Sunday, February 23, 2014

3TEEN DAFA TALAAQEN 3TEEN TALAAQE Q KI GAIN

BismaiAllah Hir Rahman Nir Raheem
`
AssalamuAlaikum warahmatullahi wabarkatuhuu.
`
===3TEEN DAFA TALAAQEN 3TEEN TALAAQE Q KI GAIN===
`
Post Padhne Se Phle Me kch Quran Ki kuch Ayaat Mulahiza ho.
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓

http://m.facebook.com/force_photo/photo.php?fbid=472685239521592&id=100003403592112&set=a.443658945757555.1073741831.100003403592112&comment_id=1555267&offset=0&total_comments=22&std&refid=12

↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑
 


Ayaat padh k phr Post Padhe ???
_____________________________________
 

Muqalid:
 


 Ahle Hadis Talaq k Masale me Hazrat Umar razi Allah anhu k amal ko Q nh mante ? ? ? ?
`
Mohammadi:
 


 Ham Talaq k masale me Hazrat Umar razi Allah anhu k Qaol ko nh mante is lie k Muslim wagerah ki Marfu Hadis Me Bil Wazahat maojod he k Nabi salallah alaihe waslam k Zamana Mubarak or Hazrat Abu Bakar razi Allah anhu k zamana khilafat me or Hazrat Umar Razi Allah anhu k zamana khilafat k Ibtadai 2Do Saal (year) me ak waqt ki Teen Talaqen ak talaq shumar hoti thi.
 

 (Sahi Muslim Safa 477, 478 j1)
`
lihaza Is Sahi Hadis ki bina par ham ne qaol ko nh mana.
`
Or Hazrat Umar razi Allah anhu ne Ta'azira or Sayasta Teen Dafa Talaq ko Teen Talaqe Nafiz farmaya tha or na in ka nazrya ye nh tha yahi wjh he k is Sayasi or Ta'azira hukum se bd me ruju farmaya lia tha-
`
inhone Teen Talaq ko Ta'azira Tahdida sayasata nafiz farmaya tha is k Dalail Suniye- Muslim Sharif or Masand Ahmad Me ye Alfaz Maojod hn:


"ﻓﻘﺎﻝ ﻋﻤﺮﻭ ﺍﻥ ﺍﻟﻨﺎﺱ ﻗﺪ ﺍﺳﺘﻌﺠﻠﻮﺍ ﻓﻰ
ﺍﻣﺮ ﻛﺎﻧﺖ ﻟﻢ ﻓﻴﻪ ﺍﻧﺎﺓ ﻓﻠﻮﺍ ﺍﻣﻀﻴﻨﺎﻩ ﻋﻠﻴﻬﻢ
ﻓﺎﻣﻀﺎﻩ ﻋﻠﻴﻬﻢ"
(ﻣﺴﻠﻢ، ﺍﺣﻤﺪ )
 

 "Hazrat Umar razi Allah ne Frmaya K logo ne Talaq k Muamle me jald Bazi Shuru Kardi he halanke inke li isme Dheel thi- is lie ham b isko inpar jari karden chunach jari karden-"
`
yani asal masla wo bhe yahe samjhte the k aik wqt ki teen talaq aik hi he k is me shariat ki tarf se in k lie dheel thi k Nabi salallah alahe waslam k zamana me or Abu Bakar razi Allah anhu k Zamana me or Do saal tak zaman Farooqi me yahi dheel jari rahi. Agr inke samne koi hukum Illahi ya RasoolAllah salallah alahe waslam ka farman naya hota to Yun na farmate-
`
 

 or Sunana Saeed bin Mansoor k alafaz ye hn:

"ﻗﺪ ﻛﺎﻥ ﻟﻜﻢ ﻓﻰ ﺍﻟﻄﻼﻕ ﺍﻧﺎﺓ
ﻓﺎﺳﺘﻌﺠﻠﺘﻢ ﺍﻧﺎﺗﻜﻢ ﻭﻗﺪ ﺍﺟﺰﻧﺎ ﻋﻠﻴﻜﻢ ﻣﺎ
ﺍﺳﺘﻌﺠﻠﺘﻢ ﻣﻦ ﺫﺍﻟﻚ"
(ﺝ٣ ﺹ ٢٥٩)
 

2ri Riwayat me "ﺑﻠﺰ ﻣﻬﻢ ﻣﺎ ﺍﻟﺰﻣﻮﺍ
ﺍﻧﻔﺴﻬﻢ" he (safa 259)
 

in dono Riwayato me

 " ﺍﺟﺰﻧﺎ ﻋﻠﻴﻜﻢ
" Or " ﺑﻠﺰ ﻣﻬﻢ" me Teen Talaq k Ijra ko Hazrat Umar razi Allah anhu ne apni tarf mansob kia he or ye kahi nh Farmaya k ye Farman Rasool salallah alahe waslam kar raha hon.
`
" ﻟﻘﺪ ﻫﻤﻤﺖ ﺍﻥ ﺍﺟﻌﻞ ﺍﺫﺍ ﻃﻠﻖ ﺍﻟﺮﺟﻞ
ﺍﻣﺮﺃﺗﻪ ﺛﻼﺛﺎ ﻓﻰ ﻣﺠﻠﺲ ﺍﻥ ﺍﺟﻌﻠﻬﺎ ﻭﺍﺣﺪﺓ
ﻭ ﻟﻜﻦ ﺍﻗﻮﺍﻣﺎ ﺟﻌﻠﻮﺍ ﻋﻠﻰ ﺍﻧﻔﺴﻬﻢ ﻓﺎﻟﺰﻡ
ﻛﻞ ﻧﻔﺲ ﻣﺎ ﺍﻟﺰﻡ ﻧﻔﺴﻪ. . . . . . .ﻭﻣﻦ ﻗﺎﻝ
ﺍﻧﺖ ﻃﺎﻟﻖ ﺛﻼﺛﺎ ﻓﻬﻰ ﺛﻼﺙ"(ﺳﻨﻦ ﺳﻌﻴﺪ
ﺑﻦ ﻣﻨﺼﻮﺭ ﺝ١ ﺹ ٢٥٩ )
 

 isse wazih he k Hazrat Umar razi Allah anhu ne Irada kia tha k Ak Majlis ki teen Talaq ko ak hi baqi rakhen ( jasa K Quran Ka Taqaza He 
:
ﻟﻮ ﺣﻤﻠﻨﺎ ﻫﻢ ﻋﻠﻰ ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﻠﻪ"
 

 k alfaz ki tasrih sunan Saeed bin Mansoor Me ati he) lekn logo ne gair sharai tariqa ko apna lia he is lie jo shakhas apne nafs par jo lazm karega me b lazim kardunga. . . . . Jo kahega tujhe teen talaq to wo teen talaq hongi goya sayasi musalihat or sayasi saza thi-
`
Hazrat Umar razi Allah anhu ne sirf Teen Talaq Ko Ta'azizi wa sayasi taor par nafiz nh farmaya tha blke ahkam nikah wa talaq wagerah k masail b sayasta w ta'azira bataor musalihat nafiz farmae the-
`
ﻋﻦ ﻗﺘﺎﺩﺓ ﻗﺎﻝ ﺗﺴﺮﺕ ﺍﻣﺮﺃﺓ ﻏﻼﻣﺎ ﻟﻬﺎ
ﻓﻘﺎﻝ ﻋﻤﺮ ﻻ ﺟﺮﻡ ﻻ ﺍﺣﻞ ﻟﻚ ﺍﻟﺤﺮ ﺑﻌﺪﻩ
ﺍﺑﺪﺍ ﻛﺎﻧﻪ ﻋﺎﻗﺒﻬﺎ ﺑﺬﺍﻟﻚ"(ﻛﻨﺰ
ﺍﻟﻌﻤﺎﻝ:٤٠٦/٢ )
 

 yani "Qatada kahte hn k Ak Aurat ne apne Gtlam ko Hambistri k lie muqarar kr rakha tha to Hazrat Umar razi Allah anhu me kaha k koi jurum ki bt nh k Me tere lie is k bd kisi Azad ko halal na kar dunga- goxa Hazrat Umar razi Allah anhu ne is Aurat ko is k badle me ye saza di-"
`
dekho is Aurat k lie dosri jagh shadi karna jaiy or sharai ijazat thi jise Hazrat Uar razi Allah anhu ne bataor saza kisi azad mard se shadi karna mumnoo kardia tha- to malom hua k aurat par ye hukum nafiz kardia Hazrat Umar razi Allah anhu ka ye papandi lagana- sayasi ta'azir thi koi sharai masala na tha.
`
Isi Trh Hazrat Hazifa Razi Allah anhu ne Ak Yahoodi aurat se shadi kar li thi Hazrat Umar Razi Allah anhu ne inke Pas Khat (latter) likha k is aurat ko talaq dedo jawab me Hazrat Hazifa ne likha k A Ameer Al Maomineen ye nikah haram he ? To Hazrat Umar Razi Allah anhu ne dobara likha k Me Tum par Wajib or zaruri karta hun k Mere khat ko rakhne se phle is aurat ko talaq dedo.
 

 (iz alat al Khufae Shah Wali ullah Muhdis Dihlvi Kitab Al asar Imam Mohammad safa 182 musanif Ibn Abi Sheebah j4 safa 158 Sunan Saeed bin Mansoor j1 safa 182,183)
`
ye hukum bataor ta'azir tha- warna Ahle Kitab se nikah to Nas Qurani se sbt he- is khud Ahnaf ne b Hazrat Umar k is talaq k masle ko ta'azira sayast taslim kia he-
`
Dekhiye " Durmukhtar" (105/2) k hashia me Imam Tihavi hanfi likhte hn:


ﺍﻧﻪ ﻛﺎﻥ ﻓﻰ ﺍﻟﺼﺪﺭ ﺍﻻﻭﻝ ﺍﺫﺍ ﺍﺭﺳﻞ
ﺍﻟﺜﻼﺙ ﺟﻤﻠﺔ ﻟﻢ ﻳﺤﻜﻢ ﺍﻻ ﺑﻮﻗﻮﻉ ﻭﺍﺣﺪﺓ
ﺍﻟﻰ ﺯﻣﻦ ﻋﻤﺮ ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ ﺛﻢ ﺣﻜﻢ
ﺑﻮﻗﻮﻉ ﺍﻟﺜﻼﺙ ﺳﻴﺎﺳﺔ ﻟﻜﺜﺮﺗﻪ ﺑﻴﻦ ﺍﻟﻨﺎﺱ-".
 


 "sadar Awal (zamana Nabvi or Zamana Siddiqui, or Zamana Farooqi tak) Me Jb koi Teen Talaq Ikathi kah deta na hukum lagaya jata tha magar ak Talaq ka phr Hazrat Umar razi Allah anhu ne Teen k waqia hone ka hukum laga dia bataor Sayasat qk logo ne Apas me Isko Am kar lia tha-"
`
 

 is trh Qahistani ne Jamia Al Ramoz safa 321 or Jamia Al Anhar Sharah Milataqi Al Abhar Safa 38 me b Qarib Qarib Yahi Alfaz byan kie hn- han is Ta'azir se ruju b farma lia or farmaya:
 

"ﻣﺎ ﻧﺪﻣﺖ ﻋﻠﻰ ﺷﺊ ﻧﺪﺍﻣﺘﻰ ﻋﻠﻰ ﺛﻼﺙ
ﺍﻥ ﻻ ﺍﻛﻮﻥ ﺣﺮﻣﺖ
ﺍﻟﻄﻼﻕ. . . . .ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ"(ﻣﺴﻨﺪ ﺍﺑﻮﺑﻜﺮ
ﺍﺳﻤﺎﻋﻴﻠﻰ ﺑﺤﻮﺍﻟﻪ ﺍﻏﺎﺛﺔ ﺍﻟﻠﻬﻔﺎﻥ ﺝ١ ﺹ
٣٣٦ ﻃﺒﻊ ﺣﺼﻪ)
 

 Hazrat Umar farmate hn " jasa Me Teen chezo par Nadam hua wasa kisi chez par nadam nh hua- inme se ak Teen Dafa Talaq ko Teen qarar Dena b he-"
========
 

ye Raha Kch hawal 3 Talaq k bre me.
 

========
 


Ab Ayei Dekhte Hn K
 

 "HADIS K HOTE HUE SAHABI KI BAT NA MANNA JURUM HE ???
`
khud ahnaf ki zabani se sune ???
`
Ahadis k Muqabla me Sahabi ki Bat ko na manna ye Koi Jurum nh agr jurum he to phr akele ham hi mujrim nh ahnaf, shwafi, wagerh b hn chunach Ahnaf ne tasrih ki he k:
 

 "ﺍﻥ ﻗﻮﻝ ﺍﻟﺼﺤﺎﺑﻰ ﺣﺠﺔ ﻓﻴﺠﺐ ﺗﻘﻠﻴﺪﻩ
ﻋﻨﺪﻧﺎ ﺍﺫﺍ ﻟﻢ ﻳﻨﻔﻪ ﺷﻰ ﺁﺧﺮ ﻣﻦ
ﺍﻟﺴﻨﺔ. . . . . . . . .ﺍﻧﺘﻬﻰ"
 

 (ﻓﺘﺢ ﺍﻟﻘﺪﻳﺮ ﻻ ﺑﻦ ﻫﻤﺎﻡ ﺣﻨﻔﻰ ﺹ ٢٦٤
ﺝ٢)
`
or Alama Mula Ali Qari hanfi rahmullah likhte hn:
 

"ﻗﻮﻝ ﺍﻟﺼﺤﺎﺑﻰ ﺣﺠﺔ ﻋﻨﺪﻧﺎ ﺍﺫﺍﻟﻢ ﻳﻨﻔﻪ
ﺷﻴﺊ ﺁﺧﺮ ﻣﻦ
ﺍﻟﺴﻨﺔ. . . . . . . .ﺍﻧﺘﻬﻰ"(ﻣﺮﻗﺎﺓ ﺷﺮﺡ
ﻣﺸﻜﻮﺍﺓ ﺝ٢ ﺹ ٢٣٤ )
 

 Dono Ibarato ka matlab ye he k Hanfia k nazdiq qaol sahabi is wqt hujut he jb koi Marfu Hadis iski mukhalif na ho agr koi marfu hadis iski nafi karegi to is surat me hujat nh-
`
 

 or maolana abdul hay lakhnavi likhte hn k:
 

"ﻭﺍﺗﻔﻘﻮﺍ(ﺍﻯ ﻓﻰ ﻗﻮﻝ ﺍﻟﺼﺤﺎﺑﻰ)ﻋﻠﻰ ﺍﻧﻪ
ﻟﻴﺲ ﺑﺤﺠﺔ ﺍﺫ ﻧﻘﺘﻪ ﺷﻰ ﻣﻦ ﺍﻟﺴﻨﺔ
ﺍﻟﻤﺮﻓﻮﻋﺔ"
 

(ﻇﻔﺮ ﺍﻻﻣﺎﻧﻰ ﺹ ١٨٢ )
 


yani " hanfia shafia is par mutafhq hn k Qaol Sahabi ki jb sunat nafi kare to wo qaol sahabi hujat nh he-"
`
maolana abdul hay likhte hn:
 

"ﻭﻋﻨﺪ ﺍﻟﺸﺎﻓﻌﻰ ﻻ ﻋﺒﺮﺓ ﺑﻌﻤﻞ ﺍﻟﺼﺤﺎﺑﻰ
ﺧﻼﻑ ﺍﻟﻤﺮﻭﻯ ﺑﻞ ﻳﻮﺧﺬ ﺑﺎﻟﺤﺪﻳﺚ
ﺍﻟﺦ"(ﺍﻣﺎﻡ ﺍﻟﻜﻼﻡ ﺹ ١٧٥ )
 

 "jb Hadis Rasool Sahabi k amal k khilaf ho to amal sahaba ka koi aitbar nh he- is lie k ham amal Sahabi is waqt mante hn jb Hadis k mutabiq ho.
 

 =======
ye tha ahnaf ka hawala jo k Hadis Rasool salallah alahe waslam or Sahaba ikram k bre me tha.
`
Ab mere khayal me hanfiyo ko manni chaye apne ulima ki bt ko nh mante to Allah Hidayat Dene wala he.
Allah Ta'ala Hme Or ilm se Nawaze or haq sach phnchane ki Taqat de Ameen