Thursday, January 1, 2015

QUR'AN PAAK KI HISTORY- PART-4






Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Quraan paak ki History

Part-4

QURAAN MAJEED KI 7 MUKHTALIF QIRAT :

Quraan Majeed Bunyadi Tor per Quraish ki Qirat k Mutabiq Nazil hua tha Leken Mukhtalif Qabila k Mukhtalif Alfazo ya Lahan ki Wajah se Ummat e Mohammadia ko Allah Tala ki Taraf se Quraan Majeed 7 Qirato Me Padne ki Sahuleyat Ata Farmaye Gaye the.

Hazrat Zibrail a.s Ne Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ko Allah Tala k ye hukm Pahuchaya k Aap Apne Ummat ko Quraan Majeed Ek Hurf per padaye.

Aap (Sallahu Alaihe Wasallam) ne Farmaya :

''May Esse Allah Tala ki Maafi Aur Magfirat Chahta hu,Mere Ummat eske Taqat Nahi Rakhe ge.

Hazrat Zebrail a.s Dobara Aye Aur kaha :

''Allah Tala Apko Hukm Dete hai k Apne Ummat ko 2 Hurfo per Quraan Majeed per Padhae ''.

Aap (Sallahu Alaihe Wasallam ) ne Faramaya :

''May Allah Tala se Uske Magfirat Aur Maafi Talab karta hu,Mere Ummat eske Taqat Nahi Rakhege''

Hazrat Zebrail a.s 3sre Baar Aye Aur Kaha :

''Allah Tala Aap ko hukm Dete hai k Aap Apne Ummat ko 3 Hurfo per Quraan Majeed Padaye''.

Aap (Sallahu Alaihe Wasallam) ne Farmaya :

''May esse Allah Tala ki Maafi Aur Magfirat Talab karta hu Mere Ummat Eske Taqat Nahi Rakhege''

Fer 4othi Martaba Hazrat Zebrail a.s Tasref laye Tou kaha :

''Allah Tala Apko Hukm Dete hai k Apne Ummat ko 7 Hurfo per Quraan Majeed Padye.''

Un 7 Hurfo me se Log jis Hurf per Quraan Majeed Padhege,Wo Sahi hoga.

[Muslim ,Kitab Fazail Al Quraan , Baab An Al Quraan Anzal Ali sabiat a Harf]

Yaad Rahe k 7 hurf se Muraad kahe tou Lahze k Ekhtelaf hai, Maslan Ek Qirat me ''Musa '' Pada jata hai Tou Dusre Qirat me ''Musi'' padha jata hai..

موسٰی <-----> موسٰی







kaha jaye tou Esse Ara'b k Ekhtelaf hai,

Maslan Ek Qirat me

Jul Arshil Majido -----> Da'l per Pess hai Akher me.

dusre Qirat me

Jul Arshil Majidi------> Da'l k Niche zer hai

ذوالعرش المجید ) د پر پیش(

ذوالعرش المجید ) د کے نیچے زیر(



padha jata hai , Aur Dusre Qirat me

تمت کلمۃ ربک padha jata hai, Aur Dusre Qirat me تمت کلمات ربک padha jata hai,

 




Kahe Tou Es Ekhtelaf se Afaal me Ekhtelaf Muraad hai,Maslan Ek Qirat me و من تطوع خیرا hai Aur Dusre Qirat me و من یطوع خیرا hai.

 


Leken ye Baat Pakki hai k En Tamam Mukhtalif 7 Qirato me Maine (Mening) Aur Matlab me koi fark Nahi padta , ye ferk Aysa he hai jaise Ahle-Musr ''Jim'' ko ''Ghaf'' padhe.

Maslan :

''Janaza'' ko ''Ganaza''

Ahle-Iraan ''Kaf'' ko ''Che'' padhte hai.

Maslan :

''Allah hu Akber'' ko ''Allah hu Achper''
اللہ اکب ko اللہ اچبر

kahte hai, Ahle-Hind
''Qaf'' ko ''Khe'' padte hai.

Maslan :

''Sanduq'' ko ''Sanduk''
صندوق ko صندوخ padte hai leken es Ekhtelaf se kahi v Maine (Mening) wa Matlab me Fark Nahi parta hai, Ayse he Mamla Quraan Majeed me Sabaat Qirat k Ekhtelaf hai.

Ager Samjh me Nahi ata hai tou Ek Alim ko Apne Sath rakhe Aur khud se Ek Hafiz ki Qirat Sune Aur Ek Qaari ki Qirat Sune Samjh me Aa jayega k 2no k Talffuz me Fark hoga Na k Maine me. Ek Mazul pade Aur Maruf Pade tou koi fark Nahi balke Ulma ne Afzaliat Maruf padne walo ko de hai.. Bahar haal Majeed Tafselat k leye Apne Madaris me Rafta Qayam kare..

Next Artical me padhe..

Kis Tarah Hazrat Usman Gani r.a ne Quraan Majeed ko Ek Qirat per Laane ki fekar ke Aur Surato ko tarteb den


#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks