. Bismillahirrahmanirraheem
BIWI KO SHAUHAR KE DEEN AUR IZZAT KI HIFAZAT KARNI CHAHIYE:
Biwi Ko Chahiye Ke Wah Ban Than Kar Nikalne Se Ya Ghar Se Baher Darwaaze Me Khade Hokar Ya Bala'khaane (Window) Se Bazaaron Aur Raaston Me Ajnabi Logon Ke Saath Taak Jhaank Aur Mel Milaap Se Door Rahkar Shauhar Ki Izzat Ka Khyaal Rakhe,
Wah Biwi Jo Darwaazon Ki Darron Ya Pardah Ke Peeche Se Taank Jhaank Ni Karti Aur Agar Shauhar Ka Koi Dost Aa Jaaye Toh Darwaaza Nahin Kholti Aur Bade Tunak'mijaaz Me Mukhtasaran Jawab Deti Hai, Aisi Biwi Allah Tala Ki Farma'bardar, Ibadat'ghuzaar Aur Shauhar Ki Ita'at Ghuzaar Hoti Hai
Allah Tala Ka Irshad Hai
"Pas Nek Auratein Farma'bardar Hain, Ghair Haziri Me Hifazat Karne Wali Hain, Isliye Ke Allah Ne (Unhe) Mahfooz Rakha, Aur Wah
Auratein Jinki Nafarmani Se Tum Darte Ho, So Unhe Naseehat Karo Aur Bistaron Mese Alag Ho Jao Aur Unhe Maro, Fir Agar Wah Tumhari Farma'bardari Karen Toh Un Par
(Zyadati Ka) Koi Raasta Talaash Na Karo, Beshaq Allah Hamesha Se Bahut Buland, bahut Bada Hai"
(Surah Nisa 34)
Nek Ibadat'ghuzaar Biwi Shauhar Ki Zaat Par Aur Khaandaan Par Islam Ki Tatbeek Aur Nifaaz Ke Silsile Me Aur Islam Par Amal Karte
Rahne Aur Uski Dawat Dete Rahne Me Bhar'poor Ma'awanat Faraham Karti Hai,
Ye Shauhar Ki Ghair Maujoodagi Me Uski Izzat Ki Hifaazat Karti Hai, Lihaza Na Zina Karti Hai, Na Uske Razon Ko Failaati Hai,
Hz umme Salma (Ra) Farmati Hain Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya
"Wah Aurat Jo Apne Ghar Ke Elaawah Kahin Aur Apna Kapda Utaare Toh Allah Tala Uski Pardah'dari Kare"
(Sunan Tirmizi Hadith No. 2803, Sahih Jame 2/392)
Hz Aisha (Ra) Farmati Hain Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya
"Jo Aurat Apne Shauhar Ke Ghar Ke Elawa Kahin Aur Apna Kapda Utaare Toh Usne Parde Ko Taar Taar Kar Diya Jo Uske Aur Allah Ke Darmiyan Tha"
(Musnad Ahmad 6/173)
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait