Monday, July 20, 2015

KYA MUHADDISEEN KI RAAYE SE ISTADLAL LENA UNKI TAQLEED KARNA HAI ??



Bismillahirrahmanirraheem

KYA MUHADDISEEN KI RAAYE SE ISTADLAL LENA UNKI TAQLEED KARNA HAI ??


Aaj Kal Facebook Par Muqallidin Ki Taraf Se Yeh Sawal Jor Pakadta Ja Raha Hai Ke
Muhaddisin Ki Raay Se Istadlaal Lena Unki Taqleed Karna Nahi To Aur Kya Hai.?

Is Sawal Se Zahir Hai
Muqallidin Yeh Chahte Hai Ke Kisi Tarah Taqleed Ko Sabit Kar De'n...

Aaj Ham Isi Sawal Ke Upar Mukhtasar Guftagu Karenge,Ummid Hai Ahle Elam Hajraat Isse Fayda Uthayenge.....

Sabse Pahle To Yeh Zahen Naseen Kar Le'n Ke Is Tarah Ka Amar Sahadat Ke Zumare Me Aata Hai, Aur Muhaddisin Ko Is Mamle Me Ahle Elam Hamesha Ba-Tor E Shahid Samajhte Rahe'n Hai

Deen E Islam Ne Shahadat Dene Wale Se Istadlaal Lene Ka Hukam Diya Hai Aur Khud Aap S.A.W Ne Kai Faisle Shahadat Ke Bina Par Kiya Hai...

Lee'aan Ka Masla, Ramzaan W Eid Ke Chand Par Shahadat Is Mamle Ki Aham Kadi Hai, Neej Yeh
Ke
Allah Ne Is Ummat Ko "Shuhada'a"(Logo Par Gawahi Dene Wala) Banaya Hai, Jaisa Ke Qur'aan E Karim Me Maujud Hai,

W Kazaalika Za'alnaakum Ummatau W Satal Leetakunu Shuhda'a Anal Naashi W Yakunar Rashul Alaikum Shahidaa

.
Tarzma:-
Hamne Tumhe Aadil Ummat Banaya Hai Taki Tum Logo Par Gawah Ho Jao Aur Rasul S.A.W Tum Par Gawah Ho Jaye'n... Surah Bakrah/143

Ek Jagah Par Is Tarah Irshad Farmaya:-
Ai Iman Walo Adal W Insaf Par Mazbooti Se Jame Raho
Aur Allah Se Dar Kar Gawahi Do.
Agar
Che Ye Gawahi Tumhare Maa-Baap Aur Rishtadar Ke Khilaf Hi Kyo Na Ho. Koi Ameer Ho Ya Fakir Dono Allah Ke Nigahbaani Me Hai.
So Tum Insaf Ko Chhodkar Apne Nafas Ki Khawahish Par Na Chalo
Agar Baat Bana Ke Gawahi Doge
Yaa
(Baat Bana Ke)Gawahi Dene Wale Me Samil Hoge To Itna Samajh Lo Ke Allah Ko Tumhare Sab Kaamo Ki Khabar Hai, Surah Nisha/135

In Ayat Se Saaf Pata Chalta Hai Ke Allah Ne Is Ummat Ko Sahi Gawahi Dene Ka Hukam Diya Hai,

Ab Kuchh Hadis Mulaahiza Farmaiye...
Hajrat Ubaidullah Bin Abdullah Kahte Hai Ke Hajrat Aaisha Ke Upar Jab Buh'taan Karne Walo Ne Jhooth Bola To
Aapne Ali Aur Usama Ko Bulaya:
Aur
Unse Hajrat Aaisa Ke Muta'aliq Puchha Ke Kya Main Aisha Ko Talaq De Du? Is Par Hajrat Usama Ne Farmaya
Ya Rasulallah Aisa Mat Kijiye Jaha'n Tak Main Shajrat Umar Se Riwayat Hai Ke
Jab Wahi Ka Aana Band Ho Gaya
To
Ham Logo Ko Zaahiri Aamal Se Pakadenge.
Agar
Koi Achha Kaam Karega
To
Ham Ispar Bharosa Karenge.Aur Iske Dil Me Kya Hai Isse Ham Koi Matlab Nahi Rakhenge. Kyo Ke Iska Hisab Allah Lega.
Aur
Agar Koi Zaahir Me Bura Karega To
Ham Ispar Bharosa Na Karenge
Aur
Na To Usko Siqah Samjhenge.
Agar Che Wo Dawa Kare Ke Mera Baatin Achha Hai
Sahi Bukhari 1/ 2462

In Tamam Riwayat W
Ayat E Qur'aani Se Pata
Chalata Hai Ke Agar Ham Kisi Nek Insan Ke Gawahi Par Kisi Ko Siqah W Gair Siqah Kahte Hai To
Wo
Taqleed Nahi Kahlata...

Balke Shahadat Ke Upar Faisla Karne Ka Hukam Hame Qur'aan W Hadis Ne Diya Hai...

Aur Jo Log Shahadat Ko Taqleed Se Jodte Hai
Allah Unpar Raham Kare
Aur
Ham Sabko Deen Ki Sahi Samajh Ata Farmaye Or Taqleed Parasto Ke Makro Fareb Se Bachaye ..