Tuesday, February 4, 2014

SHAITAAN KA WASWASA





Bismillahirrahmanirraheem



Agar aapke kaan me kisi shaitaan ne ye soor foonk diya ho ke

" Ahle haadees imamo aur mujtahidon, buzrugo aur neko ke munkir hain"

 To hum aap se kahenge ke ye is ne galat kaha...
 


Hum ahle hadees ,

imamo ki,

buzrugo ki,

mujtahido ki,

muhaddiso ki,

sab ki izzat karne wale hain in sab ki buzrugi  maante hain inhe apna sardaar aur peshwa jaante hain,
 


LEKIN 

ise kya karen ke khud inhi aima karaam ne humein ye farma diya hai
ke 


"sahih hadees ke  muqable me na hamari  mano na kish aur ki"

(al mizaan al kubra al sha'rani- jild-1 page-60)

pus in ka maanna aur inki maanna bhi yahi hai ke 


jo hadees me hai maane ,jo is ke khilaaf ho usse chhod de, imamo ka jo dushman ho charo imamo
se bugaz o bair rakhta ho hum to usse matrood aur shaitaan ka chhota bhai jaante hain,
haan beshak hadees rasool s.a.w  ke muqable me kisi ke  qoul ko maanna ye khud in charo imamo ki taaleem ke khilaaf hai, is liye chhod dete hain, ye nahi karte ke is ke muqable me hadees ko chhod de,
hamare nazdeek  ye allah ke rasool karim(s.a.w)  ki sarai tauheen,  hadees ki Aalaa be adbi
aur deen-islam ka sarai khilaaf hai,  kai sau shaikro ahaadeesein  jo sarai hain sahih hain  jin ke khilaaf hanafi mazhab ki fiqaah ki kitaabein hain, kahiye hum kaise  hadeeso ko chhod de ?

Aur kaise in fiqaah ki kitaabo ko le lein ?

Insaaf, imaan, islaam, taaleem buzrugo aqwaal-aima ka khulasa to ye hai ke hum hadees ko len aur qaul ko chhode, pus yahi hum chahte hain...
 

ye hakikat hai kisi ko bura lage tho i am sorry


FROM-- IMRAN KHAN SALAFI