Tuesday, March 18, 2014

KYA ADAM (AS) NE MUHAMMAD (SWS) KA WASEELA LIYA





Assalamoalaikum,
 


Islam Dushman Kuffar, Mushrik or Munafiqeen ne jahan Islam ko Nuqsanat pohnchane ke lie Shirk or Kufr ko Musalmano me Phelaya, Wahin In Main Aqeedat or Jhoot se Dhoka dete hue Inko Deen ke naam par Mangharat Riwaayaat or Jhooti Ahadith paish kin, Jinhain 

AlhamdoLILLAH 'Muhaddithin e karaam (rahmatULLAH alaih) ne dhoond nikala or Bayan karne wale ka Jhoot us ke he moo pe la khara kiya. Is he koshish ko Aap k samne Mustanad Hawala jaat se Un chand Riwayaat ki nishandahi karwai jarhi he jinhain Hamare haan Aam tor par Islam samajh kar Amal or Aqeedah Banaliya jata he magar wo Besanad Bekar hota he.
 


Or Jesa ke Janab e RasoolUllah Sallallaho Alaihewasallam Ka farmaan he:
 


"Mat Jhoot Baandho Mere Upar, Jo koi Mujh Pe Jhoot Baandhega Wo Jahannum Me Jayega"
 

(Sahih Bukhari, Kitab ul Ilm, Hadees# 106),

Jaan bujh kar jhoot bayan karne Wala Jahannum me Apna thikana bana rha hota he, Hamain Apne har Aqeeday ko Quran or Sahih ahadith kay mutabiq banana chahiye, or Koi Hadith ya Daleel Bayan karne ya Apnane se pehle us ki tehqeeq zaroor karni chahiye.

Zaeef Riwayat #

RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: 


"Jab Hazrat Adam Alaihissalan se bhool hui to Unhon ne Arz kia ke Ay Parwardigar! me tujhse Bawasta e Muhammad Sallallaho Alaihewasallam sawal karta hun ke meri maghfirat farmade, 

Allah taala ne irshad Farmaya: 

Ae Adam (alaihissalam) tu ne Muhammad Sallallaho Alaihewasallam ko kese pehchana Hala ke abhi me ne inko (dunia me) paida bhi nahi kia? 

Ap (Alaihissalam) ne Arz kia: Ae mere Rab! me ne unhain is tarah pehchana ke jab tune mujhe apne Dast e Qudrat se paida farmaya or Apni taraf se Mere andar Rooh Phoonki, me ne Sar utha kar dekha to Arsh ke payon par ye likha hua tha (LAAILAAHAA ILLALLAHO MUHAMMADUR RASOOLULLAH) so mene jaan lia ke Tu ne apne muqaddas naam k sath aisi hasti ke naam ko milaya he jo tere nazdeek tamam makhlooq se ziada piari he, 

Allah taalaa ne farmaya: Ae Adam(alaihissalam)! Tum ne sahih samjha, Waqi Muhammad Sallallaho Alaihewasallam mere nazdik tamam makhlooq se ziada piare hain or jab tumne un ke waste se mujhse Darkhuast ki he to Mene Tumhari maghfirat ki aur Muhammad Sallallaho Alaihewasallam na hote to mein tumhain bhi paida na karta."

Is Jhooti riwayat ko Muhaddithin in Kutub me laye hain
 


(Mustadrak ul Hakim,2/486 :4228,
Tibrani Osat 6/313: 6502,
Majmua uz zawaid, Tarikh e damishq, Albidaya wannehaya waghera..)

Or Is Riwayat kay Mangharat hone ki kafi wajoohat hein jin me

>> Is Riwayat ki Sanad me Ek Raawi (riwayat bayan karne wala) "Abdur Rahman Bin Zaid bin Aslam" he, Jo bil Ittefaq Muhaddithin e karaam ke nazdeek Kazzab/ Zaeef he Yani Muhammad Sallallaho Alaihewasallam par Jhoot Bandhne wala he. Is Rawi ka zikr karte hue Imam Hakim or Imam Abu Naeem RahmatUllah Alaih ne farmaya ke ' ye Apne Walid se Mozoo (fabricated) ahadith bayan karta tha.'

Imam Ibn ul Jozi farmate hain k Is rawi k Zaeef hone pe Sab ka ijma he.
 

(Tehzeeb ut Tehzeeb, Jild:4, Page:91 Number: 3974, -

Tehzeeb ul kamal, Jild:5, page: 412, Number: 3889,

- Meezan Ul aitdaal, Jild: 4, Page: 282, Number: 4873)

>>Ye riwayat Ayat e Qurani se takrati he jis Me Allah Subhanahu wataalaa farmate hein: " Aadam (alaihesalam) ney apney Rab say chand baaten seekh lin aur Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool farmaee Be-shak wohi Tauba Qabool kerney wala aur Reham kerney wala hai."
(Al Baqrah: 37)

" Dono ney kaha Aey Humaray rab! Hum ney apna bara nuksan kiya aur agar Tu humari maghfirat na karay ga aur hum per Reham na Karay ga to Waqaee hum Nuksan paney walon mein say hojayen gay.
(Al Aaraaf: 22,23)

*Yani wo Kalmat ye the, na ke Mazkoora khud-saakhta Riwayat k alfaz.
>>Or Allah Subhanahu wa Taa'aa ne Insano or Jino ki Takhleeq ki Waja jo Quran me Bayan farmai he:

"Allah ne Nahin Paida kiya, Jino or Insano ko Magar Apni Bandagi ke liye."
(Az Zariyat: 56)

Lehaza tehqeeq se Hamain Sahih Aqeedah, Quran or Mustanad Ahadith se Milta he. Allah se dua he Hamain Sirat e Mustaqeem par qaim rehne or Deen e Islam ko samajhne ki tofeeq ata farmayen. Ameen.



Via--Ayan khan salafi