Monday, February 24, 2014

NIKAH KARNE KA TAAQEEDI HUQM:




.Bismillahirrahmanirraheem

NIKAH KARNE KA TAAQEEDI HUQM:


Zindagi Ka Suqoon Ek Nafsaani Wa Roohaani Raaz Hai Jo Be'ghair Jauziyat (Shadi) Ke Mahsoos Nahin Kiya Ja Sakta,

Is Liye Kitab Wa Sunnat Me Nikah Karne Ki Taaqeed Aur Libaas Jauziyat Se Aaraasta Hone Ki Khususi Targheeb Di Gayi Hai,

Quran Pak Me Irshad Hai

"Nikah Karo Un Aurton Se Jo Tumhe Khush Lagen, Do, Teen, Chaar Tak"

(Surah Nisa)

"Aurtein Mardon Ka Libaas Hain, Aur Mard AuRton Ka Libaas Hain "

(Surah Baqarah)

In Mukhtasar Alfaaz Me Jauziyat Ki Intehaayi Balegh Aur Jame Tashbiyah Bayan Ki Gayi Hai,

Jis Tarah Zaahiri Libaas Insaan Ke Badan Se Mutsal Hota Hai, Zeenat Deta Hai, Garmi Wa Sardi Se Bachaata Hai, USI tarah Ye Tamam Ausaaf Libaas Jauziyat Me Maujood Hain,

Maslan Shauhar Biwi Ka Baaham Milaap,

Har Ek Dusre Ki Jaan Wa Maal Aur Izzat Wa Waqaar Ki Hifaazat, Fahash Wa Bure Kaamon Se Bachaao, Iffat Wa Paak Daamini Ki Zeenat Wagerah,

Ye Tamam Baatein Libaas Jauziyat Ke Muhaasin Hain,

Rasoollullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Irshaad Hai

"Aiy Jawaano Ke Giroh, Tumme Jo Koi Nikaah Karne Ki Isteta'at Rakhta Ho Wah Nikaah Kar Le, Kyonke Isse Nigaah Past (Neeche) Rahti Hai, Aur Sharm'gaah (Haram Kaam Se) Mahfooz Rahti Hai"

(Bukhari Wa Muslim)

"Duniya Faayeda Uthaane Ka Samaan Hai Aur Uska Bahtar Samaan Nek Aurat Hai, (Lihaaza Nek Aurat Se Shadi Karne Ki Koshish Karo)"

(Muslim)

" Jab Banda Shadi Kar Leta Hai Toh Uska Aadha Deen Muqammal Ho Jaata Hai Ab Usko Baaqi Aadhe Deen Ke Baare Me Allah Se Darte Rahna Chahiye"

(Muslim)

"3 Logon Ki Madad Karna Allah Par Saabit Hai, Ek Makatib Ghulam Jo Apni Azaadi Ke Liye Aaqa Ko Maal Dene Ka Ahad Kiya Hai Aur Us Maal Ki Adaayegi Ki Niyyat Rakhta Hai,

Dusra Wah Shakhs Jo Badkaari Se Bachne Ke liye Nikaah Karta Hai,

Teesra Jo Allah Ki Raah Me Jihaad Karta Hai"

(Tirmizi, Nisaai)

Subahaan Allah, Jo Nikaah, Iffat Wa Paak daamini Haasil Karne Ke Liye Kiya Jaaye Toh Wah Is Qadr Azeem Us Shaan Hai Ke Allah Ki Raah Me Jihaad Karne Aur Ghulaami Se Azaadi Haasil Karne Ke Baraabar Hai Aur Allah Ki Madad Ka Haqdaar Hai.....