Showing posts with label QABR KA BAYAN. Show all posts
Showing posts with label QABR KA BAYAN. Show all posts

Friday, April 23, 2021

आज से सिर्फ सौ साल बाद जब इस तहरीर को पढ़ने वाला हर शख्स ज़मीन के अंदर दफन होगा

 



आज से सिर्फ सौ साल बाद जब इस तहरीर को पढ़ने वाला हर शख्स ज़मीन के अंदर दफन होगा , हमारी हड्डियां रेजा रेजा होकर मिट्टी में मिल चुकी होंगी, तब तक हमारी जन्नत और जहन्नुम का फैसला भी मालूम हो चुका होगा , जबकि इस ज़मीन के ऊपर हमारे छोड़े हुए घर किसी और के हो चुके होंगे , हमारे कपड़े कोई और पहन रहा होगा और हमारी मेहनत और मुहब्बत से हासिल गाडियां कोई और चला रहा होगा ,तब हम किसी के ख्यालों ख्याल में भी ना होंगे,


भला आप अपने पर दादा या पर दादी के बारे में कभी सोचते हैं ?? तो कोई हमारे बारे में क्यूं सोचने लगा ???

आज ज़मीन के ऊपर हमारा वजूद, जिसकी बुनियाद पर यहां हमारा हर वक्त का शोर वा शराबा, हटो बच्चों की सदाएं और इन घरों को आबाद करने के लिए, हमारी मेहनत वा मशक्कत, ये सबकुछ हमसे पहले किसी और का था और हमारे बाद यकीनी तौर पर किसी और का होने वाला है,

कोई ऐसा होने से रोक सकता है तो रोक कर दिखाए , इस दुनिया से गुजरने वाली हर नसल बमुश्किल इस पर एक सरसरी सी नज़र ही डाल पाती है,

ख्वाहिशात की तकमील का मौका भला किसी को इस दारुल फना में कहां मिल सकता है ?? हमारी ज़िन्दगी दरहकीकत हमारे तसव्वुरात वा ख्वाहिशात के मुकाबले में बहुत ही छोटी है,

साल 2121 में हम सब पर अपनी अपनी कब्र में इस दुनिया और अपनी ख्वाहिशात की हकीकत मालूम हो चुकी होगी,

हाय अफसोस !!

इस धोखे के घर में कैसी बेवकूफाना ख्वाहिशात और कैसी जाहिलाना मंसूबे हमने बना रखे थे??

मेरे अज़ीज़ दोस्तों भाई और बहनों!! तब हम पर ये हकीकत भी साफ हो जाएगी के," ए काश ! के हमने अपनी तर्जीहात में अपने अल्लाह रब्बुल इज़्ज़त और मेरे बाप दादाओं वा आल वा औलाद से करोड़ों करोड़ गुना ज़्यादा प्यारे नबी ए करीम मुहम्मद सल्ललाहू अलैहि वसल्लम की वफादारी को सबसे आगे वा राजे रखा होता तो आज सबकुछ दुनिया में छोड़कर आने के बजाए क़ब्र का जाद ए राह और अच्छे आमाल की शक्ल में सदका जारिया भी साथ ला सकते, तब हमें ये भी मालूम हो चुका होगा के दुनिया इस लायक हरगिज़ ना थी के उसके लिए इतना सबकुछ जान, माल, वक्त और तमाम सलाहियतें दाव पर लगा दी जाती,

आज 2021 में ये तहरीर पड़ने वाले बहुत से लोग 2121 में ये तमन्ना कर रहें होंगे,

"رَبِّ ارْجِعُونِ لَعَلِّي أَعْمَلُ صَالِحًا فِيمَا تَرَكْتُ ۚ "

" ए मेरे परवरदिगार! मुझे वापस दुनिया में भेज दे, ताकि मैं जो कुछ वहां छोड़ आया हूं उसमे वापस जाकर नेक आमाल कर सकूं,"

लेकिन इस दरख्वास्त का जवाब बहुत सख्त मिलेगा

"كَلَّا ۚ إِنَّهَا كَلِمَةٌ هُوَ قَائِلُهَا ۖ وَمِن وَرَائِهِم بَرْزَخٌ إِلَىٰ يَوْمِ يُبْعَثُونَ°"

" हरगिज़ नहीं ! ये सिर्फ एक बात है जो ये कह रहा है ( काबिल ए अमल बात नहीं है) अब तो ये कयामत तक इनके पीछे बाड़ लगा दी गई है"

(क़ुरआन सुरह अल मोमिनीन आयत 99-100)

2121 में क़ब्र के अंदर वो ये तमन्ना भी करेगा ,

"يَا لَيْتَنِي قَدَّمْتُ لِحَيَاتِي°"
" हाय मेरी बर्बादी काश ! मैं अपनी ज़िन्दगी के लिए कुछ आगे भेज देता .."

(क़ुरआन सुरह अल फजर आयत 42)

दोस्तों ! मौत का फरिश्ता मेरे और आपके नेक होने के इंतजार में नहीं है,

आइए ! मौत के फरिश्ते के इंतजार के बजाए मौत की तैयारी करें और अच्छे आमाल वाली ज़िन्दगी अख्तियार कर लें,

साभार: Umair Salafi Al Hindi
Blog: Islamicleaks.com 

Sunday, December 21, 2014

BACCHA AGAR MARA PAIDA HO TOH KYA US BACCHE KI NAMAZ E JANAZA PADHI JAAYEGI ????

Sawal : Baccha Ager Mara Paida hua tou keya us Bacche ki Namaz e Janaja padhe jayege?

jawab : Murdaar ya NaTamam Bacche ki Namaz e janaja Padna Mshruoh wa jaiz hai.


1-Chunche Hazrat Said Mugaira bin Saiba r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Irshad Farmaya :

''Bacche ki Namaz e janaja padhe ja sakte hai''

[Sahi Abu Daood Hadees No-2723,Sunan Abu Daood kitab al janaiz hadees no-3180,Jamai Tirmizi Al janaiz Hadees No-1036,Sunan Ibn Maza Hadees No-1507,Sreh Maine al Asaar jild-1 safa-482,Mustanad Al hakim jild-1 safa-355, (Asanad Sahi)]

Aur Ek Dusre Rewayat me ye Alfaaz hai :

''NaTamam Bacche ki Namaz e janaja padhe ja sakte hai''

[Sunan Abu Daood jild-1 Safa-453 kitab Al janaiz Hadees No-2766,3180,Jamai Tirmizi kitab Al janaiz Hadees No-952,Sunan Nishai kitab Al janaiz Hadees No-1912,1917,1922,Sunan Ibn Maza kitab al janaiz Hadees No-1470,Musnad Ahmed jild-6 safa-208 Hadees No-17709,17459,17468,17475, (Qala shaikh Albani : Sahi) ]

2-Hazrat Aisha r.a se Marwi hai Farmate hai :

''K Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam k pass Ansario k Ek (Fout suda) Baccha laya gaya Aur Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne us per Namaz e janaja padhe''

[Sahi Muslim kitab al Qadr Hadees No-4813,Sunan Nishai kitab al janai Hadees No-1921,Sunan Abu Daood al sanata Hadees No-4090,Sunan Ibn Maza kitab al muqadma Hadees no-79,Musnad Ahmed Hadees No-23002,24560]

Shaikh Albani r.al :

''ye Alfaz Sunan Nishai k hai Aur eske Sanad Sahi hai,Mazed bayan farmate hai k ye Baat Zahir hai k Natamam Bacche se Muraad Wo bacche hai ' jiske 4 Mahine (Month) Mokammal ho Chuke ho Aur usme Rooh Fook de gaye ho fer Wafaat paye ' tahum us Muddat se Qabal Ager kisi Surat me Baccha Sakit ho jaye tou uske Namaz e janaja Nahi padhe jayege kuki Wo Mayyat kahla Nahi sakte ''.

[Akaam Al janaiz Safa-71,150]

jaisa k Hazrat Abdullah Bin Masood r.a se Marwi Hadees hai me ye Sabit hai :

''K Baccha jab Apne Maa k pait me 4 Mahine(Mount) ki Umr ko pahuchta hai Tou usme Rooh Fook de jate hai''.

[Sahi Bukhari Kitab Bad Ikhlaq Hadees No-2969,3085,8610,3332, Sahi Muslim kitab Al Qdr Hadees No-2643,4781,Sunan Abu Daood kitab Sanat Hadees No-4085,4708,Jamai Tirmizi kitab al Qdr Hadees No-2063,2137, Sunan Ibn Maza hadees No-72,73,Musnad Ahmed jild-1 Safa-382 Hadees No-3441,3737,3882 , Musnad Amed Hadees No-126]


#ImranKhanSalafi

Thursday, October 2, 2014

MAYYIT KO DAFNAANE KE BAAD AJHKAM O MASAIL



Bismillahirrahmanirraheem ..

:::::Mayyat ko Dafnane k baad Ahkaam o Masail:::::::


**Yatim k Sir per Hanth ferna Aur uska Ekraam karna Mustahab hai**


Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Hazrat Zafar r.a ki Sahadat k Baad unke Beta Abdull ko Utaya Aur Uske Sir per 3 Martaba Hanth fera Aur her Martaba hanth ferte hue kaha ''Aye Allah ! jafar ki Awlad me es k Jaa-Nasin Bana''


[Sahi : Ahkam al janaiz Safa-210 Ibn Maza Hadees no-1612, Musnad Ahmed 2/204 , Hafiz buseer r.al ne ese Sahi kaha hai (1/534) ]


::::Wafaat k Baad Mayyat ko jin Asiya k Faida hota hai:::::


1-Musalmano ki Dua:


jabke Esme Kabuliyat ki Srt Mouzud ho,Irshad Baari Tala hai k:


''Aur jo unke baad Ayege wo kahege k Aye Humare Parwardega'ar ! Hume Baks de Aur humare un bhaio ko v jo humse pahle Imaan laye Aur Imaan-daaro ki taraf se humare Dil me Kina(Dusmani) Na Daal' Aye Humare Rab be-sak tu Safkat wa Maharbani karne wala hai.''


[Sureh No-59. Al-Hashr-Ayat No-10]


2-Wali k Mayyat k Rozo ki kaza dena :


Hazrat Aisha r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :


''jo Saks Fout (Wafa'at) ho jaye Aur uske jimme kuch Roze Ho tou uska Wali uske Taraf se Roze Rakhe''


[Hasan: Ahkaam al janiz safa-212 Ahmed hadees no-1760 , Hakim 1/372,Bahqi 4/60]


3-Mayyat ki Nazar puri karna :


Hazrat Saad bin Ubada r.a ne Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam se Daryaft key k ''Beshaq mere Walda Wafaat pa gaye hai Aur uske Jimme Nazar hai (Tou may kya karu)? Aap(s.a.w) ne Farmaya Tum Uske Taraf se Nazar puri karo''


[Bukhari 5/440 kitab al wasiya,Nishai 2/130,Tirmizi 2/375,Bahqi 4/256,Ahmed 1893]


4-Mayyat ki Taraf se koi v Karz Ada kar sakta hai :


Jaisa k Ahad Resalat me Ek Saks Makruz Fout (wafaat) hua tou Aap (s.a.w) ne Farmaya : Apne Sathi per khud Namaz padho.

Tou Hazrat Abu Qatada r.a ne kaha : Aye Allah k Rasul ! aap eske Namaz e Janaza padhe Aur eska karz mere Jimme hai,fer Aap(s.a.w) ne uske Namaz e Janaza padhe.

[Bukhari 3/368,Ahmed 4/47,Nishai 1/278, Darmi 2/263, Ibn Maza 2/75]


5-Saleh Aulaad jo v Nek Amaal Sir Anzam de :


Irshad Baari Tala hai k :


''Insaan k leye Serf wahi hai jiske usne kosis ki''


[Sureh No-53. An-Najm-Ayat No-39]


Aur Awlaad Inshaan ki kosis wa kamae me se hai jaisa k Hadees e Nabi(s.a.w) hai k :


''Beshaq sab se Pakeza chiz jise Inshaan khata hai wo uske (apne Hantho ki) kamai hai Aur beshaq uske Awlaad v uske kamai me se he hai.''


[Hasan : Ahkaam al Janaiz safa-217 Abu daood 2/108 kitab al bewa, Nishai 2/211,Tirmizi 2/287,Dharmi 2/247,Ibn Maza 2/2 , Hakim 2/46 , Ahmed 6/41]


6-Sadka e Jareya Aur Acche Asraat :


(1)- Irshad e Baari Tala hai k :


''hum lekhte jate hai Wo Amaal v jin ko log Aag vejte hai Aur unke Wo Amaal v jin ko piche Chod jate hai (yaani Ayse Amaal Aur Namune dunya me piche chod jate hai k Marne k baad loog unke Iqtada me wo Amaal bajalate rahte hai).''


[Sureh No-36. Ya-Sin , Ayat No-21]


(2) Hazrat Abu Huraira r.a se Marwi hai k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya :


''Jab Inshaan Fout(wafaat) ho jata hai tou 3 Amaal k sewa uske tamam Amaal munkata ho jate hai :


A-Sadqa e Jariya.

B-Aysa Elm jisse loog Faida uthate ho.
C- Nek wa Saleh Awlaad jo uske leye Dua karte Rahe.

[Muslim 5/73 kitab al wasiha,Al adaab al mufrid lil Bukhari Safa 7 , Abu daood 2/15,Nishai 2/129,Bahqi 2/278, Ahmed 2/372]


Note : ye saari jankare Feka o Ahadees kitab (Shaikh Albani r.al ki tahkek) se le gaye hai...



#Imran Khan Salafi 

Sunday, May 4, 2014

TADFEEN KE MASAAEL

1: Kabr Gahari Chauri Aur Saf Suthri Honi Chaiye

 [Abu Dawood 3215] - 

2: Karibtarin Rishtedaro Ko Chaiye Ki Mayyat Ko Kbr Me Utare 

[Hakim, Baihaqi ] - 

3: Jarurt Ke Waqt Ek Kbr Me Ek Se Jyda Mayyate Dafan Ki Ja Sakti Hai 

[ibne Majah 1560] - 

4: Shauhar Apni Biwi Ki Mayyat Ko Kbr Me Utar Sakta Hai 

[ibne Majah] - 

5:Mayyat Kbr Me Rakhte Waqt Yah Dua Bismillahi wa Ala Sunnati Rasulullahi Sallallhu Alhahi Wasallam Padhna Sunnat Hai 

[muslim 1550] - 

6:Kbr Par 3 Mutthi Mitti Dalna Sunnat Hai

[Muslim 1565] - 

7: Jameen Se Kbr Ek Balisht Se Jyda Nahi Honi Chaiye 

[Abu Dawood 3220] - -

 8: Kbr Unchi Banana , Pakki Banana, Ya Kbr Par Majar Bnana ya Koi Tamir Karna Mana Hai 

[Abu Dawood 3225] - 

9 Kbr Par Nam Tarikhe Wafat Ya Kuch Aur Likhna Mana Hai 

[abu Dawood] - 

10: Kbr Par Btaur Nishani Patthr Gadhna Sahi Hai 

[ibne Majah 1561] - 

11 Dafan Ke Kbr Par Pani Chirkna Jaiz Hai 

[ibne Majha 1551] - 

12: Rat Me Dafan Karna Jaiz Hai 

[Bukhari 1247] - 

13: 3 Waqto Suraj nikalne suraj Sar Par Hone Aur Suraj Dubte Waqt Me Mayyat Ko Dafan Karna Mana Hai 

[ibne majah 1519] - 

14 Dafan Ho Jane Ke Sawal Hote 

[tirmizi] - 

15 dafan ke Bad Kbr Par Khade Rahkar Mayyat Ke Liye Sawal Jawab Ke Waqt Sabit Kadm Rahne Ki Dua Krni Chaiye 

[Abu Dawood 3221] - 

16 Kbr Me Azab Hota H Us Se Panah Mangani Chaiye 

[Bukhari 1377] - 

17:Mayyat Ko Kbr Me Subah Sham Thikana Jannat Ya Jahnnam Dikhaya Jata Hai 

[Bukhari 1379] - 

18 Momin Murde Ki Haddi Todana Ya Katna Jinda Insan Ke A'aza Todane Ya Katne Jesa Hai 

[Abu Dawood 3207] 

Via: Ayan Khan Salafi

Sunday, April 20, 2014

RASOOL SALLALLAHU ALAHI WASALLAM AUR SAHIBEEN KI QABRO KO MASJID-E-NABVI DAKHIL KARNE KI KYA HIKAMAT?

 RASOOL SALLALLAHU ALAHI WASALLAM AUR  SAHIBEEN KI QABRO KO MASJID-E-NABVI DAKHIL KARNE KI KYA HIKAMAT?


Question : Jab Yah Maloom Hai Ki Mayyat Ko Masjid Mai Dafan Karna Jaiz Nahi Aur Jis Masjid Mai Qabar Ho Us Mai Namaz Parna Jaiz Nahi To Phir Rasoolullah s.a.w Aur Baaz Sahaba Karam R.A. Ki Qabro Ko Masjid Nabvi Mai Dakhil Kerne Ki Kya Hikmat Hai? 

Answer : 

Rasool Allah s.a.w Se Yah Sabit Hai Ki App Ne Farmaya: 

"Allah Ta'ala Yahod-o-Nasara Par la'anat Farmaye K Inhone Apne Anmbiya Ki Qabaro Ko Masjiden Bana Liya Tha." 

[Sahi Al-Bukhari 1330, Sahi Muslim 529, Sunan An-Nasa'i 704, Ahmad 5: 204 Aur Al-Muwatta 85] 

Isi Tarh Yah Bhi Hazrat Aisha R.A Se Marvi Sahi Hadis Se Sabit Hai: 

"Hazrat Umm Salma R.A. Aur Hazrat Habiba R.A. Ne Rasool Allah s.a.w Ki Khidmat Mai Aik Girja Ka Zikr Kiya Jise Inhone Habsha Mai Dekha Tha Aur Is Mai Tasveere Bani Huwi Thee' Rasool Allah s.a.w Ne Farmaya: 

"Un Logo Mai Agar Koi Naik Admi Faot Hota To Is Ki Qabar Par Masjid Bana Lete Aur Is Mai Yah Tasveere Bhi Banate Wah Log Allah Ta'ala Ke Nazdeek Sab Se bad'tareen Makhlooq Hain." 

[Sahi Al-Bukhari 427, 434, 1341 , Sahi Muslim. 528, Sunan An-Nasa'i 705 Aur Ahmad 6: 51.] 

Hazrat Jandab Bin Abdulullah Bijli R.A Se Riwayat Hai Ki Mai Ne Rasool Allah s.a.w Ko Irshad Farmaty Huwe Suna Ki : 

"Allah Ta'ala Ne Mujhe Apna Khaleel Bana Liya Hai' Jis Tarah Allah Ne Hazrat Ibrahim A.S. Ko Apna Khalil Banaya Tha. Agar Mai Ummat Mai Se Kisi Ko Apna Khalil Banata To Abu Bakar R.A. Ko Khalil Banata' Tum Mai Se Pahle Log Apne Nabiyo Aur Waliyo Ki Qabaro Ko Masjiden Bana Laite The' Khabardar! Tum Qabaro Ko Masjide Na Banana' Mai Tumhe Is Se Mana Karta Hoon." 

[Sahi Muslin 532, Al-Hakim 2: 550.] 

Hazrat Jabir R.A.Se Riwayat Hai: "Nabi Kareem s.a.w Ne Qabar Ko Choona Gach (pukhta) Karne' Is Par Bethne Aur Is Emarat Banane Se Mana Farmaya Hai." 

[Sahih Mislim 970.]

 Yah Hadis Aur Is Maf'hom Ki Deegar Ahadees Is Bat Par Dalalat Karti Hain Ki Qabaro Par Masjide Banana Haram Hai Aur Aisa Kerne Walo Par Rasul s.a.w Ne La'anat Farmai Hai' Isi Tarh Yah Ahaadis Is Baat Par Bhi Dalalat Karti Hain Ki Qabaro Par Emarte Banana' Qubey Ta'ameer Karna Aur Inhe Choona Gach Karna Haram Hai Kyo Ki Yah Shirk Aur Gair Allah Ki Ibadat Ke Asbab Mai Se Hai 

Jaisa Ki Qadeem-o-Jadeed Dour Ki Tarikh Shahid Hai Lehaza Dunia Bhar Ke Musalmano Par Yah Wajib Hai Ki Allah Aur Is Ke Rasool s.a.w Ne Qabro Par Emarat Banane' Qabro Ko Masjid Banane' In Par Qubey Ta'amir Karny' Inhe Choona Gach Karne Aur In Per Chirag Jalane Se Jo Mana Farmaya Hai' Is Se Aur Deegar Kamo Se Ejtanab Kare' Jin Se Rasool Allah s.a.w Ne Mana Farmaya Hai 

Aur Aksar Log Jo Kuch Kar Rahe Hain Is Se Garib Khurdah Na Ho Q Ki Haq To Momin ki mata Gum Shudah Hai' Momin Jab Bhi Haq Ka Pata Chal Jata Hai Aur Haq Kitab-o-Sunnat Ke Dalaeel Se Maloom Hota Hai' Logo Ke Ara Aur Amaal Se Nahi. 

Allah k Rasool Hazrat Mohammad s.a.w Aur Ap Ke Sahibeen R.A. Ki Tadfeen Masjid Mai Nahi Ki Gai Thi Balki In Muqaddas Hastiyo Ki Tadfeen Hazrat AIsha R.A. k Hujrah Mai Huwi Thi. 
Jab Waleed Bin Abdul Mulk Ke Aihad Mai Masjid Nabvi Mai Tousee Huwi To Pahli Sadi Hijri Ke Akhir Mai Hujrah Ko Masjid Mai Dakhil Kar Diya Gaya Lehaza Waleed Ka Yah Amal Masjid Mai Dafan K Huqam Nai Nahi Hai Q Ki Rasool Allah s.a.w Aur Sahibeen Ko Arz Masjid Ki Taraf Muntaqil Nahi Kiya Gaya Lehaza Yah Amal Kisi Ke Liye Qabro Par Emarat Banane Ke Jawaz Ki Daleel Nahi Ban Sakta Ya Is Se Yah Sabit Nahi Hota Ki Qabaro Par Masjiden Banana Ya Masjido Mai Dafan Karna Jaiz Hai Q KI Yah Sahi Ahaadis Jo Abhi Zikr Ki Hain' In Se In Sab Bato Ki Muma'anat Sabit Hoti Hai Aur Rasool Allah s.a.w Ki Sahi Sunnat Ke Khilaf Waleed Ka Amal Kisi Ke Liye Hujjat Nahi. 

(Wallah Walee Al-toufeeq Shaikh ibn Baz) Ayan Khan Salafi

Thursday, April 17, 2014

JANAAZE KI SHAFA'AT KE BAYAAN ME






Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Allah subhanahu us ( janazae ) ke haq mein unki shafa’at qubul karta hai
----------------------------
Abdullah bin Abbas Radhi Allahu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis musalman ke janaze mein chalis (40) aadmi aise ho jinhone Allah subhanahu ke saath kisi ko sharik nahi kiya ho to Allah subhanahu us ( janazae ) ke haq mein unki shafa’at qubul karta hai
{Sahih Muslim, Vol 2, 2199}

---------------------------------
English Translation:

Abdullah bin Abbas Radhi Allahu Anhu reported that
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said If any Muslim dies and forty men who associate nothing with Allah stand over his prayer (they offer prayer over him), Allah will accept them as intercessors for him.
{Sahih Muslim, Book 4, 2072}

Wednesday, April 9, 2014

QABR PAR LIKHNA WA LOHE KI PLATE LAGAANA MANA HAI




Question :
 

Kya Qabr Par Lohe Ki Plate Ya Pathar Wagairah Ka Tukda Rakhna Aur Is Par Ayaat Qurani Ke Sath Sath Mayyat Ka Naam Aur Tarikh Wafat Likhna Jaiz Hai?

Answer :
Mayyat Ki Qabr Par Likhna Jaiz Nahi Khuwah Qurani Ayaat Ho Ya Kuch Aur Hu' Lohe Ki Plate Par Likhna Jaiz Hai Na Lakri Ya Pathar Ki Takhti Ya Kisi Aur Chez Par Qki

Hazrat Jabir R.A. Se marvi Hai Ki Nabi kareem s.a.w Ne Mana Farmaya Ki:
"Qabr Ko Pukhta Banaya Jaye' Is Par Betha Jaye Aur Is Par Emarat Banai jaye."
Sahi Muslim 970.

Aur Aik Rivayat Mai Yah Alfaz Bhi Marvi Hain Ki

Rasul s.a.w Ne Is Se Bhi Mana Farmaya Ki:
"Qabr Par Likha jaye."
 

At-Trimithi ,1052.

VIA-Ayan khan salafi

Sunday, April 6, 2014

MAYYIT KO GHUSL KA TAREEQA





Hazrat Muhammad s.a.w Marvi' Mayyat Ko Ghusl Deny Ka Sahi Tarika Kiya Hai?
.
Answer : 


Mayyat Ko Ghusl Deny Ka Sharai Tarika Ye Hai Ki Sab Se Pahle ' Mayyat Ki Sharam gaah Ko Dhoye' 

Phir Ise Ghusal Dena Shuru Kare Aur Pahly Ise Wazu Karaye Lekin Is Ke Munh Aur Naak Mai Pani Na Dale Balki Kapre Ko Pani Se Tar Kar Ke Is Ke Munh Aur Nak Ko Saaf Kar De' 

Phir Baki Jism Ko Aise Pani Se Dhoye Jis Mai Beri Ke Patte Mile Huwe Ho (Woh Is Tarha Ke) Beri Ke Patte Bareek Koot Kar Pani Mai Milaye Jayen Aur Phir Pani Mai Hath Daal Kar Hilaya Jaye Hatta Ke Beri Ke Patto Ka Jhag Peda Ho Jaye To Jhag Le Kar Sar Aur Darhi Ko Dho De Aur Baki Patto Ke Sath Baki Sare Jism Ko Achi Tarh Dho Diya Jaye' 

Beri Ke Patto Ke Istemal Se Khub Achi Tarh Safai Ho Jayegi. 

Aakhri Baar Jism Par Pani Bahate Huwe Is Mai Kapoor Bhi Shamil Kar Lia Jaye Jo Ki Aik Ma'aruf Khushbu Hai. 

Ulema Farmate Hain Ke Kapoor Ke Istemal Ki Faide Ye Hain Ki Is Se Jism Sakht Ho Jata Hai Aur Keere Makore Bhag Jate Hain. 

Agar Mayyat Ke jism Par Mail Jyada Ho To Ise Jyada Bar Ghusl Diya jaye Kyon Ki Nabi Kareem s.a.w Ne In Khawatin Se Farmaya Tha Jo Apki Sahabzadi Ko Ghusl De Rahi Thi:

 "Ise Teen (3) Bar Ya Panch (5) Bar Ya Saat (7) Bar Ghusl Do Aur Ager Zarurat Mahsus Karo To Is Se Jyada Bar Bhi Ghusl De Sakte Ho."
.
Sahi Al-Bukhari no. 1259,
.
Sahi Muslim no. 939.
.
Ghusl Ke Bad Mayyat Ke Jism Se Pani Ko Saf Kar Diya Jaye Aur Ise Kafan Pahna Diya Jaye.

Monday, March 25, 2013

QABR KA MANZAR






Hazrat Usman {RadiALLAHU Ta'ala Anhu} jab
kabhi qabro'n ko dekhte itna rote ke Aap ki
daadhi tar ho jaati,


Kisi ne un se puchha ke jab Aap
jannat aur jahannum ka tazkira karte hain,
tab to nahi rote aur qabro'n ko
dekh kar ro padte hain ?


Aap ne frmaya ke
RASOOLALLAH {Sallallahu Ta'ala
Alaihi Wa'aalehe Wa'sallam} ka irshad hai :


"Qabr aakhirt ki pehli manzil hai, agar wahan
nijaat
mil gayi to baad ke saare amrahil aasaan ho
jayenge
aur agar wahan nijaat na mili to
baad ke saare amrahil dushwar ho jayenge."


aur


NABI KAREEM {Sallallahu Alaihi
Wa'sallam} ne ye bhi farmaya hai ke :


"Maine jitne bhi manazir dekhe hain qabar ka
manzar un sb se
holnaak hai."


{Musnad Ahmed:454

KAFIR KE LIYE MAUT KI SHAKHTIYAN






Kaafir Ke liye Maut Ki shakhtiyan

Allah taala ne farmaya


" Kaash Tum wah manzar dekh sako, Jab Farishtey Kaafiron Ki rooh Qabz Kar rahe Hote hain Aur (Saath saath ) Unke Chehron Aur Peethon Par Maar Laga Rahe hote Hain Aur Kahte hain, Ab Jalne Ka Azaab Chakho "


(Surah anfal 50)


"Us waqt Kya haal Hoga (kaafiron ka) Jab Farishtey unki rooh Qabz karenge (aur saath) Unke Chehron Aur peethon Ko maar Rahe honge"

(Surah muhammad 27)


"Kaash tum Kaafiron Ko Us waqt dekho jab We Maut Ki shakhtiyon me (fase) hote hain aur Farishtey Haath failaaye hue kah rahe hote hain,

Nikaalo apni Jaanein, Aaj tumhe Zillat ka Azaab Diya Jaayega, kyonki Tum Allah taala ki Jaanib Naahaq baatein Mansoob kiya karte they, Aur Uski Aayaton Se ghamand Kiya karte they"

(surah anaam 93)

Tuesday, January 29, 2013

AUR MAIN MARR GAYA......ZINDAGI SE 40we TAK KA SAFAR (PART -2)






Bismillahirrahmanirraheem



AUR MAIN MARR GAYA .........!



Aakhiri deedaar ke liye mere muh se chaadar hataayi gayi, badi be'dhangi si kataar me sabhi mera muh dekhkar aage badhne lage, koi apne kaano ko haath lagaata, koi muh ooper karke haath jodhta,

kisi ki aawaaz aayi, ya allah maaf karde, aur koi mere beton ko dhoond raha tha taake apni haaziri lagwa sake,

phir mujhe kandhon par uthaakar sabne meri qabr ki taraf (jo pahle taiyyar thi) chalna shuru kar diya,

phoolon ki dukaan se kuch ne ghulaab ke haar liye aur kuch pattiyan lifaafe me daal kar le aaye,

mujhe qabr me utaar kar mere uper mitti daali jaane lagi,

mere baaz khair'khwaah saath waali qabron ki mitti bhi mujhpar daal rahe they, is tarah mujhe mano mitti tale daba diya gaya, sab apne apne gharon ko chale gaye, har taraf khamoshi chha gayi, main jootiyon ki aawaazein sun raha tha,

main samjha ke jitni saza milni thi mil chuki. Ab qabr me Aaraam se pada rahoonga, magar ye baat mere waham wa ghumaan me bhi na thi ke ab ek mustaqal azaab se paala padne waala hai, aisa dardnaak azaab ke allah kisi dushman ko bhi na dikhaaye,

meri qabr ke baaher ghulaab ki khushbu aur agar'battion ki lapatein aur geeli mitti ki apni ek mahak thi, magar qabr me mera jee ghabra raha tha,

qabr ne ajeeb tareeqe se mere saath shikwah kiya

" aiy ghaafil insaan ! Tu duniya me magan tha, magar koi din aisa nahin ghuzra jis din maine tujhe awaaz na di ho ke main wahshat ka ghar hoon, main tanhaayi ka ghar hoon, main khaak ka ghar hoon, main keedon ka ghar hoon, jitne log meri past par chalte they, mere nazdeeq un sabse ziyaadah qaabil e nafrat tu tha, jabke aaj main tujh par haakim bana di gayi hoon aur tu meri taraf majboor kar diya gaya, tu dekhega ke main tere saath kaisa bura sulook karti hoon "


aanan faanan do siyaah farishtey meri qabr me aa dhamke, unhone Mujhe uta kar baitha diya ( na poocho us waqt meri haalat kya thi, us waqt main thar thar kaanp raha tha) intehaayi ghazab'naak lehze me bole..

Hairaani ki baat hai ke zindagi me shaayed kabhi maine koi Quraani aayat ya hadith e nabwi suni ho, lekin mujhe arabic sahih samjh me aa rahi thi ke ye pooch rahe hain ke

"tera rabb kaun hai ?"

ajeeb khabat sawaar hua mujh par ke main ne jawaab dene ki bajaaye ajeeb qism ki badh maarna shuru kar di, jaise shaitaan ne kisi ki chhoo kar baawla kar diya ho, mere mun se nikla

"haay haay main nahin jaanta"

phir mazeed shakhti se bole

" tera deen kya hai ?"

dobara maine wahi jawab diya

intehaayi ghazab'naak hokar bole

" kaun hain jinko teri taraf bheja gaya ?"

kismat khoti ke us waqt bhi meri zubaan se wahi alfaaz nikle


aasmaan se aawaaz aayi

" ye jhoota hai, iska bistara aag ka bicha do, ise aag ka libaas pahna do, iske liye dozakh ki taraf ek darwaaza Khol do "


ye awaaz aane ki der thi ke usi waqt meri qabr me lau aur garmi aana shuru ho gayi, aur qabr itni tang ho gayi ke meri pasliyan ek dusre me ghus gayin,

phir kya sunaaun ! Ek andha aur bahra farishta meri qabr par musallat kar diya gaya, jiske haath me lihe ka ek gurz tha, usne usse mujhe maarna shuru kar diya aur itna maara ke meri cheekhon ki awaaz jinno aur insaano ke elaawa ird gird ki baaqi tamam cheezein sun rahi thi....


Bhaiyyon aur bahno ! Agar tumhe pata chal jaaye ke mujhe us waqt kitni taqleef hui toh allah ki qasm ! Tum log apne murde dafnaana chhod do..


Bhaiyyon aur bahno ! Yahan maine bahut kuch bardaasht kiya aur ab bhi kar raha hoon, magar ek baat jo is saza se zyaada aziyat'naak dikhaayi de rahi hai, wah ye ke

aiy allah ! Qayamat ke roz ye zaleel wa makrooh chehra lekar kisi tarah tere huzoor haaziri doonga

apne jaraim ka tujhe kya jawab dunga ??

Qabr me toh koi dekhne Nahin aata ke yahan mere saath kya ho raha hai, magar maidaan e hashr me toh saari ummatein hon gi, saare ambiya e kiraam honge aur khususan sarwar e kaaynaat janab Nabi e akram sallalaho laihi wasallam bhi maujood honge, kya sochenge mere baare me ????


Kaash ! Koi bahen ya bhai mera ye paighaam meri aulaad ko bhi pahuncha de ke

" aao apne bad'naseeb baap ki angaaron se bhari hui qabr dekho,

mere bacchon ! Meri qabr me mujhe bahut se saanpon ne gher rakha hai jo saara din mere jism ko nochte rahte hain,

mere beton ! Meri qabr par ek baar toh aakar dekho, agar tumhe yahan aane ki fursat nahin toh mere chhode hue maal mese kuch sadqah kar do,

ye bhi toh ek misqeen ki ek ilteja hai ke mere zimma abdurrahman ki raqam hai, jiska tumhe ilm hai, kamse kam uska kuch kardo,

barkhuddaar ! Abhi tak tumne usse raabta nahin kiya, tumhe yaad hoga ke tumne janaaze me elaan bhi kiya tha, abdurrahman ne us waqt  Munaasib na samjha ke raqam ke baare me tumse baat kare,

uski sharaafat dekho ke raqam ke mutaalbe ke liye aaj tak tumhaare darwaaze par nahin aaya,

allah ke waaste ! Kam se kam wahi hisaab chuka do,"

main yahan bahut be'bas hoon, cheque book safe me padi rah gayi, aur aate waqt tumne meri RADO ki ghadi, sone ki angoothi, locket, purse, sab kuch nikaal liya, hatta ke mere kapde tak utaar liye, ab yahan kya hai mere paas ???


Kal jab wah mujhse maangega toh main kahan se doonga ??

Nekiyan toh pahle hi mere paas nahin ke use de kar raazi kar loon, ab lagta hai uske gunaah mujh par laad diye jaayenge....


Beta ! Kitne dukh ki baat hai ke karza ada karne ki tumhe taufeeq na hui , magar mere CHAALISWEN (40wa) par tumne kai lakh  kharch kar daale,

kya zaroorat thi itne bade bade logon ko ikatta karne ki ??

Kya zaroorat thi akhbaar me khabar aur tasweeraat lagwaane ki ???


Kya zaroorat thi dawati Cards chhapwaane ki,

Roasted murga, paaye, biryaani, meethe chaawal, feereeni wagerah ki lino me saja kar vedio banwaate hue tumhe zara sharm na aayi aur phir doob marne ka maqaam tha jab do Bhaaand shaamiyaane aur itna bada majma dekhkar makhsoos awaaz nikaalte hue pindaal me aaye,

wah toh ek sahab ne aqalmandi ki ke jaldi se aage badh kar unhe bataya ke -" shadi ki taqreeb nahin, balke haaji sahab ka chaaaliswan hai"

Magar wah bhi aakhir bhaand they, jaate dafa kahne lage

" mashaallah ! Haaji sahab ke chaaaliswen ka ye haal hai toh shaadi par kya toofaan barpa hua hoga"


Mere bachhon ! Jab tum ghar me ( jise main itna samjhta tha) zor zor se kahkahe lagaate ho toh allah ki qasam ! Mujhe yahan bahut taqleef hoti hai itne be'huda aur fahash gaano ki awaazein is ghar se buland hoti hai ki allah ki panaah,


Agar gaane bajaane ke be'ghair tumhari ghuzar nahin hoti toh kam se kam awaaz hi aahista rakha Karo,

mere marne ke baad nayi Car, nayi motor cycle, kya sochte honge muhalle waale ??

Tumhaare saamne toh kuch nahin kahte , magar saara muhalla kahta hai ke

"Baap ne marne par jashn mana rahe hain"

mere bachon ! Main jaanta hoon ke tumhaara waqt bahut keemti hai,

bas aakhiri baat ! Iske baad kuch nahin kahunga,

beta ! Apni maa aur apni bahno se kahna ke allah se daren, chand din bhi unse sabr na ho saka , khoob banaao singaar karke itne chamkeele, bhadkeele libaas aur khule baalon ke saath be'pardah baaher aana jaana chhod den,

kyon karte ho ye sab kuch ???


Kyon aziyat dete ho mujhe ???

Yaqeen maano ! Ye sab kuch karte tum ho aur bhugatna mujhe padta hai, meri saza me izaafa hota hai,

kyon karte ho is tarah ??


Aakhir main tumhaara baap hoon, jo sulook tum mere saath kar rahe ho is tarah toh koi shareef hamsaaya bhi nahin karta, tum meri aulaad ho,

baap samjhkar nahin toh kam se kam ek Hamsaaye jitni ahmiyat toh de do,

zindagi me tum abba jaan, abba jaan kahte thakte nahin they, tumhe hi paalne ke liye Haraam kamaata raha,

aaj kya ho gaya hai mujhe ??

Yahi na ke yahan mere paas daulat nahin hai,

tumhaara satya nash ! Drawing room me meri itni badi tasweer par haar daal kar saja rakhi hai, kisko dikhaane ke liye ??

Jaao ! Main tumhe apni jaaydaad se aaq karta hoon,

Allah tum jaisi aulaad kisi ko na de....


Khair ! Is me mera apna kusoor bhi hai, maine aulaad ke liye sab kuch kiya, magar unki tarbiyat ke liye kuch bhi na kiya,

main kahta tha ke bacche bade hokar kya kahenge ke hamare baap ne hamare liye koi jaaydaad bhi nahin banaayi,

Afsos ! Agar unki tarbiyat allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke tareeqe par karta toh aaj yahi aulaad mere liye Sadaqah jaariya hoti

us waqt agar koi kahta ke

" apni aulaad ko quraan ki taaleem bhi dilwaao"

toh main Kahta -" maine use afsar banaana hai koi mulla nahin banana "


afsos ! Acche afsar toh ban gaye magar acche musalman na ban sake,

ya kam se kam ek beti ki acchi tarbiyat kar deta toh shaayed mere liye jannat me daakhile ka zariya ban jaati,

magar ab pachtaane se kya faayeda, ye toh zaahir hai ke, jaisa karoge waisa bharoge

mujh jaise na'farmaan maa baap ka yahi haal hona chahiye


bhaiyyon aur bahno ! Bas aakhiri baat ! Mere lazarte hue haath dekho,

ab allah ka waasta dekar kahta hoon mere is anjaam se ibrat pakdo,

budhaapa aane se pahle is jawaani me kuch kar lo, bimaari aane se pahle is tandrusti me kuch kar lo,

tangi aane se pahle is khush'haali me kuch kar lo

masroofiyat me aane se pahle fursat me kuch kar lo, aur maut aane se pahle zindagi me kuch kar lo !

Warna meri tarah pachtaaoge, bahut pachtaaoge........


Mujhe ab ummeed ki ek hi kiran nazar aati hai ke meri baatein sunkar kisi bahen Ya bhai ne alalh ke khauff se sirf ek aansu baha diya aur sacchi tauba karli toh na jaane kyon mera dil gawaahi deta hai ke ek aise fardh ki badolat allah meri Qabr thandi kar deda, mera azaab tal jaayega,

meri Qabr ki tangi kushaada kar di jaayegi, mujhe jannati khushboo aayengi, meri qabr me jannati bistar bichh jaayega, mujhe jannati libaas pahna diya jaayega

aur kaha jaayega

"soja ! Jis tarah dulhan so jaati hai"


Bhaiyyon aur bahno ! Ab taras khaao, is bad'naseeb bhai par,

allah ke waaste ! Susti na karna .

Abhi se yahan aane ki taiyyari shuru kar do,


meri taraf dekho ! Mujhe mare hue kai saal ghuzar gaye, magar jaan nikalte waqt jo taqleef hui, aaj bhi mahsoos kar raha hoon,

ab toh dil se ek hi dua nikalti hai ke

parwadigaar ! Mujh jaise anjaam se har musalman mard aur aurat ko mahfooz farma

unki qabr aur hashr ki manzilein asaaan farma...........AMEEN

Monday, January 28, 2013

AUR MAIN MARR GAYA......ZINDAGI SE 40we TAK KA SAFAR (PART -1)






Bismillahirrahmanirraheem



AUR MAIN MARR GAYA......!



Maqam e ibrat hai un logon ke liye jo allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke ahlaamaat ko   na sirf past pasht daalte hain balke ulta mazaaq udhaate hain aur aakhirat ki zindagi unhe qata'an yaad nahin, agar isi haalat me unhe maut  ne ghera toh allah na kare ke kisi ka anjaam is shakhs jaisa ho......


Mera bachpan naadaanion me ghuzar gaya, jabse hosh sambhaala, apne badon ki tarah duniya ki taraf bhaagta raha, mujhe gharz daulat se thi, chaahe halaal tareeqe se aaye ya haraam, soodi len den, cricket matches me shartein, Prize bond, lottery aur rishwat ki kamaayi ne dono me mujhe crorepati bana diya,

itni daulat ikatthi ki ke mujhe andaaza nahin, har qism ka naya fashion mere ghar me aata, hi fi T.v, dher saari filmen, dish, gharz aisi koi nahoosht na thi jo mere ghar me maujood na ho,

raat ko family ke saath kamse kam Ek film dekh kar sona har roz ka mamool tha,

jab koi mahmaan ghar aata main bade fakhr se chhoti beti ko awaaz deta,

"Beti ! Zara uncle ko aur Aunty ko dance toh karke dikhaao "


dusre bacche bhi dramo aur filmon ki mukhtalif kirdaaron ki naqalen utaarne me bade maahir they,

mukhtalif film ke Dialogue unko khoob yaad they, jhoom jhoom kar gaane sunaate aur acchi kaarkirdgi par inaam paate....


Ghar me gate par numaaya likha tha

" haaza min fazli rabbi"

aksar mere zehan me aata ke Shaitaan mere baare me kya sochta hoga ke daulat ikatthi karne ke saare gur maine sikhaaye , phir usi kamaayi se itna aaalishaan ghar bana aur ab itne be'wafa nikle ke us par likhwa diya

" haaza min fazli rabbi"


intezaamiya se theek thaak maraasim ki wajah se koi mujhe poochne waala na tha, mera shumaar shaher ke chand ek raeeson me hota,

itni daulat hone ke ba'wajood saari umar mujhe hajj ki sa'aadat naseeb na ho Saki, lekin aksar log mujhe Sahab kah kar pukaarte, mere yahan aksar majma laga rahta, oonchi aawaaz me ek dusre ko gaaliyan dena toh aam maamool tha, aur is shor sharaabe se poora mohalla tang tha, khususan agar pados me koi bimaar hota, magar kisi ko mere khilaaf baat karne ki jurraat na thi,

Mohalle ki masjid me mera aana jaana bas Eid ke roz hi tha,


duniyaawi baatein karne me main thakta nahin tha, meri zabaan kainchi ki tarah chalti,

magar bad'qismati se meri zabaan allah aur uske rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke zikr karne ke maamle me bilkul goongi thi,

kabhi kisi daadhi waale se saamna hota toh na jaane kyon tabiyat machalne lagti, khoob bahas mubaahasa hota aur aksar baatonme mere dalail kuch is qism ke hote


NAMAZ

"soofi sahab ye toh faarigh logon ka kaam hai, abhi toh badi umar padi hai,a bhi taange saath de rahi hain, jab taangen kaam karna band ho jaayengi phir Masjid aur tasbeeh hi rah jaayegi,"


ROZA


" roze toh rakhen ghareeb, jinke paas khaane ko kuch nahin, ham toh khaate peete log hain"


ZAKAAT


"ye toh tax ki ek Qism hai, aur wah ham huqumat ko de rahen hain"


DAADHI


" Hazrat ji ! Ye koi umar hai daadhi rakhne ki ? Kyon shaadi ki market me mera rate dawn kar rahe ho, mujhe abhi chacha ji ,baba ji nahin kahlawana"


PARDAH



" pardah toh dil ka hota hai, tum logon ki niyyat me futoor hota hai"


SADQAH


" allah chaahta toh ghareebon ko khud khila deta, jinhe allah na de unhen ham kyon den ??"


AAKHIRAT


"Chhodo ji ! Ye sab maulwion ki ghadi hui baatein hain, khwaah ma khwaah daraate rahte ho, wah jahan kisne dekha hai,

haan ! Agar aisa koi chakkar hua toh chunke mujhe yahan bahut kuch mila hua hai, aage jaakar bhi mere paas bahut kuch hoga, phir kya mujhe koi akele marna hai, jahan sabhi honge, wahan main bhi chala jaunga, 4 din ki zindagi Hai, khoob ayyashi ke saath guzaaro "


Waqt ghuzarta gaya, La'parwaahi din ba din badhti gayi,

ek din achaanak mere wajood ne kaam karna chhod diya,

ek baar aisi haalat ho gayi ke sirf ek ghilaas paani maangne ke liye mujhe poore jism ki quwwat sarf karna padi,

agle hi lamhe doctaron ki poori team mere gird maujood thi, mere kaano me awaaz padi ke dil ka shadeed daura hai, Bas dua kijiye !

Ye sunte hi mujh par kya ghuzri, ye main hi jaanta hoon,

mere allah us waqt mujhe pata chala ke main kitni Baqwaas kiya karta tha ke Mauseeqi (music) rooh ki ghiza hai aur gaane bajaane se dil ko sukoon milta hai,

aaj toh mujhe us sukoon ki bahut zaroorat thi, aaj mera dil gaane sunne ko kyon nahin chaah raha ????

Mujhe shaher ke ek bade hospital ke ek air conditioned kamre me laakar lita diya gaya, main bed par pada chhat (roof) ko dekh raha tha,

hairaani ki baat hai ke us waqt chhat ek bahut badi Screen thi,Aur uspar meri ghinauni zindagi ki poori film chal rahi thi, chhote bade gunaah sab saaf nazar aa rahe they

Aah ! Kaisi ajeeb film thi ???

Main gunaah karna toh darwaaze band kar leta ke koi dekh na le,

Afsos ! Ye na socha ke ek zaat aisi bhi hai  jo meri ek ek harqat dekh rahi hai, meri bad'bakhti ke farsh waalon se mujhe itni sharm aati rahi aur Arsh waale se mujhe kabhi sharm na aayi

Aah ! Kitna be'sharm tha main,

Us waqt mujhe ehsaas hua ke,

" aiy bad'bakht insaan ! Allah taala ki hasti kis qadr saabir hai ke teri musalsal bad'aamaalion aur siyaah kaariyon apr us zaat ne kitna sabr kiya aur tu aisa zaalim tha ke itni mohlat diye jaane ke ba'wajood apni jaan par zulm karta raha "


Apni isi bhayaanak film me uljha hua tha ke mujhe mahsoos hua ke jaise mere gird ' LA ILAAHA ILLALLAH '  ka wird ho raha hai, phir achaanak qalime ke wird me tezi aa gayi,

hairat hai ! Jab main gaane sunta toh Be'akhtiyaar meri zabaan harqat karti, saath saath main bhi gungunaata tha, magar aaj ek hi jumle ka wird ho raha tha, magar badi koshish ke ba'wajood meri zabaan se ek lafz jaari na hosaka.....


Mujhe mahsoos hua ki jaise mujhe ubalti hui deig me daal diya gaya ho, jaise talwaar se mere tukde karna shuru kar diye gaye hon, jaise zinda bakri ki khaal utaari ja rahi ho,, jaise belne me ganne ke saath mujhe bhi daal diya gaya ho, jaise mere jism ke chappe chappe par drill machine daal diya gaya ho, jaise rail ki patri par mera sar rakh kar uper train ghuzaar di ho, jaise zinda chidiya ko aag par bhoona ja raha ho, jaise ek kaante daar tahni ko mere andar daakhil karke ek dum baahir kheench liya gaya ho,

Allah ki qasam ! Agar maut ki is talkhi ka jaanwaron ko pata chal jaata toh duniya waalon ! Koi tandrust jaanwar tumhe khaane ko na milta...


Main bahut chillaaya, bahut waawela kiya, allah ko waasta de Kar mutmain karta raha ke aaj chhod do, main bahut nek ho jaunga, aindah gunaah ke qareeb bhi na phatkunga, nahin chhodunga aajse namaz, nahin sunoonga aaj se gaane, nahin dekhunga filmen

Haaye mere allah ! Haaye maa ! Kash toone mujhe jana hi na hota, kya ho gaya hai mujhe, aaj toh mera maal bhi mere kaam na aa raha hai, kahan marr gaye kaarinde, kahan marr gaye taallukaat, kahan gaya mobile par music ka baar baar bajna ???

Achaanak malikul maut ki dahshatnaak awaaz mere kaanon tak pahunchi, jisne rahi sahih kasar bhi nikaal di

" Nikal aiy khabees rooh ! Apne khabees badan se nikal ! Aaj tu bahut qaabil e muzammat hai, kholte hue paani, peep, zaqoom aur tarah tarah ke azaabon ki tujhe khush'khabri ho"

uff mere allah !kya har badkaar ki rooh aise hi nikalti hai ??

Us waqt main itni taqleef mahsoos kar raha tha ke jaise kisi ne baareek sa kapda kaante'daar tahniyon par daal kar zor se apni taraf Kheencha ho, is tarah mera saara badan taar taar ho gaya, pahle paaon thande hue, phir pindalian aur aahista aahista poora badan thanda ho gaya.......

AUR MAIN MARR GAYA !


Malik ul maut ne meri rooh kheench kar nikaali (jaise garam salaakh, geeli Oven me rakh kar kheench i gayi ho), usi waqt aasmaan se kaale chehre waale farishtey utre, unhone palak jhapakne me meri rooh ko pakda aur ek gande se taat me lapet diya jo unke paas pahle se maujood tha,

ek waqt tha ke main ghar se bahtareen suit aur aala Qism ki khushboo lagakar nikalta aur jis gali se ghuzarta, pata chalta ke falan sahab ghuzar rahen hain,

magar aaj mujhse is qadr badboo aa rahi thi jaise kai jaanwaron ki laashen kisi jagah ikatthi padi hon,

farishtey meri rooh ko lekar aasmaan ki taraf chadhna shuru ho gaye, wah farishton ki jis jamaat ke paas se ghuzarte

wah poochte ye khabees rooh kis ki hai ???

Wah kahte-" falan bin falan ki "


Bahut bure tareeqe se mera naam bata rahe they, jis taraf se ghuzar hua anginat farishton ki awaazein mere kaanon me goonj rahin thi, laanat ho , laanat ho, laanat ho,


aasmaan e duniya par pahunch kar farishton ne darwaazah kholne ke liye kaha, magar darwaaza na khola gaya

awaaz aayi -" is qism ke logon ke liye aasmaan ke darwaaze nahin khole jaate aur na hi is qism ke log jannat me daakhil honge, inka jannat me jaana itna hi muhaal hai jitna sui ke naake me oont ka daakhil hona"


Phir meri rooh neeche phenk di gayi...


Idhar jama masjid ke bade bade speakaron se mere janaaze ka elaan ho raha tha,

wah masjid jiske baare me pahle bata chuka hoon ke saari umar mujhe kam hi daakhila naseeb hua,

magar na jaane kyon aaj ajeeb qism ke taareefi kalimaat ke saath mere janaaze ka baar baar elaan ho raha tha aur har martaba mujhe haaji sahab kah kar pukaara gaya,

zindagi me jab kisi ke marne ka elaan hota Toh main hanste hue kahata

" lo ji ! Aaj ek aur sahab out ho gaye"

lekin ye baat mere waham wa ghumaan me bhi na thi ke usi speaker par bhi mere janaaze ka elaan hoga....


Meri aankhen band kar di gayin, aur jabdon par kapda baandh diya gaya,

meri bad'qismati ke rote rote kuch ne maatam karna shuru kar diya aur kuch ne baal nochne shuru kar diye magar baad me azaab mujhe bhugatna pada,


isi dauraan asar ki azaan ho gayi, ghar me auton ka hujoom aur baaher mardon ka,

lekin afsos ! Shayed hi kisi ne namaz padhi ho, maine cheekh kar kaha

"aiy ghaafilon ! Mujhe chhodo main toh apne anjam ko pahunch chuka, tum apni fikr karo, namaz ka waqt ja raha hai, lekin itni shor sharaabe me meri kaun sunta ???"

meri laash ke gird ghar'waalon aur rishte'daron ka ek hujoom tha,

mera ek haath chhoti beti ne aur dusra haath badi ne apne apne gaalon par laga rakha tha, paaon ko beton ne apne baazuon me jakda hua tha , meri biwi baar baar mere chehre ki taraf dekh rahi thi, meri maa mere chehre par haath fer rahi thi, aakhiri martaba meri maa ne mere maathe ko chooma aur phir ek dum ghama ghahmi si ho gayi, koi kafan khareedne ke liye kah raha tha, toh koi qabr khodne ke liye, koi light ka bando'bast karne aur koi ghusl dene waale ko bulaane ke liye...


Ghusl dene ke liye masjid se molvi sahab ko laaya gaya, unhone mujhe ek takhte par litaakar aahista aahista mere pet ko dabaana shuru kiya taake koi gandagi wagerah ho toh nikal jaaye

phir unhone apne haath par kapde ka lifaafa baandh kar ghusl ki niyyat ki aur meri sharm'gaah dhoyi , nijaasat saaf ki, phir haath se lifaafa utaar kar mujhe wuzu karaaya aur mere jism par paani daala, ooper se shuru kiya aur neeche ko le gaye, teen baar aisa kiya

aur ye wahi molwi sahab they jinka main zindagi me aksar mazaaq udaaya karta tha, aur kabhi apne qareeb nahin phatakne Diya, magar aaj wahi mere kaam aa rahe they,


mere ghar waalon ne kafan ke taur par reshmi kadhaayi waala libaas mujhe pahna diya aur phir mujh bad'naseeb par intehaayi keemti parfume ka bharpoor chhid'kaao kiya gaya ke un Aqal ke andhon ko kiya pata ke abhi mere saath kya beeti hai ???

Agar main bataane ke qaabil hota ke farishton ne mere saath kiya sulook kiya, toh allah ki kasam ! Sab meri mayyit ko chhodkar bhaag jaate aur apni apni fikr me lag jaate,

isi dauraan mera chhota beta bhaag kar ek photographer ko le aaya jo badi furti se mere ird gird ki tasweeren kheench raha tha,

phir vedio waale aa gaye, unhe dekh kar main samjh gaya ke mujhe reshmi libaas kyon pahnaaya gaya, log apni apni film banwaane ke liye andaz badal badal kar meri chaar'paayi ke gird ghoom rahe they....


Program ke mutaabik mere janaaze ka waqt ho gaya, awaazein aana shuru ho gayin

" deir ho rahi hai ji"


janaaza uthaane  Ki der thi ki aurton ki cheekhon ki awaaz se saara muhalla hilkar rah gaya, mere biwi bacche chaar'paayi se lipat gaye, badi mushkil se mujhe baaher nikaala gaya,

4 aadmiyon me meri chaar'paayo ko kandho par utha liya, sadak par pahunche toh saare dukaandaar khade hokar afsos ka izhaar karne lage, kuch log aage traffic control kar rahe they,

logon ki kadamon ki chaap se maine andaaza lagaaya ke laakhon ka majma hai,

afsos ! Kisi muttaqi, parhezgaar, tahajjud guzaar, ghareeb aadmi ka janaaza hota toh 50 aadmi ikkatthe na hote,


janaza gaah me ajeeb manzar tha, kuch log mere wahan pahunchne se pahle hi maujood they, jo siyaasi aur kaaro baari guppen laga rahe they

awaaz aayi

" sab aa gaye hain ji"

safen durust ki gayin,

itne me mere bade bete ne rasm poori karne ke liye aahista se awaaz nikaali, jo shayed pahli saf waale bhi  theek se na sun saken hon,

"bhaiyyon ! Agar kisi ka qarz mere baap ke  Zimme ho toh wah baad me mujhse raabta kar sakta hai,"


agar imam sahab ko mere qarz ke mutaallik ilm hota toh mujhe yaqeen hai ke wah meri namaz e janaza padhaane se inkaar kar dete

imam sahab ne allahu'akbar kaha hi tha ke ek shakhs ki zordaar awaaz aayi

"thahro ji !kuch log aur aa gaye hain"

baher'haal imam sahab ne haath baandh liye,

afsos ! Itne bade majme me chand ek honge jinhe namaz e janaza aati ho, warna is maamle me sabhi mere bhai nazar aa rahe they aur maare sharm ke daayen baayen nazarein ghuma rahe they, kuch saamne lage bade se board ko ghoor rahe they jaise kuch padhne ki koshish kar rahe hon,

4 takbeer kah kar salaam pher liya gaya, aur mere in bhaiyyon ki jaan me jaan aayi,

chunke har mayyit ke saath main bhi aisa hi karta tha, aaj mere saath bhi wahi sulook hua,

mere janaaze me bahut si aisi hastiyan maujood thi ke agar mere saath unki bhi namaz e janaza padha di jaati toh Bahtar tha.....


to be continued........

Wednesday, December 12, 2012

KYA RUHON KA DUNIYA ME WAAPAS AANA MUMKIN HAI ??

Bismillahirrahmanirraheem



KYA RUHON KA DUNIYA ME WAAPAS AANA MUMKIN HAI ??


MARNE KE BAAD KISI NABI,WALI YA SHAHEED KI ROOH KA DUNIYA ME WAAPAS AANA NA'MUMKIN HAI



Qur'an Ka Faisla


" Aur itne me Shaher ke dusre Hisse se ek Aadmi daudhta hua aaya aur bola,

Aiy meri Qaum ke logon ! Rasoolon ki Pairwi karo, Un logon ki Itteba karo jo tumse koi badla nahin Chaahte, Aur hidayat paane waale hain,

Main aakhir us Hasti ki ibaadat kyon na karun jisne mujhe paida kiya aur jiski taraf tum sabko Palat kar jaana hai,

kya main use Chhodkar dusre Maabood Bana lun ?,

Halaanke agar rahman mujhe koi nuqsaan pahunchaana chaahe toh na unki Shifaarish mere kaam aa Sakti hai aur Na hi we mujhe ( allah ki pakad se ) bacha Sakte hain,

Agar main aisa karun toh khuli gumrahi ka Shikaar ho jaunga, isliye main tumhare Rabb par Imaan le aaya hun aur ( tumhe bhi kahta hun ) tum bhi meri baat dhyaan se Suno Aur imaan Le aao ( lekin logon ne use Qatal kar diya ), use Kah diya gaya " daakhil ho jaao jannat me "

Usne kaha:- " Kaash meri Qaum ko malum hota ki mere rabb ne kis Cheez ki wajah se meri maghfirat farma di aur mujhe Siddeeqeen logon me Daakhil farmaya "


( Surah yaseen ayat 20-27)


TASHREEH- Marne ke baad agar ruh ka duniya me aana aur kisi se Bolna mumkin hota toh momin aadmi kabhi ya takleef bhare Lafz na kahta

" Kash meri Qaum ko malum hota ki mere rabb ne kis Cheez ki wajah se mujhe maaf Farma diya "!!!



QABR ME SAWAAL WA JAWAB ME KAAMYAABI AUR JANNAT KI NEMATEIN PAANE KE BAAD MOMIN AADMI WAPAS DUNIYA ME JAAKAR APNE RISHTE'DAARON KO NEK ANJAAM KI KHABAR DENA CHAAHTA HAI, LEKIN USE IJAAZAT NAHIN MILTI:

Hz anas bin malik (ra) se riwayat hai ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" Jab momin aadmi ko Qabr me dafan kiya jaata hai toh uske paas ek Farishta aata hai jo usse Poochta hai

" Tu kiski ibaadat karta tha ?"

Agar allah use hidayat de toh wah kahta hai main allah ki ibadat karta tha,

Phir farishta poochta hai:-" Is aadmi ( Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam) ke baare me tu kya kahta tha ?"

momin aadmi jawab deta hai:-" we allah ke bande aur uske rasool hain "

Uske baad usse koi aur baat nahin poochi jaati, phir use Jahannum me ek ghar dikhaaya jaata hai aur use Bataya jaata hai ki yah tumhare liye tha, lekin allah ne tujhe isse bacha liya hai aur iske Badle me tujhe jannat me ek ghar ata kiya hai,

jise momin aadmi dekhta hai aur kahta hai ki:-" Zara mujhe Chhodo Main apne Ghar waalon ko Khush'khabri de dun ( ki allah taala ne mujhe jannat me ghar ata kiya hai )"

Lekin use Kaha jaata hai:-" Ab yahin Thahro ! "


( Abu dawood Kitab us sunnah 3/3977)


iska matlab yah hai ke kuch logon ke paas do farishtey aate hain kuch ke paas ek farishta aata hai,

2- aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka Irshad mubarak hai:-" Har aadmi ke do maqaam hain, ek jannat me ek jahannum me, jab koi shakhs marne ke baad jahannum me chala jaata hai toh jannati uski jagah ke waaris ban jaate hain "

(ibn majah )


3- Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me kiye gaye sawal ke lafz mukhtalif hadith me mukhtalif hain, kuch alfazon se yah guman hota hai ki Shayad qabr me Aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki Shakl mubarak Dikhaakar Sawaal kiya jaata hai, Halaanki Aisa nahin hai,

Yah bilkul aisa hi hai jaisa kisi Ghayab aadmi ke Baare me Koi sawal kare ki " Falan aadmi Kaun hai ? ".........








SHOHADA KI ROOHEN DUNIYA ME DOBARA WAAPAS AANA CHAAHTI HAIN LEKIN UNHEN IJAAAZAT NAHIN MILTI



Hz masrooq (ra) se riwayat hai ki hamne Hz abdullah bin masud (ra) se is aayat ka matlab poocha

" Jo log allah ki raah me maare gaye unhe murda na Samjho balke We zinda hain aur apne Rabb ke yahan Se rizq paate hain "

( Surah imran ayat 169)
Toh hz abdullah bin masud (ra) ne kaha ki hamne is ayat ka matlab Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha toh aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya

" Shaheedon ki roohein Sabz parindon ki Shakhl me Aisi Kandeelon me Rahti hain jo Arsh e Ilaahi se latki hui hain, jab chaahti hain jannat me Shair ke liye Chali jaati hain, phir un kandeelon me aapas aa jaati hain, ek baar unke rab ne uski taraf dhyaan farmaya aur poocha

" Tumhari kya tamanna hai ?"

Shohada ki Roohon ne jawab diya:-" Ham jahan chaahen jannat ki shair karti hain hamen aur kya chahiye ?"

Allah taala ne 3 baar unse yahi sawaal kiya, phir jab shohda ki ruh ne dekha ki jawab diye bina Chhutkaara nahi tab unhone jawab diya

" Aiy hamare rab ! Ham chaahte hain ki hamari roohon ko hamare Jismon me Lauta de yahan tak ki ham Teri Raah me dobara Qatl hon "


Jab allah taala ne dekha ki unki koi tamanna nahin toh unhe yun hi Chhod diya "


( muslim kitabul imarat bab an arwahus shohada fil jannat)

JISM SE NIKALNE KE BAAD RUH KAHAN QAYAM KARTI HAI ??

Bismillahirrahmanirraheem



JISM SE NIKALNE KE BAAD RUH KAHAN QAYAM KARTI HAI ??



MAUT KE BAAD NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KI ROOH E MUBARAK ARSH E ILAAHI KE QAREEB JANNATUL FIRDAUS KE UNCHE MAQAM PAR MAUJOOD HAI,



Hz samura bin jundub (ra) kahte hain ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ( namaz e fajr ke baad ) hamari taraf Chehra mubarak karke poochte:-" Aaj raat tumme se kisne Sapna dekha hai "

Agar kisi ne sapna dekha hota toh wah bayan karta aur phir aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) , allah taala ki marzi ke mutabik uski taabeer bayaan farmate..


Ek din aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamse poocha:-" kya tummese aaj raat kisi ne Sapna dekha hai ?"

Hamne kaha:-" Nahin"

Aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne Irshad farmaya:-" Acchha ! Aaj raat maine Sapna dekha hai, do aadmi mere paas aaye ( unme se ek ne kaha )

"Main jibreel hun aur yah mikael hai, aap apna Sar uthaayen "
Maine apna Sar uthaaya toh maine Apne uper baadal jaisi koi Cheez dekhi,

Dono ne mujhe bataya ki ( jannat me ) yah aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka Mahal hai

Maine kaha:-" zara hato main apne Mahal me daakhil hokar dekhun (kaisa hai ?"

Dono ne kaha:-" aapki ( duniya me ) kuch umar abhi Baqi hai, jise aapne Poora nahin kiya, agar aap apni umar poori kar chuke hote, toh aap apne mahal me Tashreef le jaate "


( Bukhari kitabul janaiz bab no 2 )




KUCH IMAAN WALON KI RUHEN JANNAT ME QAYAAM KARTI HAIN



Hz abdur rahman bin kaab ansari (ra) se riwayat hai ki unke baap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hadith bayan karte they ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya hai

" Momin ki rooh ( marne ke baad ) jannat ke pedon (trees) par udhti firti hai, yahan tak ki jis din murde Uthaaye jaayenge us din wah rooh apne jism me lauta di jaayegi "

( ibn majah kitabuz zuhud , bab zikr qabr 2/3446)



KUCH AHLE IMAAN KI ROOHEN QAYAMAT TAK ILLI'YYEEN ME QAYAM KARTI HAIN



Hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab momin ki Maut ka waqt Qareeb aata hai toh rahmat ke Farishte Safet resham ( ka kafan ) lekar aate hain, aur kahte hain

Aiy rooh ! Allah ki rahmat, jannat ki khushbu aur apne khush hone wale rabb ki taraf is haalat me is jism se nikal ki tu apne rabb se raazi hai, aur tera rabb tujhse raazi hai,

Momin admi ki rooh jab jism se nikalti hai toh usse bahtareen mushq Jaisi Khusbu aa rahi hoti hai, yahan tak ki Farishte ek dusre se lekar uski Khushbu soonghte hain aur Aasmaan ke darwaaje par pahunchte hain, Toh aasmaan ke Farishtey aapas me kahte hain yah kaisi umda Khushbu ( waali ruh) hai, jo zameen se tumhare paas Aa rahi hai, farishte jaise hi agle aasmaan par Pahunchte hain toh us Aasmaan ke Farishte bhi Isi tarah kahte hain, yahan tak ki ( Laane waale Farishte ) us Rooh ko Ahle imaan ki roohon ki jagah ( Illiy'yeen ) me le jaate hain,

Jab wah rooh pahunchti hai toh ( pahle se maujood ) roohon ko itni zyada khushi hoti hai jitni tumme se kisi ek ko apne Bhai ke milne par Ho sakti hai,

Is tarah kuch  roohen ( nayi aane wali roohon se ) poochti hain,:-" Falan aadmi ki haal me hai ?"

Phir wah aapas me kahti hain, ise zara chhod do, aaraam karne do yah duniya ke dukhon wa mushkilon ka Shikaar tha,

( Sustaane ke baad ) wah rooh jawab deti hai, Kya wah rooh tumhare paas nahin aayi wah aadmi toh marr chuka hai,

jispar wah ( afsos se ) kahte hain:-" wah apni maa Haawiya ( yani jahannum) me le jaaya gaya hai "


Kaafir aadmi ke paas Azaab ke Farishte aate hain aur kahte hain:-" aiy gham'zada Aur dukhi rooh nikal Allah ke azaab aur naaraazi ki taraf,"

Kaafir ki rooh jab jism se nikalti hai toh usse itni Ghaleez badbu aati hai jitni kisi Murdaar se Ghaleez bu aati hai,

Farishtey use lekar zameen ke darwaje ki taraf aate hain toh ( zameen ke darwaze ke muhaafiz ) farishtey kahte hain:-" Kitni gandi boo hai yah"

Jaise hi farishte agli zameen ke darwaje par pahunchte hain toh us zameen ke Darwaje ke muhafiz farishtey bhi aisa ki kahte hain, yahan tak ki Azaab ke Farishtey use Kuffar ki roohon ki taiy jagah ( yani Sijjeen ) me le jaate hain "


( Hakim, ibn habban , kitabul janaiz bab haal Qabz ruh momin wa Qabz ruh kaafir 1/1342)




SHOHADA KI ROOHEIN PARINDON KI SHAKAL ME JANNAT KE ANDAR AISI KANDEELON ME RAHTI HAIN JO ARSH E ILAAHI SE LATKI HUI HAIN

Hz masrooq (ra) se riwayat hai ki hamne Hz abdullah bin masud (ra) se is aayat ka matlab poocha

" Jo log allah ki raah me maare gaye unhe murda na Samjho balke We zinda hain aur apne Rabb ke yahan Se rizq paate hain "

( Surah imran ayat 169)
Toh hz abdullah bin masud (ra) ne kaha ki hamne is ayat ka matlab Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha toh aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya

" Shaheedon ki roohein Sabz parindon ki Shakhl me Aisi Kandeelon me Rahti hain jo Arsh e Ilaahi se latki hui hain, jab chaahti hain jannat me Shair ke liye Chali jaati hain, phir un kandeelon me aapas aa jaati hain, ek baar unke rab ne uski taraf dhyaan farmaya aur poocha

" Tumhari kya tamanna hai ?"

Shohada ki Roohon ne jawab diya:-" Ham jahan chaahen jannat ki shair karti hain hamen aur kya chahiye ?"

Allah taala ne 3 baar unse yahi sawaal kiya, phir jab shohda ki ruh ne dekha ki jawab diye bina Chhutkaara nahi tab unhone jawab diya

" Aiy hamare rab ! Ham chaahte hain ki hamari roohon ko hamare Jismon me Lauta de yahan tak ki ham Teri Raah me dobara Qatl hon "


Jab allah taala ne dekha ki unki koi tamanna nahin toh unhe yun hi Chhod diya "


( muslim kitabul imarat bab an arwahus shohada fil jannat)




KUCH SHOHADA KI ROOHEIN JANNAT KE DARWAAZE PAR NAHAR KE KINAARE SABZ GUMBADON ME QAYAM KARTI HAIN


Hz abdullah bin abbas (ra) kahte hain Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" (kuch) Shohada jannat ke darwaze par bahne waali Khoobsoorat naher ke Sabz Gumbadon me Hain Jahan unhe Subah wa Shaam unka Rizq Diya jaata hai "


( Ahmad, tabrani, hakim, Sahih jame Sagheer Lil albani jild 3 hadith 3636)

QABRON ME JISMON KI HAALAT:









Bismillahirrahmanirraheem



QABRON ME JISMON KI HAALAT:



AMBIYA E KIRAM (AS) KE JISM QABRON ME QAYAMAT TAK MAHFOOZ HAIN :



Hz aws bin aws (ra) kahte hain ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" Jab dino me jumah ka din bahtar hai, isi din Adam (as) paida kiye gaye, Isi din unki rooh Qabz ki gayi, isi din Soor Phoonka jaayega, isi din uthne ka huqm hoga, isliye Is din mujhpar Kasrat se durood bheja karo, tumhara durud mere saamne pesh kiya jaata hai "

Sahaba kiram (ra) ne kaha:-" Aiy allah ke rasool ! Aapki Haddiyan boseeda ho Chuki hongi,"

ya yun kaha ki :-" aapka jism e mubarak mitti me mil chuka hoga, toh phir Hamara durud aapke saamne Kaise pesh kiya jaayega ?"

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" Allah taala ne Ambiya ke jism Zameen par haraam Kar diye hain "


( Sahih Sunan abu dawood lil albani jild 1 hadith 925)




AWLIYA, SAALIHEEN AUR SHOHADA MESE JIN JIN KE JISMON KO JAB TAK ALLAH TAALA QABRON ME BA'HIFAZAT RAKHNA CHAAHEN WE BHI MITTI KE ASAR SE MAHFOOZ RAHTE HAIN.



Hz hisham bin urwa (rh) apne baap se riwayat karte hain ki Walid bin abdul malik ke zamane me jab Hz aisha (ra) ke Kamre ki diwaar giri toh use banaate waqt ek paaon (leg) nazar aaya, Log ghabra gaye aur Samjha ki yah Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka Qadam mubarak hai, lekin koi aisa aadmi nahin tha jise aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka paaon mubarak pahchaanne me yaqeeni ilm hota, lekin hz urwa bin zubair ( hz aisha ra ke bhaanje ) ne logon se kaha

" wallah ! Yah qadam Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka nahin balke Hz umar (ra) ka hai"


( Bukhari kitabul janaiz bab maaja fi qabr nabi )




UHUD KE SHAHEEDON KE JISM 46 SAAL BAAD BHI PAHLE KI TARAH TARO TAZA PAAYE GAYE:


Hz abdurrahman bin asasa (rh) se riwayat hai ki hz amr Bin jamooh aur hz abdullah bin amr ansari salmi (ra) dono jung e uhud me Shaheed hue they, paani ke bahaao ne unki Qabr ko Ukhed diya tha aur Qareeb tha ki unki Qabr bah jaati , dono hazraat ek hi Qabr me dafan kiye gaye they,

Is tarah unki Qabr khodi gayi taake unki mayyit nikaal kar dusri jagah dafan kar di jaaye,

Dono hazraat ki mayyit me Koi badlaao nahin hua tha, aisa lag raha tha jaise abhi kal hi Shaheed hue hain, Dono hazraat me se ek ko jab Ghaav laga toh usne ( takleef ki wajah se ) apna haath zakhm par rakh liya tha , jab usko (dusri jagah ) dafan karne lage toh ( logon ne unka) hath hataana chaaha lekin wah phir wahin ( ghaav ki jagah ) aa laga,"

Qabr kholne ka waqeya ghazwa uhud ke 46 saal baad ki hai,


( mu'atta imam malik kitabul jihaad bab dafan fi Qabr )




AMBIYA KE ELAWA BAAQI LOGON KE JISMON MESE REEDH (BACK BONE) KI HADDI KE ELAWA BAAQI SAARA JISM MITTI KHA JAATI HAI.


Hz  Abu hurairah (ra) kahte hain ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" Siwaaye ek haddi ke insaan ka saara Jism mitti me mil jaata hai, wah reedh ki Haddi hai, Qayamat ke din Isi se Insaan ki takhleeq (paidaish) hogi.."


(ibn majah, kitabuz zuhud bab zikr qabr wal bala 2/3441)......