Monday, September 1, 2014

QAYAMAT KE QAREEB HALAL WA HARAM KI TAMEEZ NAHIN KI JAAYEGI






Bismillahirrahmanirraheem

QAYAMAT KE QAREEB HALAL WA HARAM KI TAMEEZ NAHIN KI JAAYEGI


Farmaan e Nabawi Hai

"Logon Par Ek Waqt Aayega Ke Aadmi Parwaah Nahin Karega Ke Usne Kis Tareeqe Se (Maal) Haasil Kiya, Halal Tareeqe Se Ya Haram Tareeqe Se"

(Bukhari 2059 Kitab Ul Buyu)

ROZE QAYAMAT KAMAAYI KE TALLUQ SE KHUSUSI SAWAAL HOGA:

Hz Muaaz (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Qayamat Ke Din Kisi Bande Ke Dono Qadam Harqat Bhi Na Kar Sakenge Hatta Ke Usse 4 Cheezon Ke Mutaalliq Sawaal Kiya Jaayega,

1- Uski Umar Ke Mutaalliq Ke Usne Kahan Fana Ki ??

2- Uski Jawani Ke Mutaalliq Ke Usne Kaha Bosheeda Kiya ??

3- Uske Maal Ke Mutaallik Ke Usne Kahan Se Kamaya Aur Use Kahan Kharch Kiya ??

4- Uske Ilm Ke Mutaalliq Ke Usne Apne Ilm Ke Mutaabik Kiya Amal Kiya ?? "

(Hasan Lagheerah : Sahih Targheeb 1726 Kitab ul Buyu, Baiheqi Fi Shoebul Imaan 1875)

HARAM KHOR JAHANNUM ME JAYEGA

Hz Jabir Bin Abdullah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Aiy Kaab Bin Ujrah (Ra) ! Bila'shubah Jannat Me Wah Ghost Daakhil Nahin Hoga Jo Haram Se Uga Hai"

(Sahih Lagheera: Sahih Targheeb 1728 Kitab Ul Buyu, Bab Targheeb Fi Talab Halal, Ibn Habban 5541)

Hz Abu Bakr (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Jannat Me Wah Jism Daakhil Na Hoga Jise Haram Ke Saath Ghiza Di Gayi Ho"

(Sahih Lagheerah : Sahih Targheeb 1730 Kitab Ul Buyu, Abu Yayla 1/83-84, Baiheqi Fi Shoebul Imaan 5759)...

The End... InShaAllah Aage Ke Post TIJAARAT KI FAZEELAT AUR ADAAB KE TALLUQ SE HONGE....