHAN BARELWI FARMATE HAIN:
 


Nabi kareem(s.a.w) ki tareeekh e paidaish 8 rabiuawal hai aur tareekhe wisal 12 rabiuawal hai

[FATAWA RIZWIYA JILD 26 PAGE 412]
 


BARELWI KUTUB KEHTI HAIN:

 mera deen o mazhab jo meri kitabo se zahirhai is par atal rehna har farz se aham farz hai.

(WISAYA SHAREEF PAGE 20)

 AHMED RAZA KHAN  JO ALA HAZRAT KA HUM AQEEDA NA HO HUM US KO KAFIR JANTE HAIN.

(ANWAR-E-S ­­HARIAT JILD NO.1 PAGE 140 MUFTI ASLAM QADRI RIZWI]
 


AB KYA KAREN GE BARELWI NAJDI QUBOORI RAZAKHANI


MEHFIL E MILAD KAB AUR KISNE SHURU KI??
 


Hum iski Tareekh Barelwi ulama jo isko Manane par zor dete hain un ki tehreeraat se pesh kardena kaafi samajhte hain.
 


Chunanche Mufti Ahmed Yaar khan (Barelwi) sahib likhte hain
 


“Jis Badshah ne pehle isko IJAAD kiya wo SHAAH E ARBAL hai aur (OMER) IBNE DAHYA ne uske lye MILAD SHAREEF ki Ek Kitab likhi jis par BADSHAH ne usko 1000 ASHRAFIYAN NAZAR kii.
 

 [JAA ALHAQ SAFHA 237]
 

 Ek aur Aalim Janab Qazi Fazal Ahmed (Barelwi) sahib likhte hain:
 


“ Ye Amar bhi Musallama hai ke is haiyate Kazaaiyya (Makhsoos shakal) se ye Amal e khair o barkat o Nemat o Rehmat 604 HIJRI se bahukme Badshah …jaari hai”
 


[ANWAAR AFTAAB E SADAQAT S 393]
 


Is kitab ki Maulana Ahmed Raza khan Barelwi sameth 41 Bade bade ULAMA ne tasdeeq ki hai. In Ibaraton se ye Sabit hogaya ke BARELWI ULAMA ko bhi iska IQRAAR hai ke Makhsoos shakal ke sath MILAD ki Ibteda Huzoorsallallah u alaihi wasallam ke 600 saal baad sathwi sadi me hui hai aur SHAAH E ARBAL aur UMAR BIN DAHYA ne mil kar isko Ijaad kiya hai aur Barelwi Hazraat ke Iqraar se ye Baat sabit hogai ke ARBAL KE BADSHAH (ABU SAYEED MUZAFFAR UDDIN) ke lye sab se pehle MILAD ki Kitab Ek Sarkari o darbari Maulwi Umar bin Dahya ne likhi aur badshah se bataure Inaam 1000 Ashrafiyaan haasil keen. Is Aalim ke Haalaat Muhaddis e MAshhoor Hafiz Ibne HajarAsqalani Rahmatullahi alaih ne ye Bayan kiye hain.
 


" كان ظاهري المذهب كثير الوقيعة في الأئمة وفي السلف من العلماء خبيث اللسان أحمق شديد الكبر"
“ 


WO MAZHABAN ZAAHIRI tha ( AHLE SUNNAT KE ILAWA EK BAATIL FIRQA HAI) AIMMA E AHLE SUNNAT aur Doosre MUTAQADDIMEEN par Shadeed AETRAAZ karta tha, GANDI ZABAN WALA, BEWAKHOOF aur BHOT MUTAKABBIR tha.
 

[LISAANUL MEEZAAN JILD 4 SAFHA 296]
 


Neez Muhaddis Ibne Najjar Milad ke Baani Maulwi Umar Bin Dahya ke bare me farmate hain:
 

" وقال ابن النجار: رأيت الناس مجتمعين على كذبه وضعفه"
 


“MAI NE SAB LOGON KO USKE JHOOTE HONE AUR NA QAABILE HUJJAT HONE PAR MUTTAFIQ PAYA HAI.”
 

[LISAANUL MEEZAAN JILD 4 SAFHA 295]
 


Note: ye Sirf Milad ka bayan kiya gaya hai aur Darood o Salam ke Waqt Khada hona ye TAQI UDDIN SIBKI ne 756 HIJRI me Shur kiya.
 


Isko EID MILADUN NABI sallallahu alaihi wasallam kehna Mohammad NOOR BAQSH TAWAKKULI( Mutawaffi 13 Jamadil awwal1367 Hijri mutabiq 24 MARCH 1948 hai) ka kaam hai warna har ki Zaban par 12 WAFAAT Zaban DAZ THA (APNE BHI APNE BUZRUGON SE 12 FAAT LAFZ SUNA HOGA)
 


Aye Sunniyo kya Tum ek Baatil mazhab ke Aadmi ki ijaad karda baat maanoge????
 

Us shaqs ki Baat jo Aimma e Ahle Sunnat ki Shaan me Gustakhi karta tha , Bad Zabaan tha???
Wo Amal jis se Islaam ke 600 Saal Khalithe us par Amal karoge???
Wo Amal jise SIDDIQ ne nahi kiya
Wo Amal jise FAROOQ ne nahi kiya
Wo Amal jise USMAN ne nahi kiya
Wo Amal jise ALI ne nahi kiya
Wo Amal jise HASAN O HUSSAIN ne nahi kiya [RAZI ALLAHU ANHUM]
Wo Amal jise Owais Qarni ne nahi kiya
Wo Amal jise Hasan Basari ne nahi kiya
Wo Amal jise Imam Azam Abu Haneefane nahi kiya
Wo Amal jise Imam Maalik ne nahi kiya
Wo Amal jise Imam SHAFAI ne nahi kiya
Wo Amal jise Imam Ahmed Bin Hambalne nahi kiya
Wo Amal jise Peerane Peer SHAKIH ABDUL QADAR JEELANI ne nahi kiya
[Rahimahumullah ­]
Kya Hum unse Ziada Aashiqe Rasool hai???
Kya Hum unse Ziada Quran O Sunnat ko jaante hai???
Mere bhaiyyo zara Soncho zaraa???
Allah Ta’ala Hum ko Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki Taleemaat par Amalkarne wala banae aur Ahle Sunnat wal Jamaat ke Saheeh Tareekhe par Amal karne wala banade
.
AMEEN YA RABBAL AALAMEEN.