.Bismillahirrahmanirraheem
KAMSIN LADKI SE SHADI:
Sharai Wa Aqal Ka Taqaaza Hai Ke Shauhar Wa Biwi Ki Umaron (Ages) Me Mawafiqat (Difference) Ho,
Be'jodh Rishta Umooman Na'khushgawaar Saabit Hota Hai, Khaas Kar Budhaape Me Nau'umar Ladki Se Rishta, Mard Ke Liye Zehar Qaatil Hai Aur Us Ladki Ki Haq Talfi Bhi Hai
Allah Taala Ka Irshaad Hai
"Aurton Ke Liye Bhi Acche Tareeqe Par Aisi Hi Huqooq (Rights) Hain Jaise Mardon Ke Huqooq Un Par Hain"
(Surah Baqarah)
Yani Mard Wa Aurat Ke Huqooq Barabar Darjah Hain, Agar Aurat Ka Haq Poora Na Ho Jaisa Ke Budhe Shauhar Ke Saath Hota Hai Toh Ye Badi Na'insaafi Aur Haq'talfi Ki Baat Hai
Rasoollullah (Sws) Ka Irshaad Hai
"Koi Shakhs Kaamil Momin Usi Waqt Ho Sakta Hai Ke Jo Acchi Cheez Apne Liye PasaNd Karta hai Wahi Apne Bhai Ke Liye Bhi Pasand Kare"
(Bukhaari, Tirmizi)
Zaahir Hai Ke Mard Apne Liye Ziyada Umar Waali Ladki Pasand Nahin Karta Hai,
Toh Fir Kamsin Ladki Ke Liye Apne Budhaape Ko Pasand Nahin Karna Chahiye
Dusri Hadith Me Irshad Hai
"Kisi Musalman Ko Kisi Qism Ka Nuqsaan Pahunchaana Jayez Nahin"
(Ibn Majah)
Imam Ibn Jawzi (Rh) Apni Kitab "Sayyidul Khwaatir" Me Likhte Hain
"Sabse Bada Be'waqoof Wah Budha Hai Jo Kamsin Ladki Ki Talab Me Pade"
Mahmood Mahdi Istanbuli Apni Kitab "Tohfatul Urus" Me Likhte Hain
"Nau'jawaan Biwi Kasrat Jama Ki Khwahish'mand Hoti Hai, Aur Budha Mard Is Par Qaadir Nahin Hota, Agar Mashaqqat Uthakar Aisa Kare Bhi Toh Aurat Ki Muraad Poori Nahin Ho Sakti Aur Ye shkahs Jald Hi Apni Zindagi Se Haath Dho Baithega, Lihaaza Munaasib Ye Hai Ke Apni Shahwat Jama Ke Fareb Me Na Pade Kyonke Uski Shahwat Subah Kaazib Jaisi Hai"
Mumkin Hai Yahan Par ye Shubah Paida Ho Ke Rasoollullah (Sws) Aur Hz Aisha (Ra) Ki Umaron (Ages) Me Kaafi Farq Tha Uske Ba'wajood Aap (Sws) Ka Hz Aisha (Ra) Se Rishta Qayem Karna, Nau'umar Aur Kamsin Khatoon Se Shadi Karne Ki Masnoon Niyat Par Daleel hai,
Ba'zaahir Ye Baat Dusrust Malum Hoti Hai Lekin Ye Haqeeqat Na'qaabil Tardeed Hai Ke Allah Taala Ne Rasoollullaj (Sws) Ke Azdawaaji Maamle Ko Ummat Ke Azdawagi Maamle Se Mushtashna Qaraar Diya Hai,
Aap (Sws) Ki Biwion Ki Kasrat Wa Hurmat, Nikah Ki Kaifiyat Aur 40 Jawaanon Ke Baraabar Taaqat Wagerah Khususi Masail Hain, Jin Par Daleel Pesh Karne Ki Zaroorat Nahin Hai.....