Tuesday, September 2, 2014

LEN-DEIN (TRADING) KE MAAMLAAT LIKH LENE CHAHIYE:

Bismillahirrahmanirraheem

TIJAARAT KI FAZEELAT AUR CHAND ADAAB (MANNER OF BUSINESS)-- PART 5


LEN-DEIN (TRADING) KE MAAMLAAT LIKH LENE CHAHIYE:

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Aiy Imaan Waalon ! Jab Tum Aapas Me Ek Dusre Se Muqarrarah Meyyar PaR Farz Ka Maamla Karo Toh Use Likh Liya Karo, Aur Likhne Waale Ko Chahiye Ke Tumhara Aapas Ka Maamla Adal Wa Insaaf Se Likhe, Kaatib Ko Chahiye Ke Likhne Se Inkaar Na Kare, Jaise Allah Tala Ne Use Shikhaaya Hai Pas Use Bhi Likh Lena Chahiye, Aur Jiske Zimme Haq Ho Wah Likhwaaye Aur Apne Rabb Se Dare Jo Uska Rabb Hai, Aur Haq Mese Kuch Kami Na Kare, Haan Jis Shakhs Ke Zimme Haq Hai Wah Agar Nadaan Ho Ya Kamzor Ho Ya Likhwaane Ki Taaqat Na Rakhta Ho Toh Uska Wali Adal Ke Saath Likhwa De Aur Apne Mese 2 Mard Gawaah Rakh Lo"

(Surah Baqarah 282)

TIJAARAT (BUSINESS) KE SAATH SAATH SADQAH WA KHAIRAAT BHI KARTE RAHNA CHAHIYE:

Hz Qais Bin Abu Ghurzah (Ra) Farmate Hain Ke Nabi E Akram (Sws) Hamare Paas Se Ghuzre Toh Farmaya

"Aiy Taajiron Ke Giroh ! Bila'shubah Khareed Wa Farokht (trading) Me Laghu Baatein Aur Qasmein Uthaayi Jaati Hain, Pas Tumhe Chaiye Ke Sadqah Wa Khairaat Karo"

Jame Tirmizi Ki Riwayat Me Ye Lafz Hain Ke

"Aiy Tajiron Ki Jamat ! Bila'shubah Khareed Wa Farokht Me Shaitaan Aur Gunah (Dono) Bhi Maujood Ho Jaate Hain Isliye Tijaarat Ke Saath Sadqah Wa Khairaat Bhi Kiya Karo"

(Abu Dawood 3326 Kitab Ul Buyu, Ibn Majah 2145, Nisai 3797, Tirmizi 1208)

HAMESHA KHAIR'KHWAAHI PAR MUSHTAMAL MASHWARA (GOOD ADVICE) DENA CHAHIYE:

Farmaan E Nabawi Hai

"Jisse Mashwara Liya JaaYe Wah Ameen Hota Hai"

(Sahih Jame Sagheer 6700, Ibn Majah 3745, Tirmizi 2822)

Aur Ek Dusri Riwaayat Me Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Har Musalman Ke Dusre Musalman Par 6 Haq Zikr Farmaaye Hain, Unmese Ek Haq Ye Hai Ke

"Jab Wah Tujhse Khair'khwaahi Talab Kare Toh Uski Khair'khwaahi Karo"

(Muslim 2162, Kitab Us Salam, Tirmizi 2737)....

The End...

InShaAllah Agle Baab Me Tijarat Aur Saude'bazi (trading) Ke Ahkaam Ke Mutaalliq Se Bayan Hoga....

JazakAllahu Khairan Kaseera...