Wednesday, January 29, 2014

AMBIYA APNI QABRON ME ZINDA HAIN AUR NAMAZEN PADHTE HAIN

 Bismillahirrahmanirraheen




Zaeef Riwayat . 

Hazrat Anas RaziAllaho anho Se Riwayat He ke RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: 

"Ambiya Apni Qabro mein Zinda Hain or Namazain Parhte Hain" 


Ye Zaeef Riwayat In Kutub e Ahadith me he: 

([1], Musnad e Abi Yaala, Page: 658, Hadees# 3425, [2] Hayat ul Ambiyah (Imam Bayhqi) Page: 3, Hadees# 2, [3] Musnad ul Bazzar, Jild: 13, Page: 299, Hadees# 6888, [4] Fatah Ul Bari, Jild: 6, Page: 602, Majmua uz Zawaid, waghera...... 


Is Riwayat ko Muhadditheen is Sanad se Bayan karte hain: 


(Mustalim bin Saeed ki Sanad Hajjaj se, Inki Sanad Sabit Al Bannani Se, inki Sanad Hazrat Anas RaziAllahoanaho se......) . 


1, Is Riwayat ki Sanad me"Hajjaj" naami rawi Mojood he, Jis Ka Mukammal Naam Malum nahi he Jese Us ki Waldiyat (Father) Or Nasb (Lineage) Mukammal Likha ho. . 

*Hajjaj Ke Mutalliq kaha jata he Ke ye Rawi Hajjaj Bin Abi Zeyad Al-Aswad (Siqah- Authentic) he , Kiun ke kuch Sanado me Iska Naam 'Hajjaj Bin Aswad' Aaya he,Jis Ke Mutalliq Imam Zahbi RahmatULLAH Alaih Farmate hain:


 "Hajjaj Bin Al-Aswad ki Sanad Sabit Al Bannani se Munkar (Yani Zaeef) He, Mere .Ilm ke Mutabiq . . Mustalim Bin Saeed ke Ilawa kisi ne Is Se ye Riwayat Bayan nahi ki, Or Wo Is Se ye 'Munkar' Khabar Laye Hain.... (Or Agay mazkoora Riwayat 'AmbiyaApni Qabro' bayan ki)" 

(Meezan Ul Aitdaal, Jild: 2, Page: 199, Number: 1730) 

Hajjaj Ya Hajjaj Bin Al-Aswad ka is sanad me Hona is Riwayat ko Zaeef sabit karta he Jesa Imam Zahbi ne bayan kia Or Imam Zahbi ne Jis 'Hajjaj Bin AlAswad' ki Riwayat ko Munkir Kaha he ye 'Hajjaj Bin Abi Zeyad' nahi Kiun ke Hajjaj Bin Abi Zeyad K Mutalliq Aap ne Farmaya 

"Hajjaj Bin Abi Zeyad 'Sadduq' wa KaanaMin asSulaaha (Yani Sache or Naik the) Or inka Naam "Hajjaj Al-Aswad Al-Qasmali" bataya Na ke Hajjaj BIN Al-Aswad. 

(Seerah Aalam An-Nubula, Jild: 6, Page: 43, Number: 1167) . . 


Yani Imam Zahbi Ne Jis Hajjaj bin AlAswad ki Riwayat ko Zaeef kaha he Wo alag he Aur Hajjaj Al Aswad Aik Alag Raawi hain. Or Imam Zahbi Ne Hajjaj Bin Al Aswad ko 

(Talkhees Al Mustadrak, Jild: 5, Page: 250, Hadees# 8113)

 ki Sanad Me Siqah bhi Kaha he Magar Yahan"Hajjaj Bin Aswad ki Sanad Muhammad Bin Wasa'e" se bayan he Or Meezan ul Aitdal me Imam Zahbi ki Jarah 'Hajjaj Bin Aswad ki Sanad Sabit' se Par he or Phir Is Puri Hadith ko Zaeef kaha he. . 


Muqaddimeen Muhadditheen me se kisi Ne bhi Is Riwayat ki Sanad me Hajjaj ko(Hajjaj Bin Abi Zeyad Al Aswad) Nahi likha. .


 2, (Imam Bayhqi) ki Kitab Hayat Ul Ambiya Me Is riwayat ki Pehli Sanad Me 'Hajjaj' ka naam 'HajjajBin Aswad' Bataya he Jis Par Imam Zahbi Ki Meezan Ul Aitdal me Jarah (Disparage) Mojud He or Sath he Is Sanad Me Ek Aur Sakht Zaeef Raawi "Hasan Bin Qutaibah" Mojood he Jis ke Mutalliq Imam Zahbi farmate hain 'Ye Halak Hone ke laiq he', 


Imam Darqutni Farmate hain

 'Ye Ahadith ko Tark (Deny) karne wala tha',

 Imam Abu Hatim Ne isay 'Zaeef' kaha he. 

(Meezan ul Aitdal, Jild: 2, Page: 270, Number: 1936) . 



3, Musnad ul Bazzar me bi 'HasanBin Qutaibah' ka Zauf shamil hai or Wahan Imam Bazzar ne 'Hajjaj' ko Hajjaj Bin Abi Usman Al Sawwaf (Siqah) likha he, Is he Lie Hajjaj Ka Mukammal Naam Pata na Hona aur Baaz Aimma Kaisay Sirf Hajjaj, Hajjaj Bin Aswad Ya Hajjaj Al Aswad Kehna bhi Is Riwayat ki Sanad ko Mashqooq Sabit karta he. . 


Aisi he Riwayat Zaeef Sanad ke saath Tareekh e Asbahan me Mojood he jis me 'Hajjaj' ke bajaye Raawi ka naam 'Shajjaj' likha hua he aur Ek Raawi Abdullah bin Ibrahim bin AlSabah (majhool) unknown he, Is ke ilawa Riwayat ke Alfaz hain"Ambiya Apni Qabro Me Namazain Parhte hain" (Zinda hone ke alfaz mojood nahi hain)


 [Tareekh e Asbahan, Jild: 2, Number: 1026] .;


Is Tafseel Se malum hota he ke Ye Ajeeb o Gharib Riwayat Sanad ke sath Matan me bhi kamzor He Aur Is ke Ilawa Islami Aqeedah ye batata he ke baad az wafaat Ambiya, Shohda aur Momineen Apne Rab ke Pass Zinda hain 


Allah Ta'ala ka Irshad He:


 "Or Jo Allah Ki Raah me Shaheed Kie gaye unhan har giz Murdah Na Khayal Karna balke Wo Apne Rab Ke Pass Zinda Hain, Rozi Paate hain." 


(Surah e Aal Imran, Ayat: 169) . 

Yani Wo Allah Rabbul Izzat ke Haan Arsh par hain Na ke Dunia me Mojood Aur Ambiya AlaihimusSalaam ka Rutba Shohda se Bhi ziada he to un ke Mutalliq ye Aqeedah rakhna ke Woh Duniya me Zinda hain kisi lehaz se Sabit nahi or Is Ayat ki wazahat RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne Farmai ke . 


"In (Shohda) ki Roohain sabz Parindo ke Qalib me hain, Arsh ki Qandilain in ke lie hain sari jannat me Jahan kahin Chahain Charen chugain or Qandeelo me Aaraam karain..." 

(Sahih Muslim, Kitab ul Emaraat, Hadees# 4885) . 

Aur Allah Ta'ala ne Farmaya 

"Aur Jo Log Allah aur us ke Rasool (Sallallaho Alaihewasallam) ki Ita'at karte hain Wo In Logo ke saath honge Jin par Allah ne BaraFazal Kia Yani Ambiya aur Siddiqin aur Shohda aur Naik Log Aur in Logo ki Rafaqat bohothe khoob he" 

(Surah e Nisa, Ayat:69) . 

Yaani Allah ne jo Sharf apne Khaas bando ko bakhsha he wo Insan k Guman se bohot buland he or Duniyawi zindagi ko Mukammal Itaa'at k sath guzarne ke baad Allah ne unhain Jannat ka Inaam Ata kia. Jab Shohda e Karaam ki Roohain Jannat me hain to Ambiya e Karaam Alaihesalam Un se badarjaha Aalaa Jannat ke Aala o Afzal tareen Muqamat o Mehlaat me hain, Shohda ki ye Hayat Jannati, Ukhruwi o barzakhi he Is he Tarah Ambiya ki Hayat Jannati, Ukhruwi aur Barzakhi hejo Dunia se Alag he. .; 

Ye Riwayat Sanad (Chain Of Narration, Authenticity) Ke Lehazse bhi Zaeef He Or Matan (Meaning) Ke Lehaz se Bhi Kisi Sahih Hadith or Mustanad Islami Nazariye ke Mutabiq Nahi, 


Allah Taa'aala Se Dua He ke Hamain Aur Aap ko Deen Ki Wo Soch Ata farma Jo Haq Ki taraf Le jati ho Aur Jannat ka Raasta Aasan Banane Wale Aamal or Aqaid Apnane ki Tofeeq Ata Farmaye. Ameen