Sunday, August 31, 2014

SAHABA (RA) KA HARAM'KHORI SE BACHNA- HALAL WA HARAM KA BAYAN:




Bismillahirrahmanirraheem

SAHABA (RA) KA HARAM'KHORI SE BACHNA- HALAL WA HARAM KA BAYAN:


Hz Abu Bakr (Ra) Ka Ek Ghulaam Tha Jo Unko Kama Kar Diya Karta Tha,

Chunanche Hz Abu Bakr (Ra) Uski Kamaayi Khaaya Karte They,

Ek Din Wah Koi Cheez Laaya, Hz Abu Bakr (Ra) Se Use Tanawal Kiya,

Tab Ghulam Ne Unse Kaha

"Aapko Malum Hai Ye Kya Tha ?"

Hz Abu Bakr (Ra) Ne Daryaaft Kiya, Ye Kya Tha?

Usne Bataya

"Maine Jahiliyat Me Kisi Insaan Ke Liye Kahanat Ki Thi Aur Main Kahanat Me Maahir Na Tha Bas Maine Usse Dhoka Kiya Tha, Wah Shakhs Mujhse Mila Usne Mujhe Ye Maal Diya, Chunanche Us Maal Se Aapne Tanawal Kiya Hai"

Hz Aisha (Ra) Bayan Karti Hain Ke Hz Abu Bakr (Ra) Ne Apna Haath (Muh) Me Daakhil Kiya Aur Pet Me Maujood Har Shayy Ki Qay (Vomiting) Kar Di (Kyonki Kahanat Haram Hai Aur Usse Haasil Hone Waala Maal Bhi Haram Tha)

(Sahih Bukhari Kitab Manaqib Al Ansaar, Bab Ayyam Ul Jahiliyyah)

HARAM'KHOR KI DUA QUBOOL NAHIN HOTI:

Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Aiy Logon Be'shaq Allah Tala Paak Hai Aur Sirf Paak Cheezon Ko Hi Qubool Karta Hai, Aur Bila'shubah Allah Tala Ne Momino Ko Bhi Wahi Huqm Diya Hai,

Chunanche Allah Ka Irshad Hai

"Aiy Rasoolon ! Paakeeza Ashya Se Khao Aur Nek Amal Karo, Yaqeenan Main Jaanta Hoon Jise Tum Karte Ho,"

Aur (Ek Dusre Maqam par Farmaya Ke)

"Aiy Imaan waalon ! Paakeeza Rizq Mese Khao Jo Hamne Tumhe Diya Hai"

Fir Aap (Sws) Ne Ek Aise Aadmi Ka Zikr Kiya Jo Lamba Safar Karta Hai Uske Baal Pur'ganda Hain, (Jism) Ghubaar Aalood Hai, Wah Aasmaan Ki Taraf Apne Haath Failaata Hai (Aur Kahta Hai Ke)

"Aiy Mere Rabb ! Aiy Mere Rabb ! Aiy Mere Rabb !"

Lekin Uska Khaana Bhi Haram Hai, Uska Peena Bhi Haram Hai, Aur Uska Libaas Bhi Haram Hai Aur Use Ghiza Bhi Haram Di Jaati Hai Toh Uski Dua Kaise Qubool Ki Jaaye"

(Muslim 1015 Kitab Uz Zakaat, Tirmizi 2989 Kitab Tafseer Ul Quran, Ahmad 7356)

HARAM MAAL SE SADQAH QUBOOL NAHIN HOTA:

Jaisa Ke Saabiqa Hadith Me Hai Ke

"Allah Tala Paak Hai Aur Sirf Paakeeza Cheezon Ko Hi Qubool Karta Hai"

Iske Elawa Ek Dusri Riwayat Me Hai

"Taharat Ke Be'ghair Namaz Qubool Nahin Ki Jaati Aur Na Hi Khyaanat (Chori, Ghasab Etc) Ke Maal Se Sadqah Qubool Kiya Jaata Hai"

(Muslim 224 Kitab Ut Taharah, Tirmizi 2989 Kitab Ul Tafseer Quran, Ahmad 8356)

In Riwayat Ki Ru Se Haram Maal Se Kiya Hua Hajj, Qurbani Aqeeqah, Masjid Ya Madarse Ki Taameer Aur Deegar Koi Bhi Neki Ka Kaam (Jo Haram Maal Se Kiya Jaaye) Qubool Nahin Hoga Aur Na Hi Uska Koi Ajr Milega

"Sadqah, Hajj, Ya Neki Ke Kisi Bhi Kaam Me Sirf Pakeeza Kamayi Hi Se Kharch Karna Chahiye Kyonki Allah Tala Sirf Paakeeza Cheez Hi Qubool Karta Hai"

(Saudi Fatawa Commettee)

"Dil Ki Safaayi Aur Dua Wa Ibaadaat Ki Qubooliyat Me Halal Khaane Ka Gahra Asar Hai Kyonke Haram Khaane Se Na tOh Dua Qubool Hoti Hai Aur Na Hi Koi Dusri Ibaadat"

(Majmua Al Fatawa 23/27 Shaikh Ibn Baaz Rh)....


Saturday, August 30, 2014

MA'AASHI JEDDO JEHAD KI TARGHEEB: (HARAM WA HALAL KA BAYAN)





Bismillahirrahmanirraheem

MA'AASHI JEDDO JEHAD KI TARGHEEB:


1- Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Wah ShakhS Jo Lakdi Ka Gattha Apni Peeth Par Laad Kar Laaye Usse Bahtar Hai, Jo Kisi Ke Saamne Haath Phailaaye Chaahe Wah Use Kuch De Ya Na De"

(Bukhari 2074 Kitab Ul Buyu)

2- Hz Zubair Bin Awaam (Ra) Se Riwayat Hai Ki Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Agar Koi Apni Rassiyon Ko Sambhaale Aur Unme Lakdi Baandh Kar Laaye Toh Wah Usse Bahtar Hai Jo Logon Se Mangta Firta Hai"

(Bukhari 2075 Kitab Ul Buyu)

3- Hz Aisha (Ra) Ne Farmaya

"Rasoollullah (Sws) Ke Sahaba Apne Kaam Apne Hi Haathon Se Kiya Karte They Aur ( Zyada Mahnat Wa Mashaqqat Ki Wajah Se) Unke Jism Se (Paseene Ki) Bu Aa Jaati Thi,

Isliye unse Kaha Gaya Ke AGar Tum Ghusl Kar Liya Karo Toh Bahtar Hoga "

(Bukhari 2071, Kitab ul Buyu)

4- Ek Lambi Riwayat Me Hai Ke Ek Ansari Rasoollullah (Sws) Se Maange Aaya Toh Aapne Usse Uska Gharelu (Household) Samaan (Ek Taat Aur Ek Pyala) Mangwa Kar Use 2 Dirham Me Farokht Kiya,

Fir Wah Dirham Use Dekar Kaha

"Jao Ek Dirham Se Khana Khareed Kar Ghar Walon Ko De Do Aur Dusri Se Kulhaadi (Axe) Khareed Kar Mere Paas Le Aao "

Kuch Der Baaf Wah Kulhaadi Le Aya,

Aap (Sws) Ne Apne Haath Se Usme Lakdi Ka Dasta Thonka Aur Ansari Se Kaha

"Jao Isse Lakdiyan Kaato Aur Le Jaakar Bazaar Me Becho Aur 15 Din Tak Main Tujhe (Maanta Hua) Na Dekhun"

Aadmi (Jungal Ki Taraf) Chala Gaya Wah (Roz) Lakdiyan Kaat'ta Aur Le Jaakar (Bazaar) Me Bech Deta

Fir Jab Wah Waapas Aaya Toh Usne 10 Dirham Kama Diye They, Wah Gaya Aur Kuch Dirhamo Se Anaaj Khareed Liya Aur Kuch Se Kapda,

Fir Aap (Sws) Ne (Use Mukhaatib Karke) Farmaya

" Ye Tere Liye Usse Bahtar Hai Ke Tu Roz E Qayamat Aaye Aur Ye Sawaal Teri Peshaani Par Daagh Bana Hua Ho"

(Sahih Lagheerah: Sahih Targheeb 834 Kitab Ul Sadaqaat, Abu Dawood 1641. Ibn Majah 2198

Note: Ibn Hajar (Rh) Ne Aur Imam Tirmizi (Rh) Ne Is Riwayat Ko Hasan Kaha Hai

5- Hz Adam (As) Kheti Ka Kaam, Hz Dawood (As) Lohaar Ka Kaam, Hz Noah (As) Bhad'hai Ka Kaam, Aur Hz Idrees (As) Kapde Seene Ka Kaam Karte They,

Hz Moosa (As) Bakriyan Chaaraya Karte They Aur Hz Muhammad (sws) Tijaarat Pesha They..


Thursday, August 28, 2014

WAALID KA INKAR KARNA KUFR HAI

✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Hazrath Saad Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

"Jisney apney Walid ke siwa kisi aur ka Beta honey ka dawa kiya ye jantey huye ki wo iska Walid nahi hai to Jannat us par Haram hai"


Sahih Bukhari, Vol 8, 6766

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´


Hazrath Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya

"Apney walid ka koi Inkaar Na karey kyunki jo apney Walid se munh modta hai (yani kisi aur ko apna Walid banata hai) ye Kufr hai ".


Sahih Bukhari, Vol 8, 6768

DAIF HADITH- MAIN ILM KA SHAHER HOON

Zaeef Riwayat #2 

RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: 

"Mein Ilm ka Shaher Hun aur Ali (raziAllahoanho) Us (shaher) ka darwaza." 

Is Mozoo Riwayat ko Muhaddithin e Karam in kutub me laye hain 

([1]-Majmua uz Zawaid, Kitab ul manaqib, Hadees#14670, [2]-Mozuaat ul Kubra Page: 71, Number: 251 (Mulla Ali qari), [3]-Al Mozooaat (Ibn ul Jozi) Jild:1, Page:350, Kashful khafa, Al-Fawaid-ul-Majmua waghera...) 

Or Is Riwayat kay Mangharat hone ki kafi wajoohat main: .

1-Majmua uz Zawaid me Ek Rawi 

"Abu Balat, Abdus Salam bin Saleh AlHarwi" he. Jo k Kazzab yani khud ahadith garhne wala tha. Imam Nesaee rahmatULLAH kehte hain Yeh Siqa nahi, Imam Darqutni or Imam Ibn Adi ne Mutahim (accused) kaha he 

(Meezan Ul Aitdal, Jild:4, Page: 348, Number: 5056) . 

2-Mozuaat ul Kubra Kitab un ahadith ko jama kar k likhi gai he Jo k Khudsakhta (fabricated) mangharat hain, unhe main ye hadith bhi shamil he jis me Mulla Ali Qari ne Imam Bukhari RahmatULLAH Alaih ka Ye qaul naqal kia he ke 'ye riwayat Jhooti hai or Is ki koi haisiyat nahi he', or Kai Muhaddithin rahmatULLAH alaihim ke qaul is Riwayat k jhoota hone pe paish kie hain) . 

3-Al Mozooat bhi unhe kutub me se he Jin me Jhooti Ahadith jama ki gai hain or Ye riwayat bhi usme naqal ki gai he or Is riwayat ki kafi deegar Zaeef Asnaad (chain of narrators) bhi bayan ki hain. Aisi riwayat in Alfazo se bhi ati he ke RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: 

"Mein Hikmat ka Ghar hun Aur Ali (raziAllahoanho) Us ka darwaza." 

(Tirmizi, kitab ul manaqib, Hadees# 3744) .

Imam Tirmizi ne is riwayat ko Munkar kaha he Is Riwayat ki sanad Mein 

"Muhammad bin Umar Al Romi" 

he jo Kazzab he. Imam Abu Daud kehte hain Ye Zaeef hai, Abu Khateem kehte hain k Is ne 'Sharik' se Munkar riwayat bayan kee 

(Meezan Ul Aitdal, Jild: 6, page:279, Number: 8008, Tehzeeb Ul kamal, Jild: 8, Page: 232, Number: 6230) 

Is Riwayat Ki Jitni Asnaad, hadith ki Kitabon me milti hain Sab Zaeef ya Majhool (unknown) hain. 

* Kuch Kam ilm hazrat Is Jhooti Mangharat hadith ko Sahih samajhte hue is se kuch ka kuch Aqeedah banalete hain or Musalmano ko Asal Islam se hata kar khud sakhta Mazhab se dhoka dete hain, AlhamdoLILLAH Hamare Muhaddithin e karam RahmatULLAH Alaihim ki mehnat or Allah Rabbul Izzat k fazal se un Kazzabo ki koi jaal sazi nahi chalti or wo Mayoos ho kar he lot te hain. Is he Mozoo ko samne rakhte hue Ek or Zaeef Hadith Bhi paish ki jati he Jis ko Mazkoora Paish karda riwayat ka mukammal Hissa bata kar Aam musalmano ko mazeed gumrah karne ki koshish ki jati hai us ka zikr aise hai: . 

RasoolULLAH Sallallaho Alaihewasallam ne farmaya: 

" Mein Ilm ka Shaher Hun, Abu bakar (RaziAllahoanho) us ki Asas hain, Umer (RaziAllahoanho) uski deewarein hain, Usman (RaziAllahoanho) uski Chhat hain aur Ali (raziAllahoanho) Us (shaher) ka darwaza. Ye Riwayat Bagher Mukammal Sanad (Trustworthy Source) k In kutub Main mojood hai 

([1]-Kashful Khafa, Jild:1 Page: 185, [2],Fatawa e Hadisia, Page:355, [3]-Lisaan ul Meezan, Jild: 2, Page: 151,Number: 1206,[4] Musnad al-Firdaus waghera....) . 

Is Riwayat Ki Wajuhaat e Zauf: >1-Kashful Khafa me Allama Ajluni Ne Zaeef kaha he or Musnad ul Firdaus k hawale se farmaya ke ye Bagher Sanad ke Marfoo (Yani Jhooti) kahi gai hai. .
2-Ibn e Hajr Makki ne Fatawa e hadisia me isay Zaeef kaha he or Musnad ul Firdaus he ke hawale se Besanad qarar dia. . 

3-Hafiz Ibn e Hajr ne Lisaan ul Meezan me Ek Kazzab Raawi "Ismail bin Ali bin AlMuthana" ka zaikr karte hue kehte hain : 

"Ke jab ye shakhs Damishq me logo ko Waaz karrha tha, to Aik shakhs ne Is se "

Main ilm ka sheher or Ali darwaza

" is riwayat ke mutalliq pucha, To is ne Kaha ke Ye hadith Mukammal Nahi Asal Hadith ye hai: 

"Main ilm ka sheher, Abu bakr uski Bunyad, Umar.........., darwaza hain" 

Jab us Shakhs ne Kaha ke Apni sanad ko is (Mukammal) Hadith ke silsilay me Bayan karain to Kaha Baad Me Bataunga (Yani Besanad Jhoot kaha). . 

4-Musnad ul Firdaus besanad riwaayaat ki kitab he Jis me Riwaayaat ki Sanad mojood he nahi hoti Ye Riwayat sms or internet par 'Sahih Al Bukhari Nuzhat ul majalis' k hawalo se bheji jati hain magar Ye Jhoot hai or Ye riwayat ManGharat hai. 

Koi Bhi riwayat Qubul karne se pehle uski tehqeeq lazmi kijiye q ke Har achi cheez hamare Deen mein he Magar har Achi cheez Deen nahi hai....

Via- Ayan Khan Salafi

JUMMAH AUR AAM DINO KE DIN HANFIYO KI BIDDATEIN

JUMMAH AUR AAM DINO KE DIN HANFIYO KI BIDDATEIN
.

jumerat ki magrib ke baad he se 'Jummah Mubarak' wish karna suru,
.
Khutba e juma ke waqt 2 rakat tahyatul masjid padhne se rokte hai, sunnat ki mukhalifat.
.
phir juma ke waqt 2sri azan masjid me dilwana, biddat,
.
phir dohri ikamat, biddat,
.
phir jabaan se niyat, biddat,
.
phir takbeere tahrima me kaan chhuna biddat, aur hatehilyo ka qibla rukh se hatna, biddat...
.
phir saff bhi durust nahi karte, kadam se kadam nhi milate, beech me ek-ef feet ka jagah chhor dete hai.
.

ITNI BIDDAT KARNE KE BAAD IN BIDDATIYO KI NAMAZ SHURU HOTI HAI.
.
phir zere naaf hath baandhte hai, jo ki sabit nahi,
.
phir imam ke piche surah fatiha nahi padhte hai,

nabi saw ne farmaya "la salata limal lam yaqra bi fatihal kitab" jo surah fatiha nahi padhta uski namaz nahi hoti.
.
phir Aameen nahi kahte,
.
phir ruku me jate waqt rafadain nhi karte,
.
ruku se uthte waqt rafadain nahi karte,
.
phir sajda me jate waqt zameen me ghutno ko pahle rakhte hai,
yahan bhi mukhalifat,

Nabi saw ne farmaya "jab tm sajde ke liye jao to oonth(camel) ki tarah na baitho, apne hatho ko ghutno se pahle zameen pe rakho".
.
phir sajdo me apne baahein zameen me bichate hai,

nabi saw ne farmaya jab tm sajda karo ko apni baahein kutto ki tarah na bichhao.
.
phir 2 sajdo ke darmiyani dua nahi padhte,
jaldi jaldi dono sajde karte hai.

nabi saw ne iski misaal kawwo ki tarah thonge maarne se di hai.
.
phir tahassud me ungli ko harkat nahi dete.
.
aur ek rakaat khatm karke dusre rakaat ke liye bina baithe direct uth jate hai.
.
aur aakhiri rakat me tawarruk bhi nahi karte.

 

ITNI GALTIYA AUR BIDDAT KE BAAD YE NAMAZ KHATAM KARTE HAI SALAAM PHER KAR.

(waise hidayah kitabu salah me likha hai ke salaam ki jagah paad maar ke bhi namaz khatam ki ja sakti hai)
.

AB SALAAM KE BAAD KI GALTIYAAN AUR BIDDATEIN.
.
salaam ke baad bulund awaz se "Allah huakbar" nahi kahte.
.
zikr o azkaar aur tasbeehaat nahi padhte.
.
peshani pe hath rakh kar "duaye afsos" padhte hai.
.
phir ijtimayi dua karte hai, biddat.
.
aur dua ke baad chehre pe hath pherna bhi sabit nahi,
lehaza ye bhi biddat.

The end.

Agar inki galtiya ginwane me kuch baki rah gya ho toh mai apne Ahle Hadis bhaiyo se guzarish karta hu ke wo bata de.
.
n plz share.

Jazakallahu khairn
.




Via-Imran Khan Salafi

WAZU PAR NEKIYAN

✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Raheem ***

Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai Abu Ghutayf al-Hudhali ne kaha ki Main Abdullah bin Umar Radi allahhu anhu ke pass tha jab Duhar ki Adhan huyee to unhoney Wudhu kiya aur Namaz parhaayee iskey baad Asar ki Adhan huyee to unhoney Dobara Wudhu kiya mainey unsey pucha to unhoney kaha ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ki,

" Jo koi Wudhu par Wudhu kareyga uskey liye 10 Nekiyan likh di jayegi ".

{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 62}

BADANI KAMZORI KA ILAAJ (FOR GIRLS)-- (PART-7)

BADANI KAMZORI KA ILAAJ (FOR GIRLS)-- (PART-7)

WAJAH:


Jinsi Khwaahish Ki Zyadati Ya Uska Poora Na Hona, Leukorrhea, Haiz Ki Kharaabi, Gharelu Pareshaniyan, Aur Aisi Hi Kai Wajuhaat Se Badan Kamzor ho Jaata Hai,

Halaanke Bacche Paida Hone Se Paida Badan Khoob Mazboot Hona Chahiye

1- Alfa Alfa Tonic :

Iski 2-3 Bottles Pi Len,

Istemal Ka Tareeqa Yah Hai Ki Khaana Khaane Se 20 Min Pahle Iska Ek Tablespoon Pi Liya Karen,

Isme Paani Daalne Ki Zaroorat Nahin Hoti, Bahut Zaayeke'dar Dawa Hai, Isse Bhookh Badegi, Khaana Hazam Hoga, Gahri Neend Aayegi, Aasaab Mazboot Honge, Badan Tandrust Aur Mazboot Rahega,

Yah Dawa Homeopathic Ki Zabardast Dawa Hai Ise Khule Dil Se Istemaal Karen

2- 12x (All Phos 12x) :

Agar koi Bimari Ho tOh Uska Ilaaj Karaayen Aur Ilaaj Ke Dauraan Alfa Alfa Tonic Istemaal Kar Sakti Hain,

Yaad Rakhiye Agar Aapki Sehat Theek Hai Aur Badan Mazboot Hai Toh Aap Khusiyon Bhari Zindagi Ghuzaar Sakti Hain Warna Ranj Aur Dukh Aap Par Chha Jaayege...

All Phos 12x Ko "Five Phos" Bhi Kahte Hain, Yah Taaqat Ke Liye Bahut Mufeed Dawa Hai,

Iski 5-5 goliyan Din Me 3-4 Baar Choos Liya Karen

HARAM WA HALAL KE MUTALLIK 10 BUNIYAADI USOOL







Bismillahirrahmanirraheem

HARAM WA HALAL KE MUTALLIK 10 BUNIYAADI USOOL


1- HALAL WA HARAM QARAR DENE KA HAQ SIRF ALLAH TALA KO HAI :

Allah Tala Ka Irshad Hai

" Aiy Nabi ! Jis Cheez Ko Allah Tala Ne Aapke Liye Halal Kar Diya Hai Use Aap Kyun Haram Karte Hain ? (kya) Aap Apni Biwion Ki Razamandi Haasil Karna Chaahte Hain Aur Allah Bakhsne Wala Raham Karne Wala Hai "

(Surah Tahreem Ayat No 1)

Is Ayat Ke Shaan E Nuzool Ke Mutalliq Hz Aisha (Ra) Bayan Hai Ke Hz Zainab (Ra) Ke Ghar Shahad Piya Karte Aur Wahan Kaafi Der Rahte, Main Aur Hafsa (Ra) Ne Ye Tayy Kiya Ke Ham Mese Jis Ke Ghar Bhi Aap (Sws) Tashreef Laayen Wah Kahe Ke Aapne Shahad Piya Hai, Aapke Muh Se Iski Boo Aa Rahi Hai,

Chunanche Fir Hamne Yahi Kaha Toh Aap (Sws) Ne Farmaya

"Maine Toh Zainab Ke Ghar Se Shahad Piya Hai, Tab Aapne Qasam Utha Li Ke Main Kabhi Shahad Nahin Piyunga "

Toh Surah Tahreem Ki Ye Aayat Naazzil Hui,

Maalum Hua Ke Allah Tala Ki Halal Kardah Cheez Ko Koi Nabi Bhi Haram Nahin Kar Sakta Toh Fir Imam, Wali Aur Buzurg Ki Kya Haisiyat..

2- HALAL WA HARAM KA HAQ GHAIR ALLAH KO DENA SHIRK HAI:

Hz Adi Bin Hatim (Ra) Se Riwayat Hai Ke

"Maine Nabi Kareem (Sws) Ki Khidmat Me Haazir Hua Aur Meri Gardan Me Sone Ki Saleeb Thi"

Aap (Sws) Ne Irshaad Farmaya:-"Aiy Adi ! Is But (Yani Saleeb) Ko Phenk Do"

Aur Maine Suna Aap (Sws) Surah Taoba Ki Ye Ayat Padh Rahe They

"Unhone Apne Ulema Aur Darweshon Ko Allah Ke Siwa Apna Rabb Bana Liya"

Tab Hz Adi (Ra) Ne Arz Kiya Ke

"Aiy Allah Ke Rasool (Sws) ! (Yahood Wa Nasara Apne Ulema Ki Ibadat Toh Nahin Karte They)"

Toh Aapne Farmaya:-"Yaqeenan Wah Unki Ibaadat Nahin Karte They, Lekin Jab (Unke) Ulema Kisi Cheez Ko Halal Kahte Toh Wah Bhi Use Halal Samjhte Aur Jab Ulema Kisi Cheez Ko Haram Kahte Toh Wah Bhi Use Haram Samjhte (Allah Ke Siwa Ulema Ko Rabb Banaane Ka Yahi Matlb Hai Kyonki Halal Wa Haram Ka Ikhtiyaar Sirf Allah Taala Ko Hai Aur Jab Ye Akhtiyaar Kisi Aur Ko De Diya Jaye Toh Ye Use Rabb Banaane Ki Hi Mutraadaf Hai)

(Sahih Tirmizi 3095, Kitab Tafseer Ul Quraan, Bab Man Suratul Tauba)

3- ALLAH TALA NE TAMAM HARAM ASHYA KI TAFSEEL BAYAAN FARMA DI HAI

Allah Taala Ka Irshaad Hai

"Aur Allah Ne Tum Par Jo Haram Kiya Hai Uski Tafseel Tumhare Liye Bayaan Kar Di Hai"

(Surah Anaam Ayat 119)

Sheikh Ul Islam Imam Ibn Taimiyyah (Rh) Is Ayat Ke Zamar Me Farmate Hain Ke

"Yahan Muraad Tabbiyeen Aur Tauzee Hai"

Yani Allah Tala Ne Tamam Haram Ashya Ki Wazahat Farma Di Hai Lihaaza Jis Cheez Ki Hurmat Ki Wazaahat (Kitab Wa Sunnat Me) Maujood Nahin Wah Haram Nahin Wah Halal Hai Kyonki Ashya 2 Tarah Ki Hi Hain "Haram Aur Halal"

(Majmua Al Fatawa 21/536)

4- JIN ASHYA KI HILLAT WA HURMAT KI WAZAAHAT NAHIN WAH BHI MUBAAH HAIN:

Farmaan E Nabawi Hai

"Jise Allah Tala Ne Apni Kitab Me Halal Qaraar Diya Hai Wah Halal Hai, Aur Jise Haram Qaraar Diya Hai Wah Haram Hai, Aur Jiske Mutaalliq Khamoshi Akhtiyaar Farmaayi Hai Wah Dar'ghuzar (Ki Hui Ashya Me Se Hai) Pas Tum Allah Ki Dar'ghuzar (Ki Hui) Cheezon Ko Qubool Kari,

Fir Aap (Sws) ne Ye Aayat Tilaawat Farmaayi

"Aur Tera Rabb Bhoola Hua Nahin"

(Sahih Silsila Us Sahiha 2256, Ibn Majah 3366, Tirmizi 1726)

5- NEK NIYAT HARAM KO HALAL NAHIN BANAATI:

Maslan Agar Koi Shakhs Masjid Ki Taameer Ki Niyat Se Rishwat Le Ya Jua Khele Toh Ye Kaam Halal Nahin Honge, Balke Haram Rahenge, Kyonki Allah Taala Paak Hai Aur Paakeeza Cheezein Qubool Farmaata Hai

(Muslim 1015 Kitab Us Zakaat, Tirmizi 2989 Kitab Tafseer Ul Quraan, Ahmad 7356)

6- KISI QISM KE HEELE SE BHI HARAM HALAL NAHIN BANTA:

Jaisa Ki Yahood Par Murdaar Ki Charbi Haram Thi Magar Unhone Use Pighla Kar Oil Banaya Aur Fir Use Bechkar Qeemat Kha Li Aur Yun Haram Charbi Ko Halal Banaane Ka Heela (Bahana) Kiya,

Islam Ne Is Heele Ko Qubool Nahin Kiya Aur Nabi (Sws) Ne Unke Haq Me Bad'dua Farmayi Ke

"Allah Tala Yahood Ko Gharat Kare, Yaqeenan Allah Taala Ne Unpar Murdaar Ki Charbi Ko Bhi Haram Kiya Tha (Lekin) Unhone Use Pighlaaya Fir Use Farokht Kiya Aur Uski Qeemat Kha Gaye"

(Bukhari 2236 Kitab Ul Buyu, Muslim 1581, Abu Dawood 3476)

Isi Tarah Agar Koi Rishwat Ka Naam Tohfa Aur Sood Ka Naam Munaafa Rakh Kar Heela Kare Toh Haram Halal Nahin Hoga ; Jaisa Ke Aaj Koshish Ki Ja Rahi Hai,

Nabi (Sws) Ne Uske Mutalliq Pahle Hi Pesh'goi Farma di Thi Log Haram Ashya Ka Naam Badal Kar Unhe Halal Banaane Ki Koshish Karenge, Lekin Dar'haqeeqat Haram Ki Honge

Chunanche Farman E Nabawi Hai

"Meri Ummat Ka Ek Giroh Zaroor Sharaab (Wine) Ka Naam Badal Kar Use Halal Bana Lega"

(Silsila Us Sahiha 90, Sahih Jame Sagheer 5453, Abu Dawood 3688)

7- HARAM KA ZARIYA BANNE WAALI

HAR CHEEZ HARAM HAI:

kyonki Sharai Nusoos Ko Saamne Rakhte Hue Ahle Ilm Ne Ye Qaayeda Muqarrar Kiya Hai Ke


"Wasail Wa Zaraaye Ka Wahi Huqm Hai Jo Maqaasid Ka Hai (Yani Agar Maqsad Haram Hai Toh Us Tak Pahunchne Wale Har Zariye Ka Huqm Bhi Haram Ka Hi Hoga)"

(Tafseer Ilm Ul Fiqah Az AbdullaH Ibn Yousuf Page 2/58)

8-HARAM SAB PAR SAB JAGAH HARAM HAI:

Yani Jab Koi Cheez Shara'an Haram Saabit Ho Jaaye Phir Ameer Ghareeb, Arabi Ajami, Aaqa Ghulaam Aur Gore Wa Kaale Ki Tafreeq Ke Be'ghair Sab Par Wah Cheez Ek Jaisi Hi Haraam Hogi,

Isi Tarah Haram Cheez Haram Ki Rahegi Khwah Koi Shakhs Balad E Islaamiya Me Ho Ya Balad E Kufr Me,

Islam Ne Haram Halal Ke Baare Me Adal Ko Malhooz Rakha Hai,

Iski Ek Misaal Wah Riwaayat Hai Jisme Ye Farmaan E Nabawi Mazkoor Hai Ke

"Agar Fatima Binte Muhammad (Sws) Bhi Chori Karti Toh Main Uske Haath Kaat Deta"

(Bukhari 4304 Kitab Ul Magazi, Abu Dawood 4373, Ibn Majah 2547, Tirmizi 1430 )

9- MAJBOORI ME HARAM HALAL HO JAATA HAI:

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Allah Tala Ne Un Ashya Ki Tafseel tumhe Bata Di Hai Jinhe Tum Par Haram Kiya Hai Magar Wah Bhi Jab Tumhe Shakht Zaroorat Padh Jaaye Toh Halal Hai"

(Surah Anam Ayat 119)

Aur Ek Maroof Qaayeda Bhi Isi Buniyaad Par Banaya Gaya Hai Ki

"Zarooratein Haram Ashya Ko Halal Bana Deti Hain"

(Usool Fiqh Al Manhajj Ahle Hadith Page 134)

10- MAJBOORI ME UTNA HI HARAM HALAL HOTA HAI JITNE SE MAJBOORI KHATAM HO JAAYE:

allah Tala Ka Irshaad Hai

"Fir Jo Majboor Ho Jaayen Aur Wah Hadh Se Badhne Waala Aur Zyadati Karne Wala Na Ho Toh Uspar (Haram Ashya) Ke Khaane Me Koi Gunaah Nahin"

(Surah Baqarah 173)

Is Ayat Kareema Me Maujood Lafz "Wala Aad" Zyadati Karne Wala Na Ho,

Ke Mutaalliq Ahle Ilm Ka Kahna Hai Ke Aztaraari Haalat Me Jitni Miqdaar Me Uske Liye Haram Khaana Jayez Hai Us Miqdaar Se Tajawuz Na Kare.

(Tafeer Sa'adi 1/214)

Yani Majboori Me Wah Sirf Utna Hi Haram Khaana Kha Sakta Hai Jitne Se Majboori Khatam Ho Jaaye, Usse Zyada Khana Ba'dastoor Haram Hi Rahega,

Isi Buniyaad Par Ahle Ilm Ne Ye Dastoor Muqarrar Kiya Hai Ke

"Ba'waqt E Zaroorat Utne Haram Par Hi Iktafa Kiya Jaaye Jitne Se Zaroorat Poori Ho Jaaye"

(Ilm Usool Fiqah 3/65)

To Be Continued.....

Monday, August 25, 2014

AURAT AUR TAWAIF ME KYA FARQ HOTA HAI ??






Aam Bholi Bhaali Aurat Aur Tawaif Me Kya Farq Hota Hai ??

Hoti Toh Dono Aurtein Hi Hain,

Phir Kyun Ek Aam Aurat Ek Paakeeza Muhabbat Ke Baad Toot Jaati Hai ??

Aur Kyun Tawaif Ek Ke Baad Ek Taalluq Banaaye Jaati Hai Aur Phir Bhi Khud Ko Tootne Nahin Deti ??

Aurat Ki Taaqat Uske Jazbaat Me Hoti Hai, Tawaif Jism Toh De Deti Hai Magar Kabhi Bhi Apne Jazbaat Tak Kisi Bhi Mard Ko Pahuchne Nahin Deti,

Jabke Aam Aurat Jab Muhabbat Karti Hai Toh Sabse Pahle Apne Jazbaat Deti Hai, Wah Jism De Ya Na De Magar Uske Aansu, Uski Khushi, Uski Dusri
Aurton Aur Us Insan Ke Doston Se Jalan Aut Duaayen Bhi Usi Insaan Se Mansoob Ho Jati Hai Jisse Wah Muhabbat Karti Hai , Aksar Dekhne Me Aata Hai Ke Log Ek Aurat Ko Kisi Se Baat Karta Dekhkar Faisla Suna Dete Hain Ke Ye Us Aadmi Me Dilchaspi Le Rahi Hai Ya Kabhi  Kisi Se Hamdardi Kar Rahi Hoti Hai, Aur Use Ye Khush'fahmi Ho Jaati Hai ke Use Us Insaan Se Muhabbat Hai


 Magar Uske Jaane Ke Baad Wah Dusre Insaan Ki Muhabbat Sar Par Sajaaye Nazar Aati Hai, TOH log Samjhte Hain Ke Ye Bhi Tawaif Hai, Unhe Ek Taalluq Ke Baad Dusre Taalluq Ka Matlab Ye Hai Ke Usne Pahle Insaan Ko Apne Jazbaat Nahin Diye They Jise Wah Aur Muhabbat Samjh Baithe Wah Uski Dosti Ya Hamdardi Thi, Pahli Baar Bach SaktiHai Magar Dusri Baar Nahin , Aakhir Toot Hi Jaati Hai , Phir Apni Zindagi Me Kabhi Kisi Aur, Insaan Ko Aane Nahin Deti, Na Phir Kisi Par Aitbaar Karti Hai, Na Shadi Ka Naam Leti Hai, Shadi Kar Bhi Le, Phir Bhi Saari Zindagi Zinda Laash Ban Kar Ghuzaar Deti Hai Aur Apne Khaandaan Ko Sambhaal Bhi Nahin Paati, Main Mardon Se Bas Itna Darkhwaast Karna Chaahta Hoon Ke Internet Ki Aksar Ladkiyan Bholi Aurtein Hain Unko Tawaif Samjh Kar Muhabbat Ka Khel Na Khelna, Ye Toot Jaayenge Aur Agar Aurat Toot Jaaye Toh Ek Khaandaan Ek Nasal Toot Jaati Hai, Khuda Ke Yahan Apna Naam Zaalimon Me Na Likhwaana , Aut Meri Ladkion Se Bhi Ghuzaarish Hai Ki Apni Asmat (Izzat) Ki Khud Hifaazat Karen.

 Apni Zindagi Se Pyaar Karen. Be'ghair Nikah Muhabbat Khel Hai Jiski Qadr Koi Nahin Karta Wah Bhi Nahin Jo Aapko Tawaif Samjhkar Aapke Jazbaat Tak Pahuchkar Aapki Andar Ki Aurat Ko Kheench Kar Sarre Bazaar Laana Chaahta Hai ; Bahtar Hai Ke Dostiyan Bhi Chhod Den , Aur Boqat Khud Ko Bachakar Is Jhooti Zindagi Se Bhaag Jaayen.

IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNA- BY IMRAN KHAN SALAFI








Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahm


anirraheem ..

Topic : Faatihah Khalful Imam - Imam ke peeche Surah Al Fathia Padhna.


ALLAH ki taufeeq se hum logo ne koshish ke hai ki asaal books ki scan se Faatihah Khalful Imam ke uper saare dalaail jama kiye jayee.Mere naqis ilm ke mutabiq kese website par iss tarah se dalaail majood nahi hai. Daleel jin books se jama ki gaye hai vo hai : Sahih Al Bukhari , Sahih Al Muslim , Sunan Abu Dawood , Sunan Nisai , Sunan Ibn Majah , Musanaf Ibn Abi Shaibah ,Kitab ul Qirat Bayhaqi and Juzz Al Qirat Al Bukhari.


Surah Al Fathia ki Tareef ALLAH Paak ne Quran e Majeed mei ki,


Allah Rabbul Alameen Farmata hai :


''Aur Humne tumhe 7 Ayate de jo (Namaz me) Dohraye jaate hai aur Quraan Azmat Wala deya''

[15. Al-Hijr--------
-Me Ayat 87]

Nabi (s.a.w) k Farman Sureh Fatiya k Mutalliq :


''Quraan paak ki ek Ayse Surat (Surah) batauga jo Sawab ki lehaze se Sabse Bari (Big) hai , Fer Aap (s.a.w) ne Mera Hanth paker leya Aur Bahar jaane lage , Jab Maine Yaad Dhiyani (Yaad Delaye) Tou Irshad hua k wo Alhamd ki (Sureh Fatiya) Surat hai , Aur Esme 7 Ayate hai , Esko her Rekat me padte hai , En Aya'at ko Sab e Masani kahe jaate hai , Aur yahi Quraan Azim hai jo Mujhe Ata Farmaya gaya .''


[Sahi Bukhari ,hadees no-1621,jild-2,
Tafseer k Bayan]

 



Daleel 1 : Sahih Bukhari - Jisne Surah Al Fathia Na Padhee Uske Namaz nahi huee.


scan -



Daleel 2 : Sahi Muslim Hazrat Abu Hurairah ka fatwa Imam ke peeche qirat na karee uski namaz naqis


Scan-


Daleel 3 : Sunan Abu Dawood Hazrat Abu Hurairah ka fatwa Imam ke peeche qirat na karee uski namaz naqis


Scan -

Daleel 4 : Sunan Abu Dawood Nabi (s.a.w)ka farman Imam ke peeche na padha karoo siwa fathia ke




Daleel 5 : Sunan Nisai - Nabi (S.a.w) ka farman Imam buland awaz se qirat karee Faathia ke ilawa kuch na padhoo




Daleel 6 : Sunan Nisai - Nabi (s.a.w) ka farman Imam buland awaz se qirat karee Faathia ke ilawa kuch na padhoo



Daleel 7 : Kitab-ul-qirat-
Nabi (s.a.w) ka Farman Fathia ke begar namaz nahi hoti Imam ka ghair Imam ki



Daleel 8 : Juzz Al Qirat-Nabi (s.a.w) ka farman fathia ke ilawa kuch na padho




Daleel 9 : Kitab-ul-qirat-
Haz Anas ka Farman Nabi (s.a.w) ne Fathia Dil mei padne ka hukum dia



Daleel 10 : Kitab-ul-qirat-
Haz Anas farmate hai Nabi (s.a.w) humesha Fathia Khalful Imam ka hukum dete thea


**Sahaba aur Khulfa Rasheed Farmaan aur Amaal**


Daleel 11 : Juzz Al Qirat-Haz Umar-Haz Ali-Haz Ubay bin kaab aur degar sahaba-fathia-k
halful-imam-ke-kayal


Daleel 12 :Kitab-ul-qirat
-Haz Umar bin Khataab Fathia khalful Imam ka fatwa dete huee



Daleel 13 : Sunan Abu Dawood Hazrat Ubada ka farman kisi haal mei Surah Fathia chorna nahi




Daleel 14 : Sunan Abu Dawood Hazrat Ubada ka Jahri Namaz mei Surah Fathia Padhna




Daleel 15 : Musanaf abi Shaiba Hazrat Ubadah ka farman Imam ke peeche begar fathia ke namaz nahi hoti




Daleel 16 : Ibn Majah - Amma Ayesha aur Ibn Umar RZ ka Farman Surah Fathia ke begar Namaz nahi hoti



Daleel 17 : Ibn Majah - Haz Abu Hurairah ka Fatwa Fathia Khalful Imam Dil mei padhoo




Daleel 18 : Ibn Majah - Hazrat Jabir Zuhur aur Asr mei Imam ke peeche Fathia padhte thea




Daleel 19 :Juzz Al Qirat-Haz Abdullah bin Amr Bin Aas ka Farman Imam ke peeche Fathia ke ilawa kuch na padhoo



Daleel 20 : Juzz Al Qirat-Amma Ayesha aur Haz Abu Saeed Khudri ka farman begair Fathiaa padhee ruku na karee



Daleel 21 : Juzz Al Qirat-Haz Abu Saeed Khudri ka farman begair Fathiaa padhee ruku na karee




Daleel 22 : Kitab-ul-qirat-
Haz Anas Faathia khalful Imam ka hukum dete thea


Daleel 23 : Kitab-ul-qirat-
Haz Abu Saeed Khudri Fathia khalful Imam ka hukum dete thea


Daleel 24 : Kitab-ul-qirat-
Haz ibn Abbass Farmate thea Imam ke peeche fathia padh


Surah Fathia Saktho Mei Padhe :


Daleel 25 : Juzz Al Qirat-Sa’eed bin Jubayr ka farman salaf sakthoo mei faathiaa padha karte thea.



Daleel 26 : Juzz Al Qirat-Haz Abu Hurairah ka farman sakthoo mei faathiaa padha karoo



 
 

 Daleel 27 : Juzz Al Qirat-Haz Abu Hurairah ka farman Faathia Imam ke saath padhoo aur pahle finish karoo aur saath Ameen kaho



Hazrat Abu Bakra wale Hadeeth par Imam Bukhari ka Tabsera:


Daleel 28 : Juzz Al Qirat-Haz Abu Bakra ki hadeeth aur Imam Bukhari ka uss par rabsera



 
 

 Daleel 29 : Juzz Al Qirat-Haz Abu Hurairah ka farman Rakaah nahi hoti jaab taak Imam ko qimaan mei naa paale


Salaf aur Tabee se chand dalaail:


Daleel 30 : Kitab-ul-qirat-
Haz Hassan Basri ka farman Fathia khalful Imam dil mei padhoo


Daleel 31 : Kitab-ul-qirat-
Imam Auzai ka farman muqtadi Sakte mei Fathiaa khalful Imam Qirat kare



Daleel 32 : Shah Waliullah Muhadith Delvi ka Farmaan saare hadeeth ki tadbeeq yehi ki Imam ke peeche Qirat Saktho mei kare:

Shah Waliullah ka mokif Imam ke peeche Saktho mei fathia padhoo aur sirri namaz mei dheere padhoo


 

Daleel 33 : Deobandi Hazrat itne saare dalaail se majboor hokar kaha :

Deobandi Shaykh ul Hadeeth Safdar khan ne kabool kia ki Haz Ubada Fathia khaliful imam ke qayal thea magar fahm e sahaba inke nasdeeq hujjat nahi





 
 
 
 Akher me ye Dua hai k , Allah paak hak baat kahne Sunne se jayada hume Deen e hak per Chalna or usper Amal karne ki Toufeeq de.. Aameen..
 
 
COVER PAGES
 

 


 


 
 


 
 


 
 


 
 


 
 
 
BY- Imran Khan Salafi