Tuesday, March 4, 2014

Nikah ka rishta khatam hone k baad - ek nasihat wa ibrat




Nikah ka rishta khatam hone k baad - ek nasihat wa ibrat

 

Ye note ham kisi ka dil dukhane ya takleef dene k liye nahi likh rahe he, isme ek nazam he jo dar asal ek pegam he, ek ibrat he, ek nasihat he, un logo k liye jo, jo badi asani se nikah k rishte ko khatam karne ki baat pe tyar ho jate he,

                  wo log bhul jate he, ki Allah ne unhe bhi olad se nawaza he, kisi baap ko uski olad se juda karne se pehle apni olad ko ek baar nahi so baar nahi hazar martaba dekhna chahiye k ap apni olad k bager nahi reh skte to ham pe kya beet rahi hogi,

                                                  kher ham Allah se behtar ki ummid karte huye, sabar karte he, or Allah hi se fesle or haq ki ummid rakhte he, or aese logo k liye to Bato me sabse behtreen baat pesh karte he jise Allah ne surah aaraf ayat no 71 or surah yunus ayat no 102 mw kahi he. k
___________________________

فَانتَظِرُ‌وا إِنِّي مَعَكُم مِّنَ الْمُنتَظِرِ‌ينَ

تو تم انتظار میں رہو میں بھی تمہارے ساتھ انتظار کرنے والوں میں ہوں

so tum intezar me raho me bhi tumhare sath intezar karne walo me hu
____________________________________________

EK NASIHAT OR IBRAT...

mere chahne walo ne apni olad ko apne paas bula liya,
magar jazbaat pe fesla karke unhi ne meri olad ko mujh se dur kar diya.

kuch bato ko lekar wo ho gaye the aajiz,
isi liye badi asani se nikah k azeem rishte ko khatam kar diya.

kehte the tum ger ho, na raha bharosa tumpe 'Mohammad Ali'
magar kya hi khoob kaha usne, jisne nikah ka dusra naam hi bharosa rakh diya.

jab jab yaad aati he mujhe meri beti fatima ki,
na jaane kese uski yaad ne meri aankho me aansu la diya.

rahi nadani hamari bhi, ham khud iske gawah he,
magar waqt rehte Allah ne toba tilla karwa diya.

kya kahe is baat pe ki tamam koshish k bawjood na jod sake hamare nikah k is rishte ko,
bas yahi k Allah ne iman k chate rukn pe or iman badha diya.

qismat se milte he ye rishte inhe itni asani se na todo,
rishte jodne ki tayeed me Allah ne Quran o hadees me hukum bata diya.

aapas me jab tum raho deeni aetebaar se,
na kaho apno ko ger apni zaban se.

banata he Alah rishte use dil se qabul kar lo,
gusse me aake ek olad ko uske baap se juda mat karo, juda mat karo, juda mat karo, ..........
_________________________________________________________________________Mohammad Ali______

EK DUA....

ya Allah sunle tu meri is iltija ko,
Apni aman me rah tu meri beti fatima ko.

chahta hu kahe abbu wo mujh ko,
kuch logo ne dur kr diya mujhse meri beti fatima ko. meri beti fatima ko.......
________________________________Mohammad Ali___ Abu fatima____