Bismillahirrahmanirraheem
SHIYYAT (RAFZIYAT) KA AGHAAZ- TAREEKH KE ROSHNI ME
Jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ki nubuwwat wa risaalat ka aaftaab tulu hua aur uski kirnon (rays) se kufr wa shirk ki zulmatein chhatne lagin toh kufr wa shirk ke haamileen usi waqt paighambar e islam aur aapki taalimaat ke khilaaf muhaaz'aaraai ho gaye aur unhone pahle toh maidaan e jung me bil'muqaabil saf'bandi karke musalmaano ko shikasht deni chaahi, magar jab unki tamaam koshishen musalmaano ke imaan wa yaqeen ke saamne na thaher saki aur jazba e jihad se sarwar e kaaynaat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke azeem saathion ne maidaan e jihaad me arbaab e kufr wa shirk ko paspa kar diya toh unhone ek naya lubaada odh kar fikri muhaaz par musalmano ki quwwat wa shauqat ko paarah paarah karne ki khoofiyah jeddo jehad shuru kar di,
chunanche arab me yahoodi laabi, iran me majoosi anaasir aur hind Me hindu, Ahle islam ke khilaaf sar'garam amal ho gaye,
allah taala ka irshad hai
" mukhaalifeen e islam allah taala ke jalaaye hue chiraagh ko apni phoonko se bujhaana chaahte hain, magar allah taala bhi apne noor ko muqammal karne ka iraada kiye hue hai, khwaah ye baat kaafiron ko kitni hi naagh'waar kyon na ghuzre"
(suraf saffaat 8)
Islaami aqaid ki deewaar me sabse pahle jis shakhs ne naqab lagaane ki koshish ki wah munaafiq "Abdullah bin saba yahoodi" ke naam se ma'roof hai,
wah apne 33 musalmaan zaahir karke musalmaano ki safon me daakhil hua aur kufriyah aqaid ki nashr o ishaat ke liye apni koshishen shuru kar di,
Ye napaak aur bad'deenat shakhs apne seene me islaam ke khilaaf bughz wa hasad chhupaaye hubb e ahle bayt ka lubaadah odhe aur apne makrooh chehre par islaam ka label lagaaye hue tha.......
Un saada loh afraad ko makkar wa dajal me phansa kar sahih islaami aqaid se munharif karne Laga, jo allah taala ke waadah ke mutaabik Rome aur Persian sultanate ki fatah hone ke baad deen e islam me daakhil ho gaye they..
Allah taala ka irshaad hai
" allah taala ka shariat e islamiyah ke mutaabik amal karne waale ahle imaan se waada hai ke wah unhe iqtedaar ata farmaayega aur deen e islam ko mazboot aur ghaalib farmayega aur musalmano ke khauff ko sukoon me tabdeel kar dega "
( surah noor 55)
Allah taala ka ye waada poora hua aur Rome wa Persia ki sultanate par Islam ka parcham (flag) lahraane laga,
ye Azeem fatuhaat Yahoodion aur Iraani majoosion ko ghawaara na thi,
chunanche unhone musalmano ke Aqaid wa afkaar me naqab zani karke ghair islami afkaar wa nazariyaat daakhil karne chaahe, kyonke unke baap dada, Caesar wa kisra, banu kuraiza aur banu nazzeer, maidaan e jung wa qitaal me musalmaano ka muqaablah karne aur unhe khatm karne ki koshish ka tajurba duhra chuke they aur usme Unhe naqaami ka saamna karna padha tha,
Toh yahoodion aur majoosion ke baahimi taalluqaat wa amal me Abdullah bin saba ko janam diya,
Aur yahan se Shia (ajam) ka Aaghaaz hua,
ibn saba (la) ne Islaami sultanate ke farmaan ro, Damaad e rasoo, dhul nurair hz usmaan bin affaan (ra) ke khilaaf zeher ughalna shuru kar diya,
usne door'daraaz ke ilaaqon ke logon ko gumraah karne ke liye hz usman (ra) ke khilaaf be'buniyaad ilzaamaat aid kiye,
bahut se Yahoodi majoosi uske dost wa hamraah ban gaye aur yun unhone Islaami sultanate me ek khoofiya tanzeem (group) qayem kar li, aur hz ali (ra) ki muhabbat ka lubaadah odh kar poori sultanate me apne numaindon ka jaal phaila diya...
Is giroh ne " wilaayat ali " ko buniyaad banaya aur apne pairokaaron me aise aqaid ki nashr o ishaat shuru kar di jinka deen e islaam ke buniyaadi arkaan se koi taalluk na tha,
ye log khud ko " Shiyyaaan e ali" kahne lage, jabke Hz ali (ra) unse aur unke aqaid se bari they......
Is tarah se abdullah ibn saba apne yahoodi aur majoosi mu'aawin ke lubaadah se ummat e islaamiyah me ek aisa firqa banne me kaamyaab hogaya jo Islaam aur ahle islaam ke liye aage chal kar namoor ki haisiyat ikhteyaar kar gaya,
is firqe ne Islaami aqaid ko shadeed nuksaan pahunchaaya aur musalmaano ke asalaaf ke khilaaf inteqaami mauqaf akhtiyaar kiya......
Abdullah ibn saba shi'ee Aqaid ka baani (founder) hai, iska aitraaf khud shia me mu'arrikheen ne bhi kiya hai,
chunanche Shia ke mu'arrikh " Al kashi " jo ke shia ke muqaddam ulama e rijaal me se hain,
aur jinke baare me shia ulema likhte hai ke
" wah jaid aalim sahih ul aqeedah aur mustaqeem ul mazhab hain"
Al kashi ki kitab " ilm rijaal" ke mauzu par intehaayi Qadeem aur buniyaadi marja ki haisaiyat rakhti hai,
kitab ka poora naam hai " mu'arfatah na'qeleen anal ummatul saadiqeen "
jo Ke " Rijaal Al kashi " ke naam se maaroof hai,
ye namoor Shia mu'warrikh apni kitab me likhta hai
" baaz ahle ilm se riwaayat hai ke abdullah bin saba yahoodi tha, phir wah musalmaan ho gaya , aur hz ali (as) se izhaar muhabbat karne laga, aur uska jo aqeeda hz musa (as) ke yoosha bin yun ke baare me tha aur wahi aqeeda usne hz ali ke mutaalliq akhtiyaar kiya , so wah sabse pahla shakhs hai jisne hz ali ke mukhaafileen ki takfeer ki, isi bina par Shia ke mukhaafileen kahte hain ke tashi'ee (shia ajam) yahoodiyat se maakhooz hai "
( rijaal al kashi page 101 matbua karbala, iraq)
yahi riwaayat shia muhaddis " Maqaani" ne Al kashi se apni kitab " Tanqeeh ul maqaal" me naqal ki hai
(2/184 matbua tehran)
isi tarah Shia mu'arrikh " No'bakhti " jiske baare me maahir ilm e rijaal " Najjashi " kahta hai
" hasan bin moosa abu muhammad nau'bakhti bahut bade Shia muqallam, apne ham asaron par Fauqiyat Rakhne waale aur jaid aalim they "
( Fehrist az najjashi page 47, matbua bharat 1317 hijri)
Shia mu'arrikh " Al tusi " nau'bhakhti ke baare me zikr karte hue likhta hai
" imam abu muhammad nau'bakhti bahut bade muqallam (ilm kalam ka maahir), falsafi, aur sahih ul aqeeda Shia aalim they"
(fehrisr az tusi page 98, matbua bharat 1835 CE)
Noorullah tustari, naubakhti ka zikr karte hue likhta hai
" nau'bakhti Shia firqah ke akaabireen me se hain , wah bahut bade muqallam aur falsafi they"
(majalis ul momineen az tustari page 177 matbua iran)
Shia mu'arrikh Nau'bakhti apni kitab " farq ul shia" me likhta hai
" Abdullah bin saba, abu bakr, umar , usman aur deegar sahaba par taan o tashnee ka aghaaz karne waalon mese tha, usne logon se kaha ke ali (as) ne aisa karne ka huqm diya hai, hz ali ko jab ilm hua toh aapne use giraftaar karne ka huqm diya, chunanche use giraftaar karke laaya gaya, Aitraaf karne par hz ali ne use qatal karne ka huqm de diya, magar uske saathi cheekh uthey ke aiy ameer ul momineen ! Aap aise shakhs ko kyon qatal karwa rahe hai jo ahle bayt se muhabbat ki taraf logon ko bulaata hai, jis par hz ali ne use jilaa watan karke Iran ke shaher Madayan ki taraf bhej diya"
(farq al shia az nubakhti 43,44 matbua najaf iraq)
Nau'bakhti likhta hai ke
ahle ilm se riwaayat hai ke
" Ye shakhs yahoodi tha, phir wah islam qubool karke Ali (as) ka mutaqid ho gaya, islam qubool karne se pahle wah hz moosa (as) ke jaisi yusha bin noon ke mutaalliq jo aqaid rakhta tha usi qism ke aqaid ka izhaar usne ali (as) ke baare me kiya, wah pahla shakhs hai jisne Ali (as) ki imaamat wa wilaayat ki farziyat aur aapke dushmano se buraa'at ke aqeede ka par'chaar kiya, isi ke bina par Shia ke mukhaalifeen ye kahte hain ke Shia mazhab ki buniyaad yahoodiyat par rakhi gayi hai "
nau'bakhti ye bhi likhta hai ke
" abdullah bin saba, ko jab ilm hua Ke misr (egypt) me usman bin affan ke mukhaalifeen maujood hain toh wah misr chala gaya, wahan jaakar usne ba'zaahir taqwa wa taharat ka lubaada odh liya aur jab use kuch hamnawa saathi mil gaye toh usne apne nazariyaat phailaana shuru kar diye, usne kaha ke Har nabi ka ek wasi aur Nayab hota hai, aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke wasi aur nayab hz ali (as) hain , usne ye bhi kaha ke ummat ne hz ali (ra) par zulm kiya hai, unka haq ghazab kiya hai, wah khilaafat ke haqdar they, unse unka haq chheena gaya hai, aur chheenne waale abu bakr wa umar they, aur ab usman bin affan ne unka haq ghazab kiya hua hai, chunanche unke khilaaf bhagaawat karke hz ali ki baiyyat karna hamara Farz hai, kuch misri unki baaton se mutaassir hokar uske saathi ban gaye aur usman bin affan ke khilaaf elaan e baghaawat kar diya"
(rozatul safa , 2/292, matbua iran,)
Toh ye hain khund Shia mu'arrikheen ki gawahiyan aur waazeh wajah jinse hamne darj zeil ishaaraat akhaz kiye hain
1- Yahoodion ki taraf se islam ke lubaadah me Abdullah ibn saba ki Qayadat me aise giroh ki ijaad jo ba'zaahir musalman kahlaaye, magar dar'pardah wah islam ka dushman aur kufr wa irtedad ka haami hai...
2- Musalmano ke khilaaf inteshaar phailaane ki gahri shaajish me yahoodi giroh ke baad ummat e islaamiyah waazeh taur par giroh bandi ka shikaar ho gayi aur fatuhaat ka woh taweel silsila ruk gaya jiska aghaaz sarwar e kaaynaat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam aur khulefa e rashidoon ke ahad me hua tha aur duniya ke khitte khitte par islam ka parcham lahraane laga tha,
aur ye saari Shaajisen Ibn saba aur uski tanzeem ki taraf se taiyyar ki gayi " Hubbe ali" ke naam se parwaan chadhi.....
Sabaaiyyon ki kaarwahiyon ke nateeje me hz usman (ra) ki mazloomaana shahadat waaqe hui, Aur phir uske baad fitna wa fasaad ka aisa daur khula ke aaj tak use band nahin kiya ja saka,
aaj bhi 13 sadi ghuzar jaane ke ba'wajood Ibn saba ki Maanowi Aulaad Ibn saba ke Mission ki takmeel me masroof hain
3- Hz abu bakr wa umar (ra ) aur deegar sahaba e kiram ke khilaaf bughz wa hasad par mabni aqaid ki tajweej, yahoodion ka maqsad tha ke wah musalmaano ki taareekh ko itna daagh'daar kar den aur use is qadr maayoob bana kar pesh karen ke unki naslein apni taareekh par Fakhr karne ke bajaaye usse nafrat ka izhaar karen aur apne aslaaf ke naks e kadam par chalne aur unke kaarnaamon par rushk karne ki bajaaye unki aib'joyi me masroof rahein....
Yahoodi apne is maqsad me kaamyaab hue aur musalmaano mese hi aisa giroh paida kar diya jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke awwaleen pairo'kaaron aur aap nabi eakram sallalaho alaihi wasallam ke dast wa baazu bankar rahne waale, aapke laaye hue Deen ko kaaynaat tak pahunchane waale, aapke parcham tale jihaad karne waale, aapke ishaarah par apna tan man nochhaawar karne waale, islam ke poide ki apne khoon se aabyaari karne waale, nabi e kaaynaat ke muhibb, muttabe, ittaat ghuzaar aur paak'baaz sathiyon ke khilaaf zabaan e taan daraaz karne lage
unki qurbaanion ko unke uyoob bana kar pesh karne laga, unke naqs e qadam par chalne ke bajaaye un par taan wa tashee ke nashr chalaane laga,
aur yun usi giroh ne goya khud nabi e akram sallalaho alaihi wasallam par tanqeed ki ke
"nabi e akram sallalaho alaihi wasallam apni musalsal jeddo jehad ke ba'wajood bhi aise saathi taiyyar karne me naqaam rahe, jo aapke wafaadaar aur sacche pairokaar saabit hote, aap apne saathion ki tarbiyat na kar sake, wah maaz'allah ba'zaahir toh aapke saath rahe magar haqeeqat me unke dilon me Nifaaq tha, aur wah mahaz iqtedaar ki khaatir aap se waabasta rahe "
Is aqeede ke baad surah Nasr ka kya mafhoom baaqi rah jaata hai jisme alalh taala ne apne paighambar ko bashaarat dete hue farmaya
" jab allah ki madad aur fatah aa jaaye, aur aiy hamare nabi (sws) aap logon ko dekhen ke wah fauj dar fauj allah ke deen me daakhil ho rahe hain , toh aap apne rabb ki taareef wa tasbeeh aur istaghfaar karen ke wah tauba karne walon ki tauba qubaal karne waala hai "
Toh agar maaz'allah nabi ke saathi kuffar wa murtadeen they toh wah kaun log hain jo joq dar joq deen me daakhil hue ???
4- Jahoodion ki taraf se Quraan wa hadith par aitmaad khatm karne ki koshish
unhone aam taur par sahaba kiram (ra) ki takfeer ki,
isse unka maqsad ye tha ke jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam se baraah e raast faiz yaafta, aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam se Quraan sun kar logon tak pahunchaane waale hi maaz'allah kuffar wa munaafiqeen thahrenge toh unki jama kardah Quran par kaun aitmaad karega, aur yun Quraan kareem ki sehat mashqooq ho jaayegi, aur musalmaan kitab e hidayat se mahroom ho jaayenge, ya us par amal karna tark kar denge.....
Isi wajah se sabaiyyon ne aage chalkar ye aqeeda bhi akhtiyaar kar liya ke na sirf sahaba kiram (ra) ka imaan mashkook hai, balke unka jama kardah Quraan bhi tahreef wa tabdeeli se mahfooz nahin hai,
aur ye asal Quraan us 12we imam ke paas hai jo ghaar me chhupa hua hai.....
Jo log auzubillah Quraan kareem me khyaanat aur tahreef karne se baaz nahin aaye wah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ki taraf se bayan kardah uski takfeer wa tauzeeh aur aap ke irshaadaat wa faraameen me raddo badal se kyon kar baaz rahenge...
Aur is aqeede ke baad Quraan ke elaawah hadith ki sehat bhi mashqooq ho jaayegi, aur islam ki saari buniyaad hi gir jaayegi,
Yahoodi isme bhi kaamyaab hue, aur Shia qaum ne is aqeede ko bhi apne aqaid Me shaamil kar liya,
chunanche unke nazdeek na maujoodah Quraan asli hai aur Na hi hadith ki kutub Qaabil e aitmaad hai...
Shia ke aqaid ke mutaabik ab musalmaano ki hidaayat aur rahnumaayi ke liye koi kitab maujood nahin, asli Quraan ghaar me band hai,
chunanche 12we imam ke ghaar se nikalne ka intezaar kiya jaaye jo Qayamat tak nahin niklega,
aur hadith waise hi is qaabil nahin jispar aitmaad kiya jaaye....
6- dusre yahoodi afkaar wa nazariyaat ki ishaat maslan Aqeedah raja'at, tasarruf. Bada'a, aur ilm e ghaib wagerah aqaid ka zikr inshaallah isi kadi me aage karenge.....
Ye tamam ke tamam yahoodi aqaid Ibn saba aur uske dusre yahoodi saathion ne musalmaano me phailaaye,
hz ali (ra) ko ibn saba ki in sar'garmiyon se koi taalluk na tha, jaisa ke nau'bakhti ke hawaale se pahle ghuzar chuka hai iski taeed " Tauqul hamamiyah fi mubahisul imamiyah" me yahya bin hamza zaidi ne bhi ki hai,
Suwaid bin ghafla se marwi hai ke unhone kaha
" maine kuch logon ko hz abu bakr wa umar (ra) ke khilaaf gustaakhi ke kalimaat kahte hue suna, main seedha hz ali karamullah ki khidmat me haazir hua aur kaha ke kuch log abu bakr wa umar (ra) ko bura bhala kahte hai jinme abdullah ibn saba bhi hai, unka kahna hai ke aapka bhi yahi aqeedah hai magar aap zaahir nahin karte,
hz ali bahut zyada pareshan hue aur farmaya ' AUZUBILLAH RAHAMINALLAH ' allah ki panah, khuda hamare haal par raham farmaaye, phir aap (ra) shadeed ghusse aur pareshaani ke aalam me uthey, mujhe saath liya aur seedhe masjid me tashreef le aaye logon ko jama karne ka huqm diya, mimber par chade, is qadr roye ki aapki daadhi mubaarak aansuon se tarr ho gayi , phir aapne khutbe ka aaghaaz kiya aur farmaya
wah kaun bad'bakht hai jo abu bakr wa umar (ra) ki shaan me gustaakhi ka irtekaab karte hain wah toh nabi e akram sallalaho alaihi Wasallam ke bhai, saathi, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke musheer wa wazeer Quraish ke sardaar aur musalmaano ke aaqa they, unki shaan me gustaakhi ka irtekaab karne waalon se main buraat ka izhaar karta hoon, mera unse koi taalluq nahin, abu bake wa umar (ra) ke khilaaf taan wa tashnee karne waale sun lein, mera unke baare me ye aqeeda hai ke wah zindagi bhar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke muqaddas saathi ban kar rahe, neki ka huqm karte, aur buraiyyon se rokte rahe, unki khushi bhi allah ke liye thi, unka ghazab bhi allah ke liye tha, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam unki raaye ka ehteraam karte, unse be'panaah muhabbat karte, aur allah aur uske rasool ki khatir kisi Qurbaani se daregh na karte nabi e akram sallalaho alaihi wasallam se zindagi bhar khush rahe, unhone kabhi allah ke huqm se taja'wuz na kiya, wah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ki seerat ke taabe ban Kar rahe allah unpar apni rahmatein naazil farmaaye.....allah ki qasam ! Unse muhabbat karne waala momin aur bughz rakhne waala munaafiq hai, unki muhabbat baargaah e khuda'wandi me taqarrub ka zariya aur unse bughz bad'naseebi aur allah ki rahmat se doori ka sabab hai, allah us shakhs par laanat farmaaye jo apne dil me unke khilaaf bughz wa anaad rakhta hai "
( tauqul hamamiyah fi mubahisul imamiyah , manqool az mukhtasar isna asariyah mahmood hasan al tusi page 16, matbua egypt 1384 hijri)
khulefa e raashideen aue deegar sahaba kiram (ra) ke fazail wa manaqib me ahle sunnat ki kutub hadith wa tafseer me be'shumaar riwaayaat hai,
Shia ki maroof kitab Najhatul balagha ne bhi aise nusoos maujood hain,
Magar jahan tak shia Qaum ke deen ka taalluq hai toh wah yahoodion ka ijaad kardah hai,
iski buniyaad in wajahon par rakhi gayin jinka zikr ooper ho chuka hai,
Yahoodi nasal ibn saba aur uske Deegar yahoodi Saathion ne isko shuru kiya,
Shia Qaum apna taalluq Islam se jodn e ke liye Yahoodiyat se bura'at ka izhaar karti hai, magar jab tak wah in aqaid se ruju nahin karti jo yahoodiyat se maakhooz hain aur un afkaar ka bura'at ka izhaar nahin karti jo khalisatan Ibn saba yahoodi ki ijaad hain, us waqt tak Ibn saba yahoodi se unka Rishta nahin toda ja sakta
Shia Aqaid yahoodi aqaid hain unse Tobah kiye be'ghair Yahoodiyat se bura'at ka koi faayeda nahin
Shia Qaum ke deen ka agar tahqeeqi jaayeza liya jaaye toh yahi zaahir hota hai ke ye Qaum Yahoodi munaafiqon ke Phenke hue Lukme ko Chaba rahi hai, aur Unke phailaaye hue jaal ka shikaar bani hai.....
ALLAH TAALA HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE.......... AMEEN