Monday, January 27, 2014

IMAM E AZAM (RH) KE PAAS HADITH KI KITAABON KE KAI SANDOOQ THEY AUR ISKA JAWAAB:





Bismillahirrahmanirraheem

 

IMAM E AZAM (RH) KE PAAS HADITH KI KITAABON KE KAI SANDOOQ THEY AUR ISKA JAWAAB:

ek Mughaalta Jo Imam E Azam (Rh) Ke Muqallideen Hadith Par Chalne Waalon Ko Yahi Dete Hain Ke Kai Sandooq They Aur Imam E Azam Ne Siwaaye Jamaat E Sahaba Ke 300 Tabain Masaikh Se Sama'a Hadith Kiya Hai Aur Unki Musnad Ki Riwaayat 500 Aadmiyon Ne Unse Ki Hain, Aur Imam E Azam (Rh) Ke Ustaazah Ki Tadaad 4000 Hai Is Baat Ko Sheikh Abdul Haq Hanafi Dehlawi Ne "Sharah Safarul Sa'aadat" Me Naqal Kiya Hai,

Iska Jawaab Ye Hai Ke Ye Toh Sheikh Abdul Haq Wagerah Hanafiyah Ki Khaana Shaaz Baatein Hain,

Inko Imam Sahab (Rh) Ke Mutaassib Muqallidon Ke Elaawa Koi Nahin Maanta,

Balke Baaz Haq Go Hanafiyah Bhi Aisi Baton Ke Qayel Nahin Aur Inko Apne Hanafi Bhaiyyon Ki Ijaad Samjhte Hain,

Dekho Sahaba Se Imam E Azam (Rh) Ka Sam'a Saabit Hone Se Ulema Muhaqqiqeen Ne Inkaar Kar Diya Hai Aur Iska Radd Likh Diya Hai,

Chunanche Mulla Ali Qari Hanafi Ne " Sharah Nakhbatul Fikr" Me Kaha

" sakhawi Se Marwi Hai Ke Be'shaq Qaabil E Aitmad Baat Yahi Hai Ke Imam Kisi Sahabi Se Riwaayat Nahin Kar Sake Kyunke Jis Zamaane Me Aapne Unhe Paaya Is Waqt Aap Bilkul Nau'umar They"

Imam Nawawi Sharah Muslim Ne " Tahzeeb Ul Asma" Ne Kaha

"Sheikh Abi Ishaaq Ne Tabaqaat Me Kaha Hai Ke Aap (Imam E Azam) Noman Bin Sabit 580CE Me Paida Hue Aur Paghdad Me 150 HIJRI Me Wafaatt Paaye 70 Saal Aap Ki Umar Thi, Aapne Hammad Bin Abi Suleman Se Ilm Fiqh Haasil Kiya,

Aapke Zamaane Me 4 Sahaba Zinda They, Anas Bin Malik, Abdullah Bin Abi Aufi, Sahal Bin Saad, Aur Abu Tufail, Lekin Aapne Kisi Se Koi Riwaayat Nahin Li"

Aur Sheikh Ibn Tahir Hanafi Ne "Tazkiratul Mauzu'aat" Me Kaha

"Abu Hanifa (Rh) Ke Zamane Me 4 Sahaba Ba'qaid Hayaat They, Anas Bin Malik BasraH Me, Abdullah Bin Abi Aufa Koofa Me , Sahal Bin Saad Madeena Me, Aur Abu Tufail Amr Bin Waasila Makkah Me,

Lekin Abu Hanifa (Rh) In mese Kisi Ek Se Bhi Na Mile Na Kuch Haasil Kiya, Taaham Unke Muttabe'een Kahte Hain Ke Wah Sahaba Ki Jamaat Se Mile Aur Unse Riwaayat Ki, Lekin Ye Baat Aimma Naqal Ke Nazdeek Saabit Nahin "

Qazi Allama Shamsuddeen Ibn Khalqaan Ne "Wafyatul Aayaan" Me Bhi Hafiz Ibn Hajar Askalani Ne Imam e Azam (Rh) Ko 6th Tabqe Me Shumaar Kiya Hai,

Chunanche "Taqreeb Ut Tahzeeb" Me Likha Hai

"Noman Bin Sabit Koofi Yani Imam Abu Hanifa (Rh) Kaha Jata Hai Ke Aap Faarsi Ul Asal Hain, Aur Ye Bhi Kaha Jaata Hai Ke Aap Banu Tameem Ke Azaad Kardah Ghulaam Hain, Aap 6th Tabqah Se Taalluq Rakhne Waale Mashoor Faqeeh Hain"

Aur 6th Tabqe Ke Baare Me Khud Hafiz Ibn Hajar Muqaddama Kitab Mazkoor Me Farmate Hain

"Yani 6th Tabqa 5th Tabqe Ka Ham Asr Hai Lekin Unki Kisi Sahabi Se Mulaaqaat Sabit Nahin Ke Jaisa Ke Ibn Jareej "

Lekin Agar Koi Ye Kahe Ke Imam Abu Haneefa (Rh) Ki Mulaaqaat Sahaba Mazkoor Se Ba'riwaayat Alam Ul Akhbaar Aur Tahawi Wagerah Saabit Hai,

Toh Iska Jawab Ye Hai Ke Asbaab Me Jitni Riwaayeten Hanafiyah Laaye Hain Sab Ki Sab Nihaayat Kamzor Balke Mauzu Hain Sahih Ek Bhi Nahin Aur Unka Bayan "Meyaar Ul Haq " Me Mufassal Maujood Hai,

"Aur Ye Jo Hanafiyah Kahte Hain Ke Imam E Azam Ne 300 Tabain Masaikh Se Sama'a Hadith Kiya Hai,

Imam Azam (Rh) Ke Ustaad 4000 Rijaal E Ilm Hain,"

So Is Baat Ko Sayyed Muhammad Siddeeq Hasan Khan Sahab (Rh) Apni Kitaab "Tahaif Un Nabla" Me Radd Karte Hain Aur Farmate Hain

"Is Liye Muhadiseen Ki Ek Jamaat Ne Kaha Hai Ke Imam E AzAm Ilm Hadith Me Qaleel Ul BaZa'at Hain, Aur Ye Jo Kaha Jata Hai Ke Unke Ustaazah Masaikh Ki Tadaad 4000 Tak Pahunchti Hai, Mohtaaz Sanad Hai Aur Mubaalgha Se Khaali Nahin, Aisi Hi Mubaalgha Aaraiyyon Ka Ye Nateeja Hai Ke Khateeb Aur Ibn Jauzi (Rh) Wagerah Mausoof Par Ta'an Kar Chuke Hain, Aur Abu Naeem Me Haliyah Me Unka Zikr Tak Nahin Kiya "

Aur Ye Jo Sheikh Abdul Haq Sahab Ne Likha Hai Ke

"Imam E Azam (Rh) Ke Paas Hadith Ki Kitaabin Ke Kai Sandooq They,"

Ye Bhi Be'asal Baat Hai, Bhala Agar Imam e Azam Ke Paas Hadith Ki Kitab Ke Sandooq Hote Toh Unke Muqallidon Me Se Kisi Ek Ke Paas Na Pahunchte , Aakhir Kahan Gaye ??

Aise Hi Be'sarapa Kisse Wa Kahaniyon Ki Tardeed Karte Hue Imam Tahawi Ne Sharah "Durre Mukhtaar" Me Kaha Hai

"Yani Taifa Hanafiyah Ko Chahiye Ke Aise Waham Paida Karne Waale Lataif Na Bolen, Kyunki Inki Badaulat Ahnaaf Ke Khilaaf Baatein Banaayi Jaati Hain, Balke Baaz Ahmaq Toh Aisi Baatein Sunkar Khud Imam Par Sab Wa Sitam Karne Lagte Hain Aur Unke Ijtehaad Ki Nafi Kar Dete Hain"

Ek Dusre Maqaam Par Tahawi Ne Likha Hai

" Beshaq Aise Hi Johla Jaise Log Jo Taassub Aur Anaad Ki Wajah Se Tafseel Abu Hanifa (Rh) Ke Elaawa Kisi Cheez Se Sarokaar Nahin
Rakhte Khwaah Unki Tafseel Kaisi Hi Be'asal Baaton Se Sabit Karni Pade Aur Khwaah Ye Be'saropa Baatein Unhen Hadd Kufr Tak Pahuncha De Inko Abu Hanifa (Rh) Ke Un Fazail Ka Ilm Nahin Jinke Bayaan Me Kitaaben Tasneef Ho Chuki Hain, Ye Log Aise Jhoot Aur Aftara SE khush Hote Hain Jisko Khuda Aur Rasool (Sws) Pasand Nahin Karte Aur Na Hi Abu Hanifa (Rh) Pasand Karte Hain, Balke Abu Hanifa (Rh) Agar In Baaton Ko Sun Lete Toh Unke Qayel Par Kufr Ka Fatawa Lagaate"

Arz Ye Ke Ima Azam (Rh) Ke Kai Sandooq Kitaabon Ke Toh Ek Taraf Rahe, Agar Ek Hadith Ki Kitaab Bhi Unhone Jama Ki Hui Hoti Toh Uska Asar Hidaaya Aur Sharah Wiqaaya Wagerah Fiqh Ki Kitaabon Me Numaaya Hota,

Khususan Tahawi Aur Aini Aur Ibn Hammam Toh Zaroor Hi Isse Naqal Laate Unke Zaat Se Toh Ye Bhi Ummeed Thi Ke Iske Muqaable Me Bukhari, Muslim Aur Moatta Wagerah Kitaabon Ki Sahih Sahih Hadithen Jo Ke is Waqt Bhi Maujood Hain Sabko Radd Kar dete,

Aur Kisi Ko Bhi Na Maante,

Lekin Allah Ka Bada Shukr Hai Ke Unki Jama Ki Hui Hadith Ki Na Chhoti Na Badi Koi Kitaab Bhi Maujood Nahin Lekin Ba'wajood Is Baat Ke Hanafiya Yahi Kahe Jaate Hai Ke

"Jin Kitaabon Hadithen Hamare Mazhab Ki Daleel Hain Wah Kitaaben Arab Me Maujood Hain"

Chunanche Sheikh Abdul Haq Dehlawi Ne "Sharah Safarul Sa'aadat" Me Likha Hai

"Kutub Hanafiyah Jo Dayaar E Arab Me Mashoor Hain Un par Nazar Daal Leni Chahiye Taake Haqeeqat Haal Acchi Tarah Waazeh Ho Jaaye, Unme Fiqh Hanfiyah Ki Ek Kitaab "Mawahibur Rahman" Nami Bhi Hai, Jisme Sharah (Commentors) Ne Is Baat Ka Intezaam Kiya Hai Ke Har Masla Ki Daleel, Aayat E Quran Aur Hadith E Sahihain Se Laaye"

So Ye Bhi Sheikh Sahab Wagerah Imam Azam (Rh) Ke Muqallidon Ki Khaana Shaaz Baat Hai,

Kitaab "Burahaan Sharah Mwahibur Rahman" Lahore Me Maulwi Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ke Paas Maujood Hai Aur Wah Apne Zameemah Ke Number Mazkoor Me Likhte Hain Ke

"Isme Aini Aur Fatah Ul Qadeer Balke Uske Shargird Halbi Se badhkar Koi Baat Bhi Nahin, "

Arz Ye Ke Ab Unka Koi Heela Bhi Hadith Par Amal Karne Me Ba'taur Azar Pesh Nahin Kiya Ja Sakta Aur Itteba Sunnat Ki Nisbat Koi Azar Maqool Khyaal Me Nahin Aa Sakta,

Wa Innaz Zanna La Yughni Minal Haqqi Shai'aa

Aur Ghumaan Haq Ki Jagah Kuch Bhi Kaam Nahin deta.........

Allah Taala Hamen Haq Baat Kahne Sunne Aur Uspar Amal Karne Ki Taufeeq Bakhse ....... Ameeen