Saturday, February 22, 2014

AQAID AHLUS SUNNAH WAL JAMAT : (PART-2)





Bismillahirrahmanirraheem

AQAID AHLUS SUNNAH WAL JAMAT : (PART-2)


Aur Ham Is Par Bhi Imaan Rakhte Hain Ke Wah Zaat Aisi Hai Ke

"Agar Samundar Saare Ke Saare Roshnaayi Ho Jaayen, Mere Parwardigaar Ki Baatein Likhne Ke Liye Toh Samundar Khatm Ho Jaayega Aur Mere Parwardigaar Ki Baatein Khatm Na Ho Sakengi"

(Surah Kahaf 109)

Mazeed Irshaad Hai

"Aur Jitne Darakht Zameen Bhar Me Hain Agar Ye Sab Kalam Ban Jaayen Aur Is Samundr Ke Elaawa 7 Samundar Aur Ho Jaayen Toh bhi Allah Ke Kalimaat Khatm Na Hon, Beshaq Allah Bada Zabardast Hikmat Waala Hai"

(Surah Luqman 27)

Aur Ham Iska bhi Aiteqaad Rakhte Hain Ke Maamlaat Ki Sachhaiyi Me Ahkaam Ke Mutaaddil Hone Me, Taraz Bayan Ki Khoobi Wa Khush'asloobi Me Allah Taala Ka Kalaam Sabse Kaamil Tareen Hai,

Allah Taala Ka Irshaad Hai

"Aur Aapke Parwardigaar Ka Ye Kalaam Saddaq Wa Adal Ke Lihaaz Se Kaamil Hai"

(Suran An'aam 115)

Mazeed Irshaad Hai

"Aur Kaun Allah Se Badhkar Baat Me Sacchha Hai"

(Surah Nisa 87)

Aur Ham Imaan Rakhte Hain Ke Quran Kareem Bila'shubah Allah Taala Ka Kalaam Hai, Jiske Zariye Kalaam Bar'haq Ka Irshaad Hua Aur Hz Zibreel Par Alqa Farmaya Aur Wah Ise Lekar Nabi Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Par Naazil Hue

Irshaad Hai

"Aap Kah Dijiye Ke Ise Ruhul Quddus Ne Aapke Parwardigaar Ke Paas Se Hikmat Ke Mawafiq Utaara Hai"

(Surah Nahal 102)

"Aur Beshaq Ye Quraan Parwardigaar e Aalam Ka Utaara Hua Hai, Ise Ruhul Ameen Ne Aap Ke Qalb Par Utaara Hai, Taake Aap Darane Waale Mese Hon, Saaf Arabi Zubaan Me"

(Surah Shu'ara 192-195)

Aur Ham Imaan Rakhte Hain Ke Allah Taala Ne Apni Zaat Wa Suffaat Ke Aitbaar Se Apni Makhlooq Par Buland Hai,

Iski Daleel Allah Taala Ka Irshaad Giraami Hai

"Wah Aali'shan Hai Aur Azeem Us Shaan Hai"

(Surah Baqarah 255)

Mazeed Irshaad Hai

"Aur Wah Apne bando Ke ooper Ghaalib Hai Aur Wah Saahab Hikmat Hai, Bada Ba'khabar Hai"

(Surah Anaam 18)

Aur Ham Iska Aiteqaad Rakhte Hain Ke Allah Taala Ne

" Aasmaano Aur Zameen Ko 6 Dino Me Paida Kiya Hai, Fir Arsh Par Buland Baala Hua Hai"

(Surah Younus 3)

Aur Uska "Arsh Par Buland Wa Baala Hona" Uska Apni Zaat Ke Saath Ek Khaas Qism Ka Buland Aur Mustawa Hona Hai, Jo Uski Jalaalat Qadr Wa Azmat Ke Munaasib Hai,

Jiski Kaifiyat Wa Haalat Allah Taala Ke Siwa Koi Nahin Jaanta,

Aur Ham Is Par Imaan Rakhte Hain Ke Allah Taala Arsh Bari Par Hote Hue Apne Bandon Ke Ahwaal Se Waaqif Hai,

Unki BaatOn Ko Sunta Hai Aur Unke Aamaal Ko Dekhta Aur Unke Maamlaat Ko Chalaata Hai,

Faqeer Ko Rizq Deta Hai, Toote Hue Ko Jodta Hai, Jisko Chaahta Hai Badshahi Deta Hai, jisse Chaahe Badshaahiyat Chheen Leta hai,

Jisko Chaahta Hai Izzat Deta hai, Jisko Chahta hai Zillat Deta Hai, Usi Zaat Paak Ke Haath Me Saari Bhalaayi Ki Cheezein Hain Aur Beshaq Wo Har Cheez Par Qaadir Hai,

Jis Zaat Paak Ki Aisi Shaan Wa Siffaat Ho Wah Waqai Apni Makhlooq Ke Saath Har Lamha Hai,

Agarche Wah Haqeeqi Taur Par Unke Ooper Arsh Par Mustawa Hai,

Allah Ka Irshaad Hai

"Kaaynaat Ki Koi Cheez Uske Mushaabah Nahin Hai, Aur Wah Sab Kuch Sunne Waala, Dekhne Waala Hai"

(Surah Shura 11)

Aur ham Aisa Aqeeda Nahin Rakhte Jiske Firqa E Halowiya Aur Jahmiya Wagerah Ke Log Qaayel Hain Ke

"Allah Taala Apni Makhlooq Ke Saath Zameen Me Maujood Hai"

Aur Ham Aisa Aqeeda Rakhne Waale Ko Kaafir Ya Gumraah Samjhte Hain,

Kyunke Usne Allah taala Ko Na'munaasib Aur Bari Siffaat Se Mutsaf Kiya Hai,

Balke Ham Uska Ateqaad Rakhte Hain Jiski Rasoollullah (Sws) Ne Ham ko Khabar Di Hai Ke

"Allah Taala Har Raat Aasmaan E Duniya Par Nuzool Farmata Hai, Jab Raat Ka Aakhiri 1/3 Hissa Baaqi Rah Jaata Hai Toh Ye Farmaata HaI Ke

" kya Koi Dua Karne Wala Hai Jiski Duayeen Main Qubool Karun, Kya Koi Sawaal Karne Waala Hai Jisko Main Dun ?? Kya Koi Ishtaghfaar Karne Waala Hai, Jiski Maghfirat Karun ??"

Aur Ham Ye Bhi Aiteqaad Rakhte Hain Ke Allah Taala Qayamat Ke Roz Bandon Ke Darmiyaan Faisla Karne Ke Liye Tashreef Laayenge

" Ye Baat Harghiz Nahin (Ke Azaab Na Hoga) Jis Roz Zameen Ko Todh Todh Kar Reza Reza Kar Diya Jaayega Aur Aapka Parwardigaar Aur Farishte Aayenge Aur Jahannum Ko Us Roz Laaya Jaayega, Us Roz Insaan Ko Samjh Aayegi, Aur Samjh Aane Ka Mauqa Kahan Raha"

(Surah Fajr 21-23)

Aur Hamara Imaan Hai Ke Allah Taala

"Fa'aa Lun Lima Yureed"

Trans: Jo Chaahe Kar Ghuzarne Wala Hai.....

To Be Continued In Next Post In sha allah....... Duaon Me Bande Ko Yaad Rakhiye