Saturday, February 23, 2013

QADYAANI MAZHAB EK GANDA AUR GUSTAAKH MAZHAB HAI


Bismillahirrahmanirraheem



 


QADYAANI MAZHAB EK GANDA AUR GUSTAAKH MAZHAB HAI :




EK INTEHAAYI GHALAT AQEEDA:



Aur isse bhi badhkar qadyani, kitabullah, sunnat e rasool aur tamam islaami adyaan ke bilkul khilaaf ye aqeedah bhi rakhte hain ke


" Allah mubaasirat wa mujammat (sex) bhi karta hai, aur wah aulaad bhi paida karta hai"


aur isse bhi ajeeb tar ye ke

" khuda ne unhi ke nabi Mirzaayi ghulaam se mubaasirat wa mujammat (sex) ki aur phir nateejatan usse mirza ghulam ahmad qadyani paida hue"

yani

1- Mirza qadyaani se jama (sex) kiya gaya

2- Aur wahi haamila (pregnent) thahre

3- aur phir khud hi haamila ke nateeje me paida hue


Ab zara qadyaanion hi ki zabaan se suniye

Qazi yaar muhammad Qadyani likhte hain


" hz maseeh mau'ood (mirza) ne ek mauqa par apni haalat ye zaahir farmaayi ke kashf ki haalat aap par is tarah taari hui ke goya aap Aurat hain aur allah ne Rajooliyat ki Quwwat ka  Izhaar farmaya "

( islami qurbani page 43, musannaf qazi yaar muhammad qadyani)


Aur khud mirza e qadyaan kahta hai


" Maryam ki tarah Isa ki rooh mujhme nafakh ki gayi aur iste'aarah ke rang me mujhe haamila thahraaya gaya, aur aakhir kai maheene ke baad 10 maheene se ziyaadah unhen ba'zariyeh is ilhaam ke mujhe maryam se isa bana diya gaya, pas is taur se main Ibn maryam thahra"


(kashti nooh page 47, musannaf mirza ghulam qadyani)


aur phir


" allah taala ne Quraan shareef me mera naam hi wah maryam rakha jo Isa ke saath haamila hui aur main hi is farmaan baari ka misdaaq hoon

wa maryama abnata imraanal'lati ahsanat farjaha fana'fakhna feehi minar roohina

mere elaawah kisi aur ne is baat ka daawa nahin kiya "


( haashiya haqeeqatul wahi page 337, musannaf ghulam ahmad qadyani)


Aur isi bina par qadyani ye aqeedah rakhte hain ke


" Ghulam ahmad khuda ke bete hain, balke ain khuda hi hain "


Chunanche mutanabbi qadyaan kahte hain ke mujhe khuda ne kaha

" tu hamare paani se hai aur wah log buzdili se"

(anjaam aatham page 55)

aur allah ne mujhe ye  kah kar mukhaatib kiya hai

"sun aiy mere bete "

(al bushra jild 1 page 49)

aur farmaya

"aiy sooraj aiy chaand ! Tu mujhse hai aur main tujhse "
(haqeeqatul wahi page 73)


aur khuda ne faramaya ke


" main teri hifaazat karunga, khuda tere andar utar aaya, tu mujhme aur tamam makhlooqaat me waseela hai"

(kitab al bariyah page 75)


Aur ek maqaam par toh yahan tak kah deta hai


" maine khwaab me dekha ke main Khuda hoon, Maine yaqeen kar liya ke main wahi hoon"

(aina kamaalaat islam page 564, musannaf mirza qadyani)


aur


"tu mujhse aisa hi hai jaisa ke main hi zaahir hi gaya, yani tera zahoor dar'asal mera zahoor ho gaya"

(wahi muqaddas page 545)


ye hain Allah taala ke baare me Qadyaani aqaid...


Jabke Allah taala ne Muqaddas Quraan me nabi e akram ko mukhaatib karke kaha ke


" tu kah de ke Allah ek hai, allah be'niyaaz hai, na usne kisi ko jana (paida kiya) aur na use kisi ne jana aur jiske jod ka koi nahin"

( surah ikhlaas)


aur farmaya


" Wah log kaafir hue jinhone Maseeh ibn maryam ko Khuda kaha "

(surah maida 178)


aur farmaya


" Aiy kitab waalon ! Apne deen me mubaalagha na karo aur allah ke baare me sacchi baat ke elaawah aur kuch mat kaho, Nahin hain maseeh ibn maryam magar allah ke rasool aur uske Kalaam, jisko maryam ki taraf daala  aur rooh usme  daali, So allah ko maano aur uske rasoolon ko aur ye na kaho ke Khuda 3 hain, is baat ko kahne se ruk jaao, isme tumhari bahtari hai, Khuda sirf ek hi hai, isko laayeq nahin ke uski Awlaad ho, Zameeno aur aasmaano me jo kuch hai, usi ka hai aur kaafi hai, allah kaarsaaz hai"


(surah nisa 171)


aur irshaad farmaya


" Yahoodion ne kaha ke Uzair allah ka  Beta hai, aur nasaara ne kaha ke Maseeh allah ka beta hai, ye unke apne munh ki baatein hain (haqeeqat se jinka koi taalluq nahin), jaise pahle kaafiron ki resh me kah rahen hain, khuda ki maar ho inpar , ye kahan bhatakte fir rahe hain"


(surah tauba 20)


ALLAH TAALA QADYAANION KO SAMJHNE KI TAUFEEQ DE....... AMEEN