Sunday, May 31, 2015

ALLAH ARSH PAR HAI (HADEES E RASOOL SAW SE DALEEL) PART 2







ALLAH ARSH PAR HAI (HADEES E RASOOL SAW SE DALEEL) PART 2


Bismillahirrahmanirraheem

Zikr Shuda Ayaat E Mubaraka K Baad Ab Insha Allah Ahadees E Sharifa Zikr Karta Hu Aeiye Dekhte Hai K Allah K Rasool SAW Ne Allah Ki Is Sifate Uloo Yani Tamaam Tar Makhlooq Se Juda Aur Buland Hone K Bare Mai Kya Farmaya Hai:

1. Muaviya Ibne Hakeemus Sulmi RA Farmate Hai Mere Paas Ek Baandi Hai Jo Uhad (Pahaad) K Saamne Aur Ird Gird Meri Bakriya Charaya Karti Thi Ek Din Mene Dekha K Uski (Nigrani Mai Meri) Jo Bakriya Thi Un Mai Se Ek Ko Bediya Le Gaya, Mai Aadam Ki Aulad Mai Se Ek Aadmi Hu Jis Tarha Baaki Aadmi Gamgeen Hote Hai Mai Bhi Usi Tarha Gamgeen Hota Hu, Lekin Mene (Is Gam Mai) Use Ek Thappad Maar Diya, To Mai Rasool Allah SAW K Paas Aya Kyunki Use Thappad Maarna Mere Liye (Dil Par) Bada (Boojh) Ban Gya Tha, Mene Arz Kiya "Ae Allah K Rasool SAW Kya Mai Use Azaad Kar Du?To Rasool Allah SAW Ne Irshad Farmaya: Us Baandi Ko Mere Paas Lao, To Mai Us Baandi Ko Le Kar Phir Dobara Hazir Hua To Rasool Allah SAW Ne Us Se Daryaft Farmaya Allah Kaha Hai? Us Baandi Ne Jawaban Arz Kiya "Aasmano Par", Phir Daryaft Farmaya "Mai Kon Hu?", Us Baandi Ne Jawaban Arz Kiya "Aap Allah K Rasool Hai" To Rasool Allah SAW Ne Mujhe Huqm Farmaya Ise Azaad Kar Do Ye Emaan Wali Hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 537)

2. Abu Huraira RA Se Riwayat Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Jab Raat Ka Akhiri Teesra Pehar Hota Hai To Hamara Rabb Allah Tabark Wa Ta'ala Har Raat Mai Dunya K Aasman Ki Taraf Utarta Hai Aur Farmata Hai "Kon Hai Jo (Is Waqt) Mujh Se Dua Kare K Mai Uski Dua Kabool Karu, Kon Hai Jo (Is Waqt) Mujhse Koi Sawal Kare K Mai Uska Sawaal Pura Karu, Kon Hai Jo (Is Waqt) Mujhse Magfirat Talab Kare K Mai Uski Magfirat Karu". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees No. 758)

3. Abu Huraira RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Raat K Farishte Aur Din K Farishte Tum Loogo Mai Ek Dusre K Pichey Aatey Hai Aur Namaz E Asr Aur Namaz E Fajr K Waqt Ikatthey Ho Jate Hai (Yani Farishto Ka Ek Garoh Fajr K Waqt Ata Hai Aur Asr Tak Rehta Hai, Ye Din K Farishte Hai Aur Dusra Garoh Asr K Waqt Ata Hai Aur Fajr Tak Rehta Hai Ye Raat K Farishte Hai) Phir Wo Farishte Jinhone Tumhare Darmiyan Raat Guzari Hoti Hai (Yani Asr K Waqt Aane Wale Farishte) Uper (Allah Ki Taraf) Chadhte Hai To (Waha) Unka Rabb Unse Puchta Hai, Jabke Wo Bando K Baare Mai Farishto Se Jayada Janta Hai, Tumne Mere Bando Ko Kis Haal Mai Choda? To Farishte Kehte Hai Jab Humne Unhe Choda To Wo Loog Namaz Padh Rahe They Aur Jab Hum Unke Paas Gaye To Wo Namaz Padh Rahe They. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 632, Sahih Bukhari Hadees No. 555, Sahih Ibne Khuzaima Hadees No. 321, Sahih Ibne Hibban Hadees No. 1736, Muatta Imam Malik Hadees No. 416, Musnad Ahmad, Sunan Nasai Kitabus Salaat Hadees No. 489)

4. Abu Huraira RA Se Hi Riwayat Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Beshaq Allah K Kuch Aese Farishte Hai Jo (Zameen Mai) Chalte Phirte Hi Rehte Hai, Aur (Allah K) Zikr Ki Majliso Ki Talaash Mai Rehte Hai, Jab Wo Koi Aesi Majlis Paate Hai Jis Mai (Allah Ka) Zikr Ho Raha Ho To Wo Zikr Karne Walo K Sath Baith Jate Hai Aur Ek Dusre Ko Apne Paro Se Dhanp Lete Hai, Yaha Tak K Unke Aur Dunya Wale Aasman K Saari Jagah Mai Wo Farishte Phir Jate Hai, Aur Phir Jab Alag Hote Hai To Aasman Ki Taraf Chadhte Aur Buland Hote Hai, Rasool Allah SAW Ne Mazeed Farmaya: To (Waha) Allah Farishto Se Puchta Hai K Tum Sab Kaha Se Aye Ho? Jabke Allah Farishto K Bare Mai Khud Unse Jayada Janta Hai, To Farishte Jawaban Arz Karte Hai, Hum Aapke Un Bando K Paas Se Aye Hai Jo Zameen Mai Aap Ki Pakizagi, Aapki Ki Badhai, Aur Aapki Wahdaniyat Aur Aap Ki Tareef Bayan Karte Hai, Aur Aap Se Sawaal Karte Hai. (Sahih Muslim Kitab Zikr Wa Dua Hadees No. 7015)

5. Abu Saeed Khudri RA Yaman Se Layi Jane Wali Zakat Ki Takseem Ka Ek Waqiya Bayan Karte Hue Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Kya Tum Loog Mujhe Amanatdaar Nhi Jaante Jabke Mai Uski Taraf Se Amanatdaar Hu Jo Aasman Par Hai, Aur Mujhe Subah Wa Shaam Se Khabar Aati Hai. (Sahih Bukhari Kitabul Magazi Hadees No. 4351, Sahih Muslim Kitabuz Zakaat Hadees No. 2500)

6. Abu Huraia RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Jisne Paak (Halaal) Kamayi Se Khajoor K Barabar Bhi Sadqa Kiya Aur (Yaad Rakho K) Allah Ki Taraf Pakeeza (Cheez) K Elawa Aur Kuch Nahi Chadhta To Allah Us Sadqa Ko Apne Sidhey Hath Mai Qabool Farmata Hai Aur Us Sadqa Ko Sadqa Karne Wale K Liye Badhata Hai Yaha Tak Wo Pahaad K Barabar Ho Jata Hai. (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed Hadees No. 7430)

7. Abu Huraira RA Se Hi Riwayat Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Uski Kasam Jis K Haath Mai Meri Jaan Hai Jab Koi Khawind Apni Beewi Ko Apne Bistar Par Bulaye Aur Wo Beewi Inkaar Kare To Wo Jo Aasman Par Hai Us Aurat Se Us Waqt Tak Naraaz Rehta Hai Jab Tak Us Aurat Ka Khawind Us Se Raazi Nhi Hota. (Sahih Muslim Kitabul Nikah Hadees No. 1436)

8. Abdullah Bin Umar Wa Bin Aaas Raziallahu Anhuma Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Reham Karne Walo Par Rehmaan Reham Karta Hai, Tum Us Par Reham Karo Jo Zameen Par Hai, Tum Par Wo Reham Karega Jo Aasman Par Hai. (Sunan Tirmizi Hadees No. 1924, Sunan Abu Dawood Kitabul Adab Hadees No. 4931, Musannaf Ibne Abi Shaiba Kitabul Adab Hadees No. 925)

9. Abu Huraia RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Jab Allah Takhleeq Mukammal Kar Chuka To Usne Kitab Mai Likha K Mere Rehmat Mere Gussey Par Galib Hogi Wo Kitab Allah K Paas Hai Arsh K Uper. (Sahih Bukhari Kitabul Bad Ul Khalk Hadees No. 3194, Sahih Muslim Kitabut Tauba Hadees No. 2751)

Allah K Rasool Allah SAW Saaf Bata Rahe Hai K Allah Arsh K Uper Hai, Har Jagah Nhi, Aaiye Dekhte Hai K Arsh Kaha Hai, Kahi Aesa To Nhi K Arsh Yahi Kahi Ho Aur Allah Bhi???

10. Abu Huraia RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Jo Allah Aur Uske Rasool Par Emaan Laya Aur Namaz Ada Karta Raha Aur Ramzan K Rooze Rakhta Raha To Allah Par (Uska) Ye Haqq Hai K Allah Use Jannat Mai Dakhil Kare Khawah Usne Allah Ki Raah Mai Jihaad Kiya Ho Ya Apni Basti Mai Hi Zindagi Guzari Ho To Sahaba RA Ne Kaha: Ae Allah K Rasool Allah SAW Kya Hum Loogo Ko Ye Khushkhabri Suna De? To Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Allah Ne Allah Ki Raah Mai Jihaad Karne Walo K Liye Jannat Mai Ek Soo Darjaat Bana Rakhey Hai, Har 2 Darjaat K Darmiyaan Itna Fasila Hai Jitna Zameen Aur Aasman K Darmiyan Hai, Lihaza Jab Tum Allah Se Sawaal Karo To Firdoos Mango Kyunki Wo Jannat Ka Darmiyani Aur Sab Se Buland Muqaam Hai, Mai Samajhta Hu K Us K Uper Rehman Ka Arsh Hai Jis Mai Se Jannat K Darya Phoot Te Hai. (Sahih Bukhari Kitabul Jihaad Hadees No. 2790)

11. Jareer RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Jo Un Par Reham Nahi Karta Jo Zameen Par Hai Us Par Wo Reham Nhi Karta Jo Aasman Par Hai. (Tabraani Hadees No. 2494, Tagzibut Tahzeeb Hadees No. 3411, Sahih Tagzibut Tahzeeb Hadees No. 2255)

12. Salman Faarsi RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Tumhara Rabb Bahut Haya Karne Wala Aur Buzurgi Wala Hai, Jab Uska Koi Banda Uski Taraf Apne Dono Haath Buland Karta Hai To Allah Uski Baat Se Haya Karta Hai K Us Bande K Haatho Ko Khali Na Moodey. (Sunan Abu Dawood Hadees No. 1485, Sunan Tirmizi Hadees No. 3556)

Jab Banda Apne Haath Uthata Hai To Uske Haath Aasman Ki Taraf Hote Hai, Agar Allah Har Jagah Mojood Hai To Aagey Pichey Daaye Baaye Kisi Bhi Taraf Haath Phela Kar Dua Karli Jaani Chahiye, Aasman Ki Taraf Uper Ki Taraf Haath Kyu Uthaaye Jaate Hai???

13. Abdullah Ibne Umar RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Mazloom Ki Baddua Se Daro Kyunki Wo Chingari Ki Tarha Aasman Ki Taraf Chadhti Hai. (Mustadrak E Hakim Hadees No. 81 Is Hadees Ko Imam Hakim Ne Kaha Hai K Ye Muslim Ki Shart Par Sahih Hai)

14. Nawaas Bin Sa'maan Kalbi RA Fitna E Dajjal K Aur Yajooj Majooj K Nikalne Aur Qatal Ki Khabro Par Mushtamil Ek Lambi Hadees Bayan Karte Hue Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Phir Yajooj Majooj Chal Padege Aur Khamr Naami Pahaad K Paas Ja Pahunchege, Aur Ye Pahaad Baitul Muqaddas Wala Pahaad Hai

#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Thursday, May 28, 2015

ALLAH KAHAN HAI (QUR'AN SE DALEEL) PART-1







ALLAH ARSH PAR HAI (QURAN SE DALEEL) PART 1



Bismillahirrahmanirraheem

 
1. Beshaq Tumhara Rab Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua Wo Din Ko Raat Se Is Tarha Chipa Deta Hai K Raat Din Ko Jaldi Se Aa Leti Hai Aur Suraj Aur Chaand Aur Dusre Sitaro Ko Is Tarha Banaya K Wo Sab Allah K Hukm K Tabay Hai, To Kya Us K Liye Hi Nhi Hai Khaliq Hona Aur Hakim Hona Badi Hi Khubiyo Wala Tamaam Jahano Ka Rabb.(Surah Aaraaf Surah No. 7 Ayat No. 54)

2. Beshaq Tumhara Rabb Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua (Waha Se Tamaam) Kaam Ki Tadbeer Karta Hai Koi Uski Ijazat K Bagair (Uske Saamne) Shifa'at Karne Wala Nhi Hai, Aesa Hai Tum Sab Ka Rabb Lihaza Uski Ibadat Karo Kya Tum Phir Bhi Soochte Nhi. (Surah Younus Surah No. 10 Ayat No. 3)

3. Allah Wo Hai Jin Ne Aasmano Ko Bagair Satoono K Buland Kiya (Jesa K) Tum Is (Aasmani Dunya) Ko Dekh Rahe Ho Phir Allah Arsh Par Qayam Hua Aur Suraj Aur Chand Ko Is Tarha Apne Ma'tahat Kiya K Wo Ek Muqarrar Shuda Waqt Tak K Liye Chal Rahe Hai Allah Hi Kaam Ki Tadbeer Karta Hai (Aur) Wazahat K Sath Nishaniya Bata Raha Hai Takey Tum Loog Apne Rabb Se Milne Par Yakeen Kar Lo. (Surah Ra'ad Surah No. 13 Ayat No. 2)

4. Rahman (Wo Hai Jo) Arsh Par Qayam Hai. (Surah Taha Surah No. 20 Ayat No. 5)

5. Rahman Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Aur Jo Kuch Bhi In K Darmiyan Hai (Sab) Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua Pas Aap Us K Baare Mai Kisi Khabargeer Se Hi Puchey. (Surah Furqaan Surah No. 25 Ayat No. 59)

6. Allah Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Aur Jo Kuch Bhi In K Darmiyan Hai (Sab) Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua (Allah K Saamne) Allah K Elawa Tum Sabka Koi Madadgaar Nahi Aur Na Hi Koi Sifarish Karne Wala Kya Tum Loog Yaad Nhi Rakhte.(Surah Sajda Surah No. 32 Ayat No. 4)

7. Allah Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua Wo Janta Hai Jo Kuch Zameen Mai Dakhil Hota Hai Aur Jo Kuch Zameen Se Nikalta Hai, Aur Jo Kuch Aasmano Se Utarta Hai Aur Aasman Mai Chadta Hai Aur Tum Lood Jaha Kahi Bhi Ho Wo Tum Loogo K Sath Hai Aur Jo Kuch Tum Loog Karte Ho Allah Wo Sab Dekhta Hai.(Surah Hadeed Surah No. 57 Ayat No. 4)

Is Mandarja Bala Aayat E Mubaraka Mai Hamare Is Rawa Mouzu Ki Daleel K Sath Sath Ek Aur Baat Ki Bhi Wazahat Hai, Jis K Bare Mai Aksar Loog Galat Fehmi Ka Shikaar Hote Hai, Aur Wo Hai Allah Ki "Ma'iyat" Yani Uska Sath Hona Jis K Bare Mai Amuman Ye Khayal Kiya Jata Hai K Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Zaate Mubarak K Zariye Kisi K Sath Hota Hai, Jo Ki Durust Nhi Hai Kyunki Allah Ne Khud Hi Apni "Ma'iyat" Ki Kefiyat Bayan Farmate Hue Irshad Farmaya: WALLAHU BIMA TAMALOONA BASEER Aur Jo Kuch Tum Loog Karte Ho Allah Wo Sab Dekhta Hai Yani Allah Ka Sath Hona Uske Ilm Wa Kudrat, Simaat Wa Basarat K Zariye Hai, Na K Uski Zaat E Mubarak K Wajood Paak K Sath Kisi K Sath Hona Hai.

8. Jo Koi Izzat Chahta Hai To (Wo Ye Jaan Le K) Tamaam Tar Izzat Allah K Liye Hai (Yani Izzat Dene Wala Wahi Hai) Paak Batey Us (Allah) Ki Taraf Chadti Hai Aur Nek Amal Apne Karne Wale Ko Buland Karta Hai Aur Jo Loog Buraiya Karte Hai Unke Liye Shadeed Azaab Hai Aur Unki Buri Haali Hi Nestey Nabood Hogi. (Surah Fatir Surah No. 35 Ayat No. 10)

9. Sawal Karne Wale Ne Azaab K Bare Mai Sawal Kiya Jo Wakai Hone Wala Hai Kafiro K Liye Us Azaab Ko Door Karne Wala Koi Bhi Nahi Allah Ki Taraf Se (Allah Hi Hai) Jo (Aasmano Ki) Sidhiyo Ka Malik Hai Us (Allah) Ki Taraf Farishte Aur Rooh (Unhe Seediyo K Zariye) Chadhte Hai Ek (Aese) Din Mai Jis Ki Mikdaar (Tumhari Ginti K Mutabik) 50 Hazaar Saal K Barabar Hai. (Surah Ma'arij Surah No. 70 Ayat No. 1 Se 4 Tak)

10. Wo (Allah) Aasman Se Le Kar Zameen (Har) Kaam Ki Tadbeer Farmata Hai Phir Wo (Kaam) Ek Aese Din Mai Jis Ki Mikdaar Tumhari Ginti K Mutabik 1000 Saal Hai Allah Ki Taraf Chadh Jata Hai. (Surah Sajda Surah No. 32 Ayat No. 5)

11. Wo (Yani Farishte) Apne Oopar Se Apne Rabb Se Darte Hai Aur Jo Huqm Unhe Diya Jata Hai Usi K Mutabik (Har) Kaam Karte Hai. (Surah Nahal Surah No. 16 Ayat No. 50)

Allah Ta'ala K Mandarja Bala Farameen Se Saaf Wazey Toor Par Samajh Ata Hai K Allah Apni Tamaam Tar Makhlook K Upar Us Se Juda Aur Buland Hai Kisi Lafz Ki Koi Tashrih Ya Taweel Karne Se Pehle Hame Allah K Ye Darj Zael Farameen Bhi Zehan Mai Rakhne Chahiye Jin Mai Allah Ne Apne Rasool Muhmmad SAW Ko Mukhatib Farma Kar Unke Ummatiyo Ko Unki Aap Saw K Mansab Risalat Ki Zimmedariyo Mai Se Sab Se Aham Zimmedar Batai Hai Aur Hame Ye Samjhaya K Allah K Farameen Mubaraka Ko Allah K Rasool SAW Ki Bayan Karda Qauli Aur Amli Tafseer, Sharah Aur Talimaat K Mutabik Samjha Hai Na K Apni Akal Wa Sooch, Mijaaz Pasand Na Pasand Aur Apne Khud Saakta Jahalat Zuda Falsafo K Mutabik.

To Be Continued......

#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Monday, May 25, 2015

HAFIZ IQBAL DEOBANDI AALIM KE JHOOT KA POSTMORTEM



Hafiz Iqbal Deobandi Aalim Ke Jhoot Ka Postmortem

Log Faisla Karen Hafiz Iqbal Sab Jhoote Ya Ashraf Ali Thanvi Jhoote??

Baat Taqreeban Ek Saal Pahle (2014) Ki Hai, Jab Mehsala Ke Munazare Ki Sharait Taiy Hone Ke Liye 5 Ghante Masle Par Baat Hui, Un Sharait Me Hafiz Iqbal Sab Apne Apko Muqallid Nahin Likh Rahe They Aakhir Tak , Aur Baher Chale Gaye,

Aakhir Jab Wo Taqleed Karte Hain Aur Muqallid Hain Toh Apni Haisiyat Muqallid Kyun Nahin Likhte ??


Jawab Qayamat Tak Nahin Aayega ??


Uske Baad Farzi Sawalaat Karne Lag Eke “Haisiyat Ka Maana Bata” Wagerah Wagerah, Ab Jisko Khud Ki Haisiyat Pata Na Ho Wo Maana (Meaning) Ke Makad Jaal Me Fasenga Hi Na, Ya Fir Ye Ek Type Ki Munaafiqat Bhi Hai Jab Asliyat Saamne Aati Hai, Aur Raaz Khulne Lagta Hai Toh Qayasi Baton Se Apni Muqallid Hone Ki Haisiyat Ko Radd Karte Hain,


Aisa Ye Sahih Hadith Saamne Aane Par Bhi Mantik (Logic) Maante Hain, Yahoodion Ki Tarah Heele Banana Lagte Hain,


Khair Mehsala Me Sharait Ke Waqeye Ke Baad Maine Hafiz Iqbal Ko Phone Kiya Tha Or Muqallid Haisiyat Par Baat Kiya Tha Aur Poocha Tha Ke


“ Aap Muqallid Hain Toh Likhte Kyun Nahin??”


Tab Janab Hafiz Iqbal Saab Ne Ulta Ham Par Ilzaam Laga Diya Ke Tum Taqleed Ko Shirk Aur Haram Kehte Ho Uski Daleel  Do,


Maine Usi Waqt Qur’an Ki Ye Ayat Bata Di

“Ittakhazu Ahbarahum Wa Rohbana Hum Arbabam Min Dunilllah”

Yani

“In Logon Ne Allah Tala Ko Chhodkar Kar Apne Aalimon Par Darwesho Ko Apna Rabb Bana Liya”

(Surah Tobah Ayat No 31)

 Tab Hafiz Iqbal Saab Kahte Hain Ye Ayat Yahoodion  Ke Liye Thi, Ise Musalmano Par Mat Chipkao, Aur Aaj Kal Molana Gumman Bhi Aise Hi Heeley Bahane Banate Hain Jab Koi Aayat Ya Hadith Unke Masle Ke Khilaaf Aa Jaati Hai,

Fauran Kahne Lagte Hain Ye Ayat Yahoodion Ke Liye Thi, Wo Ayat Mushrikon Ke Liye Thi, Wo Ayat Kaafiron Ke Liye Thi, Ye Hain In Muqallid Mullion Ke Heele Bahaane,

Ab Batao Agar Saari Ayatein Dusron Ke Liye Thi Tph In Deobandion Ke Liye Kya Hai ??

Kuch Nahin Na ?? Poore Qur’an Me In Deobandion Ke Liye Kya Hai? Kuch Bacha Hi Nahin Kyonki Ye Khud Hi Kah Dete Hain Ke Ye Ayat Uske Liye Hai, Wo Ayat Uske Liye, Hamare Liye Qur’an Me Kuch Nahin, Tab Mantik Maarenge Ke Sahaba Aur Aimma Ke Liye Jo Ayat Hai Wo Hamare Liye Hain


Ab Main Poochta Hoon Are Kyun Bhai ? Sahaba Aur Aimma Wali Ayat Tumhare Liye Kyun ??
Toh Kahte Hain Ke Ham Waise Amal Karte Hain Isliye Unki Taraf Nisbat Karte Hain, Isliye Unki Taraf Nisbat Karte Hain Aur Hafiz Iqbal Sahab Mehsala Ke Munazare Me Apne Apko Ahle Sunnat Likhne Ke Liye Bol Rahe They,


Toh Ham Bhi Isi Liye Kahte Hain Ke Jab Tum Yahoodion Jaisi Taqleed Karte Ho Tab Ham Bhi Aise Hi Tumhe Unki Taraf Nisbat Dete Hain, Tumhari Taqleed Ko Shirk Aur Haram Kahte Hain,
Aur Yaqeen Na Aaye  Toh Apne Ghar Ki Gawahi Lo,

Deobandion Ke Hakeem Ul Ummat Shraf Ali Thanwi Bhi Surah Tauba Ki Ayat Ko Unhone Alimony Aur Darwesho Ko Apna Rabb Bana Liya, Muqallidon Ke Liye Chhipkaayi Hai
Ab Hafiz Iqbal Saab Ashraf Ali Thanvi Saab Ko Kya Kahenge Wo Toh Isi Ayat Se Istadlal Karke Taqleed Ko Haram Qarar De Rahen Hain

Ashraf Ali Thanwi Farmate Hain

“Baaz Muqallideen Ne Apne Aimma Ko Masoom Ul Khata Wa Masaib Wa Jaba Wa Mafruzul Ita’at Tasawwur Karke Azam Bil Jazam Kiya Hai Khwaah Kaisi Hi Sahih Mukhalif Qaul Imam Ke Ho Aur Musnad Qul Imam Ka Bajuz Qayas Ke Amr Deegar Na Ho Fir Bhi Bahut Si Ulal Khulal Hadith Me Paida Karke Ya Uski Taweel Baeed Karke Hadith Ka Radd Kar Denge, Aur Qaul E Imam Ko Na Chhodenge, Aisi Taqleed Haram Hai Aur Misdaq Qaul Allah Taala (Ittakhazu Ahbarahum Wa Rohbana Hum Arbabam Min Dunilllah) Illa Ye Or Khilaaf O Wasiyat Aimma Marhoomeen Ke Hai”


(Imam Dadul Fatawa Vol 5 Page 297, Dusra Nuskha Vol 4 Page 90)

Ab Hafiz Iqbal Saab Kya Kahenge ?? Yahan Toh Unke Haqeem Ul Ummat Wo Ayat Se Istatdlal Karke Muqallid Ki Taqleed Haram Amal Bata Rahen Hain Yahoodion Jaisa, Jisko Hafiz Iqbal Radd Karte Hain Ke Ye Yahoodion Ke Liye Hain


Log Faisla Karen Hafiz Iqbal Saab Jhoot Bol Rahen Hain Ya Ashraf Ali Thanvi Saab Jhoote Hain ??

#Nadeemsalafi
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks

Friday, May 22, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-15)






Bismillahirrahmanirraheem



NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-15)



ALLAH KI TAUHEEN:


Denmark Se Yahoodion Ne Ek Jhooti Kahabr Shaya Ki Jisme Kaha Gaya Ki Saudi Hukmaran  Rasool Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Qabr Mubarak Ko Khodkar Kisi Dusri Jagah Shift Karne Ja Rahen Hain,


In Hanafion Ne Apne Kaan Na Dekhe, Lage Kawwe Ke Peeche Bhaagne, Aur Jab Pata Chala Ki Kaan Toh Apni Jagah Par Hai Aur Khabar Jhooti Hai Toh Deobandi Aalim Maulana Mateen Ul Haq Osama Qasmi Bayan Jaari Karte Hue Kahte Hain


“Ummat Ka Sawad E Aazam Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Apni Qabr Mr Zinda Samjhta Hai, Hamara Aqeeda Hai Mahboob E Do Jahan Zameen Ke Jis Hisse Me Aaraam Farma Hain Wah Hissa Arsh E Azeem Se Bhi Afzal Hai”

(Maulana Mateen Ul Haq Osama Qasmi, Urdu Newspaper AAG Wa SIYASAT Jumah 5-Sep-2014)


Allah Tala Qur’an Me Fermata Hai


“Beshaq Tumhara Rabb Allah Hi Hai Jisne Sab Aasmaan Aur Zameen Ko 6 Roz Me Paida Kiya Fir Arsh Par Mustawi Hua”

(Surah Aaraaf Ayat No 54)


Ek Toh Duniya Bhar Me Bila Kisi Ikhtelaaf Ke Qabil E Qubool Hai Ki Jo Cheez Jitni Muqaddas Hogi Usse Nisbat Rakhne Wali Cheez Bhi Ba’nisbat Dusri Cheez Se  Muqaddas Hogi Aur Uski Qadr O Keemat Aur Uska Taqaddus Ba’nisbat Dusri Cheez Se Kahin Zyada Hogi, Allah Tala Hamara Rabb Hai Tamam Kaaynaat Ka Khaliq  Wa Malik Hai, Insaano Ki Eke K Saans Allah Ke Rahem O Karam Ki Mohtaaj Hai Uski Shaan E Rubuwiyat Bayan Karna Kisi  Makhlooq Ke Bas Ki Baat Nahin Hai Saari Duniya Ke Darakhton Ko Qalam Banaakar Aur Saare Samundar Ko Syaahi Banaakar Rabb Ki Rubuwiyat Bayan Nahin Ki Ja Sakti, Bas Itna Samjho Insaan Ko Nubuwwat Milna Allah Tala Ke Rahem P Karam Par Hai Fir Koi Shakhs Aisi Jurrat Aur Tauheen Kaise Kar Sakta Hai Ki Jis Cheez Ki Nisbat Rab  Se Ho Wo Kamtar Ho Aur Jis Cheez Ki Nisbat Bande Se Ho Wah Afzal Ho Jaaye,


Kya Wo Shaks Musalman Ho Sakta Hai Jo Allah Ko Kamtar Jaane Aur Allah Ki Tauheen Kar Dale ??


Maulana Osama Qasmi Ka Aqeeda Saraasar Kufr Aur Allah Tala Ki Tauheen Par Mabni Hai Agar Inka Ye Imaan Hai Ki Hamen Usi Rabb Ke Saamne Marne Ke Baad Haazir Hona Hai Toh Fauri Taur Par Elaaniya Tauba Karen,Ek Adna Aadmi Bhi Jaanta Hai Ki Baadshah Ya Prime Minister Ki Nisbat Jis Kursi Se Hoti Hai Wo Us Desh Ya Saltunate Me Sabse Afzal Hoti Hai, Isi Tarah CM Jis Kursi Se Nisbat Rakhta Hai Wo PM Ke Nisbat Karda Kursi Se Afzal Nahin Ho Sakti,


Lekin Osama Sahab Ka Kahna Hai Ki


“’Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Se Nisbat Kardah Qabr Ki Mitti, Allah Ke Saath Nisbat Rakhne Wale Arsh Se  Afzal Hai”

Toh Unka Ye Bayan Saraasar Kufr Aur Allah Ki Tauheen Hai


DEOBANDI, BARELWI AUR ALLAH KI TAUHEEN:


Ahmad Yaar Barelwi Likhte Hain


“Log Jo Khaate Hain Use Paleed Banta Hai, Nabi Ke Khane Se Allah Ka Noor Banta Hai”

(Jaal Huq Page No 172)

Dekh Rahen Hain Aap In Hanafi Barelwion Ki Kufr Bayani Yani Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Paikhana (Latrine) Allah Ka Noor Hai (Nauzubillah)


Waqai Kaafir Aur Mushrikon Ne Bhi Aaj Tak Aisi Tauheen Allah Tala Ki Nahin Ki Yaqeenan Aisilog Waajibul Qatal Hote Agar Khilafat Hoti,

Isi Tarah Ki Kufriya Bayani Deobandi Aalim Maulana Zakariya Khandalwi Ne Bhi Ki Hai, Farq Sirf Itna Hai Ki Ahmad Yaar Khan Ne Paikhane Ko Allah Ka Noor Kaha Lekin Deobandi Ne Aam Aadmi Ka Aur Apne Aapke Paikhane Ko Noor E Khuda Kaha, Likhte Hain


“Hazrat Maulana Shah Abdul Raheem Sahab Ke Khuddam Me Ek Sahab They Jo Kai Kai Roz Is Wajah Se Istinja Karne Nahin Jaate They Ke Har Jagah Anwaar Nazar Aate They”


(Fazail E Zikr Page No. 154)


Had Ho Gayi Ki Sirf Peshab Aur Paikhana Ghar  Me Hi In Logon Kp Anwaar Nazar Aate They, Kya Allah Ka Noor Peshaab Wa Pakhana Me Hota Hai ?? Agar Nahin Toh Ye Hazraat Chalet Firte, Nahaate Dhote, Thookte Wagerah They Ya Ye Bhi Nahin Karte They ,

In Zaalimon Ne Allah Ko Kya Se Kya Bana Daala, Allah Ki Lanat Ho Allah Ki Tauheen Karnewalon Par Jabki Allah Tala Ne Apne Noor Ki Halki Si Tajalli Toor Pahaad Par Daala Tha Toh Toor Pahaad Ke Parkhacche Udh Gaye They Aur Hz Moosa (As) Behosh Hokar Gir Gaye They Lekin Allah Tala Ke Anwaar Ko Nahin Dekh Paaye They, Lekin Yahi Anwaar Paikhane Me Deobandi Aalim Dekh Rahen Hain Aur Inke Paikhane Baitul Khala Ko Anwaar Se Koi Farq Bhi Nahin Padta Aur Na Hi Toor Pahaad Ki Tarah Iske Parkachhe Ude…

THE END…

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks