
Bismillahirrahmanirraheem
SAHABA (RA) KE BAARE ME SHIA HAZRAAT KA MAUQAF : (PART- 1)
Khuda
Ki Makhlooq Me Bahtareen Aur Kaaynaat Ke Aala Tareen Afraad Yani
Rasoollullah (sws) Ke Saathion Ke Baare Me Ahle Bayt Ka Nuqta E Nazar
Aur Mauqaf Ye Tha Jo Ham Mukhtalif Hawaalon Se Pichhle Posts Me Bayan
Kar Chuke Hai,
Jahan
Tak Shia Hazraat Ka Taalluq Hai Jo Ahle Bayt Ki Muhabbat Aur Pairwi Ke
Daawe'daar Hain, Sahaba Kiram (Ra) Ke Baare Me Unka Nuqta E Nazar Usse
Ek Dum Mukhtalif Aur Juda Hai, Shia Log Unki Mujahidaana Haal Sunkar
Jalte Hain, Jinme Wah Hamesha Masroof Rahe,
Shia
Log Sahaba Kiram (Ra) Ki Un Azeem Us Shaan Futuhaat Ka Zikr Sunkar
Kudhte Hain Jinhone Unke Aaba Wa Ajdaad Ko Zaleel Karke Rakh Diya Tha,
Unki Shaukat Wa Azmat Ko Tukde Tukde Karke Unki Jamiat Ko Paara Paara
Kar Diya Tha, Unki Bastion Aur Kufr Ke Addon Ko Raud Daala Tha,
Rasoollullah
(Sws) Ke Wah Saathi Jinhone Shirk Aur Shirk Karne Walon Ko Khasta Wa
Kharaab Karke Rakh Diya Tha, Pattharon Ke Banaaye Gaye Un Maboodon Aur
Taraashi Moortion Ko, Jinke Rubaru Ye Jhukte Aur Pooja Karte They
Nest'nabood Karke Chhoda Tha, Unke Asar Wa Iqtedaar Ko Pamaal Karke Rakh
Diya, Imaartein Aur Mahfooz Panaah'gahon Ko Ujaad Kar Rakh Diya
Aur Fir WahaH Allah Ki Tauheed Aur Islam Ka Lehraata Parcham Buland Kiya,
Majoosion
(Fire Worshipper) Aur Yahoodion Ne Apni Jamaatein Ikatthi Ki, Mufsideen
Aur Takhreeb'karon (Jasoos) Ko Saath Milaaya Ke Is Phailti Hui Roshni
Ke Aage Bandh Baandhen,
Us
Sailaabe Tand O Tezz Ka Raasta Roken, Sab Keena Rakhne Waalon, Hasad
Karne Waalon Aur Inteqaam Ki Aag Me Jalne Waalon Ne Jama Hokar Aal e
Bayt Ki Muhabbat Ka Lubaada Odh Liya,
Halaanke
Aal E Bayt Se In Hazraat Ka Koi Waasta Nahin, Aur Fir Apni Kalam Aur
Talwaarein Un Mujahideen Ke Khilaaf Soont Kar Khade Ho Gaye Jo
Rasoollullah (Sws) Ke Dost Aur Aap (Sws) Ki Muhabbat Me Sar'shaar Aapke
Mahboob Saathi They, Jinhe Aap (Sws) Ki Pairwi Wa Itteba Me Maut Bhi
Azeez Thi, Jo Aap (Sws) Ke Liye Har Umdah Cheez Ko Tark Kar Dene Aur Aap
(Sws) Ke Adna Ishaare Par Apni Aulaad, Maa, Baap Aur Apni Jaane Qurbaan
Kar Diya Karte They,
Jo Aap (Sws) Hi Ke Naqs E Kadam Par Chalne Waale Aur Aap (Sws) Hi Ke Bataaye Hue Tareeqe Par Ghaam'zan Rahe
Rizwaanullah Alaihim Azmain
Ek Kam'bakht Shia Ne Yahan Tak Kah Diya Ke
"Sirf 4 Aadmion Ke Siwa, Nabi E Akram (Sws) Ke Baad Sab Ke Sab Murtad Ho Gaye"
(Kitab Saleem Bin Qais Al Amri Page 92 Matbua Berut)
Isi Tarah Ki Aur Bhi Bahut Si Baatein In Logon Ne Apni Kitaabon Me Likhi Hain,
Muhammad
Yaqoob Kulaini Ne, Jise Shia Hazraat Ke Yahan Imam Bukhari (Rh) Jaisa
Maqaam Haasil Hai, Isse Bhi Bad'tar Ek Baat Kahi Hai, Usne Likha Hai
"Nabi
E Kareem (Sws) Ke Baad Sirf 3 Aadmi Miqdad Bin Aswad (ra), Abu Zar
Ghifari (ra) Aur Salman Farsi (Ra) Ke Elaawah Sab Ke Sab Murtad They"
Yahi Baat Majlisi Bhi Kahta Hai Ke
"Aap (Sws) Ki Wafaat Ke Baad Sirf 3 Aadmi Bache, Abu Zarr, Miqdad Aur Salman (Ra), Baaqi Sabke Sab Halaaq Ho Gaye"
(Hayat Al Quloob Al Majlisi 2/640)
Kaash Ko In Logon Se Pooche Ke Aap (Sws) Ke Ahle Bayt Kahan Gaye ??
Ahle
Bayt Mese Aap (Sws) Ke Chacha Abbas (Ra), Aap (Sws) Ke Chacha Zaad Bhai
Ibn Abbas (Ra), Hz Ali (Ra) Ke Bhai Aqeel (Ra), Balke Khud Hz Ali (Ra)
Aur Rasoollullah (Sws) Ke Dono Nawaase Hz Hasan Wa Hussain (Ra) Kahan
Gaye ??
Kya Shiaon Ko Allah Tala Se Sharm Nahin Aati ??
Isi Par Bas Nahin, Kulaini Ne Apni Kitab Me Ek Dusre Maqaam Par Isse Bhi Zyada Shakht Ek Aur Baat Kahi Hai, Likhta Hai
"Log Ghabra Jaate Hain Jab Ham Ye Kahte Hain Ke
"Log (yani Sahaba Kiram) Murtad Ho Gaye "
Iske Baad Kahta Hai Ke
"Rasoollullah
(Sws) Ki Wafaat Ke Baad Log Ahle Jaahiliyat Ki Taraf Palat Aaye, Ansaar
Alag Ho Gaye (Yani Hz Abu Bakr Ra Se) Aur Kisi Acchi Baat Par Alag
Nahin Hue (Yani Unka Intekhaab Haq Ke Liye Ya Baatil Ke Difa Ke Liye
Nahin Tha, Balke Unhone Tassub Wa Hamiyat Ki Wajah Se Ek Baatil Ki Jagah
Dusra Baatil Muntakhab Kar Liya)
Hashiya Nowes Maloon Ne Is Riwayat Ke Zaman Me Yahi Likha Hai,
"Log SaaD Ke Haath Par Bait Karne Lage, Aur Zamana Jahiliyat Ki Tarah Qaseede Padhne Lage (Bilkul Aur Saraasar Jhoot),
Aiy Saad ! Tujh Hi Se Ummeedeein Hain, Tere Baal Kanghi Kiye Hue Aur Tu Bahut Taqat'war Hai"
(Kitab Rozatul Man Al Kaafi 8/296)
Iska Matlab Ye Hua Ke Ek Bhi Baaqi Na Bacha ?? Na Abu Zarr, Na Salman Aur Na Miqdad (Ra) ??
Ek
Ham Asr Shia Musannif Ne Isse Bilkul Alag Baat Kahi Hai, Baaqi Sab
Hazraat E Shia Nauzu'billah Ye Daawa Karte Hain Ke Sahaba Kiram (Ra)
Islam Laane Ke Baad Fir Murtad Ho Gaye Lekin Un Qeena Parwaazon Ka Ek
Musannif Sirre Se Sahaba (Ra) Ke Daakhil E Islam Hone Ki Ka
Munkir Hai, Wah Hamen Jawab Dete Hue Kahta Hai Ke
"Ham
(Ba'qaul Uske) Shia Hazraat Par Ye Tohmat Lagaakar Insaaf Nahin Karte
Ke Shia Rasoollullah (Sws) Ke Sahaba ko Kaafir Kahte Hain,
Aur Ain Is Waqt Jab Wah Jawab Deta Hai Is Baat Ka Iqraar Wah Asbaat Bhi KarTa Hai Jo Hamne Bayan Ki
Likhta Hai, Iske Ba'wajood Main Yahi Kahunga
"Arab Us Waqt Tak Aap (Sws) Par Imaan Nahin Laaye Jab Tak Ke Dawat E Islaamiya Ne Unke Kaan Acchi Tarah Khat'khataye Nahin"
Muhammad
(Sws) Ne Sab Se Pahle Unhe Islam Ki Daawat Di, Pas Wahi Imaan Laaya, Jo
Imaan Laaya Unmese Kuch Peeche Hat Gaye Aur Islam Ki Daawat Qubool Na
Ki, Aise Bhi They Jinhone Bahut Der Kar Di, Kuch Aise Bhi They Jo Islam
Me Daakhil Hue Lekin Andar Se Munaafiq They, Baaz Aise Log Bhi Daakhil
Hue Jinme Darr Aur Khauff Ki Wajah Se Zameen Tang Ho Chuki Thi, Aur Kisi
Ne Bhi Islam Aqali Taur Par Qubool Nahin Kiya, Sirf Ek Sakhsiyat Thi
Jisne Apni Marzi Aur Baseerat Se Islam Qubool Kiya, Jo Apne Shahar Se
Haq Ki Talab Me Nikla Khatraat Wa Masaib Se Do'chaar Hua Aur Bila'aakhir
Muhammad (Sws) Ke Paas Aaya Aur Aap (Sws) Par Imaan Le Aaya (Yani Hz
Salman Farsi )
(Kitab
Shia Was Sunnah Fil Meezaan Pg 20-21, Ye KitaB Berut Se Shaye Hui Hai,
Ye Kisi Ghair Maroof Shia Musannif Ne Likhi Hai Jo Allama Ehsaan Ilaahi
Zaheer (Rh) Ki Kitab Ash Shia Was Sunnah Ke Jawab Me Likhi Gayi Hai)
Isi Tarah Ki Aur Bahut Si Khuraa'faat Unki Kitaabon Me Paayi Jaati Hain,
Hamne
Khud Unki Apni Kitaabon Se Kai Hawaale Naqal Karke Aapko Dikhaaya Hai
Ke Sahaba Kiram (Ra) Ke Baare Me Hazraat E Shia Ka Tasawwur Aur Nuqta E
Nazar Kiya Hai,
Picchle Posts Me Ham Ye Bhi Bata Chuke Hain Ke Ahle Bayt Sahaba (Ra) Ko Kis Nazar Se Dekhte They..
To Be Continued.....
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks

Bismillahirrahmanirraheem
SHIA AUR AHLE BAYT KI MUKHALIFAT: (PART-3)
Shia
Musannif Majlisi Ne Toosi Se Ek Motbar Riwayat Bayaan Ki Hai, Jisme
Wah Bayaan Karta Hai Ke Hz Ali (Ra) Ne Apne Saathion Se Kaha
"Main
Tumhe Rasoollullah (Sws) Ke Saathion Ke Baare Me Naseehat Karta Hoon Ke
Unhe Gaaliyan Mat Dena, Isliye Ke Woh Tumhare Nabi (Sws) Ke Saathi
Hain, Wah Unke Saathi Hain Jinhone Na Khud Deen Me Koi Nayi Cheez
Daakhil Ki Aur Na Hi Kisi Bidati Ko Izzat Di,
Haan ! Mujhe Rasoollullah (Sws) Ne Unke Baare Me Ye Naseehat Ki Hai"
( HayaT Ul Quloob Al Majlisi 2/621)
Note
: Majlisi Ka Poora Naam Mulla Muhammad Baqar Bin Muhammad Bin Taqi
Majlisi Hai, 1035 Hijri Me Paida Hua Aur 1110 Hijri Me Faut Hua, Ahle
Sunnat Ke Shadeed Tareen Dushmano Mese Hai, Mutaakhireen Shia Me Us
Jaisa Bad'go, Gandi'zubaan Aur Fahash'go Koi Nahin..
Muhajireen Aur Ansaar Dono Ki Tareef Karte Hue Kahte Hain Ke
"Imam
Ke Ta'een Inte'khaab Ka Akhtiyaar Unhi Ke Haanthon Me Hai, Wahi Qarn E
Awwal Me Musalmano Me Hal Wa Aqad Ke Malik Samjhe Jate They, Aur Kisi
Ko Ye Haq Nahin Tha Ke Unki Kisi Baat Ko Radd Karen Ya Unke Be'ghair Koi
Kaam Kare Ya Unki Kisi Baat Se Muh Phere, Isliye Wahi Musalmano Me ahle
Tareen Log They,
Aur
Yahi Baat Mu'waiya Bin Sufiyan (Ra) Ne Ameer E Sham Ko Momineen Ki
Hukumat Aur Musalmano Par Hukmarani Ke Jawab Me Likhi, Imam Wah Hain
Jinhe Muhammad (Sws) Je Saathi Imam Banaaye"
Iski
Zaman Me Khud Hz Ali (Ra) Hz Mu'awiya (Ra) Ka Zikr Karte Hain Aur Isse
Ye Baat Saabit Karte Hain Ke Hz Mu'awiya (Ra) Imamat Ke Sabse Zyada
Haqdaar They,
Ye Baat Khud Shia Hazraat Ki Kitaab Me Maujood Hai
"Majlis
E Shoura Muhajir Aur Ansaar Sahaba (Ra) Par Mushtamal Hogi Wah Jis Par
Mutawaffiq Ho Jaayen Aur Jise Imamat Ke Liye Naam'zad Kar Den Usi Me
Allah Ki Mashiyat Aur Raza Hogi, Agar unmese (Yani Sahaba Mese) Kisi
Par Kisi Qism Ki Koi Qaabil E Aitraaz Baat Ya Bidat Paayi Jaaye Toh Use
Khaarij Kar Diya Jaayega, Aur Uska Maamla Allah Ke Supurd Kar Diya
Jaayega"
(Nahjatul Balagha 3/7 Matbua Berut)
Hz Ali (Ra) Bin Abu Talib Aur Unke Is Qaul Ke Baare Me Shia Kya Mauqaf Akhtiyaar Karte Hain, Wah Kahte Hain
1-
Majlis e Shoura Nabi (Sws) Ke Muhajir Aur Ansaar Sahaba Par Mushtamal
Hogi, Aur Shia Hazraat Ke Aqeede Ke Bar'ashq Tamam Akhtiyaaraat Unhi Ke
Haathon Me Honge
2-
Sahaba (Ra) Ka Kisi Shakhs Par Mutawaffiq Ho Jaana Allah Ki Khushnudi
Ka Sabab Hai, Aur Is Pak Wa Bartar Zaat Ki Raza Ki Alaamat Hai,
3- Unke Zamane Me Imamat Unke Intekhaab Aur Marzi Ke Be'ghair Qayem Nahin Ho Sakti Thi
Note:
Isse Shia Hazraat Ka Ye Ishkaal Rafa Ho Gaya Ke Islam Me Imamat Wa
Khilaafat Ta'een Wasiyat Ya Kisi Ko Naamzad Ko Dene Se Amal Me Aati Hai,
Jaisa Ke Ye Hazraat Apne Masoom Aimma Ki Tardeed Karte Hue Samjhte
Hain, Balke Waazeh Ho Gaya Ke Islam Me Imamat Wa Khilaafat shoura Aur
Intekhaab Hi Ke Zariye Amal Me Aati Hai,
4-
Koi Bhi Sahaba Ki Baat Radd Nahin Karta Aur Na Unke Huqm Se Inheraaf
Karta Hai, Siwaaye Uske Jo Bidati, Baghi Aur Musalmano Ki Raah Se Hat
Kar Kisi Aur Kisi Dagar Par Chal Nikla Ho
5- Sahaba Ke Mukhaalif Ko Qatal Kar Diya Jaayega Aur Iska Faisla Talwaar Karegi,
6-
Isse Badhkar Ye Ke Rasoollullah (Sws) Ke Saathion Aur Unse Muhabbat
Karne Waale Muhajir Aur Ansaar (Ra) Jo Allah Se Raazi Ho Gaye Aur Allah
Jinse Raazi Ho Gaya, Aur Unhi Ke Naqse Qadam Par Chalne Waali Hz Ali
(Ra) Ki Aulaad Ki Mukhaalifat Ki Wajah Se Allah Ke Yahan Pakad Hogi,
Hz
Hussain (Ra) Ke Bete Jinka Naam Hz Zainul Abideen (Rh) Hai Aur Jo Qaum
Shia Ke 4th Imam Hain, Apne Waqt Me Ahle Bayt Ke Sar'baraah They,
Nabi
(Sws) Ke SaathioN Ko Yaad Karte Aur Namazon Me Unke Liye Rahmat Aur
Maghfiraton Ki Dua Karte Isliye Ki Unhone Tauheed Ki Daawat Aur Allah
Tala Ki Makhlook Tak Allah Ka Paigham Pahunchane Me Nabi E Kareem (Sws)
Ki Madad Ki,
Wah Kahte Hain
"
Ya Allah ! Unke Liye Main Tujhse Teri Raza Aur Maghfirat Ki Dua Maangta
Hoon, Khaas Taur Par Muhammad (Sws) Ke Un Saathion Ke Liye Jinhone
Sahaba (Ra) Ke Saath Hasan Sulook Kiya, Jinhone Unki Madad Me
Museebatein Jheli, Unki Nusrat Ki Aur Unka Istaqbaal Karne Ke Liye
Daude, Unki Daawat Ko Qubool Karne Me Sabqat Le Gaye,
Aap
(Sws) Ki Risaalat Ka Elaan Sunte Hi Use Qubool Kar Liya, Aap (Sws) Ke
Paigham Ko Pahuchaane Ke Liye Apni Biwion Aur Aulaad Ko Chhod Diya, Unki
Nubauuwat Ke Istehqam Ki Khatir Apne Baapon Aur Beton Ko Qatal Kar
Diya,
Un (Ra) Ki Jamaat Se Talluqaat Qayem Ho Gaya Toh UnLogon Ne Apne Qabeelon Ko Chhod Diya,
Jab Aap (Sws) Ki Qaraabat Ke ZeR e Saaye Jagah Mil Gayi Toh Tamam Rishtey'darian Khatam Kar Di,
Ya Allah ! Tujhe Aur Tujhse Muhabbat Karne Waalon Ko Nahin
Chhoda, Unse Raazi Hoja Jo Tere Haq Ke Liye Ladte Rahe, Sab Kuch Unhone
Tere Liye Aur Teri Khusnoodi Ki Khaatir Kiya, Unka Teri Wajah Se Apne
Dyaaron Ko Chhodna Aur Apne Mu'aas Ki Wus'at Wa Faraawani Se Nikal Kar
Tangi Me Mubtela Hona Qubool Kar, Unhone Teri Deen Ko Istehkaam Bakhsha, Ya Allah Tabeen Par Bhi Apni Rahmat Wa Maghfirat Nazil Farma Jo Ye Duayen Maangte Hain
Rabbana Agh'firlana wal Ikh'waninal Lazeena Sabaqoona Bil Imaan "......
Jo
Bhi Ki Simat Chale, Usi Taraf Gaye, Jis Taraf Wah Gaye, Agar Wah Unhi
Ke Naqase'qadam Par Chale Toh Unki Nusrat Me Koi Shak Nahin,
Wahi
(Yani Sahaba) Unke Liye Minaar e Hidaayat Hain, Ye Unhi Ke Maeen Wa
Madad'gaar Hain, Unki Ke Pairo Aur Unhi Ki Hidaayat Se Hidaayat Haasil
Karne Waale Hain, Unse Ittefaaq Rakhte Hain Aur Sahaba (Ra) Ne Jo Un Tak
Pahuchaya, Usme Un Par Koi Ilzaam Nahin Dete"
(Saheefa Kaamila Zainul Abideen Page 12 Matbua Kolkata Hind 1248 H)
Unki Aulaad Me Se Hasan Bin Ali (Rh), Jo Hasan Askari Ke Naam Se Mashoor Aur Shia Ke 11we Imam Hain, Apne Tafseer Me Kahte Hain
Moosa (As) Kaleemullah Ne Apne Rabb Se Poocha
"Kya Dusre Ambiya Ke Sahaba Aapke Nazdeek Mere Sahaba Se Zyada Izzat Waale Hain ?"
Allah Ne Farmaya-
"Aiy
Moosa Kya Tu Nahin Jaanta Ke Muhammad (Sws) Ke Sahaba Ko Dusre Tamam
Rasoolon Ke Sahaba Par Waho Bartari Haasil Hai Jo Muhammad (Sws) Ko
Dusre Tamam Nabion Aur Rasoolon Par Hai"
(Tafseer Hasan Askari Page 65 Matbua Hind, Al Burhan 3/228, Ye Ibaarat Al Burhaan Se Li Gayi Hai,)
Iske Baad Hasan Askari Ki Tafseer Me Likha Hai
"
Jo Aadmi Bhi Aal E Muhammad Aur Aap (Sws) Ke Bahtareen Sahaba (Ra) Mese
Kisi Ke Saath Bhi Bughz Rakhe, Allah Usko Aisa Azaab Dega Ke Agar Use
Tamam Makhlooq Par Taqseem Kar Diya Jaaye Toh Sab Ke Sab Halaaq Ho
Jaayen"
( Tafseer Hasan Askari Pg 196)
Isi Tarah Bahut Saari Riwayaat Hain Ham Itni Riwayaton Par Hi Iktefa Karte Hain..
In ShaAllah Agle Post Me Shia Aur Unka Sahaba Ke Baare Me Aqeede Ke Baare Me Guftughu Karenge....
Allah Tala Hamen Haq Baat Kahne Aur Sunne Ki Taufeeq De.... Aaameeen
#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks

Bismillahirrahmanirraheem
DIFA E ISLAM ME HZ UMAR BIN KHATTAB (RA) KI KOSHIHSH
Sayyedena Umar Farookh (Ra) Farmate Hain
"Jis
Roz Maine Islam Qubool Kiya, Usi Waqt Main Baitullah Me Gaya Aur Apne
Islam Ka Ba'baang Dahal Elaan Kar Diya, Kuch Log Mujhse Ladne Ke Liye
Uthe,
Maine Bhi Unka Muqaabla Shuru Kar Diya, Jab Mere Mamu Ne Ye Manzar Dekha Toh Bola
Ye Kaun Log Hain ??
Logon Ne Kaha
"KhattaB Ka Beta Be'deen Ho Gaya Hai,"
Mera Mamu Hateem Me Khada Hua Aur Bola
"Maine Apne Bhaanje Ko Panaah De Di Hai, Koi Uske Nazdeek Na Aaye"
Mere Mamu Ka Elaan Sunkar Log Peeche Hat Gaye"
Main Dekh Raha Tha Ke Musalmano Ko Unke Islam Ki Wajah Se Zabardast Aziyat Di Ja Rahi Hai, Jabke Mujhe Koi Nahin Maar Raha,
Maine Apne Dil Me Kaha
"Maseebaton Ke Jo Pahaad Ghareeb Musalmano Par Tode Ja Rahe Hain, Wah Mujhpar Bhi Tootne Chahiye"
Main Thodi Der Thaher Gaya, Jab Log Dobara Hateem Me Baith Gaye Toh Main Apne Mamu Ke Paas Aaya Aur Unse Kaha
"Suno !"
Wah Bola:- " Main Kuch Nahin Sun Raha"
Maine Kaha :-"Main Tumhe Tumhari Panaah Waapas Karta Hoon"
Wah Bola:-"Mere Bhaanje ! Aisa Mat Kar.."
Maine Kaha :- "Main Tumhari Panaah Tumhe Waapas Karta Hoon"
Wah Bola :- " Toh Fir Jo Chaaho Karo"
Iske Baad Se Yahi Hota Raha Ke Kabhi Quraish Mujhe Maarte Aur Kabhi Main Quraish Ko Maarta
Islam Ke Ghalbe Tak Yahi Soorat E HaaL Rahi
(Sharah Mawahib 1/320, Tareekh ibn Asaakir, Asadul Ghaba 4/55)
#Islamicleaks
#UmairSalafiAlHindi

Bismillahirrahmanirraheem
SHIA AUR AHLE BAYT KI MUKHALIFAT- (PART-2)
Is Bahes Se InShaAllah Ye Baat Khul Kar Saamne Aa Jaayegi Ke Shia Ka Ahle Bayt Se Aur Ahle Bayt Ka Shia Se Kya Talluq Hai ??
Hamare
Chauthey 4th Khaleefa Hz Ali (Ra) Jo shia Ke Nazdeek Unke Pahle Masoom
Imam Aur Ahle Bayt Ke Sar'barah Hain, Tamam Sahaba Kiram (Ra) Ka Zikr
Karte Hue Unki Intehaayi Taareef Karte Aur Unki Madah Wa Sana Me Kahte
Hain
"Maine
Muhammad Sallalahi Alaihi Wasallam Ke Saathion Ko Dekha Hai, Mujhe Tum
Me Un Jaisa Koi Nazar Nahin Aata, Wah Subhein Karte They Toh Pur'gandah
Wa Pareshaan, Raatein Ghuzaarte Toh Sajda Wa Qayaam Me Apne Peshaanion
Aur Khasaron Ko Sajda Me Jhukaaye Hue, Khade Hain Toh Apni Aakhirat Ki
Yaad Me Patthar Ki Tarah Saakit !
Sajde Me Jaate Toh Lambe Lambe Sajdon Ki Wajah Se Yun Lagta Jaise Patthar Ki Koi Chattan Unke Saamne Hai,
Jab Allah Ko Yaad Karte Toh Unki Aankhon Se Aansuon Ki Jhadiyan La Jaati, Aur Unke Daaman Tak Tar'batar Ho Jaate,
Azaab
Ke Darr Aur Sawaab Ki Ummeed Me Yun Jhukte Aur Be'qaraar Muztar Rahte
They Jaise Tezz Aandhiyon Aur Jhakado Me Darakht Hilte Hain"
(Nahjatul Balagha Pg 143 Matbua Darul Kitab Berut)
Ye
Ahle Bayt Ke Sarbaraah Hain Jo Nabi E Akram (Sws) Ke Saathion Ki Tareef
Kar Rahen Hain , Apne Us Giroh Aur Saathion Par Unhe Tarjeeh De Rahe
Hain Jisne Jungon Aur Ladaiyyon Me Unka Saath Chhod Diya, Dushman Ke
Saath Muqaabla Ka Waqt Aaya Toh Buzdili Ka Suboot Diya Aur Sarbaraah E
Ahle Bayt Ko Akela Chhod Kar Alag Ho Gaye,
Aap (Ra) Unke Aur Rasoollullah (Sws) Ke Saathion Ke Darmiyaan Mawazaanah Karte Hue Kahte Hain
"Ham
Rasoollullah (Sws) Ke Saath They, Apne Baapon, Beton, Bhaiyyon Aur
Chachaon Ko Qatal Karte They, Isse Hamare Imaan Wa Yaqeen Me Izaafa Hota
Tha, Chand Luqmon Par Ghuzaara Karte Aur Dukhon Aur Pareshanion Me Sabr
Karte They, Dushman Ke Saath Poori Koshish Se Jihaad Karte, Hamara Aur
Dushman Ka Aadmi 2 Saandon Ki Tarah Ek Dusre Par Hamla Karte Aur
Jhapat'te They,
Dono
Ek Dusre Ko Maut Ka Pyala Pilaana Chaahte They, Kabhi Dushman Ham Par
Ghalib Aa Jaata Aur Kabhi Ham Dushman Par Ghalib Aa Jaate,
Jab
Allah Ne Hamari Sachhayi Dekhi Toh Hamare Dushmano Par Zillat Wa
Ruswayi Aur Ham Par Fatah Wa Kaamraani Naazil Ki, Hatta Ke Islam Khoob
Mustahkam Ho Gaya, Aur Mulkon Me Fail Gaya,
Meri Jaan Ki Qasam Agar Ham Wah Karte Jo Tum Karte Ho Toh Deen Harghiz Pukhta Na Hota Na Hi Imaan Me Pukhtagi Aati,
Khuda Ki Qasam Ham Dhoodh Duhte Toh Khoon Nikalta Aur Nadaamat Wa Pareshaani Ham Par Taari Rahti "
(Nahjatul Balagha page 91-92 Matbua Berut)
Apne Munaafiq Aur Dhoke Baaz Giroh Ke Muqaabil Unka Zikr Karte Hain Aur Unke Chale Jaane Par Afsos Ke Aalam Me Kahte Hain
"Kahan Hain Wah Jinhe Islam Ke Liye Pukaara Gaya Toh Unhone Labbaik Kaha, Quran Padha Toh Uske Mutaabik Sab Kuch Kiya ??
Unhe Jung Ki Taraf Chalne Ko Kaha Gaya Toh Yun Be'taab Na Daude Jaise Oontni Apne Bacche Ki Taraf Daudhti Hai,
Talwaaron
Ko Mayaano Se Kheench Liya Aur Zameen Ke Atraaf Wa Kanaaf Ko Saf Ba'saf
Ho Kar Gher Liya, Kuch Maare Gaye, Kuch Bach Gaye, Na Zinda Bach Jaane
Waalon Ko Mubarak Baad Dete Aur Na Marne Walon Ki Taaziyat Karte,
Wah
Jinki Aankhen Bahut Rone Se Kamzor Ho Gayi, Roze Rakhne Se Pet Khaali
Ho Gaye, Dua Maang Maang Kar Hont Khusak Ho Gaye, Raaton Ko Be'daar Rah
Kar Unke Rang Peele Ho Gaye,
Unke Chehron Par Allah Se Darne Waalon Ka Noor Tha, Wah Chale Jaane Waale Mere Bhai They,
Hamen Haq Hai Ke Unke Shifa E Mushtaq Hon Aur Unke Faraaq Aur Judaayi Me Apne Haath Kaat Khaayen"
(Nahjatul Balagha Page 177-78 Matbua Berut)
Hz Mu'awiya Bin Abu Sufyaan Ke Jawab Me Muhajir Sahaba (Ra) Ki Taareef Karte Hue Kahte Hain
"Sabqat
Le Jaane Waale Apni Sabqat Ki Wajah Se Falaah Wa Kaamraani Ko Pahunche
Aur Sabse Awwal Hijrat Karne Waale Fazeelat Ko Paa Gaye"
(Nahjatul Balagha Page 383)
Mazeed Farmaya
"Aap Jaante Hain Ke Muhajireen Me Khair E Kaseer Hai, Allah Unko Bahtareen Jaza De"
(Nahjatul Balagha)
Isi Tarah Nabi E Akram (Sws) Ke Ansaar Sahaba (Ra) Ki Ye Kah Kar Tareef Karte Hain Ke
"Ba'khuda
Islam Unki Daulat'mandi Ki Wajah Se Is Tarah Fala Foola Jaisa Bachhda
Falta Foolta Hai, Unki Zabaane Faseeh Aur Haath Pur'quuwat Hain"
(Nahjatul Balagha Page 557)
Sahaba
Kiram (Ra) Ki Be'had Tareef Wa Tauseef Karte Hue Apne Saathion Ka Aur
Hz Muawiya (Ra) Aur Ansaar E Sahaba (Ra) Ka Mwazanah Ye Kah Kar Karte
Hain
"Amma
Baad ! Ba'khuda Shahron Me Tumhare Shahr Waaln Ki Tadad Arab Me Ansar
Ki Tadaad Se Bahut Zyada Hai, Rasoollullah (Sws) Ne Arab Ko Jo Bhi Huqm
Diya Wah Usse Baaz Rahe, Yahan Tak Ke Nabi E Akram (SWS) ne Khuda Ke
Tamam Ahkamaat Pahuncha Diye
Siwaaye 2 Qabeelon Ke Jo Ek Chhoti Si Jagah Me Paida Hue, Na Wah Arab
Me Sabse Bade Aur Na Tadad Ke Lihaaz Se Kaseer Hain, Unhone Nabi (sws)
Ki Aal, Aur Aap (Sws) Ke Saathion Ko Panaah Di, Aur Allah Aur Uske Deen
Madad Ki, Arab Ne Unhe Ek Hi Kamaan Se Teer Maare, Yahoodi Bhi Unke Haleef Ho Gaye, Yahoodion Aur Sab Qabail, Ek Ke Baad Ek Ne Unse Jung Ki,
Wajah
San Kuch Chhodkar Allah Ke Deen Ki Nusrat Ki Taraf Mutawajjoh Hue, Kuch
Ko Giraftaar Karke Un Par Kaabu Pa Liya, Yahoodion Se Muwahede Karke
Unhone Fatah Kar Liya,
Najd
, Tahama, Ekka, Yamama Hawazin Aur Sahal Waalon Ke Liye Deen Ke Chashme
Jaari Kiye, Jaladoon Ke Teeron Tale Apne Sabr Ka Muzaahera Kiya,
Taake
Arab Rasoollullah (Sws) Aur Unki Aal Ke Saamne Jhuk Gaya Aur
Rasoollullah (Sws) Ke Wafaat Pa Jaane Se Pahle Hi Unki Aankhon KI
Thandak Ban Chuke They, Us Waqt Arab Me Un Logon Ki Jo Tadad Thi, Ab Is
Waqt Logon Me Tumhari Tadaad Unse Zyada H"
(Al Gharaat 2/487 - 489)
Shia Ke Qaul Ke Mutabik Tamam Rasoolon Ke Sardaar (Hz Ali )Khud Ansaar Sahaba (Ra) Ki Tareef Karte Hain
"Ya Allah Ansaar, Ansaar Ki Aulaad, Unki Aulaad Ki Aulaad Ko Bakhs De,
Aiy
Jamaat E Ansaar ! Kya Tum Is Par Khush Nahin Ho Ke Log Toh Bakriyan Aur
Maal O Daulat Le Jaaye Aur Tumhare Naseeb Me Khud Allah Ka Rasool (Sws)
Aa Jaaye"
(Tafseer Manhajj Ul Sadiqeen 4/240, Kashful Ghamma 1/224)
To Be Continued...
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks

Bismillahirrahmanirraheem
SHIA AUR AHLE BAYT KI MUKHALIFAT- (PART-1)
Shia
Logon Ko Ye Dhoka Dene Ki Koshish Karte Hain Ke Wah Ahle Bayt Un Nabi
(Sws) Ke Pairo'kaar Hain, Aur Musalmano Ke Tamam Firqon Mese Haq Wa
Sawaab Ke Sabse Zyada Qareeb Hain,
Nabi
E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Azeezon Aur Unke Mutalliqeen Se
Khaas Talliq Rakhne Ki Wajah Se Bartar Aur Sabse Zyada Hidayat Par Hain,
Ham
Pichle 3 Post Me Tafseel Se Bata Chuke Hain Ke Inke Nazdeek Ahle Bayt
Se Nabi (Sws) Ke Ahle Khana Harghiz Muraad Nahin, Aur Na Hi Ye Log Unki
Pairwi Aur Unse Muhabbat Karte Hain Balke Inke Nazdeek, Ye Lafz (Ahle
Bayt) Baaqi Sabko Chhid Kar Sirf Hz Ali (Ra) Aur Unki Kuch Aulaad Par
Bola Jaata Hai,
Is
Post Me Ham Bataayenge Ki Shia Na Ahle Bayt Un Nabi (Sws) Se Dawa E
Pairwi Wa Muhabbat Me Sacche Hain Aur Na Ahle Bayt E Ali (Ra) Se
Muhabbat Wa Pairwi Ke Daawe Me Koi Sacchaayi Hai, Na Unke Bataaye Use
Tareeqon Par Chalte Hain Aur Na Unke Khyalaat Par Hi Amal Karte Hain,
Unke Raaste Par Nahin Chalte, Unke Aqwaal Wa Khyalaat Ke Mutaabil Apni
Zindagi Nahin Ghuzaarte Balke Unke Bar'ashq Chalte Aur Qauli Wa Amali
Taur Par Khullam Khulla Unki Mukhalifat Karte Hain,
Bil'khusoos
Nabi E Akram (Sws) Ke Khulefa E Rashideen (Ra), Aapki Paak Biwion Aur
Aap (Sws) Ke Nek Sahaba, Jinhone Is Deen Ko Aur Aap (Sws) Ki Risaalat
Ko, Dusre Insaano Aur Kaaynaat Ke Gosha Gosha Tak Pahunchaaya, Jo Allah
Ke Deen Ko Phailaane Waale, Uske Alam'bardar Aur Uske Kalima Ko Buland
Karne Waale Hain, Jinhone Allah Ke Raaste Me Is Tarah Jihad Kiya Jis
Tarah Juhad Karne Ka Haq Tha, Uski Raza Ke Liye Har Mata Ko Nichhawar
Kar Diya,
Jinke Baare Me Khud Allah Ne farmaya
"Jis
Par Baatil Asar'andaz Nahin Ho Sakta, Na Aage Se Na Peeche Se Ye Utaara
Gaya Hai Hikmat Waale Qaabil E Tareef Zaat Ki Taraf Se"
(Surah Fussilaat Ayat No 42)
Quran Majeed Me Irshad Hai
"Unke
Pahlu Bistaron Se Juda Rahte Hain, Woh Apne Parwardigar Ko Darte Hue
Pukaarte Hain Aur Hamare Diye Hue Se Kharch Karte Hain"
(Surah Sajda Ayat 16)
Ek Jagah Farmaya
"
Wah Log Jo Allah Ko Yaad Karte Hain Khade Hon Ya Baithe Hote Hon, Aur
Apne Pahluon Par (Lete Hue Hon) Aur Zameen Wa Aasmaan Ki Paidaish Ke
Mutaalliq Poochte Hain,
Aiy Hamare Rabb Tune Ise Be'kar Paida Nahin Kiya, Tu Paak Hai Hamen Jahannum Ke Azaab Se Mahfooz Farma"
(Surah Al e Imram Ayat No 191)
Ek Jagah Allah Tala Ne Jo Sabse Zyada Sach Kahne Wala Hai, Apne Barghuzeeda Rasool (Sws) Ke Saathion Ki In Alfaaz Me Taareef Ki
"
Muhammad Allah Ke Rasool Hain Aur Jo Imaan'dar Unke Saath Hain Wah
Kuffar Ke Muqaable Date Hue Hain, Apas Me Ek Dusre Ke Liye Bade Meharban
Hain, Tum Unko Ruku Wa Sujood Karte Hue Dekhte Ho, Wah Allah Ka Fazal
Aur Uski Khush'noodi Chaahte Hain, Unki Nishani Unki Namazon Ke Asar Se
Unke Chehron Me Hai, Yahi Ausaaf Unke Tauraat Me Markoom Hain Aur
Injeel Me Unke Ausaaf Ek Kheti Ki Tarah Marqoom Hain Jisse Ek Sui
(Niddle) Nikli, Fir Wah Mazboot Hui, Fir Wah Moti Hui, Fir Wah Apni Naal
Par Seedhi Khadi Hui Ke Kisaano Ko Bhali Lagti Hai, Kuffar Unki Wajah
Se Jalte Honge, Allah Ne Iman'daron se Aur Jo Un Mese Nek Aamaal Karte
Hain, Unse Bakhshish Aur Bade Badla Ka Waada Kiya Hua Hai "
(Surah Fath Ayat No 29)
Is Ayat Me Allah Tala Ne Ghazwa E Tabook Ke Shuraka Ke Baare Me Farmaya
"Allah
Tala Ne Nabi (Sws) Par Aur Muhajireen Aur Ansaar Par Tawajjah Ki Jo
Mushkil Waqt Me Jabke Baaz Musalmano Ke Dil Dagmaga Chuke They, Nabi
(Sws) Ke Saath Rahe, Wah Un Par Bada Hi Meharban Nihayat RaheM wala Hai"
(Surah Tauba Ayat 117)
Ghazwa Hudaibiyah Me Shirkat Karne Walon Ke Liye Irshad Hai
"Allah
Tala Imaan'daron Se Raazi Hua, Jab Wah Ek Darakht Ke Neeche Tujhse
Bayyat Karte They Jo Unke Dilon Me Tha, Allah Ko Sab Malum Tha, Aur Un
Par Tasalli Utaari, Aur Unke Ek Qareebi Fatah Di Aur Kai Ghaneematein
Jinko Musalman Lete Rahe Aur Allah Bada Ghalib Badi Hikmat Wala Hai"
(Surah Fath ayat 18- 19)
Mazeed Farmaya
"Pas
Jin Logon Ne Watan Chhoda Aur Apne Gharon Se Nikaale Gaye Aur Meri Raah
Me Sataaye Gaye Aur Lade Aur Maare Gaye, Zaroor Unki buraiyyan Unse
Door Karunga Aur Unko Aise Baaghon Me Daakhil Karunga Jinke Neeche
Nahrein Bahti Hongi, Allah Ki Tarah Se Unko Ye Badla Milega (Elawah
Allah Ke Yahan Aur Bhi Nek Badla Hai)"
Allah TaLa Ne Unke Sacche Aur Haqeeqi Imaan Ki Ye Kah Kar Gawaahi Di
"Aur
Wah Log Jo Iman Laaye ; Hijrat Ki Aur Allah Ke Raaste Me Jihad Kiya Aur
Wah Log Jinhone Thikaana Diya Aur Madad Ki, Yahi Log Sacche Momin Hain ,
Unke Liye Bakhshish Hai Aur Undah Rizq Hai"
(Surah Anfal Ayat 74)
Sabse Pahle Hijrat Karne Waale Sahaba (Ra) Aur Ansaar (Ra) Ke Baare Me Farmaya
" Aur
Sabqat Le Jaane Waale Pahle Momin Muhajireen Wa Ansaar Me Se, Aur Wah
Log Jo Unki Nek Rosh Ki Taabe Hue, Allah Unse Raazi Ho Gaya Aur Wah
Allah Se Razi Ho Gaye, Allah Ne Unke Liye Baghaat Taiyyar Kiye Hain
Jinke Neeche Nahrein Bahti Hongi Aur Wah Unme Hamesha Hamesha Rahenge, Ye Bahut Badi Kaamyaabi Hai"
(Surah Tauba Ayat 100)
Ek Aur Jagah Sab Muhajireen Aur Ansaar Ke Baare Me Ye Farma Kar Unki Falaah Wa Kaamraani Ki Zamaanat De Di
"In
Faqeer Muhajireen Ke Liye, Jo Apne Gharon Aur Apne Maal Wa Daulat Se
Nikaale Gaye, Wah Talaash Karte Hain Allah Ka Fazal Aur Raza'mandi, Aur
Wah Madad Karte Hain Allah Aur Uske Rasool Ki, Yahi Log Hain Jo Sacche
Hain, Aur Wah Log Jinhone Inke Pahuchne Se Pahle Darul Imaan Banaya, Jo
Log Unki Taraf Hijrat Karke Aate Hain Aur Jo Kuch Unko Allah Ki Taraf Se
Mila Hai, Apne Dilon Me Uski Haajat Nahin Paate, Unki Zarooriyaat Ko
Apni Zarooriyaat Par Tarjeeh Dete Hain, Chaahe Unko Shakht Haajat Ho
Aur Jo Log Apne Nafs Ke Bukhl Se Bach Jaayen Wahi Nijaat Paane Waale
Honge"
(Surah Hashr Ayat 8- 9)
Fatah
Makka Se Pahle Aur Fatah Makka Ke Baad Allah Ki Raah Me Kharch Karne
Waale Sahaba Kiram (ra) Ki Taareef Wa Rauseef Karte Hue Farmaya
"Tum
Mese Wah Log Jinhone Fatah Makka Se Pahle Kharch Kiya Aur Jihaad Kiya,
Unse Darjaat Ke Aitbaar Se Badh Kar Hain Jinhone Fatah Makka Ke Baad
Kharch Kiya Aur Jihaad Kiya Aur Har Ek Se Allah Ne Bhalai Ka Waada Kiya
Hai, Aur Allah Tala Tumhare Aamal Se Ba'kahabar Hai"
(Surah Hadid Ayat 10)
Aap (Sws) Ki Paak Biwion kE Baare Me Allah Tala Farmata Hai
"Nabi (Sws) Zyada Haqdaar Hain Momin Ka Unki Nafson Se Aur Uski Biwiyan Unki Maayen Hain"
(Surah Ahzaab Ayat 6)
Ek Ayat Me Irshad Hota Hai
"Aiy Nabi (Sws) Ki Biwion ! Tum Aam Aurton Ki Tarah Nahin Ho "
(Surah Ahzan Ayat 32)
Quran
Paak Ki Aayaat Sahaba (Ra) Ke Baare Me Yahi Kahti Hain, Inke Elawah
Bhi Bahut Si Ayaat Is Zumr Me Quran Paak Me Maujood Hain,
Aiyye
Ab Ahle Bayt Ki Pairwi Aur Muhabbat Ke Daawedaron Ko Aur Unke Masoom
Aimma Ko Dekhte Hain, Jo Ba'qaul Unke Aal E Bait Hain Ke Wo Rasoollullah
(Sws) Ke Saathion Se Nafrat Karte They , Unke Gaaliyan Bakte Ya Usse
Badh Kar In Jhoote Daawrdaron Ki Tarah Unhe Kaafir Kahte Aur Laanat
Samjhte They ???
Ya
Isse Bar'ashq Wah Unki Farma'bardari Aur Unse Muhabbat Kiya Karte They,
Un Par Mehar'baniya Karte They Aur Unki Mushkilon Me Madad Kiya Karte
They, Apne Kaamon Me Unse Mashwara Lete, Aur Unke Dukh Dard Baata Karte
They, Ya Unhe Apne Deeni, Dunyawi Aur Mulki Wa Hukumi Maamlaat Me
Shareek Kiya Karte They, Unke Huqm Aur Iqtedaar Ki Bayyat Kiya Karte
They, Unke Jhande Tale Jihaad Karte They Aur Us Maal E Ghaneemat Mese Le
Liya Karte They Jo Uske Zariye Haasil Hota Tha, Unse Sasuraali
Talluqaat Qayem Karte, Unke Yahan Se Khud Shadiyan Karte Aur Wah Unke
Yahan Se Shadiyan Karte Unke Naamon Par Apne Beton Ke Naam Rakhte Aur
Unki Yaad Se Barkat Haasil Kiya Karte They, Apni Majlison Me Unke
Tazkire Kiya Karte They, Masail Me Unki Taraf Ruju Karte...
Ye
Tamam Cheezein Ham Bayan Karenge Aur Is Zamr Me Jo Kuch Kahenge Khud
Shia Ki Apni Kitaabon Se, Shayad Haq Zahir Ho Jaaye Aur Sacchayi Nikhar
Kar Saamne Aa Jaaye, Baatil Dab Jaaye Aur Jhoot Mit Jaaye......
InshaAllah
To Be Continued...
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks