Thursday, July 2, 2015

RASOOLLULLAH SALLALAHO ALAIHI WASALLAM SE 20 RAKAT TARAWEEH SAABIT NAHIN HAI (TAHQEEQI JAYEZA)











Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Say 20 Rakaat Taraweeh Sabit Nahi Hai !
--------------------------------------------------------------------------------------------------------

 
Hanfi Hazraat Ka Dawa Hai Kii 20 Rakaat Taraweeh Sunnate Muokkada Hai Magar Yeh Dawa Bilkul Batil Hai.Jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Say 20 Rakaat Taraweeh Sabit Nahi Hai Aur Na Hanfi Hazraat Yeh Sabit Kar Sakhte Hai Toh Itna Bada Dawa Karna Kaisa Theek Hai.Yeh Dawa Karna 20 Rakaat Taraweeh Sunnate Muokkada Hai Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Par Jhoot Hai.Yeh Dawa Sabit Karne K Liye Yeh Hazraat Kuch Daif Aur Jhoote Ahadith Bayaan Karte Hai.In Sab Rewayaat Ka Tahqiqi Jayiza Peshe Kidmat Hai:

Daleel No.1:

حدثنا يزيد بن هارون قال انا إبراهيم بن عثمان عن الحكم عن مقسم عن بن عباس إن رسول الله صلى الله عليه و سلم كان يصلي في رمضان عشرين ركعة والوتر

“Hazrat Abdula Bin Abbas (Raziallahu Anhu) Farmate Hai Kii Beshak Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramadan Main 20 Rakat (Taraweeh) Aur Witr Padte Thy”.

Sanad:{Yazeed Bin Haroon — Ibraaheem Bin Uthmaan — Hakam — Miqsam — Ibn Abbaas (Raziallahu Anhu)}



Takhreej:{Musanaf Ibn Abi Shaiba (5/225, Hadith No.7774), Sunan Al-Kubraa (2/698, Hadith No.4615), Taareekh Baghdaad (6/113), (2/45)}


Tahqiq: Yeh Hadith Modu Hai Kyun Kii Is Hadith Main Ibraaheem Bin Uthmaan Hai.


Ibraaheem Bin Uthmaan Muhadithseen Ki Nazar Main:

1.Imaam Ibn Ma’een (Rahimahullah) Ne Kaha:Siqa Nahi Hai, Daif.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

2.Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) Ne Kaha:Daeef.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

3.Imam Bukhari (Rahimahullah) Ne Kaha:Muhadithseen Ne Is Say Khamoshe Ikhtiyaar Kiye Hai.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

4.Abu Dawud (Rahimahullah) Ne Kaha:Daeef.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

5.Imam Tirmizi (Rahimahullah) Ne Kaha:Munkar Ul Hadith.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

6.Imam Nasai (Rahimahullah) Ne Kaha:Matrook Ul Hadith.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

7.Daulaabee Ne (Rahimahullah) Kaha:Matrook Ul Hadith.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

8.Imaam Abu Haatim (Rahimahullah) Ne Kaha:Daeef Aur Muhadithseen Ne Is Say Khamoshe Ikhtiyaar Kiye Hai Aur Chood Diyaga Hai.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

9.Juzjaanee (Rahimahullah) Ne Kaha:Aatibar Say Gira Hua Hai.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

10.Saaleh Jazrah (Rahimahullah) Ne Kaha:Bohut Daaef Hai Aur Iski Hadith Likhe Hi Na Jaye.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

11.Abu Alee Neesaabooree (Rahimahullah) Ne Kaha:Kamzoor Hai.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/144)}

12.Imaam Shu’bah (Rahimahullah) Ne Kaha:Kazzab.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/145)}

13.Ibn Sa’ad (Rahimahullah) Ne Kaha:Daeef .{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/145)}

14.Daarqutnee (Rahimahullah) Ne Kaha:Daeef.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/145)}

15.Ibn Al-Mubaarak (Rahimahullah) Ne Kaha:Choodo Isko.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/145)}

16.Abu Taalib (Rahimahullah) Ne Kaha Imam Ahmad Ne Kaha:Mukar Ul Haidith.{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/145)}

17.Imam Aqeli (Rahimahullah) Ne Daifa Mein Zikr Kiya Hai.{Daifa, 1/59, No.54}
18.Imaam Baihaqee (Rahimahullah) Ne Kaha: Daeef.{Sunan Al-Kubraa (2/496)}

19.Ibn Aadi (Rahimahullah) Ne Kaha:Is Ne Kuch Nahi Suna Hai Al-Hakam Say Siwaye Ek Hadith K .{Tahzeeb Ul Tahzeeb (1/145)}
Ibn Aadi (Rahimahullah) Ne Isko Al-Kamil (1/521) Mein B Zikr Kiya Hai.
20.Imam Nawawi (Rahimahullah) Ne Kaha: In K Daif Hone Par Itifaaq Hai.{Shara Sahih Muslim, Mukdima, 1/64}

21Imaam Dhahabee (Rahimahullah) Ne Kaha:Is K Daeef Hone Par Ijma Hai.{Deewaan Adh-Dhu’afaa Wal-Matrookeen (1/52 No.211)}

22.Haafidh Ibn Hajar (Rahimahullah) Ne Kaha: Matrook Ul Hadith.{Taqreeb Ut-Tahdheeb (No.217, Page No.112)}

23Haafidh Al-Haithamee (Rahimahullah) Ne Kaha:Matrook.{Majma’a Az-Zawaa’id (6/153, Hadith No.10058)}

24.Imaam Suyootee (Rahimahullah) Ne Kaha: Matrook.{Jame’a Al-Ahadith (10/144, No.9281)}

25.Imam Muhammad Bin Tahir Makdasi (Rahimahullah) Ne Kaha:Matrook-Ul-Hadith.{Zakheeratal Hifiz (2/847, Hadith No.1687) }
----------------------------------------------------------------------

Is Hadith Ko Daif Kahne Walay Muhadithseen Yeh Hai:

1.Imam Aadi (Rahimahullah) Ne Is Hadith Ko Al-Kamil Mein Zikr Kiya Hai.{Al-Kamil (1/524, No.1461)}
2.Imam Bahqee (Rahimahullah) Ne Is Hadith Ko Nakal Kar K Farmaya:”Abu Shaybah Ibraaheem Bin Uthmaan Is Hadith Ko Bayaan Karne Main Munfarid Hai Aur Yeh Daeef Hai”.{Sunan Al-Kubraa (2/698, Hadith No. 4615)}
3.Imam Mizzi (Rahimahullah) Farmate Hai: Iski Munkar Rewayat Mein Say Ek Wo B Hai Jis Mein Hai Kii Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ramzaan Mein 20 Rakaatein Pada Karte Thy.{Tahzeeb-Ul-Kamaal (2/149)}

4.Imam Zahabi (Rahimahullah) Ne Is Hadith Ko Munkar Karar Diya Hai.{Meezan-Ul-Atidaal (1/48)}
5.Haafidh Ibn Hajar (Rahimahullah) Ne Kaha: “Is Hadith Ki Sanad Daeef Hai Aur Yeh Hadith Aisha (Raziallahu Anha) Ki Hadith K Khilaaf Hai Jo Sahih Bukhari Main Hai”.{Fath Ul Bari, Kitab Ul Salat Ul Taraweeh, Vol. No.4, Page No. 322, Hadith No 2013}

6.Haafidh Haisami (Rahimahullah) Ne Daif Karar Diya Hai.{Majma’a Az-Zawaa’id (3/402, Hadith No.5018) }

7.Imaam Suyootee (Rahimahullah) Ne Farmate Hai: Yeh Hadith Sakhat Tareen Daif Hai, Is Say Hujjut Wa Dalil Qayim Nahi Ho Sakhte.{ Al-Masaabih Fi Salaat At-Taraweeh (Safa No.17) }
----------------------------------------------------------------------

Hanafi Ulma Ne B Is Hadith Ko Daif Karar Diya Hai:

1.Zailaa’ee Hanafee (Rahimahullah) Ne Kaha: Yeh Rewayat Abu Shaiba Ibrahim Bin Usmain Rawe Ki Waja Say Ma’alool (Daif) Hai Jo Kii Imam Abu Bakr Bin Abi Shaiba K Dada Hai, In K Daif Hone Par Itifaaq Hai, Imam Aadi Ne B Al-Kamil Mein Inko Kamzoor Karar Diya Hai Phir Yeh Us Sahih Hadith K Mukhalif B Hai Jis Mein Abu Salma Bin Abdur Rahman Ne Hazrat Aisha Say Rasoolullah Ki Ramzaan Mein Nimaz K Bare Mein Sawal Kiya Toh Sayeda Aisha Ne Farmaya: Aap Ramzaan Ya Ghair Ramzaan Mein 11 Rakaat Say Zeyada Nahi Padte Thy.{ Nasb Ur-Rayaa (2/153) }

2.Anwar Shah Kashmiri Farmate Hai: 8 Rakaat (Nimaz-E-Taraweeh) Rasoolullah Say Sahih Sabit Hai Aur Jo 20 Rakaat Ki Rewayat Hai Wo Daif Hai Aur Is K Daif Hone Par Itifaaq Hai.{ Al-Urf Shazee (Safa No.209) }

3. Ibn Abideen Shaami Hanafi Farmate Hai: Yeh Hadith Daif Hai Kyunkii Is Mein Rawe Abu Shaiba Bil-Itifaaq Daif Hai, Saath Saath Yeh Hadith Sahih Hadith K B Khilaaf Hai.{ Minhat Ul-Khaaliq (2/66) }
4.Abd Ush-Shakoor Deobandi Ne Kaha: Agarchee Nabi Say 8 Rakaat Taraweeh Masnoon Hai Aur Ek Daif Rewayat Mein Ibn Abbas Ay 20 Rakaat B, Magar…….. { Ilm Alfiqh (Safa No.197) }

5.Muhammad Taqi Usmani Deobandi Ne Kaha: Laykin Yeh Ibrahim Bin Usmain Ki Waja Say Daif Hai.{Dars-E-Tirmizi (3/304)}

6.Tahtawi Ne Hashaya Maraqi Al-Falaha (Safa No.411) Mein.

7.Rasheed Ahmad Gungohi Ne Al-Rai Ajya Mandarja Majmua’a Resala (Safa No.180) Mein.

8.Mufti Kifayatulla Ne Kifayatal Mufti (3/351,354,359,363) Mein.

9.Abdul Hay Lakhnawi Ne Al-Ta’aleequl Mamjad (142) Wa Tahfatul Aakhir (Safa No.50) Mein.

10.Alama Nimawee Ne Aathaar As-Sunan (Safa No.254) Mein.

11.Shabir Ahmad Usmani Ne Fathul Mulheem (2/320) Mein.

12.Khair Muhammad Jalandari Ne Khairul Masabiha Mandarja Khairul Fatawa (2/587) Mein.

13.Muolana Muhammad Zakriha Ne Aw Juz Al-Masaliq (1/397) Mein.

14.Muhammad Yousuf Banori Ne Marifatus Sunan (2/546) Mein.

15.Mufti Yaar Khan Barelwi Ne Ja Al-Haq (2/243) Mein Imam Tirmidhi Say Nakal Kiya Hai Kii Ibrahim Bin Usmaan Abu Shaiba Munkarul Hadith Hai.

16.Ghulam Rasool Sa’ayedi Barelwi Ne Shara Sahih Muslim (2/496) Mein.

17.Muhammad Shareef Barelwi Ne Dalail Al-Masail (91) Mein.
----------------------------------------------------------------------

Daleel No.2:

حدثنا أبو الحسن علي بن محمد بن أحمد القصري الشيخ الصالح رحمه الله حدثنا عبد الرحمن بن عبد المؤمن العبد الصالح قال أخبرني محمد بن حميد الرازي حدثنا عمر بن هارون حدثنا إبراهيم بن الحناز عن عبد الرحمن عن عبد الملك بن عتيك عن جابر بن عبد الله قال خرج النبي صلى الله عليه و سلم ذات ليلة في رمضان فصلى الناس أربعة وعشرين ركعة وأوتر بثلاثة

“Sayedina Jabir Say Rewayat Kii Ramzan Mein Ek Raat Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Bahar Tashreef Laaye Aur Sahaba Kiraam Ko 24 Rakaate Padaye Aur 3 Rakaat Witr Padaye”.
Sanad:{ Abul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Ahmad Al-Qasri Sheikh Saliha – Abdur Rehman Bin Abdul Mawmin Al-Abdul Saliha – Muhammad Bin Humaid Ar-Razi – Umar Bin Yaroon – Ibrahim Bin Al-Janaaz – Abdul Muluk Bin Ateeq}

Takhreej:{ Taareekh Jarjaan (Safa No.275, Hadith No.556)}

Tahqiq:Yeh Jhoote Rewayat Hai Kyun Kii Muhammad Bin Humaid Ar-Razi Aur
Umar Bin Haroon Al-Balkhi Donu Kazzab Hai

1.Muhammad Bin Humaid Ar-Razi Muhadithseen Ki Nazar Main:

1.Yaqoob Bin Shaiba (Rahimahullah) Ne Kaha: Kaseerul Manakeer.
2.Imam Bukhari (Rahimahullah) Ne Kaha: Fee Hee Nazar.
3.Abu Zura Razi (Rahimahullah) Ne Kaha: Kazzab.
4.Kosaj (Rahimahullah) Ne Kaha: Main Gawahi Deta Hoon Kazzab Hai.
5.Ibn Kharaash (Rahimahullah) Ne Kaha: Allah Ki Kasam Kazzab Hai .
6.Imam Nasai (Rahimahullah) Ne Kaha: Siqa Nahi Hai.
7.Saliha Juzra (Rahimahullah) Ne Kaha:Main Ne Ibn Shaaz Kufi Aur Ibn Humaid Say Bad Kar Kise Ko Jhoot Par Dilear Nahi Dekha.

{Mezaan-Ul-Atidaal, 3/530, No.7453}

2.Umar Bin Haroon Al-Balkhi Par Muhadithseen Ki Jarah:

1.Yahiya Ibn Ma’een (Rahimahullah) Ne Kaha: Kazab Khabees, Koi Cheez Nahi Hai.
2.Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) Ne Kaha: Matrook.
3.Ali Bin Madine (Rahimahullah) Ne Kaha: Bohut Kamzoor Hai.
4.Ibn Mahdi (Rahimahullah) Ne Kaha: Matrook.
5.Nasai (Rahimahullah) Ne Kaha: Matrook.
6.Saliha Jazra (Rahimahullah) Ne Kaha: Kazab.
7.Abu Ali Nasaburi (Rahimahullah) Ne Kaha: Matrook.
8.Abu Dawud (Rahimahullah) Ne Kaha: Gair Siqa Hai.
9.Darqutni (Rahimahullah) Ne Kaha: Bohut Kamzoor Hai.
10.Zaqriya Asaji (Rahimahullah) Ne Kaha: Daif.

{Mezaan-Ul-Atidaal, 3/228, No.6237}

11.Asabahani (Rahimahullah) Ne Daifa Mein Zikr Kiya.{Daifa Lil Asabahani,1/113, No.152}
12.Ijli (Rahimahullah) Ne Kaha: Daif.{Marifat-Ul-Siqaat, 2/171, No.1364}
13.Abu No’aam Asbahani (Rahimahullah) Ne Kitab-Ul-Daifa Mein Zikr.{Kitab-Ul-Daifa, 1/113, No.152}

***********************
Tahqiq/Takhreej By:Yasiir Mahi


#Yasir Mahi
# IslamicLeaks