Tuesday, January 13, 2015

QUR'AN KAREEM KI HISTORY- PART- 8

Bismillahirrahmanirraheem

QUR'AN KAREEM KI HISTORY- PART- 8


Asali Qur'an Kiske Paas Hai ??

Ab Sawaal Ye Paida Hota Hai Ke Agar Maujooda Qur'an Majeed Naaqis Aur Na'muqammal Hai Toh Aakhir Allah Tala Ki Taraf Se Naazil Kardah Asali Aur Muqammal Qur'an Jise Hz Ali (Ra) Ne Mudawwin Kiya Wah Kahan Hai ??

Iska Jawab Dete Hue Shia Aalim Kulaini Apni Kitab Me Likhta Hai

Saalim Bin Salma Se Riwayat hai Ke Ek Aadmi Ne Imam Jaafar Saadiq As Ki Maujoodagi Me Kuch Aisi Aayaat Tilaawat Ki Jo Maujoodah Qur'an Me Na Thin Toh Aap Farmaane Lage

"Jis Tarah Aam Log Qur'an Padhte Hain, Tum Bhi Usi Tarah Padha Karo Jab Tak Qatiqah Qaim (Yani Ghaar Me Chhupe Hue 12we Afsaanwi Imam) Zaahir Ho Jaayen, Jab Unka Zuhoor Hoga Toh Wah Ali (As) Ka Likha Hua Qur'an Nikalenge"

Fir Farmaya

"Ali (as) Jab Apne Qur'an Ki Tadween Se Farigh Hue Toh Wah Abu Bakr Wa Umar wagerah ke Paas Aaye Aur Farmaya

" Ye Allah Ki Kitab Hai Apni Asal Shakal Me Jis Tarah Allah Tala Ne Hz Muhammad (Sws) Par Naazil Farmaayi, Maine Ise Takhtion Se Nakal Karke Mudawwin Kiya Hai"

Ali (as) Ki Ye Baat Sunkar Abu Bakr Aur Umar Wa Unke Saathi Kahne Lage

"Hamare Paas Apna Qur'an maujood Hai, Hamen Tumhare Qur'an Ki Zaroorat Nahin"

Jis Par Ali (As) Ne Farmaya

"Tum Aaj Ke Baad Is Qur'an Ko Na Dekh Sakoge, Meri Faqat Apni Zimmedari Thi Ke Tumhe Aakar Khabar Dun Ke Maine Muqammal Qur'an Jama Kar Liya Hai"

(Usool E Kafi 2/633 Matbua Iran)

Isi Bina Par Shia Qaum Ka Ye Aqeeda Hai Ke Asali Qur'an Uske Imam Ke Paas Maujood Hai Jo Ghaar Me Chhup Gaya Tha Aur Abhi Tak Wahin Chhupa Hua Hai,

Chunanche Mashoor Shia Musannif Ahmad Bin Abi Talib Tabrisi Matoofi 588 Hijri Apni Kitab "Al Ehtejaj Ali Ahlal Hijaj" Ke Jis Ke Mutaallik Musannif Kitab Ke Muqaddame Me Likhta Hai

"Ham Apni Is Tasneef Me Sirf Hadith Ke Matan Par Hi Iktefa Karenge Aur Sanad Bayan Nahin Karenge, Kyonke Is Tasneef Me Maujood Tamam Riwaayat Bila Ittefaaq Sahih Aqal Ke Mutaabil Ya Mukhalifeen Wa Mawafiqeen Ke Yahan Mashoor Wa MutaddiD Awwal Hain "

(Al Ehtejaj Lil Tabrisi, Muqaddama)

Apni Is Kitab Me Tabrisi Zikr Karta Hai

"Jab Imam Mahdi Zahir Honge Unke Paas Rasoollullah (Sws) Ka Aslaha Aur Aap (Sws) Ki Talwaar Zulfiqaar Hogi (Malum Nahin Unke Imam Mahdi Missiles Aur Bamon Ke Daur Me Is Aslahe Se Kya Kaam Lenge ??), Aur Unke Paas Ek Register Hoga Jinme Qayamat Tak Ke Shion Ke Naam Darj Honge"

Isi Tarah Imam Mahdi Ke paas "Al Jame" Bhi Hoga Jo Ke Ek Register Hai Jiski Lambaai 70 Haanth Hai Usme Insaani Zaroorat Ki Har Cheez Ka Zikr Hai,

Nez Unke Paas "Zafarul Akbar" Bhi Hoga, Jo Ke Chamde Ka Ek Bartan Hai Jisme Tamam Uloom Bhare Hue Hain, Hatta Ke Kharaash Ki Diyat Aur Taaziyano Ka Bhi Usme Zikr Maujood Hai,

Nez Unke Paas Muskhaf Fatima Yani Hz Fatima (As) Wala Qur'an Bhi Hoga"

(Al Ehtejaj Lil Tabrisi Page 223 Matbua Iran 1302 Hijri)

Al Kafi Me Kulaini Bayan Karta Hai

Kisi Ne Imam Abul Hasan (As) Shia Ke 8we Imam Se Daryaaft Kiya Ke Ham Aisi Ayaat Sunte Hain Jo Jo Un Ayaat Ki Tarah Nahin Hoti Jo Hamare Paas Hain Aur Aapke Waaste Se Pahunchi Hain, Toh Kya Ham Un (Yani Muhrif Ayat) Ki Tilaawat Se Gunahgaar Toh Nahin Honge ??

Imam (As) Ne Farmaya

"Nahin Tum Un Ayaat Ko Usi Tarah Padho (Jis Tarah Aam Log padhte Hain) Tumhe Sikhaane Waala Ankareeb Aayega"

(Usool E Kafi 2/619 Matbua Tehran)....

Algharz Ham Inhi Dalail Par Iktefa Karte Hain, In Dalail Ki Roshni Me Ye Toh Saabit Hota Hai Ki Shiaon Ka Asali Qur'an Is Waqt Zameen Par Maujood Nahin Balke Wah Uske imam Ke Paas Hai Jo Iraq Me Maujood Ek Ghaar Me Chhupa Hua Hai,

Aur Shia Aqeede Ke Mutaabik Na Sirf Musalman Ahle Sunnat Balke Khud Shia Bhi Muqammal Qur'an Majeed Se Mahroom Hain,

Shian Ke Is Baatil Aqeede Ki Tardeed Ke Liye Ham Zel Me Qur'ani Aayaat Naqal Karte Hain,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Qur'an Majeed Ek Aisi Kitab Hai Jisme Shaq O Shubah Ki Kkoi Gunjaish Nahin"

(Surah Baqarah Ayat 1)

"Qur'an Majeed par Baatil Asar'andaz Nahin Ho Sakta, Na Uske Saamne Se Na Peeche Se Ye Us Zaat Ki Taraf Se Naazil Kardah Hai Jo Sahab E Hikmat Aur Qabil E Taareef Hai"

(Surah Haa MeeM Sajdah Ayat 42)

"Qur'an Paak Ko Naazil Bhi Hamne Kiya Hai Aur Uski Hifazat Bhi Hamare Zimme Hai"

(Surah Hujrat Ayat No. 9)

"Qur'an Majeed Ko Jama Krna Aur Uski Qir'at Ka Istehqam Karna Hamari Zimmedari Hai"

(Surah Qiyama Ayat 17)

"Qur'an Majeed Ki Ayat Ko Muhkam (Yani Mazboot Aur Waazeh) Kiya Gaya Fir Uski Allah Ki Taraf Se Tafseel Ki Gayi Jo Ke Hakeem Wa Khabeer Hai"

(Surah Hud Ayat 1)

"Wah (Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam) Ghaib (Yani Wahi) Ki Tableegh Me Bukhl Se Kaam Lene Waale Nahin Hain"

(Surah Takweer Ayat 24)


 Baaz Shia Ulema Ka Aqeedah Hai Ke Qur'an Majeed Ke Kuch Hisse Ka Ilm Sirf Hz Ali (Ra) Hi Ko Tha,

Kyonki Baaz Auqaat Nuzool E Wahi Ke Waqt Aapke Paas Hz Ali (Ra) Hi Maujood Hote They,


Chunanche Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Wafaat Ke Baad Wah Ayaat Jo Sirf Ali (Ra) Hi Ki maujoodagi Me Naazil Hui thi, Aapne Jama Ki, Baaqi Sahaba Kiram (Ra) Ko Un Ayaat Ka Ilm Na Tha

Isi Tarah Shia Qaum Rasoollullah Salallaho Alaihi Wasallam Par Ye Ilzaam Lagaati Hai Ke Aap (Sws) Ne Muqammal Qur'an Majeed Tamam Sahaba Kiram Tak Pahunchane Me Bukhl Se Kaam Liya Hai, Jab Gujasta Aayat Is Nazeer Ki Nafi karti Hai

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Aiy Rasool (Sws) ! Jo Kuch Bhi Aapki Taraf Aapke Parwardigar Ki Taraf Se Naazil Kiya Jaata Hai Aap Use Logon TaK pahunchaayen"

(Surah Maida Ayat No 27)

Toh Ye Aqeeda Rakhna Ke Kuch Ayaat Ka Ilm Sirf Hz Ali (Ra) Ko Tha Is Baat Ki Nishaan'dehi Karta Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Tableegh E Wahi Ke Fareeze Me Taghafal Barta Hai Aur Ye Aqeedah Bila'shubah Kufr Par Mabni Hai,

Allah Tala Is Qism Ke Aqaid Se Tamam Musalmano Ko Panaah Me Rakhe

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Kya Ye Log Qur'an Majeed Me Ghaur Nahin Karte Ya Unke Dilon Me Taale Lage Hue Hain"

(Surah Muhamamd Ayat No 44)

Saabit Hua Ke Maujooda Qur'an Majeed Hi Hidayat Ke Liye kaafi Hai, Warna Is Par Ghaur O Fikr Ka Huqm Be Maane Hokar Rah Jaata Hai, Kyonki Agar Ye Aqeeda Rakha Jaaye Ki Ye Qur'an Par Fiqr Wa Tadabbur Karna Aur Na Karna Baraabar Hai,

Nez Allah Tala Ka Ye Farman Bhi Be'maayene Qarar

"Ye Qur'an Bilkul Seedhe Raaste Ki Taraf Rahnumayi Karta Hai"

(Surah Bani Israel Ayat 9)

Toh Maaz'allah Ye Kaha Jaaye Ke Maujooda Qur'an Majeed Me Buniyadi Aqaid Wa Arkaan Islam Par Mabni Bahut Si Aayat Maujood Nahin Toh Iska Maayena Ye Hoga Ke Ye Qur'an Kareem Hidayat Wa Rahnumaayi Ke Liye Kaafi Nahin,

Balke Haqeeqi Islam Ko Bachaane Ke Liye, Auzubillah Us Imam Ke Nikalne Ka Intezaar Karna Padega !

Jo Shia Qaum Ke Mutabik Asali Qur'an Samet Ghaar Me Chhup Kar Poori Ummat Ko Hidayat Wa Rahnumayi Se Mahroom Kiye Baitha Hai...

Allah Tala Hamen Aise Aqaid Se Mahfooz Rakhe.... Aaaameeen

#IslamicLeaks
#ImranKhanSalafi