Bismillahirrahmanirraheem
MA'AASHI JEDDO JEHAD KI TARGHEEB:
1- Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya
"Wah ShakhS Jo Lakdi Ka Gattha Apni Peeth Par Laad Kar Laaye Usse Bahtar Hai, Jo Kisi Ke Saamne Haath Phailaaye Chaahe Wah Use Kuch De Ya Na De"
(Bukhari 2074 Kitab Ul Buyu)
2- Hz Zubair Bin Awaam (Ra) Se Riwayat Hai Ki Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya
"Agar Koi Apni Rassiyon Ko Sambhaale Aur Unme Lakdi Baandh Kar Laaye Toh Wah Usse Bahtar Hai Jo Logon Se Mangta Firta Hai"
(Bukhari 2075 Kitab Ul Buyu)
3- Hz Aisha (Ra) Ne Farmaya
"Rasoollullah (Sws) Ke Sahaba Apne Kaam Apne Hi Haathon Se Kiya Karte They Aur ( Zyada Mahnat Wa Mashaqqat Ki Wajah Se) Unke Jism Se (Paseene Ki) Bu Aa Jaati Thi,
Isliye unse Kaha Gaya Ke AGar Tum Ghusl Kar Liya Karo Toh Bahtar Hoga "
(Bukhari 2071, Kitab ul Buyu)
4- Ek Lambi Riwayat Me Hai Ke Ek Ansari Rasoollullah (Sws) Se Maange Aaya Toh Aapne Usse Uska Gharelu (Household) Samaan (Ek Taat Aur Ek Pyala) Mangwa Kar Use 2 Dirham Me Farokht Kiya,
Fir Wah Dirham Use Dekar Kaha
"Jao Ek Dirham Se Khana Khareed Kar Ghar Walon Ko De Do Aur Dusri Se Kulhaadi (Axe) Khareed Kar Mere Paas Le Aao "
Kuch Der Baaf Wah Kulhaadi Le Aya,
Aap (Sws) Ne Apne Haath Se Usme Lakdi Ka Dasta Thonka Aur Ansari Se Kaha
"Jao Isse Lakdiyan Kaato Aur Le Jaakar Bazaar Me Becho Aur 15 Din Tak Main Tujhe (Maanta Hua) Na Dekhun"
Aadmi (Jungal Ki Taraf) Chala Gaya Wah (Roz) Lakdiyan Kaat'ta Aur Le Jaakar (Bazaar) Me Bech Deta
Fir Jab Wah Waapas Aaya Toh Usne 10 Dirham Kama Diye They, Wah Gaya Aur Kuch Dirhamo Se Anaaj Khareed Liya Aur Kuch Se Kapda,
Fir Aap (Sws) Ne (Use Mukhaatib Karke) Farmaya
" Ye Tere Liye Usse Bahtar Hai Ke Tu Roz E Qayamat Aaye Aur Ye Sawaal Teri Peshaani Par Daagh Bana Hua Ho"
(Sahih Lagheerah: Sahih Targheeb 834 Kitab Ul Sadaqaat, Abu Dawood 1641. Ibn Majah 2198
Note: Ibn Hajar (Rh) Ne Aur Imam Tirmizi (Rh) Ne Is Riwayat Ko Hasan Kaha Hai
5- Hz Adam (As) Kheti Ka Kaam, Hz Dawood (As) Lohaar Ka Kaam, Hz Noah (As) Bhad'hai Ka Kaam, Aur Hz Idrees (As) Kapde Seene Ka Kaam Karte They,
Hz Moosa (As) Bakriyan Chaaraya Karte They Aur Hz Muhammad (sws) Tijaarat Pesha They..