Friday, July 17, 2015

IMAM QIR'AT KARE TOH TUM KHAMOSH RAHO SE KYA SAMJHA JAAYE ??





ASslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahmanirr­aheem ..


Topic - وإذا قرأ فأنصتوا (Imam Qirat Kare Tou Tum Khamosh Raho) Se Kya Samjha Jaye ?


Ahadees Mubarak Se Baaz Logo Ne Ye Samjha Hai K Ye Alfa'az Muqtadiyo Ko Sureh Fatiha Ki Qirat Se Mana Karne K Leye Aap Sallahu Alaihe Wasallam Ne Farmaya Hai,Leken Ager Es Ahadees Per Gour Kare Tou Esme Koi Aysa Lafz Nahi Jiska Mtb Ye Ho K Muqtadi Sureh Fatiha Na Padhe, Ahadees Me 2 Hukm Hai :

1-Suno
2-Chup Raho



Ab Dekhna Ye Hai K Keya Sunne Se Mura'ad Serf Padna He Hai Ya Sunne Wala Pad Ve Sakta H, Eske Leye Hum 2 Mesaale Bayan Karte Hai:

1-Nabi(S.A.W) Ne Apne Halat Bemaari Me Namaz Padhaye Leken Bemaari Aur Zaif Ki Wajah Se Jayada Buland Awa'az Se Takbeer Nahi Kah Sakte The Lehaza " Hazrat Abu Baqar R.A Logo Ko Nabi (S.A.W) Ki Takber Sunate The"
 

(Sahi Bukhari)

Ab Ager Sunne K Matlab Serf Ye Leya Jaye K Sunne Wala Apne Juban Ko Her Kat He Nahi De Sakta Tou Ye Baat Durust Nahi Kuki Sahaba-E-Kara'am ,Hazrat Abu Baqar Siddiq R.A Ki Takber Sunte Ve The Aur Khud Ve Takber Kahte The Jaisa K Sab Musalmano K Ab Ve Ese Tarah Amal Hai.
 

Aur Nabi(S.A.W) K Farma'an Hai "Jab Imaam Takber Kahe Tou Tum Ve Takber Kaho"
 

(Sahi Muslim Jild-1,Safa-174)

2-Ager Sunne K Matlab Serf Padna He Hota Tou Aza'an K Jawab Dene Ki Ve Izazat Na Hote.
Jabke Aap(S.A.W) Ne Farmaya :
 

"Jab Azaan Suno Tou Moazzin Ki Tarah Tum Ve Sath Sath Kahte Jao"
(Sahi Bukhari,Jild-1)



Waise Ve Aza'an K Jawab Wahi Dega Jo Aza'an Sunega,Lehaza Sabit Hua K Sunne Se Na-Padna He Mura'ad Lena Durust Nahi,Es Ahadees Mubaraka Me Dusra Hukm Chup Rahne K Hai,Eske Leye Ve Hum 2 Mesa'ale Bayan Karte Hai :

1-Hazrat Abu Huraira R.A Ne Hadees Bayan Farmate Hai:
Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Takber-E-Tahrema Aur Qirat K Darmiyan Thora Der Chup Rahte The,Maine Kaha Ya Rasullah (S.A.W) ! Aap Es Takber Aur Qirat K Darmiyan Ki Khamoshi K Doura'an Kya Padte Hai?
 


Aap (S.A.W) Ne Farmaya : Main Padta Hu "Allahum Ba Ad.........."Alhadee­s.
 

(Sahi Bukhari ,Jild-1,P-103)

Es Ahadees Se Belkul Wajeh Hai K Ahista Padna Aur Chup Rahna Dono Jama Ho Sakta Hai.

2-Hafiz Zubair Ali Zai Hafizullah Lekhte Hai :
 

Dil Me Khufiya Awa'az Se (Sirri) Padna Fa'anstawa (Ansahat/Khamoshi) K Khilaf Nahi Kuki Ahades Me Aaya Hai K Nabi(S.A.W) Ne Farmaya :
 

"Jo Saks Juma K Din Gusul Kare ,Aur Ager Uske Paas Khusbu Ho Tou Use Lagaye Aur Apna Accha Leba'as Pahne Fer Masjid Ki Taraf Jaye Fer Jo Mayas'sr Ho Namaz Padhe Aur Kisi Ko Takleef Na De Fer Jab Uska Imaam Aa Jaye Tou Ansa'at Kare (Khamosh Ho Jaye) Hatta K Namaz Padle , Ye Uske Aur Agle Juma K Darmiyan K Kaffara Ban Jayega"


(Musnad Ahmed 5/420 H-23571,Wa Sanae Hasan,Al Tabrani Al Akber 4/161 H-400,Asaara Al Sunna :913 Wa Qala Asnaae Sahi)


Ek Riwayat Me Aya Hai :
 


"Aur Fer Khamosh Rahe Hatta K Wo Apne Namaz Mokammal Ker Le Tou Sabka Juma Tak K Kaffara Ho Jayega"
 


(Sunan Nishai 3/103 H-1404)
 


Mazeed Malumaat K Leye Dekhe Mohammad Yusuf Ludyanwi Deobandi Ki Kitab "Ekhtelaaf-E-Ummat" Aur "Serat-E-Mustakim".
 

(Hissa-2 Safa-243,245,Dusra Nuskha Safa-453,455 Aur "Hadees Aur Ahle Hadees"(Safa-808)

Es Rewayat Ki Sanad Me Ibrahim Nakhi Mudallish Hai Leken Yahi Rewayat Dusre Sanad K Sath Bukhari (10) Me (Sam Iz Kharz Alimaam Anasa'at) Elkh Alfaaz Se Hai Jo Nishai Wale Riwayat Ki Ta'eid Karte Hai,Malum Hua K Nishai Wale Rewayat Ve Un Sawahie K Sath Hasan Ya Sahi Hai"

(Al Asa'am Samra 48 Jild-20 P-7,8)


Tambeh : Aal-E-Deoband K Nazdeq Ye Tamam Ahadees Sahi Hai,Pahle Hadees K Sahi Hona Aal-E-Deoband K Mohaddasa Aur Fakaye Namoe Se Sabit Naqal Keya Ja Chuka Hai Aur Nishai Wale Hadees Me Ibrahim Thkhi Mudallis Me Leken Aal-E-Deoband K Nazdeq Khairul Quraan Ki Tadlees Moser Nahi.
 

(Dekhe Tajalliyat e Safdar J-7 P-298,J-4 P-230,J-3 P-324)


Hazren Mohtram ! Jab Aap Ne Jaan Leya K Sunna Wa Chup Rahna Aahista Padna K Mukhalfat Nahi Tou Sabit Hua K " وإذا قرأ فأنصت " Se Fatiya Khul Fa Imaam Ki Mamaniyat Mura'ad Lena Durust Nahi.

Dusra Point :
" وإذا قرأ فأنصت "

Esse Kuch Ahnaaf Ager Muqtadi Ko Khamosh Rahne K Hukm Dete Hai Aur Juban Tak Ko Herkat Nahi Dena Hai Tou Ye Aqeeda Sara-Sir Galat Hai Kuki Baad Me Aane Wala Muqtadi Namaz (Jama'at) Me Samil Hona Chahe Tou Wo Kuch Na Padhe ?
 


1-TAKBER-E-TAHREMA
2-SANA
3-AUZOBILLAH
4-BISMILLAH
 


Chunche Es Baat Per Tamam Ahnaaf K Ittefaq Hai K Ager Jama'at Ho Rahe Ho Tou Baad Me Aane Wala Saks TAKBER-E-TAHREMA Kah Ker Namaz Me Dakhel Hoga.
 


Lehaza " وإذا قرأ فأنصت " K Matlab Ye Hua K Jab Imaam Qirat Kare Tou Koi Saks Juban Tak Ko Harkat Nahi De Sakta Tou Baad Me Aane Wala Saks TAKBER-E-TAHREMA Kaise Kah Sakta Hai ?


(Hum Ahle Hadees Imaam K Piche Sureh Fatiya Tak Padne K Qayal H Lehaza Ye Baat Khud Ahnaar Soche Jo Aysa Bolte Hai)

*Tesra Point...


Jis Hadees Me Ye Lafz Aya He Wo Hadees No-905 H Aur Adhuri Ve Hai. Lehaza Hadees Ki Tawel Ese Sahi Muslim Hadees 904 Se Ki Ja Rahe H. Kuki Hadees 905 Me Lafz Aya "Ese Tarah Dusre Sanad Es Lafz K Ezafa Paya Gaya"
 


Ab Jara Wo Hadees Dekhe Jisse Es Hadees Ki Tawil Ki Imam Muslim R.Al Ne, Hadees No-904 Me Aysha Kya Bayan Hai Jo Hazrat Qatada R.A Se Rewayat Karda Hadees Me Huzur Sallahu Alaihe Wasallam Ne Etne Bari Qaid Laga De !
\
Saye Bin Masoor>>Kutaiba Bin Sayed>>Abu Kamal>>Mohammad Bin Abdul Malik Al 
 Musi>>Abu Aula'an>>Katada>>Yun­ush Bin Zubair>>Hata'an Bin Abdul Raqasy R.A Se Rewayat Hai :


Hata'an Bin Abdul Raqasy K Bayan Hai K Maine Abu Musa Asri R.A K Sath Namaz Pad Raha Tha ,Jab Hum Log Tash'hud Me Baithe The Tou Piche Se Kisi Admi Ne Kaha :
 

"Namaz Neke Aur Jaka'at K Sath Farz Ki Gaye Hai"

Abu Musa Asri R.A Ne Namaz Ba'ad Pucha :
 

"Ye Baat Tum Me Se Kisne Kahi Hai ? "

Sab Log Khamosh Rahe Aap Ne Fer Kaha:
 

"Tum Log Sun Rahe Ho Batao K Tum Me Se Ye Baat Kisne Kahi ?"

Jab Sab Log Chup Rahe Tou Aap Ne Mujhse Kaha :
 

"Aye Hata'an ! Sayad Tum Ne Ye Kalama'at Kahe Hai"

Maine Arz Keya :
 

"Ji Nahi Maine Nahi Kaha"

Mujhe Tou Yeh Khof Hua Tha Kahi Aap Khafa Na Ho Jaye,Etne Me Ek Saks Ne Kaha :
 

"Ye Maine Kaha Hai Aur Esme Mere Neyat Serf Valai Aur Neke Ke The"

Abu Musha Ashri R.A Ne Jawab Deya :
 

"K Tum Log Nahi Jante K Tum Ko Apne Namaz Me Kya Padna Chaye........." (Kaafi Lambi Ahadees Hai)

[Sahi Muslim ,Hadees No-904]

Scan...
 




Mashaallah Kitna Saaf Wajahat K Sath Es Masle Ki Tawel Ke Ja Rahe ,Es Bayan Me Saaf Jahir Hota Hai K Esse Namaz Me Baate Karna Ya Fer Koi Ayse Baat Jo Nabi(S.A.W)Se Na Sabit Ho Or Acche Ya Valai Ki He Neyat Se Kuch Ve Kahna Karahiyat Ya Mawaniyat Sabit Keya Gaya.Jaisa K Dusre Ahadees Me Jikar Ata Hai,Ek Baat Clear Kar Dena Chala Hu Hadees No-904 Or 905 Sahi Muslim K Baab - "Tash'hud Ka Bayan" Me Aya Hai Chuke Ye Waqiya Tash'hue K Masail Se Talluq Hai.

Imam Muslim R.Al Ne Namaz Me Baat Karne K Talluq Se Pura Ek Baab He Bana Deya H Jiska Naam Hai.

"BAABU MAA YUNHA MINAL KALAAME FISSALAATI"

Jo Ese Hadees Se Talluq Rakhta Hai !
Zaid Bin Aqram Radiyallahu Tala Se Rewayat Hai:
 

"Hum Log Namaz Me Baatein Karte The Har Ek Apne Sathi Se Namad Ki Haalat Me Guftagu Kar Leta Tha Yaha Tak Ki Yeh Aayat Utri "Wa Kumu Lillahi Alakh" Pas Hum Ko Hukm Diya Gaya Khamosh Rahne Ka Aur Kalam Se Mana Farma Diya Gaya"

(Sahi Muslim)

Scan..


Scan...




Lehaza Esse Ye Baat Saaf Jahir Hota H K Namaz Me Muqtadi Khamosh Rahe Yaani K Apas Me Baat Chet Na Kare.

Sabse Akhere Point...


Ager Ahnaaf Ab Ve Nhi Mante Jo Khud Ko Muqallid (Jahil) Bolker Apne Imam Ki Pairwi Karte H Wo Ye Baat Jaan Le Ki Sahi Muslim Ki Hadees No-904 Me Saaf
 

Abu Musha Ashri R.A Ne Jawab Deya :
 

"K Tum Log Nahi Jante K Tum Ko Apne Namaz Me Kya Padna Chaye"

Scan..
 


Second Scan Sahi Muslim...




Esse Saaf Jahir Hota H K Imam K Piche Kya Padna Chayye K Nahi ?

*Hanafio (Ahnaaf) K Leye Lamha E Fekriya*


Muqallidin Hazraat Aksar Hadees Ko Tor-Maror Ker Ummat E Musalma K Samne Pess Karte H K Jisko Allah Hidayat Ve De De Tou Unhe Ye Gumrah Karne Per Lag Jaate H.
 


Aksar Ahnaaf Ko Ye Karte Hue Dekha Gaya H Ki Sir Kisi K Or Pair Kisi Or K ,Kuki Enhe Kufi Imam Sahab Se Qayas Wirasat Me Mele Hai Or Maharat Ve Hasil Hai Enhe.

Maine Aysa Es Leye Bola K Ye Hadees Ve Sahi Muslim Ki Out Of Contax Hai Kuki Jis Baab Me Ye Hadees Bayan Ki Gaye H Us Baab K Naam Hai "Tash'hud K Bayan" Or Masla Hal Ker Rahe H Qirat K !! Ye Loog Kavi Nhi Sudhrege Kuki Ager Ye Humare Aslaaf K Manhaz Per Chalege Tou Enke Manhaz Ko Juta Padega Jaisa K Muhaddiso Ne Mara H Juta,Her Muhaddis Ne Es Masle Per Ek Baab He Bana De Hai,Aur Kaha Lo Kar Lo Hal.


(1) Baab Imam Aur Muqtadi Ke Liye Qiraat Ka Wajib Hona Hazir Aur Safar Har Halat Mein Sirri Aur Zehri Sab Namazo Mein

Hum Se Ali Bin Abdullah Madini Ne Bayan Kia Unhone Kaha Ke Hum Se Sufyan Bin Ayeeyna Ne Bayan Kia Kaha Ke Hum Se Zehri Ne Bayan Kia Mehmud Bin Rabee Se Unhone Ubaada Bin Samit (Ra) Se Ke Rasool Allah Ne Farmaya Jis Shaks Ne Sure Fatiha Na Padhi Us Ki Namaaz Nahi Hui
Sahi Bukhari Jild No : 1
Hadith No : 756.


(2) Baab No : 9 Har Rakat Mein Sure Fatiha Padna Wajib Hai:
Sahi Muslim Jild No : 2
Hadith No : 29 Se 37 Tak


(3) Baab No : 131/132 Jo Koi Apni Namaaz Mein Sure Fatiha Ki Qiraat Chodde:
Sunan Abu Dawood Jild No : 1
Hadith No : 818 Se 824 Tak


(4) Baab Is Bayan Mein Ke Namaaz Nahi Hoti Bagair Sure Fatiha Ke:
Jaame Tirmithi Jild No : 1
Hadith No : 210


(5) Baab Namaaz Me Sure Fatiha Padhna Farz Hai:
Sunnan Nisai Jild No : 2
Hadith No : 911 Se 914


(6) Baab No : 11
Imaam Ke Piche (Sure Fatiha) Padhna :
Sunnan Ibne Maaja Jild No : 2
Hadith No : 837 Se 843


Ager Ab Ve Samjh Me Nahi Aate Tou Ye Dekhe Khud K Ulma Kya Tarzuma Karte H Baab Ka..
Sacan..





Aur Ager Ab Ve Kuch Logo Ko Nahi Samjh Me Aa Raha H Kya Sahi Hai Or Kya Galat Tou Khud K Ghar Ki Gawahi Per Gour Kare.
Nabi Akram (S.A.W) Farmate Hai :
''Jo Saks Namaz Me Sureh Fatiya Nahi Padta Uske Namaz Nahi Hote ''
[Sahi Bukhari,Hadees No-756]
Scan..




Ahnaaf Es Hadees K Ye Jawab Dete Hai K Ye Munafird K Leye Hai,Muqtade K Leye Nahi, Ab Lejye Ahnaaf Munafird K Leye V Reyat Dete Hai.
Sahab Hidaya Lekhte Hai :

''Quraan Farz Namazo Me 2 Rekat Me Wajib Hai''
[Hidaya Awalin : Safa127]


Scan..




Dusre 2 Rekat Me Namazi Ko Ekhteyar Hai Chahe Tou Khamosh Rahe Chahe Tou Qeraat Kare Aur Ager Chahe Tou Tasbeh Kah Le,Imam Abu Hanifa R.Al Se Ese Tarah Rewayat Keya Gaya Hai''


[Hidaya Awalin : Safa-128]
Scan..




Ager Apne Mere Puri Baat Tasalli K Sath Padhe Hai Aur Kuch Samjh Me Aya H Or Aap Kuch Samjhda'ar Ho Gaye Ho Tou Ye Baat Socho..!!
 


Allah Ki Kush Nudi K Leye Ager Imaam K Piche Ve Sureh Fatiya Padte Ho Tou Kak Qayamat K Din Kahi Yahi Amal Apke Leye Kaffara Ban Jaye Or Aap Jahnnum Ki Chungal S Bach Ker Jannat Me Jaane Wale Ban Jaao.


Mere Bhaio Kal Qayamat K Din Allah Paak Yahi Sawal Apse Karega Ki Tum Imaam K Piche.
 

1-TAKBER-E-TAHREMA Padt The !
2-SANA Padte The !
3-AUDOBILLAH Padte The !
4-BISMILLAH Padte The !
 

Hatta K Imaam Ki Kisi Galti Hone Per Imaam Ko Luqma Tak Dete The !
Mager Sureh Fatiha Nahi Padte The ! Socho Bhaio Jara Socho!



Allah Paak Hume Hak Baat Kahne Sunne Se Jayada Esper Amal Karne Ki Toufeeq De ! Aameen

#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks
#