Friday, January 31, 2014

WASEELA AUR BARELWION KI DUNYAWI MASAIL

 Bismillahirrahmanirraheem



WASEELA AUR BARELWION KI DUNYAWI MASAIL


Waseele key meaning hain Allah ka takarrub Hasil karna Allah ke zati wa sifati namo ke zariye Dua karna... Allah ka takarrub hasil karne ke liye shirk se bach na aurRasool Allahsaw ke tareeke per zindagi guzar na taqwa ikhtiyar karna Allah ki raah mai Jihad Fee sabeel Allah karna ...

 inke zariye Allah ka takarrub hasil kiya jata hai jisse Allah khush hota hai aur hamari DUaye Qabool karta hai....., . 

Yeh Sharayee aur jayaz Waseela hai........

 iske siwa kisi Nabi Wali peer ya shaheed ko Allah se Dua mangte waqt Waseela banana hargiz jayaz nahi... 

Aaj Ummat ki aksariyat ka yeh haal hai ke Allah ko pukarte hain bhi to uske Un bando ka wasta aur zariya detey hue Jo Is Dunia Main Bhi nahin hain...

Unka kehna yeh hai ke kyonki hum Gunahgar log hain hamari pohch Allah ke Darbaar tak kahan ....

Woh hamari dua Directnahi sunta isliye hum buzurgo ke Waseele se Allah tak apni baat pohchate hain yeh log bht pohche hue aur ba-asar hain inki baat tali nahi jati isliye hum in Buzurg logo ka Waseela apni Dua mai lagate hain..... . 


Yeh Misal di jati hai ke jis tarha Badshah se milne ke liye darbanafsar sey milne ke liye Chaprasi aur chhat per charne ke liye seerhi ki zaroorat hoti hai usi tarhan Allah tak pohch ne ke liye bhi koee waseela zaroor hona chahiye isliye ke Allah ki taraf sey bhi hamein Deen aur Quran sab kisi ke Waseele se hi mila hai ....

 in baton ka , . ALlah ki Kitab jawab deti hai ..... . 

 " Pas Tum Allah ke liye Misalein na banao (isliye ke ) Allah janta hai aur tum nahi jantey " 

( Surah Al-Nahal-- 74 ) . 

In Duniawi Badshahon aur afsaron ke liye Waseele ki Zaroorat isliye parhti hai ke ...

 woh nahi jante ke ke jo shaks unke paas araha hai uski kya hajat hai kya zarooraat hai unhe uske haal ka kuch bhi ilm nahi hota isliye jab tak woh beech mai kisi ko Waseela na banaye unhe ane wale ka halat ka kuch malum na hoga ....

 lekin zara scohiye jo Paak zaat logo ke dilon ke haal se bhi wakif hai kya use bhi Kisi Waseele ki zaroorat hai ? . Hamara Allah to woh hai jo har baat ka ilm rakh hai hai... . 


Allah (SWt) ne farmaya

 " Tum baat posheeda kaho ya zahir Woh seeno ki har baat janne wala hai " 

( Surah al-Mulk---- 13) . 

ek jagah aur Allah ne farmaya 

" Hum hi ne Insan ko piada kiya hai aur jo khyal bhi uske dil mai paida hota hai hum use jante hain ... aur hum to rag-e-gardan se bhi zyada uske kareeb hain " 

(Surah Saq--- 16 ) . 

Yeh hai Allah ka mamla aur rahe doosre to unhe pukarne wale ki pukar ki khabar hi nahi hoti hai pohchana aur siwarish karna to baad ki baat hai.... , . 

Allah (SWT) ka irshad hai ..

 " aur usse barh kar kaun Gumrah ho sakta hai jo aiseko pukare jo kayamat tak use jawab na de sake aur jo inki pukaron se hi ghafil ho . " 

( Surahal-ahkaf -- 5 ) . 

mushrekeen e makkah ka sabse barha Aqeeda yahi tha ke woh kehte they ke hum inhe Allah ke paas apna sifarshi banatey hain... 

Woh Allah ko mantey they perAllah ke sath doosron ko bhi mantey they unka yahi Aqeeda tha ke ye buzurg auliya Allah ke paas hamari sifarish karenge... .

 Quran mai Allah ne is baat ko youn bayan kiya..... . .

 " Hum (Allahke Siwa) inki bandgi isliye karte hain ke woh Allah tak hamari rasayee kara dien "

 ( Surah Zamar -- 3 ) . . 

woh yeh bhi kehte they ke 

" yeh Allah ke paas hamare Sifarshi hain "

 ( Surah Younus --18 . . 

Allah ne in Mushre keen ko apni kitab mai youn jawab diya....


 " Keh do kya tum Allah ko woh baat batate ho jiska wajood na use aasmano mai malum hota hai aur na zameen mai Woh paak aur A'ala hai us shirk se jo woh karte hain" . 

( Surah Younus -- 18) . 

Yahi Allah ke darbar tak apni baat pohchane ka Masla Rasool Allah saw ke paas bhi laya gaya poocha gaya ke kya hamari duaye bina waseele ke Allah tak pohchti hain........... . . 

Allah ne apne Quran mai iska jawab diya. farmaya ....

 " ( Aiy Nabi ) jab mere bandey tumse mere Mutallik pooche to unhe batlao ke mai unse kareeb hi hoon pukar ne wala jab mujhe pukarta hai mai jawab deta hoon lihaza unhe chahiye ke woh mera hi hukum mane aur mujh per hi Iman layein take rah rasit palein ' 

( Surah Al-Baqra -- 186 ) . 

maqsad yeh hai ke bataya gaya ke tum mujhe nahi dekh sakte lekin yeh khyal na karo ke mai tumse doorhoon mere bande apni arz mujh se kar sakte hain mai unki sunnewala hoon hatta ke dil hi dil mai dil hi dil mai woh Mujh se guzarish karta hai mai use bhi sun leta hoon aur sirf sunta hi nahi faisla bhi sadir kar deta hoon .... 

aur jin be-ikhteyar hanstiyon ko tumne hajat rawan Mushkil khusha qarar de rakha hai unke paas to tumhe dorh dorh kar jana parta hai aur phir bhi na to woh tumhari sunwayeekar sakte hain aur na hi ye taqat hai ke tumhari darkhaston per koee faisla sadir karein........ . 

Allah (SWT) ka Irshad hai .. . 

" Tumhare Rub ne irshad farmaya hai ke tum Mujh se Dua karo maitumari Dua kabool karunga (aur ye ) jo log meri bandgi se takabbur kartey hain unko zaroor Jahannum mai dakhil karunga " 

( Surah al-Momin -- 60) . 

Jo Malik itna nazdeek ho itna sunne wala ho jawab dene wala ho itna mehrban ho ke apne farmabardar aur baghi sab bando ki sunta ho aur apne se mangne ka hukum bhi deta ho tu phir Intehayee zulm ki baat hai ke phir bhi us tak pohch ne ke liye apne banaye hue zariyon ka sahara liya jaye .... . . 

Allah ne apne se mangne ka hukum diya hai kahin bhi yeh nahi farmaya ke kisi bandey ke waseele se mujh se mango to mai Dua kabool karunga kahi bhi nahi hai aisa...... 

aksar log qabro per jane ki taweel yeh bayan karte hain ke.. hum wahan mang ne ke liye nahijate balki un buzurgo se apne liye Dua karwane jate hain... 

jabke Allah ne to farmaya hai ke aiy Nabi tum Murdon ko nahi suna saktey phir kyon hum bhatak rahe hain ... agar buzurgose dua hi karani hai to unki zindagi mai unse dua karayee jaye aur dua har momin musalamn se karayee ja sakti hai agar woh zinda hai to per marne ke baad apni dua mai buzurgo ya nabiyon ya kisi ka bhi waseela lagana khula shirk hai.... Allah sab ki hifazat karey Aameen . 


aaj jhooti riwayat ke zariye Rasool Saw ka waseela lagana jayaz hi nahi acha samjha jane laga ..


 riwayat bayan ki jati hai ke . . 


Adam A.s. ne jab Allah se apni ghalti ki maufi mangi to Rasool Allah saw ke waseele se dua mangi aur phir Allah ne poocha ke Mohammed naam ka ilm tumhe kaise hua Adam A.s. ne kaha ke mene arsh per likha dekha La ilaha Illlalah Muhammed ur Rasool Allah saw...

yeh Riwayat bayan karke Waseele ko jayaz thehraya jata hai.... 

hum yeh bhool jatey hain ke Allah ne Adam A.s ka sara qissa apne Quran mai bayan farma diya hai.... Adam A.s ne kya Dua ki thi ye bhi Quran mai hai ... woh Dua yeh hai.... . 


" Adam aur Hawwa ne kaha Aiy hamare Rub hamne apni jano per zulm kiya aur agar Tune hamein na baksaha hum per reham na kiya to hum khasara pane walon mai se ho jaynge.." 

( Surah al-Ahraf==23 ) . 

yeh hai Adam A.s ki dua aur yeh Kalmat Allah ne unhe sikh laye they kahan hai isme kisi ka waseela??? . 

aur mohaddeseen ne is Riwayat ko jhooti qarar diya hai .. RasoolAllah saw ki koee bhi Hadees Quran ki kisi bhi ayat ke kabhi bhi mukhtalif nahi ho sakti....

 aaj afsos ke hum sahee baat ko chor kar jhooti aur logo ki banayee huee baton ke peechechal diye.... 

khulasa yeh hai ke Allah ( SWT ) apni zaat aur sifat ke sadke aur waseele ke alawa har doosri zaataur sifat ke sadke aur waseele ko najayaz aur shirk qarar deta hai..Uska farman hai ke mere bandon mujh se mango pukar na hai to mujhe pukaro sirf mere paas hi woh khazane hain jo tumhari har hajat poori kar sakte hain .. " aur Allah Ta'ala ke ache naam hain usko usi ke namo se pukaro " 

( Surah al-Ahraf-- 180 ) .

 for Example...

 Maghfirat ki talab ho to Ya Rehman Ya Raheem , Rizk ki talab ho To Ya Razzak kehkar Allah se dua karo ...

 ab agar koee Allah ke namo ki jagah Uske Nabi wali Ya peer ka naam lekar kehta hai ke Allah inke sadke meri dua Qabool farma to iska matlab hua ke woh Allah ke zaat aur sifat ke behtreen naam se zyda Nabi ya wali ke naam ko asar dar mantahai .

.aur ye sirf Allah ke sath uske bande ko shareek therana hi nahi balki Allah ki shadeed Toheen bhi hai.... Allah-O-Akbar . Hum Un Logon Ka Amal dekhlein Jo deen ko hamse bht zyada samajhte the ... 

sahaba kiram sezyada deen to hum nahin samajh sakte na to ayein dekhein kya Sahab Kiram ne kabhi Rasool Allah SAW ka waseela apni dua main lagaya...... . 

" Anas bin malik Radhi. riwayat karte hain ke Hazarat Umar Radhi. jab barish nahi hoti thi to Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib se barish ki dua karwate they aur kehte they ke Ya Allah hum apne Nabi saw ko teri taraf (Dua ke Liye ) waseela banate they aurtu barish barsata tha (ab jabke woh hamme nahi hain ) hum apne Nabi saw ke chacha ko (Duamai) waseela banate hain Malik barish bhej aur barish ho jati thi" 

( . Saheeh Bukhari page 137 jild1 ) . 

ab hum khud sochein Rasool Allah saw se zyda fazilat wali zaat konsi hai jiska waseela duamai ikhteyar kiya jaye Hazrat Umar Radhi. se zyda deen ko samajh ne wala kon ho sakta hai aaj magar Rasool saw ke is duniase jane ke baad Woh na to Rasool saw ki qabr per jakar dua karte hain aur na apni dua mai Rasool saw ko waseela banate hain balki Rasool saw kechacha Hazrat Abbas Radhi. se dua karwate hain jo us time Zinda they ..

Thursday, January 30, 2014

JIHAD KYA HAI ?




Bismillahirrahmanirraheem

 
JIHAD KYA HAI ?
 
 
Jihad kya hai? 
 
Kya deshatgardi ki bunyaadi wajah Jihad hai?
 
 
 
 Kya Islam deshatgardi ki ijazat daita hai? 
 
Kya sub deshatgard Musalmaan hain? 
 
Ye wo sawalaat hain jnky jawab bht hain par such aur jhoot ka pta chalna abi baqi hai.


ALLAH Kareem nay Hazrat Muhammad S.A.W.W ko tmaam insaaniyat kay lye rehmat bna kr bheja, jnki sadaqat ki gawahi kaafir be daitay thay, tau aisay Nabi aur Allah ka mazhab deshatgardi aur khoonraizi ki ijazat kaisay dy skta hai?


 
ALLAH Kareem ny Quran mai waazaye kiya hai kay musalmaan aur ghair musalmaano kay darmiyaan rishta pyaar, aman, izzat aur bhaicharay par mabni hoga, Islam masoom logon kay qatal o gharat sy sakhti say manaa krta hai chahay wo kisi be nasal, zaat ya mazhab say hn. En sub dalayl kay bawajood Islam ko bunyaadparast mazhab kyun kaha jata hai?


Jihad ka lafz “ JEHAD” say nikla hai jska mtlab koshish, mushaqat aur taqat ka hai, jihad ka matlab ALLAH Kareem ki raah mai logon say larna hai jo Islam kay khilaaf baghawat krtay hain. Jihad zahir aur batin hota hai. Jihad batin ka matlab Nafs sy jihad hai, aur nafsaani khwaishaat par kaabu paana hai, ye jihad ka aalaa darja hai isay Jihad e Akbar be kaha jata hai.
 
 
Jihad Islam ka ek ahem fariza hai, Jihad ka hargiz ye matlab nahe kay ghair musalmaano ko jabran Islam ki taraf laya jaye, balkay ek aisa muaashra tashkeel daina hai jsmay amno amaan aur qanoon ki baladasti ho, aur aisa krna ek do din ya ek do saal mai mumkin nahe balkay esk lye puri zindage darkaar hai. Jihad ki kaen iksaam hain jnmay Jihad bin Nafs, Jihad bil Maal, Jihad bil Lisaan, Jihad bil Qalam, Jihad bid Dua hain.

 
Hazrat Muhammad S.A.W.W. aur unk Sahaaba R.A ki zindage jihad ka behtareen namoona the. Unho nay deen ki khatir kaen tarah ki takleefein bardasht kein, unho nay deen ki khatir talwaar uthai, aur jb zaroorat pari tau apna jaan aur maal ALLAH ki raah mai paish kiya. Nabi S.A.W.W aur unk Sahaaba ki zindage jihad ka behtareen namoona hai. Ghair musalmaano ko zabardasti Islam ki taraf raaghib krna, zaalim hukmaran ki baat maan’na, jihad nahe.
 
 
Jihad ka asal maqsad deen Islam ki sar bulandi hai, eskay lye har kisam ki koshish krna, apni tmaam maali, jaani aur dimaaghi quwaton ko ALLAH ki raah mai surf krna hai, yhan tk kay apna khandaan, aur qaum ki jaan ki be parwa na krna hai. Esi lye Jihad ko Islam mai bhari ebaadat qaraar diya gaya hai. Agr kici Islami mulk par hamla ho tau es soorat mai jihad es mulk kay tmaam logon par namaz aur rozay ki tarah farz ho jata hai. Jihad ek koshish hai aur Islam mai eskay waazaye asool bayan kiyay gaye hain. Baghair kisi ameer ya leader kay jidojehad ko jihad qaraar nahe diya jaye ga. Jihad ka maqsad mazloom musalmaano ki madad krna, Islam ki aashaat aur ALLAH ki raz’aa haasil krna ho.


Wednesday, January 29, 2014

AMBIYA APNI QABRON ME ZINDA HAIN AUR NAMAZEN PADHTE HAIN

 Bismillahirrahmanirraheen




Zaeef Riwayat . 

Hazrat Anas RaziAllaho anho Se Riwayat He ke RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: 

"Ambiya Apni Qabro mein Zinda Hain or Namazain Parhte Hain" 


Ye Zaeef Riwayat In Kutub e Ahadith me he: 

([1], Musnad e Abi Yaala, Page: 658, Hadees# 3425, [2] Hayat ul Ambiyah (Imam Bayhqi) Page: 3, Hadees# 2, [3] Musnad ul Bazzar, Jild: 13, Page: 299, Hadees# 6888, [4] Fatah Ul Bari, Jild: 6, Page: 602, Majmua uz Zawaid, waghera...... 


Is Riwayat ko Muhadditheen is Sanad se Bayan karte hain: 


(Mustalim bin Saeed ki Sanad Hajjaj se, Inki Sanad Sabit Al Bannani Se, inki Sanad Hazrat Anas RaziAllahoanaho se......) . 


1, Is Riwayat ki Sanad me"Hajjaj" naami rawi Mojood he, Jis Ka Mukammal Naam Malum nahi he Jese Us ki Waldiyat (Father) Or Nasb (Lineage) Mukammal Likha ho. . 

*Hajjaj Ke Mutalliq kaha jata he Ke ye Rawi Hajjaj Bin Abi Zeyad Al-Aswad (Siqah- Authentic) he , Kiun ke kuch Sanado me Iska Naam 'Hajjaj Bin Aswad' Aaya he,Jis Ke Mutalliq Imam Zahbi RahmatULLAH Alaih Farmate hain:


 "Hajjaj Bin Al-Aswad ki Sanad Sabit Al Bannani se Munkar (Yani Zaeef) He, Mere .Ilm ke Mutabiq . . Mustalim Bin Saeed ke Ilawa kisi ne Is Se ye Riwayat Bayan nahi ki, Or Wo Is Se ye 'Munkar' Khabar Laye Hain.... (Or Agay mazkoora Riwayat 'AmbiyaApni Qabro' bayan ki)" 

(Meezan Ul Aitdaal, Jild: 2, Page: 199, Number: 1730) 

Hajjaj Ya Hajjaj Bin Al-Aswad ka is sanad me Hona is Riwayat ko Zaeef sabit karta he Jesa Imam Zahbi ne bayan kia Or Imam Zahbi ne Jis 'Hajjaj Bin AlAswad' ki Riwayat ko Munkir Kaha he ye 'Hajjaj Bin Abi Zeyad' nahi Kiun ke Hajjaj Bin Abi Zeyad K Mutalliq Aap ne Farmaya 

"Hajjaj Bin Abi Zeyad 'Sadduq' wa KaanaMin asSulaaha (Yani Sache or Naik the) Or inka Naam "Hajjaj Al-Aswad Al-Qasmali" bataya Na ke Hajjaj BIN Al-Aswad. 

(Seerah Aalam An-Nubula, Jild: 6, Page: 43, Number: 1167) . . 


Yani Imam Zahbi Ne Jis Hajjaj bin AlAswad ki Riwayat ko Zaeef kaha he Wo alag he Aur Hajjaj Al Aswad Aik Alag Raawi hain. Or Imam Zahbi Ne Hajjaj Bin Al Aswad ko 

(Talkhees Al Mustadrak, Jild: 5, Page: 250, Hadees# 8113)

 ki Sanad Me Siqah bhi Kaha he Magar Yahan"Hajjaj Bin Aswad ki Sanad Muhammad Bin Wasa'e" se bayan he Or Meezan ul Aitdal me Imam Zahbi ki Jarah 'Hajjaj Bin Aswad ki Sanad Sabit' se Par he or Phir Is Puri Hadith ko Zaeef kaha he. . 


Muqaddimeen Muhadditheen me se kisi Ne bhi Is Riwayat ki Sanad me Hajjaj ko(Hajjaj Bin Abi Zeyad Al Aswad) Nahi likha. .


 2, (Imam Bayhqi) ki Kitab Hayat Ul Ambiya Me Is riwayat ki Pehli Sanad Me 'Hajjaj' ka naam 'HajjajBin Aswad' Bataya he Jis Par Imam Zahbi Ki Meezan Ul Aitdal me Jarah (Disparage) Mojud He or Sath he Is Sanad Me Ek Aur Sakht Zaeef Raawi "Hasan Bin Qutaibah" Mojood he Jis ke Mutalliq Imam Zahbi farmate hain 'Ye Halak Hone ke laiq he', 


Imam Darqutni Farmate hain

 'Ye Ahadith ko Tark (Deny) karne wala tha',

 Imam Abu Hatim Ne isay 'Zaeef' kaha he. 

(Meezan ul Aitdal, Jild: 2, Page: 270, Number: 1936) . 



3, Musnad ul Bazzar me bi 'HasanBin Qutaibah' ka Zauf shamil hai or Wahan Imam Bazzar ne 'Hajjaj' ko Hajjaj Bin Abi Usman Al Sawwaf (Siqah) likha he, Is he Lie Hajjaj Ka Mukammal Naam Pata na Hona aur Baaz Aimma Kaisay Sirf Hajjaj, Hajjaj Bin Aswad Ya Hajjaj Al Aswad Kehna bhi Is Riwayat ki Sanad ko Mashqooq Sabit karta he. . 


Aisi he Riwayat Zaeef Sanad ke saath Tareekh e Asbahan me Mojood he jis me 'Hajjaj' ke bajaye Raawi ka naam 'Shajjaj' likha hua he aur Ek Raawi Abdullah bin Ibrahim bin AlSabah (majhool) unknown he, Is ke ilawa Riwayat ke Alfaz hain"Ambiya Apni Qabro Me Namazain Parhte hain" (Zinda hone ke alfaz mojood nahi hain)


 [Tareekh e Asbahan, Jild: 2, Number: 1026] .;


Is Tafseel Se malum hota he ke Ye Ajeeb o Gharib Riwayat Sanad ke sath Matan me bhi kamzor He Aur Is ke Ilawa Islami Aqeedah ye batata he ke baad az wafaat Ambiya, Shohda aur Momineen Apne Rab ke Pass Zinda hain 


Allah Ta'ala ka Irshad He:


 "Or Jo Allah Ki Raah me Shaheed Kie gaye unhan har giz Murdah Na Khayal Karna balke Wo Apne Rab Ke Pass Zinda Hain, Rozi Paate hain." 


(Surah e Aal Imran, Ayat: 169) . 

Yani Wo Allah Rabbul Izzat ke Haan Arsh par hain Na ke Dunia me Mojood Aur Ambiya AlaihimusSalaam ka Rutba Shohda se Bhi ziada he to un ke Mutalliq ye Aqeedah rakhna ke Woh Duniya me Zinda hain kisi lehaz se Sabit nahi or Is Ayat ki wazahat RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne Farmai ke . 


"In (Shohda) ki Roohain sabz Parindo ke Qalib me hain, Arsh ki Qandilain in ke lie hain sari jannat me Jahan kahin Chahain Charen chugain or Qandeelo me Aaraam karain..." 

(Sahih Muslim, Kitab ul Emaraat, Hadees# 4885) . 

Aur Allah Ta'ala ne Farmaya 

"Aur Jo Log Allah aur us ke Rasool (Sallallaho Alaihewasallam) ki Ita'at karte hain Wo In Logo ke saath honge Jin par Allah ne BaraFazal Kia Yani Ambiya aur Siddiqin aur Shohda aur Naik Log Aur in Logo ki Rafaqat bohothe khoob he" 

(Surah e Nisa, Ayat:69) . 

Yaani Allah ne jo Sharf apne Khaas bando ko bakhsha he wo Insan k Guman se bohot buland he or Duniyawi zindagi ko Mukammal Itaa'at k sath guzarne ke baad Allah ne unhain Jannat ka Inaam Ata kia. Jab Shohda e Karaam ki Roohain Jannat me hain to Ambiya e Karaam Alaihesalam Un se badarjaha Aalaa Jannat ke Aala o Afzal tareen Muqamat o Mehlaat me hain, Shohda ki ye Hayat Jannati, Ukhruwi o barzakhi he Is he Tarah Ambiya ki Hayat Jannati, Ukhruwi aur Barzakhi hejo Dunia se Alag he. .; 

Ye Riwayat Sanad (Chain Of Narration, Authenticity) Ke Lehazse bhi Zaeef He Or Matan (Meaning) Ke Lehaz se Bhi Kisi Sahih Hadith or Mustanad Islami Nazariye ke Mutabiq Nahi, 


Allah Taa'aala Se Dua He ke Hamain Aur Aap ko Deen Ki Wo Soch Ata farma Jo Haq Ki taraf Le jati ho Aur Jannat ka Raasta Aasan Banane Wale Aamal or Aqaid Apnane ki Tofeeq Ata Farmaye. Ameen

DARBAAR E KHILAAFAT ME ULEMA E DEEN KI HAQ'GOYI






Bismillahirrahmanirraheem

Ulema E Deen Ki Haq'goy Wa Be'baaqi Aur Be'niyaazi,

1- HZ SAYEED BIN MUSAYYAB (RH) AUR UMAWI KHALEEFA :

Aapka Shumaar Madeena Ke 7 Mashoor Fuqaha Me Hota Hai, Balke Aapko "Faqeehatul Fuqaha" Kaha Jaata Hai,

Nez Aap Buland Paaye Muhaddis Bhi They, Jab Abdul Malik Bin Marwan Khaleefa Hua Toh Aapne Uski Baiyyat (Allegiance) Karne Ki Bina Par Mukhaalifat Ki Ke Bila Im'teyaaz Ahliyat Jaanasheeni Ki Dhaagh Beil Pukhta Ki Ja Rahi Hai,

Is Jurm Ki Paadaash me Aapko Abdul Malik Ne Qaid Kar Diya,

Kuch Arsah Baad Jab Usko Baghaawat Ka Khatrah Na Raha Tab Aapko Riha Kiya,

Aapko Is Baat Par Bhi Aitraaz Tha Ke ye Umra Baitul Maal Me Zaati Tasarruf Karne Lage Hain,

Aapko Khilaafat E Raashida K Daur Se Bait Ul Maal Se Wazeefa Milta Tha,

Jab Aapne Ye Soorat E Haal Dekhi Toh Aapne Wazeefa Lena Band Kar Diya,

Chunanche Aapki 30000 Ki Raqam Bait Ul Maal Me Jama Ho Gayi, Kai Baar Unhe Wasooli Ke Liye Bulaaya Gaya, Lekin Aapne Har Martaba Inkaar Se Kaam Liya

(Encyclopedia, Firoz Sons Page 818)

2- HZ SAALIM BIN ABDULLAH BIN UMAR (RA) AUR HISHAM BIN ABDUL MALIK

Ek Dafa Hajj Ke Mauqe Par Hisham Bin Abdul Malik Kabatullah Gaya Toh Wahan Hz Saalim Ko Bhi Dekha

Unke Qareeb Aakar Kahne Laga

"Hz Mujhe Koi Khidmat Ka Mauqa Diya Jaaye"

Aapne Farmaya: " Allah Ke Ghar Me Kisi Aur Se Maangna Sharm Ki Baat Hai"

Fir Jab Aap Kaba Se Baaher Nikle Toh Khaleefa Haazir Hokar Kahne Laga

" Hz Aap toh Kaaba Se Baaher Hain, Kuch Taalab Farmaiyen"

Hz Saalim Ne Poocha :

"Tum Kya De Sakte Ho , Duniya Ya Deen ??"

Kahleefa Kahne Laga:

"Duniya Hi Se De Sakta Hoon"

Aapne Farmaaya

" Duniya Toh Maine Apne Malik E Haqeeqi Se Bhi Kabhi Nahin Maangi, Apse Kaise Maangun ??"

Is Jawaab Par Hisham La:jawaab Ho Kar Chala Gaya

(Hikayat Azeemat page 16)

3- IMAM ABU HANIFA (RH) AUR IRAQ KA GOVERNOR:

130 Hijri Me Banu Umayya Ke Ahad IraqI Governor Yazeed Bin Umar Ne Imam Sahab Ko Bula'kar Kaha Ke

" Main Aapke Haanth Me Apni Muhar Deta Hoon, Koi Huqm Naafez Na Hoga Jab Tak Aap Is Par Muhar Na Karen, Aur Na Hi Aapki Muhar Ke Be'ghair Bait Ul Maal Se Koi Maal Niklega"

Imam Sahab Ne Is Ahad Ka Inkaar Kar Diya Toh Governor Ne Aapko Qaid Kar Diya Aur Kode Maarne ki Dhamki Bhi Di, Magar Aap Apni Baat Par Ade Rahe,

Dusri Sarkaari Ulemaon Ne Unhen Samjhaaya Ke

"Apne Ooper Raham Karo, Ham Bhi Apne Is Ohde Par Naakhush Hain, Magar Majbooran Qubool Kiya Hai , Tum Bhi Maan Lo"

Aapne Farmaya:

"Agar Governor Mujhse Sirf Ye Khidmat Chaahe Ke Iske Liye Waastah Ki Masjid Ke Darwaaze Ginun Toh Bhi Qubool na Karunga, Jabke Wah Kisi Aadmi Ke QataL Ka Huqm Likhe Aur Main Muhar Lagaaun,

Khuda Ki Qasam ! Main Is Zimmedari Me Shareek Na Hunga"

Fir Governor Ne Aapke Saamne Kai Ohde Pesh Kiye Magar Aap Musalsal Inkaar Karte Rahe

Bila'aakhir Governor Ne Aapko Koofa Ka Qazi Banaane Ka Faisla Kiya Aur Qasam Kha Li Ke

"Agar Imam Inkaar Karen Toh Unhen Kodeon Se Peeta Jaayega"

Iske Jawab Me Imam Sahab Ne Bhi Kasam Kha Li Ke

"Is Duniya Me Kode Khalena Mere Liye Aakhirat Ki Saza Bhugatne Se Zyadah Asaan Hai, Main Ye Ohda Qubool Nahin Kar Sakta"

Aakhir Governor Ne Rozaana 10 Kode Lagaane Ka Huqm De Diya,

10 Roz Tak Aap 10 , 10 Kode Khaaate Rahe, Tan Kisi Ne Governor Ko Ittela Di Ke Ye Shakhs Marr Jayega, Magar Aapki Baat Nahin Maanega,

Governor Ne Kaha Ke

"Koi Aisa Shakhs Nahin Jo Ise Samjhaaye Aur Ye Shakhs Mujhse Muhlat Hi Maang Le??"

Imam Sahab Ko Ye Baat Pahunchaayi Gayi Toh Aapne Mashwarah Ke Liye Mohlat Talab Kar Li Aur Riha Hote Hi Koofa Ko Chhodkar Makka Chale Aaye, Aur Banu Ummyya Ki Sultanate Khatm Hone Tak Waapas Na Hue

(Hukumat Aur Ulema E Rabbani Page 25)

4- KHALEEFA MANSOOR KI KHILAAFAT KI TAUSEEQ IMAM ABU HANIFA AUR IBN ABI ZAIB (RH)

Khaleefa Mansoor Ne Apni Khilaafat Ki Tauseeq Ke Liye Chand Mumtaaz Ulema Ko Darbaar Me Bulaaya,

Unme Imam Abu Hanifa (Rh) Aur Ibn Abi Zaib (Rh) Bhi They,

Aur Sawal Kiya Ke

"" ye Huqumat Jo Allah Taala Ne Mujhe Is Ummat Me Ata Ki Hai Uske Taalluq Se Aapka Kya Khyaal Hai ?? Kya Main Iska Ahal Hoon ??"

Mansoor Pahle Ibn Abi Zaib (Rh) Ki Taraf Mutawajjoh Hua Toh Unhone Jawab Diya Ke

" Duniya Ki Baadshahi Allah Jisko Chaahta Hai Ata Karta Hai, Magar Aakhirat Ki Baadshahi Usko Deta Hai Jo Uska Taalib Ho Aur Allah Usko Uski Taufeeq De, Allah Ki Ita'at Se Taufeeq Naseeb Hogi Aur Na'farmani Ki Soorat Me Door Rahegi, Haqeeat Ye Hai Ke Khilaafat Ahle Taqwa Ke Ijma Se Qayem Hoti Hai Aur Jo Shakhs Khud Uspar Qabza Kar Le Usme Koi Taqwa Nahin, Aap Aur Aapke Madadgaar Taufeeq Aur Haq Se Munharif Hain, Aap Allah Se Salaamati Maangen, aur Paakiza Aamaal Se Uska Qurb Haasil Karen "

Imam Abu Hanifa (Rh) Kahte Hain Ke

" Jis Waqt Ibn Abi Zaib Ye Baat Kah Rahe They Toh Maine Apne Kapde Samet Liye, Khyaal Ye Tha Ke Abhi Iski Gardan Uda Di Jaayegi Aur Khoon Ke Chheente Ham Par Padenge"

Iske Baad Khaleefa Imam Abu Hanifa (Rh) Ki Taraf Muta'wajjoh Hua Toh Aapne Farmaya

" Aapko Khud Malum Hai Ke Aapne Hamen Allah Ke Khaatir Nahin Bulaaya ; Balke Isliye Ke Ham Aapke Darr Se Aapki Mansha Ke Mutaabik Baat Kahen Aur Wah Awaam Ke Ilm Me Aa Jaaye,

Jab Ke Haqeeqat Ye Hai Ke Aapki Khilaafat Par Ahal E Taqwa Me Se 2 Aadmiyon Ka Bhi Ijma Nahin Hua, Haalaanke Khilaafat Musalmano Ke Ijma Aur Mashware Se Hoti Hai"

Darbaar Bar'khaast Hua Toh Mansoor Ne Apne Wazeer Rabi'ee Dirhamon Ke Do Tode Dekar Bheja Aur Hidaayat Ki Ke Agar Ibn Abi Zaib (Rh) Aur Abu Hanifa (Rh) Ye Tode Qubool Kar Len Toh Unka Sar Utaar Laana "

Jab Rabi'e, Ibn Abi Zaib (Rh) Ke Paas Pahuncha Aur Tohfa Pesh Kiya Toh Aapne Kaha

"Main Ye Maal Mansoor Ke Liye Bhi Halaal Nahin Samjhta, Apne Liye Kaise Halaal Samjhun??"

Aur Abu Hanifa (Rh) Ne Kaha

"Khwaah Meri Gardan Uda Di Jaaye Main Is Maal Ko Qubool Na Karunga"

Mansoor Ne Ye Jawab Sunkar Kaha Ke

"Inki Be'niyaazi Ne In Dono Ka Khoon Bacha Liya"

(Hikaayat Azeemiyat 26, Nez Manaqib Imam abu Hanifa Jild 2 Page 15-16)

Kisi Ko Raam Karne Ke Liye Hukumaton Ke Yahi Do Hathkande Hote Hain,

Dhons Aur Laalach,!!

Yahi Tareeqe Mansoor Ne Bhi Istemaal Kiye,

Lekin Aimma E Deen Na Sunehri Pinjare Me Band Hue Na Hi Apni Maut Se Dare,

Unhone Apni Jaan Ki Baazi Lagaakar Bhi Deen Ki Kisi Adni Se Shak Par Bhi Aanch Na Aane Di.....

HZ DHUL-QARNAIN KAUN THEY ????






Sawal- Dhul -Qarnayn Kaun The Quran Inke Bare Me Kya Batata Hai-
.
 

Answer-

Dhul -Qarnayn Ke Lafzi Maana Hai 2 Singo Wale Ke Ye Nam Isliye Pada Ki Asal Me Uske Sar Par 2 Sing The Ya Isliye Ki Usane Mashrik Wa Maghrib Yani Duniya Ke Dono Kinaro Par Pahunch Kar Suraj Ke Karan Ka Mushahda Kia Tha Kuch Kahte Hai Ki Uske Sar Par Balo Ki 2 Late Thi Karan Balo Ki Lat Ko Bhi Kahte Hai Yani 2 Lato Ya 2 Mendho Ya 2 Julfo Wala
 


Kadeem Mufsserin Ne Aamtaur Par Uska Misdak Sikandar Rumi Ko Qarar Dia Hai Jiski Fatuhat Ka Daira Mashriq Wa Maghrib Tak Faila Hua Tha Lekin Jadeed Mufssereen Ne Jadeed Tarikhi Malumat Ki Nazar Se Us se Itefaq Nahi Karte Hai Khastaur Se Maulana Abul Kalam Azad Hind
Maulana Abul Kalam Azad Tafseer Tarzumanul Quran Jild Awwal Safa 399 Tab'aa Kadeem Me Dhul -Qarnayn Ke Bare Me Likhte Hai Ki 


Dhul -Qarnayn Ko Allah Ne Asabab Wa Wasail Ki Farwani Se Nawaza Tha Wah Mashriqi Wa Maghribi Mamalik Ko Fat'ah Karta Hua Aik Aisi Pahri Durre Par Pahuncha Jiski Dusari Taraf Yajuj Majuj The Usne Waha Yajuj wa Majuj Ka Rasta Band Karne Le Liye Ek Nihayat Muhkam Bandh Tameer Kia Wah Aadil Wa Allah Ko Manane Wala Akhirat Par Iman Rakhne Wala Tha Wah Nafs Parsat Aur Mal Wa Daulat Ka Harees Nahi Tha Us Se Murad Farsi Ka Wah Azim Huqmaran Hai Jise Yunani Cayrus , Ibrani Khuras Aur Arab Khusru Ke Nam Se Pukarate Hai Uska Daure Huqmrani 539 Kabl Masih Hai 

Yah Bhi Farmate Hai Ki 1838 Me Cayrus Ke Ek Mujassame Ka Bhi Inkshaf Hua Jisme Cayrus Jism Is Tarah Dikhaya Gaya Ki Uske Dono Tarf Ukab Ki Tarah Par Nikale Huwe Hai Aur Sar Par Mendhe Ki Tarah 2 Sing Hai
 


[Tafsir Ke Liye Mazkura Wala Hawala]
.
 

Quraish Makkah Ko Yahudiyo Ke Jakheere Ilm Par Kafi Aitmad Tha Unhone Haris Aur Uqba Bin Abi Mueet Ko Yahudiyo Ke Pas Madina Bheja Tha Ki Muhammad Rasul s.a.w Kya Waqai Allah Ke Nabi Aur Rasul Hai?
 


Muhammad s.a.w Us Waqt Makkah Me Hi Me The Hijrat Karke Madina Nahi Aye The Un Yahudiyo Ne Muhammad s.a.w Ke Rasul Aur Nabi Ki Tasdeek Aur Takjeeb Ke Liye 3 Sawalat Kuraish Ko Talqeen Kiye The Ek Ruh Se Mut'alik ,Dusra Ashabul Kahaf Aur Teesra Dhul -Qarnayn Ke Mut'allik Tha Tab Quraish Ne Madina Se Wapas Aakar Makkah Me Muhammad s.a.w Se Yah 3 Sawalat Kiye Jin Me 2 Sawalo Ke Jawab Us se Pahle Bayan Kiye Ja Chuke Teesra Dhul -Qarnayn Ka Hai Allah Ne Us Waqiya Ka Quran Majeed Me Yun Bayan Farmaya Hai
-
 

18.83 Aap say zulqarnain ka waqiya yeh log daryaft ker rahey hain aap keh dijiye kay mein unn ka thora sa haal tumhen parh ker sunata hun.
 

18.84 Hum ney ussay zamin mein qooat ata farmaee thi aur ussay her cheez kay saman bhi inayat ker diye thay.
 

18.85 Woh aik raah kay peechay laga.
 

18.86 Yahan tak kay sooraj doobney ki jagah phonch gaya aur ussay aik daldal kay chashmay mein ghuroob hota hua paya aur iss chashmay kay pass aik qom ko bhi paya hum ney farma diya kay aey zulqarnain! Ya to tu enhen takleef phonchaye ya inn kay baray mein tu koi behtareen ravish ikhtiyar keray.
 

18.87 Uss ney kaha jo zulm keray ga ussay to hum bhi abb saza den gay phir woh apney perwerdigar ki taraf lotaya jayega aur woh ussay sakht tar azab dey ga.
 

18.88 Haan jo eman laye aur nek aemaal keray uss kay liye to badlay mein bhalaee hai aur hum ussay apney kaam mein bhi aasani hi ka hukum den gay.
 

18.89 Phir woh aur raah kay peechay laga.
 

18.90 Yahan tak kay jab sooraj nikalney ki jagah tak phoncha to ussay aik aisi qom per nikalta hua paya kay unn kay liye hum ney uss say aur koi oat nahi banaee.
 

18.91 Waqiya aisa hi hai aur hum ney uss kay pass ki kul khabron ka ehaata ker rakha hai.
 

18.92 Woh phir aik safar kay saman mein laga.
 

18.93 Yahan tak kay jab do deewaron kay darmiyan phoncha unn dono kay paray uss ney aik aisi qom paee jo baat samjhney ka qareeb bhi na thi.
 

18.94 Unhon ney kaha aey zulqarnain! Yajoob majooj iss mulk mein (baray bhari) fasadi hain to kiya hum aap kay liye kuch kharch ka intizam ker den? (iss shart per kay) aap humaray aur unn kay darmiyan aik deewat bana den.
 

18.95 Uss ney jawab diya kay meray ikhtiyar mein meray perwerdigar ney jo dey rakha hai wohi behtar hai tum sirf qooat taqat say meri madad kero.
 

18.96 Mein tum mein aur inn mein mazboot hijab bana deta hun. Mujhay lohay ki chadaren laa do. Yahan tak kay jab inn dono paharon kay darmiyan deewar barabar kerdi to hukum diya kay aag tez jalao ta-waqt-e-kay lohay ki inn chadaron ko bilkul aag ker diyato farmaya meray pass laao iss per pighla hua tanbaa daal doon.
 

18.97 Pus to inn mein iss deewar kay upper charhney ki taqat thi aur na iss mein koi soorakh ker saktay thay.
 

18.98 Kaha yeh sab meray rab ki meharbani hai haan jab meray rab ka wada aayega to issay zamin boss ker dey ga be-shak meray rab ka wada sacha aur haq hai.

Tuesday, January 28, 2014

HADITH-E-NOOR KA TAHQEEQI JAYEZA

Bismillahirrahmanirraheem


 HADITH-E-NOOR KA TAHQEEQI JAYEZA


Allah T'ala Ne Tamam Makhlooq Ko Paida Karne Se Pahle Apne Noor Se Tere Nabi Ka Noor Paida Farmaya 

Riwayat Ki Tahqeek. - 

Hazrat Jabir RaziAllahoanha Se riwayat he ke Main ne bargah e Risalat Maab Sallallaho Alaihewasallam Arz Kia: Ya RasoolUllah Sallallaho Alaihewasallam Mere maa baap Aap (Sallallaho Alaihewasallam)par Qurban! Mujhe Batayen ke Allah taa'ala ne Sab se Pehle Kis Chez ko Paida kia? 

RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: 

" Ae Jabir! beshak Allah Taala ne tamam Makhlooq (Ko paida karne) se pehle Tere Nabi Ka noor Apne Noor se Paida farmaya, Ye Noor Allah ki Mashiyat se jahan Us ne chaha Sair karta raha. Us waqt na loh thi Na Qalam, Na Jannat thi na dozakh, na (koi) farishta tha na Asman na zameen, na suraj tha na chand, na jin the aur na insan,jab Allah taala ne Iradah Farmaya ke makhlooq ko paida kare to Usne Is Noor ko char Hisson me taqseem kardia. Pehle Hisse se Qalam banaya, dusre hisse se Lohor teesre hisse se arsh banaya. Phir chothay hisse ko mazeed char hisson me taqseem kia to pehle hisse se arsh uthane wale farishte banaye or doosre hisse se Kursi or teesre hisse se baqi farishte paida kie. Phir chotay hisse ko mazeed char hisson me taqseem kia to Pehle hisse se asman banae, dusre hisse se zameen or teesre hisse se Jannat or dozakh banai, Phir chotay hisse ko mazeed char hisson me taqseem kia to Pehle hisse se Momino ki Ankho ka noor banaya, Dusre Hisse se in ke Dilo ka noor (Yani Allah ki muarfat) banaya, teesre hisse se In ke Ins ka noor (Yani Tauheed LAAILAAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH) paida kia..." 

Ye Riwayat Bagher Mukammal Sanad (Unauthenticity) ke In Kutub Me mojood he: 

(Al Muwahib al ladunniyya, Jild:1 Page: 89, Kashful Khafa, Page: 237, Hadith# 826, Fatawae Hadithiya, Page:206, Madarij un Nabuwwah, jild:2, Page:2, waghera.... ) 


Is Riwayat Ke Zaeef hone ki Waja ye he ke Is Riwayat ki Sanad in kutub me is tarah he ' Imam Abdur Razzaq ki riwayat hay jisy unhoun nain apni Sanad say Jabir Bin Abdullah (RaziAllahoanho) say riwayat kia hay:' 


*Imam Abdur Razzaq ki Paidaish (birth) 126 hijri he 

(Tehzeeb ul kamal, Jild:6, page: 85 Number: 4185) 


or Hazrat Jabir RazirAllahoanhoki Tarikh e Wafaat (death) 78 Hijri he 

(Tehzeeb ul Kamal, Jild:2, Page:160, Number:873) 


Dono Raawio ke darmyan 48 saalka waqfa he or Is he lie ye riwayat Mangharat kahi jati he ke is ki Mukammal sanad (chain of narrators) bhi malum nahi hosaki or na Imam Abdur Razzaqki likhi jane wali kisi bhi kitab me Is riwayat ka koi nishan hai, 


Ap ki likhi hui kitabo me (

1-Tafseer ul Quran Al-sanani, 
2- Musannaf Abdur Razzaq, 
3-JamaeKabir) 

hain magar kisi kitab main bhi yeh riwayat mojood nahi. 

Taqreeban adhi sadi ke arse me Do ya Ek Rawi to Imam Abdur Razzaq ki sanad me Hona chahiye tha magar Ye Mangharat Riwayat, Sanad Munqata (breakage) ki Waja se bhi Mozoo qarar di gai he. Is Riwayat Ko katibeen ne Bagher Mukammal Sanad ke likha he or iski Nishandahi ki gai he jiski koi haqiqi hesiyat nahi he. 

Aaj k daur ke kuch Kazzabo or Firqa Parast logo ne is Hadith ko sahih sabit karne ke lie Ek Besanad Kitab (Juz al-Mafqud min al-Juz al-Awwal min al-Musannaf Abdur Razaq "Yani Musannaf AbdurRazzaq kay Pehlehissay Ka Gumshuda Hissa") 2005 me publish kar ke is riwayat ki Sanad paish karna chahi Magar AlhamadoLILLAH wois sazish me nakam hue or Musalamano ko dhoka dene me unhain Ulama e Haq ke samne sharam ka samna karna para, 

Is Kitab me in Gumrah logo ne 40 kQareeb ahadith o athar likhe hain, Agar is kitab me Is riwayat ko Pichli kutub se milaya jaye to Mazkoora Riwayat or Juz e Mafqud (Yani Jaali Juz) ki riwayatke Alfazo (matan) me Farq he jo bilkul Wazeh kardeta he ye Ye kitab bhi jhooti he Is Gumshuda Nuskhe Ka Likhne Wala 'Ishaq Bin Abdur Rahman AlSulemani' bataya jata he

 (see Juze Mafqud, Page 10), 

Jo ke Majhool (Unknown) he or Us ki Imam Abdur Razzaq tak ki sanadbhi na-mukammal (Break) he. Is Jaali Nushke or Jhooti Hisse kiPakar karte hue Musalmano ke samne iski Haqiqat paish karne ke lie Ulama ne bohot bareeki se ilmi or tehqeeqi jaiza likha he jo 


"PDF file me yahan se download kia jaskta he http:// www.muhammadilib rary.com/Books/ books-3/ Jaali%20Juzz%20K i%20Kahani%20Au r%20Ulemai%20Ra bbani.pdf Internet par is ki mazeed tafseel in links par bhi dekhi jasakti he (English Ver): http:// www.ahlalhdeeth. com/vbe/ showthread.php?t =874&%3Bhighlig ht=Maysara http:// www.ahlalhdeeth. com/vbe/ showthre... worshipers "

Baaz Log Ye dhoka dete hain ke Ye Kitab Jeddah, Saudia Arab se bhi shaye hui he Magar ye Jhoot he Wo Kitab asal me Is ka Radd (Jawab) he jo ke is ko Mangharathone ke lie Likhi gai he, Aam logo ki arabic se la ilmi ko samne rakhte hue inho ne Us kitab ke 2 pages bhi scan kie hain. 

Allah hidayat ata farmayen or Sahih Deen ko Samajhne or Is Par amal karne ki tofeeq ata farmayen or Iman me Barkat ata farmayen...

Zaeef Riwayat #3 Riwayat e Noor (Hazrat Jabir RaziAllahoanho) Apni Sanad ke lehaz se To Zaeef Sabit hoti he hai, lekin Us ka Matan (Mafhoom)bhi Quran or Ahadith e Sahiha (Authentic Ahadith) kay bhi Bilkul Khilaf he: 

Jesa Tirmizi Sharif, Abu Daud, Musnad e Ahmad or deegar Kutub e Ahaadith me Ye Sahih o Mustanad Hadith he Ubadah Bin Samit (RaziAllahoAnho) Bayan karte hain ke, 

Muhammad Ur RasoolUllah Sallallaho alaihewasallam ne farmaya: 


"Sab se Pehli Cheez Jo Allah Ne Paida farmai wo Qalam thi, Phir Usse Kaha ke Likho, To is Qalam ne kaha Kia Likhun? 

Allah ta'aala Ne Farmaya: Taqdeer likho, Qayamat tak qayem hone wali har har cheez ki." 

References: (Jamia Tirmizi, Kitab ul Qadr, Hadees Number: 2162, Abu Daud, Kitab us Sunnah, Hadees Number: 4700, Musnad e Ahmad, Jild: 5, Hadees Number: 21649, Behqi, Mishkat waghera...) 

Is Sahih Hadith e Rasool Sallallaho alaihewasallam ko samne dekh kar khud andaza hojata he ke Allah ne Sab se pehle kia paida farmaya or Kia Aqeedah Islam hamain sikhata he. ;


Hadith e Noor, Islam ke Ek is Bunyadi Aqeedah ke bhi Khilaf he ke Allah Subhanahu WaTa'aalane Poori insaniyat ke Walid Hazrat Adam Alaihesalam ko Bina Maa or Baap ke Matti se paida farmaya jesa Allah ta'aala ka farman he: 


Al Quran: Allah Ta'alaa kay nazdeek Eesa (alaih-e-salam)ki Misal Hoo ba hoo Aadam (alaih-e-salam)ki Misal jesi hai Jinhain Mitti say bana ker Farma diya kay (Insan) ho ja! Pus woh hogaya!

 (Surah Aal e Imran, Ayat: 59) 

Aur Hamare Piare Nabi Muhammad Sallallahoalaihe wasallam ke Walid or Walidah dono Mojood the aur Aap Sallallahoalaihe wasallam, HazratAadam alaihesalam he ki Aulaad me se hain Aur jesa Aap Sallallahoalaihewasallam ne Farmaya: 

"Allah Taalaa ne Farishto ko Noorse paida farmaya or Iblees ko Aag se, Aur Aadam alaihe salam ko jis cheez se Paida kia gya Wo Quran me batadia gya he. (Yani Mitti se)" 

(Sahih Muslim, Kitab uz Zohod, Hadees Number: 7495) 

Is Bunyadi Taleem or Aasan Nazariye ko Batil Firqo ne Apne tor par badalne ki koshish ki magar wo Hamesha ki tarah Nakam he hue. Sach ke aagay un ka dhakosla bilkul bekar sabit hua. Tamam Ambiya Alaihemussalam Insan (bashar) The or unki Takhleeq bhi Mitti he se hui Jese Hazrat Aadam Alaihesalam ki huior Allah ne Noor se Farishto ko paida farmaya na ke Insano ko. 

Allah ta'ala ne Apne Inhe Bando me se Hidayat phelane ke Lie Nabiyo ko chuna ta ke Poori duniya ke lie Misaal sabit hosaken Aur Hamare Aakhri NabiRehmat e Do Aalam (Sallallahoalaihe wasallam) ko Bhi Taa Qayamat Aala Misal Muntakhib kia or Buand o Behtreen Rehnumai sabit karwai. 

Allah Ta'ala Farmate Hain: 

"Aur Hum ne Aap (Sallallahoalaihe wasallam) se pehle Mard he (Bator Peghambar)Bheje, Jin ki taraf Hum Wahi bhejte the. Agar Aap nahi jante to jo Yaad rakhte hain un se Malum karlen. Aur Hum ne un ke lie Aise Jism nahi banaye the ke Khana na Khayen or Na wo Hamesha Zinda rehne wale the" 

(Surah e Ambiya, Aayat: 7 and 8) 

Aur Allah Subhanahu WaTa'aala ne Farmaya:

 "Aap (Sallallahoalaihe wasallam) farmadijie ke Mein Tumhari Tarah he Bashar (Insan) hun, (Han) Meri Janib Wahi Ki Jati he ke Sab ka Mabood Ek he Mabood (Allah) he, To Jisay bhi apne Rab se milne ki aarzu ho to usay chahiye ke naik aamaal kare aur Apne Parwardigar ki ibadatme kisi ko shareek na kare" 

(Surah e Al Kahf, Ayat: 110)

 Or Irshad Kia Ke: 

"Aap (Sallallahoalaihe wasallam) farmadijie Ke

 "Mein Tum se ye Nahi Kehta ke Mere Pas Allah ke Khazane Hain, Or na ye ke Main Ghaib ka Ilm Janta hun or Na Main tum se ye kehta hun ke Me Farishta hun, Balke me To Wahi ki Itteba karta hun jo Meri taraf bheji jati he, Aap (Sallallaho alaihewasallam)kahiye ke Andhaor Beena Kahin Barabar hosakta he, So kia tum Ghor nahi karte?" 

(Surah e Anaam, Ayat: 50)

 Hadith e Noor apni sanad or matan me bilkul Wazeh tor par Mangharat sabit hoti he Ke us ka hamare Deeni Aqaid or Nazariyatme koi wujood nahi he, 

Allah ta'aala Hamain Asal Deen ko Samajhne Or Kitab o Sunnat se Muhabbat ka jazba Ata farmayen or Logo ki Islah Farmayen Batil oBewajood Aqaid or Dalail se Hamari bhi Hifazat farmayen . Ameen

Monday, January 27, 2014

IMAM E AZAM (RH) KE PAAS HADITH KI KITAABON KE KAI SANDOOQ THEY AUR ISKA JAWAAB:





Bismillahirrahmanirraheem

 

IMAM E AZAM (RH) KE PAAS HADITH KI KITAABON KE KAI SANDOOQ THEY AUR ISKA JAWAAB:

ek Mughaalta Jo Imam E Azam (Rh) Ke Muqallideen Hadith Par Chalne Waalon Ko Yahi Dete Hain Ke Kai Sandooq They Aur Imam E Azam Ne Siwaaye Jamaat E Sahaba Ke 300 Tabain Masaikh Se Sama'a Hadith Kiya Hai Aur Unki Musnad Ki Riwaayat 500 Aadmiyon Ne Unse Ki Hain, Aur Imam E Azam (Rh) Ke Ustaazah Ki Tadaad 4000 Hai Is Baat Ko Sheikh Abdul Haq Hanafi Dehlawi Ne "Sharah Safarul Sa'aadat" Me Naqal Kiya Hai,

Iska Jawaab Ye Hai Ke Ye Toh Sheikh Abdul Haq Wagerah Hanafiyah Ki Khaana Shaaz Baatein Hain,

Inko Imam Sahab (Rh) Ke Mutaassib Muqallidon Ke Elaawa Koi Nahin Maanta,

Balke Baaz Haq Go Hanafiyah Bhi Aisi Baton Ke Qayel Nahin Aur Inko Apne Hanafi Bhaiyyon Ki Ijaad Samjhte Hain,

Dekho Sahaba Se Imam E Azam (Rh) Ka Sam'a Saabit Hone Se Ulema Muhaqqiqeen Ne Inkaar Kar Diya Hai Aur Iska Radd Likh Diya Hai,

Chunanche Mulla Ali Qari Hanafi Ne " Sharah Nakhbatul Fikr" Me Kaha

" sakhawi Se Marwi Hai Ke Be'shaq Qaabil E Aitmad Baat Yahi Hai Ke Imam Kisi Sahabi Se Riwaayat Nahin Kar Sake Kyunke Jis Zamaane Me Aapne Unhe Paaya Is Waqt Aap Bilkul Nau'umar They"

Imam Nawawi Sharah Muslim Ne " Tahzeeb Ul Asma" Ne Kaha

"Sheikh Abi Ishaaq Ne Tabaqaat Me Kaha Hai Ke Aap (Imam E Azam) Noman Bin Sabit 580CE Me Paida Hue Aur Paghdad Me 150 HIJRI Me Wafaatt Paaye 70 Saal Aap Ki Umar Thi, Aapne Hammad Bin Abi Suleman Se Ilm Fiqh Haasil Kiya,

Aapke Zamaane Me 4 Sahaba Zinda They, Anas Bin Malik, Abdullah Bin Abi Aufi, Sahal Bin Saad, Aur Abu Tufail, Lekin Aapne Kisi Se Koi Riwaayat Nahin Li"

Aur Sheikh Ibn Tahir Hanafi Ne "Tazkiratul Mauzu'aat" Me Kaha

"Abu Hanifa (Rh) Ke Zamane Me 4 Sahaba Ba'qaid Hayaat They, Anas Bin Malik BasraH Me, Abdullah Bin Abi Aufa Koofa Me , Sahal Bin Saad Madeena Me, Aur Abu Tufail Amr Bin Waasila Makkah Me,

Lekin Abu Hanifa (Rh) In mese Kisi Ek Se Bhi Na Mile Na Kuch Haasil Kiya, Taaham Unke Muttabe'een Kahte Hain Ke Wah Sahaba Ki Jamaat Se Mile Aur Unse Riwaayat Ki, Lekin Ye Baat Aimma Naqal Ke Nazdeek Saabit Nahin "

Qazi Allama Shamsuddeen Ibn Khalqaan Ne "Wafyatul Aayaan" Me Bhi Hafiz Ibn Hajar Askalani Ne Imam e Azam (Rh) Ko 6th Tabqe Me Shumaar Kiya Hai,

Chunanche "Taqreeb Ut Tahzeeb" Me Likha Hai

"Noman Bin Sabit Koofi Yani Imam Abu Hanifa (Rh) Kaha Jata Hai Ke Aap Faarsi Ul Asal Hain, Aur Ye Bhi Kaha Jaata Hai Ke Aap Banu Tameem Ke Azaad Kardah Ghulaam Hain, Aap 6th Tabqah Se Taalluq Rakhne Waale Mashoor Faqeeh Hain"

Aur 6th Tabqe Ke Baare Me Khud Hafiz Ibn Hajar Muqaddama Kitab Mazkoor Me Farmate Hain

"Yani 6th Tabqa 5th Tabqe Ka Ham Asr Hai Lekin Unki Kisi Sahabi Se Mulaaqaat Sabit Nahin Ke Jaisa Ke Ibn Jareej "

Lekin Agar Koi Ye Kahe Ke Imam Abu Haneefa (Rh) Ki Mulaaqaat Sahaba Mazkoor Se Ba'riwaayat Alam Ul Akhbaar Aur Tahawi Wagerah Saabit Hai,

Toh Iska Jawab Ye Hai Ke Asbaab Me Jitni Riwaayeten Hanafiyah Laaye Hain Sab Ki Sab Nihaayat Kamzor Balke Mauzu Hain Sahih Ek Bhi Nahin Aur Unka Bayan "Meyaar Ul Haq " Me Mufassal Maujood Hai,

"Aur Ye Jo Hanafiyah Kahte Hain Ke Imam E Azam Ne 300 Tabain Masaikh Se Sama'a Hadith Kiya Hai,

Imam Azam (Rh) Ke Ustaad 4000 Rijaal E Ilm Hain,"

So Is Baat Ko Sayyed Muhammad Siddeeq Hasan Khan Sahab (Rh) Apni Kitaab "Tahaif Un Nabla" Me Radd Karte Hain Aur Farmate Hain

"Is Liye Muhadiseen Ki Ek Jamaat Ne Kaha Hai Ke Imam E AzAm Ilm Hadith Me Qaleel Ul BaZa'at Hain, Aur Ye Jo Kaha Jata Hai Ke Unke Ustaazah Masaikh Ki Tadaad 4000 Tak Pahunchti Hai, Mohtaaz Sanad Hai Aur Mubaalgha Se Khaali Nahin, Aisi Hi Mubaalgha Aaraiyyon Ka Ye Nateeja Hai Ke Khateeb Aur Ibn Jauzi (Rh) Wagerah Mausoof Par Ta'an Kar Chuke Hain, Aur Abu Naeem Me Haliyah Me Unka Zikr Tak Nahin Kiya "

Aur Ye Jo Sheikh Abdul Haq Sahab Ne Likha Hai Ke

"Imam E Azam (Rh) Ke Paas Hadith Ki Kitaabin Ke Kai Sandooq They,"

Ye Bhi Be'asal Baat Hai, Bhala Agar Imam e Azam Ke Paas Hadith Ki Kitab Ke Sandooq Hote Toh Unke Muqallidon Me Se Kisi Ek Ke Paas Na Pahunchte , Aakhir Kahan Gaye ??

Aise Hi Be'sarapa Kisse Wa Kahaniyon Ki Tardeed Karte Hue Imam Tahawi Ne Sharah "Durre Mukhtaar" Me Kaha Hai

"Yani Taifa Hanafiyah Ko Chahiye Ke Aise Waham Paida Karne Waale Lataif Na Bolen, Kyunki Inki Badaulat Ahnaaf Ke Khilaaf Baatein Banaayi Jaati Hain, Balke Baaz Ahmaq Toh Aisi Baatein Sunkar Khud Imam Par Sab Wa Sitam Karne Lagte Hain Aur Unke Ijtehaad Ki Nafi Kar Dete Hain"

Ek Dusre Maqaam Par Tahawi Ne Likha Hai

" Beshaq Aise Hi Johla Jaise Log Jo Taassub Aur Anaad Ki Wajah Se Tafseel Abu Hanifa (Rh) Ke Elaawa Kisi Cheez Se Sarokaar Nahin
Rakhte Khwaah Unki Tafseel Kaisi Hi Be'asal Baaton Se Sabit Karni Pade Aur Khwaah Ye Be'saropa Baatein Unhen Hadd Kufr Tak Pahuncha De Inko Abu Hanifa (Rh) Ke Un Fazail Ka Ilm Nahin Jinke Bayaan Me Kitaaben Tasneef Ho Chuki Hain, Ye Log Aise Jhoot Aur Aftara SE khush Hote Hain Jisko Khuda Aur Rasool (Sws) Pasand Nahin Karte Aur Na Hi Abu Hanifa (Rh) Pasand Karte Hain, Balke Abu Hanifa (Rh) Agar In Baaton Ko Sun Lete Toh Unke Qayel Par Kufr Ka Fatawa Lagaate"

Arz Ye Ke Ima Azam (Rh) Ke Kai Sandooq Kitaabon Ke Toh Ek Taraf Rahe, Agar Ek Hadith Ki Kitaab Bhi Unhone Jama Ki Hui Hoti Toh Uska Asar Hidaaya Aur Sharah Wiqaaya Wagerah Fiqh Ki Kitaabon Me Numaaya Hota,

Khususan Tahawi Aur Aini Aur Ibn Hammam Toh Zaroor Hi Isse Naqal Laate Unke Zaat Se Toh Ye Bhi Ummeed Thi Ke Iske Muqaable Me Bukhari, Muslim Aur Moatta Wagerah Kitaabon Ki Sahih Sahih Hadithen Jo Ke is Waqt Bhi Maujood Hain Sabko Radd Kar dete,

Aur Kisi Ko Bhi Na Maante,

Lekin Allah Ka Bada Shukr Hai Ke Unki Jama Ki Hui Hadith Ki Na Chhoti Na Badi Koi Kitaab Bhi Maujood Nahin Lekin Ba'wajood Is Baat Ke Hanafiya Yahi Kahe Jaate Hai Ke

"Jin Kitaabon Hadithen Hamare Mazhab Ki Daleel Hain Wah Kitaaben Arab Me Maujood Hain"

Chunanche Sheikh Abdul Haq Dehlawi Ne "Sharah Safarul Sa'aadat" Me Likha Hai

"Kutub Hanafiyah Jo Dayaar E Arab Me Mashoor Hain Un par Nazar Daal Leni Chahiye Taake Haqeeqat Haal Acchi Tarah Waazeh Ho Jaaye, Unme Fiqh Hanfiyah Ki Ek Kitaab "Mawahibur Rahman" Nami Bhi Hai, Jisme Sharah (Commentors) Ne Is Baat Ka Intezaam Kiya Hai Ke Har Masla Ki Daleel, Aayat E Quran Aur Hadith E Sahihain Se Laaye"

So Ye Bhi Sheikh Sahab Wagerah Imam Azam (Rh) Ke Muqallidon Ki Khaana Shaaz Baat Hai,

Kitaab "Burahaan Sharah Mwahibur Rahman" Lahore Me Maulwi Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ke Paas Maujood Hai Aur Wah Apne Zameemah Ke Number Mazkoor Me Likhte Hain Ke

"Isme Aini Aur Fatah Ul Qadeer Balke Uske Shargird Halbi Se badhkar Koi Baat Bhi Nahin, "

Arz Ye Ke Ab Unka Koi Heela Bhi Hadith Par Amal Karne Me Ba'taur Azar Pesh Nahin Kiya Ja Sakta Aur Itteba Sunnat Ki Nisbat Koi Azar Maqool Khyaal Me Nahin Aa Sakta,

Wa Innaz Zanna La Yughni Minal Haqqi Shai'aa

Aur Ghumaan Haq Ki Jagah Kuch Bhi Kaam Nahin deta.........

Allah Taala Hamen Haq Baat Kahne Sunne Aur Uspar Amal Karne Ki Taufeeq Bakhse ....... Ameeen

Sunday, January 26, 2014

AURTON KI NAMAZ ME FARK KA JAYEZA:



Bismillahirrahmanirraheem



AURTON KI NAMAZ ME FARK KA JAYEZA:



Muqalido Ki Janib Se Aurat  Ki Namaz Me fark krna aur Zaif Riwayaten Dekar Awam ko bewkuf bnana
Unki Taraf Se Di Jane Wali Jaif Riwayto Par Ek Nazar
.


AURAT KA TARIQAE NAMAZ


Buhut Se Masail Ki Tarah Namaz k tariqe K Masail Me B Ikhtilat hain mgr Sirf Zaeef Ahadis
Ki Bunyad Per Aur Is Bat Ko Buhat Ziada pehlaya Gya Hai k Aurat Ka Tariqa Mard Se
Alag Hai jab K Sahi Ahadis me 1 B Esi Hadis Nahi Jo Ise Qowat Bakshe INSHAALLAH un Zaef
Dalail Ko Wazah Kya Jaega Jo Ikhtilafat Ka ba'es Bane Hue Hain

ALLAH amel Ki Tofeeq De......aameen



Ibe Umar Rz.a Se Pucha Gaya k Aurat NABI alaihisalam K Ahde Mubark Me Kis Tarah
Namaz Parha Karti Thi?To Inhone jawab Diya K Pehle 4 Zano Ho Kar Bethti Thi Phr inhain
Hukum diya Gaya K Khuob Simat Kar Namaz Ada Karen.


(jamiaul masanid_1/400)
.

Wazahat;

Isme Ravi ABU MUHAMMAD BUKHARI hai Iske Bare Me AHMED SULEMANI Ne Kaha Ye
Sanad o matan ko dosri sanad o matan k sath laga dia karta tha AHMED BIN HUSAIN RAZI ne
Kaha zAEEF hai


(lisanul mezan ibne HAJAR_3/358,349mezanul Aetadal Zehbi_2/496)
.

Wail Bin Hajer R.a Farmate Hai K

"Mujhe RASULLULLAH saw ne namaz Ka Tariqa SikhayaTo Frmaya Ae Wail Bin Hajer R.a Jab
Tum Namaz Shoro Kro To Apne Hath Kano Tak Uothao Aur Aurat Apne Hath Chhation Tk Uothae"


(majmo'ae Zawaid_2/103)
.

TEHQIQ;

Isme Ravi UMME YAHYA binte Abdul Jabbar Majhola Hai aur Iske Bare Me Isi Book
Me Likha Hai K LAM ARAFAH Ayani nahi Jante.
.

Rasullullah Alaihisalam 2 Aurto K Pas Se Guzre Jo Namaz Parh Rahi Thi Ap Alaihisalam Ne
Inko Dekh Kar Farmaya K

"Jab Tum Sajda Karo To Apne Jism K Ba'az Hisso Ko Zameen Se Chimta Do Isliye K Isme Aurat
Mard Ki Manind Nahi Hain"

(behqi_2/223)
.

TEHQIQ;

Is hadis Me Rawi Yazid Bin Abi Habib hai Magr Inhone NABI alaihisalam Ka zamana
Nai Paya To Ye Hadis Kese Riwayt Ki???

43 Sal Bad Yazid Bin Habib Peda Hua


(Tehzibul Zehzeeb_11/ 279)

Ye Hadis munqata hai aur ravi mudalis hai.

Lehaza ye ZAEEF hai.
.

Rasul Alaihisalam Ne Farmaya


"Jab Namaz K Doran Aurat Bethe To Apni Aik Ran Ko Dosri Ran Per Rakhe Aur Jab Sajda Kare To Apne Pet
Ko Apni dono Rano se Milale Is Tarah K IsSe Ziada Se Ziada sater Ho Sake Aur ALLAH iski
Tarf Dekhte Hain Aur Farishto Se Farmate KE

FARISHTO! Tum GAWAH RAHO MENE IS AURAT KO BAKSH DIYA".
.


TEHQIQ;

Ye Riwayt BehQI_3/74 me Hai

YAHYA Bin MOEN ne ise Zaeef Kaha

Iski sanad me ABU MOEET hai

1.jo Zaeef hai
2-.hadise gharta tha.
3.Marji Aur Kazzab Tha
4.Murjio k sarganoN me se tha
5.hadise waza karta aur sunan se adawat rakhta tha
.6.Hadise zabt karne me nakara tha.


(mezan_1/ 11,575,mezanul A'tad_1/584 ,lisanul Mezan_2/334)
.

"Agar Namaz Me Koi Esa Amal Jo Namaz Me Harij Ho pesh Hojae To Mard Tasbih Kahen Aur
Aurte Sirf Tali".


(sahi muslim1/181)
.

TEHQIQ

Is Sahi Hadis Ka Galat Istadlal Ye karna k mard o aurat me fark hai to ye bat galat hai

1.Jo bat jiske liye Ap Alaihisalam Ne Khas kardi jae wo usi k liye hai

2.Is masle ka tariqae namaz(qayam,rok o,sojod) se ta'luq nahi, Tariqa SALLO KAMA RA'AE TOMONI OSALLI k
tehet hoga

3.Ahnaf Is Hadis K Khilaf Hain Kunki Imam k bhol jane pe ye TASBIH nai bal'k TAKBEER kehte
hain.
.

Imam Bukhari Rh.a kUstad Kehte Hain K

" Mene AATA rh.a Se Suna Jab inse Aurat K Bare Me Pucha Gaya ke Wo Namaz Me Kese Hath Uothae
to Inhone Farmaya K

Apni Chatio TakAur Kaha K Namaz Me Apne Hathon Ko Is Tarah Na Uothae Jis Tarah Mard Uothate Hain
Aur Inhone Is Bat Ko Jab Ishare Se Bataya To Hatho Ko Kafi Pust kia Aur Dono Ko Achi Tarah Milaya Aur
Farmaya namaz Me Aurat Ka tariqa Mard ki Tarah Nai"


(Ibne abi sheba_1/339)


TEHQIQ


Q:1_Pehli Baat Ye Hadis Hai Hi Nahi Qoul e Aata rh.a Hai

Dalil Ahadise RASOL hoti Hai QOLE
IMAM nahi..!!


2_iski Sanad Me Hasheem K ustad majhol Hain

3.sanad me M0hammad Bin Baker jinke Bare Me IMAM NISAI ne Kaha QAWI nahi.

(tehzibul tehzib_9/68)


ye Qol Hone K Bawajod Sahi sanad se wazeh
nahi
.

Hazrat Ali R.a Se Riwayt Hai K

"Jab Aurat Sajda KareTo Sureen K Bal Bethe Aur Apni Rano Ko Milaale"


(behqi_vol:2_pg :223)
.


TEHQIQ;

Iski Sanad Me HARIS A'OUR hai jiske Bare Me Kaha gaya,


1_IMAM JARIR Ne Kaha K Mardod Hai
2_ABU HATIM ne Ka Ye Qawi Nahi
3_IMAM NISAE ne b yehi kaha
4_IMAM DARQUTNI ne kaha Zaef Hai
5_IBNE MADNI ne Kaha KAZZAB hai
6_imam MOGYYARA kehte Han Ali R.a Ki riwayt
Me Inki Tasdiq Nahi ki gai.

7_IMAM muslim ne B Haris Ko Jhota Kaha


(tehzibul tehzib_vol:2_pg :126)


Lehaza Ye riwayt Zaef Hai

Aur Isi Tarah IBNE ABBAS r.a Wali Riwayat B Zaef Hai

Aurat K namaz Ka Tariqe me  Jitni B Ahadis Hain Wo Sab Na qable qabol Hai zaef Hai.Aurat ka
tariqa b mard ki tarah hi hai namaz k hawale se baz masail alag han mgr tariqa nahi!
.

1."NAMAZ me Aurat ka Sar khola Na ho,jab'k Mard ka khola ho to Harz nahi".

(bukhari 1/532)
.

"NAMAZ me Aurat k Thakne nange na ho jb'kMard k takhne Khole hun."

(Abu dawood 1/94)
.

3."AURAT mardo ki imamat nahi kara sakti Jab'k Mard Aurto ki imamat kara sakta hai."

(muhalla ibne hazam 3/136,135un ali r.z)
.

"IMAM k bhulne pe Aurat tali bjaegij Jab'k mard Subhanallah Kahega.


(sahi muslim 1/180un abi huraira r.a)
.
4-"AGAR Aurat Aurton ki imamat karaegi to wo saf k Darmiyan me Khari Hugi jab'kMard Tanha age
Khara hota ha."

(behqi 3/131un ibne abbas r.a)
.


5-"MUSHTARKA Jamat me aurat ki saf Sabse pichly (last) me hogi jab'kmard ki sabse aage hogi."


(sahi muslim 1/182un abi huraira r.a)
.

6-"Aurat Na Azan De sakti H or mardo ki jamat me Takbeer keh skti ha"


(muhalla ibne hazam 2/16z)
.

Note:

Aurat Aurton ki had tak mehdod ho kr Takbeer keh skti ha.
.

7-" Mard saf me akela khara nai ho sakta jab'kaurat khari ho sakti ha"

.(bukhari 1/101balugl mram p:75un anus r.a)
.


8-"Agr 2 admi jamat karaen to muqtadi daen Janib khara hoga jb'kaurat piche khari hogi.


(bukhar 1/101)
.
9-"Mard Per Farz Namazo K Liye Masjid Me Ana Farz Hai(agrcher koi uozer na ho)
jb'kaurat Ka ana farz Nai Bal'k optional hai ."
.

10- "Mard Masjid Me Aate Waqt Khoshbo Istimal Kar Sakte Hain Khawateen Hargiz Nahi."


(muslim_vo l:1_pg:183)
.

11- "Mardo Pe Jumma Farz hai Aurto Pe Nai"

(abu dawood_vol:1_pg :153)
.

In Masail ko Aurat ki Namaz Ko Alag Dalil Bnana Ke Aurat Mard Ki Tarah Nahi Lehaza Iski Namaz bHI
Mard Ki Tarah Nahi ye Sirf Inke Moonh Ki Baate hain,

Hadeese E Mohammad (Saw) Me Tariqa e Namaz Me Koi Fark nahin.......


DAWAT E TABLEEGH---EK AHAM DEENI FAREEZA




Bismillahirrahmanirraheem

DAWAT E TABLEEGH---EK AHAM DEENI FAREEZA


Allah Taala Ne Muqaddas Quran Me Farmaya

"HAR JAMAAT MEIN SE KUCHH AISE LOGON KA GIROH HONA CHAHIYE JO DEEN KI SAMAJH HASIL KAREIN AUR PHIR WAPAS JAKAR APNI APNI
QAWOM KO DARAYEIN TAKI AZAAB SE BACH JAYEIN"

(SURAH TAOBA AYAT NO 122)

Is Aayte Karima Se Ahle Ahnaf Jamaat Mein Nikalne ka Proof Pesh Karte Hain Halaki Iska
Asbaab e Nuzul Ye Hai Ki

Jab Rasool Sws Ke Daur (Period) Mein Log Jihad Ke Liye Chale Jate to Allah Ne Farmaya Kuchh Tahar Jaya Karo Nabi sws ke Paas Taki Wahi nazil ho to tum bhi seekh liya Karo Aur Log Jab Jihad Se Wapas Aayein To Unko Batao Aur tum jab apne Qabeelon Mein
Jao To Wahan Bhi Ahkam e ilahi Batao Taki Deen ko seekha aur samjha ja sake .

Mazeed Tafseer Ke Liye Dekhen TAFSEER AL TABRI JILD NO 9.

Deen Seekhna Farz Hai Aur Deen Ki Tableegh Bhi faraz hai aur deen Quraan aur hadees Ka Hi Naam hai aur jo bhi deen ke nam par Quraan wa Sahih Hadees Se Sabit Nahi Woh Deen Nahi Balki Gumrahi Hai .

Taqleediyat Ka Matlab Hi Ye Hai Ki Kahi Hui Baat Ko Qobul Karte Jao Bila Tahqeeq No Question .

EK BAAT YAAD DILA DEIN JO BAAT DALIL KE SATH KI JAAYE WOH TAQLEED NAHI KAHLATI DALIL
ISLAM MEIN QURAAN AUR SUNNATE RASOOL SWS KE SIWA KOI BHI EK LAFAZ BHI ( DALIL ) NAHI KAH LATA .

TAQLEED MEIN LAFAZ DALIL KA WAJUD HI NAHI AGAR DALIL AA GAI YO TAQLEED NAQIS PHIR TO
TAQLEEDIYAT KI MAUT HOGI AUR MOQALLID TAQLEED KI HIRASAT SE BARI HOKAR MUSLIM HO JAYGA.

ISI LIYE TAQLEED MEIN DALIL KA PUCHHNA HARAM HAI .

EK AUR BAAt Kahte Jayein Mukhtasar Mein MOQALLADIN YE HAMESHA KAHTE HAIN JO
EXPERT HAIN KI

"MOHADDASEEN E KIRAM NE ALFAZ KA TAHAFFUZ KIA.
AUR FOQHA NE US SE MASAYEL ISTINBAT

YANI Masayel Ko Derived Kia Akhaz Kiya "

I Am Really Hankering For This Negative Points .

Yani Ki MOHADDASEEN SIRF DUKAANDAR (SHOPKEEPAR) HAIN AUR ASAL FOQHA HUYE. ISLIYE INKI (FUQAHA) KI BAAT MANA ZARURI
HAI.

LEKIN IN AHLE MOQALADDIN POOR MIND kisi Ko Bura Na Lage .Sorry

Becharon Ko Pata Hi Nahi Ki Jin Logon Ne Alfaz ka tahaffuz kia unhi ne is se istinbat bhi kia
yahi wajah hai

Please NOTED THIS MAIN GITS .BE CARE FUL

MOHADDASIN WAGHAIRA HI ASAL FUQHA THEY ,Jise Imam bukhari etc

Aur Jin Logon Ke Pas Alfaz Nahi Hongey Unki Fiqah Mahaz Qayas Hi Par Hogi Aur Ye Baat ulmay ahnaf bhi etraf karte hain,
Basharte Ki Aap Unki Halaq Mein Dalil Ki Haddi Rakhne Ka Ilm Rakhein To

EK BAAT AUR BHI SAMAJH LI JAYE

MULLA ALI QARI HANAFI APNI KITA B
"MAUZUAAT KABIR KE PAGE NO 74 " PAR LIKHTE HAIN.

"sahab e Hadaya Aur Deegar Hadaya Ke Sharhin (Commentors) Ki Naqal Ki Hui Hadeeson ka kuchh
etbar nahi kionki woh Mohaddis nahi the.

Aur Na Hi Unho ne Kisi Sahbe Kitab Ki Taraf Hadees ka pata dia hai .

Fuqha Ahnaf ke pas chunki Alfaz Hadees mahfuz nahi yahi buniyadi wajah hai ki UNKE BESHUMAR MASAEL KI BUNIYAD HI GHALAT HAI
AUR SAHI FIQAH WOH HAI JINHO NE ALFAZ AUR MAANE DONO KI HIFAZAT KI HAI "

AISE NA AHAL NEEK HAKIM KA NUSKHA KIA KHAK HOGA JISKO
DAWAON KI PAHCHAN HI NAHI .

AUR YE BHI DHAYAN DIA JAY MOHADDASIN HI HADEES KI MOKAMMAL CHHAN BEEN PAR OBUR
RAKHTE HAIN AUR UNSE HI MASAYEL BHI AKHAZ KARTE HAIN

AUR YAHI DAR ASAL. FAQIH. HAIN. .

By--- Saba Parveen Sister