Thursday, January 16, 2014

MUTAASSIB MUQALLID AMEEN OKARWI KE JHOOT KA BAYAN (PART -2)

Bismillahirrahmanirraheeem

 



MUTAASSIB MUQALLID AMEEN OKARWI KE JHOOT KA BAYAN (PART -2)

 


Okarwi Jhoot No. 8

Okarwi Ne Kaha

"Taqleed Shaksi Ka Inkaar Malika Victoriya Ke Daur Me Shuru Hua, Usse Pahle Iska Inkaar Nahin, Balke Sab Log Taqleed Shakhsi Karte They"

(Tajalliyaat E Safdar jild 2page 410)

TABSIRAH

Ahmad Shah Durrani Ko Shikhast Dene Waale Mughal Baadshah Ahmad Shah Bin Naseeruddin Muhammad Shah (Daur e Hukumat 1161 Hujri Se 1167 Hijri) Ke Ahad me Faut Ho Jaane Waale Sheikh Muhammad Faakhar Alahbadi (Rh) (1164 h) Farmate Hain

"Jamhoor Ke Nazdeek Kisi Khaas Mazhab Ki Taqleed Karna Jayez Nahin Hai Balke Ijtehaad Waajib Hai.....Taqleed Ki Bidat Chauthi Sadi Hijri Me Paida Hui Hai"

(Risaala Najaatiyah Page 41-42)

Sheikh Ul Islam Ibn Taimiyyah (Rh) Wagerah Ne Taqleed Shakhsi Ki Mukhalifat Ki Hai

(Dekhiye Okarwi Jhoot No 9)

Hafiz Ibn Hazam Ne Elaan Kiya Hai "Wal Taqleed Haraam"

Aur (Aami Ho Ya Aalim) Taqleed Haram Hai

(Nabzatul Qaafiyah Page 70,71)

Ye Sab Malika Victoriya Se Pahut Pahle Ghuzar Chuke Hain,

Okarwi Jhoot No. 9

Okarwi Ne Kaha

"Yahi Wajah Hai Ke Sab Muhaddiseen Aimma Arba Me Se Kisi Na Kisi Ke Muqallid Rahe Hain"

(Majmua Rasail 4/62 Taba Awwal 1995)

TABSIRAH

Shaikhul Islam Imam Ibn Taimiyyah (Rh) (727 hijri) Se Muhaddis Kiram Ke Baare Me Poocha Gaya Ke

"Kya Ye Log Mujtahideen They, Unhone Aimma Mese Kisi Ki Taqleed Nahin ki Ya Ye Muqallideen They ??"

Sheikhul Islam Ne Jawab Diya

"Imam Bukhari Aur Abu Dawood Toh Fiqh Ke imam Aur Mujtahid (Mutlaq) They, Rahe Imam Muslim, Tirmizi , Nisaai, Ibn Maja, Ibn Khuzaima, Abu Yayla, aur Bazzaar Wagerah Wah Ahle Hadith Ke Mazhab Par They, Ulema Mese Kisi Ki Taqleed Maeen Karne Waale, Muqallideen Nahin They, Aur Na Mujtahid Mutlaq They"

(Majmua Fatawa 20/39-40)

Ye Ibaarat Is Mafhoom Ke Saath Darj Zel Kitaabon Me Bhi Hai

Kalam Ul Mufeed Fi Asbaat Taqleed, Tasneef Sarfaraz Khan Safdar Deobandi Page 185

TANBIYAH

Sheikh Ul Islam Ka In Kabair Aimma Hadith Ke Baare Me Ye Kahna Ke (na Mujtahid Mutlaq They) Mahal E Nazar Hai,

Okarwi Jhoot No 10

Okarwi Sahab Ne Imam Ata Bin Rabah (Rh) Ke Baare Me Kaha

"Maine Kaha, Sire Se Hi Saabit Nahin Ke Ata Ki Mulaaqaat 200 Sahaba Se Hui Ho, Aur Ye Toh Bilkul Hi Ghalat Hai Ke Ibn Zubair (Ra) Ke Waqt Tak Kisi Ek Shaher me 200 Sahaba Maujood Hon"

(Tahqeeq Masla Aameen page 44, Majmua Rasail 1/156 Taba October)

TABSIRAH

Dusre Maqaam Par Yahi Okarwi Sahab Elaan Karte Hai

"Makka Muqarrama Bhi Islam Aur Musalmano Ka Markaz Hai Hz Ata Bin Abi Rabah Yahan Ke Mufti Hain 200 Sahaba Kiram Se Mulaaqaat Ka Sharf Haasil Hai"

(Namaz E Janaza Me Surah Fatiha Ki Sharai Haisiyat Page 9, Majmua Rasail 1/265)

Tabsirah

Khud Hi Apni Adaaon Par Ghaur Karen,

Ham Arz Karen Toh Shikaayat Hogi,

Dusra Ye Ke In Dono Ibaaraton Me Ek Ibaarat Jhooti Hai,

Okarwi Jhoot No 11

Ek Sahih Hadith Ka Mazaaq Udaate Hue Nabi Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Baare Me Ameen Okarwi Likhta Hai

"Lekin Aap (Sws) Namaz Padhaate Rahe, Aur Kutiya Saamne Khelti Rahi, Aur Saath Gadhi Bhi Thi, Dono Ki Sharm'gaahon Par Bhi Nazar Padhti Rahi"

(Ghair Muqallideen Ki Ghair Mustanad Namaz Page 43, Majmua Rasail 3/350 Hawala No 198, Tajjalliyat E Safdar Shaaye shuda Baad Az Maut Okarwi 5/488)

TABSIRAH

Ye Kahna Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Nazar Mubaarak

"Gadhi Aur Kutiya Ki Sharm'gaahon Par Padhti Rahi"

Kaaynaat Ka Siyaah Tareen Jhoot Hai,

TANBIYAH

Okarwi Ne Mazkoor Ibaarat Ko Kaatib Ki Ghalti Kah Kar Jaan Chhudane Ki Koshish ki Hai,

Magar Yaad Rahe Ke Ye Taweel Ibaarat Kaatib Ki Ghalti Nahin Hai Balke Master Ameen Okarvi Ke Dastakhat (Signature) Waali Kitaab "Tajalliyat E Safdar" Me Uske Marne Ke Baad Bhi Shaaye Hui Hai,

Okarwi JHOOT No. 12

Ek Riwayat Ki Sanad Darj Zel Hai

"Hadisna Nazar Qaal : Hadisna Akarama Qaal: Hadisni Umro Bin Saeed An Umro Bin Shuaib An (Abiyah) Jadah"

(Juzz Ul Qirat Lil Bukhari 63, Tajalliyat e Safdar Matbua Jamiat Ishaat Al Uloom Hanfiyah Faisalabad 3/93)

IS riwayat Ke Baare Me Okarwi Sahab Likhte Hain

"IS sanad Me Teen raawi Mudallis Hain, Isliye Zaeef Hai"

(Tajalliyat E Safdar 3/93)

TABSIRAH

arz Hai Ke Is Sanad Me Umro Bin Saeed Par Tadlees Ka Koi Ilzaam Nahin Hai,

Sirf Umro Bin Shuaib Aur Shuaib Bin Muhammad Par Mutakkhireen Ki Taraf Se Tadlees Ka Ilzaam Hai Aur ye Dono Tadlees Se Bari Hain,

Dekhiye Sheikh Zubair Ali Zai Ki Kitab "Fath Ul Mubeen Fi Tahqeeq Tabqaat Al Mudalliseen 2/60, 2/58"

Baaqi Sanad Masrah Ba Sama Hai, Ye Malum Nahin Ke Okarwi Sahab Ne Teesra kaun Sa Mudallis GhadH Liya Hai ???


 Okarwi Jhoot No 13

Okarwi Sahab Likhte Hain

"Yani Imam Sufyan Bin Uyayna Ke Daur Dusri Sadi Se Lekar Shah Waliullah Ke Daur 12wi Sadi Tak Tamam Duniya Aur Tamam Mumalik Me Awaam Aur Baadshah Sab Hanafi They"

(Tajalliyaat E Safdar, Mtbua Maktaba Imdadiya Multan 5/42)

TABSIRAH:

7wi Sadi Hijri Ke Sultan Kabeer Ameerul Momineen Abu Yousuf Yaqoob Bin Yousuf Al Marakishi Zaahiri (Rh) Taqleed Ke Shakht Khilaaf They,

Unhone Apne Daur E Khilaafat Me Huqm Jaari Kiya Tha

"Aur Log Agle Aimma Mujtahideen Mese Kisi Ki Taqleed Nahin Karenge"

(Tareekh Ibn Khalqaan 7/11)

nez Dekhiye

(Alam An Nabula 21/314)

Okarwi Jhoot no 14

Okarwi Sahab Likhte Hain

"Tamam Mumalik Me Sultanate Bhu Ahnaaf Ke Paas Rahi Aur Jihaad Bhi Unhone Kiye, Ghair Muqallidon Ko Na Kabhi Hukumat Naseeb Hui Na Jihaad Karna Qismat Me Naseeb Hua"

(Tajalliyaat E Safdar, Maktaba Imdadiyah Multan 5/45)

TABSIRAH:

Iske Radd Me Dekhen Okarwi Jhoot No 13 Par Tabsirah

Sultan Kabeer Yaqoob Bin Yousuf Al Marakisi Ki Jihaadi Muhimo Ke Liye Wafat Ul Aayaan wa Seerul Aalam Un Nabula Ka Mutaala Karen,

Okarwi Likhta hai

"Taqleed Shakhsi Ka Inkaar Malika Victoriya Ke Daur Me Shuru Hua"

(Tajalliyaat E Safdar, 2/410, Dekhiye Okarwi Jhoot No 8)

"Aur Ye Sab Malika Victoriya Se Bahut Pahle Ghuzar Chuke Hain"

Ye Aam Logon Ko Bhi Malum Hai Ke Malika Victoriya Ke Daur Se Sadiyon Pahle Hafiz Ibn Hazam Andulesi Ne Taqleed Shakhsi Wagerah Ki Shakht Mukhaalifat Ki Thi,

Sheikh Qasim Bin Muhammad Tarabulesi (276 h) Ne Kitab Al Ejah Fil Raddul Muqallideen Likhi Thi

(Dekhiye Seerul Alaam Un Nabla 13/329)

Okarwi Jhoot No. 15

Sayyidena Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Raat Ki Namaz Do Do Rakat Karke Padhni Chahiye Lekin Jis Waqt Tum Namaz Khatm Karne Ka Iraada Karo Toh Aakhir Me Ek Rakat Padh Lo Kyonki Jis Qadr Namaz Tum Padh Chuke Wah Sab Ki Witr (Taaq) Ban Jaayegi"

(Sahih Tarjuma, Sahih Bukhari Mai Urdu Tarjuma Abdul Daim Deobandi 1/553, H 948)

Ab Is Hadith ka Tarjuma Okarwi Sahab Ke Alfaaz Me Padh Len

"Raat Ki Namaz Do Do Rakat Hai Phir Jab 2 Rakat Baad Toh (Attaiyyaat Padh Kar) Salaam Ka Iraada Kare Toh Khada Hokar Ek Rakat Mila le Wah Witr Ho Jayegi"

(Majmua Rasail 2/111)

Ye Tarjuma Jhoota Aur Khud'saakhta Hai " Attaihiyaat Padh Kar"

Ke Alfaaz Hadith Me Qatan Maujood Nahin Hain,

TANBIYAH

Hakeem Sadiq Siyalkoti (Rh) Ne Sabeelurrasool Me Likha Hai

"Rasoollullah (Sws) Ki Zindagi Me Aur Hz Abu Bakr (Ra) Ki Poori Khilaafat Khilaafat Me Aur Khilaafat E Umar (Ra) Ke Ibtedaai 10 Saalon Me (Ekbaargi) Teen Talaaqen Ek Shumaar Ki Jaati Thin"

(Page No 268, Dusra Nuskha Page 144)

Is Par Tabsirah Karte Hue Okarwi Likhta Hai

TEESRA JHOOT: "isi Hadith Ka Tarjuma Karte Hue "Ekbargi" Ka Lafz Apni Taraf Se Badhaaya Jo Hadith Me Mazkoor Nahin"

(Majmua Rasail 2/12)

Maalum Hua Ke Hadith Ki Tashreeh Me Koi Jumla Ye Lafz Bracketon Me Likha Jaaye Toh Wah Okarwi Sahab Ke Nazdeek Jhoot Hota Hai....

In sha allah Okarwi Ke Aur Jhoot Next Post Me Bayan Karenge.....