Thursday, September 19, 2013

ZEENAT AUR AARAISH (MAKEUP):










Bismillahirrahmanirraheem

 

ZEENAT AUR AARAISH (MAKEUP):

 

Qudrat Ne Insaan Ko Tamam Makhlookaat Se Bahtar Shakl Aur Umdah Soorat Ata Ki Hai, Us Haseen Shakal Wa Soorat Ka Taqaaza Hai Ke Usko Saaf Wa Paak Rakha Jaaye Aur Jahan Tak Mumkin Ho Mard Aur Aurat Dono Hi Apni Paaki Wa Shakal Wa Soorat Ko Sawaaren,

Khaas Kar Azdawazi Zindagi Me (Married life) Is Ka Ehtemam Karna chahiye, Isse Dono Ke Darmiyan Qurbat Wa Muhabbat Badhti Hai Aur Nafrat Wa Karaahat Ka Jazba Paida Ni Hota

Allah Taala Ka Irshad Hai

"Aurton Ke Liye Tumpar Waise Hi Huqooq Hain Jaise Tumhare Liye Un Par Hain"

(Surah Baqarah)

Hz Ibn Abbas (Ra) Is Aayat Ki Tafseer Me Farmate Hain

"Jis Tarah Biwi Mere Liye Aaraish (Makeup) Karte Hai, Main Bhi Uske Liye Aaraish Karta Hoon, Main Pasand Ni Karta Ke Biwi Par Jo Mere Huqooq Hain Wah Poore Haasil Kar Loon Kyonki Uski Wajah Se Mere Uper Jo Uske Huqooq Hain Unki Mustahik Ho Jayegi Jaisa Ke Allah Taala Ne Is Aayat Me Farmaya "

Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Jab Tum Safar Se Raat Me Aao (Aur Ghar Waalon Ko Pahle Se Malum Na Ho) Toh Fauran Ghar Me Na Chale Jao, Taake Jis Aurat Ka Shauhar Ghayab Tha Wah Zer E Naaf Baal Moond Le Aur Pur'gandah Baal Waali Surmein Kanghi Kar Le, Heshyaar Heshyaar Jald Baazi Na Karna"

(Bukhari)

Yaad Rakhna chahiye Ke Asal Zeenat Wa Aaraish Ye Hai Ke Jism Wa Libaas Ko Paak Wa Saaf Rakha Jaaye Aur Hiyyat Wa soorat Ko Unki Fitri Zeenaton Se Aaraasta Kiya jaye, Jinko Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Hadith Me Bayan Kiya Hai,

"10 Cheezein Fitri Zeenat Hain, Moonchh (Maustache) Ko Khoob Taraashna, Daadhi Poori Poori Chhodhna, Miswaak Karna, Naak Me Paani Daal Kar Saaf Karna, Naakhun Kaatna,Ungalion Ke Jodon Ko Dhona, Baghal Ke Baal Ukhedhna, Zer E Naaf Baal Moondhna, Peshab Ke Baad Paani Se Istinja Karna, Kulli Karna "

(Muslim)

Ameer Ul Momineen Hz Umar (Ra) Ki Khidmat Me Ek Maila Kuchaila Pur'gandah Baal Waala Ek Mard Aaya,

Saath Me Uski Biwi Bhi Aayi,

Kahne Lagi:-"Aiy Ameer Ul Momineen ! Mujhko Isse Chhutkaara Dilaaiyye"

Hz Umar (Ra) Samjh Gaye Ki Ye Apne Shauhar Se karaahat Karti Hai,

Uske Shauhar Ko Huqm Diya Ke Jaao Ghusl Karo, Sar Ke Baal Aur Naakhun Taraasho, Jab Wah In Kaamon Se Faarigh Hokar Aaya Toh Huqm Diya Ke

Biwi Ke Saamne Jaao, Ab Jo Biwi Ki Nigaah Uspar Padi Toh Usko Ajnabi Mard Samjhkar Hat Gayi Lekin Kuch Der Me Pahchan Gayi Aur Apne Daawe Se Dast Bardaar Ho Kar Uske Saath Rahna Manzoor Kar Liya,

Uske Baad Hz Umar (ra) Ne Aam Huqm Sunaaya

"Logon !Aurton ki Qurbat Wa Muhabbat Qaayem Rakhne Ke Liye Ye Sab Kaam Kiya karo, Allah Ki Qasam Tumhari Biwiyan Tumko Isi Tarah Aaraasta Dekhna chaahti Hain Jis Tarah Tum Unko Aaraasta Dekhna Chaahte Ho"

(Adab Zawaaj Pg 60)

Mard Aurat Dono Ke Liye Zaroori Hai ke Zeenat Wa Aaraish Ke Maamle me Apne Munaasib Haal, Aitedaal Ko Malfooz Rakhe, Zyaadah Mubaalgha Aur Sharai Wa Fitri Hudood Se Aage Badhna Jayez Nahin Hai,

Aurton Ke Liye Ye Bhi Zaroori Hai Ke Unki Zeenat Ghar Ki Char'diwaari Tak Ki Mahdood Ho,

Ghar Se Baaher Nikalne Ke Liye Roz Marrah ke Istemali Libaas Aur Saadah Hiyyat Me Hona Zaroori Hai,

Ghair Mardon Se Saamne Zeenat Ki Numaish Karna Wa Saamne Jaana Bhi Haram Hai,

Afsos Maujooda Zamaane Me Maghribi Fashion Aur Rang Rogan Ki Zeenaton Ke Shauq ne Muslim Aurton Ko European Aurton Ki Saff Me Khada kar Diya Hai,

Sirf Yahi Nahin Balke Aaj Muslim Mardon Aur Aurton Ki Aksariyat, Ghair Qaumon Ki Mushabehat Aur Pairwi Me Zeenat Ke Fitri Usoolon Aur Paidaishi Tareeqon Ke Khilaaf Amli Baghaawat Ka Suboot De Rahi Hain.......

MAHR KA MASLA:

.





Bismillahirrahmanirraheem

 


MAHR KA MASLA:

 


Aqad Nikah Ke Waqt Pesh Aane Waale Zaroori Masail Me Mahr Ka Masla Sharai Haisaiyat Se Aitedal Aur Aasaani Par Mabni Hai,

Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apne Tareeqa E Amal Se Ummat Ko Yahi Taaleem Di Hai Ke Nikah Me Thoda Aur Halka Mahr Muqarrar Kiya Jaaye,

Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Kabhi Kisi Nikah Me Ziyaadah Mahr Nahin Baandha Aur Na Iska Huqm Diya,

Jo Log Fakhr Aur Badaai Jataane Ke Liye Ya Adam Adaayegi Ki Niyyat Se Giran'qadr Aur Bhari Mahr Muqarrar Karte Hain Wah Allah Aur Uske Rasool Ki Mukhaalifat Karte Hain ; Aise Nikah Me Barqat Ni Hoti, Balke Uska Anjaam, Duniya Aur Aakhirat Me Tabaahi Aur Ruswaayi Hai,

Mahr Ki Miqdaar Utni Honi Chahiye Jo Shauhar Ke Munaasib Haal Ho Aur Uski Adaayegi Par Usko Qudrat Ho,

Sahih Hadith Se Saabit Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Na'daar Sahabi Se Jinke Paas Kuch Nahin Tha Farmaya Ke

" Lohe Ki Angoothi Dhoond Laao Usi Ko Mahr Thahra Kar Tumhara Nikah Kar Diya Jaaye"

isi Tarah Ek Sahabiya Khatoon Ne Sirf 2 Jootion Ke Mahr Par Shadi Kar Li Thi,

Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Tajjub Ke Taur Par Us Khatoon Se Farmaya Ke

"Kya Tu 2 Jootion Par Raazi Hai ?"

Jawaab Mila:-"Haan!"

Aapne Farmaya:-"Tab Theek Hai"

Hz Umar (Ra) Farmate Hain

"Khabardaar ! Aurton Ka Mahr Zyaadah Na Baandho Kyonki Bhaari Mahr Agar Dunyawi Izzat Aur Allah Ke Nazdeeq Taqwa Ki Cheez Hoti Toh Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Iske Liye Tumse Zyadah munaasib They, Mujhe Toh Yahi Malum Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apni Biwion Aur Sahab'zaadion Me Se Kisi Ka Nikaah 12 Aoqiyah Mahr Se Ziyaadah Par Nahin Kiya"

(Tirmizi , Nisaai)

MAHR KI ADAAYEGI:

Quraan Aur Hadith Me Aurton Ke Mahr Ada Karne Ki Shakht Taaqeed Aayi Hai, Shauhar Jab Tak Mahr Ada Nahin Karega Ya Aurat Apni Khushi Se Maaf Nahin Karegi, Kisi Tarah Chhoota Nahin Ja Sakta,

Allah Taala Ka Huqm Hai

"Aurton Ke Mahr Khush'dili Se De Daalo, Agar Wah Apni Khushi Se Kuch Chhod Den , toh Tum Use Khoob Maze Ke Saath Khaao"

(Nisaai)

Dusri Jagah Irshad Hai

"Jin Aurton Se Tumne Faayeda Haasil Kiya Unke MuqarraR Mahr Ada Karo"

(Nisaai)

Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Irshad Hai

" Tamam Sharton Me Is Shart Ka Poora Karna Zyaada Laazim Hai Jiske Sabab Tumne Aurton Ki Sharm'gaahen Halaal Ki"

(Bukhari, Muslim)

Yani Biwion Ke Mahr Ada Karna, Unke Khaane Peene Aur Dusri Zarooriyat Ka Intezaam Karna Aur Unke Saath Accha Sulooq Karna Nikah Ki Sharait Mese Hai,

Unhi Sharton Ke Sabab Biwion Se Mu'jammat Karni Halal Hui Hai, Lihaza In Sab Ko Poora Karna Zaroori Hai, Khaas Kar Mahr Ki Adaayegi Sabse Aham Hai,

" jo Shakhs Kisi Aurat Se Thode Ya Zyada Mahr Par Nikah Kare, Aur Uske Dil Me Mahr Ada Karne Ki Niyyat Na ho Toh Usne Us Aurat Ke Saath Dhoka Baazi Kiya, Uska Haq Ada Kiye Be'ghair Marr Gaya Toh Qayamat Ke Roz Khuda Ke Yahan Zina Kaar Thahrega"

(Tibraani)

Is Hadith Me Biwion Ka Haq Maarne Waalon Ke Liye Shakht Waed (Warning) Hai, Ke Aise Log Qayamat Ke Din Zina'kaar Mujrim Ki Haisiyat Se Allah Ke Yahan Pesh Honge,

Is Waed Ko Saamne Rakhkar Wah Log Apne Anjaam Par Ghaur Karen Jo Mahr Ada Karne Ko Koi Ahmiyat Nahin Dete Aur Talaaq Dene Ya Wafaat Paane Ki Soorat Me Se Mahr Maaf Kara Lete Hain,

Halaaanke Jab Tak Aurat Apni Khushi Se Mahr Khud Maaf Na Kare Maaf Nahin Hota,

Shauhar Ko Biwi Se Maaf Karaana Ya Maaf Karne Ki Shart Par Talaaq Ko Mutallaq Rakhna Quraan Wa Hadith Ki Roo Se Bilkul Durust Ni Hai,

zyadah Afsos Aur Taajjub Un Logon Par hai Jo Itna Zyaadah Mahr Baandhte hain Ke Uski Adaayegi Unki Kaabu Me Nahin Hoti.....

Allah Taala Hamen Sunnat Ke Mutaabik Nikah Karne Ki Taufeeq ATa Farmaaye....... Aaaameeen

Ek Khoobsoorat Ladki Ki Kahani Jo Ek Deeni Ladke Se Shadi Karna Chaahti Hai,








Ek Khoobsoorat Ladki Ki Kahani Jo Ek Deeni Ladke Se Shadi Karna Chaahti Hai,

Ek Bahut Hi Khoobsoorat Ladki Thi Jo Shadi Karna Chaahti Thi Lekin Use Ek Momin Ladke Ki Talaash Thi,

Wo Ek Aise Ladke Se Shadi Karna Chaahti Thi Jo Roz Poore Qur'an Ki Tilaawat Kare, Saal Bhar Roze Rakhe Aur Poori Raat Allah Ki Ibaadat Kare,

Wo Bahut Ki Khoobsoorat Ladki Thi UsSe Bahut Se Ladke Shadi Karna Chaahte They, Lekin WO Jaanti Thi Ke Ye Ladke Un Conditions Ko Poora Nahin Karte Jo Wo Chaahti Thi,

Ek Din Ek Ladka Aaya Aur Usse Propse Kiya Aur Kaha Ki Wo Saari Conditions Fullfill Karta Hai,

Is Tarah Dono Ka Nikaah Ho Gaya,

Zafaaf Ki Raat (First Night) Ke Baad Ladki Ne Dekha Ki wo Roz Poora Quran Nahin Padhta, Aur Na Hi Ho Roz Roze Aur Allah Ki Ibaadat Ka Paaband Hai,

Usne Taiyy Kiya Ki Wo Kuch Hafte Dekhegi Ki Shayad Usme Koi Badlaao Aa Jaaye Lekin Aisa Nahin Hua,

Toh Usne Shikaayat Ki Aur Use Talaaq Ke Liye Force Kiya..

Talaaq Ke Liye Wo Judge Ke Saamne Gaye,

Judge Ne Poocha

"Shadi Ke Liye Conditions Kya Thi ??"

Ladke Ne Jawab Diya

"Roz Poora Qur'aan Padhna , Poore Saal Roze Rakhna, Aur Poori Raat Allah Ki Ibaadat Karna"

Judge Ne Poocha

"Kya TumNe Conditions Poori Ki ??"

Ladke Ne Kaha :-" Haan !"

Judge Ne Jawab Diya

" tum Jhoot Bolte Ho, Tumhari Biwi Toh Kahti Hai ki Tum Aisa Ni Karte, Fir Tumhari Biwi Talaaq Kyon Maang Rahi Hai"

Lekin Ladka Baar Baar Yahi Kahta Ki Wo Saari Conditions Poora Kar Raha Hai

Fir Judge Ne Poocha:-"Kya Tum Roz Poora Quraan Padhte Ho??"

Ladke Ne Jawab Diya :-"Haan"

Judge Ne Ghusse Se Poocha:-"Kaise !!"

Ladke Ne Itminan Se Jawab Diya

" Main Roz 3 Time Surah Ikhlaas Padhta Hoon Kyonki Hamari Nabi Sallalaho alaihi wasallam Ne Bataaya Ki Surah Ikhlaas 3 baar Padhna Poore Quran Padhne Ke Baraabar Hai "

JudGe Mutmain Ho Gaya

Fir Usne Poocha

"Tum Poore Saal Roze Kaise Rakhte Ho ???"

Ladke Ne Jawab Diya

"Main Ramzaan Ke Poore Roze Rakhta Hoon
aur Uske Baad Shawwal Ke 6 Roze Kyonki
Hamare Nabi Sallallaho alaihi Wasallam Ne
Bataya Ki Jisne Shawwal Ke 6 Roze Rakhe
Mano Usne Poore saal Roza Rakha"

Judge Fir Khamosh Raha Use Samjh Nahi Aa Raha Tha Ke Wo Kya Jawaab De Jisse Ladka Ghalat Saabit Ho Jaaye

Fir Judge Aakhiri Sawaal Poochta Hai

"Tum Poori Raat Jaag Kar Kaise Allah Ki Ibaadat Karte Ho Jabki Tumhari Biwi Tumhe Sote Hue Dekhti Hai???"

Judge Ne Socha Ki Ab Toh Ladka Pakka Iska Jawaab Nahin De Paayega

Ladke Ne Itminan Se Jawab Diya

"Main Jamaat Se Isha Ki Namaz Padhta Hoon Aur Subah Jamaat Se Hi Fajr Ki Namaz Padhta Hoon, HamAre Nabi Sallalaho alaihi Wasallam Ne Bataya Ki Jisne Jamaat Ke Saath Isha Ki Namaz Padhi Aur Jamaat Ke Saath Hi Fajr Ki Namaz Padhi Toh Goya Usne Poori Raat Ibaadat Ki "

Judge Baith Gaya Hai Ladke ki Taraf Dekhne Laga Aur Apna Aakhiri Faisla SunaaTe Hue Dono se Kaha

" Jaao ! Jaao Yahan Se Is Shadi Me Koi Bhi Ghalat Nahin Hai"

EK BAAP AUR BETI KI KAHANI







Ek Din , Ameer Baap Apni Beti Ko TRip Par Lekar Jaata Hai, Taake Wo Use Dikha Sake Ki Ghareeb Log Kaise Rahte Hain,

Wo Apna Waqt Ek Ghareeb Pariwaar Ke Farmhouse Me Bitaate Hain Aur Wahan Kuch Din Rahne Ke Baad Jab Baap Apni Beti Ko Ghar Ke Liye Laut
a Hai Toh Raaste Me Beti Se Poochta Hai

Kya Tumne Dekha, We Kitne Ghareeb Hain ?

Tumne Isse Kya Seekha ??

Beti Kahti Hai

"Hamare Paas Swimming Pool Hai, Unke Paas Nadiyan (Rivers) Hain,

Hamare Paas Raat Ke Liye Lantern Hai, Aur Unke Paas Sitaare (Star),

Ham Khaana (Food) Khareedte Hain Aur Wo Ugaate Hain,

Hamari Hifaazat Ke Liye Diwaaren Hain, Aur Unke Paas Dost (Friends)

Hamare Paas Encyclopedia Hai, Aur Unke Paas Padhne Ko Quraan,"

Fir Wo Kahti Hai

"Shukriya Dad , Mujhe Dikhaane Ke Liye Ki Ham Kitne Ghareeb Hain"

Sirf Paison Se Hi Aadmi Ameer Nhi Ho Jaata, Allah Ki Zaat Ke Aage Hamari Auqaat Sirf Ek Faqeer Jaisi Hai

SUNAN ABU DAWOOD ME ULEMA E DEOBAND KI TAHREEF:

Bismillahirrahmanirraheem

SUNAN ABU DAWOOD ME ULEMA E DEOBAND KI TAHREEF:

Sunan Abu Dawood Ka Shumaar Sihah Sitta Me Hota Hai,


Isme Sahih, Hasan, Zaeef Aur Munqata Isnaad Se Riwaayat Marwi Hain,

Hz Imam Abu Dawood (Rh) Ne Bab "Qunoot Fil Witr " Ke Tahat Shafiyyah Ki Daleel Darj Karte Hue Ek Zaeeff Sanad Se Riwaayat Naqal Ki Thi Ke

"Hz Umar (ra) Ne Logon Ko Abi Bin Kaab (Ra) Par Jama Kar Diya Aur Wah Unhe 20 RAAT Tak Namaz Padhaate They, Magar Qunoot Nifs Aakhir Me Padhte They, Jab Aakhiri Ashrah Ke 10 Din Rah Jaate Toh Apne Ghar Me Namaz Padha Karte Aur Log Kahte Ke Abi Bin Kaab Bhaag Gaya"

(Abu Dawood Jild 1 page 538,)

TAHREEF KI SHURU'AAT:

Molwi Mahmood Ul Hasan Khan Hanafi Deobandi Ne Sab Se Awwal Is Tahreef Ka Aghaaz Kiya Aur Sunan Abu Dawood Ko Shaaye Karte Hue Matan Abu Dawood me Toh " Ashrain Ly'lah (Raat)" Hi Rahne Diye,

Albatta Haashiya Me Nuskha Ki Alaamat Dekar "Rak'ah (Rakaat)" ka Lafz Rakha,

(Abu dawood Jild 1 Page 209, Taba 1316 Hijri)

Is Tahreef Se 20 Raat Ki Bajaaye 20 Rakaat Ban Jaata Hai Aur Is Tahreef Ka Maqsad 20 Rakat Namaz Taraaweeh Ka Saboot Dena Tha,

TAHREEF KI INTEHA:

Maulwi Fakhrul Hasan Gangoho Hanafi Deobandi Ne Jab Apni Sahih se Abu Dawood kO Shaaye Kiya Toh "Ashrain Lay'lah (10 Raat)" Ko Matan Se nikaal Kar "Ashrain Rak'ah (10 Rakah)" Bana Diya,

Albatta Hashiya Me "Lay'lah" Ke Nuskhe Ki Saraahat Kar Di

(Sunan Abu Dawood jild 1Page 202, Taba Karachi)

Aur Ab Jo Nuskha Shaaye Ho Raha Hai Usme Matan Me "Ra'kah" Hi Hai, Lekin Nuskha Ki Saraahat Ko Bhi Ghayab Kar Diya Gaya Hai,

Halaanke Molwi Mahmood Ul Hasan Khan Ki Tahreef Se Qabl Jis Qadar Nuskhe Shaaye Hue They Unme "Ashrain Lay'lah" Ke Alfaaz Hi They, Kisi Aur Nuskhe Ka Koi Hawaala Na Tha,

Isi Tarah Abu Dawood Ke Tamam Qalmi Nuskhe Jaat Me Bhi " Ashrain Lay'lah" Ke Alfaaz Hain,

Magar In Logon Ne Use Badal Kar Taraaweeh Ki 20 Rakaat Ki Daleel Bana Liya,

LAY'LAH ya RAK'AH

Riwaayat Ki Androoni Gawaahi Is Baat KI dalaalat Karti Hai Ke "Lay'lah" Ke Alfaaz Hi Durust Hain "Rak'ah" Tahreef Hai

1- Imam Abu Dawood Isko Qunoot Ke Baab Ne Laaye Hain Taraaweeh Ke Bab Me Iska Zikr Ni kiya,

2- Hz Abi Bin Kaab (Ra) Aakhiri Ashrah Me Qayaam Na Karte They Jo Is Baat Ka Saboot Hai Ke "Lay'lah" Hi Hai, "Rak'ah" Ni Hai,

3- Imam BaYheqi Ne (Sunan Kubra Jild 2 page 498) Me "Ashrain Lay'lah" Ke Alfaaz Hi Abu Dawood se Naqal Kiye hain,

GHAR KI SHAHADAT:

Allama Zaili Hanafi Ne ( nasburraya Jild 2 pg 126) Me, Ibn Najeem Hanafi Ne (Bahrur Raiq Jild 2 page 40) me, Allama Halbi Ne (Mustamli Page 416) Me, Ibn Hamam Hanafi Ne ( fath UL Qadeer Jild 1 Page 375) Me, Aur Mufti Ahmad Yaar Gujrati Hanafi Barelwi Ne (Jaal huq Jild 2 pg 95) Me... Ise Abu Dawood Ke Hawaale Se Naqal Kiya hai,

Aur In Tamam Ne "Ashrain Lay'lah " Ke Alfaaz Naqal Karte Hue Is Riwayat Ki Zaeef Qaraar Diya Hai,

Isi Tarah Ibn Turkmani Ne (Jawahar Naqi Jild 2 Page 498 ) Me Is Riwayat Ko Zaeef Wa Munqata Hone Ki Saraahat Ki Hai,

HANAFI SHAARHEN (COMMENTERS)

Mulla Ali Qari Hanafi (1410 Hijri) Ne

Mirqaat Jild 3 Page 184 Me,Sheikh Abdul Haq Muhaddis dehlawi Hanafi Ne AshiyatulIl Ma'aas Jild 1 Page 581 Me, Aur Molwi Qutubuddeen Dehlawi Hanafi Ne "Mazahir Haq Jild 1 Page 416" Me Is Riwaayat KO Abu Dawood Se "Ashrain Rak'ah" Ke Hi Alfaaz Se Zikr Kiya Hai..... 




#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks

.Fazail e Aamal Aur Tableegi Jama'at

.Fazail e Aamal Aur Tableegi Jama'at

Ye Kitab Tableegi Bhaiyon Me Nihayat Hi
Ahmiyat Ki Hamil Hai

Is Kitab Ke Baare Me Tableegi Bhaiyon Ne To
Yahan Tak Kaha Hai Ke Ye Kitab Quraan Majid
Ke Baad Sab Se Zeyadah Padhi Jati Hai.

Is Kitab Ko Molana Ilyas Sahab Jo Tableegi
Jamaat Ke Bani Hain Un Ke Kahne Pe Likhi Gai
Thi.

Jise Zakarya Sahab Ne Likha Jo Ilyas Sahab
Ke Damad Bhi Hain Aur Bhatija Bhi Hain.

Kaha Jata Hai Ke Ilyas Sahab Ke Bahut Israr
Karne Pe Ye Kitab Likhi Gai Aur Ye Kitab Aise
Waqt Me Likha Gaya Jab Zakarya Sahab Ki
Tabiyat Kharab Thi.

Ye Baat Khud Unhone Likha
Hai.

Aaiye Dekhte Hain.

Tamheedi Alfaz Me Darj Hai Ke

" Main Kuch
Dino Ke Liye Bimar Hogaya Doctron Ne Kah
Diya Ke Aap Kuch Din Koi Kam Na Kare Na Isi
Darmayan Jab Mei Bed Rest Pe Tha To Mujhe
Khayal Aaya Ke Ek Kitab Likhte Hain Agar Logon
Ko Pasand Aaya To Thik Warna Apna Waqt
Guzar Jayega "

Lekin Haqiqat Me Ye Kitab Ek Qissa Kahaniyon
Pe Aadaharit Kitab Hai.

Is Me Bahut Sare Aise
Qissae Hain Jise Haqiqat Se Kuchh Lena Dena
Nahi Hai.

Mangharat Kahani Hai , Aisi Kahani
Padhne Ko Milegi Jise Koi Sahbe Iman Padh Le
To Us Ko Apne Iman Dahmagane Ka Khadsa
Paidah Ho Jaye.

Aaiye Dekhte Hain Is Kitab Ki Taarif Me
Deobandi Bhai Aasman Aur Zameen Ek Kar
Dete Hain, In Logon Ne To Yahan Tak Kah
Diya Hai Ke Quraan Ke Baad Sab Se Zeyadah
Padhi Jati Hai Fazail e Aamal.

Aaiye Us Ke Kuchh Hisse Ko Padhte Hain Aur
Sochte Hain Ke Is Se Iman Me Quwwat Kahan
Se Aayegi.

Puri Kitab Me Ja Baja Is Tarah
Ki Baat Likhi Hui Hai.

Zakarya Sahab Likhte Hain.

" Bak Raha Hoon Junoon Me Kiya Kiya.

Kuchh To Samjhe Khuda Kare Koi"

(Moqadma Fazail E Aamal Safa no.4
Naaz publishing delhi 6)

Aage Aur Padhen.

" Azal Se Husn Parasti Likhi Thi Qismat Me

Paidah Huye To Hath Jigar Pe Dhare Huye

Mera Mizaz Ladakpan Se Aashiqana Tha

Kiya Jane Ham Hain Kab Se Kisi Pe Mare Huye.

Meri Tufli Me Shan Ishq Bazi Aashkara Thi..

Agar Bachpan Me Khela Khel To Aankhen
Ladane Ka "

(Fazail E Aamal, Fazaile Hajj Safa No.41)

Aage Aur Padhen

"Maaib Hadshe Aafat Alam Qaza Turbat

Dekhati Jaye Jo Un Ki Jawani Dekhte Jao."

(Fazail Aamal,Fazail Hajj 42.)

Aap Ne Padha Dosto Us Babarkat Zaat Ki Likhi
Kitab Ko Jis Ke Baare Kaha Jata Hai Ke Quraan
Ke Baad Sab Se Zeyadah Padhi Jane Wali Kitab
Hai.

Aap Khud Andazah Lagayen ..Ye Log Kis Cheez Ki
Taalim De Rahen Hain

Is Kitab Ko Padhne Ke
Baad Deen Se To Mohabbat Nahi Badhegi....

To Phir Kis Cheez Se Mohabbat Hogi Us Baat
Ka Khud Andaza Laga Len