AHKA'AM AL MASJID:::::::: (PART-4)
Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:
Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..
Bismillahirrahmanirraheem ..
:::::Masjid me baithne se pahle 2 rekato ki Adayege Jaruri hai:::::::
1-Hazrat Aqtada r.a se rewayat hai' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :
''Jab tum Masjid me Dakhil ho tou baithne se pahle 2 rekat ''Tahiyatul Masjid'' pada karo''
[Bukhari jild-1 safa-63 kitab al Salat Hadees no-425,444,1163, Muslim jild-1 safa-248 kitab al Musafir Hadees no-714,1166,1167,Jamai Tirmizi jild-1 safa-62 kitab al salat Hadees no-290,Sunan Nishai jild-1 safa-84 kitab al Masajid Hadees no-722,Sunan Abu daood jild-1 safa-67 kitab al salat Hadees no-467,Sunan Ibn Maza jild-1 safa-72 kitab al salat Hadees no-1003,Musnad Ahmed Hadee no-21485,Sunan al Darmi kitab al salat Hadees no-1357]
2-Hazrat Zabir bin Abdullah r.a se Marwi hai ' Farmate hai k Rasullah Sallahu Alaiwasallam ne Douran khutba Hazrat Salik al Gatfani r.a ke leye hukm Farmaya ' jabke wo 2 rekat padhe bagair baith gaye the :
''K Wo 2 Rekat Namaz Ada kare''
[Bukhari jild-1 safa-127 kitab al jamat Hadees no-878,Muslim jild-1 safa-287 kitab al jamat Hadees no-875,1448,1449, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-79 kitab Iqamat al salat Hadees no-1104,Musnad Ahmed Hadees No-13655,3885]
Note: ''Tahiyatul Masjid '' Amr Wajib Nahi' Balke Sunnat e Mokada hai.
**Ager koi vool ker ye 2no Rekat padhe bagair Baith jaye tou??
Jawab : Tou jab yaad Aye wo dobara khara ho ker ye rekat Ada kare Aur fer baithe' jaisa k Rasullah Sallahu Alaihe wasallam Douran kutba ek Saks k leye hukm Farmaya tha :
''Khare ho jao Aur 2 rekat Namaz Ada karo''. Ese tarah jab Hazrat Abu Zar r.a Masjid me dakhil ho ker baith gaye tou Aap (s.a.w) ne pucha :
''Kya tumne 2 rekat Ada ki hai'' ? Tou unhone kaha ''Nahi'' tou Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya:
''khare ho jao Aur ye 2 Rekat Ada karo''
[Fatul ba'ari jild-1 safa-641), Ibn Hibban , Baab An tahiyatul Masjid la tafut ba-lajulus]
:::Iqamat k baad koi Namaz Nahi:::::
Hazrat Abu huraira r.a se Marwi hai' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :
''Jab Namaz k leye Iqamat kahe jaye tou Farz Namaz k Elawa koi Namaz Kabil e Kabul Nahi hote''
[Muslim jild-1 safa-w47 kitab al Musafir Hadees no-710,1160,1161, Sunan Abu Daood jild-1 safa-170 kitab al salat Hadees no-1075,1266, Jamai Tirmizi jild-1 safa-52 kitab al salat Hadees no-376 .Sunan Nishai jild-1 safa-100 kitab al Iqamat Hadees no-479,855,856, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-81 kitab Iqamat al salat Hadees no-1141,Sunan Al Darmi Hadees no-1412]
Imam Nouwi r.al ne Ahnaaf k Mutalliq Nakal Farmaya hai k unke Nazdek Iqamat k baad Masjid me Fazar ki Sunnat padhe ja sakte hai leken Fazar ki Dusre Rekat v fout (chutt) ho jane k Andesa ho tou Sunnate Chod ker Jamat me Samil ho jana chayye,ye Masla hasab-zel kitab me dekhe :
Nil al Awta'ar jild-2,Safa-313, Al Majmua jild-3 Safa-550, Rozat Al Talbin jild-1 Safa-435,Radd ul Mukhtar jild-2 Safa-304, Al-Mugni lil bin Qadamat jild-2 Safa-119, Kasaf al kana'a jild-1 Safa-261,Al-Hidaya jild-1 Safa-72
Note: Es Masle me Ahnaaf k Amal' Quraan o Sahi Sunnat k bilkul khilaf hai.
::::Masjid ki Tameer Aur unke Saaf-Safaii k Ahtemam Karna:::::::
1-Hazrat Usman bin Afa'an r.a se Marwi hai ' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :
''Jo Saks Allah Tala ki Raza k leye Masjid banaega Tou Allah Tala Uske Leye Uske Mesa'al jannat me (ghar) banayega''.
[Bukhari jild-1 Safa-64 kitab al salat Hadees no-431,450,Muslim jild-1 Safa-201 kitab al Masajid Hadees no-736]
2-Hazrat Ayisa r.a se Marwi hai k :
''Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Mahlo me Masajid ki Tameer Aur unhe Pakiza wa khusbu daar rakhne k hukm Farmaya hai''
[Sahi Abu Daood Hadees no-436,Sunan Abu Daood jild-1 safa-660 kitab al salat Hadees no-384,355,Jamai Tirmizi jild-1 safa-76 kitab al Masjid Hadees no-542,594, Musnad Ahmed jild-5 safa-71, Shaikh Albani r.al ne es hadees ko sahi kaha hai]
3-Hazrat Sumra bin Jandab r.a se Ek Maktub me lekha k :
''Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam hume Mahlo me Masajid banane ' unke Banawat ki Aslah karne Aur Unhe pakiza Rakhne k hukm Farmate the''.
[Sahi Abu Daood Hadees no-437 , Sunan Abu daood jild-1 safa-66 kitab al salat hadees no-385,456,Musnad Ahmed ' Musnad al basrin Hadees no-19324, Shiakh Albani r.al ne es hadees ko sahi kaha hai]
::::Masjid Allah tala k Pasand-deda jagah hai::::
Hazrat Abu Huraira r.a se Marwi hai k ' Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :
''Allah Tala k Nazdek Sabse jayada Pasand-deda jagah' Masjide hai.''
[Sahi Muslim jild-1 safa-235,kitab al masajid Hadees no-671,1076]
:::::Masjid me gumsuda chiz k Ailan karna Mana hai:::::
Hazrat Abu Huraira r.a se marwi hai 'Rasullah Sallahu Alaihe Wasllam ne Farmaya :
''jo koi kisi Admi ko Masjid me apne gumsuda Chiz k Ailan karte hue Sune tou wo kahe : Allah kare wo chiz tumhe Wapas na mele' kuki Masjide es Maksad ke leye Nahi banaye gaye hai''.
[Muslim jild-1 safa-210 kitab al Masajid Hadees no-568,880, Sunan abu daood jild-2 68 kitab al salat Hadees no-400,473,Sunan Ibn Maza jild-1 safa-56 kitab al masjid Hadees no-759,767,Jamai Tirmizi jild-1 safa-158 ,Hadees no-1242]
:::::Aza'an k baad Masjid se Nekalna::::::
kisi Zaruri halat k elawa Masjid se Nekalna jaiz Nahi hai ' jaisa k Hazrat Sha'sa r.a se Marwi hai k ek Admi Asar ki Aza'an k baad Masjid se nekla tou Hazrat Abu Huraira r.a ne Farmaya :
''Us ne Abu-Al Qasim (Sallahu Alaihe Wasallam) ki Nafarmane ki hai.''
[Muslim jild-1 safa-232 kitab al Masjid Hadees no-655,1047, Sunan Abu daood jild-1 safa-79 kitab al salat Hadees no-451,536, jamai Tirmizi jild-1 safa-28 kitab al salat hadees no-188,204,Sunan Nishai jild-1 safa-79 kitab al Aza'an hadees no-676,677]
2-Hazrat Abu Huraira r.a se Marwi ek Marfu Rewayat me ye Alfa'az v mouzud hai :
''Namaz ke leye Aza'an kahe jaye ' tou tum me se koi Namaz Ada karne se pahle bahar Na Neklo.''
[Muslim jild-1 safa-232 kitab al Masajid Hadees no-655,1047,Sunan Abu daood jild-1 safa-79 kitab al salat Hadees no-451,536,Jamai Tirmizi jild-1 safa-27 kitab al salat Hadees no-188,204, Sunan Nishai jild-1 safa-79 kitab al Aza'an Hadees no-677,677,Sunan Ibn Maza jild-1 safa-54 kitab al Aza'an Hadees no-704,725]
:::::Behad he Jarurat haal me' Musrek ko Masjid me Dakhil keya ja sakta hai:::::
Chunache Hazrat Abu Huraira r.a se Marwi hai ' Farmate hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne ek Mukhtasar (Small) sa Dasta (jamat) kisi jahat (jagah.. ) Rawana Farmaya :
''Ye loog ek Admi (Saiyadna Shamam bin Asha'al jo avi Mushrik the) ko Girafta'ar kar k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ki khidmat me laye Aur us Qaide ko Masjid k ek Sutun (paya,pilar) k sath Bandh deya gaya.''
[Bukhari jild-1 safa-66 kitab al salat Hadees no-442,462,2244,2245,4024,
:::::Kabro k Darmiyan Masjid banana::::::
Ager kisi ne Kabrestan me kabro k Darmeyan Masjid banaye tou uska Hukm'Kabar jaisa he hai.
Chunache Hazrat Anas bin Malik r.a se Marwi Hadees me ye Alfa'az hai :
''Kabro k Darmiyan Masjid banana 'Na pasand keya jata tha.''
[Al Mugni lil bin Qadamat -47532]
:::::Bagair Husul Sawab' Serf 3 Masajid ki Taraf Safar karna Jaiz hai::::::
Hazrat Abu Huraira r.a se Marwi hai 'Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :
''Serf 3 Masajid ke leye Safar bandha jaye: Masjid Haram,Masjid Nabwi,Aur Masjid Aqsa''
[Bukhari jild-1 safa-158 kitab al Tahazud baab fasl al salat fi masjid makta wa al madina Hadees no-1115,1122,1189,1858,Sun
::::::Masjid ki khaber giri karne Wala Momin hai::::::
Hazrat Abu Sayed Khudri r.a se rewayat hai'Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :
''Jab tum kisi Saks ko Masjid ki Khaber-Giri karte hue Dekho tou uske Imaan ki Gawahi do.''
[Sunan Ibn Maza jild-1 safa-58 kitab al Masajid Hadees no-794,802,Jamai Tirmizi jild-2 safa-86 kotab al Imaan Hadees no-2622,2542,3018,Musnad Ahmed-11224,11300,Sunan al Dharmi kitab al salat hadees no-1195, Shaikh Albani r.al ne es Hadees ko sahi kaha hai]
Ese leye tou Allah SubhanoTala ne Irshad Farmaya :
''Allah Tala ki Masjid ki Rounak wa Abaadi tou unke Hisse me hai jo Allah Tala per Aur Qayamat k din per Imaan rakhte hai''
[Sureh Touba , Ayat No-81]
::::::Masjid me Awaaz buland karna sakt Mana hai::::::
Hazrat Shaib bin Yazid r.a se rewayat hai k Hazrat Umar Farooq r.a ne Taif k Rahne wale 2 Admio se Farmaya tha''Jo Masjid Nabwi me Unche Awa'az se Kalam kar rahe the :
''Ager tum 2no Madina k Rahne wale hote tou may tumhe Sakht saza deta'tum Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ki Masjid me apne Awa'az buland karte ho?''.
[Bukhari jild-1 safa-67 kitab al salat baab rafa al sawt fi al masjid Hadees no-470,450]
Via- Imran Khan Salafi