Monday, February 3, 2014

DAEEF HADITH:- MAIN ILM KA SHAHAR HOON..

Bismillahirrahmanirraheem


Zaeef Riwayat #2 


RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: 


"Mein Ilm ka Shaher Hun aur Ali (raziAllahoanho) Us (shaher) ka darwaza." 


Is Mozoo Riwayat ko Muhaddithin e Karam in kutub me laye hain - 


([1]-Majmua uz Zawaid, Kitab ul manaqib, Hadees#14670,

 [2]-Mozuaat ul Kubra Page: 71, Number: 251 (Mulla Ali qari),

 [3]-Al Mozooaat (Ibn ul Jozi) Jild:1, Page:350, Kashful khafa, Al-Fawaid-ul-Majmua waghera...) 

Or Is Riwayat kay Mangharat hone ki kafi wajoohat main: 

 1-Majmua uz Zawaid me Ek Rawi "Abu Balat, Abdus Salam bin Saleh AlHarwi" he. Jo k Kazzab yani khud ahadith garhne wala tha. Imam Nesaee rahmatULLAH kehte hain Yeh Siqa nahi, Imam Darqutni or Imam Ibn Adi ne Mutahim (accused) kaha he 

(Meezan Ul Aitdal, Jild:4, Page: 348, Number: 5056) - 

2-Mozuaat ul Kubra Kitab un ahadith ko jama kar k likhi gai he Jo k Khudsakhta (fabricated) mangharat hain, unhe main ye hadith bhi shamil he jis me Mulla Ali Qari ne Imam Bukhari RahmatULLAH Alaih ka Ye qaul naqal kia he ke 'ye riwayat Jhooti hai or Is ki koi haisiyat nahi he', or Kai Muhaddithin rahmatULLAH alaihim ke qaul is Riwayat k jhoota hone pe paish kie hain) - 

3-Al Mozooat bhi unhe kutub me se he Jin me Jhooti Ahadith jama ki gai hain or Ye riwayat bhi usme naqal ki gai he or Is riwayat ki kafi deegar Zaeef Asnaad (chain of narrators) bhi bayan ki hain. Aisi riwayat in Alfazo se bhi ati he ke 

RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya:

 "Mein Hikmat ka Ghar hun Aur Ali (raziAllahoanho) Us ka darwaza." 

(Tirmizi, kitab ul manaqib, Hadees# 3744) -

;Imam Tirmizi ne is riwayat ko Munkar kaha he Is Riwayat ki sanad Mein "Muhammad bin Umar Al Romi" he jo Kazzab he. Imam Abu Daud kehte hain Ye Zaeef hai, 

Abu Khateem kehte hain k Is ne 'Sharik' se Munkar riwayat bayan kee 

(Meezan Ul Aitdal, Jild: 6, page:279, Number: 8008, Tehzeeb Ul kamal, Jild: 8, Page: 232, Number: 6230) 


- Is Riwayat Ki Jitni Asnaad, hadith ki Kitabon me milti hain Sab Zaeef ya Majhool (unknown) hain. 

* Kuch Kam ilm hazrat Is Jhooti Mangharat hadith ko Sahih samajhte hue is se kuch ka kuch Aqeedah banalete hain or Musalmano ko Asal Islam se hata kar khud sakhta Mazhab se dhoka dete hain, 

AlhamdoLILLAH Hamare Muhaddithin e karam RahmatULLAH Alaihim ki mehnat or Allah Rabbul Izzat k fazal se un Kazzabo ki koi jaal sazi nahi chalti or wo Mayoos ho kar he lot te hain. Is he Mozoo ko samne rakhte hue Ek or Zaeef Hadith Bhi paish ki jati he Jis ko Mazkoora Paish karda riwayat ka mukammal Hissa bata kar Aam musalmano ko mazeed gumrah karne ki koshish ki jati hai us ka zikr aise hai: - 

RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya:

 " Mein Ilm ka Shaher Hun, Abu bakar (RaziAllahoanho) us ki Asas hain, Umer (RaziAllahoanho) uski deewarein hain, Usman (RaziAllahoanho) uski Chhat hain aur Ali (raziAllahoanho) Us (shaher) ka darwaza. - 

Ye Riwayat Bagher Mukammal Sanad (Trustworthy Source) k In kutub Main mojood hai ([1]-Kashful Khafa, Jild:1 Page: 185, [2],Fatawa e Hadisia, Page:355, [3]-Lisaan ul Meezan, Jild: 2, Page: 151,Number: 1206,[4] Musnad al-Firdaus waghera....) 

Is Riwayat Ki Wajuhaat e Zauf: -;1-Kashful Khafa me Allama Ajluni Ne Zaeef kaha he or Musnad ul Firdaus k hawale se farmaya ke ye Bagher Sanad ke Marfoo (Yani Jhooti) kahi gai hai. - 

2-Ibn e Hajr Makki ne Fatawa e hadisia me isay Zaeef kaha he or Musnad ul Firdaus he ke hawale se Besanad qarar dia. - 

3-Hafiz Ibn e Hajr ne Lisaan ul Meezan me Ek Kazzab Raawi "Ismail bin Ali bin AlMuthana" ka zaikr karte hue kehte hain : "Ke jab ye shakhs Damishq me logo ko Waaz karrha tha, to Aik shakhs ne Is se "Main ilm ka sheher or Ali darwaza" is riwayat ke mutalliq pucha, To is ne Kaha ke Ye hadith Mukammal Nahi Asal Hadith ye hai:

 "Main ilm ka sheher, Abu bakr uski Bunyad, Umar.........., darwaza hain"

 Jab us Shakhs ne Kaha ke Apni sanad ko is (Mukammal) Hadith ke silsilay me Bayan karain to Kaha Baad Me Bataunga (Yani Besanad Jhoot kaha). -

 4-Musnad ul Firdaus besanad riwaayaat ki kitab he Jis me Riwaayaat ki Sanad mojood he nahi hoti Ye Riwayat sms or internet par 'Sahih Al Bukhari Nuzhat ul majalis' k hawalo se bheji jati hain magar Ye Jhoot hai or Ye riwayat ManGharat hai. Koi Bhi riwayat Qubul karne se pehle uski tehqeeq lazmi kijiye q ke Har achi cheez hamare Deen mein he Magar har Achi cheez Deen nahi hai.