Sunday, March 30, 2014

QUNOOT-E-NAZILAH KYA HAI ? YE KYO AUR KESE KI JATI HAI

Qunoot-e-Nazilah Ka Kya Matlab Hai, Ye Kyo Aur Kese Ki Jati Hai ?? - 

Jawab: Qunut Dua Ko Kahte Hai Aur Nazilah Ka Mayna Musibat Me Girftar Hona Hai Zamane Ke Hadsat Me Fas Jane Ke Waqt Namaz Me Allah T'ala Se Girya Wa Jari Karke Un Hadsat Se Nijat Pane Ke Liye Dua Karna Qunut Nazilah Kahlata Hai 

Duniya Me Musibate Aur Halat Kai Tarah Ke Hote Hai Maslan Duniya Ke Kai Hisso Me Muslmano Par Kuffar Wa Mushrkeen Aur Yahud Wa Nasara Zulmo Sitam Ke Pahad Tod Rahe Hai Din Rat Unko Pareshaniyo Me Mubtala Kar Rahe Hai Inko Qaid-o-Band Ki Sau'oobato Me Mubtala Kar Dete Hai Aur Kamzor Wa Bebas Muslman Unke Zulm Sitam Ka Shikar Bane Huwe Hai, To Un Tamam Halat Me Qunute Nazilah Ki Jati Hai Aur Ye Nabi e Karim s.a.w , Sahaba e Kiram, Tabaeen, Fuqha Wa Muhaddisin Aur Salaf Ka Tarika Raha Hai 

Is Dua Ka Maqsad Ye Hota Hai Ki Muslman Apne Gunaho Ka Iqrar Karte Huwe Intahaee Darr, Aajizi Wa Inkisari Ke Sath Allah Se Mu'aafi Chahe Aur Allah T'ala Se Dua Kare Ki Ai Allah Hume In Musibato Se Mahfooj Farma Gunaho Ko Bakh De - 

Rasul s.a.w Ne Farmaya Me Qunut Isliye Karta Hu Taki Tum Apne Rab Ko Pukaro Aur Isse Apni Zaruriyat Ke Bare Me Sawal Karo 

[Majma'a Ul Zawaid] 

- Nabi Karim s.a.w Ne Musibat Wa Pareshani Me Kabhi Pancho Namazo Me Qunut Ki Kabhi Baaz Namazo Me 

Isliye Haz Abu Huraira r.a Farmate Hai- Allah Ki Kasam Me Tumhare Qarib Wo Namaz Ada Karunga Jo Rasul s.a.w Ki Namaz Hai 

" Pas Haz Abu Huraira r.a Zuhar, Isha, Aur Fazr Ki Namaz Me Qunut Karte The Aur Momino Ke Liye Dua Karte The Aur Kafiro Par Lanat Karte The 

[Muslim] - 

Haz Bara'a Bin Aajib r.a Kahte Hai Rasul s.a.w Subah Aur Maghrib Ki Namaz Me Qunut Karte The 

[Muslim] 

- Haz Abu Hurairah r.a Se Riwayat Hai Rasul s.a.w Ne Namaze Isha Me Ek Maah Qunut Ki 

[Abu Dawood] 

- Haz Ibne Abbas r.a Se Riwayat Hai Rasul s.a.w Taqriban Ek Maah Zuhar, Asr, Maghrib , Isha , Aur Subah Ki Namaz Me Akhiri Rakat Me " SamiallahulimanHamidah" Kahte To Qunut Karte Aur Banu Salim Ke Chand Qabilo Re'al,Zakwan, Aur Oseyya Par Baddua Karte Aur Muqtadi Aamin Kahte 

[Abu Dawood] 

- Hadiso Se Malum Hua Ki Ap Sallallahu Alahi Wasallam Mukhtalif Halaat Ko Maddenazar Rakhte Huwe Kabhi Ek Namaz Me Kabhi 2, 3,Aur Kabì 5 Namazo Me Qunut Karte The To Hume Halaat Ke Taqaze Ke Mutabik Aisa Karna Chaiye Aur Ye Mamla Us Waqt Tak Jari Rahe Jab Tak Ki Dushmano Ki Muqammal Sarkubi (Haar) Nahi Ho Jati Aur Muslmano Ki Musibato Me Kami Waqeh Nahi Hoti - 

Haz Abu Huraira r.a Se Riwayat Hai Nabi Karim s.a.w Ne Ek Mah Tak Rukuh Ke Bad Qunut Ki Jab Ap Samiallahu Liman Hamidah Kahte To Apne Qunut Me Kahte Ai Allah Walid Bin Walid Ko Nizat De Ai Allah Salma Bin Hisham Ko Nizat De Ai Allah Ayyash Bin Abi Rabiya Ko Nizat De Ai Allah Zaif Momino Ko Nizat De Ai Allah Apna Ajaab Qabila Mujir Par Sakht Kar Allah Un Par Yusuf a.s Ke Zamane Jesa Kaht Dal De 

[Muslim] 

- Majuda Halaat Me Chunki Muslman Har Jagah Dushmano Ke Zulmo Sitam Ka Nishana Bane Huwe Hai Aur Kai Mulko Aur Yaha Bhi Muslman Kai Salo Se Zor Wa Zabrdasti Ki Chakki Me Pis Rahe Hai To Unki Nusrat Aur Aila-e-Kalimullah Ke Liye Jab Hum Jaddojahad Kar Rahe Hai To Hume Qunut e Nazilah Jese Hatiyar Se Kam Lena Chaiye Tamam Muslman Apni Namaz Namaz Me Rukuh Ke Bad 'Samillahu Liman Hamidah' Kahkar Sajda Me Jane Se Pahle Hath Uthakar Qunut e Nazilah Padhe Aur Maujahideen Wa Mazlum Muslmano Ke Liye Dua Kare 

Dua Karte Waqt Imam Mukhtalif Duaye Padhe Jab Ki Piche Muqtadi Ameen Kahe Qunut e Nazilah Se Maqsood Mazlum Wa Maqdoor Muslmano Ki Nusrat Wa Jabir Dushman Ki Halaqat Wa Barbadi Hai Isliye Is Maqsad Ko Jo Dua Bhi Pura Kare Mangi Ja Sakti Hai - 

Haz Anas r.a Se Riwayat Hai Mene Rasul s.a.w Ko Subah Ki Namaz Me Dekha Ki Apne Hath Uthaye Aur Dushmanane Islam Par Baddua Ki 

[Musnad Ahmad] 

- Yad Rahe Ki Dua Ke Bad Chehre Par Hath Pherne Ki Koi Sahi Hadith Maujud Nahi Jo Bhi Riwayat Hai Zaif Hai Aur Wo Qabile Hujat Nahi - 


Qunut-e-NazilahKi Dua Is Tarah Hai - 

Allâhummaghfir lilmu’minina wal mu’minât, wal muslimina wal muslimât, wa allif bayna qulübihim, wa aslih dhâta baynihim, wansurhum alâ aduwwika wa ala aduwwihim Allâhummal an kafarata ahlil kitâbil-ladhinayukadh-dhibüna rusulak, wa yuqâtiluna awliyâ-’ak. Allâhumma khâlif bayna kalimati-him, wazaizil aqdãmahum wa anzil bihim ba’sakal ladhi lâ tarudduhu anil qawmil mujrimin. 

- Tarjuma- Ai Allah ! Bakhs De Hume Aur Momin Mardo Aur Momin Aurto Ko , Muslman Mardo Aur Muslman Aurto Ko Aur Unke Dilo Ke Darmiyan Ulfat Dal De Aur Unke Apas Me Mamlat Ki Islah Farma Aur Unki Apne Dushmano Aur Unke Dushman Ke Muqbale Me Madad Farma Ai Allah! Ahle Kitab Ke Kafiro Par Lanat Farma,Wo Jo Tere Raste Se Rokate Hai Aur Tere Rasulo Ko Jhuthlate Hai Aur Tere Dosto Se Ladte Hai Ai Allah ! Unki Bato Ke Darmiyan Ikhtilaf Dal De Aur Unke Qadam Dagmaga De Aur Un Par Apna Azaab Nazil Kar Wo Jise Tu Mujrimo Se Nahi Lautata 

[ Sunan Al Kubra Lil Bahaiqi 2/210, Musanif Abdurrazjak Hadith - 4969] Ameen Ya Rab Alameen

Thursday, March 27, 2014

AAO HUM SAB EK HO JAYAIN

Bimillah Al-Rahman Al-Raheem 

Assalamo Alaikum Wareh matullahi wa bara katuhu , . 

Kisi Bhi Amal Ki Kamyabi 2 Baton Per HaiPehli Yeh Ke Jo Amal Kiya Ja Raha Hai Woh KhalisAllah subhanahu watalaKe Liye Ho Aur Tareeqa Rasool SAWW Ka Ho. 

Jitne Bhi Ambiya ikram Aayein Hain Un Sabki Pehli Dawat Dawat-E-Touheed Thi, Hamare Aakhri Nabi Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ne Bhi Apni Makki Zindagi Main Dawat-E-Touheed Per Hi Sabse Zyada Kam Kiya, Isliye Ke Touheed Ke Bina Koee Bhi AmalAllah subhanahu watalaK Yahan Qabile Qabool Nahin Hota. 

Agar Koee InsanAllah subhanahu watalaKe Sath Shirk Karta Hai Uske Baad Woh Kitni Bhi Namaze Parhe Kitne bhi Roze Rakhe Uska Yeh Amal Qabile Qabool Nahin Ho Sakta. Isliye Sabse Aham Cheez Insan Ka Aqeeda Hai. 

Aqeeda Khalis Hoga ToAllah subhanahu watalaDoosre Jis Gunah Ko Chahega Maaf Kar Dega Lekin Agar HamneAllah subhanahu watalaKe Sath Shirk Kiya To Phir Hamari Nijat Nahin Ho Sakti. Mohammad sallallaho alyehi wasallamNe Mushrekeen E Makkah Se Gazwat Q Kiye ? 

Makkah ke MushrikAllah subhanahu watalaKo Apna Rub Mante The Lekin WOh Allah Ke Sath Shirk Bhi karte The Isliye Unko Mushrik Kaha Gaya Woh Allah Ke Sath Doosron Logon Ko Sifarshi Banate The Iski Sari Tafseel Quran Main Mojood Hai or Allah Ne Quran Main Mushrekeen Ki Har Baat Ka Jawab Diya Hai. Doosri Jo Baat Amal Ki Qabuliyat Ke Liye Lazim Hai Woh HaiMohammad sallallaho alyehi wasallamKa Tareeqa. 

isliye KeAllah subhanahu watalaNe Rasoolsallallaho alyehi wasallamKi Itteba Karne Ka Hukum Diya Hai 

)Surah nisa – ayat no – 33, 80. Surah najam – ayat no. 3

( or Allah ne Hamari Kamyabi Rasoolsallallaho alyehi wasallamKe Tareeqe Main Rakhi Hai.)

Surah noor – ayat no – 51, 52. Surah ahzab – ayat no – 71, surah nisa – ayat no - 13

( Agar Hamne Rasoolsallallaho alyehi wasallamKa Tareeqa Chhorh Kar Kisi Aur Ka Tareeqa Apnaya To Woh Allahsubhanahu watalaKe yahan Qabool Nahin Ho Sakta. )

sahi Bukhari - kitabun nikah

( Ab Hum Sab Khud Sochein Aur Quran Ahdees Ki Roshni Main Sab Apne Iman Aqeede Aur AMal Ka Jayza Lein. Hum Yeh Check karein Ke Kya Hamara Aqeeda usi Tarhan Hai Jis Tarhan Rasoolsallallaho alyehi wasallamBata Kar Gaye The ? 

Kya Rasool SAWW Ke Zamane Main Woh Sab Hota Tha Jo Aaj Hum Deen ke Naam Per aaj Karte Hain ?

 Jo Hum Karte Hain Aur Jo Hum Mante Hain Agar Wesa Hi Quran Ahdees Main Hai To Samajh Lein Ke Alhamdolillah Hum Sahee Raaste Per Hain. Lekin Agar Hamara Aqeeda Hamara Amal Us Tarhan Nahin Hai Jaisa Rasoolsallallaho alyehi wasallamFarma Kar Gaye The To Phir Hamein Badalna Hoga Isliye Ke Deen Wohi Hai Jo Rasoolsallallaho alyehi wasallamBata Kar Gaye Aur Alhamdolillah Rasoolsallallaho alyehi wasallamKamil Deen Dekar Gaye The Na Ab usme Koee Kami Hogi Aur Na Koee Zyadti. Bus Itni Guzarish hai ke Doston Ho Sakta Hai Hum Ghalat Raah Per Ja Rahe Hon Abhi Hamare Paas Waqt Hai Isse pehle Ke Yeh Waqt Khatam Ho jaye Hum Apne Aapko Check karlein. 

Dunia Ki Chhoti Si Cheez Jab Hum Khareed Ne Jate Hain To Hum Bahot Bareeki Se Har Cheez Ki Janch Karte Hain ke Kahin Hamein Koee Duplicate Cheez Na De Di Jaye, Lekin jab Deen Ka Maamla Aata Hai To Hum Phir, Kyon Tehqeeq Nahin Karte ? 

Hum Yeh Kyon Nahin Sochte Ke Agar Allah na Karey Hum Ghalat Raaste Per Hote Hue is Dunia Se Chale Gaye To Hamara Maamla Phir Kya Hoga? Kya Phir Koee Aalim Murshid Koee Imam Hamari Madad Kar Sakega ? 

Hum Aaj Andhi Taqleed Main Is Qadar Doob Chukein Hain Ke Dekhna Hi Nahin Chahte Ke Allah Aur Rasoolsallallaho alyehi wasallamKa Farman Kya Hai. Hamein jo Bata Diya Jata Hai Aankhein Band Ki Aur Hum Usko Hi Sahee Maan Lete Hain. Aur Agar Koee Insan Kehta Hai Ke Aapka Yeh Amal Quran Ahdees Ke Khilaf Hai To use Jawab Milta Hai Ke Hamare Aalim Aapse Zyada Jante Hain. To Un Logon Se Ek Sawal Hai Kya Aalim Sirf Ek hi Firqe Ke Paas Hain ? 

Aalim To Har Jamat Har Firqe Main Mojood Hain or Har Koee Apne Aap Ko Hi Huq Per bata Raha Hai. Aur Doosri Taraf Sabko Yeh Bhi ILm Hai Ke Rasoolsallallaho alyehi wasallamFarma Kar Gayein Hain Ek Firqa Hi jannati Hoga. 

Aur Woh Firqa Hoga Jo Quran Sunnah Per Hoga. )Abu dawoo, tirmizi( To Doston kya Yeh hamari Zimmedari nahin banti Ke Aise Mahol Main Jab Sab Apne Aapko Huq Per Bata Rahein Hain Hum Tehqeeq Karein Aur Dekhein Ke Aakhir Huq Kiske Paas Hai? Ek Chhoti Si Baat Ek Musalman Kisi Masle Per Fatwa Lene Jata Hai To Use Hamare mulkon Main Alag Alag Maslak ke Mutabiq Fatwa Diya Jata Hai. 

Koee Baat Agar hanfi Maslak Main Jayaz Hai To Kisi Doosre maslak Main Wohi Baat haram Aur Najayaz Ban Jati Hai. Aap khud Sochiye Ek hi Masle Per Alag Alag Fatwe Alag Alag Raye. Jabke Rasoolsallallaho alyehi wasallamTo Ek Tareeqe per Sab Ko Chhor Kar Gaye The, wo tha Quran hadees)Moatta imam malik( Ahle Bait Sab Sahaba Kiram Ka Tareeqa bhi Ek Hi Tha. 

Har Masle Main Quran Aur Farman E Rasool SAWW Ki Baat Mani Jati Thi. Phir Aaj Hum Kyon In firqon Main bat Gaye Hain ? 

Kya Allahsubhanahu watalaNe hukum Nazil Kiya Ke Hum Apne Apne Alag Alag Imam Bana Kar Firqon Main bat Jaein ? 

Kya RasoolMohammad sallallaho alyehi wasallamKa Farman Tha Ke Mere Baad Alag Alag Imam Bana Lena? 

Jitna Main Janta Hoon Aur Samjha Hoon To Aisa Koee Farman Quran Ahdees main nahin Hai. )beshak( Allah Ne To RasoolMohammad sallallaho alyehi wasallamKi Itteba Karne Ka Hukum Diya Hai Kisi Imam Ki Taqleed Karne Ka Nahin. Hamari Nijaat Aur Kamyabi Rasool SAWW Ki Itteba Karne Main Hi Hai. 

Jab Kalma Hamne Rasool E MohatramMohammad sallallaho alyehi wasallamka Parha Hai To Phir Baat Bhi hamein RasoolMohammad sallallaho alyehi wasallamKi Maan Ni paregi. Agar Yeh kaha Jaye Ke Sare Imam Huq Per The To Beyshak Woh Huq Per The Aur Sare Imamo Ne Deen Ki Bahot Khidmat Ki Hai Unki Mehnatein Sar Aankho Per. 

Lekin Hamein Yeh Bhi yaad Rakhna Chahiye ke Woh Insan The Woh Masoom Nahin The Woh Ambiya nahin The. Ghaltiyan Unse Bhi Ho Sakti Hain Aur Har Imam Ne Yeh Farmaya Hai Ke Logon Jab Rasool SAWW Ki Sahee Ahdees Samne Ajaye To Hamari baat Ko Chhorh Dena. 

Imam abu hanifa rh. )mizanusherani, - uqdul jayyad.pg. 53, 70. - Zafraul ma’ ani( Imam malik rh. )uqdul jayyad.pg.70, jalbul mun fa’ata.pg.74( Imam shafayee rh. )uqdul jayyad.pg.54, 70( Imam ahmaed bin hambal rh. )uqdul jayyad.pg.54, 70( Har Imam Ka Iman Quran Ahdees Per Tha Aur Woh Isi Ko Follow Karte The Kisi Imam ne yeh Nahin Kaha Ke meri Taqleed Karna. Ikhtelaf Sahaba Kiram Ke Dour Main Bhi hue Lekin Jab Rasoolsallallaho alyehi wasallamKa Farman Samne Aata Tha To Sare Ikhtelaf Door Ho Jate The. 

Aaj Bhi Yehi Baat Hai Agar Hum Logon Main Ikhtelaf Hai To Hum Quran Ahdees Ki Roshni Main Dekhein Ke Kis Ki Baat Sach AUr Huq Per Hai. Agar Hamein Apas Main Ittehad Aur Ittefaq Chahiye To Hamein Quran Aur Sunnah Per jama Hona Hoga. 

Ek Baat Poochta Hoon Agar Koee yeh Kahe Ke Sab Imam Abu Hanifa Ke Naam Per jama Ho Jao ? To Aap Bataein Kya Sare Musalman Imam Abu Hanifa R.A. Ke Naam per Jama Ho Sakte Hain ? 

Nahin Ho Sakte Jo Doosre Imamo Ko Follow Karne Walein hain Woh kabhi Razi Nahin Honge Isi Tarhan Imam Jafar Sadiq R.A. Ke Naam per Bhi Sare Musalman Jama Nahin Ho Sakte Kehne Ka Matlab Yeh Hai Ke Aap Kisi Bhi Ek Imam Ke Naam Per Sabko Jama Nahin Kar Sakte. 

Hum Sab Musalman Jis Ek Naam Per Jama Ho Sakte hain Woh Hain Mohsin-E-Insaniyat Imam-E-Azam Hazrat Mohammed Rasoolsallallaho alyehi wasallam, Yehi Woh Shakhsiyat Hain Jis Per Tamam Musalman Ek Ho Sakte Hain. 

Hamein Rasoolsallallaho alyehi wasallamSe Sachi Moahabbat Hai To phir Hamein Aap SAWW Ki Baat Ko Apne Imamo Apne Alimo Se Ooper Rakhni Hogi. Agar Hum Mohabbat Ka Dawah karte Hain To Phir Hamein Yeh Mohabbat Sabit Bhi Karni Hogi Sirf Zaban Se Rasoolsallallaho alyehi wasallamse Mohabbat Ka Dawah karna Kaafi nahin Apne har Faisle Har Maamle Main Hamein Rasool SAWW Ki Itteba Karni Hogi.)

surah nisa - ayat no - 65( Agar Hamein Rasool SAWW Se Sachi Mohabbat Hai To Jab Rasoolsallallaho alyehi wasallamka Farman Samne Aaye To Phir Hum Yeh Na Bolein Ke Hamare Imam Ke Nazdeek Yeh Baat Is Tarhan Hain AUr Hum Falan Imam Ko maan Ne Walein hain Isliye Hum Aesa Karte Hain. Agar Hamne Aisa Kiya To Phir Yaqeen Kijiye Hamne Rasoolsallallaho alyehi wasallamSe Mohabbat Ka Huq Ada Hi Nahin Kiya. 

Agar Main Ya Koee Aur Bhi Aapse Koee Baat kehta Hai to Use Quran Ahdees Ki Roshni main Dekhein. Koee Insan Aapko yeh Bolta Hai ke Bhai Yeh Jo Aap kar Rahe Ho yeh Quran Ahdees ke Mutabiq Nahin Hai To Uski Baat Ka Bura Maan Ne Ki jagah Us Baat Ki Tehqeeq Karein. 

Alhamdulillah Quran Ahdees Mojood Hain Sache Dil Se Tehqeeq Karenge To Huq Baat Insha Allah Zaroor Malum Hogi. Agar Aap Logon main Se Kisi Ko Mera Aqeeda Mera tareeqa Meri kahi Huee Baat Quran Ahdees Ke Khilaf Lagti hai To Please Mujhe Zaroor Bataein Meri baat Ko Point Out Karein Main Aapka Shukriguzar rahunga Aur Agar Mera Aqeeda Meri Soch Quran Ahdees Ke Khilaf Huee To Rab-E-Kareem Ki Qasam Hai Ek Min Nahin lagega Mujhe Apne Aapko Change Karne Main. Yehi Meri Sabse Request Hai ke Doston Jab Koee Baat Batayee Jaye To Us Per Bura Na Maana Karein Yahan Per Hum Ek Doosre Ke Dushman Nahin Hain. 

Hum Hi Ek Doosre Ki Islah kar Sakte Hain. Allahsubhanahu watalaNe Farmaya Hai Jiska Mafhoom Hai 

" tum Behatreen Ummat Ho Jo Logon Ko Burai Se Rokte Ho AUr Bhalayee Ka Hukum Dete Ho " )

surah ale imran - ayat no - 110

( AllahAllah subhanahu watalaHum Sabko Aisa Bana De. Aameen ya rabbal aalameen 

Rasoolsallallaho alyehi wasallamKi Hadees Ka Mafhoom Bhi hai ke Jahan Burai Dekho Taqat Hai To Use Hath Se Roko Nahin To zaban Se Bura Kaho Itna Bhi Nahin Hai To dil Main Bura Samjho Use )

nasayi, musnad ahmed

(. Please Thori Dair Ke Liye Thande dimagh Se Sochiye. Jab Hamara Deen Ek Hai Rasool Ek Hain To phir Hamare Aqeede Aur Hamare Amaal Is Qadar Alag Alag Kyon Hain ? Mohammad sallallaho alyehi wasallamTo Ek Shariyat De Kar Gaye The Aur AapMohammad sallallaho alyehi wasallamKe Farman Ka Mafhoom Hai Ke Main Tumhe Us Shah Raah per Chhor Kar Ja Raha Hoon Jiski Raate Bhi Din Ki Tarhan Roshan Hain. )

Muslim, Abu dawood

( Jab Allahsubhanahu watalaNe Hamein Itna Roshan Deen Diya Hai To Phir Hum Q Nahin Samajhte ? 

Allahsubhanahu watalaNe Hamein Andhere Main Nahin Chora Hamein Quran o hadees Diya or Quran hadees Ko Kis Tarhan Samajhna Hai Us PerMohammad sallallaho alyehi wasallamNe AMal karke Dikhaya. Ab phir Kya Reh Jata Hai ? 

Kya Hamare Liye Quran Aur Farman_E_RasoolMohammad sallallaho alyehi wasallamKafi Nahin ? 

Ek Misaal Lelijiye Agar Pakistan Main Islami Shariyat Nafiz Hoti Hai To Konse Imam Ki Fiqah Nafiz Ki jaygi ? Kya Sare Log Kisi Ek Imam Per Razi Ho Jaeinge? 

Dosre To Chhoriye Hanafi logon Main Bhi do Barhe Firqe Hain Ek Hain Barelvi Doosre Hain Deobandi Kya Yeh Dono Har Baat Per Ek Ho Jaeinge? 

Jabke Ham Sabko Pata Hai ke Barelvi or Deobandiyon Main Kis Qadar Ikhtelaf Hai. Shariyat To Bus Wohi Hai JoMohammad sallallaho alyehi wasallamDekar Gaye Usi per Hum Ek ho sakte Hain. Aur Jab Tak Hum Ek Nahin Honge Hamare Halaat Sudharne Wale Nahin, Zaroorat Aaj isi Baat Ki Hai ke Hamare Andar Ittehad Ho Ittefaq Ho. 

Tab Hi Hum dushman Ka Muqabla Kar Sakte Hain. Baat Bahot Lambi Ho Gayee Isliye Maazrat Chahta hoon. Ek Bhai Aur Dost Ki Hasiyat Se yeh Sab likha Achi Baat lagi Ho to please Ek Baar In Sab Baton per Ghour Zaroor Kijiye. Aur Kisi Ki Meri Baat Se Dil Azari Huee Ho To Main Maafi Chahta Hoon. Mera Maqsad Yahan per Kisi Ki Dil Azari nahin Hai. ~~Aao Sab Ek Ho Jaein~~ ~~Aao Musalman Ho Jaein~~ ~~Aao Mohammadi Ban Jaein~~ Aaj hum Har Jagah Sataye ja Rahe Hain Har Jagah Hamein Hi Maara Jata Hai Aaj Lanat Hum per Musallat Ho chuki Hai. Abhi Waqt HaiAllah subhanahu watalaSe Apne Gunaho Ki Maafi Mange. 

Aur Sabse Barha Gunah Allah ke Sath Shirk Hai. Kya Hamein Nazar Nahin Aata Ke Hamare Mulko Main Kis Qadr Shirk Kiya Ja Raha Hai ? 

Aaein Aawaz Buland Karein Iske Khilaf Allah Ki Zameen Ko Shirk Se Paak Karein.Allah subhanahu watalaShirk Karne Walon Per Rehmatein Nazil Nahin farmata Waqt Hai Abhi Sabhal Jaein Hum. 

Allah subhanahu watalaHamein Aisa Bana De Ke Hum Allah ki Touheed Aur Rasool SAWW Ki Risalat Main Kisi Ko Shareek Na Karein. Aameen Ya Rabbul Aalameen Khush Rahein Sab Dost Wa'Assalam .......!!

via-Ayan khan salafi

Wednesday, March 26, 2014

HAM AHLE HADITH SAJDE ME RAFULYADAIN KYON NAHIN KARTE ??

Bismillahirrahmanirraheem


Hum Ahle-hadees Sajde me RAFULYADAIN ku Nahi karte ?

Jawab hazer hai :


''humse Abdullah bin Muslim kanbi ne bayan keya Unhone Imam Malik se Unhone Ibn Sa'ab se unhone Salim bin Abdullah se Unhone Apne Baap [Abdullah bin Umar r.a(jo hazrat Umar r.a k bete the) ] se k Hazrat Mohammad S.A.W jab namaz shuru karte to apne hatho ko mondho tak uthate aur jb ruku me jane ke liye taqbir kahte aur rukuh se se apna sar uthate tb bhi is tarah dono hatho ko uthate aur Sami Alllahuliman hamidah kahte aur sajdo ke darmiyan hath na uthate''


[Sahi Bukhari jild-1,Safa-102

]




  ''Abdullah bin umar r.a byan karte h ki rasul e karim s.a.w jab namaz shuru karte to apne hatho ko mondho tak uthate aur jb ruku me jane ke liye taqbir kahte aur rukuh se se apna sar uthate tb bhi is tarah dono hatho ko uthate aur Sami Alllahuliman hamidah kahte aur sajdo ke darmiyan hath na uthate''

[Sahi Muslim jild-1,Safa-168
]


 ''Rewayat hai Salim se wo Rewayat karte hai Apne baap (Abdullah bin Umar r.a) se kaha Dekha Mayne rasul e karim s.a.w jab shuru karte Namaz to Uthate Dono hath yaha tak k barabarho jate dono Saano k aur jab ruku karte Aur jab rukuh se sar uthate Aur Jayada kaha Ibn Abi Umar ne apne rewayat me k Nahi Nahi uthate the darmiyan Dono Sajdo k''

[Tirmizi Sareef jild-1,Safa-35]


''Ahmad bin Zail,Sufyan,Zah
re,Salim k Walid Abdullah bin Umar r.a se rewayat hai k Maine Rasullah S.A.W ko Dekha jab namaz shuru karte to apne Dono hath uthate Mondho tak Use tarah jab ruku kahte aur jab sar uthate Ruku se Aur Nahi Hanth uthate the Dono Sajdo k bech me''

[Abu-daood jild-1,Safa-111
]



''Humko Umru bin Ali ne khaber de usko yahiya bin Saib ne usko Malik bin Anas ne jahri se Usne Salim se usne kaha k Mere Baap Hazrat Ibn Umar r.a se rewayat hai k Rasullah s.a.w apne Dono hantho ko uthate Mondho tak jab Namaz suru karte Aur jab sir uthate ruku se tou Aysa he karte Aur jab ''Sami Alllahuliman hamidah '' kahte Aur Hanth dono Sajdo k bech me Na Uthate''


[Sunan Nisha Sareef , jild-1,Safa-126
]
 


ese tarah ye hadees dusre rawio se rewayat hai ''Sajdo me Hanth Na uthate''

[Sunan Nishai Sareef jild-1,Safa-126
he per]
[Sunan Nisahi Sareef jild-1,Safa-129
]
[Sunan Nishai Sareef jild-1,Safa-135
]

''Hume Ali bin Mohammad ,Hasim bin Umar Aur AbuUmr Al zahri ne hadees Sunaye,Unhone kaha Hume Sufyan bin ayneya ne ,Zahri se,unhone Salim se Aur Ibn Umar r.a se k mayne Rasullah s.a.w ko Dekha Aap (s.a.w) ne jab Namaz Suru ki tou Apne Dono hantho ko uthaya ,yaha tak k Mondho k barabar kar deya ,use tarag jab ruku keya,use tarah jab ruku se sar uthaya Aur Dono Sajdo k Darmeyan Aap (s.a.w) hanth Nahi Uthate the''


[Sunan Ibn Maza jild-1,Safa-62]


''Mujhe yahiya ne Hadees Sunaye unhone Malik se Unhone Ibn Shaib se unhone Salim bin Abdullah se Unhone Abdullah bin Umar r.a se k Rasullah s.a.w jab suru karte the Namaz ko uthate the dono hanth barabar dono Mondho k Aur jab sar uthate the Ruku se tab v dono hanth ko use tarah utate Aur kahte ''Sami Alllahuliman hamidah '' Aur Sajda k Bech me Hanth Na Uthate ''


[Motta Imam Malik r.al,Safa-59]


Note- yahiya bin yahiya ki rewayat me ''Iza reka '' k lafz choot gaya hai , leken Ibn Wahab Aur Ibn Kasim Aur Ibn mahdi Aur Mohammad bin ahasan Aur Abdullah bin yusuf Aur Ibn Nafey wagaira humne ne apne Apne mutabeh me Imam Malik r.al se ''jab ruku karte Aur ruku se sar utate tab v dono hanth use tarah utahe the'' zekr keya hai.


Chunanche :


Hafiz ibn abdulbarah ne un tamam rewayat k jekar kar deya hai jo ''Iza reka'' k lafz zekar karte hai.


1-Ibn wahab

2-Ibn kasim
3-Yahiya bin said al katani
4-Ibn Abi Owias
5-Abdul rahman bin mendi
6-Ibrahim bin tahman
7Abdullah bin Mubarak
8-Baser bin Umar
9-Usman bin Umar
10-Abdullah bin Yusuf
11-Khalid bin Makhlid
12-Makki bin Ibrahim
13-Mohammad bin Ahasan Al saybani
14-Khalid bin musaib
15-Abdul Malik bin Zaid
16-Abdullah bin Nafe
17-Abukarta musa bin tarik
18-Mutarif bin Abdullah
19-Kutaiba bin Said
etc
ye tamam rawi ruku ki taraf jaate Waqt Rafadain k Zekr karte hai,Aur Unhone es hadees me ye kaha hai k Rasullah s.a.w ''jab Namaz suru karte Aur jab ruku karte Aur jab ruku se sar uthate tou kandho k barabar Rafadain karte''

Imam Darekutni r.al ne Imam Malik r.al se en me Aksar ki sanad zekar ki hai , jis tarah humne zekar keya hai aur yahi durust hai.

[Al Tahmed lmafi almotamin al moani wala saendi jild-9,safa-210
,211]




es tarah baaz Hadees ki kitabo me hai hawala mankul hai..


[Sahi Ibn khuzaima,jild-1
,safa-232]
[Alsunan Akber jild-2,safa-23]
[Alsunan Akber jild-2,safa-26]
[Alsunan Akber jild-2,safa-26 dusre rawi se rewayat hadees h]
[Al sunan Akber jild-2,safa-69]
[Al sunan Akber jild-2,safa-69 per he dusre rawi se rewayat hadees hai]
[Al sunan Akber jild-2,safa-69,
70]

[Musnad Ahmed,jild-2,sa
fa-277]

Hawala to avi aur hai per Asal maksad Samjhana hai.. Aur kisi baat ko samjhne k leye serf ek Dalalil kaafi hai aur wo dalalil se samjh me na aye tou us Dalalil ko samjhne k leye dusre Dallil hote hai..


Ab mouzu per aate hai..


**Jaisa k Ahnaf ''Musnad Imam Ahmed r.al'' ki kitab k hawal dete hai aur humare Ulma k v hawala dete hai k sajdo me v rafadain sabit hai..Aur gool gool gumate hai aur apne baat k The-End Gair-Muqallid gumrah hai bol ker khatam kar dete hai..


Bare he tazzub ki baat hai k Imam Ahmed bin humbal r.al v Gair-muqallid the , kuki wo fakaye the,Mujtahid the,Muhaddis the,Ahle-hadees
the, es leye wo Gair-muqallid hue.

Ab Aate hai unke kitab Musnad Imam Ahmed r.al ki taraf ...


''Hume Abdullah ne hadees sunaye,Mujhe mere baap ne , hume Abdulrazzaq ne ,hume Maimor ne,Unhone Zahre se rewayat keya,unhone Salim se ,Unhone Ibn Umar r.a se ,Unhone kaha k Rasullah S.A.W jab Namaz k leye Takber kahte tou kandho k barbar ya unke kareb Rafadain karte Aur jab ruku karte Aur ruku se Sar uthate tou (use tarah) rafadain karte Aur Sajda me Rafadain Na karte''


[Musnad Imam Ahmed ,jild-9,safa-15
6,hadees no-6344]

[Musnad Imam Ahmed jild-9,safa-34,
hadees no-6175]

[Musnad Imam Ahmed jild-7,Safa-130
,hadees no-5081]

[Musnad Imam Ahmed ma kanzalmal,jild-
1,safa-8]

Ahnaf jahil Muqallid (Dev) jo Dallil pess karte hai Awam ko Dokha dene k leye Hz Wail bin Huzr Aur Hz Malik bin Huweris r.a se Marwi Sahee Ahadees me Sajdo ki Rafa-yadain k Saboot bhi Nabi e Karim (S.a.w) se hai.


Aur puri kosis me lage hue hai k Ahle-hadees jamat aysa ku Nahi karte ?


Ek taraf Sahi hadees hone k Gun-Gaan ga gate hai Ahnaf (hanfi) per khud Es Amal se Nadarat hai ...


Dusre taraf Elzam lagate hai hanfi (jahil Muqallid devbandi) k Gair-muqallid hazrat Mazkura bala rewayat Hz Wail bin huzr or Hz Malik bin huweris r.a ki es hadees per Amal ku Nahi karte Ahle-hadees ? Aur Na he Istedlaal karte hai?


Jawab :


[Sahi Bukhari ,jild-1,hadees no-735]


''Abdullah bin umar r.a byan karte h ki rasul e karim s.a.w jb namaz shuru karte to apne hatho ko mondho tak uthate aur jb ruku me jane ke liye taqbir kahte aur rukuh se se apna sar uthate tb bhi is tarah dono hatho ko uthate aur Sami Alllahuliman hamidah kahte aur sajdo ke darmiyan hath na uthate''

 

 


Ahnaf k Humare Ulma ki baat per Aytraz k jawab :


jaisa k Aap Muqallido ne ''Moulana Mohammad Raye Nadwi r.al'' Aur ''Allama Mohammad Nasiruddin Albanai r.al'' ki Dallil de ker hume Gool-gool gumara rahe ho, kavi unhe ki kitab k pura hawal v pad leya karo .. Aap k aytraz k jawab aage dunga pahle aap(Muqallid) ye jaan le ke hum Ahle-hadees kisi k Muqallid Nahi hai..


Aap (Muqallid) ye Baat ku vool jate ho ''Moulana Mohammad Rayes Nadwi r.al'' Aur ''Allama Mohammad Nasiruddin Albani r.al'' k Hum Ahle-hadees Muqallid Nahi hai , jo hum unke pairwi kare tum Muqallido ki tarah (Andhe Taqleed)..


Aap (Muqallido) ne jo hawala un diggaz Ulma e Karam per jhoota Bohtam bandha Adhuri baat bata ker..


*Aap (Muqallido) ne Unhe kitabo k hawala deker ye Sabit karne ki kosis ki k Sajdo me rafadain karna Chaye leken Ahle-hadees ku Nahi karte ?


Jawab : unhe ki kitabo se..


Pahla elzam ''Allama Mohammad Nasiruddin Albani r.al'' k jawab..


Unhone apne kitan ''Sifat o Salatul Nabi(s.a.w)'' me Safa -215 per LAFAZ ''kavi-kavar'' k jekar keya hai Na k humesa k Amal kaha hai.. Esse ye saaf jaher hota hai k ye Sunnat e gair-Mokada hai..

 




Ab ''Allama Mohammad Nasiruddin Albani r.al'' ki dusre kitab ''Fikah Ahadees'' safa No-404 per Saaf Radd kar kar deya ...



 



Ab ''Moulana Mohammad Rayes Nadwi r.al'' ki baat v unhe k use kitab ''Rasul e Akram (s.a.w) k Sahi tareka Namaz '' me Safa No-373 me jab unhone Apne puri rewayat k (yaani saare Ahadees jo Sajdo me Rafadain karne k mutallik the uske ) baad bare he kubsurat Andaz me Saaf Alfazo me kaha..


''Sajdo k Waqt Wala Rafadain Aap (s.a.w) Aur Sahaba r.a se baaz Aukaat tark ker Deya karte the kuke wo (Sunnat e) Mokada Nahi balke Gair-Mokada Sunnat hai''



*Moulana Mohammad Rayes Nadwi r.al ne apne kitab ''Rasul e Akram (s.a.w) k Sahi Tareka Namaz '' me ye v kaha k Imam Bukhari r.al ne tou 2 Kufi Hanfi Imam se v Rafadain karne k Mutalik Sarahat ki Apne kitab ''Juj ul Rafadain me.

[Hadees No-29,30 , safa -48,49)






hanfio K Naami Gerami Imam me se hai ''Imam Hasan Bashri r.al'' or ''Hamid bin Helal'' ye Dono Namaz me Rafadain karne ko Sunnat e rasul Mante the..


 

Etna he Nahi kufi Imam Abu hanifa r.al k Ek Sager ''Imam Mohammad r.al '' v Namaz k suru me, ruku se pahle, ruku k baad me rafadain karne k kayal the..


Leken behad Afsos ki baat hai hanfi(devbandi)
fer v Namaz me rafadain Nahi karte hai kuki unke Nabi Imam Abu Hanifa r.al ne Jo Rafadain Nahi ki....

**Fatwa e Ahle-hadees per Aytaz k jawab..


Ahanaf k ghar ki Scan hai..

Es fatwa me koi Sak -Suba ki baat Nahi k ye hak fatwa Nahi hai ye fatwa bar-hak (jayez) hai,, kuki use fatwa k aage Hadees ki rousne me Sarahat hai hum Ahle-hadees Sajdo me rafadain ku Nahi karte..


''''Abdullah bin umar r.a byan karte h ki rasul e karim s.a.w jb namaz shuru karte to apne hatho ko mondho tak uthate aur jb ruku me jane ke liye taqbir kahte aur rukuh se se apna sar uthate tb bhi is tarah dono hatho ko uthate aur Sami Alllahuliman hamidah kahte aur sajdo ke darmiyan hath na uthate''

[Sahi Bukhari ,jild-1,hadees no-735]

lehaza Aap (Muqallido) k ye Dallil banana k Ahle-hadees k Fatwa Galat hai ye Elzam Batil hai..


Ab jara Fatwa Ibn Baaz r.al jo Imam e Haram the.. Aur yahi Sawal ek Aurat ne unse ki the.. Unhone behad khubsurat Andaz me Jawab deya.. Jis tarah jamat e Ahle-hadees ne de..


Fatwa ibn baaz r.al k scan page..




 

''Namaz me hanth kaha tak utaye''

sawal (ek khatun k): Dauran e Namaz rafadain karte Waqt hanth ko kandho k Barabar tak le jana chaye ya kaano k barabar tak? Aur keya rafadain Saare Namaz me karna chaye ya serf pahle rekat (yaani takber Awla) me ?


Jawab (Ibn baaz r.al) :


Takber Awla k Waqt ruku me jate Waqt Aur ruku se sar uthate Waqt kandho ya kaano k barabar tak rafadain karna Mustahab hai, ese tarah Zohar , Asar,Magreb Aur Esha ki Namazo me pahle Tashud se 3sri rekat k leye (Khare hote Waqt) Rafadain karna v Mustahab hai,Nabi(s.a.w)
k Qoul o Aamal se ye baat Sabit hai.

[Fatwa ib Baaz r.al,Baab-5,pag
e-107,Sawal no-7]

jamuriyat Ahle-hadees Sajdo me Rafadain karne ki Kayal Nahi hai Aur Na he Karne ka kahte hai 99% Ahle-hadees Sajdo me Rafadain Karne ki kayal Nahi kuki ye Sunnat e Mokada Nahi Aur wo V Abdullah Bin Umar r.a ki Hadees per Amal karte hai..


1% loog Sajdo me Rafadain karte hai , wo v Ahnaf k Gool-Matol baati me Aaker es baat me May v Mutafik Rakhra hu k jo loog Aysa karte hai, Wo La-Elmi me karte Aur hum Sahi hadees ki Rousne me Abdullah bin Umar r.a (Sahi Bukari jild-1,hadees -735) ki hadees per Amal karte hai..


Eske Tasdeek khud Ahnaf (Deobandi) k ghar k Scan page me lekha hai..


Farst Scan Save..
https://m.facebook.com/photo.php?fbid=684180­151683384&id=100002742173691&set=p.684180151683384&source=47&refid=13

second Scan save..
https://m.facebook.com/photo.php?fbid=684180­651683334&id=100002742173691&set=p.684180651683334&source=47&refid=13

**Ager Aap ab v Nahi mante ho k Hum Ahle-hadees aysa ku Nahi karte hai (yaani Sajdo me Rafadain ku Nahi karte) Aur Sahi hadees se jabke Sahi hadees se Sabit hai k Rafadain karna chaye tou.. Tou mera ek Sawal hai..


Allah k Nabi(s.a.w) se khare ho ker pesaab karna Sahi hadees se sabit hai..


[Sunan ibn Maza jild-1,hadees No-305,Baab-13 ]

[Sahi Muslim jild-1,Hadees no-624]
[Tirmizi Sareef,jild-1,h
adees no-224,225,226]
[Abu daood , jidl-1,hadees No-23]
[Nishai Sareef jild-1,hadees No-18,27,28]






Ab Hanfi (Devbandi) Andhe Muqallid es hadees per Amal k khare hokar pesaab (Toilet) ku nahi karte... Jab saaf sahi hadees hai??


Ab jo jawab Ahnaf (Andhe Muqallid) k hoga Wahi Huma Ahle-hadees k v jawab hoga k Hum ku Nahi karte Sajdo me Rafadain...



Via--Imran khan salafi

Monday, March 24, 2014

US NAY KAHA (SALEEBI JASOOS HERMAN)






Us nay Kaha (Salehbi Jasus Herman): 

"Mai Musalmano Ki Ek Esi Khami Ko Un K Khilaf Istemaal Kar Raha Hoon Jisay Wo Apni Khubi Samajhtay Hain. 

Muslamaan Darwaishon, Faqeeron, Wazefay Aur Chillay karnay walay, Alimo Aur Moulviyoun Aur Kutiya M Beht Kar ALLAH ALLAH Kartay Rehnay Walay Mohazib Kisam K Logoon Kay Foran Mureed Bn Jatay Hain. Darwaish Wagera Ka Yeh Gihro Islami Fouj k un Salaron K Khilaf ...Hy Jihon Nay Humaray(Salaybiyon) Khilaf Jangain Lar Kar Sohraat Hasil Ki Hai. 

Yeh Darwaish Apnay Mutalliq Logon Ko Yaqeen Dilatay Hain K"KHUDA"Un k Haath m hy Aur Wo KHUDA k Bandon M Say Hain. 

Wo Sirf Naam Peda Karna Chahtay Hain. Un M Maidanay Jung M Janey Ki Himmat or Jurat Nahi, 

Lihaza Wo Ghar Behtay Wohi Shohraat Hasil Karna Chatay Hain Jo SALARON nay"JIHAD"m Hasil Ki Hai. AGAR Diayantdari or Gair Janibdari say Dekha Jaye to Musalmano K Yeh Fauji Leader Jin M"Salahuddin Ayubi"or"Noor ud Deen Zangi"Shamil hain Qabil e Tehseen Insaan Hain. 

In m Say Jinhon nay Europe tak"ISLAM"Pheyla dia AUR"Spain"ko apni Saltanat m Shamil karlya tha. Baja tor p Haqq Rakhtay Hain K Qoum Apni Ebadat m bhi unka Naam lay Mgr Un k Khalifaoun nay Apna Naam Ebadat m Shamil kr K Fouji Leadaron ki Ehmeyat Ghata di....

Is k saath Musalmo m Naam Nihad Alimo or Imamo ka ek esa ghiroh Peda hua hai jo amal say Ghabrata Tha. Unhon nay kaha k jo kn wo Alim or Imam hain. 

Yeh Ghiro Khalifaoun ki Arr m"JIHAD"k Mainay Masak Kar Raha hy ta k Log JIAHD m Janay ki Bajaye Un k Kird JAMA hoon, or Unhain Khuda k Bargazida Banday Maney. Un k Pas Pur israr si Baatain or Baatain Karnay ka Esa Tilasmati Andaz hai k Log yeh smanay Lagay hain k in Bargazida Insano k dil m koi Raaz Chupa huwa hai, Jo khuda nay her Banday ko nahi Bataya. 

Chunachay Sedhay Saday Musalman un k Jaal m Phastay Ja rahay Hain. M Unhe Alimo or Darwaishon ko Istemaal kar raha hoon. Musalmano ki yeh Kamzori Humay bahut Faida day Rahi hai. M Musalmano ko Islam ki hi Baatain Suna Suna kar ISLAM ki Buniyadi Roh say Dourr Lay Jaraha hoon. 

"TAREEQ GAWAH HAI k Yahudiyon nay NAZARYATI TARGEEB KARI kar k Islam ko Kafi Hadd tak kamzoor kar diya hai. M inhi k Usolon per Kam ker raha hoon. Yehi wo Bunyadi Aqidon ki Kamzori ti Jis k Muataliq"SultanSalahuddin Ayubi"Pareshan Rehta tha. Iqtebas from"

Dastaan Emaan

via--Ayan khan salafi

Saturday, March 22, 2014

QASAR KI NAMAZ KE AHAKAM WA MASA'IL KA BAYAN





Bismillahirrahmanirraheem



QASAR KI NAMAZ KE AHAKAM WA MASA'IL KA BAYAN 


Jab Musafir Safar Ki Halat Me 4 Rakat Wali Namazo Ko 2 Rakat Padhta Hai To Ise Qasr Ki Namaz Kahte Hain 

Namaz Me Qasr Ka Huqm 4 Hizri Me Hua 

Quran Se Dalil . 


04.101 Jab tum safar mein jaa rahey ho to tum per namazon kay qasar kerney mein koi gunah nahi - 

Hadith- 

Hazrat Ibne Umar r.a Se Riwayat Hai Rasul s.a.w Farmaya 

"Beshak Allah T'ala Ne Hume Huqm Dia Hai Ki Hum Daurane Safar Sirf 2 Rakat Namaz Ada Kare" 

[Sunan Nasai 458, Ibe Majah 1066] - 

To Sabit Hua Ki Jab Koi Safar Kare To Wo Namaz Me Qasr Kare Yani 4 Ki Jagah 2 Rakat Ada Kare Siwaye Maghrib Ke Aur Sunnat Nahi Padhi Jayegi Maghrib Me 3 Rakat Puri Padhi Jayegi Aur Fazr Ki Ki 2 Sunnat Bhi Padhi Jayegi Iske Alawa Aur Sunnat Maf Hai . 

Dalil . Bab:- Maghrib Ki Namaz Safar Me 3 Hi Rakat Padhi Jayegi . 

Ibne Umar r.a Farmate Hai Ki Nabi Karim s.a.w Ko Jab Kahi Jaldi Pahuchna Hota To Maghrib Ki Taqbir Kahte Aur 3 Rakat Namaz Padh Kar Salam Pher Dete, Phir Thodi Der Bad Isha Ki Taqbir Kah Kar 2 Rakate Padh Kar Salam Pher Dete Aur Isha Ke Bad Aur Nafil Kuch Na Padhte . 

Sahi Bukhari Hadith 1091 - 

Abu Qatada Se Riwayat Hai Rasul Sallallahu Alahi Wasalam Ne Safar Ke Dauran Bhi Fazr Ki Sunnate Hmesha Padhi 

Sahi Muslim Hadith 680 - 

Qasar Ke Dauran Witr . 

Imam Nafe Riwayat Karte Hai Ki Ibne Umar r.a Apni Sawari Par Namaz Padhte Aur Witr Bhi Padh Lete Aur Kahte Nabi Karim s.a.w Aise Hi Kiya Karte The . 

Sahi Bukhari 1095 - 

Qasr Kitne Din Tak Kar Sakte Hai - 

Ibne Abbas r.a Se Riwayat Hai Ki Nabi e Karim s.a.w 19 Din Tak Makkah Me Thahre Aur Qasr Karte Rahe, Isliye Hum Bhi Jab 19 Din Kahi Thahrte Hai To Qasar Karte Hai, Aur Agar 19 Din Se Jyda Tahrate To Puri Namaz Padhte . 

Sahi Bukhari Hadith 1080 . 

Kitni Duri Ke Safar Me Qasar Kare ? 

Nabi Karim s.a.w Ne Ek Din Rat Tak Chalane Ki Duri Ko Bhi Safar Kaha Ibne Umar r.a Aur Ibne Abbas R.a 4 Bareed me Qasr Aur Iftar Karte The 4 Barid 16 Farsakh 48 Mile Hote Hai 

[Sahi Bukhari Kitabul Abwabu Taqseerissalati] - 

Abu Huraira r.a Se Riwayat Hai Nabi Karim s.a.w Ne Farmaya 

"Jo Aurat Allah Aur Akhirat Par Yaqin Rakhti Hai Us Ke Liye Jaiz Nahi Ki Wah Bina Kisi Maharam Ke (tanha) Ek Din Ka Bhi Safar Kare . 

Sahi Bukhari 1088 . 

Imam Bukhari Rh Ne Is Hadith Ko Lakar Ye Sabit Kia Hai Ki Ek Din Rat Ki Duri Ka Nam Bhi Safar Hai Isliye 48 Mile Ki Duri Par Qasr Kia Jayega Ek Din Rat Me Ek Admi Itni Duri Tay Kar Leta Hai . 

Qasr Shuru Kab Kare? . 

Anas Bin Malik R.A Se Riwayat Hai Ki Mene Nabi E Karim s.a.w Ke Sath Madina Me Zuhar Ki 4 Rakate Padhi Aur Zul Hulaifa Me Pahunch Kar Asar Ki 2 Rakate Padhi . 

Sahi Bukhari Hadith 1089 . 

Malum Hua Ki Jab Safar Ke Irade Se Ghar Se Nikal Pade To Nikalne Ke Sath Hi Qasr Shuru Kar De Zul Hulaifa Madina Se 6 Mile Ki Duri Par Ek Jagah Hai - 

Safar Ke Dauran Namaz Jama Karna - 

Hz Ma'aaz Bin Jabal r.a Se Riwayat Hai Ki Rasul s.a.w Suraj Dhalne Ke Bad Safar Ka Irada Farmate To Zohar Wa Asar Ko Ek Sath Ada Farma Lete . 

Tirmizi 552, Abu Dawood 1220 - 

Haz Ibne Umar r.a Se Marvi Hai Ki Rasul s.a.w Jab Safar Me Jane Ki Jaldi Hoti To Ap Namaze Maghrib Me Deri Karte Yaha Taki Ki Maghrib Wa Isha Ko Ek Sath Padh Lete . 

Bukhari 1091 - 

Haz Ibne Abbas r.a Se Marvi Hai Ki Nabi Karim s.a.w Ne Gazwa Tabook Ke Safar Me Zohar Wa Asar Aur Maghrib Wa Isha Ko Jama Kia . 

Sahi Muslim 705 - 

In Dalilo Se Malum Hua Ki Johar Wa Asar Aur Maghrib Wa Isha Ko In Me Kisi Waqt Me Daurane Safar Jama Lena Jaiz Wa Sahi Hai 


Via-Ayan Khan Salafi

AQEEDAT SE AQEEDE TAK...





Bismillahir Rahmaanir Raheem 


Abu Bakar Shibli k paas 2 aadmi bait k liye hazir hoye, hazrat ny ek sy kaha: 

“tu keh Laa Ilaaha IllaLLAH Shiblee Rasool Ullah”. 

Wo kehny lga: 

“Laa Haula Walaa Quwwata Illa Billah”. 

Hazrat ny b Laa haul parhi, wo kehny lga: 

“hazrat aap ny kiun Laa Haul parhi?” 

Abu Bakar Shibli kehny lgy: 

“Tu ny kiun parhi?” 

us ny jawab dia: 

“isliye k kis jaahil k pas bait k liye aa gya?” 

Shibli kehny lgy: 

“main ny is liye parhi k kis baywaqoof k samny raaz ki baat keh di.” 

Phir doosry aadmi sy kaha: 

“Tu keh Laa Ilaaha IllaLLAH Shiblee Rasool Ullah”. 

Us ny kaha: 

“Hazrat! Main to aap ko is sy ooncha muqaam deny aaya tha, aap to pehly hi gir gye? Risalat pr hi qina’at kr li?” 

Abu Bakar Shibli ny kaha: 

“Shabash! Tu beth hum tujhy taleem den gay.” )

Tazkirah e Ghausia

( Hazraat! Aqeedat kehty hain, wo Muhabbat jo kisi insane sy tah e dil sy ki jaye, or agr isi Muhabbat mein Ghuloo sy kaam lia jaye, or isy Eimaan ka hissa bana liya jaye to Aqeedat, Aqeedah ban jati hy. Kuch aisa hi haal ooper byan hoa. Jo 2 aadmi Abu Bakar Shibli k paas Aqeedat ki waja sy aaye thay, Abu Bakar Shibli ny un ki Aqeedat ka faida uthaty hoye un ka Aqeeda hi barbaad kar dia. Aaj bhi bary bary peer yehi kaam krty hain. Jo log un k paas faqat Aqeedat ki waja sy aaty hain, ye jhooty peer un ka Aqeedah hi barbaad kr dety hain. 

Koi peer sahib ko sajday kr rha hy, koi peer sahib k kehny pr chillay kaat rha hy, to koi peeron k hathon apni maon behnon ki izzaten ganwa rha hy. Peer ka khauf, ALLAH k khauf sy zyada dil mein rkhta hy. 

Kisi ny ye aqeedah bana liya k mureed ghar sy niklta hy to peer ki nazar us pr hoti hy, wo jo kuch krta hy peer usy dekhta hy. 

O Musalmano! Hosh k naakhun lo!! Kiya tum ye bhool gye k ALLAH tumhen hr waqat dekhta hy? 

Chahy tum ghar mein ho ya ghar sy baahir! Roshni mein ho ya andhery mein! ALLAH tumhen hr waqat dekhta hy. 

Phir kiun tum ALLAH sy nhi darty or peeron sy darty ho! Kiya ye ALLAH ki gustakhi nhi? 

Lehaza ALLAH k liye tanqeedi nigah sy dekhy bghair sochiye or aisi aqeedat or aqeedat mein ghuloo sy bachiye jo aap ko shirk or kufar k dahano tak puhancha dy…. ALLAH sy dua hy k 

ALLAH hum sab ko Raah e Hidayat ka Raahi banaye… aameen summa aameen…. Wa Maa Alainaa Illal Balaagh ul Mubeen. ] Sajdah khaaliq ko bhi, Iblees sy yaaraana bhi, Hashar mein kis sy aqeedat ka sila mangy ga? 

[ Hafiz Muhammad Safi Ullah

Friday, March 21, 2014

La Ilaha Illa ALLAHU Muhammad ur Rasool ULLAH Ke Taqazy"






*...Kalmay ka Pehla Hissa...* 


Islam ki buniyadi shart hy 

"La Ilaha Illa ALLAHU Muhammad ur Rasool ULLAH S.A.W." ka iqrar krna, is ka suchy dil sy samajh kr yaqeen krna or apny aamaal is kalmy k mutabiq bnana. 


yad rhy k sirf kalma parh leny sy koi shakhs musalman nhi ho jata, balky musalman hony or Islam mein dakhil hony k liye is kalmy k taqazy poory krna nihayat hi zroori hy. kalmy k 2 hissy hain, 

pehla hissa "La Ilaha Illa ALLAH" yani ALLAH k siwa koi ibadat k laiq nhi, ibadat ka matlab hy bandgi krna, jhukna, faryad krna, madad mangna, umeed rkhna wghera. ye tmam mataalib ibadat mein aaty hain. 

"La Ilaha Illa ALLAH" kehny sy ALLAH k siwa kisi or ki ibadat krny, ghair ULLAH k aagy jhukny, ghair ULLAH sy madad mangny, ghair ULLAH sy faryad krny or Ghair ULLAH sy umeed rkhny ki nafi ki jati hy. 

"La Ilaha Illa ALLAH" ka achi trha smjh kr iqrar krny k baad, is pr mazbooti sy qaim rehna or apni tmam ibaadaat ko ALLAH k liye hi khas krna is kalma tayyiba k taqazy ko pora krna hy. 

agr koi shakhs kalma to parhta hy, lekin faryad ghair ULLAH sy krta hy, jhukta ghair ULLAH k samny hy, umeeden ghair ULLAH sy bandhta hy, duaen ghair ULLAH sy mangta hy, to wo shakhs apny kalmy mein sucha nhi. 

aisa shakhs apny aap ko hi dhoka dy rha hy. nimaz mein bhi hum is baat ka iqrar krty hain: ")

Ay ALLAH!( hum teri hi ibadat krty hain or tujh hi sy madad mangty hain". )

Sorah e Fatiha:4

( yani tery siwa kisi ki ibadat bhi nhi krty or tery siwa kisi sy madad bhi nhi mangty. 

lehaza ghair ULLAH sy madad mangna, ghair ULLAH sy faryad krna, ghair ULLAH k samny jhukna, ghair ULLAH sy umeed rkhna ye sb shirk hy. *

.....Kalmay ka Doosra Hissa....* 


Kalmay ka doosra hissa, jis mein "Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W." ka iqraar krna, yaqeen krna, or apny tmam kaamon ko Rasool Ullah S.A.W. ki Sunnat k mutabiq krna hy. 

is doosry hissy ka matlab hy k k "Muhammad S.A.W., ALLAH k Rasool hain." 

yaad rhy k Musalmaan hony k liye zroori hy k Muhammad S.A.W. ko ALLAH ka Rasool maana jaye, or jis kaam ka hukam Rasool Ullah S.A.W. ny humain diya hy wo kiye jayen or jin kaamon sy roka hy un sy ruka jaye, or Muhammad S.A.W. k deen mein kisi qisam ki kami ya izafa na kiya jaye. 

balkay deen jesa aaya hy usy wesa hi maana jaye or us pr wesy hi amal kiya jaye jesy Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. or aap S.A.W. k Sahaba R.A. ny amal kr k dikhaya. apny aqaid bnanay sy pehly ye dekha jaye k kiya ye aqeedah Rasool Ullah S.A.W. ka tha ya nhi? 

isi trha amal krny sy pehly ye dekha jaye k kiya ye amal Nabi S.A.W. ny kia ya nhi? agr kia hy to kesy kia hy? nhi kia to deen kesy ban gya? 

kiunky deen to 1422 saal pehly mukammal ho chuka hy. 

ALLAH Pak ny Quran e Majeed mein farmaa diya: 

"aaj k din mainy tumhary liye tumhara deen mukammal kr diya, or apni naimat tum pr poori kr di, or tumhary liye Islam ko bator e deen pasand kiya." )

Sorat ul Maidah, Ayat No:3

( is ayat sy humain pta chalta hy k deen mukammal ho chuka hy, is mein kisi qisam ki kami nhi hy, lehaza agr aaj koi shakhs nya kaam aijaad kr k usy deen ka naam dena chahy to wo hargiz deen nhi ho skta. 

jis ny Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ko chhor kr kisi or ki baat ko deen ki daleel k tor pr maana, goya us ny apny amal sy Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki bajaye us shakhs ko Rasool bana liya. us k dil mein Muhammad S.A.W. sy zyada us shakhs ka martabah ho gya jis ki waja sy us ny Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki baat ko chhor kr us shakhs ki baat maan li, phir chaahy wo shakhs kitna hi bara wali, peer ya hazrat hi kiun na ho, pr Rasool to nhi k Rasool ki bajaye us ki baat maani jaye. 


yaad rkhiye! is kainaat mein hr insan sy ghalati ho skti hy, pr Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. sy ghalati nhi ho skti. ye hamara eimaan hy. 

Quran e Kareem mein ALLAH Pak farmaata hy: 

"or wo )Nabi S.A.W.( apni marzi sy nhi bolty, ye kalam magar wahi hy jo naazil ki jaa rhi hy. )

Soratun Najam, Ayat No:3-4

(" yani Nabi S.A.W. apni marzi sy nhi bolty, ye jab bhi deen ki baat krty hain to wohi kehty hain jo ALLAH ny in ki taraf naazil kiya hy. to aisy Kaamil or Akmal Nabi S.A.W. ki baat ko chhor kr kesy kisi or ki baat ko maana jaa skta hy? 

doosri jaga ALLAH Pak ka Irshaad hy: 

"yaqeenan tumhary liye Rasool Ullah S.A.W. ki zaat mein behtreen namoona hy, hr us shakhs k liye jo ummeedwar ho ALLAH ka or Roz e Aakhirat ka or ALLAH ka zikar krta rehta ho. )

Sorat ul Ahzaab, Ayat No:21

( ab yaad rkhiye k Aaqa A.S. ny is deen pr humain mukammal amal kr k dikha diya. Deen ki koi baat aisi nhi jo hum sy chhupai ho, na hi sawab ka koi aisa kaam hy jis ka treeqa humain na btaya ho or na hi jannat mein jaany ka koi aisa rasta hy jo humain na btaya ho. lehaza humain aisy tmam kaamon sy buchna chahiye jinhen hum deen to smjhty hain lekin Islam )Quran o Hadees( mein us ka koi saboot nhi. 

Mukammal Deen, Quran or Hadees hai. Teesra koi zariya nhi hy jis sy Islam ka tasawwur bhi haasil kiya jaa sakay. 

ALLAH Pak sy dua hy k wo humain Kalmay k Taqazay poory kr k sucha Musalmaan ban-ny ki taufeeq ataa frmaye. Humaray tmam gunahon ko muaaf frma kr hum pr rehem frma dy or humain hr kaam mein Pyaray Aaqa Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki sunnat pr amal krny wala bana dy. ALLAh Pak humain wo hidayat naseeb frma dy jo hidayat us ny apny Mahboob Nabi S.A.W. ko dy kr is dunia mein bheja tha. 

aameen summa aameen. Wa Aakhiru da'awaanaa Anil Hamdulillah Rabbil Aalameen.

Thursday, March 20, 2014

KYA NAMAZI KE LIYE YE JAIZ HAI KE FARZ NAMAZON ME ARKAAN PURE HONE KE BAAD DUA MAANGE






Question :
 


kya namazi k liye yh jaiz hai k woh farz namazo mein arkaan pury kerny k bad dua mangy maslan sajdo mein "SUHAN RABBI YAL ALLA" parhny k bad jaisi dua parh lay? umeed hai


Answer :


Momin k liye yh jaiz hai k woh namaz mein dua k maqaam per dua kery namaz khuwah farz ho ya nafil aur namaz mein dua ka maqam sajda' 2 sajdo k dermiyan' tash'had aur RAsool Allahki zaat grami per darood-o-salaam k bad namaz ka akhri hissa hai. hadis sy sabit hai k Nabi kareem s.a.w dono sajdo k dermiyan dua kerty aur Allah Ta'ala sy magfirat talab farmaty thy. yh bhi sabit hai k app dono sajdo k dermiyan yh dua parha kerty thy:
 

"Aye Allah! to meri magfirat farma aur mujh per raham farma aur mujhy hadayat day aur meri bagri bana day aur mujhy rizq ata farma aur mujhy afiyet ata farma."
 

Abu Dawud no. 850 and At-Trimithi no. 874.

Nabi s.a.w ny farmaya:
 

"Roku mein Allah Ta'ala ki ta'azeem biyan karo aur sajdah mein khub koshish sy dua karo' umeed hai k tumhari dua sharf qaboliyet sy nawazi jaye gi."
 

Muslim no. 479.

Aur Hazrat Abu Hererah R.A. sy marvi hai k Nabi kareemny farmaya:
 

"Bandah apny Rab k sab sy ziadah qareeb us wqt hota hai jab woh sajdah ker raha hota hai lehaza sajdah mein kasrat sy dua karo"
 

Muslim no. 482.

sahiheen mein Hazrat Abdul Allah Bin Masood R.A. sy ravayat hai k NAbi kareemny jab inhen tashhad sikhaya to farmaya:
 

"Is k bad namazi jo chahy apny Rab sy dua kery"
 

Muslim no. 402.

Aur aik ravayat mein ilfaz yh hain k:
 

"Phir is dua ko muntakhib kery jo issy sab sy ziadah pasand ho aur is k sath dua kery."
Al-Bukhari no. 835.


Is mafhom ki ahaadis bohat hain jo is bat per dalalat kerti hain k in maqamat mein musalman jo dua kerna chahy' is ki ejazat hai khuwah dua ka ta'aluq akhrat sy ho ya deenvi masaleh sy ba shart yh k dua ka ta'aluq kisi gunaah ya qata'a rehmi sy na ho aur afzal yh hai k in duaon ko kasrat k sath manga jaye jo Nabisy manqol hain.
 

Shaikh ibn Baz

Tuesday, March 18, 2014

DUSRON KO ACCHI BAATON KA HUQM KARO MAGAR KHUD BHI AMAL KARO





Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim

Hadith: Dusron ko achchi baaton ka hukm karo magar khud bhi us par amal karo warna.....

-----------------------------
Urdu Translation:
Usama bin zaid radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah sallallaho alaihey wasallam ne farmaya Qayamat ke din ek shaksh laya jayega phir wo jahannam mein dala jayega uskey pet ki aantein (intestine) bahar nikal aayegi, wo unko liye huye gadhey ki tarah jo chakki peesta hai chakkar lagayega aur jahannam waley uskey paas ekaththey hongey us sey puchengey ki Eh falah kya tu achchi baaat ka hukm nahi karta tha aur buri baat se manaa nahi karta tha ? wo kahega main to aisa karta tha lekin dusron ko achchi baat ka hukm karta tha aur khud (us par amal ) nahi karta aur dusron ko buri baat se manaa karta tha lekin khud us sey baaz na rahta tha.
{Sahih Muslim, 7483}

--------------------------------
English Translation:

Usama b. Zaid Radi Allaho Anho reported: I beard Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: A man will be brought on the Day of Resurrection and thrown in Hell-Fire and his intestines will pour forth in Hell and he will go round along with them, as an ass goes round the mill. stone. The denizens of Hell would gather round him and say: 0, so and so, what has happened to you? Were you not enjoining us to do what was reputable and forbid us to do what was disreputable? He will say: Of course, it is so; I used to enjoin (upon people) to do what was reputable but did not practise that myself. I had been forbidding people to do what was disreputable, but practised it myself.
 


{Sahih Bukhari, Book 042, Number 7122}

 Via-- Faisal saiyed

KYA ADAM (AS) NE MUHAMMAD (SWS) KA WASEELA LIYA





Assalamoalaikum,
 


Islam Dushman Kuffar, Mushrik or Munafiqeen ne jahan Islam ko Nuqsanat pohnchane ke lie Shirk or Kufr ko Musalmano me Phelaya, Wahin In Main Aqeedat or Jhoot se Dhoka dete hue Inko Deen ke naam par Mangharat Riwaayaat or Jhooti Ahadith paish kin, Jinhain 

AlhamdoLILLAH 'Muhaddithin e karaam (rahmatULLAH alaih) ne dhoond nikala or Bayan karne wale ka Jhoot us ke he moo pe la khara kiya. Is he koshish ko Aap k samne Mustanad Hawala jaat se Un chand Riwayaat ki nishandahi karwai jarhi he jinhain Hamare haan Aam tor par Islam samajh kar Amal or Aqeedah Banaliya jata he magar wo Besanad Bekar hota he.
 


Or Jesa ke Janab e RasoolUllah Sallallaho Alaihewasallam Ka farmaan he:
 


"Mat Jhoot Baandho Mere Upar, Jo koi Mujh Pe Jhoot Baandhega Wo Jahannum Me Jayega"
 

(Sahih Bukhari, Kitab ul Ilm, Hadees# 106),

Jaan bujh kar jhoot bayan karne Wala Jahannum me Apna thikana bana rha hota he, Hamain Apne har Aqeeday ko Quran or Sahih ahadith kay mutabiq banana chahiye, or Koi Hadith ya Daleel Bayan karne ya Apnane se pehle us ki tehqeeq zaroor karni chahiye.

Zaeef Riwayat #

RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: 


"Jab Hazrat Adam Alaihissalan se bhool hui to Unhon ne Arz kia ke Ay Parwardigar! me tujhse Bawasta e Muhammad Sallallaho Alaihewasallam sawal karta hun ke meri maghfirat farmade, 

Allah taala ne irshad Farmaya: 

Ae Adam (alaihissalam) tu ne Muhammad Sallallaho Alaihewasallam ko kese pehchana Hala ke abhi me ne inko (dunia me) paida bhi nahi kia? 

Ap (Alaihissalam) ne Arz kia: Ae mere Rab! me ne unhain is tarah pehchana ke jab tune mujhe apne Dast e Qudrat se paida farmaya or Apni taraf se Mere andar Rooh Phoonki, me ne Sar utha kar dekha to Arsh ke payon par ye likha hua tha (LAAILAAHAA ILLALLAHO MUHAMMADUR RASOOLULLAH) so mene jaan lia ke Tu ne apne muqaddas naam k sath aisi hasti ke naam ko milaya he jo tere nazdeek tamam makhlooq se ziada piari he, 

Allah taalaa ne farmaya: Ae Adam(alaihissalam)! Tum ne sahih samjha, Waqi Muhammad Sallallaho Alaihewasallam mere nazdik tamam makhlooq se ziada piare hain or jab tumne un ke waste se mujhse Darkhuast ki he to Mene Tumhari maghfirat ki aur Muhammad Sallallaho Alaihewasallam na hote to mein tumhain bhi paida na karta."

Is Jhooti riwayat ko Muhaddithin in Kutub me laye hain
 


(Mustadrak ul Hakim,2/486 :4228,
Tibrani Osat 6/313: 6502,
Majmua uz zawaid, Tarikh e damishq, Albidaya wannehaya waghera..)

Or Is Riwayat kay Mangharat hone ki kafi wajoohat hein jin me

>> Is Riwayat ki Sanad me Ek Raawi (riwayat bayan karne wala) "Abdur Rahman Bin Zaid bin Aslam" he, Jo bil Ittefaq Muhaddithin e karaam ke nazdeek Kazzab/ Zaeef he Yani Muhammad Sallallaho Alaihewasallam par Jhoot Bandhne wala he. Is Rawi ka zikr karte hue Imam Hakim or Imam Abu Naeem RahmatUllah Alaih ne farmaya ke ' ye Apne Walid se Mozoo (fabricated) ahadith bayan karta tha.'

Imam Ibn ul Jozi farmate hain k Is rawi k Zaeef hone pe Sab ka ijma he.
 

(Tehzeeb ut Tehzeeb, Jild:4, Page:91 Number: 3974, -

Tehzeeb ul kamal, Jild:5, page: 412, Number: 3889,

- Meezan Ul aitdaal, Jild: 4, Page: 282, Number: 4873)

>>Ye riwayat Ayat e Qurani se takrati he jis Me Allah Subhanahu wataalaa farmate hein: " Aadam (alaihesalam) ney apney Rab say chand baaten seekh lin aur Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool farmaee Be-shak wohi Tauba Qabool kerney wala aur Reham kerney wala hai."
(Al Baqrah: 37)

" Dono ney kaha Aey Humaray rab! Hum ney apna bara nuksan kiya aur agar Tu humari maghfirat na karay ga aur hum per Reham na Karay ga to Waqaee hum Nuksan paney walon mein say hojayen gay.
(Al Aaraaf: 22,23)

*Yani wo Kalmat ye the, na ke Mazkoora khud-saakhta Riwayat k alfaz.
>>Or Allah Subhanahu wa Taa'aa ne Insano or Jino ki Takhleeq ki Waja jo Quran me Bayan farmai he:

"Allah ne Nahin Paida kiya, Jino or Insano ko Magar Apni Bandagi ke liye."
(Az Zariyat: 56)

Lehaza tehqeeq se Hamain Sahih Aqeedah, Quran or Mustanad Ahadith se Milta he. Allah se dua he Hamain Sirat e Mustaqeem par qaim rehne or Deen e Islam ko samajhne ki tofeeq ata farmayen. Ameen.



Via--Ayan khan salafi

NEEND SE BEDAAR HONE KI DUA






Neend Se Bedar Hone Ki Dua

Neend Se Bedar Hone Wala Wuzu Karte Waqt Apni Nak 3 Dafa Jharhe , Kyo Ki Shetan Nak Ke Banse Me Rat Guzarata Hai

Sahi Bukhari Hadith 3295

Aur Ye Dua Padhe

"Alhamdulillaahillazi ahyaanaa ba'da maa amaata-naa wa ilaihinnushuur".

Har Qism Ki Tarif Allah Hi Ke Liye Hai Jisane Hume Zinda Kiya Bad Iske Ki Usne Hume Mar Diya Tha Aur Usi Ki Taraf Uth Kar Jana Hai

Sahi Bukhari Hadith 6312

DUA KARNE KA TAREEQA KYA HAI ??






 Dua Karne Ka Tariqa Kya Hai?

Jawab- Jab Koi Shakhs Dua Karne Bethe To Pahle Allah T'ala Ki Khoob Hamd- Sana Bayan Kare Aur Allah Ki Tarife Kare, Phir Uske Nabi Hazrat Muhammad Sallallahu Alahi Wasallam Par Darud Padhe Phir Apne Haq Me Duaye Kare


Hadith- Allah Ke Rasul s.a.w Ne Ek Shakhs Ko Dua Karte Suna Lekin Pahle Allah Ki Tarif Nahi Ki Aur Uske Rasul s.a.w Par Darud Padha To Rasul s.a.w Ne Farmaya Isne Dua Me Jaldi Ki

Phir Use Bulaya Aur Farmaya Jab Namaz Padho To Pahale Allah Ki Tarif Karo Aur Mujh Par Darud Padho Phir Jo Dua Karni Hai Karo

Tirmizi


via--Ayan khan salafi

Monday, March 17, 2014

SEENE PAR HAATH BAANDHNE WALI HADITH PAR AITRAAZ KA JAWAAB-(PART-4)





Bismillahirrahm anirraheem


*Ahnaf Apne Dawe k Mutabik Aaj tak Ek v Sahi hadees Na pess kar sake Naaf k Neche hanth bandne waale Hadees Aur Na Apne Aurto k Seene per Hanth Bandne waale koi v ek Hadees pess Na kar sake Ahnaf (Hanfi)...


Mere Dawe k Mutabik Hazrat Wali bin Huzr r.a ki hadees Nakal karda Muhaddiso ne Sahi karar tharaya hai jo SAHI IBN KHUZAIMA JILD-1 , SAFA-243 , HADEES NO-479 me hai...


Ahanaf Humare es Sahi hadees ko Zaif Sabit tou Nahi kar sake Ulta Hazrat Wail bin Huzr ko he Gawar,Dehati,An
pad bolne lage Aur Qayas kar k Hadees k radd karne lage.. (eske v Dallil dunga)

Mere bhaio ye Muqallid (jahil) Aaj tak tou teak dung se Tahkek na kar sake kisi v baat k kuki Inhe k Alimo k Sekh hai Muqallid jahil hota hai.. Wo Na tahkek kar sakta hai Aur Na kisi ko tahkek karne ko kah sakta hai. mulaiza ho....


Maulana mehmood ul hasan hanfi kehte hain k:

-
humto muqallid hai jo hamare fiqah main hai uspe amal karna hum per wajib hai-
( Taqreer-e-Trimi
zi P.36 )
Maulana amir usmani hanfi kehte hain k:
-
muqallid k lie Quraan o Hadees k hawalo ki zarorat nahi bal-k ayimma o fuqaha k faislo or fatwo ki zarorat hai-
( Mahanama Tajalli Deoband J.19
Shumara.11 12
P.36 37
Babat Maah January Feburary 1968 )
-
Hanfio ka ek or ghatia usool ye bhi hai k:
-
agar hadees fiqah k mawafiq hoto hadees per amal karna lazim hai lekin agar hadees or fiqah ki baat apas main takraye to fiqah ki baat per amal karna afzal hai-
( Usool-e-Shaashi
P.72 )
Usool-E-Shaashi
barelvio deobandio yani hanfio ki musallam kitaab hai
Or apne parh bhi lia hai k fiqah main kesi kesi baaten likhi hain
Ye kuch dalayil the jinse baqol hanfi akabireen k ye sabit hota hai k hanfi apne fiqah main likhi hui baaton ko manne k paband hain
Ese kayi or dalayil ka anbaar hanfi kutub main mojud hai agar main un sabko likhne bethun to baat buhat lambi hojayegi
Lekin main itne per he iktefa karta hun, khair May Apne Mouzu per Aata hu....

*waail bin hajar rz se riwayat hai k maine rasul saw ke sath namaz padhi to aap saw ne apna daaya hath mubarak apne baaye hath mubarak k upar seene mubarak par rkha''


(Sahih Ibn Khuzaima, j. 1, page 243)


**Mo’mal bin Isma’eel r.al per Aytraz k jawab :


*Mohammad bin Naser Marwazi r.al kahte hai k jis Rewayat k Bayan kerne me Mo’mal bin Isma’eel r.al Munferd ho us Rewayat per Toukuf lazim hai.


Jawab:


Ali Sadra k Alfaz Nakal karne me Mo’mal bin Isma’eel r.al Munferd Nahi Kuki Jo Alfaz Mohtaram Sufyan Sauri r.al se Mohtaram yahiya bin Sa'id Al katan r.al Mohtaram Halb Tahi r.a se marwi Rewayat me Nakal karte hai wahi Alfaz Mohtaram Mo’mal bin Isma’eel r.al Mohtaram Sufyan Sauri r.al se Mohtaram Wail bin huze r.al se Marwi rewayat me Nakal karte hai Lehaza Sabit hua k ''Ali Sadra'' k Alfaz Nakal karne me Mozuf Munferd Nahi hai Lehaza Aytraz Batil hai.


Es Bahas se ye Wajeh hua k Mo’mal bin Isma’eel r.al ki Serf Qoul yaddast per Kala'am hai, yaad Rahe k Es Kism k Rawi ki Rewayat fi-nafsih-e-Has
an Darz ki hue hai leken es Kism ki Rewayat us Waqt Sahi k Darza hasil kar lete hai jab koi Dusre Rawayat us ki Sahid (gawahi) ho jaisa k Allama Ibn Salah farmate hai :

''Jis Hadees k rawi Hafiza w etekaal me kamzor ho mager us k Suma'ar Muhaddiso ne Us Giroh se hota ho jo Sadk wa Satr k wasf se Maruf ho us kism ki Hadees Ager kisi dusre Tareke se v Marwi ho tou us Hadees ko Tarfen se Kuwat hasel ho jayege Es tarah ye Hadees Hasan k Darze se Buland ho ker Sahi k Darza hasil ker le ge.''


[Mukadma Ibn Al salah , safa-71]


Es hakikat ko Imam Al-Seuti Katri r.al Nakal se Bayan karte hai :


''Jis Hadees k Rawi Hafiza wa Sabta me Ala Darza k rewayat se kam ho leken wo Sadk wa Satr k wasf se Mashur ho tou us Rawi ki Marwiya'at ko Hasan Tasleem keya Gaya hai, Ager wo Hadees kisi Dusre Tareke ki Marwiye ho Agerche Dusra Tareka ek he ho tou Ayse Hadees Mutabeht ki wajah se Kawi ho jayege Aur hum us k So'e Hafiza ki wajah se jis Chiz se Darte the Wo Zael ho jaye gee Us Tarah wo Mamuli kami Puri ho jayege Aur hadees Hasan k Darze Buland Hoker Sahi k Darza Hasel ker le ge Jaisa k Abi bin Abbas Nabi Akram Sallahu alaihe wasallam k ghore k Awzaf se Mutalik rewayat karte hai Abi r.al k So'a Hafiza ki Wajah se Unhe Imam Ahmed r.al,Imam Ibn Mo'in r.al Aur Imam Nishai r.al ne Zaif karar deya hai , leken uske ye rewayat Hasan hai , es Rewayat me Chunke uske Bhai Abul-Mahemn r.al ne us ki Mutabehat ki hai Es leye us ki ye Hasan Reayat Sahi k Darza Hasel ker Chuke hai ''


[Takreb Al-Nawawi ma ter'reb Al Rawi ,safa-57]


Darze Bala Bayanat se ye Wajeh hua k Wo Rewayat jis k Rewayat me se koi rawi Kamzor Hafiza rakhta ho leken wo Sadk wa Satr k wasf se Mashur ho us ki rewayat fi-nafsih-e-Has
an hoge Aur Ager koi Dusra Rewayat uske Muabeh ya sahad ho tou fer ayse Rewayat Sahi kahlayege, Es Usool ki Rousne me ye kahana k Sahi Ibn Kuzaima ki zer-mutalah Hadees sahi hai hakekat ki Akse hai.

Mo’mal bin Isma’eel r.al se Marwi Rewayat ko Darz -e-Zaer Maher-e-Fan ne Sahi ya Hasan Taslem keya hai.


1-Imam Bosre r.al Faramate hai.


''Mo’mal bin Isma’eel r.al ki Wajah se ye Hasan hai''


[Musbah Al-Zarah, jild-2,Safa-130
]

2-Imam Hakim ne Mo’mal bin Isma’eel r.al se Marwi Hadees ko Imam Muslim r.al ki Sart k Mutabik Karar Deya hai.


[Mster'ak Hakim kitab Al Zanaiz, jild-1,safa-534
]

Imam Zaibe r.al ne Talkesh me Imam Hakim r.al ki tahseh se Ittefak keya hai.


3-Hafiz Ibn Hazar r.al ne Mo’mal bin Isma’eel r.al se marwi Rewayat ko Hasan Tasleem keya hai.


[Talkesh Al-Zarrah,jild-
2,Safa-154]

4-Allama Al-haismi r.al ne Mazmua Al-Zuwaid me Mo’mal bin Isma’eel r.al ko Sekah Tasleem keya hai.


[Mazmua Al Zauzi,jild-2,sa
ga-201]

5-Ibn Said Al Nash r.al ne Mo’mal bin Isma’eel r.al ki ese Rewayat ko Sahi Tasleem keya.


[Makhtut sareh tirmizi jild-2,safa-211
]

**Matan Hadees per Aytraz k jawab**


Moulwi Mohammas Hanif Gangoi es Rewayat per Bahas karte hue lekhte hai.


Eske Matan me v Astra'ab hai Ibn khuzaima ne Ali Sadra Rewayat keya hai aur Hafiz Al-bazr ne An Sadra (kama kal al-hafiza fi Al-fatah) Aur Ibn Abe Saiba ne tahat Alsarat


[Gaya'Altayalis
ya , jidl-3,Safa-41]

jawab:


Es rewayat me Astra'ab hai ya Nahi ? Es Sawal k Jawab janne se pahle Mastra'ab Hadees ki Tareef se Agah Jaruri hai.


''Mastra'ab Rewayat wo hai jo Mukhtalif Alfaz se Marwi ho Ek Rawi 2 ya jayada Martaba Ma'tasa'ad Alfaz Estemal kare, 2 ya 2 se jayada rewa baham Ekhtelaf kare baye sart k wo Imam Nauwi k Alfaz me Mutakarab,Ibn Salah k Alfaz me Maswi Aur Ibn jama k Alfaz me Mutakwm yaani dou Aur mim k sath ho, yaani un me se kisi ko tarzih hasil na ho Ager 2 ya 2 se jayada rewayat me se kisi ek rewayat ko us k rawi k Qoul hafiza ya apne Shaikh k sath kasrat Talimza hone ki Wajah se Tarzih hasil ho ya Degar Asbab ki Wajah se Tarzih hasil ho tou Rajeh ko Sarf kabuleyat k HUKM hasil hoga Aur Wo Hadees her-gez Masta'ab Na hoge Na Rajeh jaisa k Jaher hai Aur na Marzuh Mastra'ab hoge Balke wo Sa'ad ya Munker hoge''


[Takreb Al Nauwi mah sareh tarrib al rawi , safa-93]


yaani ek Rawi Apne Usta'ad se kavi kuch Alfaz Bayan kare Aur Kavi un se Mukhtalif Alfaz Estema'al kare ya Ek Shaikh k Matad'dala maz'abaham mtzad Alfaz Bayan kare tou Ayse Rewayat us Waqt Mstra'ab kahlaye ge jab unme koi Tarzih ki surat na ho, Tarzih ki Surat 3 darz Zel hai.


1-Un talamza me se koi ek Sagerd Mazbut taren Hafiza k Maher ho.

2-Unme se koi Sagerd Apne Ustad ki Sohbat me Arsaa Daraztak raha ho.
3-Ek se jayas Talamza ek Jaise Alfaz bayan kare Jabke Ek Adha un se Mukhtalif Alfaz Estema'al kare.

Aaye ! Es taref ki rousne me rousne me jer-e-Mutala Rwayat k Mukhtalif k jaija le.


Hazrat Wail bin huzr r.a se Marwi hadees Musnnef Ibn Abi Saiba k Msaddak naskh me wajeh aledain k mahl ki tayen k bagair mankul hai,Es rewayat k Akher me ''Taht Alsarat'' ki yade k Enkasa'af sabse pahle Kasim bin Kalut baga Hanfi r.al ne Takhrez Hadees Alakteyar me keya Aur kaha k es ki Sanad jaid hai, unse pahle Mutadad Ulama Ahnaf (Ibn Alhamam Hanfi r.al,Ulama Ayne hanfi r.al,Ibn Amer Alhazaz Hanfi r.al,Ibraheem halbi Hanfi r.al Aur Sahab Albahru Hanfi r.al) ne Hanfi Maslak ki Tarzumani karte hue us Masla per mutada Zaif Ahadees wa Asaar Nakal keye Mager unme se kisi Ek ne v Us Hadees ko Batour estada'ad ya Batour Hujjat pess Nahi keya halake un Hazrat ki Musannif Ibn Abi Saiba per Gahri Nazar the Ager us Waqt tak Musannif Ibn Abi Saiba me ye rewayat un Alfazi ki Jayate k sath Mouzud hue the tou hazrat Us Hadees ko Apne Maslak ki tayed me Jarur pess karte, un Harzrat k us Hadees ki taraf Adm Altafa'at us hakikat k khula Aitaraaf hai k Us Waqt tak Musannif Ibn Abi saiba kisi Nakal ki Gaflat ya Maslak tahsab ki veet nahi chadhe the , Baad me kisi Kitab ki Galti se Hadees wa Sar-baham Kalat-Malat ho gaye ya Gair-mari Hantho k tahrer Sa'ak-saani ki Karamat ne Un Alfaz ko Janam deya Aur Aysa he koi Nusk Kasim bin Kutlu baga k zer e Mutala raha, kutub se ye Tasamah bayed Nahi kuki Marfi Hadees k Mutasal Baad Ibraheem Nakhi k Asra Mouzud hai jis k Akher me taht Alsart k Alfaz hai. Es hakikat k Aytraaf Ulma hayat Sendhe hanfi r.al un Alfazo me karte hai.


''Es Hadees ko Imam Ibn Abi Saiba r.al ne rewayat keya hai Aur us k Baad Ibraheem k Asra Nakal keya hai un dono k suru k Alfaz takreban ek jaise hai leken Asra k Akher me lafz tahat Alsarat Mouzud hai, Musannif Ibn Abi saiba k Maktute kai hai kisi Mkhtut me Mahal wajeh k Mutalek jekr Nahi Aur us me Ibraheem Nakhai r.al k Asre ma Alfaz tahat Alsarrat mouzud hai Aur kisi Maktut me Marfu hadees k Akher me Algaz tahat Alsart Mouzud hai Mager us me Ibraheem r.al k Asra Gaib hai''


[Dartfi Athargash nakra asrt]


Es tafseel se ye Wajeh hua k Marfu hadees k Akher ''Tahat Alsara'at'' k Ejafa Gair Mahfuz hai Es leye Un Alfaz ko Batur tarz pess karna Durust Nahi.

Jaha tak Ibn Khuzaima Aur Musnad Albazr me ''Ali Sadra'' Aur ''Aan Sadra'' k Ekhtelaf ki Baat hai tou ye koi Aysa Ekhtelaf Nahi jis ki Wajah se jeer Bahas Hadees ko Mustarb kah ker Masta'ad kar deya jaye kuki es kism k lafzi Ekhtelaf Ahnaf ki Namur kitab me v Mouzud hai, Batour Namuna ek Mukam Pess e khidmat hai.

''Aurat Aur hizra (na-mard) hanthele ko hanthele per rakh ker Unhe Pust k Neche rakh le Aur Maae k baaz Nuske me hai k Pustaan k uper rakhe, Halea me hai k behter ye hai k ye kaha jaye k Sene per rakhe jaisa k jam gafeer k Qoul hai kuki jab Seene per Hanth honge tou Kalaye k kouch Hissa lazem pustaan per hoga.''


[Rad Al Mukhtaar Ali Al rad Al Mukhtaar jild-2,Safa-188
]

Wajeh rahe k ''Maae '' k Nuskho k lafzi Ekhtalaf ko jis tarah Allama Ibn Abden r.al ne hal keya hai Use tarah ''Ali sadra'' Aur ''And Sadra'' k Lafzi Ekhtelaf ko v hal keya ja sakta hai yaani ye kaha jaye k Hanth Seene k Us Hisse per Rakhe jo fam Madda k Sath Mela hua hai us Tarah Kalaiyo k Bahas hissa Yakenan Seene k Nazdek hoga Aur Baaz hissa Seene k Uper Hoga.


Aytraz No-2 :


Moulwi Abdul Aziz Deobandi Aur Moulwi Mohammad Hanif Gangoi ne es Hadees per ye Aytraz v keya hai k Seene per Hanth rakhne ki Mamaneyat Hadees me Mouzud hai.


jawab:


Es Selsele me Ulma Ahnaf Bagair Sanad k Ek Rewayat Nakal karte hai ,kuch Hazraat Bagair Hawala k Nakal Karte hai Air Baaz ne ye Rewayat Hafiz Ibn Kyum r.al k Hawala se Nakal ki hai,Yaad rahe k Hafiz Ibn kyum r.al v Es Rewayat ko Bagair Sanad k Nakal keya hai, Es rewayat k Alfaz Darz jeel hai.


''Rawi An AlNabi Sallahu Alaihe wasallam Anh Nahi An AlTakfeer''


Rakm ne Es Hadees k Makz Aur Sanad Talash karne ki besumaar kosis ki Mager Tahal k Mayabi Nahi ho sakai Es leye Es Rewayat ki Estenaad Haiseyat pe kuch Arz karbe se Kaseer ho, Albatta Ulma Ahnaaf r.al Aur Uma Ibn Kyum r.al ne Lafz ''Takfeer'' ko jis maine se Irshad keya hai wo Mahal Nazar hai Yaani wo farmate hai''AlTakfeer wa howa wazeh Al yad Ali Sadra'' takfeer se Muraad Seene per Hanth Rakna hai jabke us Alfaz k Mukammal Maine Seene per ek Hanth Rakh ker Gairullah ke leye Tazeem Jukna hai , jaisa k lugat ki kitabo me mouzud hai.


''Wo apna Hanth Seene per rakh ker us Tarah juk k ise Apna Sir Necha ker leya''


[Almajed]


''kaffarlah : kash ban yasha yadha Ali Sadra waeTatneast''


''kalu kou Tazimala'' [Almoazm Alwasait]


tarjuma :


Usne Apne Aka ki Tazem karte hue Apne Hanth ko apne Seene per Rakh ker Apne Sir ko ruku ki Mesaal us k Samne Kam kar deya''


Ese tarah Fakah Allisaan me hai jiska Tarjuma hai.


''Takfer Ahal kitab se Muraad hai k unme se koi Apne Aka k samne Apna Sir Ayse jukaye jaise Humare Nazdek ek Dusre ko Salam karna Jaruri hai jabke Takfer se muraad ye hai k wo apna ek hanth ya dono hanth seene per rakh ker aysa kare , ho sakta hai k Takfer k Asal Takber o tahrema ho Aur bakufa se Tabdel kar deya gaya ho''


ese tarah kuc Dusre Kitab Al nehaya labin Aser jild-4, safa 163 per hai.


Tarjuma : ''Kisi Insan k apne Sir ko kisi Dusre Inasan ki Tazem ki Khater Ruku ki Ma'aned jukana''


ese tarah Al Nehayat laIbn seraz jild-4,safa 164 me hai.


Tarzuma : ''Abu maser kahte hai k Aap Sallalahu alaihe wasallam Namaz me Takfer ko Napasand kare the Allama Ibn Aser farmate hai k Ruku se kabl Halat Kayam me Bahut Jayada Jukne ko Takfer kahte hai''


Majkura Rewayat Sand k Aytebaar se Sahi ho ya Gair-Sahih leken Es Se Chand hakak Surat wajeh hote hai.


1-Seene per Hanth rakhna Tajeem ki ek Sakal hai


2- Seene per Hanth Rakhna Salam k Andeya dena Ahle-kitab ki Rasam bidda hai.


3-Halat kayam me bahut jayada Jukna Na Munasab hai.


**Dallil Number -2**


''Hazrat Wail bin Huzr r.a bayan karte hai k may Aap (s.a.w) ki khidmat me Us Waqt hazer hua jab Aap (s.a.w) Masjid k Rukh farma chuke the Aap (s.a.w) ne Masjid Imamat per Pahuch ker Dono Hanth Uthae Aur Takber o Tahrema kahe fer Aap (s.a.w) ne apne Da'aye Hanth ko Ba'aye Hanth per Rakh ker Unhe Seene per Rakh leya''


[Al Sunan Al kaber Lil Bahke jild-2, Safa-317]


Seene per Hanth bandne ki Saraht Hadees Aap (s.a.w) se Hazrat Halb tahi r.a Aur Hazrat Wail bin Huzr r.a Bayan karte hai,Hazrat Wail bin Huzr r.a se hadees Hazrat Kulaib Aur Mohtama Yahiya joja Wail bin huzr r.a Bayan karte hai,Aur Mohtarma se Un k Lakhtezegar hazrat Abdul Al zabbar bin Wail bin Huzr r.a Bayan karte hai.


*Abdul Al Zabbar bin Wail r.a Maheren ki Nazar me**


Allama Ibn Said r.al kahte hai.


''Abdul Al zabbar bin wail r.a Seka rawi hai un se kam Rewayat marwi hai Aur jo Rewayat wo barahe rast Apne Walid se Nakal karte hai Maher e fan ne un per Zarrah ki hai unka kahna hai k un k Apne Walid se Sema Sabit Nahi ''


[Al Tabkat Al kaber jild-2, Safa-213]


''kala Abu hatim : Rawi Aan Abi Mursal walm Yasma mah''


[Al-Zarrah wa Al-tadel jild-2,Safa-39]


''Aan yahiya bin moin Ana kala Abdul Zabbar bin wail Seka''


[Aija ]


''Kala Al dudri An abi Moin : Saibat Walm yasma man Abi sahih''


[Tahzeb Al-Tahzeb jild-6,Safa-95]


Imam Abu hatim kahte hai unka apne Walid se Sema Sabit Nahi, Imam Yahiya bin Moin r.al farmate hai Seka Aur Sabit hai leken Unhone Apne Walid se Bara'ah e rast Kuch Nahi Suna.


Darz se bala Bayanat se ye wajeh hua k Abul Zabbar bin Wail Nafse Seka Aur Sabit hai tahum unke wo rewayat Mahal Nazr hai jo wo apne Walid se bara-e-rast Karte hai Yaad rahe k Zer bahas rewayat Hazrat Abdur AlZabbar Apne Walid se barah e rast Nahi balke Apne Walida (maa) Mazeda Mohtarma yahiya k sout se karte hai.


Note:- Ab Ahnaf Bataliyan (Deo,Barelv,Shi
a,Qadiyan etc) Mere de hue Dallil k radd Dallil se nahi karege ki balke Apne Jaati Raye or Qayas se karege.. Aur wo Ab Sahi Ibn khuzaima r.al ki Nakal karda Hadees se Ab Al Sunan Al kaber Lil Bahke jild-2, Safa-317 Dallil ko Zaif Bolne k peche hanth dho ker parege.. Hanfi Mental case lloollzzzz khair koi Baat Nahi Ahle-hadees Zabtak es Sar-jaami per rahege tab tak hak Baat Awam ko batate rahege... Aur Quraan o Sahi hadees ki Dawat dete rahege...

Post 1 link...

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=638709932897073&id=1000027­42173691&set=a.108978962536842.10658.100002742173691&_rdr&re­fid=13&refid=13#680146425420090


Post 2 link..

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=680447875389945&id=100002742173691&set=a.108978962536842.10658.100002742173691&p=20&refid=13


Post 3 link...

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=680809975353735&id=100002742173691&set=a.108978962536842.10658.100002742173691&_rdr#680907312010668


Allah paak hume kahne Sunne se jayada Sahi hadees per Amal karne ki toufeek de.. Aameen ya Rabbulalameen.