Bismillahirrahmanirraheem
MUTAASSIB MUQALLIDEEN KA EK AUR MUGHAALTA:
Ek Mughaalta Muqallideen Aimma Hadith Par Chalne Waalon Ko Ye Dete Hain Ke
"Ahle Hadith Ke Jo Masle Hadith Ki Kitaabon Me Maujood Hain Un Par Toh Hadith Par Chalne Waale Amal Kar Hi Lenge, Lekin Jo Masle Hadith Ki Kitaabon Se Saabit Nahin Unke Liye Kya Karenge, Aakhir'kaar Fiqah Ki Kitaabon Par Amal Karenge Aur Kisi Na Kisi Hi Imam Ke Muqallid Banenge"
JAWAB
Iska Jawaab Ye Hai Ke Agar Koi Shakhs Ghaur Se Azar E Raah Tahqeeq Quraan Wa Hadith Ki Taraf Nazar Kare Aur Dekhe Toh Har Ek Masla Quran Wa hadith Se Malum Ho Sakta Hai,
Kisi Masle Ke Liye Bhi Kisi Masail Ko Fiqeeh Ki Haajat Nahin Lekin Jaise Ba'sabab Kam Ilmi Ya Qasoor Fahmi Ta Qillat Tadabbur Ke Quran Aur Hadith Se Koi Masla Malum Na Ho Sake,
Toh Aisa Shakhs Allah Taala Ke Huqam
Fas'alu Ahlaz Zikri In Kuntum La Ta'alamun
Trans: "Agar Koi Baat Tumhe Malum Na Ho toh Ahle Ilm Se Pooch Lo"
Ke Mutaabik Kisi Muhaddis, Mujtahid, Faqeeh Qaazi Ya Molwi Se Pooch Kar Amal Kere Aise Mauqe Par Majbooran Taqleed Karna Jayez Hai,
Lekin Is Taqleed Ke Saath Masle Ki Tahqeeq Ki Fikr Me Rahe Aur Mahaz Usi Par Khaatir Jama Karke Na Baitha Rahe,
Fir Jab Quraan Wa Hadith Se Is taqleedi Masle Ka Khilaaf Saabit Ho Jaaye Toh Usko Usi Waqt Tark Kar De.. Aur Quraaan Wa Sunnat Ke Mutabik Amal Karne Lag Jaye Iske Baad Taqleed Karna Haraam Balke Shirk Hoga,
Isliye Ke Taqleed ka Maana Ye Hai Ke
"Be'ghair Daleel Ke Kisi Ke Huqm Ko Maan Lena, Aur Ye Daryaaft Karna Ke Aaya Ye Huqm Khuda Aur Paighambar Ki Taraf Se Bhi Hai Ya Nahin Hai"
So Log Be'ghair Daleel Ke Apne Ulema Masaikh Aur Aimma Ke Aqwaak Ko Hujjat Maante Hain Aur Uski Tahqeeq Nahin Karte,
Goya Wah Un ulema Aur Imaamon Ko SAhab E Shariat Maante Hain Aur Allah Ki Marzi Aur Uske Huqm Ke Sareeh Khilaaf Amal Karte hain,
Isliye Ke Allah Taala Ne Farmaya
"Huqm Kisi Ka Nahin Siwaaye Allah Taala Ke"
(Surah Anaam Ayat 2)
Yani Kisi Ki Shaan Nahin Aur Kisi Ka Martaba Nahin Ke Wah Makhlooq Par Apni Taraf Se Apna Huqm Jaari Kare Aur Khalq Par Waajib Ho Ke USka Huqm Maane, Is Waaste Ke Sab Makhlooq Ka Khaaliq Wa Malik Allah Hi Hai Bas Huqm Bhi Usi Ka Chahiye Aur Makhlooq Ko Usi Ke Huqm Ki Ita'at Karni Chahiye,
Lihaaza Malum hua Ke Kisi Aalim , Faazil, Makhdoom, Masaikh , Imam Ka Huqm Makhlooq Khuda Par Jaari Nahin Ho Sakta,
Magar Haan ! Jiski Farma'bardari Ka Allah Huqm De de Toh Uska Huqm Maanna Chahiye Toh Wah Uska Huqm Uski Taraf Se Na Thahra Balke Allah Taala Ka Huqm Thahra,
Jaisa Ke Allah Taala Ne Huqm Diya Hai Ke
"Paighambar Ka Huqm Maano, Aur Riyaaya Ko Huqm Diya Ke Baadshah Ka huqm Maano, Aur Aurat Ko Huqm Diya Ke Shauhar Ka Huqm Maane, Aur Aulaad ko Huqm Diya Ke Apne Maa Baap Ka huqm Maane Aur Ghulaam Ko Huqm Diya Hai ke Apne Malik Ka Huqm Maane,"
Magar Wah Huqm Jo Baadshah Aur Shauhar Aur Maa Baap Aur Malik , Allah Taala Ke Huqm Ke Khilaaf Bataayen Uski Ita'at Na Ki Jaaye,
Raha Paighambar, Wah Masoom Hain ; Wah Huqm E Khuda Ke Khilaaf Koi Baat Nahin Kar Sakta,
Albatta Jo Huqm Paighambar (Sws) Mashwarah Ke Taur Par Bayan Karem Usme Aadmi Ko Akhtiyaar Hota Hai, Chaahe Us Par Amal Kare Ya Na Kare,
Fir Aur Kisi Baadshah, Ameer , Aalim, Masaikh, Mujtahid Aur Imam Ka Huqm Kisi Ginti Aur Shumaar Me Hai Ke Huqm E Khuda Ke Mukhaalif Hone Ke Ba'wajood Usko Maana Jaaye Aur Jis Tarah Allah TaalA Ki Ita'at Ki Jaati Hai Us tarah Kisi Aalim ; Darwesh, Mujtahid Ya Imam Ki Ita'at Karna Shirk Hai,
Chunanche Tafseer Fath Ul Bayan Fi Maqasid ul Quraan Me Likha Hai Ke
"Ibn Saeed, Abd Bin Hameed Aur Tirmizi Ne Riwaayat Kiya , Aur Tirmizi Ne Ise Hadith Ko Hasan Kaha Hai,
Ibn Munzir, Ibn Abi Hatim, Abu Shaikh Aur Bayheqi Ne Is Hadith Ko Apni Sunan Me Adi Bin Hatim Se Riwaayat Kiya Hai Ke
Main Ek Martaba Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Paas Aaya Aur Waqt Aap Surah "Tauba" Ki Aaayat
"Ittakha'zu Ahba'rahum Ra'ruhba nahum Arbaabam Min Doonil'laahi"
Yani Ek Ahle kitab Ne Apne Ulema Aur Masailk Ko Apna Rabb Bana Liya,
Khabar'daar Raho Tahqeeq Wah Log (Yani Yahoodi Wa Nasara) Un Ulema ki Parastist Nahin Karte They,
Lekin Unka Ye Haal Tha Ke Jin Cheez Ko Unke Waaste Wah Halal Kar dete They Usko Log Halal Jaante They..
Aur Jis Cheez Ko UNke Waaste Haram Kar Dete They Usko Haraam Jaante They,....