Saturday, January 31, 2015

MARD KA BIWI KE DEEN, NAFS AUR IZZAT KE MUTAALLIK GHAIRAT'MAND HONA:




Bismillahirrahmanirraheem

MARD KA BIWI KE DEEN, NAFS AUR IZZAT KE MUTAALLIK GHAIRAT'MAND HONA:


Ek Musalman Ko Ilm Hona Chahiye Ke Ye Shauhar Ki Biwi Ke Saath Muhabbat Ki Nishaani Hai Ke Wah Biwi Ke Mutalliq Ghairat'mand Rahe,

Aur Har Us Nigaah Ya Baat Jo Uske Liye Taqleef Ka Zariya Ho Uski
Hifaazat Kare ,

Ye Musalman Aurat Ka Bhi Haq Banta Hai Ke Wah Kisi Bhi Rishte'dar Ya Ajnabi Mard Ya
Aurat Ko Shauhar Ki Ijaazat Ke Be'ghair Ghar Me Aane Ki Ijaazat Na De,

Shauhar Apne Ghar Ki Conditions Ko Ba'khoobi Jaanta Hai, Kyonki Wah Uska Sar'parast Hota Hai, Ajnabi Ko Toh Shauhar Ki Ijaazat Ke Saath Bhi Daakhil Nahin Hone
Dena Chahiye,

Kyonki Ye Gunaah Aur Khaliq Ki Na'farmani Me Makhlooq Ki Farma'bardari Ke Zamre Me
Aata Hai,

Is Tarah Shauhar Ko Bhi Chahiye Ke Wah Kisi Aise Aadmi Ko Aane Ki Ijaazat Na De Jo Khauff E Khuda Na Rakhta Ho, Kyonke Wah Nazar'bazi Ya Baat Cheet Se Kisi Tarah Bhi Khyanat Kar Sakta Hai, Aur Ghar Me Fitna Paida Kar Sakta Hai,

Rasoollullah Sallalaho Alahi Wasallam Ne Farmaya

"Auraton Ke Paas Aane Se Bacho"

Unhone poocha:- "Aiy Allah Ke Rasool ! Dewar Ke Mutaalliq Ya Huqm Hai ??"

Aapne Farmaya:-"Dewar Toh Maut Hai"

(Sahih Bukhari Hadith No. 4934)

Biwi Akele Ghar Se Bazaaron, Market Etc Me Na Jaaye Kyonke Wahan Mardon Ka Akhtalat Hota Hai,

Hz Ali (Ra) Farmate Hain

"Kya Tumhe Sharm Ni Aati, Tumhe Ghairat Ni Aati ? Tum Apni Biwi Ko Chhod Dete Ho, Wah Mardon Ke Darmiyan Ghoomti Hain !"

Biwi Shauhar Ki Maujoodagi Me Bhi Uske Rishte'daron Aur Doston Ke Saamne Na Aaye, Ho Sakta Hai Unke Dil Me Koi Khabasat Ho Aur Ye Bhi Mumkin Hai Sirf Akhtalaat Ke Saath Wah Apne Bure Iraadon Ko Amali'jama Pahna De,,

Mere Bhaiyyon ! Aapko Ilm Hona Chahiye Ke Aurat Bhi Wahi Chaahti Hai Jo Mard Chaahte Hain, Aur Kabhi Kabhi Halal Se Zyada Haram
Chaaha Jaata Hai,

Isliye Shauhar Ko Lambe Arse Tak Ghayab Ni Rahna Chahiye Ke Kahin
Wah Fitne Me Padkar Koi Na'farmani Kar Baithe,

Hz Umar Bin Khattab (Ra) Ko Jab Unki Beti Ke Zariye Ilm Hua Ke Ek Aurat Zyadah Se Zyadah 4 Maheene Tak Apne Shauhar Se Door Rah Sakti Hai Toh Aap Kisi Fauji Ko 4 Maheene Se Zyadah Late Na Karte,

Yaad Rahe Ye Koi Ghairat Nahin Ke Shauhar Kisi Shak Ke Be'ghair Apni Biwi Ke Mutaallik Bad'ghumani Ka Shikar Rahe Aur Har Waqt Usko Be'khabri Me Ja Lene Ke Mauqa Talaash Karta Rahe, Yah Mazmoom Ghairat Hai,

Nabi E Akram (Sws) Ne Is Kaam Se Mana Kiya Hai Ke Koi Aadmi Raat Ke Waqt Apni Ahal Ko Khai'n Banaane Ya Unki Laghjishen Talaash Karne Ke Liye Unke Paas Jaayen,

Aaj Kuch Mard Aise Bhi Hai Jo Apni Biwion Ko Late Night Gatherings Me Bhej Dete Hain,

Ya Unki Ghair Maujoodagi Me Ghar Par Doston Ko Bula Lete Hain, Fir Ghairat Me Keede Nikaalna Shuru Kar Dete Hain,

Ibn Roomi Ka Kahna Hai

"Auraton Par Bhai Apne Bhai Ko Bhi Ameen Na Samjhe, Koi Mard Auraton Ke Silsile Me Amaanat'dar Nahin, Har Shakhs Chaahe Uski
Koshish Kitni Hi Paak'daman Kyon Na Ho, Wah Nazar Se Bad'diyaanati Zaroor Karega"

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait
#IslamicLeaks

Wednesday, January 28, 2015

FUZOOL. BE'MAQSAD BAHES WA TAQRAAR





•••Fuzool, Be-Maqsad Bahes Wa Takraar•••

Al-Mughira bin Shuba Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah taala ne Fizul Baat karney ko, zyada sawal karney ko aur Maal zaya(fizul kharch) karney ko Napasand (hated) bataya hai.

Sahih Bukhari, Vol 3, 2408

Hikmat Wa Danaai Ye Hai Ke Baat Sonch Samajh Kar Ki Jaye, Fuzool Guftugu Be-Maqsad Bahesh Wa Takraar Koyi Achhi Chiz Nahin Hai,

Chunanchah Riwayat Mein Aaya Hai,

(امسك عليك لسانك.)

"Apni Zuban Par Control Rakho (Yaani Khaamosh Raho)"

(Al-Tirmizi: 2406)
(Silsila Al-Sahiha: 888)

Haalan Ke Yehi Khamoshi Behtar Aur Kaamiyabi Ki Daleel Hai,

"Bilaal Bin Haarish r.a Farmate Hain, Main Ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wa Sallam Ko Farmate Huye Suna:-"Tum Mein Se Koyi Shakhs Allah Taala Ki Raza Wali Koyi Aisi Baat Kah Jata Hai Aur Use Us Ki Azmat Ka Ehsaas Tak Nahin Hota, Jis Ki Wajah Se Allah Taala Qayamat Tak Us Par Raazi Ho Jata Hai,

Isi Tarah Koyi Aadmi Allah Taala Ki Naraazgi Wali Koyi Baat Kah Jata Hai, Aur Use Us Ki Sangeeni Ka Ehsaas Tak Nahin Hota, Magar Is Ek Baat Ki Wajah Se Allah Taala Us Par Qayamat Tak Naraaz Ho Jaata Hai",

(Al-Tirmizi: 2319)

Ye Naraazgi Mahez Ek Baat Ki Wajah Se Hai Ke Ek Baat Aisi Kahi Jo Jahannum Mein Le Jane Ka Sabab Ban Gayi, Ke Jis Ki Wajah Se Allah Taala Us Se Naraaz Ho Gaya, Jis Se Maalum Hua Ke Bolne Mein Intehayi Ehtiyaat Ka Muzahera Karna Chaahiye,
Jahan Zarurat Ho Bola Jaye Lekin Jahan Zarurat Na Ho, Bolne Se Qat'an Gurez Kiya Jaye,

Aur Allah Ke Nek Aur Saaleh Bande Hamesha Bolne Mein Ehtiyaat Se Kaam Lete Hain, Aur Fuzool Bahesh Wa Takraar Mein Apne Waqt Ko Zaya Nahin Karte,

Irshad E Rabbani Hai:- " Aur Jab Behooda Baat Kaan Mein Padti Hai To Is Se Kinara Kar Lete Hain, Aur Kah Dete Hain Ke Hamare Amal Hamare Liye Aur Tumhare Amaal Tumhare Liye Tum Par Salaam Ho Hum Jaahilon Se Ulajhna Nahin Chaahte"

(Surah Al-Qasas: 55)

Is Aayat Par Gour Farmayen Ke Allah Ke Bande Jaahilon Se Fuzool Bahesh Wa Takraar Nahin Karte, Balke Sharifana Andaaz Mein Salaam Kar Ke Chale Jate Hain,

Lihaaza Koshish Karni Chaahiye Ke Fuzool Bahesh Wa Takraar Mein Apna Waqt Zaaya Na Karen,

Haa'n ! Jo ilmee Bahesh Ho Deeni Masaail Ki Tahqeeq Ke Liye Bahesh Wa Takraar Karna, Ye Bahesh Wa Takraar Intehaayi Mubarak Hogi, Jab Ke Bahesh Karne Ka Maqsad Sahih Baat Tak Pahunchna Ho, Is Ke Bar-Khilaaf Bahesh Karne Mein Koyi Fayeda Nahin Hai, Balke Nuqsaan Hi Nuqsaan Hai,
 
 
#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Monday, January 26, 2015

SHAUHAR JAB GHAR AAYE TOH BIWI KO USKI RAZA'JOYI KARNA CHAHIYE:






Bismillahirrahmanirraheem

SHAUHAR JAB GHAR AAYE TOH BIWI KO USKI RAZA'JOYI KARNA CHAHIYE:

Biwi Ki Ye Zimmedari Hai Ke Jab Uska Shauhar Uske Ghar Aaye Toh Uski Khush'nudi Paane Aur Use Dil Ki Gahraiyyon Tak Khush Karne Ke Liye Bhar'poor Koshish Kare,

Lihaaza Saaf Suthari Aur Aaraasta Ho Kar Uska Istaqbal (Welcome) Kare, Kisi Kaam Aur Thakawat Aur Nafrat Ka Izhaar Na Kare, Uska
Samaan Uthaaye, Uske Kapde Change Karne Me Uski Madad Kare Aur Uski Khidmat Me Ghar Me Pahanne Wale Kapde Haazir Kar De, Isse Shauhar Ko Khushi Haasil Hoti Hai,

Isliye Ek Musalman Biwi Ko Apni Jismani Safaayi Se Ghaflat Nahin Karni Chahiye,

Jismani Safaayi ChehrE Ko Raunaq Bakhsti Hai, Shauhar Ko Mahboob Kar Deti Hai, Aur Bimarion, Illaton Se Aurat Ko Mahfooz Rakhti Hai Aur Jism Ko Kaam Karne Ke Liye Taaqat Muhaiyya Karti Hai,

Gandi, Mayli-Kuchaili Aurat Ko Dekhkar Tabiyat Maqdar Ko Jaati hai, Aur Aankhen Aur Kaan Usse Be'zaari Ka Izhaar Karte Hain,

Isliye Jab Aap Apne Shauhar Se Milen Toh Bade Khush'gawaar Mood Aur Acche Tareeqe Se Milen...

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait

Sunday, January 25, 2015

HADEES PAR *SAHIH ya ZAEEF ya MAUZU KA HUKM LAGANA QURAN aur HADEES SE SABIT HAI:

HADEES PAR *SAHIH ya ZAEEF ya MAUZU KA HUKM LAGANA QURAN aur HADEES SE SABIT HAI:

Bismillahir rahmanir raheem:
 


Bade hi afsos ke sath ye bayan karna padh raha hai agar koi gair muslim etraz utata to afsos na hota par khud ko musalman kehnewale muqallideen ye etraz karte hai ke bohat hadees hadees karte ho sabit karo sahih wa zaeef wagaira jo muhaddisheen hukm lagate hai hadees par ye hadees se sabit hai?
 


is sha Allah is jihalat wala sawal ka jawab hadees e sahih ki raushni me dene ki kosish karte hai...

RASOOLULLAH sallallahualaihiwasallam ne farmaya
 

is ILM E HADEES ko har zamane ke *AADIL LOG* hasil karenge jo ise taweelat aur tehrifat se mehfuz rakhenge!

[SHARFASHABULHADEES LIL IMAM KHATEEB BAGDADI, SAFA-34]

IMAAM AHMAD IBN HAMBAL rahimahullah ne is HADEES ko SAHIH karar diya hai!

SHARH:
 

is farman e nabawi sallallahualaihiwasallam me gaur kare apne farmaya is ilm e hadees yani hadees ko ilm karar diya aur farmaya humesha ilm e hadees ko AADIL log hi hasil karenge muhaddisheen baswakat HADEES k RAWIYO ko AADIL bhi kehte hai aur SIQHA bhi kehte hai AADIL k mane hota hai MUTTAQI aur AMANATDAR aur yani is hadees se ye maloom hua ke RAWI sirf ADIL aur SIQHA hona chahiye,

HAZRAT ALI raziallahuan ne farmaya jab mai sunta koi HADEES RASOOLULLAH sallallahualaihiwasallam se to nafa deta mujhe jetna Allah chahta aur jab mujhse IZA HADDASU RAJULU bayan karta koi shaks hadees to mai kasam leta usse jab wo kha leta kasam to *SACHCHA JANTA* mai usko wa HADDASI ABU BAKRIN WA SADAKA aur mujhse bayan kiya Abu bakr Raziallahuan ne aur wo sachche hai...

[JAMI TIRMIZI, KITABUSSALATI BABU MAJA FI SALATI INDATTAUBATI]

ye hadees JAYYAD hai!

SHARH:
 


is hadees se bohat kuch maloom hua pehle to ye jo MUHADDISHEEN kehte hai HADDASNA ya AKHBARNA SAHABA raziallahuan ki SUNNAT hai aur ye bhi ke SAHABA raziallahuan bhi HADEES ke mamle me tahkik karne ke baad jab ye yakin ho jata ke jo hadees bayan kar raha hai yani RAWI SACHCHA hai aur MAUTABAR hai tab hi Hadees KUBOOL karte aur us hi RAWI ki HADEES KUBOOL karte JO SACHCHE hote hai
 

yani MUHADDISHEEN ka ye kehna ke FALA RAWI SUDDOK hai SIQHA hai sabit hua!

Tawoos aur mujahid bayan karte hai basar ibn kab aye HAZRAT ABDULLAH IBN ABBAS raziallahuan ke paas aur HADEES BAYAN karne lage Abdullah ibn abbas ne kaha dubara bayan karo unhone dubara bayan kiya aur farmaya maa adri aarafta hadeesi kullahu wa ankarta haza am ankarta kulli hadeesi wa arafta haza mai nahi janta apne meri sari HADEESO ko SAHIH SAMJHA ya MUNKAR jana ya sab ko MUNKAR SAMJHA ya sabko PEHCHANA?
[SAHIH MUSLIM, MUKADMA, BABUNNAHIYI ANILRIWAYATI]

SHARH:
 


agar aap is hadees par gaur karenge to maloom hoga SAHABA raziallahuan ke daur me jab fitno ne sar uthana suru kiya yani khawarij aur shiya wagaira to usi waja se sahaba hadees dusro se tahkik karne ke baad hi kubool karete aur Basar ibn kab ke is bayan se saaf hua jo unhone ABDULLAH IBN ABBAS ra ke pas kaha apne meri sari hadees ko SAHIH SAMJHA ya MUNKAR samjha yaha arafta ya farafa ye muhaddisheen SAHIH hadees ko kaha karte hai jaisa IMAM BUKHARI kehte hai sa'altu aba asimi bi isnadi kaza kaula FARAFA yani JANTA hu ye SAHIH hai to is hadees se MUHADDISEEN ka HADEES par SAHIH ka HUKM lagana SABIT hua aur jo is hadees me bayan hua WA ANKARTA yani MUNKAR samjha basawakat MUHADDIS ZAEEF HADEES KO MUNKAR bhi kaha karte hai
 


jaise HAZRAT YAHYAH IBN SAYEED rahimahullah bohat bade tabe tabayi hai se ek rawi ke ke bare me sawal kiya gaya to jiska naam muhammad ibn ubaidillah tha to farmaya FA ZA'AFAHU JIDDAN to unhone ZAEEF hai SAKT hai

HAZRAT ABU ISHAQ rahumahullah bayan karte hai ke jab logo ne HAZRAT ALI raziallahuan ke upar jhuti jhuti hadeese bayan karna suru kiya unke baad to unke ASHAB yani sathiyo mese ek khade hue aur kehne lage Allah in logo ko *TABA kare aur NALAT* kare kaise ILM ko barbad kar rahe hai...
 

[SAHIH MUSLIM, MUKADMA, BABUNNAHYI ANIL RIWAYATI...]

SHARH:
 


Is hadees se ye baat sabit hua ke jo MUHADDISHEEN RAWIYO par JIRAH karte hai ke FALA RAWI FASIQ hai ya GAIR SIQHA hai KAZZAB hai to is tarha ki RAWIYO par JIRAH sabit hua
HAZRAT MA'AMAR bayan karte hai maine HAZRAT AYYUB SAKTIYANI rahimahullah jo ke ek bohat bade jalilul qadar TABAYI hai ko nahi dekha kisi par gibat karte lekin Abdulkarim par fakaula kama gaira siqha farmaya wo SIQHA nahi hai!

HAZRAT KATADA rahimahullah se sawal hua Abu dawood ama ke bare me to unhone farmaya kazaba maa samiya minhum yani bara wa zaid

kazzab hai usne nahi suna bara aur zaid ibn arkam raziallahuan se!
 

(SAHIH MUSLIM MUKADMA,]

SHARH:
 


AYYUB SAKTIYANI aur KATADA ye dono bohat bade tabayi hai aur sekdo SAHABA raziallahuan ke shagird hai yani SAHABA raziallahuan ke daur se hi RAWIYO par ZAEEF wa KAZZAB wagaira ka HUKM lagaya jata tha warna ye buzurg kistarha keh sakte hai zahir hai ABDULLAH IBN ABBAS aur ANAS ibn MALIK aur ALI wagaira raziallahuan se hi ye sari JIRAH sikha hai jaisa humne upar sabit kiya!

Bas ye sabit hua SAHIH HADEESO ki RAUSNI me ke jo MUHADDISHEEN jaise IMAAM BUKHARI aur IBN HIBBAN aur TIRMIZI aur AHMAD IBM HAMBAL wagaira rahimahullah ne HADEES PAR *SAHIH ya ZAEEF ya MAUZU wagaira ka HUKM LAGATE HAI AISA KARNA KOI UNKI KHUD SAKHTA IJAD NAHI BALKE SAHABA rizwanullahialaihiajmain SE HI SABIT HAI:
 

ab jahil muqallido ka jhuta aur gumrah kun ikhtilaf batil aur bebunyad sabit hai!
Allah ne ye deen ko MUHAMMAD UR RASOOLULLAH sallallahualaihiwasallam par mukammal kar duya ye DEEN ISLAM QURAN aur HADEES par MUKAMMAL hai!



#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Friday, January 23, 2015

SAJDA SAHU KA BAYAN-




Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Sajda Sahu k Bayan

*Chunache Hazrat Abu Sayeed Khudri r.a se Rewayat hai'Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ne Irshad Farmaya :

''Ager Tum me Se Kisi ko Rekat ki Tada'ad ki Ba'baqt Sak ho jaye k 3 Rekat padhe hai ya 4 Rekat' Tou Sak ko Chod de Aur Yakin per Aitemad kare ' Fer Salam ferne se Pahle 2 Sajda kare,Ager Usne 5 Rekat Namaz padhe the tou Ye Sajde Uske Namaz(ki Rekat) ko Jafat kar dege Aur Ager Usne Mokammal 4 Rekat Namaz padhe the Tou ye Sajde Shaitan k Leye Zillat k Sabab hoge ''

[Muslim jild-1 Safa-211 Kitab Al Masjid Hadees No-571,888, Jamai Tirmizi kitab al salat Hadees No-362,Sunan Nishai kitab Al Saud Hadees No-1221,1222,Sunan Abu Daood kitab Al Salat Hadees No-864,866,868, Sunan Ibn Maza Iqamat Al Salat Hadees No-1194,1200,Motta Imam Malik Hadees No-198,Sunan Dharmi kitab al salat Hadees No-1457]

*Hazrat Abdullah bin bhussain r.a se Rewayat hai Farmate hai :

''Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Ek Martaba Namaz padye Aur (2 Rekat k baad) Qaida me Shuwan Na Baithe Aur Sahaba e karam r.a v Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam k Sath Khare ho gaye' Jab Namaz pad Chuke tou Hum Akhre Qaida me Salam ferne k Intezar karne lage ' Etne me Rasullah Sallah Alaihe Wasallam ne ''Allah hu Akber'' kah ker 2 Sajde keye fer Salam fera''

[Bukhari jild-1 Safa-163 kitab al tahjjud Hadees No-1148,1224,Muslim jild-1 safa-211 kitab al Masjid Hadees No-570 ,885,886,887, Jamai Tirmizi kitab Al Salat Hadees No-356,Sunan Nishai kitab al Tabiq Hadees No-1164,1165,1207,1208 ]

Note- Ye Masla us Waqt pess Ata hai jab Namaz k koi Rukn tark ho jata hai,Maslan Sajda tark ho jana,ya Qaida yaani ''Attahiyat'' me Baithna vool Gaya ho Wagaira.

*Hazrat Abdullah bin Masood r.a se Rewayat hai Farmate hai :

''Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Zohar ki Namaz ''Sohwan'' 5 Rekat padae '

Aap se pucha Gaya : kya Namaz me Jeyadate ho Gaye ?

Rasulllah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya Ku ?

Tou Sahaba e karam r.a ne Arz keya k : Aapne Zohar ki Namaz 5 Rekat padaye hai'

Fer Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Salam k Baad 2 Sajdae keye Aur Farmaya : May v Tumhare Tarah Inshan hu' May v Voolta hu' Jaise Tum loog Voolte ho 'Bas me jab Vool jau Tou Mujhe Yaad Dela Deya karo''

[Bukhari jild-1 Safa-163 kitab al tahjjud Hadees No-358,359,Muslim jild-1 safa-213 kitab Al Masjid Hadees No-572,894,899, Jamai Tirmizi Hadees No-358,359,Sunan Nishai kitab al Saud Hadees No-1223,1224,1225,1226, Sunan Abu Daood Kitab Al Salat Hadees No-860,861,862,Sunan Ibn Maza kitab al Iqamat al Salat Hadees No-1193,1195,1201,1202,Sunan Al Dharmi Kitab Al Salat Hadees No-1460 ]

*Hazrat Imran bin Hussain r.a se Rewayat hai Farmate hai :

''Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ek Martaba Asar ki Namaz 3 Rekat padhe' Fer Aap Huzre me Dakhil hue Fer Ek Sahabe ''Zul ya dain'' yaani ''Khirbaak'' ne Aap k Sahu k Zekat keya'' Fer Aap ne logo se Khirba'ak k Qaol ki Tasdeq Chahe tou Logo ne kaha k Khirba'ak Sach Kah Raha hai '' Uske Baad Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Trk-Suda 1 Rekat Namaz Ada Farmaye'Fer Salam fera'Fer 2 Sajde Sahu keye Gaye Fer Salam Fera''

[Muslim jild-1 Safa-214 kitab Al Masjid Hadees No-574,899,Jamai Tirmizi Kitab Al Salat Hadees No-361,Sunan Nishai kitab Al saud Hadees No-1219,1220,1314,Sunan Abu Daood kitab Al Salat Hadees No-859,875,Sunan Ibn Maza kitab Iqamat al Salat Hadees No-1205,Musnad Ahmed Hadees No-18987,19022,19111 ]

Khulasa : Namaz me Rekat ki Kami ya Zayadti per Pahle Salam fere,Fer Sajda Sahu ,Fer Salam fer ker Namaz se Farig ho jate ,Aur Namaz k koi Rukn Maslan : koi Sajda,Tashud Wagaira Tark ho jaye tou Pahle Sajda Sahu kare ,Fer Salam fer kar Namaz se Farig ho jaye.

Note : Sajda Sahu Salam se pahle ya Baad me karne k Zekar tou Apne Ahadees ki Rousne me Mulaheza Farma leye hai,Leken Serf ek he Salam Fer kar Sajda Sahu karna Aur Fer ''Attaheyat'' Wagaira Pad ker Salam ferna Sunnat Aur Tareka Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam se Sabit Nahi hai.

''Ager Musalli ko kisi Wajah se ye Ahkam yaad Na Rahe ya Wo Ayse vool (Sahu) k Sekar ho gaya hai , jo En Ahadees me Mazkura Nahi hai tou Fer Ese ye jaan lena Chayye k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Salam se Pahle v Sahu k 2 Sajde Keye hai Aur Salam Ferne k Baad v Wo jis Surat per v Amal kar lega Allah Tala use Jarur Qabul kar lega. (Insha Allah Tala)''



#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Wednesday, January 21, 2015

BIWI KO SHAUHAR KE RAAZ (SECRETS) FAASH NI KARNA CHAHIYE:





.Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO SHAUHAR KE RAAZ (SECRETS) FAASH NI KARNA CHAHIYE:

Shauhar Ke SecretS Ko Dusron Ko Bataana Bada Taqleef'deh Hota Hai Aur Ye Haram Bhi Hai,

Isliye Zaroori Hai Ke Biwi Logon Ke
Darmiyaan Shauhar Ki Buraiyyon Ka Tazkirah Na Kare, Aur Na Hi Uske Secrets Dusron Ko Share Kare, Aur Na Uske Chhupe Hue Aibon
Ko Aam Kare, Jinko Wah Jaanti Hai,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Pas Nek Auratein Farma'bardar Hain, Ghair Haziri Me Hifazat Karne Wali Hain, Isliye Ke Allah Ne (Unhe) Mahfooz Rakha, Aur Wah
Auratein Jinki Nafarmani Se Tum Darte Ho, So Unhe Naseehat Karo Aur Bistaron Mese Alag Ho Jao Aur Unhe Maro, Fir Agar Wah Tumhari Farma'bardari Karen Toh Un Par
(Zyadati Ka) Koi Raasta Talaash Na Karo, Beshaq Allah Hamesha Se Bahut Buland, Bahut Bada Hai"

(Surah Nisa Ayat No. 34)

Hadith Me Lazzat'andozi Ke Raazon Se Pardah Uthaane Ki Hurmat Waarid Hui Hai

Hz Abu Saeed Khudri (Ra) Farmate Hain Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Roz E Qayamat Allah Tala Ke Yahan Bad'tareen Martabe Ka Malik Wah Shakhs Hoga Jo Apni Biwi Ke Darmiyan Aur Apne
Darmiyaan Hone Wale Mubashirat
(Humbistari) Ke Maamlaat Se Pardah Uthaata Hai"

(Sahih Muslim Hadith No. 1437)

Hz Asma Bint Yazeed (Ra) Bayan Farmati Hain Ke Wah Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Paas Baithi Hui Thi Aur Kai
Deegar Khwateen Wa Hazraat Bhi Wahan Maujood They Ke Aap Ne Farmaya

"Shayad Aadmi Jo ApnI Biwi Ke Saath Karta Hai Uska Zikr Kare Aur Shayad Aurat Bhi Jo Apne Shauhar Ke Saath Karti Hai Uska Tazkirah Kare,"

Saare Logon Ne Chhup Saadh Li,

Toh Maine (Hz Asma) Ne Kaha:

"Ji Haan , Aiy Allah Ke Rasool ! Auratein Bhi Aisa Karti Hain Aur Mard Bhi"

Toh Aap (Sws) Ne Farmaya

"Aisa Bilkul Na Karo, Ye Toh Us Shaitan Ki Tarah Hai Jo Raaste Me Shaitaan'ni Ko Dekhta Hai Aur Logon Ke Saamne Hi Uske Saath Bad'faili Shuru Kar Deta Hai"

(Musnad Ahmad Hadith No. 27036)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait

Tuesday, January 20, 2015

BIWI KO GHAR KA KHYAAL RAKHNA AUR SHAUHAR KI KHIDMAT KARNI CHAHIYE: (LAST POST)





Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO GHAR KA KHYAAL RAKHNA AUR SHAUHAR KI KHIDMAT KARNI CHAHIYE: (LAST POST)

Biwi Ka Ye Bhi Farz Hai Ke Wah Ghar Ka Mukammal Khyaal Rakhe

Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Aurat Apne Shauhar Ke Ghar Ki Nigran Hai Aur Uski Rai'yat Ki Zimme'dar"

(Sahih Muslim H.no 1829)

Is Tarah Umoor Khana'dari (Domestic Work) Anjaam Dena Bhi Uski Zimmedari Hai,

Lihaaza Biwi Shauhar Ko Naukraani Rakhne Par Majboor Na Kare, Jo Uske Liye Bhi Pareshani Ka Sabab Bane Aur Shauhar Ke Liye Aur Uske Bachhon Ke Liye Bhi Khatre Ki Ghanti,

Shaikh Ul Islam Ibn Taimiyya (Rh) Apne Fatawe Me Farmate Hain

Ye Irshad Khuda'wandi

"Pas Nek Auratein Farma'bardar Hain, Ghair Haziri Me Hifazat Karne Wali Hain, Isliye Allah Tala Ne (unhe) Mahfooz Rakha" (Surah Nisa 34)

Is Baat Ka Takaza Karta Hai Ke Biwi Ke Liye Shuhar Ki Muqammal Ita'at Karna Waajib Hai, Jaise Uski Khidmat Karna, Uske Saath Safar
Karna, Use Apne Uper Muqammal Akhtiyar Dena Wagerah, Jis Tarah Sunnat se Sabit Hai"

(Majmua Fatawa 32/260)

Allama Ibn Qayyim (Rh) Zaad Ul Maad Me Likhte Hain Ke

"Jisne Shauhar Ki Khidmat Ko Waajib Kaha Hai Usne Is Baat Se Daleel Li Hai Ke Unke Yahan Maroof Hai Jinko Allah Tala Ne
Mukhaatib Kiya Hai,

Lekin Biwi Ka Bane Thane Rahna Aur Shauhar Ka Uski Khidmat Karna, Apna Khana Pakaana, Aata Goondhna, Apne Kapde Dhona, Apna Bistar Bichana Aur Gharelu
Kaam Sar'anjaam Dena Ye Sab Munkir Hai,

Jabke Allah Tala Farmate Hain

Wala Hunna Mislul'lazi Alaihinna Bil'maroof (Surah Baqarah 228)

Aur Dusri Jagah Irshad Hai

Ar'rijaalu Qawwa'moona Alal Nisa'ee (Surah Nisa 34),

Jab Auratein Khidmat Na Karen, Balke Mard Khidmat Karen Toh Us Waqt Aurat Us Par Sar'barah Ban Kar Sawaar Ho Jaayegi"

Fir Farmaya

"Allah Tala Ne Shauhar Par Biwi Se
Lutf'andoz Hone Aur Unki Khidmaat Se Mustafeed Hone Ke Muqable Me Jo Amuman Biwiyan Mu'ashre Me Sar'anjam Deti Hain,

Biwi Ke Khaane Peene Pahenne Aur Rahne Sahne Ka Bando'bast Karne Ki Zimmedari Lagaayi Hai"

Aage Chalkar Imam Sahab Farmate Hain

"Is Silsile Me Maaldaar Aur Na'daar Ke Darmiyaan Koi Farq Nahin Rakha Jaata, Ye Tamam Auraton Se Aala Hz Fatima (Ra) Apne
Shauhar Ki Khidmat Kiya Karti Thin,

Ek Din Ye Huzoor Ke Paas Aayin Aur Khidmat Ki Shikayat Karne Lagin, lekin Aap (Sws) Ne Unki Is Silsile Me Shikayat Nahin Suni"

(Zaad Ul Maad 5/188)

#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks
#RabbatUlBait

Monday, January 19, 2015

BAHENO KE LIYE NASEEHAT






Kuch Naseehatein- Bhaiyyon Aur Baheno Ke Liye,

Kuch Ladkiyan Dawat E Tableegh Ke Liye Apne Account Me Ajnabi Ladkon Ko Add Kar Leti Hai, Aisa Karna Fitne Se Khaali Nahin Hai, Shaitan Har Waqt Ek Ke Saath Laga Hua Hai,


Aur Jo Raasta Buraayi Ki Taraf Le Kar Jaaye Us Raaste Ki Taraf Jaana Haram Hai,

Kisi Bhi Musalman Bahen Ko Shaitan Ke Phande Me Nahin Aana Chahiye Ke Wo Dawat O Tableegh Ke Liye Kisi Ajnabi Ladke Ko Add Kare,

Agar Meri Bahene Haqeeqatan Dawat O Tableegh Ki Hirs Rakhti Hain Toh Aapke Liye Dawat O Tableegh Ke Liye Laakhon Ladkiyan Maujood Hain Jo Dawat Ki Mohtaj Hain, Aap Unhe Add Karke Unhe Faayeda Pahunchaaye,

Aap Baheno Se Meri Ghuzaarish Hai Ke Apni Khair Khwaahi Karte Hue Saare Shak O Shubuhaat Ko Chhodkar Apne Liye Fitne Wa Fasaad Ke Saare Darwaaze Band Karen, Aur Apne Account Me Kisi Bhi Ajnabi Mard Ko Add Na Karen, Agar Apke Account Me Ajnabi Mard Hain Toh Unhe Delete Kar Den, Kyonki Aisa Karna Hi Aapke Liye Aur Apke Bhaiyyon Ke Liye Pakeezagi Ka Bai's Hai,

Kuch Ladke Aise Hain Jab Unhe Add Na Kiya Jaaye Toh Wah Apna Naam Badal Ke Kisi Bhi Ladki Ke Naam Se Apna Account Bana Lete Hain Aur Jo Bahene Ladkon Ko Add Nahin Karna Chahti Unhe Dhoka Dekar Ladki Ban Kar Unse Dosti Kar Lete Hain,

Jabke Aisa Karte HuE Wah Bhai Yah Nahin Sochta Ke Wah Khud Ko Kis Museebat Me Daal Rahen Hain,

Wah Jhoot Bolkar Khud Ko Ladki Zaahir Karke 3 Bade Bade Gunaah Karte Hain,

1- Jhoot Bolte Hain Aur Allah Tala Ki Laanat Ka Mustahiq Thaherte Hain,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Jhoote Par Allah Tala Ki Laanat Hai"

2- Wah Dusre Ko Ladki Zaahir Karke Dusron Ko Dhoka Dete Hain, Aur Dhoka Dene Waalon Ke Liye Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya

"Jisne Dhoka Diya Wah Ham Mese Nahin"

(Sahih Muslim Hadith No 101)

3- Wah Apni Jins (Sex) Badal Kar Pyare Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Laanat Ke Mustahiq Thaherte Hain Kyonke

"Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Mardon Mese Aurat Banne Wale Mardon Aur Auraton Mese Mard Banne Ki Koshish Karne Waali Auraton Par Laanat Farmayi Hai"

(Sahih Bukhari Hadith No. 5885)

Kuch Waqt Ke Maze Ke Liye Apne Rabb Ko Naraaz Mat Karen,

Apne Dilon Me Allah Ka Darr Paida Karen, Aksar Dekha Gaya Hai Ki Jab Kuch Log Accha Kaam Karen Toh Logon Me Failna Shuru Kar Dete Hain Ke Maine Falan Neki Ka Kaam Kiya

Maslan Kuch Log Agar Eidain Ya Jumah Ki Namaz Ada Karne Ke Liye Jaane Lage Toh Jaane Se Pahle Facebook Par Apna Status Laga Jaate Hain Ke

"Alhamdullillah Main Namaz Ke Liye Ja Raha/Rahi Hoon"

Ya Qur'an Padhen Toh Status Laga Diya Jata Hai Ke

"Maine Itne Paare Ya Falan Surah Padh Li Hai"

Aisa Karne Walon Ko Is Baat Se Darrna Chahiye Ke Kahin Unke Neki Ka Ye Amal Kahin Aakhirat Me Kuch Faayeda Na De Sake.,

Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Jo Shakhs Dikhaawe Ke Liye Koi Amal Karta Hai Toh Allah Tala Use Qayamat Waale Din Ruswa Kar Dega Aur Jo Koi Nek Amal Logon Ki Nazaron Me Bada Banne Ke Liye Karta Hai Toh Allah Tala Uske Chhupe Aibon Ko Logon Ke Saamne Zaahir Kar Dega"

(Bukhari Wa Muslim)

Isliye Jo Bhi Neki Karen Khalis Allah Ki Raza Ke Liye Karen Taake Allah Tala Duniya Aur Aakhirat Me Accha Badla De Sake...

Allah Tala Hamen Haq Baat Qubool Karne Aur Us Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaaye...... Aaameeen

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks

Sunday, January 18, 2015

BIWI KO SHAUHAR KE MAAL KI HIFAAZAT KARNI CHAHIYE:





.Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO SHAUHAR KE MAAL KI HIFAAZAT KARNI CHAHIYE:

Biwi Ke Liye Jayez Nahin Ke Wah Apne Ghar'walon Ya Nisi Nadaar Ko Apne Shauhar Ke Maal Se Ya Samaan Se Uski Ijaazat Ke Be'ghair Koi Cheez De, Ya Use Ilm Ho Ke
Shauhar Ko Jab Ilm Hoga Toh Wah Kuch Nahin Kahega Aur Raazi Rahega

Hz Abdullah Bin Umar (Ra) se Marwi Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Kisi Biwi Ke Liye Apne Shauhar Ki Ijaazat Ke Be'ghair Kuch Dena Jayez Nahin"

(Sunan Abi Dawood H.No 3547)

Sheikh Albani (Rh) Ahadith Sahiha Me Hz Waasila Ki Is Hadith

Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Kisi Aurat Ke Liye Jayez Nahin Ke Wah ApnE Shauhar Ki Ijaazat Ke Be'ghair Uska Maal Kharch Kare"

Par Tabsirah Karte Hue Farmate Hain

"Shauhar Agar Saccha Musalman Ho Toh Uska Ye Haq Nahin Banta Ke Is Huqm Se Faayeda Uthaate Hue Apni Biwi Ko Majboor Kare Aur Use Apne Maal Me Is Tarah Tasarruf Karne Se mana Kar De Jo Biwi Ke Liye Nuksaan'rasan Ho, Agar Shauhar Us Par Zulm Kare Aur Apne Maal Me Jayez Tasarruf Se Mana Kare Toh Fir Judge Insaaf Kare"

(Silsila Tus Sahiha Hadith No. 775)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait

Saturday, January 17, 2015

BIWI KO SHAUHAR KE GHAR'WALON KI IZZAT KARNA AUR UNKE SAATH ACCHA SULOOK KARNA CHAHIYE:





Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KO SHAUHAR KE GHAR'WALON KI IZZAT KARNA AUR UNKE SAATH ACCHA SULOOK KARNA CHAHIYE:

Biwi Ka Farz Hai Ke Wah Shauhar Ke Waalidain Ke Saath Accha Sulook Kare Aur Allah Tala Ki Raza'mandi Ko Apni Raza'mandi Aur Apne Shauhar Ki Khushi Ko Apni Khushi Par Tarjeeh De,

Agar Wah Shauhar Ke Waalidain Ke Saath Budhaape Ki Bina Par Aur Unka Shukriya Ada Karte Hue Unki Izzat Kare Ke Allah Tala Ne Unke Bete Ko Uska Shauhar Banaakar Aijaaz Bakhsha Hai,

Baaz Log Saas Aur Bahu Ke Jhagde Ko Zaroori Khayaal Karte Hain Lekin Ye Mughaalta'aarai Se Badh Kar Kuch Bhi Nahin,

Khandaan Me Baaz Akhtalafaat Ka Ho Jaana, Do Jazbon, Chhote Bade Aur Jald'bazi Aur Tahammul Mijaazi Ke Darmiyaan Ek Fitri Cheez Hai,

Lekin Agar Khaandaan Ke Afraad Islami Aadaab Se Aaraasta Hon Aur Har Fard Apne Haq Aur Farz Ko Acchi Tarah Jaanta Ho Toh Amuman Zindagi Khush Aur Khurram Ghuzar Jaati Hai

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait

Friday, January 16, 2015

QURAN PAAK KI HISTORY- PART -9

Bismillahirrahmanirraheem


QURAN PAAK KI HISTORY- PART -9



Ahad Nabwi Sallahu Alaihe Wasallam se he Hifazat Quraan k Ek Aham Zareya Raha hai,Guzista 1400 Sadio k Douran me Kitabat Quraan ke Artaqai Marahaal per Ek Nazar Dale jaye tou ye Dekh ker Aqal Dang Rah Jate hai k Her Jamane k logo Me Allah Subahan o Tala Ne Quraan Majeed ko Khob se Khob Tar Andaz me Kitabat Karne k Kitna Jaber-10 jok-o-Sok Paida Farma Deya tha ,Sadio k Artaqai Marahaal Tai karne k Baad Aaj Humare Samne Mukammal Ara'ab Aur Ramoz Awqa'af k Sath Intehaye Khobsurat Aur Asaan Tarz Kitabat Me Ek Aysa Moshaf Mouzud hai , jise Sare Dunya me Bari-Asaani se Padaya jata hai, Darasal ye Sare Mansuba BANDI hai Allah Subhan o Tala ki Hikmat balga Aur Qudrat Kamala ki , Jiske Tahat Allah Subhan o Tala Ne Quraan Majeed ko Mahfooz Rakhne k Wada Farma Rakha hai.
 


TaHadees Nemat k Tour per Es Hakikat k Izhar Mere leye Ba-As Musarrat hai k ''Qilane Khandan'' ko v Allah Subhan o Tala Ne Kitabat Quraan ki Sahadat se Farwa Hissa Ata Farmaya hai Jiske Ibteda Mohtaram Walid Hafiz Mohammad Idres Qilani r.al k Par Dada Moulwi Mohammad Baks r.al (Wafat 1861) se Hue, Moulwi Mohammad Baks r.al k Beta Moulwi Imam Al Din Qilani r.al (Wafat 1919), Unke Pote Moulwi Noor ilahe Qilani r.al (Wafat 1943) Fer Unke Per-Pote Hafiz Mohammad Idres Qilani r.al (Wafat 1992) k Elawa Qilani Khandan k Baaz Dusre Khus Naseeb katiban ko v Allah Subhan o Tala Ne Es Sahadat se Nawaza jinke Kitabat Sah Quraan paak ki Tafseel Darz zel hai :

1-Moulwi Mohammad Baks Qilani r.al
2-Moulwi Imam Al Din Qilani r.al
3-Moulwi Mohammad Din Qilani r.al
4-Moulwi Noor Ilahe Qilani r.al
5-Mohammad Suleman Qilani r.al
6-Hafiz Mohammad Idres Qilani r.al
7-Abdul Rahman Qilani r.al
8-Abdul Gafur Qilani r.al
9-Abdul Gaffar Qilani r.al
10-Mohammad Yusuf Qilani r.al
11-Kurshid Ahmed Qilani r.al
12-Riyaz Amed Qilani
13-Mohammad Yakub Qilani
14-Inayatullah Qilani
15-Abdulrauf Qilani
16-Khalilrahman Qilani
17-Mohammad Sayed Qilani
18-Abdulwahid Qilani
19Abdul waqil Qilani
20-Abdulmaid Qilani
21-Abdulmogais Qilani



Kitabat Quraan Bila Muballig Bahut Bari Sahadat the,Qilani Khandan me Eske khair o Barkat k Asaar Alhamdulillah Aaj v Mouzud hai leken Afsos k Computer ki Ezaad ne Qilani Khandan Samet Tamam Kitaban Quraan ko Es Sahadat se Mahrum Kar deya hak Agerche Baaz Qadim Nasren Fani Mohasin ki wajah se Aaj v Hanth ki kitabat ko Computer per Tarzeh Dete hai leken Enke Tadaad Na hone k Barabar hai Ta hum Quraan Majeed ki Tabaat Aur Asaat Alhamdulillah Rozafaroz hai Aur TaQayamat Jare wa Sari Rahege. InshaAllah

Ab dekhte Tarek k Aina me kis Qadar Nehayat he Khubsurti Aur Fekar k sath Awaam un Nash k Samne Quraan Majeed ki Kitabat ki gaye.

Pahle Sadi Hizri, Sahadat Se Pahle Hazrat Usman Gani r.a jis Quraan Majeed se Telawat Farma Rahe the,Uska Pic.




6th Sadi Hizre Me Quraan Majeed ki Kitab k Ek Namuna.



13wi Sadi (Moulwi Imam Al din Qilani r.al ) k Hanth se Kitabat Suda Quraan Majeed k Ek Namuna. 





14wi Sadi (Moulwi Noor ilahe r.al) k Hantho k lekha hua Quraan Majeed k Ek Namuna.  



Hafiz Mohammad Idres Qilani r.al k Hanth se lekhe Tafseer k sath ki Ek Surat k Namuna.  





Usman Ta k Hanth k kitabat Suda Intehaye Kubsurati k sath lekhe hue ek page k Namuna,jo ''Fahad Iqadmi Madina Mawera'' se Chapi hue.




1-Ese Tarah Quraan Majeed k Ek Namuna Saudi Arab k logo k pass.









 







#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks