Bismillahirrehmaanirraheem
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu
*****Imam Bukari r.al koun the???*****
jawab:---
Name : IMAM Abu Abdullah Muhammad bin Ismaeel bin al-Mughirah al-Bukhari r.al
Paidaes : 13th Sawwal 194 hijri
Dead - Date : Imam Bukhari r.al ki wafaat 1 shawwal 256 hijri ko 62 saal ki umr me hue , chote sahar Samarkand jo Tazhikistan me Allah k raste me deen e hak ki mehnat karte hue Allah ko payare hue.
Enke sabse motaber kitab jenke Wajah se ye jaane jaate hai wo hai ''Bukhari Shareef (Al jamius Sahih) ''
Enke Aur kitabe h.
1.Al Aadaabul Mufrad
2. Juz - Raf-e-Yadain
3. Juz - Qiraat-Kalful-Imam
4. At-Taareekh-Al Kabeer - Al Awsat-As Sageer
5. Kitabul Ashribah
6. Kitabul Hibah
7. Mabsoot
8. Kitabul Ilal
9. Kitabul Wuhdaan
10. Af’aalul Ibaad
11. Al-Aadabul-Mufrad
Allah Rabbul alameen k pasandida deen , Islam ki bunyaad Quraan o hadees per hai Quraan e qareem Allah rabbalalameen k Qalam hai jo usne Apne Akhre Nabi Mohammad sallallahu alaihe wasallam per Nazil farmaye. Hadees' Rasual e Akram sallallah hu alaihe wasallam k Qaul e faal aur takrer ko kahte hai ye v manjanib Allah h yaani hadees v wahi h, Hadees Quraan kareem ki Amli tafseer o tashreh hai , Rasuallah sallah hu alaihe wasallam k tarbeyat-yafta Sahaba r.a ne hadeeso ko yaad keya unko apne sagirdo aur aane waali naslo tak pahuchaya , Tabaeen ne es jakhere ko apne baad wale logo tak ba-hifazat pahuchaya es tarah deen k ye bunyaad hissa mahfuz ho gaya, baaz dusmanan Islam ne jab Apne taraf se Hadees ko garna (apne taraf se ezafa ya gatana) suru keya tou es fitna ko khatam karne k leye tabaeen wa tabe-tabaeen aur unke sagerdo yaani mohaddissen karam ne ki , Hadees jachne parakhne k usul -martab (law) keye jinke rousne me Sahi wa Zaif hadees me Tamiz (pahchanna) karna asaan ho gaya.
Muhaddis e karam r.al ne Hadees e Nabwi (s.a.w) ko kitabi surat me martab k jama keya' Es tarah unhone Hadees Nabwi (s.a.w) ki khedmat k hak ada ker deya. Aur Azim khidmat k zareye Ummat e Musalma per Ahsaan farmaya. Muhaddis e karam r.al me ek Azim Naam ''Imam Muhammad bin Ismaeel Bukari r.al'' k hai.
Imam Bukhari r.al 194-256 ne 3sre sade k suruwaat me sahi hadees e nabwi(s.a.w) ko jama karne k Azam keya es tarah Azeem kitab ''Bukhari Shareef (Al Sahih)'' wajud me a gaye, Imam Bukhari r.al ne apne kitab ko Apne ustaad aur hum'umr (us waqt k naami,gerami,unche haiseyat,elm me jalil o qadr) Muahddiso ko dekhaya sabne kitab ki tareef ki. ''Al jamie al sahih'',''Bukhari sareef'' k naam se mashur hue es kitab ko khaas o aam hasil hua, ulma e ummat ne mutafeek tur per ''Sahi Bukhari sareef'' ko Al sahih Al kitab (Quraan paak) k baad kitabullah ' tasleem keya yaani Quraan kareem k baad sabse Sahi ketab.
Sahi Bukhari sareef ko makbuliyat k sahi sabut ye hai k tamaam muktab fekr ne apne madaris wa jamaat me es ketab ko apne nesaab'taalim me Samil keya, Sadeyo se Es kitab K padne-padane k selsela jaare h, Ahle-Elm ne ''Al jami Al Sahi lil Bukhari'' , ''Sahi Bukhari Sreef'' ki Arbi Zubaan me suruwaat lekhe jen k zeer es kitab ko samjhna Asaan hua. Leken Hindustaan o Pakistaan me Urdu Zubaan bolne Aur lekhne padne waale Musalmano ki khasi Abadi hai Es leye Ulma e Karam ne Mahsus Keya K Es Kitab e Azeem Ko Urdu Me Muntakil (tanslat) keya jaye ta k Urdu Janne Wale Bhaio ki Rahnumaye ho sake, jamaat e Ahle-hadees k Ulma e karam ne es Janib sabse pahle Tawajjo farmaye, Imam Nawab Sadek khan r.al ki tahrek o tayed se Moulana Wahiddul Zama Heder Abadi ne Taiser Al baari k Naam ''Sahih Bukhari Sareef'' k Tarzuma wa Tashreh Urdu Zubaan me ki. Unke baad Jamaat Ahle-hadees k Naamud Alim e Deen Moulana Mohammad Daoodraza r.al ne Nehayat Asaani Aur Selsele Zubaan me Sahih Al Bukhari Sareef k Tarzuma wa Tashreh Ker k Khuda se Shaah keya , Moulana Raza sb r.al k Tarzum wa Tashreh Bahut Makbul hua , Moulana k Wafaat k Baad unke farzand janab Nazeer Ahmed Razi sb ki Shaah (lekha) karte rahe,mager Afsos k kaye saal kabal Unhone v es ki Ashaat k silsila moukuf kar deya.
TO BE CONTINUED......
....
ALLAH HAMEN QUR'AAN WA SUNNAT PAR AMAL PAIRA HONE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN
BY- BRO. IMRAN SALAFI