Wednesday, December 31, 2014

QUR'AN PAAK KI HISTORY- PART-3









Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Quraan paak ki History

Part-3

Hafiz e Quraan per fer pura Tawazzo Dene k bawazud Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Kitabat Qraan ki Ahmeyat ko Nazar Andaz Nahi Farmaya , Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Es Maksad k leye Padhe lekhe Sahaba e karam r.a ko ye Farz Sopa k Wo WAHI Nazil hote he Uske kitabat(lekha) keya kare, HAZRAT ZAID BIN SABIT R.A Aap(s.a.w) k Mustakil kutub WAHI v the Aur Baaz Dusre Sarkari (Goverment) Dastawez ki Tayari v Unke Faraiz me Samil the, Aap (s.a.w) ne Khud Unhe Gair-Mulke Zuban Aur Tahrer Sekhne ki Hidayat Farma Rakhe the, Baaz Dusre Mashoor Katiban (writers,lekhne wale) WAHI k Asma girami ye hai.

1-Hazrat Abu Bakar Siddiq r.a
2-Hazrat Umar Farooq r.a
3-Hazrat Usman Gani r.a
4-Hazrat Ali r.a
5-Hazrat Abi bin Kaib r.a
6-Hazrat Zaber bin Aouf r.a
7-Hazrat Mawia bin Sufyan r.a
8-Hazrat Mugaira bin Saiba r.a
9-Hazrat Kalid bin Waled r.a
10-Hazrat Sabit bin Qais r.a
11-Hazrat Aban bin Saeed r.a

[Fatul Baari jild-9 ,Safa-18]

Hazrat Abdullah bin Saeed bin Al-aas r.a Jamana e Jahalat me v katib (writer) ki Haiseyat se Mashoor the , Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Unhe Hukm de Rakha tha k Wo Sahaba r.a ko lekhna Sekhae, Kaha jata hai k Ahad Nabwi me Mazmua Tour per Katiban (Writaro,lekhne Wale) WAHI ki Tadaad 40 Tak Pahuch gaye the.

[Uloom Hadees ]

Aap Sallahu Alaihe Wasallam k Mamul ye the k jab Quraan Karem k koi Hissa Nazel hota tou Aap Sallahu Alaihe Wasallam KATIB WAHI ko Mokammal hidayat Irshad Farmate j use Fala Fala Surah me Fala Fala Ayat k Baad lekha jaye, KATIBAN WAHI use PATTHAR ki Selet ya Dabagat suda CHAMRA (paak janwaro ki khaal) ya KUZUR ki Saakh k Mota hissa, DARAKHT K PPATTO , JANWARO KI HADDIO ya kisi TUKRA per Tahrer (lekhte) farma lete, Es Tarah Ahad Resalat me Quraan Karem k ek Mokammal Aysa Nuskha Tayyar ho gaya jise Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Apne Negrane me lekhwaya tha, Eske Elawa Bahut se Sahaba r.a Ayse the Jinhone Khud Apne Apne Jok o Sok k Mutabiq Baaz Surate ya Ayat Apne Pass lekh Rakhe the Jaisa k Hazrat Umar r.a k Islam laane se pahle unke Bahan Aur Bahnoe (jija ji) ne Ek Saefa me ''SUREH TAHA'' ki Ayat lekh Rakhe the, Chunche kaha jata hai k Aap Sallahu Alaihe Wasallam ki wafat k Waqt (Gair Maktab Sakl me) jayada se jayada 17 Musahif k pata Chalta hai.

[Aina e Parwejiya ,Moulana Abdul Rahman kilane r.al,Hissa-5, Safa-718]

Kitab k Jareye Hifazat Quraan k Silsila Aaj v Hifazat Quraan ki Nisbat kahi jayada Aur Waseh paimane per Na Serf jare hai Balke Roza fazu hai, Lag-vag 100 jayada Juban me Quraan Majeed k Tarzuma Chap Chuke hai,Serf Madina Manwwara me Qayam Suda ''SAH FAHAD QURAAN AQADMI'' Salana ''2 Crore 80 Lakh (2,80,00,000) '' Quraan Majeed k Nuskhe Chapa ker Dunya var me Bela-kimat Taksem karte hai.

''JAZA ALLAH HU ANIL ISLAMI WAL MUSLIMENA AHSANUL JAZA''

yaad Rahe Chapai Compani (press) ki Ezaad k baad Pahle Martaba Quraan Majeed 1113 hizre me Garmani k Sahar Humbark k Press me Tabah hua jiska Ek Nuskha Abtak Darool kutub Al Misreya me Maouzud hai.

[Uloom Al Quraan , Docter Saji Saleh]

*Hazrat Abu Bakar Siddiq r.a k Bela Tarteb Quraan Majeed yakza karna :

Jang e Yamaan me jab Hafiza kiran (Quraan paak k hafiz e Sahaba r.a) ki Ek Bare Tadaad Saheed ho gaye tou Sabse Pahle HAZRAT UMAR FAROOQ R.A ko Quraan Majeed Tahrer Sakal me Jama karne k Ahsaas hua, Chunche Aap Amerul Mominen HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQ R.A ki khidmat me hazer hue Aur Arz keya ki :

'' Jang yamaan me Quraan majeed k Hfiza ki ek Bari Tadaad Saheed ho chuke hai Ager Jang me ese Tarah Hfiza Saheed hote Rahe tou Khatra hai kahe Quraan Majeed k ek Bara hissa Na-paid Na ho jaye,lehaza Aap Quraan Majeed jama karne k Ahtemam Kare''

HAZRAT ABU BAKER SIDDIQ R.A ne Farmaya :

''jo kaam Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Apne Ayat e Tayba me Nahi keya Wo hukm may kaise De Sakta hu ?''

HAZRAT UMAR R.A ne Jawab Deya :

''ALLAH ki kasam ! Ye Kaam Behtar he Behtar hai''

Eske Baad Allah Tala Ne Es Kaam k leye HAZRAT ABU BAKER SIDDIQ R.A k Sina khol deya Aur Apne HAZRAT ZAID BIN SABIT R.A ko bula ker Farmaya :

''Tum Naujawan Aur Samjhdaar Adme ho, Tumhare Bare me kisi ko Badgumane Nahi,Tum Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam k Samne kitabat karte Rahe ho,Lehaza Quraan Majeed ki Ayat Talash Kar k Unhe Jama karo''

HAZRAT ZAID BIN SABIT R.A farmate hai :

''Ager ye Hazraat (Yaani HAZRAT ABU BAKER SIDDIQ R.A AUR HAZRAT UMAR R.A ) Mujhe koi Pahar ek jagah se Dusre Jagah Muntakil karne k hukm Dete tou mere leye Etna Muskel Na hota jetna Quraan Majeed ko jama karne k kaam Mujhe Muskel Laga''

HAZRAT ABU BAKER SIDDIQ R.A baar-baar HAZRAT ZAID BIN SABIT R.A ko es kaam ki Taraf Tawajjo delate Rahe Hatta k Allah Tala ne HAZRAT ZAID R.A k sina es kaam k leye khol deya Aur Unhone es Kaam k Agaaz Farma deya.

[Bukhari ,kitab Fazail e Quraan , Baab jama Quraan]

HAZRAT ZAID BIN SABIT R.A ne kis Qadar Mehnat Aur Ark reje se Quraan Majeed Jama keya ,Eska Andaza Es baat se lagaya ja sakta hai k jo Adme koi Ayat ke kar HAZRAT ZAID R.A k pass ata,Aap Uske Darz-zel 4 tarah se Tasdek farmate :

1-HAZRAT ZAID BIN SABIT R.A khud Hafiz the, Lehaza sabse pahle Apne Yaddast se uske Tasdek karte.
2-HAZRAT UMAR FAROOQ R.A ve HAZRAT ZAID BIN SABIT R.A k sath Quraan Majeed Jama karne ki khidmat me Sarek the Aur Hafiz e Quraan v the ,Lehaza wo v Ayat ki Tasdek karte.
3-HAZRAT ZAID R.A Us Waqt tak koi Ayat Kabul Na karte jabtak 2 kabil e Ahtemaad Gawah Es Baat ki Gawahe Na Dete k Ha Wakaye ye Ayat Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam k Samne Ayse he Tahrer ki Gaye the.
4-Akher me pess karda Ayat k Mukabla Dusre Sahaba e karam r.a ki lekhe hue Ayat se keya jata.

Jo Ayat en 4 Sarto per puri Utarti ,Use kabul ker leya jata,Es Zaber-10 Ahteyat k Sath HAZRAT ZAID R.A ne Jama Quraan k ye Azeem karnama Sar Anzam Deya,HAZRAT ZAID BIN SABIT R.A k Es jama Sudah Nuskhe ko ''Umma'' kaha jata hai , es ''Umma'' me 3 wajeh Au-Saaf ye tha.

1-Tamam Surato ki Ayat ki Tarteb Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ki Batlaye hue Tarteb k Mutabiq tay kar de gaye.
2-Es Nuskhe me Qirat (Reading) k sath Harf ya lahze Mouzud the ta k jo Saks jis hurf (ya lahze) me Ba-Asani Quraan pad Sake,Pada Sake.
3-Surato ki Tarteb tay Nahi ki gaye the balke Tamam Surate Alag Alag Sahefa ki Sakal me jama ki gaye the.

Ahad Siddiqe me ye Nuskha HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQ k pass Mahfuz raha,HAZRAT ABU BAKER SIDDIQ R.A ki Wafat k baad Ahad Farooqi me ye Nuskha HAZRAT UMAR FAROOQ R.A k pass Raha Aur HAZRAT UMAR R.A ki Sahadat k baad ye Nuskha Amerul Mominen HAZRAT HAFZA R.A ( Banat HAZRAT UMAR R.A) k pass Mahfuz kar deya Gaya.



#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Tuesday, December 30, 2014

SHAUHAR JAB GHAR AAYE TOH BIWI KO USKI RAZA'JOYI KARNA CHAHIYE:




Bismillahirrahmanirraheem

SHAUHAR JAB GHAR AAYE TOH BIWI KO USKI RAZA'JOYI KARNA CHAHIYE:

Biwi Ki Ye Zimmedari Hai Ke Jab Uska Shauhar Uske Ghar Aaye Toh Uski Khush'nudi Paane Aur Use Dil Ki Gahraiyyon Tak Khush Karne Ke Liye Bhar'poor Koshish Kare,

Lihaaza Saaf Suthari Aur Aaraasta Ho Kar Uska Istaqbal (Welcome) Kare, Kisi Kaam Aur Thakawat Aur Nafrat Ka Izhaar Na Kare, Uska
Samaan Uthaaye, Uske Kapde Change Karne Me Uski Madad Kare Aur Uski Khidmat Me Ghar Me Pahanne Wale Kapde Haazir Kar De, Isse Shauhar Ko Khushi Haasil Hoti Hai,

Isliye Ek Musalman Biwi Ko Apni Jismani Safaayi Se Ghaflat Nahin Karni Chahiye,

Jismani Safaayi ChehrE Ko Raunaq Bakhsti Hai, Shauhar Ko Mahboob Kar Deti Hai, Aur Bimarion, Illaton Se Aurat Ko Mahfooz Rakhti Hai Aur Jism Ko Kaam Karne Ke Liye Taaqat Muhaiyya Karti Hai,

Gandi, Mayli-Kuchaili Aurat Ko Dekhkar Tabiyat Maqdar Ko Jaati hai, Aur Aankhen Aur Kaan Usse Be'zaari Ka Izhaar Karte Hain,

Isliye Jab Aap Apne Shauhar Se Milen Toh Bade Khush'gawaar Mood Aur Acche Tareeqe Se Milen...

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait

Monday, December 29, 2014

QUR'AN PAAK KI HISTORY- PART -2

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Quraan paak ki History

Part-2

Quraan Majeed k Nujul (Najel,Utarna) Chuke Soti Andaz (Kam-kam,Thora-Thora,jara-jara) hota tha, Lehaza Hazrat Jibrail A.S Lafz Aur Ayat ki Tarteb k Sath Sath Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ko Unka Sahi Talaffuz Aur Ar'ab v Sekhate the, WAHI Soti Andaz me Ummat tak Pahuchna Jaruri tha, Lehaza Aap Sallahu Alaihe Wasallam ne Sab se pahle Apne Pure tawajjo Hafiz e Quraan ki Taraf Mabzul (Consantrat) Farmaye.

Madina Manawwara Tasreef lane k baad Aap (s.a.w) ne Sabse pahle Masjid Tamir Farmaye Aur Masjid k Ek Hissa me Mamule Uchae k Chabutra ''Saf'' Banaker use Madarsa ki Sakal dae de, jaha Aaj v Ustad Apne Sagerdo ko Quraan Majeed ki Taleem dete, Hazrat Ubada bin Samit r.a Farmate hai :

''Jab koi Saks Hijrat kar k Madina Manawwara Ata tou Aap (s.a.w) use Hum Ansario me se kisi k hawale Farma dete take Wo Use Quraan Sekhae''

Masjid e Nabwi me Quraan Majeed Padna,Padane walo k Etna jok-Sok hota k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ko Yaha tak Farmane padhe :
''Logo ! apne Awaaze Past (Niche,Ahista) Rakho''

Hafiz e Quraan per Fure Aur Jayada Tawajjo Dene ki Dusre Wajah Arbo ki be-panah Hafiza the (Saudi Arab k logo ki Demaag bahut teez the aur wo kisi v baat ko fouran yaad kar lete the) jinhe Apne Khandane Nasal se Werasat me mele the.

Hafiz e Quraan per Tawajjo farmane ki 3sre Wajah ye v the k Her Musalman k leye Namaz me kuch Na Kuch Quraan Majeed padna Jaruri tha, Farz Namazo se hat ker Nafil Namazo, khas -kar Qayam ul Lail k Fazail Aur Ajr o Sawab ne Sahaba e karam r.a me Quraan Majeed ko yaad karne k Jok Wa Sok me Aur v jayada Ezafa kar deya tha, Ramzan Al Mubarak k Pura Mahina Goya Quraan Paak ki Talawat ,Samaat,Tahfez,Taleem Aur Tadresh k Mousam Bahar hota, Eske Elawa Quraan paak ki Anginat Fazail Aur Fawaid (Faida) k Pess e Nazar Hafiz e Quraan k Mamle me Sahaba e Karam r.a Ek Dusre per Sabkat (fakr) le jane ki Varpur kosis Farmate.

4 Hijri me pess Ane wale holam naak Waqiya me Sahed hone Wale 70 Sahaba r.a k bare me kaha jata hai k Wo Sab k Sab Fazla,Qira,Aur Akheyar Sahaba Keram r.a the, Din me Lakreya kaat ker Ahle Safa k leye Galla kharedte Aur Quraan padte the,Raat k Waqt Allah k Huzur Manazaat wa Namaz k leye Khare ho jate.

[Alrahik Almaktum Safa-460]

Sahaba r.a k Ese Jok Wa Sok k ye Nateza tha k Aap(s.a.w) ki Hayat Tayyaba me he Hafiz karam ki Ek Bade Jamat Tayyar ho gaye, Es Jamat me .

*Hazrat Abu Bakar Siddiq r.a
*Hazrat Umar r.a
*Hazrat Usman Gani r.a
*Hazrat Ali r.a
*Hazrat Talha r.a
*Hazrat Saad r.a
*Hazrat Abdullah bin Masood r.a
*Hazrat Kuzifa bin Yamaan r.a
*Hazrat Salim r.a (Mouli Hazrat Abu Kuzaifa r.a)
*Hazrat Abu Huraira r.a
*Hazrat Abdullah bin Umar r.a
*Hazrat Abdullah bin Abbas r.a
*Hazrat Umru bin Aas r.a
*Hazrat Abdullah bin Umru r.a
*Hazrat Mawia r.a
*Hazrat Abdullah bin Zabir r.a
*Hazrat Abdullah bin Saab r.a
*Hazrat Aisha r.a
*Hazrat Hafza r.a
*Hazrat AmSalma r.a

k Naam Kash tour per Kabil e Zekar hai.

[Mukadma Maruf Al Quraan Safa-81]

Aap Sallahu Alaihe Wasallam k Wafat Mubarak k Fouran Baad 11 Hizri me Pess Ane Wale Jang Yamam me 700 Hafiz ki Sahadat Es Baat k Na-kabil Tadres Sabut hai k Us Waqt tak Bila Muballig 1000 ki Tadaad me Hafiz e Quraan Sahaba e karam r.a Mouzud the,Hafiza k Zreye Quraan Majeed ki Hifazat k ye Silsila Ahad Nabwi (s.a.w) se lekar Aaj tak bela Inketa (Ruke) Jaare hai Aur InshaAllah Qayamat tak jare Rahega.

Next post me Quraan paak ko kitab k Sakal dene me koun Koun Sahaba r.a the Aur Kounse Sahaba r.a ne Mana keya Aysa karne se hoge.. Insha Allah...


#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Sunday, December 28, 2014

BIWI KO SHAUHAR KE RAAZ (SECRETS) FAASH NI KARNA CHAHIYE:




Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO SHAUHAR KE RAAZ (SECRETS) FAASH NI KARNA CHAHIYE:

Shauhar Ke SecretS Ko Dusron Ko Bataana Bada Taqleef'deh Hota Hai Aur Ye Haram Bhi Hai,

Isliye Zaroori Hai Ke Biwi Logon Ke
Darmiyaan Shauhar Ki Buraiyyon Ka Tazkirah Na Kare, Aur Na Hi Uske Secrets Dusron Ko Share Kare, Aur Na Uske Chhupe Hue Aibon
Ko Aam Kare, Jinko Wah Jaanti Hai,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Pas Nek Auratein Farma'bardar Hain, Ghair Haziri Me Hifazat Karne Wali Hain, Isliye Ke Allah Ne (Unhe) Mahfooz Rakha, Aur Wah
Auratein Jinki Nafarmani Se Tum Darte Ho, So Unhe Naseehat Karo Aur Bistaron Mese Alag Ho Jao Aur Unhe Maro, Fir Agar Wah Tumhari Farma'bardari Karen Toh Un Par
(Zyadati Ka) Koi Raasta Talaash Na Karo, Beshaq Allah Hamesha Se Bahut Buland, Bahut Bada Hai"

(Surah Nisa Ayat No. 34)

Hadith Me Lazzat'andozi Ke Raazon Se Pardah Uthaane Ki Hurmat Waarid Hui Hai

Hz Abu Saeed Khudri (Ra) Farmate Hain Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Roz E Qayamat Allah Tala Ke Yahan Bad'tareen Martabe Ka Malik Wah Shakhs Hoga Jo Apni Biwi Ke Darmiyan Aur Apne
Darmiyaan Hone Wale Mubashirat
(Humbistari) Ke Maamlaat Se Pardah Uthaata Hai"

(Sahih Muslim Hadith No. 1437)

Hz Asma Bint Yazeed (Ra) Bayan Farmati Hain Ke Wah Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Paas Baithi Hui Thi Aur Kai
Deegar Khwateen Wa Hazraat Bhi Wahan Maujood They Ke Aap Ne Farmaya

"Shayad Aadmi Jo ApnI Biwi Ke Saath Karta Hai Uska Zikr Kare Aur Shayad Aurat Bhi Jo Apne Shauhar Ke Saath Karti Hai Uska Tazkirah Kare,"

Saare Logon Ne Chhup Saadh Li,

Toh Maine (Hz Asma) Ne Kaha:

"Ji Haan , Aiy Allah Ke Rasool ! Auratein Bhi Aisa Karti Hain Aur Mard Bhi"

Toh Aap (Sws) Ne Farmaya

"Aisa Bilkul Na Karo, Ye Toh Us Shaitan Ki Tarah Hai Jo Raaste Me Shaitaan'ni Ko Dekhta Hai Aur Logon Ke Saamne Hi Uske Saath Bad'faili Shuru Kar Deta Hai"

(Musnad Ahmad Hadith No. 27036)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait

Saturday, December 27, 2014

QUR'AN PAAK KI HISTORY- PART 1

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Quraan paak ki History

Part-1

Quraan Majeed Nuzul ki Ibteda Lailatul Qadar,
21 Ramzan Al Mubarak
10 Agust
610 Iswi
Ba-Roz Somwar (peer,Monday) hue.

Pahle Sureh No-96. Al-`Alaq-Me 5 Ayat Nazel hue ,

اقْرَأْ بِاسْمِ رَبِّكَ الَّذِي خَلَقَ 1 خَلَقَ الْإِنسَانَ مِنْ عَلَقٍ 2 اقْرَأْ وَرَبُّكَ الْأَكْرَمُ 3 الَّذِي عَلَّمَ بِالْقَلَمِ 4 عَلَّمَ الْإِنسَانَ مَا لَمْ يَعْلَمْ 5

Tarzuma-

1-Pad Apne Rab k Naam se jisne paida keya,
2-Insan ko khoon k lothre se Paida keya,
3-Tu padta rah Tera Rab bara karam Wala hai,
4-Jisne Kalam k jareye (Elm) Sekhaya,
5-jisne Inshan ko wo sekhaya jo wo Nahi janta tha.

Us Waqt Nabi Akram Sallahu Alaihe Wasallam ki Umar (Age) Mubarak Kamri 40 Saal, 6 Mahina,
12wa Din Aur
Samsi Hisaab se
39 Saal,
3 Mahina,
22 Din the.

[Arrahi Maktum,Moulana Safi Al Rahman Mubarak puri Safa-96-97]

WAHI k Ibtadai jamane me Rasullah Akram Sallahu Alaihe Wasallam Es Khadas (ghabrahat) se k kahi WAHI k Alfaz bhool Na jaye Hazrat Zebrail A.S k Sath WAHI k Alfaz jaldi-jaldi Dohrane Lage,Jisper Allah Tala Ne Ye Hidayat Faramaye :

''Aye Nabi ! wahi ko jaldi Jaldi Yaad karne k leye Apne Jaban ko Harkat Na Do''

[Sureh No-75. Al-Qiyamah,Ayat No-16]

Aur Sath me ye V Etmenan Delaya k Es WAHI ko Yaad karana Aur Padana Humare Jimma hai , Irshad Baari Tala hai :

''Beshaq Es Quraan ko Padwana Aur Yaad karana Humare jimme hai,Lehaza jab Hum Ese Pad Rahe ho tou Eske Qirat ko Gour se Sunte Raho''

[Sureh No-75. Al-Qiyamah,Ayat No-17,18]

Allah Tala k Es Irshad Mubarak se ye Baat Belkul Wajeh hai k Quraan Majeed ki Ek -Ek Ayat Aur Ek-Ek Hurf (Lafz) ko Matlub ba-Tarteeb k Sath khud Allah Tala Ne Rasul e Akram Sallahu Alaihe Wasallam k Qalb e Mubarak me Mahfooz Farma deya tha, Mazeed Ahteyat k Tour per Aap Sallahu Alaihe Wasallam her Saal Ramzan Al Mubarak me Hazrat Jebrail A.S ko Etna Quraan Majeed Sunate jitna Nazel ho Chuka hota,Saal Wafat Aap Sallahu Alaihe Wasallam ne Hazrat Jibrail A.S ko 2 Martaba Quraan Majeed Sunaya, Goya Aap Sallahu Alaihe Wasallam k Sena Mubarak Quraan Majeed k Aysa Mahfooz Tareen Makzan (Khazana) tha jisme Kisi Adna se Galti ya Mamule Raddo-badal k Zarra Barabar tak koi Sak Suba tak Na Tha.

Sahaba e Karam Raziallah hu Tala me Padhe Lekhe Aur Un-Padh 2no Tarah k Log Mouzud the, Padhe lekhe Logo ki Tadaad Nisbatan kam the Tavi Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Quraan paak ki Hifazat k leye ''Hafiz e Quraan'' Aur Kitabat Quraan 2no Tareke Istemal Farmaye, 2no ki Tarekh Next Post me hoge InshaAllah....

Allah paak Kahne Sunne se Jaya hume v hafiz e Quraan banna Nasib Farmaye... Aameen..



#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Friday, December 26, 2014

KHUTBA E NIKAH-





Bismillahirrahmanirraheem

KHUTBA E NIKAH-

Aqad Nikah Se Pahle Khutba Padhna Chahiye, Khutbe Ka Aghaaz Allah Tala Ki Hamd O Sana
Aur Rasool Maqbool Sallalaho Alaihi Wasallam Par Durood O Salaam Se Karna Chahiye ,

Aur Afzal Khutba Ye Hai,

KHUTBA E NIKAH

"(Bila'shubah) Sab Tareef Allah Ke Liye Hain, Ham Uski Tareef Karte Hain Aur Usi Se Madad Chaahte Hain,

Aur Usse Bakhshish Chaahte Hain, Aur Uski Panaah Chaahte Hain Apne Nafs Ki Buraaiyyon Aur Apne Bure Kaamon Se,

Jisko Allah Hidayat De Usko Koi Gumraah Karne Waala Nahin Aur Jisko Wah Gumraah Karde Usko Koi Hidayat Karne Waala Ni,

Ham Is Baat Ki Gawaahi Dete Hain Ke Sirf Akela Allah Hi Ibaadat Ke Layeq Hai Uska Koi Shareek Nahin Aur Gawaahi Dete Hain Ke Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Allah Ke Bande Aur Uske Rasool Hain,"

"Aiy Imaan Walon ! Allah Se Daro Jitna Ki Usse Darne Ka Haq Hai, Aur Musalman Hokar Maro"

(Surah Aal E Imran 102)

"Aiy Logon ! Daro Apne Parwardigaar Se Jisne Tumko Ek Jaan Se Paida Kiya Aur Usi Se
Uska Joda Paida Kiya, Aur Un Dono Se Faila Diye Bahut Se Mard Aur Auratein,

Aur Darte Raho Us Allah Se Jisse Tum Mangte Ho, Aur Rishte'daron Ka Khyaal Rakho, Beshaq Allah Tala Tumhari Dekh'bhal Karne
Waala Hai"

(Surah Nisa)

"Aiy Imaan Walon ! Allah Se Daro! Seedhi Baat Kaho ! Allah Tumhare Kaamon Ko Sanwaar Dega Aur Tumhare Gunahon Ko Bakhs Dega,

Aur Jo Shakhs Allah Aur Uske Rasool (Sws) Ki Ita'at Karega, Toh Use Bahut Badi Kaamyabi Haasil Hogi"

(Surah Ahzab 71)

Iske Baad Nikah Padhane Wala Apni Gharz Bataaye, Maslan Yun Kahe

"Main Tumhari Falan Beti Se Rishta Ke Liye Haazir Hua Hoon"

Ya Aur Bhi Jo Kalimaat Munasib Hon, Ada Kare..

Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Jis Khutba Me Allah Ki Hamd O Sana Na Ho Wah Us Haath Ki Tarah Hai Jo Kata Hua Ho"

(Tirmizi)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait

Thursday, December 25, 2014

AMEER UL MOMINEEN HZ UMAR BIN KHATTAB (RA) AUR UNKA RASOOLLULLAH SALLALAHO ALAIHI WASALLAM KE AHKAMAAT KA EHTERAM :






AMEER UL MOMINEEN HZ UMAR BIN KHATTAB (RA) AUR UNKA RASOOLLULLAH SALLALAHO ALAIHI WASALLAM KE AHKAMAAT KA EHTERAM :

Sayyedena Hz Umar Bin Khattab (Ra) Nabi E Akram Sallallaho Alaihi Wasallam K Irshadat Ka Intehaayi Adab Karte They,


Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Farmate Hain, Nabi E Akram Sallallaho Alahi Wasallam Ne Irshad Farmaya

"Jab Tum Mese Kisi Ki Biwi Masjid Jaane Ki Ijaazat Talab Kare Toh Wah Use Na Roke"

Sayyedena Umar (Ra) Ki Biwi Masjid Me Namaz Ada Karti Thi, Sayyedena Umar (Ra) Ne Farmaya

"Tu Jaanti Hai Main Kya Chaahta Hoon ??"

Biwi Ne Arz Kiya

"Allah Ki Qasam ! Main Us Waqt Tak Masjid Jaane Se Na Rukungi Jab Tak Aap Mana Na Kar Den"

Jab Hz Umar (Ra) Ki Shahadat Ka Waqeya Pesh Aaya Toh Wah Us Waqt Masjid Hi Me Thin

(Sahih Bukhari 5238 , Fath Ul Bari 2/383)

Ye Waqeya Sayyedena Umar (Ra) Ki Umoor E Shariat Ki Qadr E Rani Aur Kitab O Sunnat Par Amal Paira Hone Ki Khubsoorat Misal Hai...

#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks

Wednesday, December 24, 2014

BIWI KO CHAHIYE KI BACHHON KI ACCHI TARBIYAT KARE:


 
 
 
.Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO CHAHIYE KI BACHHON KI ACCHI TARBIYAT KARE:

Biwi Ki Ye Bhi Zimme'dari Hai Ke Wah Sabr, Tahammul, Aur Reham'dili Se Uske Bachhon Ki Tarbiyat Kare,

Shauhar Ke Saamne Uske Bachhon Par Ghussa Na Ho, Na Unko Bad'duayen De, Na Gaaliyan De, Aur Na Maare Peete Hi,

Kyonki Uske Shauhar Ko Taqleef Hoti Hai, Ye Bhi Mumkin Hai Ke Kisi Waqt Uski Bad'dua Qubool Ho Jaaye,

Us Waqt Unka Museebat Me Mubtela Hona Us Par Bahaut Giran Ghuzarta Hai

Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farman Hai

"Na Apne Baap Ko Bad'dua Do, Na Apni Aulaad Ko Bad'dua Do, Na Apne Khadimon Ko Bad'dua Do, Aur Na Hi Apne Maal Hi Ko Bad'dua Do, Aur Allah Tala Ke Saath Kisi Aisi
Ghadi Ke Saath Mawafiqat Na Karo Jisme Uski Ata Ka Darwaaza Khula Ho Aur Wah Tumhari Bad'dua Qubool Kar Le"

(Sahih Muslim Hadith No. 3009)

Bachhon Ki Tarbiyat, Taharat, Nifaasat, Pak'damini, Bahaduri, Aur Zuhud Jaisi Sifaat Par Ki Jaaye, Taake Wah Bahtareen Musalman Ki Tarah Nasho'numa Paayen,
Islam par Aur Islam Hi Ke Liye Jiyen, Allah Tala Unke Sabab Mu'ashre Me Bhalai Aam Kar De Aur Roz E Qayamat Rasoollullah
Sallalaho Alaihi Wasallam Unke Saath Aur Un Jaison Ke Saath Fakhr Karen

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait

Tuesday, December 23, 2014

LABBEIK KAHNE KA WAQT AUR TAREEQA





Bismillah hir rhman nir raheem

LABBEIK KHNE KA WAQT AUR TAREEQA


Hz Ubeida BIN Jureih Radiallah talla anhu byan krte h k m n Hz Abdullah bin Umar Radiallah
talla anhu s pucha :

Ae Abu Abdurrehman Radiallah talla anhu, Maine Ne aap ko 4 aesi baatein krte huwe dekha Hai jo aap k kisii sathi ko krte huwe nahi dekha

Hz Abdullah Radiallah talla anhu n kha :

"Ae Ibne jureih, wo kaunsi batein hain ?"

Ibne jureih ne kha :

1) maine dekha ke ka'aba ke arkan mese aap sirf un do (2) rukno ko chute h jinhe (janibe yaman hone ki bina pr) rukne- yamani kha jata hai

2) maine dekha aap sabti(jute ki ek qism) pehnte hain

3) teesre aap apni (dhadhi ya libas) zard rngte h

4) jab Aap Sallallahu alehi wasallam makka me they toh maine dekha k logo ne chand dekh kar aehram bandh liya aur "labbeik" khna shuru kr diya lekin aap n yaume tarwiya (zilhazz ki 8
tareekh) s phle n aehram bandha n labbeik kha

Hz Abdullah bin Umar Radiallah talla anhu n jawab diya :

Arkane ka'aba ka mua'mla to ye hai ke maine Nabi Kareem Sallallahu alehi wasallam ko sirf yahi dono yamani rukn choote dekha hai

Ni'aal sabti ke bare me ye hai ke maine Nabi Kareem Sallallahu alehi wasallam ko aesi jutiyan
pehnte huwe dekha hai jinme baal na ho aur un me hi wuzu kr liya krte the (yani wuzu k baad
geele paanw m hi juti pehan liya krte the) lihaza main bhi ye jooti pehnna mehboob rakhta hun

Baqi zard rang, to m n Nbi Kreem Sallallahu alehi wasallam ko ye rang istemal krte huwe dekha hai,

Lihaza main bhi Ye Rang Istemal krta hu

Aur "aehram aur labbeik" ke bare me ye hai ke maine Nabi Kareem Sallallahu alehi wasallam ko labbeik khte us waqt tak nahi dekha jab tak k Aap ki Oontni khadi nahi ho jati

(SAHIH BUKHARI KITABUL WUZU BAB 30)

Hz Abdullah bin Umar Radiallah talla anhu bayan karte hain ke

Rasoolloollah Sallallahu alehi
wasallam labbeik is tarah frmaya krte the:

LABBEIK ALLAH HUMMA LABBEIK
LABBEIK LAA SHARIKA-LAK LABBEIK
INNAL HAMDA WA NNAIMATA LAK WAL MULQ LAA SHARIKA LAK

"Main HAZIR HU, AE MERE ALLAH , MAin TERE HUZUR HAZIR HU
Main HAZIR HU, TERA KOI SHAREEK NAHI, Main TERE HUZUR HAZIR HU
BESHAK HAMD O SANA TERE LIYE HI Hai,

AUR TAMAM NEMATE TERI Hai, AUR MULQ BHI TERA Hai KOI TERA SHREEK NAHI

(SAHIH BUKHARI KITABUL HAZZ BAB 26)

Is hadees se pata chalta hai ke "labbeik" kahne ka sahi waqt aur tareeka yahi hai ke jab haji
Aehram bandhe tab se yeh kalmat padhna shuru kare

Baaz log ghar se jab niklte hain tab se ye kalmat padhna shuru kar dete hain jo k sahi nahi

Allah Rbbul izzat hame Aap Sallallahu alehi wasallam ki sunnato par chalne ki tofeeq de -
Aameen ya Allah....

#HayaAhmad
#Islamicleaks

Monday, December 22, 2014

BETI TOH RAHMAT HOTI HAI


BETI TOH RAHMAT HOTI HAI

.Daur E Jihaalat Ke Parwar'dah Ek Shakhs Ne Aap (Sws) Beti Hz Fatima (Ra) Ke Saath Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Muhabbat Ka Aalam Dekha Toh Hairat'zadah Rah Gaya,

Aakhon Se Aansu Nikal Aaye, Sochne Laga Ke

"Aah ! Kis Be'dardi Se Maine Apni Beti Ko Sirf Daur E Jihaalat Ki Aseebat Ki Bina Par Zinda'dargor Kar Diya Tha,"

Aur Fir Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Istefsaar Par Apni Daastaan Bayan Karna Shuru Kar Di,

"Meri Biwi Hamila (Pregnent) Thi, Unhi Dino Main Ek Safar Par Majboor Ho Gaya , Arse Baad Palat Kar Aaya Toh Apne Ghar Me Ek
Bacchi Ko Khelte Dekha,

Biwi Se Poocha, Ye Kaun Hai ??

Toh Biwi Ne Kaha, Ye Tumhari Beti Hai, Aur Fir Kisi Na'malum Khauff Ke Tahat Ilteja'amez Lahze Me Kaha:

"Zara Dekho Toh Kis Qadr Pyari Bachi Hai, Iske Wajood Se Ghar Me Kitni Raunaq Hai, Ye Agar Zinda Rahegi Toh Tumhari Yaadgaar
Bankar Tumhare Khaandaan Aur Qabeele Ka Naam Zinda Rakhegi "

Maine Gardan Jhuka Li, Biwi Ko Koi Jawab Diye Be'ghair Ladki Ko Dekhta Raha,

Ladki Kuch Der Toh Ajnabi Nigaahon Se Mujhe Takti Rahi, Fir Na Jaane Kya Soch Kar Bhaagti Hui Aayi Aur Mere Seene Se Lipat Gayi,

Maine Bhi Jazbaat Ru Me Use Aagosh Me Bhar Liya Aur Pyar Karta Raha,

Kuch Arsa Yunhi Ghuzar Gaya Ladki Aahista Aahista Badi Hoti Rahi Aur Hoshiyar Hui,

Saane Buloogh (Adolecent Age) Ke Qareeb Pahuch Gayi,

Ab Maa Ko Meri Taraf Se Bilkul Itminan Ho Chuka Tha, Mera Rawaiiya Bhi Beti Ke Saath
Muhabbat'amez Tha,

Ek Din Maine Apni Biwi Se Kaha

"Zara Isko Bana Sanwaar Do, Main Qabeele Ki Ek Shadi Me Ise le Jaunga"

Maa Bechari Khush Ho Gayi Aur Jaldi Se Saja Sanwaar Kar Taiyyar Kar Diya,

Maine Ladki Ka Haath Pakda Aur Ghar Se Rawaana Ho Gaya, Ek Ghair'abaad Bayabaan Me Pahunch Kar Pahle Se Taiyyar'shuda Ek Ghadhe Ke Qareeb Main Khada Ho Gaya,

Ladki Jo Badi Khushi Ke Saath Uchhalti Kood'ti Chali Aa Rahi Thi Mere Qareeb Aakar Ruk Gayi,Aur Badi Masoomiyat Se Sawaal Kiya

"Baba Ye Ghadha Kis Liye Hai ??"

Maine Sapaat Lehze Me Usse Kaha

"Apne Khaandani Rasm O Riwaaj Ke Mutaabik Main Tumko Usme Dafan Kar Dena Chaahta Hoon Taaki Tumhari Paidaish Se Hamare Khaandaan Aur Qabeele Ko Jo Zillat Wa Ruswaayi Hui Hai Usse Nijaat Mil Jaaye"

Ladki Ko Soorat E Haal Ka Andaaza Hua Toh Uske Chehre Ka Rang Udh Gaya Aur Qabl Uske Uski Taraf Se Kisi Radd E Amal Ka Izhaar Ho,
Maine Usko Ghadhe Me Dhakel
Diya,

Ladki Der Tak Roti Aur Gidgidaati Rahi Lekin Mujhpar Uske Rone Aur Faryaad Karne Ka Koi Asar Na Hua, Maine Ghadhe Ko Mitti Se Daba Diya,

Agarche Aakhir Waqt Tak Wah Haath Uthaaye Mujhse Zindagi Ki Ilteja Kar Rahi Thi,

Lekin Afsos ! Maine Apne Dil Ke Tukde Ko Zinda Dar'gor Kar Diya,

Lekin Uski Aakhiri Ilteja Aaj Bhi Mere Kaanon Me Laawa Tapkaati Rahti Hai

"Baba Tumne Mujhko Dafan Toh Kar Diya Lekin Meri Maa Ko Haqeeqat Na Bataana,

Kah Dena Ke Maine Apni Beti Ko Qabeele Waalon Me Chhod Aaya hoon"

Apne Arab Sahabi Se Ek Beti Ke Zinda'dargor Kar Diye Jaane Ki Daastaan Suni Toh Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Aankhon Se Aansuon Ka Sailaab Jaari Ho Gaya,

Us Waqt Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Aagosh Me Hz Fatima Zahra (RA) Baithi Hui Thi, Unki Aankhon Me Bhi Nami
Nazar Aayi,

Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Beti Ko Seene Se Laga Liya Aur Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Honton Par Ye Jumle Jaari Ho Gaye

"Beti Toh Rahmat Hai"

Aur Fir Aasmaan Ki Taraf Dekte Hue Farmya

"Main Fatima Ko Dekh'kar Apne Mashaam Jaan Ko Bahist Ki Khushboo Se Mu'atir Karta Hoon.

Ya Allah ! Main Tujhse Maut Ke Waqt Aaraam Wa Raahat Aur Qayamat Ke Hisaab Wa Kitab
Ke Waqt Affuw Maghfirat Ka Taalib Hoon"

(Sunehre Auraq)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait

Sunday, December 21, 2014

BACCHA AGAR MARA PAIDA HO TOH KYA US BACCHE KI NAMAZ E JANAZA PADHI JAAYEGI ????

Sawal : Baccha Ager Mara Paida hua tou keya us Bacche ki Namaz e Janaja padhe jayege?

jawab : Murdaar ya NaTamam Bacche ki Namaz e janaja Padna Mshruoh wa jaiz hai.


1-Chunche Hazrat Said Mugaira bin Saiba r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Irshad Farmaya :

''Bacche ki Namaz e janaja padhe ja sakte hai''

[Sahi Abu Daood Hadees No-2723,Sunan Abu Daood kitab al janaiz hadees no-3180,Jamai Tirmizi Al janaiz Hadees No-1036,Sunan Ibn Maza Hadees No-1507,Sreh Maine al Asaar jild-1 safa-482,Mustanad Al hakim jild-1 safa-355, (Asanad Sahi)]

Aur Ek Dusre Rewayat me ye Alfaaz hai :

''NaTamam Bacche ki Namaz e janaja padhe ja sakte hai''

[Sunan Abu Daood jild-1 Safa-453 kitab Al janaiz Hadees No-2766,3180,Jamai Tirmizi kitab Al janaiz Hadees No-952,Sunan Nishai kitab Al janaiz Hadees No-1912,1917,1922,Sunan Ibn Maza kitab al janaiz Hadees No-1470,Musnad Ahmed jild-6 safa-208 Hadees No-17709,17459,17468,17475, (Qala shaikh Albani : Sahi) ]

2-Hazrat Aisha r.a se Marwi hai Farmate hai :

''K Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam k pass Ansario k Ek (Fout suda) Baccha laya gaya Aur Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne us per Namaz e janaja padhe''

[Sahi Muslim kitab al Qadr Hadees No-4813,Sunan Nishai kitab al janai Hadees No-1921,Sunan Abu Daood al sanata Hadees No-4090,Sunan Ibn Maza kitab al muqadma Hadees no-79,Musnad Ahmed Hadees No-23002,24560]

Shaikh Albani r.al :

''ye Alfaz Sunan Nishai k hai Aur eske Sanad Sahi hai,Mazed bayan farmate hai k ye Baat Zahir hai k Natamam Bacche se Muraad Wo bacche hai ' jiske 4 Mahine (Month) Mokammal ho Chuke ho Aur usme Rooh Fook de gaye ho fer Wafaat paye ' tahum us Muddat se Qabal Ager kisi Surat me Baccha Sakit ho jaye tou uske Namaz e janaja Nahi padhe jayege kuki Wo Mayyat kahla Nahi sakte ''.

[Akaam Al janaiz Safa-71,150]

jaisa k Hazrat Abdullah Bin Masood r.a se Marwi Hadees hai me ye Sabit hai :

''K Baccha jab Apne Maa k pait me 4 Mahine(Mount) ki Umr ko pahuchta hai Tou usme Rooh Fook de jate hai''.

[Sahi Bukhari Kitab Bad Ikhlaq Hadees No-2969,3085,8610,3332, Sahi Muslim kitab Al Qdr Hadees No-2643,4781,Sunan Abu Daood kitab Sanat Hadees No-4085,4708,Jamai Tirmizi kitab al Qdr Hadees No-2063,2137, Sunan Ibn Maza hadees No-72,73,Musnad Ahmed jild-1 Safa-382 Hadees No-3441,3737,3882 , Musnad Amed Hadees No-126]


#ImranKhanSalafi

Saturday, December 20, 2014

BIWI KI BAD'TAMEEZI PAR SHAUHAR KO ITMINAN AUR SABR SE KAAM LENA CHAHIYE:




.Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KI BAD'TAMEEZI PAR SHAUHAR KO ITMINAN AUR SABR SE KAAM LENA CHAHIYE:

Biwi Se Hone Wale Bahut Saare Maamlaat Se Raham Dili Aur Safaqqat Ki Wajah Se Sirf Nazar'andaz Kar Dena Chahiye,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Unke Saath Bahut Acche Tareeqe Se Ghuzar Basar Karo"

(Surah Nisa Ayat No. 19)

Hz Anas (Ra) Farmate Hain

"Maine Apne Ahal O Ayaal Ke Saath
Rasoollullah (Sws) Se Zyadah Rahem Karne Wala Kisi Ko Ni Dekha, Aapki Biwiyan Aapki Baaton Ka Jawaab Deti Aur Koi Biwi Din Se Lekar Raat Tak Aapko Chhod Deti"

(Sahih Bukhari Hadith No. 2336, Sahih Muslim Hadith No, 1479)

Biwi Ka Ye Haq Banta Hai Ke Shauhar Use Apni Muhabbat Ka Ehsaas Dilaane Ki Khaatir Uski Baatein Tawajjoh Se Sune Aur Deen Aur Murawwat Ke Daayere Me Rahte hue Uski Izzat Kare,

Aur Jo Uska Rishtey'dar Uske
Ghar Aaye Uske Liye Khaane Aur Peene Ka Bando'bast Karne Me Khushi Aur Raza'mandi Ka Izhaar Kare,

Islam Ne Shauhar Ke Liye Apni Biwi Ko Raazi Rakhne Aur Dil Me Jo Uski Muhabbat Hai, Usse Badhkar Izhaar Karne Me Jhoot Ka Sahara Lene Ki Ijaazat Bhi Di Hai,

Taake Wah Apne Shauhar Ke Saath Khush Aur Raazi Rahe,

Shauhar Ko Chahiye Ke Kabhi Kabhi Gharelu Kaamon Me Uski Madad Kare, Khaas'kar Aise Kaamon Me Jo Mushkil Aur Uske Liye Thaka'wat Ka Zariya Hon,

Nabi E Kareem Sallalaho Alahi Wasallam Kabhi Kabhi Apni Biwiyon Ke Kuch Kaam Kar Dete,

Hz Aisha (Ra) Se Poocha Gaya Ke Nabi E Kareem (Sws) Apne Ghar Me Kya Karte They ??

Toh Unhone Farmaya

"Aap Apne Ghar Me Baaz Pesha'warana Kaam Karte Jaise Ghar Sawaarna, Kapde Rafu Karna, Joota Marammat Karna, Doodh
Duhna"

(Musnad Ahmad 6/256)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait
#IslamicLeaks